॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1402

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Mahesh kumar chaube ji Radhe-Radhe prabhu Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji aapki agyaa se mere paas koi rasta nahi bacha bhagwan ki sharanagati aur ashrit hone ke liye hamne lagbhag sare bhog bhog liye hain aur thak bhi gaya hoon. Ab pichle naam jap hi nirantar pryasrat hoon. Maharaj ji sharanagat aur ashrit hone ka matlab kya hai aur mujhe ab kya karna chahiye? Aap kah rahe hain ki aap eyarphorsa mein hain. Yah to bahut badi baat hai ki koi bhog bhog kar thak gaya ho. Nahi to trishna papini aisi hai. Thodi der lagta hai ki ab nahi chahiye.

lekin phir chahiye. Phir chahiye aisa bar-bar lekin sthai na chahiye. Ab yah baat aap dekh lijiye. Aisa hai aisa hai prabhu bar-bar wahi vichar to bhog bhogne ki ichchha phir chintan phir bhog bhogne ki kriya phir uske baad bhog bhogne ke baad chalan haan bilkul bilkul theek baat hai to isse ab bachna chahte hain sir haan to bhagwan ki sharanagati andar se bhagwan ko pukaro ki he nath he karunamay ab main apne jeevan ka bhaar aapke charnon mein samarpit karta hoon aur teen kam karo bhagwan ka charanamrit bhagwan ka namamrit bhagwan ka leelamrit teen ka pan karo theek ho jaoge bhagwan ka naam jap karo to namamrit ho gaya aur

jab aap mahine do mahine mein samay mile to bihari ji Radha vallabh ji inka charanamrit le lo aur ek sheeshi mein rakh lo aur usmen pani milate raho to salo charanamrit wo chalega roz ek dhakkan charanamrit lo bhagwan ka charanamrit bhagwan ka namamrit aur leelamrit bhagwan ke charit suno sant mahapurush gate rahte hain to satsang suno bhagwan ke charitra ka swayam gayan karo jaise Shrimad bhagwat hai to dasham skand bhagwan ke leela charit se bhara para hai jaise Ramcharitmanas hai bhagwan shri Ram ka pavan charit hai aur bhagwat mein dason avatar ke charit to bhagwan ke charitra ka jo gayan hai wah hamare hriday ko bahut jaldi pavitra karta hai.

to swayam bhagwat ek do adhyay padho, roz charanamrit piyo aur roz naam jap karo aur har samay yah chintan rakhen ki ab maine Vrindavan mein baithkar sant ke samne apne aap ko bhagwan ke hawale kar diya. Ab mera jeevan bhagwan ki sharan mein hai. Yahi se sharanagat prarambh hoti hai. Jab hanuman ji mile to vibhishan ji ko bharosa ho gaya ki main bhagwan ki sharan mein hoon. Ab moh bha bharosh hanumanta he hanuman ab mujhe bharosa ho gaya. Kyonki agar aap mile to iska matlab bhagwan ki ham par kripa hai. Binu hari kripa mile nahi santa.

yadi bhagwan ki kripa na hui hoti to aap jaise mahapurush na milte. To sharanagati sant milan se hoti hai. To aaj se aap apne ko bhagwan ki sharan mein mano aur khub naam jap karo. Bhagwan ka charit suno. Bhagwan ka charanamrit piyo. Theek hai? Koi galat aacharan ab mat karna. Kyonki bhagwan ke bhakt ke dwara bhagwan ke virudh aacharan nahi hota. Agar virudh aacharan karoge to hamari baat ka rang hi nahi chadega aapke upar. Aur baat ka rang chadh gaya to phir uska rang nahi chadega. Matlab keval dhokha hai. Keval dhokha. Ek man ka jal hai jo hamen chintan mein phansata hai aur kahta hai ismen sukh hai.

aur jab ham bhogte hain to jaisa chintan mein sukh mila tha vaisa mila nahi. Phir lagta hai ab is prakriya se bhogenge. Ab is sharir ko bhogenge. Ab is vastu ko bhogenge. Aise bhram mein pura jeevan nasht ho jaata hai aur kabhi hamen bhoga anand se jo hamen anand chahiye wah nahi mil pata. Wo bhagwan mein hi anand milega. Par man jo hai wah chintan ke dwara hamko girata hai. Kriya mein utna sukh nahi hai. Chintan mein sukh hai. Jab ham kisi galat kriya ka chintan karte hain to avesh aata hai. Ab aisa karenge. To ab jab usko bhogte hain to wah avesh milta nahi.

wo sukh milta nahi. Kyonki man ko sukh chahiye aur man ko sacchidanand sukh chahiye. Man ko nitya nirantar sukh chahiye aur wo bhogon mein hai nahi. To isliye anek janm vyatit ho gaye bhogte bhogte lekin aaj tak kabhi hamen tripti nahi hui. Hamara rupaye ke prati jo lagav hai usse vishay milte hain isliye lagav hai. Vishyon ke prati jo lagav hai mujhe sukh milta hai isliye lagav hai. Aur jo sukh ke prati lagav hai wo ham bhagwan ke ansh hain. Isliye ishwar ansh jeev avinashi chetan amal sahaj sukh rashi par galat jagah sukh dhund rahe hain.

sukh bhagwan mein bhram sansaar mein to ab aaj se sudhar shuru kar do. Theek hai? Prem prakash pande ji jharkhand se Radha vallabh shri Harivansh Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapki kripa se lagbhag niyamit satsang aur ekantik vartalaap shravan kar raha hoon. Man ke samadhan aapki kripa se ho chuke hain. Maharaj ji ek jignyasa hai pujya ashtavakta ji raja Janak ji ko jab man ka samadhan ho gaya to jignyasa kaisi rahi? Chitt ka samadhan hone ke baad koi jignyasa nahi rahti. Abhi samadhan nahi hua hai.

samadhan ka matlab hota hai lakshya mein sthit ho jana. Chitt ka paramatma tatv mein sthit ho jana samadhan hota hai. Wo shayad shabd ka prayog kar rahe ho lekin uska arth nahi jante ho. Isliye ab jignyasa kijiye kya kahna chahte hain? Pujya ashtavakta ji raja Janak ji ko ashtavakta gita mein kahte hain ki atma atma sthit hai. Gunon se lipta hua sharir uthta hai, baithta hai, khata hai, jagta hai, sota hai. Mujh atma mein koi kriya nahi hoti. To phir kahan janm, kahan maran, kaisa swarg, kaisa nark ye sab to deh bhav mein hai.

meri jignyasa hai ki sthul, sukshm aur karan sharir, yatna deh, deh, devah deh kya hota hai aur man, kra pran, jeevan aur maran se kaise sambandhi hai? Dekho jab ham swapna mein hote hain to yah gyan nahi hota ki ek sthul sharir para hai saya pe aur swapna mein pura vilas hota hai. Dukhad ya sukhad anukul ya pratikul koi na vastu hoti hai na koi vyakti hota hai. Wahan ek man keval jagrit rah gaya. Sushupti mein nahi gaya to swapna ki rachna kar di. Je hi jane jag jaege jatha swapan bhram jae jis tatv ke jaan lene par yah sansaar kho jaata hai aise jaise jagne par swapna pura jhutha dikhayee deta hai ek bar Janak ji ne swapna mein dekha ki wo bahut garib ho gaye hain aur wo bhiksha manga bhookh se vyakul hokar ek hadi mein kuch daal chaval pakaya khichdi itne mein do saan pran ladte hue aae wo khichdi fail gayi.

bade bhookh se vyakul aankh khuli to maharaja dheeraj ki saiya to unhone kaha yah satya ki wo satya sabha mein jakar bade-bade vidvannon se bas yahi puchte yah satya ki wo satya ab yah wo ka kuch thoda sa ishara karen to samjh mein ave bade-bade vidvan chup ho jaate hain to unhen nazar band kar dete hain. Aap jaoge nahi jab tak uttar nahi milega khao piyo mauj masti se raho. To ek din bachchon ke saath ashtavakra ji khel rahe the. Bade vidvan the. Garb se hi vidvan the. Kahod naam ke rishi inke pita the.

to ved path kar rahe the. To ashtavakra ji maa ke garb se bole ashudh bol rahe ho. To unhone patni se kaha kaun hai jo mujhe tok raha hai. Bole aapka putr garb mein bole bada tedha hai. Bade naraz hue kaha ashtavakra ho ja. To garb waise aath jagah se tedhe to bade vidvan the. Vakshapalta bhi thi. To bachchon se jab kahte unhone kaha itne bade vidvan ho to raja Janak ji ke kaid mein nazar band hai. Tumhare pita chhuda lo na. Mata se kaha aaj tak to aap kahti thi pita pardesh gaye hain. Aaj mujhe pata chala ki najarband hai aur sidhe Janak ji ke darbar mein gaye to jo dekhe wo hans de ashtavakta bole Janak maine to suna tha tumhari sabha gyanyon ki sabha hai lekin yahan to sab chamda mans aur haddi dekhne walon ki sabha hai.

unka kaha aise kaise upvas kar sakte ho aap hamari sabha ka? Brahm rishi ke balak hokar to unhone kaha kya dekhkar sabha hans rahi hai? Hamari atma ko dekha kya? Sharir dekha, mans dekha, tvacha dekhi, haddi dekhi, tedhi isiliye to hansi ai. Sab chup. Bol tera prashn kya hai? Unhone kaha yah satya ke ki wo satya. Bole na yah satya na wo satya. Jo kuch hi kshanon mein asatya ho jaata hai. Swapna mein jaate ho to jagrit asatya ho jaata hai. Jagrit mein ate ho to swapna asatya ho jaata hai. Yah donon asatya hain.

ashtavak ji guru hue kaha ghode ki prakap mein pair rakh ke keval baithe matra se main brahm bodh kara dunga utne samay mein. Aise mahapurush tayyar bhumi to shishya tayyar Janak ji to guru data tayyar bodh karane wale abhi to apne fanse hain deh mein baat brahm gyan ki karenge lekin poshan deh aur indriyon ka hoga man ki gulami hogi sachchai se yadi guru sharan hua jae aur gurujanon ki kripa ho jae to phir hamare mein jo naam mantr updesh guru ji ne diya wo sphurrit ho aur hamare antahkaran ka marjan ho to jaise pavitra aur nirmal jal mein niche ki tah ki baat dikhayee deti hai.

aise nirmal aur sam antahkaran mein wo pratibimb atma ka jo parta hai sabkar param prakashak joi usi ke sahare wo wapas lautta hai. Man buddhi antahkaran atma swaroop ka chintan nahi kar sakte. Inko chintan rahit karne ke baad jo swaroop bachta hai wo atma hai na uska kabhi janm hai na uska kabhi maran hai par jaise swapna mein kuch na hone par bhi jo sapne sir kate koi bin jage dukh dur na hoi aise hi jad chetan granthi par gayi yadyapi mrish chutati kathinai aisa ye bandhan hai jo keval guru pratap se chhutta hai kyonki sadhan karoge to ahankaar aur pusht hoga aur guru kripa namatma pravchne labhan medh bahuten to guru kripa se ahankaar ka saman ho deha abhiman ka aur unki kripa se hi andar wo bodh rup paramatma swayam spurit hota hai.

atma chintan apne aap mein apne aap ka chintan hai. Antahkaran ke dwara chintit prakriti hoti hai. Antahkaran ke dwara achint tatv hai. Atma tatv uska na kabhi janm hai na maran hai. Par janm maran na hote hue bhi jab tak dehabhas hai dehabiman hai jivtv hai tab tak usko barbas punarpi jannam punarp maranam punarpi janani jathre shayanam usko bhogna padega. Ab isi ke shubh karm ke anya lok hain. Ashubh karm ke anya lok hain. Shubh karm ka dev deh hai. Ashubh karm ka jo hai yatna deh hai. Ye sab keval mayakrit hai. Inki satta nahi hai.

na sthul ki na sukshm ki na karan ki na yatna ki na dev ki. Samjh pa rahe ho aap? Haan. Ye sab keval kalpnatmak hai. Mayatmak hai. Jaisi jaisi ham soch karte jaate hain vaisa vaisa. Ek soch kar raha hai Ram mein to puri srishti Ram mein dikhayee de rahi. Ek soch kar raha hai kam mein to puri srishti kam mein ek soch kar raha hai Shyam mein to puri srishti Shyam mein ek brahm mein to brahm mein hai kya jaisi drishti waisi hamari srishti hai aur drishti khatm ho jae to srishti hai hi nahi keval brahm sarvam bhi nahi sarvam to samjhane ke liye hai sarvam khalmidam brahm samjhane ke liye keval brahm sarvam bhi mayamay hai to gurujanon ka aashray le upasna marg mein chale to upasna se hi vasna mitti hai aur nirwasnik hriday mein hi tatv gyanit hota hai.

nahi pehle khub naam jap karo achhche aacharan karo gurujanon ki sharan mein raho samaj ki seva karo to tumhara antahkaran pavitra ho pavitra antahkaran se hi chala ja sakta hai. Aap grihasth ho isliye aapko aisa kah rahe hain. Agar virakta ho to phir uske liye dusra marg hai. Kathor jitendrita tatiksha lok parlok ke bhogon se vairagya indriyon ka saman man ka daman tab jakar ke chitt ka samadhan ghor mumukshta mujhe bas mukt hona hai. Tab brahm bodh brahm bodh aise halwa chatli thodi gyan ke panth krpan ke dhara parat khag lage bara jo nirvigghn panth nirbhai so kaivalya param pad lai so wahi param pad hamara swaroop hai koi aur nahi hai jeevan muktata hamare andar hai bas masa chutati kathin bahut kathin yahi guru kripa se chhutta hai isiliye chahe shiv viranch sam ho guru bin bhav nidhi pehle na koi guru kripa prasad se hi is maya par vijay prapt ki ja sakti hai.

samjh pa rahe ho bhai? Kaushal Vashisht ji ghaziabad se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji prabhu ne is sansaar mein nadi, pahar, jharne, samudra jaise sundar aur prakritik chijon ki rachna ki hai. Jinhe dekhkar hamen khushi milti hai aur dekhne ki lalsa bhi badh jati hai. Maharaj ji ham desh-videsh bhi is anubhav ko pane ke liye jaate hain. To kya adhyatma ki drishti se vishay bhogon ki antargat mana jaega? Jaise kahin pahar dekhne ja rahe hain, kahin samudra dekhne ja rahe hain. Haan, ankhon ka charana hai.

koi adhyatma thodi hai. Ye ankhon ka indriyon ka charana hai. Indriyan hai unki. Aaj is hotel ka check karke dekhte hain. Bhojan aaj us prant mein jakar ankhon ko charate hain. Ye ankhon ka charana hai. Ab usi mein bhavna kar lo. Ab is pahar mein dekha. Pahar mein bhavna kar liya ki Padmasan lagae. Bhagwan shankar tap kar rahe hain. Are ismen to bhagwan virajman hai. Ab wahi hamari bhakti ban gayi. To ham bhagwan to dekhne jaate nahi. Ham to prakriti ka sundar drishya dekhne jaate hain. To wo netron ko charana hua.

netron ka poshan hua na ki bhakti hui. Bhavna kar le. Jharna gir raha hai. Badi sundar latae hain. Ab ham log jaise koi bhi drishya dekha turant use bhavna mein le aae. Char ped sundar harebhre hain. Jhuke hue prithvi ko chu rahe hain. Ab wahi apne Priya pritam ki bhavna kar li. Hamare shyama Shyam yahan aise galbaiya dekh ke aise ghumte hue is ped ke niche aise baithenge. Aise baat karenge. Ab ham apni bhavna mein ghum rahe hain. Drishya bahari hai aur antarik chintan chal raha hai. Aur yahan antarik aur bahya donon mayakrit hai.

jo bhagwan ne sundar sundar lata jharna pahar drishya banae hain. To ye hamare netron ko sukh milta hai. Lekin adhyatmik sukh nahi prakritik sukh milta hai. Aur prakritik sukh nashvan hai. Nahi nashvan hai. Kabhi bhukamp aaya to sab dhah gaye prant ke prant. Kabhi jal ka pralya aaya man lo jaise samudra ki utal trange to prant ka prant dubo diya to yah prakritik tikau nahi hai sacchidanand nahi hai ye parivartnshil hai to ye netron ko charana hua koi adhyatma ya bhakti nahi hai adhyatma bhakti to bhav ke dwara drishya dekhne par hoti hai ab jaise aap pahar dekhne gaye lekin badri narayan Chitrakoot abhi ankhon ka charana nahi hai ab bhakti jud gayi ki yahan bhagwan shri Ram Chitrakoot mein yahan ye leela ki.

yahan bhagwan ne ye mandakini Anusuya ji ke tap se prakt hui. Is parvat par bhagwan ne ab bhagwan jud gaye na to videshon mein jana to ankhen charana hai lekin jaise Himalay ki yatra hai gangotri aadi sthano mein jana hai Chitrakoot aadi jo bhi brajdham jahan jo bhi bhagwan se sambandhi sthano ka darshan karna ye param purnima hai. Tirth yatra kahi jati hai. Nahi kahi jati. Videsh ko tirth yatra to aap nahi kah sakte. Kyon? Tirth yatra to jahan bhagwan ki leela hain, bhagwan ke pavan charit hain, wahi to kah sakte hain aap.

to isliye agar hamen aankh charani hai to bahut badhiya apne desh mein hai. Pahar dekhne hain to aap dekho Chitrakoot mein hariyali dekhni hai to dekho kitni sundar mandakini ji bah rahi aur lakho aur Himalay to phir Himalay hi hai. Wahan to sundarata ki kahani hai. Ek se ek him ke pahar bhi hain. Ek se ek latae vriksh jharna gangotri yamunotri nadiyan param pavan. To apna desh jo hai iski samanta koi nahi kar sakta. Jahan ki nadiyan bhi bhagwan ki prapti karane ki samarth rakhti hai. Ganga ji ka sevan, yamuna ji ka sevan ye sab bhagwan ki prapti karane wala hai.

jahan ki bhumi bhi bhagwan ki prapti karane ki samarth man lo Ayodhya bhumi, Vrindavan bhumi, Brajbhumi kitne aise mahan kshetra hai kashi hai ki keval bhumi mein pare raho to bhagwan ki prapti ho jaegi. Rakesh kumar Gupta ji bharatpur se Radha vallabh shri Harivansh shri Harivansh Gurudev Gurudev jab se naam jap aur adhyatma marg par chalna shuru kiya hai man mein indriyon ne apna shasan utna hi majbut kiya hai. Indriyan bure karya ki taraf akarshit hote hain. Naam jap aur indriyon ki ichchha in donon ke beech man uljha rahta hai.

kahin main har na jaun. Is yuddh mein kaise jita jae maharaj ji? Lakshya jab tak nahi banta tab tak yah samasya bani rahti hai. Jaise aapka lakshya ban jae ek arab rupya to ham ₹1 aapko den to jalan lagegi. Samjh rahe hain na? Agar lakshya ban jae ki mujhe prabhu ki prapti karni hai. To kisi bhi bhog ki taraf man jae ham thodi jaenge. Man ja sakta hai. Ham nahi ja sakte. Ham na jae to man kuch bigad nahi sakta hai. Wo shant ho jaega. Iski ichhao ki purti karte rahoge to ye bhari trishna ka bojha lad karke phir narak jana padega.

phir janm maran hoga. Hamko ek bar na karna hai. Isse ek bar na karna hai. Achhche se na karna hai. Aap socho man kahta hai sharab piye. Aapne dridta purvak niyam le liya nahi piyenge. Kuch din baad jana hi band kar deta hai. Samjhiye. Phir kabhi drishya aisa dekha to phir man ja sakta hai. Par ham jab na kah diye to man usmen raji ho jaata hai. Dhire-dhire to yam hi na vyathte pursham purush sam dukha sukha dheeram swamritatwa kalpte jo man aur indriyon ke dwara vishay akarshan se di hui vritha ko andar jo klesh hota hai usko sah leta hai lekin galat nahi jaata wo bhagwan ko prapt hota hai wo amrit pad ko prapt hota hai to apna lakshya dridh rakhiye aap kaise phesal sakte hain hamara jab lakshya hi nahi hai to ham phesal kaise sakte hain maharaj ji kashamkash rahti andar se aisa lagta hai ki matlab nahi jit pa rahe hain, nahi jit pa rahe hain.

phir naam jap rokta hai. Naam jap accha to hara bhi kya de raha hai aap hamen yah batao. Aise badi koi bhi bhul nahi ho pa rahi hai. Lekin chhoti-chhoti bhul ho rahi hai aur wo bhi aap chinta na karo. Aap chinta na karo. Ye trange hain. Man ki tarang man le. Bas ho gaya bhajan. Isko marna hai. Bas shant raho. Kuch nahi bigdega tumhara. Shant raho. Tum giroge bhi to god mein. Bhagwan ki sharan mein ho. Unka naam jap karte ho koi chuk bhi ho jae to bhagwan udhar dekhte bhi nahi rahat na prabhu chit chuk kiye ki karat surat se barie ki to aap grahasti mein ho byah ho gaya hai agar kam ki vedna aati hai aur aap apni patni ka sanyog karte hain to paap nahi karte hain lekin parai mata bahan ki taraf gandi drishti se bhi dekhna paap ho jaega to aapko bhagwan ne jitne ke liye ek suvida de di sant mahatmaon ki socho unko to pure jeevan yuddh karna hota hai.

agar 50 varsh lade aur panch second phayl ho gaye to 50 varsh mein pani phir gaya koi maaf nahi karega. Koi nahi maaf karega ki ye sadhak 50 varsh se lad raha hai. 5 minute mein chuk ho gayi. Koi baat nahi. Utho chalo. Ye to gurjan bol sakte hain. Sansaar nahi bol sansaar to bas usko usi din se usi drishti se dekhega. Yah bahut badi chadhai ka marg hai aur aapko badi suvida hai. Aapko bhookh lagi to bhojan mil jaega. Aapko jo vedna lag rahi dharm yukt purti ka aapke paas upay hai. Jara kabhi-kabhi unke liye bhi soch liya karo.

jaise puri zindagi diye hue sant mahatma hai. Ki inki soch mein bhi kuch nahi ana. Soch mein bhi kriya to bahut dur ki baat hai. Jahan soch mein aaya to phir kya rah gaya? Dhato vishay pusa agar vishyon ka dhyan ho raha hai to sangte supte sanghat sanjayte kamat krodh vijayate kradha samrati bhrasa Buddha nas Buddha na prasti aap to bade suvida mein ho kile ke andar se yuddh kar rahe ho naam jap karo daro mat karo sada din ke rakhwari jim balak rakhe mhatri hamare bhagwan ke vachan hai bas sahna hoga sahat sahat ba bhagat ga tan guru hitgar andar jo aakraman ho rahe hain unko sah jao to mahatma aur tut gaye to phir bikhar jaoge phir bhagwat marg se alag ho jao lagbhag 18 19 varsh ki ayu sharir ki hogi to brahmavarta bithur mein ganga kinare bhramn kar rahe the to hamne kai bar sunaya hai ek sharabi ne hamko bulaya nazdik gaye to dekha sharab piye hue durgandh aa kya kahna chahta hai?

bola ae hamare piche aao. To ham kautik swabhav ke ki akhirkar kya karega ye? Dekhte hain wo piche le gaya aur vaikunth dham mein le gaya aur bhagwan shri hari ki chavi ko aise. Bole dekhte hain is murti ko. Ham kaha haan bole niche kya hai? Kaha sangmarmar ye murti kiski hai? Ham kaha sangmarmar ki. Bole samjha kuch? Ham kaha nahi bole is murti ko til til kata gaya tuti nahi to bhagwan ban ke puj rahi aur ye tuta to pairo ke niche raunda ja raha hai sangmarmar wahi hai aur sangmarmar wahi hai he tu Baba ji bana tutna nahi to hamne usko usi samay panchang pranam kiya tha ki bhagwan mujhe is rup mein sharabi ka abhile karke aur hamen jab kabhi aisi samasya mansik shareerik hui to uske shabd gunjne lagte tutna nahi tutna nahi jo tuta wo bikhar gaya rauda jaega jo tut jaega bas to kahin se bhi shabd mile na wo bhagwan ke hi shabd hote hain bahut jagah bhagwan vivid updesh dete hain ek bar ham parikrama kar rahe the to Vrindavan mein wo matlab tatiya sthan ke idhar aise akhada hai va samne peepal ka vriksh hai to theek peepal ke vriksh ke upar laghushank kar raha tha to pehle to mujhe laga argh de raha hai kyonki aisi soch hi nahi thi ki koi laghu shanka kar sakta hai.

aur jab nazdik gaye parikrama karte hue to dekha ki laghu shanka Vasudev bhagwan ka swaroop peepal ka vriksh hai. Laghu shanka karta hai. He bade gyani bante ho. Ismen Vasudev dikhayee de raha. Mere mein Vasudev nahi dikhayee. Galti ho gayi. Ab kaha galti ho gayi. Galti ho gayi. Turant pranam kiya aur kaha bhagwan dhanya hai. Aap aap hi sacha gyan dene wale ho. Tumhen ek vriksh pe Vasudev dikhayee de raha. Mujh mein Vasudev nahi dikhayee de raha. Ab pranam kiya. Kaha prabhu galti ho gayi. Jagah-jagah bhagwan updesh dete hain.

apne ko bahut savdhaan rahna hai. Sahna hai aur bhajan badhana hai. Harna nahi hai. Harna nahi. Ek jeevan mein swabhav bana lo. Har ke bhi nahi harna hai. Agar 100 bar harenge to 101 bar chadhenge ham. Ham rukenege nahi. Ham bhagwan ki prapti karenge is janm mein. Isliye dhairyvan bano. Yah aakraman to honge. Agar vijay shri ke liye chale ho yuddh mein to aakraman to honge. Kam ke, krodh ke, lobh ke, moh ke, mad ke, matsar ke chatur sujan wahi hai jo sakshi bhav se sah jae. Uske anusaar kriya na karen.

agar ho bhi jae to phir savdhaan ho. Phir chalo. Ye bahut bada majbut hriday wale ka marg hai. Kayron ka marg nahi. Bhagwan ka marg. Kayron ka nahi kam banane ke liye pehle kam ka nash karna hoga. Aise nahi hota. Koi bhi karya aise nahi banta. Pehle kamna ka mardan kiya jaata hai. 10,000 varsh dahine pair ke anguthe keval khade hokar aise patni prapt karne ke liye kardam ji ne tapasya ki thi. Tab unko bhagwan le akar ke dehuti ji ke to ham log kamna karte kya tapasya karte hain? Kya bhajan karte hain?

kya bhagwan ke liye arpit karte hain? Log samjhte hain keval mandir gaye ho bhagwan se kah diya to hamara kam pura ho jaega aise to dhairya purvak raho age khud aap dekhna matlab aap to aae aur aapko uttar mil gaya ham log to aise bhtak rahe the ganga kinare ki kaise dhire dhire dhire dhire dhire dhire jab har gaye hriday se aur prabhu ka aashray liya to jit gaye jab tak ahankaar sadhna ka tha tab tak kuch nahi bana aur jab rona shuru hua to phir sab baat badal jati hai unke charnarvind ke bal se bin roye kin pya prem piyara mit to sahi pocho to ek kam badhiya ho raha hai aapka ahankaar nasht ho raha hai ki main kisi yogya nahi hoon ye kam krodh ko bhi ham dhanyavaad dete hain ki inhone hamen bhagwan tak pahunchane mein bahut sahyog kiya kyonki jab ye akar taal thokte hain to ham ghutne ke bal ho jaate to apne aap pata chala ham kuch nahi hai to aise hi jaise koi bhayavat chij ave to bhag ke apna jo rakshak usi ki taraf jaenge na to inhone sharanagati hamari pusht kar di.

kam krodha aadi ne hamari sharanagati pusht kar di. Agar ham aise dekhe to samne udhar wo khade to hamen kidhar dekhna padega? Prabhu ki taraf hi dekhna padega. To bhage prabhu ki taraf ki prabhu bachao to hamen prabhu ki taraf bhagane wale yahi to hue na to ham inko bhi pranam karte hain ki yah bhi hamari sharanagati mein bada bhari sahyog kiye. Ye hamne aisa anubhav kiya ki ye log hamare ahankaar ka nash karke bhagwan ki taraf daudate hain. Yahan khada mat rah daud kyonki aag hai ye to sheetalata to bhagwan ke charnon mein to udhar bhaga ane ka kam ye kiye to isliye bahut dhairya purvak chalo ab jo bhi ho raha hai mangal hi hoga.

amangal nahi ho sakta. Bilkul aap anand purvak rahie. Khub naam jap kijiye. Thoda sahnseel baniye. Sahnseel aashay udaar dhiraj sahit viveke ye sahat sahit baadh bhagat grih tan gur hitgar jo sahan kar gaya bahut age badh gaya chup shant aise koi tumhare upar thodi hai aap jab vyakt karoge tabhi hai aap jab anumati doge man ko tabhi wo kuch kar payega nahi kuch nahi kar payega wo keval jalata rahta hai wo param dhan swabhav ki indriyan param dhan swabhav ka man hai sadhak ko jalata rahta sadhak sochta hai ye kahe ko jalan jale bhog bhog le aur bhagwan kahte tyaga shantam bhog bhogon ka tyag karne par shanti prapt hoti hai

aur galat salah buddhi de deti hai ki bhog le yar do minute mein shanti prapt ho jaegi bas wo to kriya ho gayi lekin uska jo sanskar bana wo jeevan bhar tumhen kaata rahega bhagwan se vilakh karta rahega isliye bahut savdhaan rahna chahiye Rahul sethi ji rajpura punjab se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ek bar aapne kisi ko kaha tha ekantik mein ki ye deh 35 sal ka ho gaya hai kabhi apne se mile ho apne aap se kaise mila jaata aata hai maharaj ji yahi sadhna jab guru ke charnon ka aashray le lete hain aur unke guru mukh se naam milta hai aur sadhna milti hai jab us par lagte hain to hamari buddhi pavitra hoti hai.

ab yah apvitra buddhi hai. Jis buddhi mein sansaar satya nazar ave, bhogon mein sukh nazar ave, man sammaan accha lage, parivaar priy lage, wah apvitra buddhi hai. Aur jis buddhi mein keval vah guru priy lage, paramatma priy lage aur sab bekar lage wah buddhi pavitra buddhi hai. Keval paramatma priy lage apna sharir bhi priy na lage. Dekho mahapurushon ke sharir ko kitna kasht diya gaya. Apaar kasht jo ham soch ke tharra jaate hain aur wo kah rahe tera kiya. Yah hai waheguru ki priti. Yah hai pavitra buddhi jo paramatma mein lagi hui.

wahguru ke siva aah nahi nikla. Tera kiya mitha lage matlab tera kiya sah sakta hoon. Yah baat to kahin tak samjh mein aati hai ki bhai malik ho sahab ho. Ab jaisa nirnay kar rahe ho to das ko sahna padega. Sahna padega aur tera kiya mitha lage. Ismen jamin asman ka antar hai. Sahna padega. Ab kya karen? Aur usmen tera kiya mitha lage. Tera kiya mitha lage. Vah vah guru jaise aap kar rahe ho mujhe bahut accha laga. Yah sharir rahit mahapurushon ne keval pravachan nahi diya karke dikha diya. Apni gardan udwa di.

samarth itni ki sab kuch kar sakte hain. Lekin chup hokar sah gaye. Bole nihal sat shri akaal. Jab ham sharir ko priy mankar aur bhogon ka chintan karte hain to hamari buddhi apvitra ho jati hai. Aur jab ham paramatma ko priy man ke sansaar mein bartaav karte hain to hamari buddhi pavitra ho jati hai. Pavitra buddhi apne swaroop ka anubhav kar sakti hai. Apvitra buddhi deh ka darshan kara sakti hai. Apvitra buddhi mein main purush hoon. Main stri hoon aur apvitra buddhi mein main bhogta hoon. Main karta hoon.

apvitra buddhi mein main karunga, main bhogung. Yah sab mayakrit hai. Pavitra buddhi mein jo karaoge wah hoga. Jaise rakhoge waise rehunnga. Aapke siva mera koi nahi. Jab andar se rahta hai ki aapke siva koi nahi. Tab ham yah jaan pate hain ki hamara swaroop kya hai. Aur swaroop mein jo sthit hota hai wahi deh ki dhajhiyan ud jane par bhi aa nahi bol sakta. Aur jo swaroop mein sthit nahi to jara se kaat to raha nikal jaega. Nahi matlab gazab ki nishtha gazab ki nishtha tapte hue tave par baithaal diya gaya.

upar se jalti hui balu dali ja rahi hai aur vivid prakaar ke klesh diye ja rahe hain lekin aah nahi hai. Wahi chehre par muskurahat wahi waheguru ka naam dusri koi to yah hai sharir sthiti se upar uthe hue swaroop mein pahunche mahapurush ko to hamen chahiye kisi samarth guru ka pehle aashray le kyonki yah apne man se nahi hota hai. Yah Gurumuakh se hota hai. Samarth guru ka aashray le. Unke charnon mein apna jeevan samarpit karen aur unki agyaa ke anusaar sadhna karen. To sadhna karte karte jab buddhi pavitra hoti hai sansaar aur sansaar ke bhogon ka tyag ho jaata hai tab apne swaroop ka gyan hota hai.

wo bhi bhagwan ki kripa samjho. Jaan soi jane je dehu janai aur janat tumhen tumhen ho jae. Jise sadguru jana de wahi jaan sakta hai aur jo jaan gaya wah sadguru mein ho gaya wah guru mein ho gaya ab wo jeev nahi raha wo paramatma swaroop ho gaya janat tum ho jae jaise ved kahta hai brahm brahm bhavti jo brahm ko jaan leta hai wo brahmamay ho jaata hai wo brahm swaroop ho jaata hai to pehle ham khub bhajan karen guru ke charnon ka aashray tab ham jaan payenge apne ko nahi to shisha dekho to yahi lagta hai yahi main hoon nahi lagta hai.

swaroop ki taraf to nahi jaata. Yahi lagta hai yah main purush hoon. Yahi dhancha mera hai. Jabki yah mayakrit dhancha hai aur main paramatma swaroop hoon aur ye prakriti swaroop hai. Prakriti ko paramatma manna yahi maya hai. Prakriti ko parma isi ko to ham atma man rahe hain ki yahi main hoon. Nahi yah prakriti ka ek yantr hai aur main iska sanchan karne wala hoon. Aur jo main hai wahi paramatma swaroop hai. Us main ko jo main hai wah usi ko brahm kaha gaya hai ved mein usi ko wahguru kaha gaya hai usi ko paramatma kaha gaya usi ko bhagwan kaha gaya usi ko Krishna kaha gaya usi ko Radha kaha gaya hai jo naam lo wo waheguru hi hai dusra koi to hai nahi to jab tak ham bhajan nahi karenge tab tak keval baten seekh kar suna sakte hain ya sunkar suna sakte hain lekin anubhav nahi hoga anubhav ke liye hamen bhajan karna padega khub gurjan janon ke charnon ke ashrit hokar guru vani ke anusaar chalna padega.

tab ham wo baat samjh mein aayegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1403 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • ham kaun hain aur hamara lakshya kya hai? — vibhovar Mishra ji narwal se jai shri Ram are jai shri Radhe shri Radhe maharaj ji maharaj ji inke bahut sare prashn the inke kahna guru ji mrityu kya hai jeevan kya hai janm kya hai nind kya…
  • kya bhagwat prapti hone par bhagwan se bhi moh khatm ho jaata hai? — shashank Dube ji Noida se Radha vallabh shri haris maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji moh khatm ho jana hi agar bhagwat prapti hai to bhagwan ke prati jo moh hai agar wah bhi…
  • kisi ko koi baat samjhane par wo na samjhe to krodh aa jaata hai — shashank Varma ji mujaphpharangar se Radhe-Radhe shri Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji aisa kai bar hota hai ki kisi ko apni baat samjhate hue…
  • swarg mein wo kaun-sa sukh hai, jo dharti par bhi nahi hai? — paras kohli ji nai Delhi se Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji sukh aur dukh ek hi gaadi ke do pahie hain. Mera prashn yah hai ki wah kaun sa sukh swarg mein hai…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1401 — Vikram pande ji mirjapur se shri Harivansh maharaj ji Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji aapka satsang sunta hoon aur kripa ka anubhav hai maharaj ji…