॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

nihal kar dene wali sharanagati ka varnan / Uddhav ji ka shrikrishna ka sandesh lekar ana / nandbaba se varta

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shi shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele shri yugal sarkar prana aradhya pran priy shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta shri yamuna ras rani raj rani samasth Brijvasi parikar ke charnon mein kotish pranam koti naman namaskaar shri ladni lal Priya pritam yugal kishor param param karunamay hai.

ham jaise bhi hain shri shyama Shyam ke hain. Yah hamen kabhi nahi bhulna. Mana ham unke yogya nahi hai par unke hain. Ismen wah bhi nakar nahi sakte. Kyonki mamwa jeev loke jeev bhuta sanatna yah jeev sanatan mera ansh hai. Bhagwan kahte hain to hamara sambandh to swikrat prabhu ki taraf se hai hi. Hamari taraf se swikrati anya hone ke karan yah smriti lop ho gayi hai ki ham bhagwat swaroop hain. Hamara swaroop bhagwat swaroop hai. Yah bhulkar ham apne ko panch bhautik deh dhari mankar nana prakaar ke asat karm nana prakaar ki asat vasnae aur asat bhogon mein hamari vritti phas gayi hai.

ab shyama Shyam ki sharanagati ka sanyog bana hai. Gurudev bhagwan ki asim karuna drishti hai. Ahetu ki kripalu koi ham adhikari nahi hai unke karuna ke par unki karuna drishti hai to ham naam jap karke mantr jap karke priyal ke gun gakar priyal ki seva ko sweekar karke is vasnaon ke khel se hatkar upasna mein rat ho jae bahut kripalu Priya lal hai unhee ki karuna karuna ka bharosa hai. Unhee ki karuna ke bhrose hamara jeevan, hamari upasna, hamara man, hamari indriyan, hamara deh ye sab pratiphal unke charnon mein samarpit hote hue pavan ho raha hai.

agar aisa nahi to phir kuch bhi kar lo. Aap sadhan karenge aham hoga. Bhagwat prapti mein aham bahut badhak hai. To sadhna ho to sharanagati hoke prabhu ke aashray se prabhu ke kripa bal se hamara sadhan path pusht hoga aur prabhu hi sadhya rup se hamen milenge. Swad prem maha rasatman bahira bhat shri vrinda vipinam tadatino Radha tan nagar cha tay vishuddhas cha murt katham koti bhir yatan rapya anurag sokhya jaldha sara kashtoday shri Vrindavan bada swadisht ras hai aswad ras hai maha sukhmay hai arthat prem jo bahar se Vrindavan ka sevan karta hai arthat sharir sharir se vas karta hai aur andar se Vrindavan ka sevan karta hai.

arthat man se Vrindavan ki leela ka chintan Priya pritam ka chintan Priya pritam ke naam ka chintan ye Vrindavan ka antar aur bahar se sevan hai. Bahro novantra bhati jo bahar aur bhitar donon jagah Vrindavan ka chintan karta hai. Bahar to Vrindavan mein sharir hai hi. Hamara man bhi Vrindavan ka sevan karen. Rasik mahapurush kahte hain tan man ke ban se ye tan se bhi Vrindavan ka sevan karo aur man se bhi Vrindavan ka sevan karo. To kya hoga? Bole sphurti shri Radha aur nagar tan nagar shri Lalaju aur Priyaju uske hriday ment ho jaenge matra Vrindavan ka bahar sharir vas kare aur antar se priyal ka chintan kare isi se priyal ki prapti hogi.

ye sidha marg hai. Ismen milavat nahi hai. Anya upasnaon ki anya devi devtaon ki anya karmakandon ki anya sadhno ki yahan milavat nahi hai. Abhya milauni mile na kachu jab khelt raas sadavan mein sadhan vivid sakam mati sab swarth sakal sab jo aniti yahan inka prayog nahi hota. Sadhna vivid sakam bhavna ke anusthan aur bhi anya jo gyan dhyan vrat karm jite sab kan mein nahi moh pratiti ye hamko priyal tak nahi pahuncha sakte na gyan na dhyan na vrat na niyam na sanyam to hamen kya karna hai bole ekmatra rasik anannya nishan bajayo ek Shyam shyama pad priti shyama Shyam ke charnon mein priti wo kaise hogi to bataya hai ki atho pahar shri ji ke charnon ki sevkai ki bhavna naam jap aur leela gayan leela shravan yahi sidha marg hai.

ismen koi milavat nahi. Shyama Shyam ka naam jap shyama Shyam ki leela gayan shyama Shyam ke dham ka aashray shyama Shyam ki atho pahar seva ye shuddh bhakti hai Vrindavan nitya vihar ras ki ye shuddh bhakti ismen milavat nahi chal pati sabka sammaan hai sab bhagwat swaroop hai par upasna mein milavat nahi anannya rasik anannya nishan bajayo ek Shyam shyama pad prit matra keval shyama Shyam ki upasna to Radha vallabh dhai ke aur dh kaun vyase det bane nahi bari bari pratilon kah rahe hain jab Radha vallabh shyama Shyam ki upasna hamen mil gayi to ab aur kiska dhyan karen jaise pakri banane mein ek ek pakri mein namak nahi dalte phent mein dal dete hain to samasth pakri mein ho jaata hai aise hi mul shri Radha vallabh lal ka ham sev sevan karte hain to vishv brahmand ke samasth jad chaitanya devi devta sab bhagwat svaroopon ki aradhna ho jati hai.

isliye shri Vrindavan ka man se tan se sevan karo. Anannya ban jao shyama Shyam ke to kripa karke aapke hriday mein aur aapke bahar netron mein bhi jhalakne lagenge. Vishuddh ras jin murti yugal kishor anek koi sadhna kar le cheshta kar le wo kabhi reejhne wale nahi wo reejhte hain ananyata se baat ko pakdo shyama Shyam reejhte hain ananyata se jo anannya ho gaya shyama Shyam ka uske hriday mein saratisar prem ka uday ho jaata hai anytha nahi ek badi ascharya ki baat kah rahe hain shripad Prabuddhanand ji ki yadi hamen Vrindavan dham mil gaya shyama Shyam ki upasna hamen mil gayi hai sharanagat ho gaye hain to kah rahe re kam krodh lobhaday is hadon mein bhavanto

bhavtu ai kam krodh lobh moh mad matsar tumhen sab chodna chahte hain hatana chahte hain ham nahi hataenge re kam krodh lobhad surdo mein bhavanto bhavat mere surad mat jao mere paas sadaiv raho kabhi mat jao dekh lo bade ascharya ki baat duniya mein jitne sadhak hain sab pareshaan hai kam krodh lobh chhut jae yah kabhi hamare hriday mein nave aur shripad kah rahe hain re kam krodh lobhad mein bhavant bhavant mere pyare mitra ban jao ek kshan ke liye bhi hamare hriday se na jao tajna de patam satat mati kshma ling manandyantu jab tak mera sharir rahe tab tak mere sharir mein kam krodh lobh moh mad matsar bane raho kabhi mat chodna mere sud ho jao aisa kaun bol sakta hai bhai aisa kaun bol sakta hai koi bhi sadhu mahatma sab darte hain isse kam krodh lobh moh madad matsar inse darte hain aur kah rahe hain tyajyana deh patam satat maling andat anand purvak mere hriday mein raho kabhi mat chodna he kam he krodh he lobh he moh he mad he matsar sab hamare hriday mein baso aisi baat hamne aaj tak kabhi nahi padhi kahin nahi suni kabhi

nahi davi sampada hamare hriday mein base aur yah sab nasht ho jae. Bade dusht hai. Aisa to suna hai. Kam krodh mad man na moha lobh na cho rag nahi droha jinke kapt damb nahi maya tinke hriday baso Raghuray ye kah rahe hain re kam krodh lobhad eedo mein bhavanto bhavant tyana deh pat satat mati samandu sada hamara anand purvak aalingan karo. Mere hriday se kabhi mat jana. Sadaiv bane raho. Jab tak mera sharir rahe tum raho. Ab age ki baat suno. Cheshta chen nijabh kath param bandhma pa Vrindavan dhanya kena viral tame na mam vastu.

tum apni cheshaon se logon ko bandhan pradan karte ho. Moksh mein badha karte ho. Mere hriday mein bane raho. Main Vrindavan ke pratap se tumhara bhi udhar kar dunga. Yah baat sach kam, krodh, lobh tumhen koi sweekar nahi karta. Aao. Aajeevan mere hriday mein vas karo aur main Vrindavan ke pratap se tumhen bhi pavan kar dunga. Kya pavan kar denge? Kam mane kamna. Kamna. Priy kabhi aap apne kapol mein patraavli ki rachna ka adhikar dijiye. Kabhi aap apne shri charnon ki mahawar rachna ka adhikar dijiye.

kabhi sundar saiya rachna karun. Kabhi aap aise kamna aur krodh apne isht par hi hota hai. Pranay kop jise kahte hain. Kop mane hota hai krodh. Pranay mane hota hai prem. Prem krodh bhi hota hai. Prem mein jab narsi mehta ji ko krodh aaya to prabhu ko kadvi kadvi baten sunate hain. Wo tumhari mausi lagti hai. Usko darshan de diya. Tum kya chala jaata hai? Pura jeevan aapke liye ho gaya. Chhupe chhupe ghum rahe ho. Darte ho kya? Samne aao. Wo wo krodh se bhi apne prabhu ko hi lobh prabhu ke naam ka prabhu ke darshan ka prabhu ki seva ka moh prabhu ke charnarvind ka har dosh param pavan ho jaata hai jab bhagwan ke charnarvind ke chintan mein to har dosh param pavan ho jaata usi baat ko kah rahe ai kam krodh lobh moh mad matsar tujhe sab hatana chahte main kahta hoon jab tak mera deh rahe kabhi mat jana mere hriday mein rahna aur sada aalingan kiye rahna.

main tumhen anand yukt kar dunga. Vrindavan ke pratap se tumhen param pavan kar dunga. Aisa mahapurush birla hi koi hota nahi sab darte hain ki he kam, krodh, lobh chuna nahi hamko nahi ham apvitra ho jae. Are aao mere hriday baso main tumhen pavitra kar dunga. Priyal ke charnarvind ki rati badi samarthyshali hai. Shripad Prabodhanan ji maharaj idam bhagwat arpana charit sarwanam dekho jaise raja ka rajkumar hota hai usko ek thesak hoti hai ki sare kanun sari vyvastha sara vaibhav mera aise jo bhagwan ka bhakt hota hai na sare siddhant bhagwan ne jitne kanun bhagvatik banae hain wo mere prabhu ke banae hue hain.

jitna vaibhav mere prabhu ka aao kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar tumhen jitna updrav karna hai kar lo. Kuch nahi bigad paoge kyonki ham rajkumar hain. Apne raja shyama Shyam ke ladle hain. To ham ladle kaise ho sakte hain? Wo hamare ladle hain. Wo hamare ladle hain. Ismen koi sanshay nahi. Lekin ham unke ladle ismen bhi koi sanshay nahi. Agar wah hamen dular ki hote to sansaar sagar se khinch kar apne ghar mein na rakhte. Hamen thesak mein rahna hai. Ab hamara na kam bigad sakta hai, kuch na krodh bigad sakta hai.

kuch nahi. Sadhna bigad sakte ho. Wo hamare hai nahi. Sadhna bigad sakte ho. Wo hamare hai nahi. Aur sadhya hai shyama Shyam. Hamare sadhan hai shyama Shyam. Ab kya tum bigad sakte ho? Dekho hamari izzat hai shabash Shyam deh lok nana prakaar ki ye hamari izzat mariyada sammaan swabhiman nahi hamara swabhiman hamari izzat hamari mariyada shyama Shyam hai jinko kabhi koi chu nahi sakta thesak rakho thesak rakho bahut bade maharaj ke ham ladle hain ladle hain sachchi agar dular na ki hote apna na mane hote the saubhagya nahi milta jo mil raha hai bahut masti se idam bhagwat arpana charit sarvas karmana jante ho ye thesak kab aati hai jab bhagwat arpana prabhu ke bhagwat arvan jeevan hai na tabhi

ye thesak aati hai agar aapka bhagwat darpan jeevan nahi to aap ye thesak nahi bol sakte aao kam krodh lobh moh madh matsar aise sab kamp rahe hain kah aao raja hamare hriday se kabhi jao mat bol sakta hai koi bhagwat darpan bhagwat darpan aao aao priyal tumko bhi pavan kar denge aao mere hriday mein to aao kyonki hamne hriday mein shri shyama Shyam ka aashray liya hai ab is hriday ko tum apvitra nahi kar sakte ho bhakton ki ek alaukik thesak hoti hai ye alaukik shlok hai aaj tak kahin kisi granth mein nahi para kahin kisi

mahatma ke mukh se nahi suna shripad ke mukh kai aisi baten Vrindavan ki divya mahima ki jo kahin nahi suni. Yah suna hai ki bhajan hona chahiye. Agar Vrindavan mein bhi bhajan na ho to kahin bhi bhajan karo bhajan karna chahiye. Yah hamne suna hai. Lekin yah nahi suna ki Vrindavan ke bahar shri Krishna prem mein unmat hokar nahi rahna chahta. Aur Vrindavan mein main agamya gaman karke bhi rahna chahiye. Ye nahi suna. Yah suna hai ki he kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar ab hamare pind chhod do kyonki ab ham bhagwan ki sharan mein ho gaye.

ab ham bhagwat prapti karna chahte hain. Yah nahi suna ki he kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar aap hamare hriday se kabhi mat jana. Hamare hriday ka aalingan bada vichitra ras hai. Vrinda isiliye kaha Vrindavan ki leela mat samjho guru ko cheelaya rishi muni gaye har. Yah bada vichitra ras hai. Taal thok ke kah rahe aa pure jeevan jab tak deh pat na ho mere hriday mein bana rahe aur tera bhi kalyan na kar du to bata dena yah hai mahima Vrindavan dham ki shri Vrindavan mein bhagwat arpanam mastu jeevan bhagwat arvan yahi to hamen bhram ho gaya hai ki mere se galti ho gayi mere se accha ho gaya maine yah kar diya maine kaha chodo aapka hoon maharaj aapka hoon pakka bhajan karao to aapka hoon aur sansaar mein ghumao to aapka hoon thesak se rehunnga lamba tilak lagaunga aapki jai boluga sharm ave to sudhar lo na sharm ave to aise rahenge ham masti se raho kamzor hai kya wo ki tum sudhroge tabhi sudhar sakte ho are wo achhche achhche ko sudhar dete bhaiya sabko sudhar udhar dete hain.

khub masti mein raho. Radha Radha Radha bas sharanagati mat bhulna. Nischit bhagwat prapti hai. Masti mein raho jhumo. Ab jisko dekho ye nahi wo nahi hamare andar ye hamare andar wo abhi tumhare tumhare sab kuch bane hue hain. Samarpan nahi hoga kya? Sharir priyal ka hriday priyal ka pran priyal ke jeevan priyal ka ab tumhara kya rah gaya tum to keval mast raho ishta bhaktav priyal ka ishta pao shavastav aapke gungan pasav aapko dekhte hue gayav aapke gungan gate hue tan man pran sab aapko sam mast ekdam dakshan le chalo to jai shri radheshyam purab le chalo to jai shri radheshyam uttar le chalo to radheshyam Radhe Radhe Radhe hamara jeevan aapko jahan manave jaise manave vichar karo jara vichar karo satsang hai ajat pakshayu matram khga wo kya kar sakta hai aur sabse badi sharanagati yah hai jo chidiya ka bachchha ghonsle mein baitha hai pankh bhi nahi nikle wo kar kya sakta hai?

kuch nahi. Jo karenge uske maa-bap karenge. Aise hi hamen ajat paksha matram khga. Ye sharanagati bahut jor ki hai. Sharanagati mein do prakaar batae jaate hain. Ek bandar ka bachchha wala aur ek bilaiya ka bachchha. Bandar ke bachchha ki sharanagati hai ki jab chhalang lagana hoga to bandar aise karta hai. Ek second mein ishara diya usko aise bachchha kas ke pakar aur na pakde to dhamma se gire lekin bilaiya ke bachchha mein muhn mein daba ke wo le jati hai. Jahan rakhna hai rakh do. Ye badhiya laga. Jahan tumhen rakhna hai rakh do.

ishara ishara se kuch fark nahi padna. Wah ishara karte hain. Wah vivekvan sadhak hai jo sharanagat bandar ke bachchha wala hai. Bhagwan ishara karte is samay maya ka prashn hua niklo hamen kas ke pakar lo hamara chintan gadh karo. Lekin jo purn sharanagat bilaiya bachchha wala hai use kahe maya ka chakkar aaya hai. Hamko kas ke smaran karo. Wo pair faila ke baitha rahega. Jahan tumhen le chalna ho utha ke le chalo. Jahan le chaloge wahi main le chalo yah bahut badhiya hai jab bilaiya ka bachchha ban gaye to phir hamare ma shyama ko raj hamari ladli jo bas iske age mat bolo mere se ye nahi banta mere se wo nahi banta mere se ye nahi banta are banna hamara sab kuch ban gaya dekho hamko ek lal Swami yogi mile the ganga ke kinare ratri mein lagbhag 8 9 ke baje unka yog sadhan sampann hota tha tab unke darshan hote the to ham aur let gaye to akele mile tab unhone jab dekha aise navyuvak avastha thi paas baitha pehle shabd aur hamen ye tha ki ek diary pen rakhte the mahapurush jab milte the bahar nikal ke pura smaran mein tep kar lete aur bahar ek ek sutra likhte chhoti diary mein aaj bhi likha hua hai jo hi gaye so bole jaisa tumhen banna hai vaisa socho jaisa sochoge vaisa tum ban jaoge pahla sutra likha jaisa sochna hai vaisa hi hamko banna hoga aur jaisa banna hai vaisa hi hamko sochna hoga.

