॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

swarg mein wo kaun-sa sukh hai, jo dharti par bhi nahi hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

paras kohli ji nai Delhi se Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji sukh aur dukh ek hi gaadi ke do pahie hain. Mera prashn yah hai ki wah kaun sa sukh swarg mein hai jo dharti par nahi hai aur wo kaun sa dukh nark mein milta hai jo dharti par nahi hai swarg koi khas chij thodi hai swarg ke Devraj indra hai na malik tribhuvan pati hai Gautam rishi mahatma ki patni ke saath ganda aacharan karne ke liye vyakul ho gaye aur kiya to koi khas baat swarg hai kya? Agar un apsraon ka bhokta indra mrityu lok ki kisi rishi ki patni ke saath galat karne ka vichar karke galat kar diya to iska matlab swarg mein wo sukh nahi hai.

jis sukh ki prapti ke baad koi chah nahi rah jati wo bhagwan hai. Swarg bhi ek nakli hai. Asli hai. Swarg ka sukh bhi nakli hai. Yahan tak ki aap brahm stambh paryantam sarvam mayamyam jagat satyam satyam pun satyam hare naam kevalam jinke se lekar brahm lok tak sab maya mein hai bhaya mane jhutha mane dikhavti dikhava kuch aur hai aur andar mein ab jaise pura jeevan ho gaya har sukh bhogte hue ab aapke paas kya hai aapse pucha jae ki aapke paas kya hai to phir wahi lalsa hai wahi kamna hai bhogne ki aur kuch chalaie to ye jhutha hi khel chal raha hai maya to na swarg mein koi sukh hai aur na mrityu lok mein koi sukh hai.

agar vastvik sukh hai jise kahte hain wah paramatma mein hai. Jaise kevat bhagwan ke charan dho raha hai. Baad mein bhagwan ne anguthi di Sita ji ki to kya kah raha hai? Ab kachu nath na chahe more. Jab yah nikal jae hriday mein ki jo main chahta tha wo mil gaya. Ab kuch nahi chahiye. Wo keval bhagwan mein hi niklegaa aur kahin nahi niklegaa. Lakho kamnayen aur utpann ho jaengi. Koi kabhi tript nahi hota to na swarg mein sukh hai na prithvi mein sukh hai sukh hai to bhagwan mein hai jo anand sindhu sukh rashi ye pakki baat samjh lo ham isiliye pahla udaharan diya tribhuvan pati Devraj ka ki sab pure swarg ka malik hokar ek mrityu lok ke Gautam rishi ki patni Ahilya ke saath galat aacharan kiya kitna nindniy vishay tabhi saanp bhi mila tha hazar bhagdhari ho ja [nak se ki jane wali aawaz] isiliye kahin sukh nahi sukh hai to bhagwan bhagwan ke naam mein hai, bhagwan ke rup mein, bhagwan ke charnon mein aap sabhi Om prakash Garg ji madhya pradesh se Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam.

maharaj ji kya purn rup se mrityu ka bhay khatm ho jana, kisi chij ko pane ki ichchha arthat sansaar ki bhautik suvidhaon ki chah mit jana aur shri ji se milne ki vyakulta ka teevr gati se badhna yahi sharanagati ka uchchatam star hai kya? Maharaj ji sanshay nivitti kijiye. Jeev ke bandhan ki shrankhla hai deha abhiman jo apne swaroop ka vismaran hokar ham deh bhav mein sthit ho gaye hain. Stri ya purush ye abhiman jo jagrit ho chuka hai. Main ye hoon. Yahi jeev ki punarp jannam punarp maranam pun janani jathre shayanam isse bahut bada dosh ho gaya.

jeev chaitanya ghan sukh swaroop anand samudra hai. Swayam paramatma swaroop hai. Par wo sukh ki khoj karne ke liye shariron ki taraf badh gaya. Indriyon ki vilasita ki taraf badh gaya. Apne swaroop ko bhul gaya. Bhogeshwar prasakta naam tat chet vyavsayatmika buddhi samadh vidhte jo bhog aur aishwarya mein sukh kar liya jiska chitt aparhit ho gaya chahe sharir ka bhog ho chahe vastu ka bhog ho aur dhan vaibhav man pratishtha accha lagne laga mara gaya wo mara gaya maya ke pravah mein wo bah gaya aur ye pravah aisa ki bina guru kripa ke rukta nahi hai.

guru kripa hi kevalam jisne Gurudev ki sharan le li aur Gurudev ke dwara agyanas gyanjan salakya chakshur militam tasmai shri guruve namah jo agyaan ka nash karke gyan ka prakash kar dete hain tab hamara maya ka pravah rukta hai. To hamari chitt vritti bhogon mein aasakt ho gayi hai. Hamara gyan malin hokar ke is baat ka ho gaya ki main stri hoon, main purush hoon. Yahi hamari durgati ka karan hai. Mukhya mul karan jo hai na sanskriti mul su prad nana sakal shokda dayak abhimaan sanskriti ka mul aur samasth dukho ko dene wala ye dehabiman hai jo ham apne chaitanya ghan swaroop ko bhulkar panch bhautik deh mein apnapan itna kar liye ki main purush hoon main stri hoon.

yahi hamari durgati ka karan hai. Aur jab ham Gurudev ki sharan mein hote hain aur jab unke dwara naam upasna hamen prapt hoti hai to isi jadta ka nash hota hai. Jo aapne bola na yahi uske andar lakshan prakt hone lagte hain ki nahi khanpan te bhave hain. Nahi komal vasant suhave hain. Sab vishay lage te khara hai. Har ashik ka mag nyara hai. Na kan so bolbo na koi vihaar apni kunwar kishori ko jayat nihar nihar sharanagat ka lakshan kisi bhogon mein sukh na milna bhagwan ke naam rup leela gun dham mein chitt ka raman karna kisi bhi tarah kisi bhi dwaand se parajit na hona sukh dukh man apman labh hani to ye sharanagati uski pakki wo bhagwat prapt ho jaega aur jo naam jap nahi karta bhagwan ki leela katha mein anurag nahi rakhta shravan kathan mein wo chahe jo sadhna kar le de abhiman pusht hota hi rahega to kya ho raha hai ismen ahankaar pusht ho raha hai aur hamara aavagaman chakra rukegaa ahankaar rahit hone par to chahe sat kriya ka ahankaar ho chahe asat kriya ka ahankaar ho ahankaar to bana hi hua hai to ahankaar ka nasht ho jana hi sharanagati ka lakshan hai.

ahankaar Gurudev ki kripa se nasht hota hai. Jo Gurudev ne upasna di usse ahankaar galit ho jaata hai. Phir dikhayee deta hai guru kripa se sadhna chal rahi. Guru kripa se bhajan ho raha hai. Guru kripa se hamari adhyatma unnati ho rahi. Wo kahin ahankaar ka usmen unmesh nahi hota ki maine ye kiya. Nahi guru kripa se aisa hua. To guru kripa ka jisko aashray mil gaya hai Priya pritam ki sharanagati ho gayi hai usmen lakshan hote hain. Kya bola tha lakshan mahara ji ye kah rahe hain ki ye maharaj ji vyakulta shri ji se milne ki teevr ichchha sansaar ki bhautik suvidhaon ki chav mit jana purn rup se mrityu ka bhay khatm ho jaata hai.

haan bilkul bahut sundar bahut shodh karke vakya likhe aap main prithvi ka sabse papi aadmi hoon. Mera kya hoga Baba nahi ismen ab apne purv ko nahi sochte apne agrim ko sochte hain. Ham Priya pritam nahi ismen yah sochna hai ab ham Priya pritam ki sharan mein hain. Ab lo nashani ab nash ho ab tak jo hua wo bhagwan ki maya ke prabhav se hamse galtiya ho gayi. Ab ham bhagwan ki sharan mein hai. Ab ham khub naam jap karen. Naam jap karte ho? Khub naam jap karo. Haan khub naam jap karo. Naam jap se hi parmanand ki anubhuti

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi