॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

guru adhinta se kya hota hai ? // 28/09/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

bhagwan Shri varsh yaman siddho bhavat amrito bhavat ro bhav jo janmjanm se bhatkte hue vishay vasnaon mein anand ki khoj kar rahe the wo jab Gurudev ki kripa se Priya pritam ki sharan mein hue amritas mrit vasna mrityu lok ki bhogon ki vasna wo hamko bar-bar mrityu rupi dand de rahe ab amriton ko Gurudev ne Radha naam sudha rasam sudha mane amrit Gurudev ne amrit ras pila diya ab mrityu se bhay nahi raha y laman siddho bhavti wo siddh ho jaata hai. Siddh mane paripakva. Paripakva mane nana prakaar ki vasnaon ka pravah ane par bhi nana prakaar ki bhogon ki bhumi par bhi uska man chalayman nahi hoga.

tripto bhavat wo tript ho jaata hai. Bhagwan ka nirantar sumiran karte karte bhagwan jab hriday mein prakt hote hain. Ek adbhut anand wo aisa anand jo ham chah rahe hain. Jaise hamara man chah raha hai bhagwat anand pakka. Tabhi wah har vishay ke baad asantusht ho jaata hai. Chahe wah khanpan ho, dekhna sunna ho, bhogna ho. Har bhog ke baad wah atript rahta hai. Usko lagta hai ki wo sukh nahi mila. Par wo khojta phir wahi hai. Sansaar mein, bhojan mein, stri mein, purush mein, dhan mein, man mein, naam ho jae pratishtha mein.

ismen sukh hota phir asantusht aur jalan aur ashanti uske hriday se jati hai. Tripto bhavti jab bhagwan ka dat ke bhajan kiya gaya sansaar ki asakti ka tyag karke tab jo ek anand hriday mein utpann hota hai usse jo tripti hoti hai jo shanti hoti hai wahi na sochti na ka na koi soch rah jati hai na koi chah rah jati hai aur wo swayam bhagwat swaroop ho jaata hai kyonki mul mein ham sab bhagwat swaroop hai ekom bahuma ved kahta hai ki ek brahm hi jab sankalp kiya ki main bahut rupon mein ho jaun to samasth sansaar ke rup mein ho gaya.

ab is sansaar mein apne ko bhul gaya akar ke. Ab usi bhul ko mitane ke liye swayam Gurudev rup se, sant rup se, shastr rup se updesh karte hain. Yadi ham shastr sammat aacharan karen Gurudev ki adhinta sweekar karke unke dwara bataya hua sadhan karen jo sadhan bata de to nischit hamara hriday anand se bhar jaega wo anand sharir vishesh pida se yukt ho ya mrityu ka avsar aa raha ho ya bada-bada kasht ho to bhi usko shok ya bhay nahi hoga use anand kahte hain. Sharir sambandh se wo bilkul upar utha hua mahapurush hota hai.

isse bhagwat anand ki prapti hoti hai. Isliye sabko chahiye ki van ko marna sikha jae. Hamara man hi hamko bhagwan ke darwaze tak akar ke bhi vimurkh kar deta hai. Ab jaise ham log sab bhagwan ke darwaze aa chuke hain. Vrindavan dham mein yah pratham sidhi hai prakt Vrindavan yahi se pravesh hai divya Vrindavan chidanand Vrindavan mein jahan nitya nirantar Priya pritam ras ki varsha kar rahe hain par sat jugal kishor wo isi Vrindavan se pravesh hoga ye Vrindavan jo aap dekh rahe hain. Yah Vrindavan mein jab asakti ho jati hai, dridh sankalp ban jaata hai ki ab Vrindavan ko nahi chhodunga.

chahe pran nikal jae aur nirantar jugal sarkar ki seva aur bhajan hota hai. Uske phir hriday mein Vrindavan mare u Vrindavan aur maya kal jahan nahi vyapat maya ka ek trigun swaroop jo hai yah nahi hai vinashi nahi hai wo avinashi ek shat rasmay Vrindavan hai usi Vrindavan mein ham aa gaye mano dwaar par aa gaye ab ham apni indriyon ko apne man ko guru agyaa mein chalave manmani aacharan na karen manmani aacharan karne se bhagwat vimukti ho jaata hai jab ham guru agyaa mein chalte to guru agyaa ka matlab hota hai sidha rod manmani aacharan ka matlab hota hai bhul bhulaiya mein phas jana.

to bhul bhulaiya rupi maya ke margo se backar pahla guru ke siva ham kisi ke bhi updesh ko apne jeevan mein na utare. Jo guru ne hamen updesh kiya usse agar milta hai to ham man lete hain nahi to nahi mante. Isiliye ras mein sangoshti kahas ne kaha isiliye kaha isht mile aur man mile mile bhajan ras riti kaha nishank ho milie taso kijiye prit hamari jo guru pranali hai jo guru bhajan pranali hai us pranali ko pehle samjhna chahiye ki hamari guru bhajan pranali kya hai phir samjh lo hamari guru bhajan pranali liye sabse pahli baat guru aasakt pratham sevai guru ke charan jin dharm kaho sab karn naam pratap bataiyo ab dusra pahla guru asak aur dusra guru pradatt naam mantr vani seva ye char hai char sopan hai hamare naam mantr mantr apvitra dasha mein nahi japa jaata.

jab pavitra hai ham to har samay mantr jap rahe nahi agar jis samay lag raha pavitra us samay naam aur vani gayan hamara jeevan hai. Ham jab vani gayan karte hain to hamare Priya pritam wahi paas mein chhup ke sunte hain. Jaise ham chaturasi ji ga rahe hain to Priya pritam ek parda dal ke maya ka chhup kar sunte hain. Naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas naam vani nikat Shyam shyama prakt naam mantr vani aur seva jiske jeevan mein ye char hai wo Harivansh dharm ki pranali ko samjh jaega.

agar in charon mein se ek hata diya jae jaise takhat ya char pai ke ek pave ko kaat diya jae to baithe layak nahi rahegi wo gir jaega charon hona chahiye naam mantr vani aur seva ye char chijon hamare jeevan mein nirantar chalni chahiye kabhi naam kabhi guru mantr kabhi vani aur seva seva mein hi naam vani guru mantr hai. Yah bhi samjhna hai. Hamare yahan yah nahi hai ki aap ekant kamre mein baith gaye aur mala chala rahe. Hamare yahan hath mein jhaddu hai. Aur mukh mein naam hai ya mantr hai ya vani hai. Pani gunguna rahe ya naam jap kar rahe ya mantr jap kar rahe.

roti bana rahe, pocha laga rahe, chandan ghis rahe. Ham jo bhi shri ji ki seva hai chahe khade hone se lekar ke wahan shri ji ke chandan lagane tak ye sab seva hai. Agar ham seva mein naam mantr aur vani teehi ka prayog nahi karte to seva adhuri hai. Seva puri tabhi mani jaegi jab naam japte hue ya mantr jap karte hue ya vani gayan karte hue ki jae. Seva bahya hoti hai aur yah antarik hota hai. Keval bahya karte karte aap ub jaoge wo aapko lagega ham bhajan ke liye aae the aur hamko kam mein laga diya. Agar naam vani aur mantr chal raha hai to aapka utsah seva mein badhta rahega.

dekho ham padhai ki baat nahi karte. Hamen bechaini hoti hai jab ham bistar mein lette hain. Yar bistar mein letne se kya hoga? Samay barbad hoga. Agar naam jap nahi hoga aur mantr jap nahi hoga aur vani path nahi hoga to tum asantusht rahoge. Likh lo kyonki ye bahya kriya ho rahi hai. Andar se aap to vishay chintan kar rahe ho to aapko anand kaise prapt hoga? Anand to chintan se prapt hota hai. To ham seva karte hue abhyaas karen ki naam chal raha hai, mantr chal raha hai, vani kuch nahi to joi joi pyar thoda gunguna gunguna ke pad ga rahe hada chala rahe apne karya kar rahe hain.

accha agar ham bhagwat chintan nahi karenge to vishay chintan hoga aur vishay chintan hoga to vishay kriya hogi. Vishay kriya hogi to sat kriya ka jo prabhav hai wo nahi padega. Jo aapki bhagvatik sat kriya hai uska prabhav jaise doodh hai aur khatai usmen dal do. Ye asat kriya khatai ki tarah hai. Jo bhajan marg hai wah dugdh ki tarah hai. Kabhi udaharan mein diya hai tu balak nahi bhyo sayan kahe Krishna bhajat nahi neeke ati sumishta taj surbhin pai man bandh tandur jal kamdhenu ke doodh ka tyag karke chaval ki dhavan pina chahta hai tu balak nahi hai bada sayana hai hosh mein hokar bhajan kar Harivansh to jab ham seva seva mein rat rahte hain aur na naam jap hai na vani gayan hai na mantr jap hai to man vishram bhogon mein hi karega tab aap mobile mein kuch galat dekhoge galat chintan banega galat kriya hogi tab aapko lagega ki aae the bhajan ke liye ho kya raha hai kyonki aap pranali pe nahi chal rahe jo guru pranali hai us par nahi chal rahe sevak sharan sada rahe anat nahi vishram kah vani Harivansh ki aur kah Harivansh naam hamara vishram sthal kya hai naam vani naam mein hi mantr aa jaata hai naam mantr vani aur seva ye char hamare pure 24 ghante ka chakra hai.

isi mein hamen ghumna hai. Agar isse alag hue to phir maya mar degi rai ke sab chalat hot aur ki aur phir hriday anand se yukt nahi hoga aur nahi to kitna anand milta hai seva mein ye ham kaha tumhen kaise batayen jab kal ye do amrud pakhe nikale chatni banana Radha pith le jao khuda ki tuta chatni banana Radha pi ek-ek ek ek chij shri ji ke liye hamara jeevan shri ji ke liye hai. To aap sab usi ke liye aae ho. Tumhen shri ji ne swayam ghaseeta hai. Isliye savdhaan hokar ke guru pranali par chalo. Sadaiv santo ne guru pranali par jor diya hai ki aapki guru ki jo pranali hai usi mein chalo.

ham naam jap karte hue, mantr jap karte hue, vani gayan karte hue seva karen. Hamari unnati ho rahi hai ki nahi ho rahi hai hamko isse koi matlab kyonki anek janmon ke papon ka nash ho raha hai. Ho sakta hai sal do sal ho jae chahe 10 sal ho jae aapko samjhne mein na ave kuch to seva se hamare dharm ki purti hoti hai. Seva se hamare Priya pritam prasann hote hain. Aur sabse kathin sevak dharm hai. Agar kathin baat kahi jae to sabse sevak dharm kathora kyon sevak apne sukh ke liye nahi rahta sevak Swami ke sukh ke liye rahta hai sevak sukh chahe man bikhari vyasni dhan shubhgat gati mein bichri nahi hogi puri zindagi bhajan karke yah kar rahe hain kyonki yahi sarvopri baat hai shri ji ki chakri bhai ji itne bade mahapurush unhone ek pad mein likha hai Radha muhn pe aag daro usmen niche kaha hai mujhe jhadudar baro mujhe jhaddu lagane wala apni kunj ki bana le to ye Vrindavan kya hai shri ji ki kunj nahi hai kya nikunj bhati Vrindavan ye Vrindavan yahan jo bhi kar rahe ho sab shri ji ke liye shri ji ne aapko chayan kiya sansaar se hata ke apni seva ke liye to ab jeevan seva mein de do.

tumne jeevan arvan kiya ki shri ji itne kripalu hai ki shri Harivansh sharan je aae. Shri Harivansh sharan je aae. Shri Vrishabhan kunwar nand nandan nij kar apni chitthi chadaye. Vishwas karo ek siddh mahapurush likh rahe nagreedas ki jo Harivansh mahaprabhu ki sharan mein hue to Priya pritam ne nikunj ke register mein uska nij kar apni tithi chadaye. Sabko naam mila hua hai. Shri ji ne diya hai. Bole kya bole? Krishna Mohini sharan wahan likh gaya. Wahan likh gaya register mein Krishna Mohini sharan amuk sharan Vrindavaneswari sharan ye sab unka naam hai.

Vrindavaneswari wo hai unki sharan wahan register mein likha hai. Guru pradatt naam wahan register mein likh gaya. Ab wahan jab tum yahan char ka palan karoge naam, mantr, vani, seva tab wahan se naam aayega. Kya baat? Yah sharir ka naam hai. Wahan se naam aayega swaroop ka. Yah managdhant thodi hota hai. Wahan se posta hota hai. Aur hriday mein swaroop aur wahi naam jagrit ho jaata hai. Register mein to naam likh gaya hai. Lekin kath na pave itna dhyan agar guru aparadh guru avagya ban gayi to lal syahi phir jaegi kyonki likha padhi shri ji ke hath nahi hai lal tu ke hath hai shri ji to itni kripal hai ki kabhi lal syahi fer hi nahi sakti anukhya anantta aa likhna padhna thakur ji ke hath hai wo to shri ji keval muskura kar swikrati dete hain haan theek hai agar aap guru droh karo Kabira hari ke rooth uthte guru ki sharan jae aur ka Kabir guru ruthte hari nahi ho hari usi samay lal chai phenk dete ki Harivansh charan

hue lekin ten vachan manat guru drohi nish din karat apno bhyo to it paramarth hai bahut kuch nahi sab nasht isliye guru parampara ke anusaar chalo guru ki adhinta sweekar karo to bade-bade siddho ke paas bhi wo safal nahi ho sakte jo manmani aacharan karne wale jo manmukhi hai isliye gurumukhi aap log ho jab jeevan arpit kiya hai to iska nirvah har samay ham aapke paas nahi hai lekin hamara mantr hamara naam vani thakur seva har samay aapke paas hai wahi guru ka swaroop hai to satsang ka sar baat hai hamen kisi ki sunna nahi hamen kahin jana nahi.

apne guru ki baat manani hai aur apne guru ki pranali se chalte hue hamen jeevan vyatit karna hai. Bas ho gaya isi se hua. Bas bane raho. Chupchap bane raho. Kasht saho tumhen kya kasht hai? Keval man ki bhi baat hai. Man mukhi baat hai. Agar man mukhi na chalo to koi kasht nahi. Aap batao kya kami hai? Dekho ham bhajan ki pranali bata rahe hain. Guru ji ki seva mein rahte 10 varsh se to seva hui hai. Apni kutia ate 11:00 baje shri ji ki mangala karte. Aap to dekha hai jhaddu pochh karte do minute mein naha karke aur itr laga diya roti mangne gaye kha liya.

phir guru ji ki seva mein pahunch gaye. Hamen ye nahi raha ki hamari shri ji guru ji hai. Aa ha jai jai. Hamari shri ji guru ji hai. Unki agyaa mein hamen kuch man lo aap 10 ghante kiye apni kutia mein gaye to thakur ji ko pranam karke so jao. To aap Gurudev ko manushya samjh rahe hain to pata nahi hoga agar sarvagya Swami samjh rahe to ek ek ghadi ki baat dekh rahe ek ek second ki baat dekh rahe tumhen sambhal kaun raha hai? Phir agar Gurudev nahi jante to tumhen sambhal kaun raha hai? Gurudev tumhen nahi jante aur tum sharanagat ho.

aisa kaise ho sakta hai? Ab janne ka matlab aise thodi hai ki samne baithkar ke pyar kare. Yahan antarik pyar hota rahta hai. Sabka mangal sabka aur sab utsah sampann hai. 150 sadhak yahan rah rahe hain. 150 sab utsah sampann seva mein sab matlab ham to pranam karte hain yahan ke sadhako ko. Chahe jo sampraday ho guru agyaa par tika hua hai. Agar guru agyaa par nahi to phir to ye sari ki sari seva guru ki ho rahi hai. Accha guru kaun hai? Ladli jo ladli jo guru hai. Guru ji ladli hai. Agar hamari ye bhavna pusht ho gayi to phir udhar hone mein der nahi lagegi.

guru ko manushya mankar ki wo to hamko dekhe bhi nahi. Hamse baat bhi nahi ki hamko kya jane nahi wo usi samay se jaan rahe hain jab se tum ghar se nikal kar ke aae the wahi nikal ke laye hain tum thodi nikal ke aae ho tumhen wahi nikal ke laye wahi tumhara poshan kar rahe hain guru tatv hai hamse pocho khade hoke ki accha agar hamen jante ho to hamara naam kya hai to hamen nahi diya lekin hamen pata nahi lekin guru tatv jaan raha hai wo sab kuch dekh raha hai wo akhand mandlakar vyaptam guru tatv hai us tatv ki aradhna karni hai to jahan seva kar

rahe ho tatv nahi dekh raha hai ki tum kya seva kar to ye baat galat hai jo aisa sadhak to aap jinko jante hain aur aap ek hai jo dur se sevae kar rahe hain 810 ghante wo bhi kar rahe hain to kya phal ki prapti donon ko usko zyada hogi jo dur hai jo nazdik wala hamara chintan nahi karta dur wala hamara chintan nahi karta jab ham guru ji ke darshan karne piche gaye the to guru ji ne yahi kaha tha log the ki darshan se zyada chintan hai wo hamara chintan karo 15 din mahina mein kabhi aa jao hamara chintan karo wo yahi agyaa pal 15 din mein bole hamara chintan karo kitni kripa hai ki wo ye baat kah rahe hain ye nahi kaha shri ji ka chintan karo jai jai ho dhyan dena jai ho guru ji ne kripa karke kaha ki hamara chintan karo dhyan mulam kitni karuna unki ki wo spasht ye nahi kaha ki Radha vallabh lal ka chintan karo tab darshan unhee ke darshan se purn ho jaega aisa nahi kaha unka chintan karo ye baat samjho ki ham chintan kar rahe hain aur dur hai to ham nazdik hai ham nazdik hai chintan nahi kar rahe to ham dur hai

chintan ki nazdik ta mani gayi hai. Hazar kos dur se bhi agar guru ka chintan kare to guru sambhal lega kyonki wo wahi vyapt hai. Jaise akash hai na aise guru hai. Gagan sadsam brahmandam param sukhdam kevalam gyan murtim dwandateetam gagan sadsam tatas laksham ekam nityam Vimal achlam sarwadh sakshi bhutam bhavateetam trigunitam sadguru tam namam ye sadguru ka swaroop isliye khub anand purvak bhajan karo aur idhar udhar bhatko mat shri Radha ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi