aise bhajan kiya to nahi hoga punarjanma ! // 03/10/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
shri hariv bhagwan isi shlok mein bata rahe hain ki jo mere ko prapt ho jaata hai uska dobara janm nahi hota. Kaun bhagwan ko prapt hota hai? Kya bhagwan ki prapti ka swaroop hai? Ismen bataya gaya hai. Mampatya punarjanma dukhalai shashwatam manapnavti mahatum sansiddhim parmagta nanavti mahatum sansiddhim parmagatta jo mahatma jo mahatma hai bhagwan ne kaha mam pe punarjanma dukhalai mashashwatam is dukh mein parivartnshil nashvan sansaar mein uska punarjanma nahi hota kiska mahatma naam sansaddha parmamta jo mahatma hai mahatma kise kahte hain [gala saaf karne ki aawaz] bhagwan ne gita ji mein hi kaha hai vasudeva sarv sa mahatma sudurlabha jo sab mein apne bhagwan ko dekhta hai use mahatma kaha gaya hai mahatma mujhe prapt karke dukhalai dukho ke ghar nashvan ashasvatam parivartnshil is sansaar mein phir janm nahi lete hain.
mamupatya punarjanma mampatya ka tatparya hai bhagwan ka pragat darshan prapt karna. Jaise ham aapke darshan kar rahe hain. Ise mam upatya kahte hain. Bhagwan ka sakshatkar kar lena. Uska punarjanma nahi hoga. Aur bhagwan mein pravesht ho jana. Ekatva aham brah bhagwan ka darshan prapt karna sharanagati bhakt aur bhagwan mein pravesht ho jana aham brahmasam ekatva bhakti aur bhagwan ko tatv se jaan lena ki sarvatra bhagwan hi hai bhagwan ke siva kuch nahi hai. Ismen na darshan hai na aam brahmasam hai. Sab mein bhagwan hai to yahan bhi bhagwan hai.
sab mein bhagwan hai. Jaise goswami tulsidas ji kah rahe hain jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jaan bando sabke pad kamal sada jor jug pan sabko Siyaram ka swaroop dekha Siyaram mein sab jag jaan sab pura sansaar Siyaram to hriday mein bhi Siyaram netron mein Siyaram sab jagah Siya wo bhagwan ka prapt ho gaya ya jo bhagwat swaroop ka sakshatkar kar liya wah bhagwan ko prapt ho gaya ya jo bhagwan mein ekatva karke leen ho gaya aham brahmas mein teen ka janm nahi hota hai jo punarjanma hai teen ka nahi hota hai punarjanma mane koi bhi sharir dharan karna aisa nahi ki aap manushya sharir chhodenge to aapko manushya sharir milega.
koi bhi sharir mil sakta aapko koi sharir nahi milega. Yahan se lekar ke brahmlok tak mayamay gati hai. Yah sab dev sharir bhi nahi milega. Aap ya to bhagwan ka darshan karke bhagwat parsad swaroop hokar bhagwan ki seva mein ya bhagwan mein pravesht ho gaye. Sarvatra bhagwat darshan karne wale ko bhagwan swarup moksh pradan karte hain. Apne saman swaroop pradan kar dete hain. Punarjanma ka arth hai phir sharir dharan karna. Wah sharir chahe manushya ka ho, chahe pashu pakshi ka ya kisi bhi jeev ka, kisi bhi prani ka ho, har sharir [gala saaf karne ki aawaz] dukh hi pradan karke mrityu ko prapt hote hain.
kisi ka sharir ho, dukhalai ham to dukh hi bhogna parta hai. Bahut badhiya mitha khate raho sugar ho jaegi kabz ho jaegi esiditi banne lagegi hai blood pressure lo blood pressure dukh kha le ham ye sharir dukh kam ki pida krodh lobh moh mad matsar sab kya sukh hai is sharir mein bhagwan ka bhajan agar is sharir ko dharan karke koi sukhi hai to bhagwan ka bhajan karne wala man man lago yar phakeeri mein jo sukh dekha Ram bhajan mein wo sukh na hi ameeri mein man lago yar phakeeri mein agar bhagwan ke bhajan mein chitt duba hua hai to parmatmand mein duba hua wahi sukhi sharir hai ho sakta hai uske bhi sharir mein pida ho rog ho dard ho par wo sukhi hai wahi wahi sukhi hai jo bhagwan ka bhajan kar raha hai.
nahi to dukh hi dukh hai. Pure sansaar mein dukhalam shashwatam. Isliye bhagwan ne is sansaar ko dukho ka ghar kaha hai. Ismen dukh hi dukh hai. Marne ke baad ye prani apne karmu jis yoni mein janm leta hai wahan janm ke samay wo jer mein bandha. Phir paida hone mein kasht phir jis yoni mein janma us yoni ka prabhav ka kasht suar kutta gadha pashu pakshi kya kya jaisa manushya ko jinda chamdi utarte samay kasht hota hai vaisa janm ke samay kasht hota hai aur theek waise hi marne ke samay bhayanak kasht hota jaise jinda sharir ki chamdi utar di jae jinda sharir mein to kitna bhayanak kasht hoga.
aisa janm janmat marat dusa dukh hoe. Parantu maya ka aisa prabhav hai ki ham sab yah dukh bhog karke aae hain. Par smriti nahi hai. Maa ke garb mein rahe jer mein bandhe hue paida hue kitna kasht raha. Garb mein kitna kuch pata nahi kuch smriti nahi. Yahi maya smriti nasht kar deti hai aur bhakti smriti jagrit karti hai. Gyan smriti jagrit karta hai. Jab bhagwan ne gita sunai to nashto moha smriti abhi smriti aapko kasht ki ho jae garb ki to bhag padoge bhagwan ki taraf ki are ab janm nahi hona chahiye.
ab janm ab hamara akhri janm hona ab ham bhagwan ko prapt aisa kasht nahi sahenge is smriti nasht ho jane ke karan na usko anubhav hota hai na bata sakta hai ab aap maa ke garb mein rahe kya kasht hai anubhav na aap bata sakte ho kyonki asmarth hai batane mein pure jeevan mein aapko jo dukh sukh mila wo anubhutiyan samay se maya mita chali jati hai. Balak avastha jawani avastha budhapa avastha mrityu avastha ye punarp jannam punarp maranam punarp janani jathre shayanam ismen jeev maya ke partantra rahta hai. Koi bhi ho rone ke siva kuch hath nahi lagta hai.
agar bhajan nahi kiya to jeevan bhar rote rahoge. Marte samay bhi rona hi padega. Ye manushya sharir ki jo jawani avastha aati hai bahut gandi avastha aati hai. Jo gandagi batorti hai jawan sharir to gande aacharan ganda vihaar ganda aur yah bahut achchhi avastha aati hai jismen tap karke bhajan karke ham anek janmon ke karmon ka nash karke bhagwan ki prapti kar sakte hain. Jawani mein hi ho sakta hai. Agar jawani mein bhajan ka abhyaas nahi to budhape mein nahi hota hai. Par jawani mein stri ki taraf aa sakti ya stri sharir ko purush ki taraf aa sakti hai ya kam ki purti ki chah ye badhti chali jati hai.
apshabda sansaar ki pratikultaa apman ninda ye to yahan batti hi rahti hai sansaar mein manushya jitna kasht pata hai usse kai guna badhkar pashu pakshi ko kasht hota hai. Matlab aapko khansi ai to uski dawa le sakte lekin pashu pakshi wo to jo bhi rog hai usko to bhogna hi bhogna keval hai. Hath pair tut gaya to bhogna hi bhogna hai. Aur waise dekho to raaksasi manushya pashu ke saath kaisa vihaar karte hain. Jala ke, bhoon karke, khana, kaat karke khana, kya-kya? To manushya sharir mein jo dukh hai, usse kai guna badhkar ke dukh anya yoniyon mein hai.
anya yoniyon mein thandi, garmi, barsat, kanta lag gaya ya kuch jo bhi jangli janvar bade janvar chhote janvar ko kha jaate hain. Chhote janavron ke bachchon ko kha jaate hain. Ab wah bachchhe bhi to ham hi to bante hain jakar ke. Dukh hi dukh hai. Is prakaar manushya yoni se lekar sabhi yoniyon mein keval dukh hai. Keval dukh sukh nahi hai. Yahan to yah charcha hui. Iske baad marne ke baad bhajan se vimurkh hone ke karan narak ki gati milti hai. Chahe jitna aap theek se chalte rahe ho yadi bhajan nahi kiye jo na tare bhavsagar as samaj nar paye suti nindak mandamti atman gati jae wo durgati ko prapt hota hai.
atmahatyara mana jaata hai. Jo bhagwan ka bhajan na karke pura sharir keval bhogon aur vishyon mein vyatit kar diya. Bada dukh aata hai. Narko mein kitne narak hai jo bhayanak kasht dene wale yoniyon mein 84 lakh yoniyan dukh dene wali. Isliye bhagwan ne punarjanma ko dukhalai kaha hai. Mampatya punarjanma dukhalai ashasvatam punarjanma ko ashashwat shabd se jod diya bhagwan ne dukhalai ashasvatam ki tumhen jo bhi sharir milega wo ashashwat hoga nashvan hoga parivartnshil hoga sthai sharir koi nahi hai yahan mrityu lok mein ya devlok mein ya brahmlok tak sabka parivartan aa brahm stambh paryantam sarv mayamyam jagat pratiphal sharir ka parivartan ho raha hai lekin apne log samjh nahi pa rahe hain.
bacchapan se le abhi tak parivartan hi to hota ja raha hai. Ham samjh hi nahi pa rahe. Birthday mana rahe hain, khushi mana rahe hain. Jabki kal gaya hamare jeevan se jaise hamare paas ₹1000 hain. Ek kam hua, ₹100 kam hue, ₹00 kam hue, 800 kam hue, 900 kam hue, ab aapke paas ₹100 rah gaye. Dhire-dhire ek bacha phir wo bhi khatm ho gaya. To ismen shok manana chahiye ya anand manana chahiye? [gala saaf karne ki aawaz] birthday mein to shok manana chahiye. Ki hamare jeevan ka ek varsh gaya. Abhi tak ham bhagwan ki prapti ke liye kuch nahi gaya.
hamare jeevan jise koi 50 varsh ka to jeevan ke 50 varsh chale gaye. Ab pata nahi panch minute hai ki nahi hai. Nirantar nasht ho raha hai. Sab kuch yahan nirantar nasht ho raha hai. Hardam parivartan ho raha hai. Na koi yoni sthai hai, na koi vastu sthai hai, na koi pad sthai hai. Sab yahan nasht hone wala parivartnshil hai. Na koi sthiti sthai hai sansarik jo aaj sthiti hai wo kal nahi rahegi jo kal hai wo parso nahi rahegi samay nikalta chala ja raha hai. Samay bada kimti hai aur wah nikalta chala ja raha hai aur vyarth ki baton mein vyarth ke aur maya ka karya hai ki fansa ke rakhna bhajan na karne dena.
hamen lagta hai ye jhanjhat nipat jaegi to phir bhajan ho jaega. Dusri jhanjhat usse bhi powerful aa gayi jo bhajan nahi karne de rahi. Hamko har jhanjhat mein bhajan karna hai. Har avastha mein bhajan karna hai. Har paristhiti mein bhajan karna hai. Agar bhajan nahi hua to sab nasht ho raha hai. Sab nasht ho raha hai. Kisi bhi yoni mein kahin bhi sukh nahi hai. Koi bhi yoni sthai nahi hai. Sab nashvan hai. Koi bhi pad, koi bhi sukh, koi bhi paristhiti jo aaj hai wah kal nahi rahegi. Isliye bahut hosh mein hokar ke ek ek second ek ek minute bhagwan ke bhajan mein lagana chahiye.
bhagwan kahte hain meri prapti hone par phir punarjanma nahi hoga. Ya jeevan bhar bhajan kiya hai to antim samay phir bhagwan rup ya naam ka smuran kar dete hain. Bhagwan apne sharngat ki raksha maya se karte hain. Maya dukhalai shashwatam agar bhakt se pocho to na dukh hai. Aur nash ka bhay hai. Koi dukh nahi. Koi dukh nahi. Vishwas mano. Agar bhagwan mein chitt jeevan bhar juda hai to kaisi bhi paristhiti ho wo chitt bhagwan mein jab na judne ki paristhiti hoti tab bhagwan jodte hain. It bhagwan mein juda hai to anand ki kami nahi hoti.
sukhi meen jahan nir agadha ta hari sharan na ek badha jaise machhli agadh samudra mein kalole karti hai jal mein aise ye dukhalam ashasvatam sansaar param mangalmay dason dishaein uske liye sukhmay ho jati hai jiskit bhagwan mein juda hota hai bhav kubhav anak alashu naam japat mangal dashu dason dishaon mein uska mangal hota hai dason dishaon mein uska anand rahta hai har paristhiti anandmay har avastha anandmay pratyek din anandmay jo bhagwan is dukhalai ashashtam mein dukhalayam ashasvatam mein wo shashwat anand ko prapt hota hai jo bhagwan ka chintan karta hai.
wahi bhagwan mayaviyon ka vinash karte hain. Bhakt janon ki raksha karte hain aur jo vimurkh jan hai tinkar kal rup mein bhrata wahi bhagwan jo param kripalu hain sharngat ki raksha karte hain apni maya se aur jo vimurkh jan hai unka vinash karte hain. Unko dukh dete hain. Unko nana prakaar ke prapanch mein fanse rahne dete hain. Bhagwan badi kripa jab karte hain tab manushya sharir milta hai. Kabahu ka karuna nar deh det i bin hetu snehi bina kisi hetu ke ham logon par kripa ki aur hamen manushya sharir diya aur wo isliye diya ki ham bhajan karke ab apna akhiri janm kar le.
manushya janm ye 84 lakh ke upar ka hai. Ab upar se gire to niche ki yoniyon mein jaoge. Jahan moksh ya kalyan ya bhagwat prapti naam nahi hai. 8399 yoniyon mein sadhna karke bhagwat prapti ki jae. Aisa koi vyvastha nahi. Keval ye vyvastha manushya sharir mein hai. Bhagwan avatar lete hain. Jaise jagat mein aise bhagat ke hriday mein lete hain. Jab aap bhajan [nak se ki jane wali aawaz] karoge to aapko apne hriday desh mein bhagwan ka darshan hoga. Aur hriday desh jaisa hota hai waise bahar dikhayee deta hai. Jaisi drishti waisi srishti.
bhagwan ne archa vigrah dharan kiya hai kyonki ham log bahirmukh hain to bahari vritti se ham unki seva karke antarwatti ko prapt ho agar antarwatti ko vishay chintan mein lagae ho bahari bhagwat seva kar rahe ho to wah seva punarjanma ko nahi rok paegi punarjanma ko rokne ke liye jo bahari seva kar rahe ho wahi antar se seva honi chahiye. Andar ka chintan bhagvatik hona chahiye. Ye archa vigrah andar pravesh karne ke liye marg hai. Antar mein pravesh karne ke liye ki ham atho pahar kriya kiye bina rah nahi sakte.
prakriti kriyasheel hai bina bhagwan ne kaha hai arjun se ki ek kshan bhi koi bina kriya kiye nahi rah sakta to ab hamko kya kriya karni dasata to kaise karen to guru mein archa vigrah mein matapita mein vridh janon mein bimar janon mein pashu pakshi mein jahan bhav ban jae wahan ham seva karen uska phal kya hoga andar ka chintan aapka bhagvatik ho jae. Agar andar ka chintan bhagwat bhagvatik nahi to shubh karm banega. Wo bhagwat prapti nahi kara payega. Kyonki andar ka chintan unka nahi hai. Bahar kriya hui ek vyapar nokri jaisi aur ham vishyon mein sukh khojte hain.
to sadhan ban gaye bhagwan aur sadhya ban gaya vishay to punarjanma pakka. Jo karm janny sadhna hai wo chintan ke bina adhuri hai. Jab tak hamara chintan antarik na ho tab tak hamara jeevan adhura hai aur kuch nahi ho raha. Keval chintan ho raha hai to jeevan pura hai par aise chintan nahi ho sakta jab tak lagoge nahi seva mein naam jap vani path antarik chintan punarjanma ko nasht karta hai jo bhagvatik antarik chintan hai wo punarjanma ko nasht bahari koi kriya se bhagwan ne spasht kaha jo sadhak bhakti marg mein chal rahe hain un par bhagwan ki vishesh kripa hui hai.
bhakti marg mein yadi bhagwan ke marg mein kadam rakha to bole arambh mein hi bhagwan ki uske upar kripa ho gayi. Goswami tulsidas ji ne likha hai atishay kripa Ram ki hoi pav dhare yahi marg soi bhagwan ki jab atishay kripa hoti hai tab jeev bhagwan ke marg mein chalta hai aur jo bhagwan ke marg ke jitne aacharan hai shri Krishna anukul len bhagwan ke anukul un acharno ko dharan karta hai aur pratikuls visarjan pratikul acharno ka tyag karta hai to bhagwan us sadhak ko mahatma bana dete hain. Bhagwan hi mahatma banate hain.
swayam mein koi mahatma nahi ban sakta. Par kisko mahatma banate hain? Jo bhagwan ke anukul aacharan karta hai. Gita, bhagwat, ramayan ye sab shastron mein jo siddhant likhe hue hain wo anukul aacharan pratikuls visarjan. Bhagwan ke pratikul koi aacharan nahi hona chahiye. [gala saaf karne ki aawaz] bhagwan ke pratikul kya hai? Jo shastr virudh aacharan hai wo bhagwan ke pratikul hai. Jo sant vani ke virudh aacharan hai wo bhagwan ke pratikul hai. Bhagwan use apne tatv ka bodh kara dete hain jo theek se bhajan karta hai.
bina tatv bodh ke baat nahi banti. Tatv bodh hota hai. Chahe sakar rup mein ho ya nirakaar rup mein. Nirakaar mein sarvam khaldam brahm sakar mein Siya Ram mein sab jag ja chid lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat wo bhagwan ki smriti mein itna tanmay ho jaata hai bhakt apna astitva kho baithta hai apni smriti nahi rah sakti brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni ho sudhi na rahi ek raho Nandlal ye abhinnata ho gayi bhagwan mein sthiti ho gayi bhagwan aur bhakt mein abhinnata aisi hoti hai ki apni smriti kho gayi keval bhagwan rah gaye tab jake wo mahatma banta hai jab keval bhagwan hi drishti mein keval bhagwan hi hriday mein tab use kaha jaata hai mahatma vasudeva mahatma sudurlabha sab jagah Vasudev bhagwan ko jo dekhta hai wahi vastvik bhagwat prem ko prapt karta hai jo tatv gyani hota hai jo premi vastvik nahi to rag dves hota rahega moh mamta badhti rahegi sundar tatv gyani hi bhagwat prem prem ko prapt hota hai.
asat sharir sansaar ke saath sambandh hone se mahatma nahi ban sakta. Alpatma ban sakta hai. Mahatma nahi maha aur alp mahatma wahi hai jisne sharir aur sansaar ka sang chhod diya hai. Kitna kathin hai. Ab tumhare sharir ki dekhrekh, tumhare sharir ka bharan poshan tumhare sharir ki raksha bhagwan karenge. [khansne ki aawaz] kyonki aap bhagwan ko samarpit hai. Karo sada tike rakhwari jim balak rakhe mhatri jaise maa ko pata hota hai bachchhe ko kab bal bhog dena hota hai. Rajbhog dena hota hai. Shayan bhog dena hota hai.
aise bhagwan ko nahi dena mat do. Do din, teen din, char din, panch din jab diya tab asat sharir aur sansaar se sambandh rakhne wala kabhi mahatma nahi ho sakta. Dekh lo samjho. Sharir ke achhche-achhche padaarth khane ko mil jae. Accha kapda matlab sharir ko hi lekar sari baten hamara apman kar diya. Hamara man sharir ko lekar sari baten bhagwan ko iska rag chhute sansaar ka aur sharir ka sharir sansaar ke ashrit hote hi durgati shabd lag jaata hai. Sharir aur sansaar ke ashrit hote hi durgati shabd lag jaata hai. Aur bhagwan ka aashray lete hi sadgati shabd lag jaata hai.
kaise chet su duracharo bhajte manan bhag bhagwan ke swaroop mein prem mein jo magan hai unhen premion ko mahatma kahte hain. Jo prem mein jad chaitanya kachu nahi dikhta jit dekht tit Shyam khade sab mein bhagwan dekhna ye pravachan hai keval na sun isko samjho kya bhojan pate samay apne hriday mein bhagwan ki bhavna ki kya karoge phir rag dves dukhale asam isi ki prapti hogi anu rup bhi ahankaar ki gandh na rahne par bhagwat prapti ho jati hai. Anu kahte hain itne chhote ko ki aap sukshmadarshi se bhi nahi dekh sakte.
ayan mato mahan chhota hai. Tabhi kaha hai tanadpi such tras ke saman nichta tras se bhi apne ko ta se nich apan ko ghaat shubh shubh na jaan aham aham shunya jeevan hi bhagwat prapt jeevan hai. Aap sun jeevan aapko kisi ne thappad ya diya age chalke kisi ne pucha aapko kisi ne mara usne bada dusht mara is sharir ka praarabdh tha bhog liya aur muskura ke chal diya bhagwan ke saath abhinnata aur sansaar sharir ke saath bhinnata isi ko bhagwat prapti kahte hain. Kar lo jitni jaldi kar pao. Sharir isse hamara koi sambandh nahi.
jab sambandh nahi to is par kuch karne ka adhikar nahi. Tabhi to durgati hoti hai. Jab samjh nahi hoti tabhi durgati hoti hai. Bhagwan ke saath abhinnata. Bhagwan sirf hamare hain. Bas na sharir hamara hai na iske rishte nate hamare hain. Kisi se sambandh nahi. Ab parivaar se to sambandh nahi rakhte. Sharir se sambandh rakhte hain. Sharir anukul to sukhi. Sharir pratikul to dukhi aur sharir pratikul cheshta to dukhi. Anukul cheshta to sukhi. Hamko anukulta pratikultaa se kya matlab? Ye property bhagwan ke naam samarpit ho gayi hai.
ab hamko beparwah hokar keval bhajan karna hai. Keval bhajan kyonki hamare paas do baat rah gayi. Tisri nahi rah gayi bhagwan ka aashray dat ke bhajan bas sab shastron ka sar itne hai ki hriday se mam bhros yahi hai hriday mein mera bharosa aur nirantar anannya cheta satatam anannya chinto ma bas itni baat rah gayi itni baat ke siva ham na kuch janna chahte hain na pana chahte hain aur na bata batana chahte hain sharir ke saath sansaar ke saath bhinnata ye ham nahi hai aur prabhu ke saath keval prabhu hamare hain. Ham prabhu ke hain. Prabhu hamare hain.
to ye bhinnata kaise aayegi? Abhi kya hai? Sharir sansaar ke saath abhinnata aur bhagwan se bhinnata hai. Isliye hamari baat bigdi hui hai. Ham isko register mein likh ke jaise property kisi ko de di jati hai to adhikar khatm ho jaata hai. Ab usne likh ke de diya to ab dusre ka adhikar ho gaya. Ab wo akar ke yahan kahega ki ye khambha tedha kyon banaya hai? Tumhari marji ki baat khamba khada karo, vriksh khada karo ya yahan jaisa chaho jaisa chaho khada karo. Kyon? Use ab dusra shikayat kare jake ki bhaiya aapke khet mein to sab vriksh hi vriksh laga diye.
wahan to hal banva diye. To wo kya kahega? Wo yahi kahega bhaiya ab wo hamara nahi hai. Hamne de diya kisi ko. Theek hai. Aap aisa kyon nahi kah pate ki ab hamara nahi hai. Hamne to bhagwan ko de diya. Ab ismen kam ave, chahe krodh ave, lobh ave, chahe moh ave, mad ave, chahe matsar ave. Bhaiya jaise koi kah raha bahut dusht ho to aapko muskura dena hai ki ye janta nahi ki hamne property bhagwan ke naam kar di hai. Ab jo kuch hai agar nich hai to bhagwan ka hai. Dusht hai to bhagwan ka hai. Ye man ye tan ye vani aur swayam hai.
imandari se itni hi baat hai. Likh do bhagwan ke naam. Bole kaise likhen? To uske liye bhagwan ne guru rup dharan kiya. Sharanagati di. To isiliye kaha gaya ki sakal samarpan pran dhan guru seva taj kare jaban yah adharm yah sab kan narish mera to bhagwan ne guru rup dharan karke tumhare tan man jo maya mein aasakt hai unke hatane ke liye guru mantr diya jaise saanp kaat le to uska vish utarne ka man mantr uske vish ko nikal deta hai. Aise hi yah guru mantr sharir aur sansaar ki abhinnata ko nikal deta hai.
aapko bhinn nazar ane lagega sharir aur sansaar aur bhagwan abhinnn apne lagne lagenge. Par dat ke japo tab hai bhajan karo. Bhajan ke bina bhaiya yah pravachan hi keval hai aur kuch nahi hai. Hazaron pravachan sun ke aur phir wahi aacharan wahi baten wahi kriyaen to kya pravachan ka ek baat samjh lo 100 baton ki baat hai bhajan karoge to tumhara suno padho achchhi baat hai. Lekin bhajan nahi karoge to tumhara sunna padhna sab vyarth ho gaya. Agar bhagwan se priti nahi to goswami ji ne jaise kaha ki jog kujag gyan agyanu jahan nahi Ram prem pradhanu so sab dharm karm ja jau ja Ram pad pankaj bhau jo mahatma hai kaun mahatma hai jo sharir sam aur sansaar se bhinn ho gaya hai aur bhagwan se abhinnn ho gaya hai.
wah us mahatma ka punarjanma nahi hota. Uska karan hai ki wo siddh ho gaya hai. Siddh ka arth hai akhand bhagwat smriti. Uthte baithe chalte phirte sote jaate khate pite har samay bhagwan mein sthiti ye dat ke bhajan karne se aa jaegi ye dat ke bhajan karoge to apne aap mukh prasann tan tej viraja ki Ramchandra kar kaja bhajnanandi ka chehra alag hota hai pakka samjho uska swaroop, uska saundarya, uska prakash, uska tej bhale budha ho, haddi haddi dikhayee de antarik aisa lagega inke paas baitha raho. Inko dekhta raho.
inke samip raho wo bhajan akarshit karta hai. Jeev ki kya shiv ko akarshit kar leta hai. Ishwar ko akarshit kar leta hai. To jo bhagwan ke prem ko prapt ho gaya akhand bhajan jiska chal raha hai wahi siddh hai. Wahi mahatma hai aur usi ka punarjanma nahi hota. Parmam gata wo param gati ko prapt hota hai. Jaise lobhi vyakti ko jitna dhan milta hai utna uska thoda malum deta hai. Aur wo dhan ki bhookh usse raat din chintan karati hai dhan ka. Aise bhajnanandi ko mahatma kahte hain. Raat din bhajan ho raha hai lekin phir bhi bhajan ki bhookh badh rahi hai.
bhajan se tripti nahi ho rahi. Bhajan ki bhookh chain na pare jaise wah raat din dhan ka chintan kar. Isiliye goswami ji ne mangami nar piyar jim lobhi jim priy dham ti Raghunath nirantar priy lago mohe Ram. Aise hi apne prabhu ko yad karne ki bhookh badh jae. Prabhu ke chintan karne ki bhookh badh jae. Pratikshan vardhmaanam prati kshan bhajan badhta jae. Asim sima rahit agadh koi nap na sake. Anant aisa bhajan wo paramatma ko prapt hota hai. Kitne mala bole asim agadh anant pratikshan vardhmaanam pratikshan badhta ja raha bhajan kitna bhajan bole asim sima rahit agadh tum nap nahi sakte anant kah diya anant ab wo mahatma raat din bhagwan mein nirantar bhajan mein laga hua hai aa brahm bhan loka punravartano arjun mam pe kaunte punarjanma na vidyate aa brahm bhan loka yahan se lekar ke brahmlok tak ane jane wale hain.
bhagwan ne swayam kaha hai he arjun brahmlok tak sabhi log punravarti wale hain. Arthat wahan jane par punah laut kar sansaar mein ana padega. Parma tu kaun te punarjanma na vidte he Kunti nandan mujhe prapt karne ke baad phir janm nahi hota hai. Brahmlok tak punravarti bhagwan ne kaha aise niche ke lok jo hai patal talatal sutal vital mahatal ye sab sab aa brahm stambh sab ye kahne ka bhagwan ka matlab kya hai kahin man mat lagao mrityu lok ke bhogon ka matlab kya hai sab maya hai keval mampatya mere mein lagao keval bhagwan mein waise sahi baat batave yah shuruati daud ka bhajan hota hai itr agarbatti aur sab chandan aur sab vipul aaj sharir chhut jae bhagwan jane hazar varsh bana rahe bhagwan jane kaise rakhna hai bhagwan jane raat din bhajan mein lage duniya se koi matlab nahi to aap seva chhod doge ki ab to bhajan karna hai bhaiya seva seva nahi karna.
bina seva ke wahan tak ham pahunch nahi sakte. Isliye ye prambhik seva rakhi gayi. Prat uthkar ke ham bhi seva thodi der kuch shareerik kuch mansik jaisi banti hai. Seva ke bina hamari bhajan mein ruchi nahi ho sakti. Lekin antim baat hai bhajan. Nirantar bhagwan ka smaran. Dhire-dhire samitna chahiye. Phailav se bhajnanandiyon mein phailav nahi hota. Samitav hota hai. Kisko dikhana hai? [gala saaf karne ki aawaz] man lo apne thakur ko ek mala pahna diya. Agar phool hai to nahi hai to bhav ke pushp chadha diye.
aise pani se snaan kara diya jal se. Itr hai to itr laga diya. Chandan hai to chandan laga di. Zaruri nahi hai. Agarbatti hai to agarbatti dikha di. Zaruri nahi hai. Aur kuch nahi hai to bas jal to hai. Patram pushpam phalam toyam jo mil jae. Ab jaise aapko sundar phal mila to aapke hriday mein turant smaran hona chahiye. Thakur ji ko bhog lagana hai. Jo hamen mila thakur ji ko bhog lagana. Bhog lagakar mamte jo meri sharan mein ho gaya jo mera ho gaya jo mere bhajan mein lag gaya uska antim janm hai to hamen lagta hai aap sab bhagwan ne chhaant ke antim janm ke liye bheja hai aapko nahi manushya janm sansaar se vairagya aur bhagwan ke marg mein bhajan karte jeevan vyatit karna aisa adhikar nahi aapka bhagwan ki kripa ka anadar karne wala kalp kalp tab maha dukh ko prapt hota hai man lo aapke pet mein dard hai pair sad raha hai kuch to aapka adhikar thodi hai ki sir bhogo use bhagwan ka naam jap karte hue bhogo aapko koi bhi pida hai kisi bhi vikar use bhogo bhagwan ne aapko sharir diya hai ki aap apne karm bandho ko kato to kuch bhog ke aur kuch kripa se katkar aur bhagwan ko prapt hamara adhikar bilkul kisi bhi tarah ka is sharir ke saath ahit karna nahi hai.
yah sharir isht aur guru ka hai. [gala saaf karne ki aawaz] to yah dhyan rakhte hue nirantar bhagwan ka smaran pradhan dviti seva smaran pradhan dviti seva aur bhagwat aashray mein bas pare rahna bhagwat prapti ho jaegi bhagwat ashrit hona bhagwan ke hona hona bhagwan ke shri ji ke hona bas kya main pareshaan ham prabhu ke hain bilkul tumhen chinta karne ki zaroorat nahi hai apne kalyan ki bhi chinta karne ki zaroorat nahi hai. Yadi sharanagat ho to chintan karne ki zaroorat hai. Chintan agar hamara nahi ho raha to hamen thoda shuddh hona chahiye aur chintan ka prayas karna chahiye.
tad smaran param vyakul chintan Radha Radha Radha Radha kya pareshani hai Radha Radha gunguna rahe hain sharir se seva kar rahe hain jo mila prasad pa rahe hain pare hain pareshaan hone ki zaroorat kya hai mano aap mein koi vikar aa raha hai to aap bhagwan ki taraf dekho ki prabhu hamne to samarpit kar diya hai sharir man pran agar ye gande honge to nath aap jano aur pavitra mitra rahenge to nath aap jano mere bas ka to kuch hai nahi kya pareshani hai samasya kya hai koi samasya nahi samasya agyaan ki hoti hai uska tyag karo satsang sunkar manan karo use jeevan mein dharan karo jai jai shri
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- sarv papon ka nash karne wale shri giriraj ( Govardhan ji ) ki adbhut mahima // 09/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- divya Diwali maha mahotsav // 08/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- in 10 dosho se pahchanen ki hamare bhitar paap hain ya nahi / gopiyon ki virah vyatha evam bhramargeet ka varnan — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan…
- santo ki kripa se prapt hoti hai aisi adbhut sthiti / Uddhav ji ko dekhkar brajvasyon ki virhadsha — Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasau purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param…
- nihal kar dene wali sharanagati ka varnan / Uddhav ji ka shrikrishna ka sandesh lekar ana / nandbaba se varta — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shi shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param…