hamari soch wahi honi chahiye. Bahut jor ki baat hai. Bilkul beparwah ho jao. Agar parvah karte ho to tum sharanagati mein kalank ho. Apni parvah karte ho to sharanagati mein kalank ho. Beparwah kan ke bal bhajan ko kan ke achar vyas bhrose kunwar ke sot pav prasad aap itna samjh lo ek maa mein vatsalya hai bhagwan vatsalya sindhu puri srishti mein maa jitni hai wo ek ansh se hai aur is srishti mein ek ansh mein ek maa ke andar vatsalya hota hai char ladke ho ek wakil ho ek jaj ho ek aur bahut badhiya vyapari ho ek makkhi bhi na udata ho maiya ka sabse zyada dhyan kiski taraf jaega?

aap vichar karke dekho jo makkhi bhi nahi udata hai. Ek paisa nahi kamata hai aur upar makkhi baithi hai to bhi nahi udata hai. To anchal se akar wahi makkhi udaegi aur sara chintan usi ke wo to wakil bhaiya wo jaj hai. Wo vyapari hai. Dekhiye yah gawar kisi kam ka nahi. Isko to ham khavaenge to khega. Nahi khavaenge to nahi khega. Aisi sharanagati chahiye. Wah maa ka chintan kare na kare maa raat din uska chintan karti hai kar sada ti rakhwari jim balak rakhe mahatari ham prabhu ke sharanagati ke bhav ko nahi samjh pate mast raha agar hamko prabhu ki sharan mein bhi hokar hai hai karna para to matlab kya raha sharanagat aur ham to sharanagat hue nahi hamko to sharanagat karaya gaya khud sharanagat jab itne bade malik ne hamko le liya godname mein to puri vishv brah brahmand ki sampatti hamari are anant bramhandon ka aishwarya jiske ek sankalp se racha gaya wo

paramatma hamari swamini ji ke adhin hai ja ke adhin sada hi savro ya braj ko sir taj hamare mai shyama ko raj ta anukampam sumano iska arth hai jo har samay anubhav karta rahta hai main prabhu ki sharan mein hoon tan man vachan se aur hamare upar bhagwan ki badi kripa hai aur jo dukh sukhave use hans ke bhog leta hai anand mangal wah prabhu ki sampurn param pad ke adhikari aise ho jaata hai jaise pita ki property par putr ka adhikar samjho ham koi lagae jode ke hain kya prabhu ke bhaiya ham nahi manenge ki

prabhu ke hain to ham prabhu ke nahi hai hamare manne se hamare bap hain hamare ansi hain hamare Swami hain hamara har sambandh unse tu dayal din ho tu dani ho bikhari ho prasiddh pat ki tu paap punj hari nath tu anath ko anath kaun mo saman aarti nahi aarti har to brahm tu ho jeev tu hai thakur ho chero tatma guru sakha sab vidhi hit mero to hi mohi nate anek maniye jo bhave jyon tyun tulsi kripalu charan sharan pave hamare aapke bahut se nate hain jo nata manna ho man lo aur wo param satya hai isliye idam bhagwat arpana charitam apne jeevan ko bhagwan ke charnon mein arpit kar do mast ho jao.

tum jitna parvah karoge wo beparwah rahenge. Tum beparwah rahoge wo parvah tum parvah karoge kuch nahi bana paoge. Wo parvah karenge ek kshan mein ban jaegi. Mere banae na banegi koti kalpon aapke banae banegi pal pav mein. Sharanagati yadi sharanagat ho to thesak lao. Garv karo is baat ka hamare shyama Shyam Swami bas kya fark parta hai hamare to pujya jan hai gurjan hai kah rahe aao kam krodh lobh hamare hriday mein base raho kyon ab hamen phikar hai kya bahut bade satta se ham jude hue hain wo tumhen bhi param pavan premay kar denge sarvas karmanam bhagwat arpanam charitam sare karm bhagwan ko arpit kar do.

jab hamse ek ne pucha ki paap karm bhi bhagwan ko arpit kar sakte hain kya? To locker mein kabar jama karte ho kya bank mein? Bank ke locker mein idhrudhur ke jo pare hue kabar hai ye jama karte ho kya? Wahi kabar milega jo jama karoge. Bhagwat arvan jeevan mein pahli baat hai paap karm bante nahi aur dusri baat agar kahin kusang vasata purv janmon ke sanskar vasata kuch aisa ho jaata hai to tatkaal bhasm ho jaate hain. Kaise uska hriday jalta hai. Aisa kyon ho gaya? Bas itne matra se jara sa santap hriday mein hua wo bhasm ho jaata hai kyonki naam chal raha hai bhagwat gungan chal raha hai aur kuch nahi chal raha to jeevan bhagwan ke sahare chal raha hai vyas bhrose kunwar ke is bhrose shabd pe drishti dalo masti tum pata nahi masti kyon nahi aati thasak nahi hai prabhu kis liye masti nahi tumhen apni kriyon par bharosa hai unki kripa par bharosa vichar karo tum koi bhagvatik kriya kar lo to phule ghumoge hamne yah kar liya tumhen us par bharosa hai aur hamne unka varan kiya is par bharosa nahi hai prabhu ka varan kar liya hai isse badi aur kaun si kriya hogi hamare shyama Shyam mast is masti ko ye kabhi-kabhi jaise jagrit hoti hai jaise is samay na are pocho mat agar koi mashin ho to chati mein laga ke dekho hamare ekdam mast aur ham isi bal se kahte hain ki chinta mat karo hamari shri ji ke sharan mein bhagwat prapti nischit hai.

udarta ka matlab kya hai? Ae bhai wo brahmachari hai. Wo jitendra hai wo dharmanishtha hai. Wo karm nishth hai. Wo Bhajnandi hai. Bole param pad mil gaye to aapke dene ki zaroorat kya hai? Wo to hai hi adhikari. Adhikari ham jaise hain. Kya adhikari? Koi adhikar nahi. Aur ham jaison ko dular kar rahe tabhi aapki jai ho. Samjh rahe ho yar? Unko khawaya jinke yahan achhche-achhche padaarth roz paye jaate hain. Bolo hamne yahan bhandara kiya. Are nahi bhai unko khavao jinke hai nahi. Tab wo bolenge jai. To ham log aapke anukul ek bhi lakshan nahi hai.

kahan aap sacchidanand prem swaroop priyal aur kahan aap panch bhautik mein dehabiman kiye hue bhogon mein rati manne wale apne log ab apne logon ko param pad de to maharaj ati udaar vibhi sundar surat sur sukumar jai ho udarta ki aapki ki ham adhikariyon ko adhikariyon ko to sab koi deta hai sab koi pariksha karke adhikar deta hai. Maharaj ek aap ka darbar aisa suna hai jahan sahaj swabhav par naval kishori juko mriduta dayaluta kripaluta ki raas hai nekhu na ris kahun bhuleehu na hot sakhi rahat prasann sada hi mukhas aisi sukumari pyare Lalu ki pran pyari dhanya dhanya dhanya te ji inke upas hai aapki upasna bhi hamen pata nahi thi.

wah bhi aap hi ne di hai. Mast bhagwat arvan jab kabhi tumhare vikar ave jab tab kabhi he bhav ave jab kabhi aisa ave ki pata nahi mera kalyan hoga ki nahi hoga usi samay socho main shri ji ko arpit hoon. Aapko itna vishwas hai ki char roti, daal, kadhi, chaval aur mithai ham arpit karte hain. Parda lagate hain. Iske baad aap bade shraddha se prasad lete hain. Lete hain na? Aapko sanshay hota hai kya ki prasad hai ki nahi? Arpit hua ki nahi hua? Puri ki puri thal wapas aati hai. Keval drishti bhog lagta hai.

to shraddha mein aise daud ke prasad lene ka man hota hai. Mathe par aise dhar ke aur ek kinka chala jaata hai to chati shital hoti hai. Prasad paya aur aap aap apne ko samarpit kiye ho. Vishwas nahi tumhen? Parda laga ke thal chali gayi andar to prasad ho gaya. Tum pura jeevan arpit ho. Tumhen vishwas nahi ki ham prasad swaroop hain. Ham prasad swaroop hain. Ham bhagwat arpit hain. Ye bhajan nahi karte. Kuch aacharan to tumhare theek nahi lagte. To us samay hamko nahi bolna guru ji se ham to bhagwat arpit hai.

prasad swaroop us samay ham wahi kahenge galti padi. Lekin andar se yahi hoga maharaj hamari galti nahi galti aapki hai. Aap is galti ko banae rakhe isliye hai agar aap chaho to theek ho jae aur aap nahi chahoge to ham kyon chahe hamari chah to aap ho hamen galti aur gun se koi matlab nahi hamen aapse matlab hai aur aapko agar galti gun se matlab to sudhar lo aaj ham sidhi sharanagati bol rahe agar samjh mein ave to samjh lo na samjh mein ave to phir age samjh lena age samjh bilkul pakka samjh lo sharanagat ka bodh sharan ke upar hai sharanagat ka bojh sharan ke upar hai.

yah apne upar bojha mat rakho apne kalyan ka. Ye lo maharaj jab kah rahe hain sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj meri sharan mein ho. Bole sharan mein kaise hua jaata hai? Sadhan batao. To sadhan batae jaate hain. Sadhan ki zaroorat nahi hai. Sharan mein ho gaya. Main aapka hoon. Bas samjh mein aa gaya. Bas main aapka hoon. Isse bhagwat prapti hoti hai sharanagati se. Phir aapko kah raha hoon. Phir samjh lo jeh ag bau vyyadh jim Bali sva sukanth puni keen kuchali soi kartuti vibhishan keri sapnehu Ram na tin tan he sharanagati bhagwat arpanam jeevanam ye hamara bhagwa mast agar kuch takat rakhte ho to kar lo agar takat na ho to aise ho jao aise ho jao mast jab yahan ye karna chahiye ye nahi karna chahe to sun lo aur usi samay socho ye karva lena jo karvana hai jo nahi karvana Radha vallabh shri Harivanshi Vrindavan ham aapke hain prabhu aapke hain mast aur ye siddhant hamare aaj ka nahi hai ye hamare jeevan ka hai bharosa ekmatra Priya pritam mein bas dusri koi baat nahi ekmatra bharosa sadhan ho to theek hai na ho to theek hai har samay ek parmanand main shri ji ka hoon mujhe shri ji ke paas jana meri ladli jo meri pyari jo kya kaun sa tumhen pasina chune ke baad kahe sharan mein hone wale ko pasina nahi chana parta.

pasina hai sharan ne aur unko koi shram hona nahi kyonki mahan bal ke samudra gyan ke samudra prem ke are samjho footpath mein ek ek rupya mangte ghum rahe ho asankhya pati ke ladle hokar ke matlab shadra bhogon ki taraf lacha rahe ho sukh sindhu prabhu ke ansh hokar ke are thoda garv karo is baat ka ki main priyal kahan sadhan dekhkar prabhavit ho sakta hai koi lekin aashray kaise dekhoge hriday ka? Yadi aashray dehabiman hai to kitna bhi sadhan kare zero aram se tang par tang chadaye baitha hai aashray prabhu ka usse bada koi sadhak nahi usse bada koi tapasvi nahi aap ye baat samjho prabhu ka hai prabhu ke garb mein hai prabhu ki yahi prabhu dekhte hain aashray tatv bhagwat mein hai daswa aashray sabse badi vastu hai ham bar-bar bata rahe hain isko samjh lo ye kalikaal hai tumhare banae nahi banegi banegi unhee ke banae to unhee ke gale par jao hath jaise tut jaata hai na to gale mein bandh diya jaata hai

aise ham tut gaye samarth ho kya tut gaye to prabhu ke gale par jao tumhare banae banegi ab dekh lo aap mast aapka tan bhagwat prapti karne ke liye samarth hai is tan ko prabhu ke rajistri kar do ye ye naam mein likha Priya pritam jaise rup lal hit hath bikani hamne bech diya Priya pritam ko bech diya yad rakhna tum bike hue ho bole ham aisa nahi karenge ham aisa nahi soch ham aisa nahi ja sakte nahi bhai tum bike hue kaise nahi Harishchandra chakravarti samrat hai shashan mein use kar ke liye laga diya jisne kharida tha to lage na aap bike hue ho to waise raho bik gaya ho phir nidhi pai manmani jaise rup yah bhasha hamari kam samjh mein aayegi lekin ham ye personal hriday ki baat kah rahe hain.

yah ham apne hriday ki baat kah rahe hain. Agar samjh pao to samjh pao. Jis thesak mein ham phule rahte hain. Jis thesak mein is mahan dukh ko bhule rahte hain. Usi thesak ki baat aaj kah rahe hain. Sadhan bhajan ham kai bar aapse bataya hai ki dekho aisa na samjho ki ham sadhna ko nahi jante. Brahmin ke ghar sharir paida hua to karmkand ko achchhi tarah jante hain. Gayatri anusthan naisthik brahmcharya pitr tapan balwashya dev pura yagya pavitra mooj ki mekhla 108 mooj ka muttha choti pe moonj jo pavitri jise kahte hain dharan karke Gayatri anusthan phir mahavaakya sanyaas vaishnav sanyaas mein yog pradhan hota hai to yog ka bhi prichay aur gyan gyan pradhan hota to gyan ka bhi prichay yah jo ham baat karen aisa nahi ki bas kah rahe hain bhrose mein samjho ek hai aashray aur ek hai apna sadhan ka bal sadhan ka bal maya ghasit sakti hai aashray ka nahi bahut bade pahar ki aad mein ho gaye haan bahut bade pahar ki ek bharosa ek vishwas ek as ek bal le chalo narak masti khelte chalo donon saath khele jahan khelnge saath khelnge mast ho pakki ye alag hokar tumhari durdasha hui hai unse unko saath le lo chalo jahan man ave chalo yatra yatra janm karm bhinn nar ke parme padeva siddhant ke antargat hai ham bahar nahi bol rahe dhyan rakhna aao sajan tumhen jahan manave tumhari rachna hai tumhen agar narak chalna hai to chalo ham tumhare saath chal chal rahe hain.

bole nahi tum jao tumhare karm kharab hai. Tumhare karm kharab hai. Tum jao. Ab hamara raha kya maharaj? Hamne to aapke naam property kar diya tha. Chahe vakalt karva lo. Vakalt karva lo. Ab hamara adhikar nahi jo makan dusre ko de diya. Ab us makan mein wo agar galat aacharan karta hai to maharaj jiska makan tha usne rajistri kar di. Janch kar lo. To is makan ki rajistri ho chuki. Aapko bharpai karni padegi. Ham kuch nahi. Hamne to pehle kah diya tha aapke hain ham ab sambhalo aap maharaj pakka hriday se isi mein date rahna vakalt hogi aur maharaj tumhare ham jite mukadma tumhare aur ham jite to na tod ham so na bigaran ko to so na savaran ko to bata rahe siddhant ke bilag nahi gali mein hi chalenge ek baat man lo bilkul ham hriday ki kah Vrindavan mein baith ke kah rahe hain agar tumhari samjh mein aa jae to bas samjh lo par ho gaye.

hamare tan man pran ki rajistri shri ji ne kar di. Bole likha padhi dikhao. Bole ye likha padhi hamare guru ne ki hai. Guru hain. Ham aise nahi kah rahe. Unhone mantr diya. Unhone hath pakdaya shri ji ke charnon mein rakhwaya. Ye le to bole tum tiko na shri ji ke charnon mein. Ye hawa bahut jor ki hai. Ham kaise tike samarth tum pakar lo. Jab hawa jor ki chadhti to hamare pair tikenge. Gadbad aadmi hai. Tum pakdo. Ham tum ek hi hain. Udhar se bole to yahi bolte hain. Aur idhar se ham tum ek hi kunj ke sakha hai nath.

ham bhul karke aap kis maya bagiche mein aa gaye. Aapne jagrit kiya. Ab aapki taraf muhn kiye hain. Ab aap samet lo. Aap ghasit lo. Bas yahi sar baat hai. Khub bhajan dat ke hoga ismen kyonki har samay anand rahta hai. Anand mein bhajan hota hai. Prabhu mere prabhu mere ab kya hoga? Aisa ho gaya to kya hoga? Sab kuch nasht ho jae to kya hoga? Ek second mein nai srishti rach dega hamare liye. Hamara Swami hai. Akhil bramhandon ko ek second mein rachne wala Swami na shok aur na harsh. Mal ham kah pura Vrindavan hamara pura bharat hamara to rahoge kahan ek kone mein khaoge kya char roti daal kya karoge kya khaoge bas vichar karna hai to vishv mera anant brahmand mere kyonki anant bramhandon ka Swami mera to ham phate kapde mein bhi baithe rahenge to garv mein rahenge badshah santo ko kyon kaha gaya hai chah miti chinta miti manva beparwah jinko kachu na chahiye sahan ke sah kyonki sampurn vaibhav mere Swami ka aur Swami mere.

ab kya pareshani? Jinko paas karna hai wo hamare hain. Aur Radha naam ki aisi mahima hai ki unko register faad dena hai aur age likhna nahi hai. Anukhyant vakalt sutra hai maharaj aapne kaha anukhyata madhupati maha prema param demti kya bole Radha Radha Radha isiliye ham kahte hain keval Radha Radha Radha Radha Radha sab theek ho jaega. Are bilkul samjhiye doodh pilane ja rahi jahr lagakar to param pad de diya maharaj to tum 250 gram doodh mein chini milakar thakur ji ko pilate tumhen ek bar mein bharosa nahi ho raha ki mere thakur ji mein ye param pad kyonki ek bar doodh pilaya ye bharosa na hone ke karan to bhtak rahe ho ek bar phool mala pahna di to itna ab ye katha sun rahe ho to bharosa karo na Sudama mama mali ne to mar jhonk diya puri sampatti he maharaj yahan kai sal se mala ban rahe pahan rahe hain.

baat samjho ek bar chandan laga diya to usko sundar kar diya aur hamko asundar kar denge. Hamara hriday bhi sundar karenge. Hamara swabhav bhi sundar karenge aur hamara swaroop bhi sundar karenge. Bada sundar swaroop hai. Bada sundar swaroop hai. Sundarata ki sima ka sakshat pratibimb rup hai. Swaroop aise thodi hai. Bahut sundar swaroop jo inko dekhne ave wo sundar ho jae. Ye malin panch bhautik sharir ki baat nahi kar rahe. Swaroop ki baat kar bada sundar swaroop hai. Sahachari bapu milta hai. Aisa sundar ki karodon lakshmi murchhit ho jae.

aisa shri ji ke dasi ka swaroop hai. Lakshmi koti vilaksha lakshan lasal leela kishori satai idam bhagwat arvan iske age hamen badhne ka man nahi hota. Idam bhagwat ye main bhagwat arvan 10 din ek lota shri ji ki seva mein lag jae to ham uske pair chhute hain. Sammaan se dhoke se shri ji ka patr hai aur pura jeevan bana diya tumhen. Abhi ye garv nahi ho raha ki shri ji ka patr seva ka are samjho yar wahi hai he hai hai wahi rona dhona kab tak rote dhote rahoge is baat ke roye shri ji ke prem mein wo baat to theek hai hamara kalyan ho jae hamara udhar ho jae hamara man nahi lagta hamen kam satata hai hamen krodh sata koi rona jo satata hai udhar dekho he aapke makan mein ho raha hai ham raji hain ham to pehle hi raji the anant janmon se raji ye to tumne sikhaya ki ismen raji nahi hona chahiye.

nahi ham to raji the hi aur raji hain. Aur agar aap chhut de do na to raji hi raji hai. Hamko kya pareshani hai? Ham to narki jeev hai hi hai. Maharaj aapne sikhaya ki ye galat hai. Ab aap sudharo hamare hriday mein jo ave bahut zyada rone dhone ki zaroorat nahi hai. Kabhi-kabhi pranay kop karne ki bhi zaroorat hai. Chatta sudhar jaata hai. Hamne dekha hai. Kabhi-kabhi pranay mane hota hai prem. Prem se bhi aap yahi to wo chah rahe hain ki aap unki taraf dekhkar thoda to thoda to aap apnapan dikhao. Ismen apnapan hota hai.

ek chhota bachchha maa ko aise chapat mar deta hai. Kya maa ke hriday mein gussa aati? Maa ko aur dular aata hai. Koi nahi koi nahi. Aise dular karegi. Chhota bachchha apne pita ke saath dadi nochta hai, mochh nochta hai. Usko apman lagta hai kya? Usko khushi hoti hai. Mera bachchha hai. Aise jab ham prabhu se ki prabhu aapko sarvasv accha batao kar kya sakte ho? Kya kar sakte ho hamen? Aap koi batao ek ruu agar gir jae to dobara laga nahi sakte. Ek ruse kahte hain. Tum kar kya sakte ho? Tum palak jhapakna swabhavic ise rok nahi sakte.

kya kar sakte ho tum? Kuch nahi kar sakte ho. Keval ahankaar kar sakte ho, apna bura kar sakte ho. Bas itna ham jarur bata rahe hain. Ahankaar kar sakte ho, apna bura kar sakte ho. Main kuch kar sakta hoon. Ahankaar vimutma karta manti aise ho jao. Jo bhi satkarma ho raha hai, jo bhi kriya ho rahi hai, aapke bal se ho raha hai. Agar hamse kuch bura ho raha hai to usko aap sudharo maharaj. Mere bas ki baat nahi. Apni baat hriday ki kah raha hoon. Jab tak sudharne ki koshish ki bigadte gaye aur jab sudharne ki himmat hi nahi rahi to sudhar gaya.

sharnanand ji yahi se mahan sant hue. Agre se yamuna ke kinare ja rahe the to pragat netr to pragya chaksu the to lathi ke sahare aur wo ek darar phati hui thi. Ab unko to pata nahi tha jham se jakar ab na ab aankh ho to samjh mein ave ki kis disha ki taraf chale ab aankh to thi nahi lathiya bhi girne par chali gayi thi to bas andar se bhagwan ki sharan ki ab akhiri samay hai mujhe kuch pata nahi kidhar jana hai matlab hath pair mare to aur dariya ki taraf jae to bas aise he bhagwan aapki sharan mein bas pata nahi kaisa hua kinare aa gaye lathiya bhi mil gaye are unka ye lathiya dene wala kinare lane wala wahi hai sharan itne vishuddh gyani the ki pujya shri Swami Ram sukh das ji

maharaj unka udaharan diya karte the pujya manav seva san ke jo sharnanand ye sari baten yahi se banti hai jiski bani hai yahi se bani hai aur iske siva ban nahi sakti banegi to yahi se banegi mame prapaddyate maya menta tarte chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran man lena ye sharanagati ki kaisi bhi paristhiti ho bar-bar unhee ki taraf dekho shyama Shyam ki taraf wahi sab sambhal lenge aur Radha Radha koshish karo chhutne na pave naam haan aur masti mein raho ye ghiyana manushya janm anand ke liye mila hai anand

parmanand vigyanand ghan Premanand ghan ye mila hai zyada ghagiya mati hamare isht hai unhin ka sara vaibhav hai kisi aur ka nahi hai jitne bhi lokpal jitne bhi adhikari hain sab unhee ke hain isliye isliye darne ki baat nahi. Prasang chal raha hai. Bhagwan shri Krishna chandra jo Balram ji Sandipni ji ko guru pad mein virajman karke samasth vidyaon ko grahan kiya. Kal aapne suna phir kaha guru guru ko guru dakshina dena aniwarya hota hai. Agar Gurudev ko santusht na kiya jae to har vidya har mantr nishphal ho jaata hai.

chahe jitni unchai par chadha ho. Jaise aapne dekha sanjivni vidya ke liye Brihaspati putr Kachchh Shukracharya ji ke yahan gaye the to unhone kaha ki Gurudev aapne to sanjivni vidya de di aur aapki kripa se wo hamen kanthsth bhi ho gayi. Uska prayog bhi sahi hai. Ab aap guru dakshina bataiye. Mangi jati thi. Gurujanon ne aisa bahut mahabharat mein to bahut jagah varnan hai ki diksha purn hone ke baad agyaa kijiye ki aapki kya ichchha hai jiski main purti kar sakun. Unhone kaha hamari ichchha hai hamari putri ki ichchha ki purti karo.

aur putri ne galat bhav rakha ki aap pati to unhone kaha nahi aap hamari guru putri hai na aisa bhav saap sweekar kar liya lekin aisa unhone to yah pratha chali aa rahi thi. To unko pata tha ki sarvlok maheshvar bhagwan hai Sandipni ji ko to unhone kaha hamen to guru dakshina kya aap apni guru maa se pooch lijiye to unhone kaha ki hamara putr samudra snaan karne gaya tha wahan padhar gaya tha aap usko le aao bhagwan samudra ke paas gaye samudra ne dekha swayam bhagwan aae hain turant hi aa gaya kyon aa gaya jante ho prichay prapt hai usko Rama ramavtar mein teen din teen raat vrat rah ke hath jode baithe rahe shri Ram ji nahi samudra nahi aaya bhagwan Ram ji gaye teen

din bit to bole Ram sakop tab bin bhay hoe na priti lakshman baan sarasna sos viksanu la agni baan abhi sokte hain iske hath jodne ki zaroorat nahi kanak thaar bhar mangan nana vipr rup taj matrahma to wo janta hai ki wahi Ram hai wahi Shyam hai to jo hi Krishna aur Balram aae to jante the Ram lakshman ke rup mein treta yug mein yahi Dvapar mein Krishna Balram bane to fouran aa gaye pehle hi maharaj dandvat puja samudra tumne hamare guru putr ko duboya hai bole hamare paas to nahi hai shankhasur rah shayad usne bhagwan shankhasur ka vadh kiya.

panchjan naam ka shankh bhagwan ke kar kamal mein virajman hua. Phir bhagwan Yampuri gaye. Yamraj ji se kaha ki hamare guru putr ko lakar do. To sanyamni Puri mein bhagwan ka aadar pujan karke unhone apne guru putr ko pradan kar diya aur guru putr ko lekar guru mata ko diya. Phir wahan se bhagwan prasann mudra mein apne Gurudev ka ashirwad prapt karke Gurudev ne kaha tumhari padhi hui vidya is lok aur parlok mein sada naveen bani rahe kabhi vismrit na ho. Guru ji se agyaa lekar vayu ke saman veg aur megh ke saman shabd wale rath par savar hokar shri Krishna aur Balram ji Mathura laute.

Mathura ki praja bahut din jinhone anya baten suni hai aur wah prashn karte hain ki guru ke bina kalyan ho jaega to unko ye sunna chahiye ki jagat guru bhagwan shri Krishna jinki swason se ved prakt hua jab wo guru banate hain to tum to jeev ho chahe shiv winch sam hoi guru bin bhindhi tare na koi Gurudev ka ashirwad lekar donon bhai Mathura laute Mathura ki praja praja bahut dino tak shri Krishna aur Balram ko na dekhne se atyant dukhi ho rahi thi. Ab unhen aaya hua dekhkar sab ke sab parmanand mein magan ho gaye.

mano khoya hua dhan mil gaya ho. Bade anand se bhagwan shri Krishna aur Balram Mathura Puri mein hai. Brishwanshiyon mein ek bahut gyani Brihaspati ke shishya Uddhav ji the. Unka gyan Brihaspati ji ke saman hi tha. Unki mahima ke sambandh mein isse badhkar aur kaun si baat kahi ja sakti hai ki bhagwan shri Krishna ke pyare sakha aur pradhanmantri the. Koi mantrana karni hoti to bhagwan Uddhav ji se karte the. Ek din sharngat ke sare dukh har lene wale bhagwan shri Krishna ne apne priy bhakt aur ekant premi Uddhav ji ka hath apne hath mein lekar kaha baten thi ki bhagwan shri Krishna ekant mein apne braj janon ka smaran karke ro rahe the to Uddhav ji achanak pahunch gaye.

Uddhav ji ne dekha bhagwan shri Krishna ke netron mein aansu to bhagwan se kaha ki prabhu aap ro rahe hain. Yah bada ascharya ki baat hai. To bhagwan ne kaha hamare jo brajvasi jan hai gopi jan hai wo hamare virah mein rudan kar rahe hain. Isliye mujhe rona aa raha hai. Yatha mam prap bhajam yadi koi ro karke bhagwan ka bhajan karta hai to ro ke bhagwan uska chintan karte hain. Dekho yudhishthir ji yuddh samay mein kisi karya hetu bhagwan ke shivir mein gaye to dekha bhagwan Padmasan lagae dhyansth the. Bada ascharya hua ki sara jagat ke yogi mahatma bhagwan ka dhyan karte bhagwan kiska dhyan karte hain?

jab dhyan se bahar dasha mein bhagwan to yudhishthir ji ne prashn kiya ki prabhu aap kiska dhyan kar rahe the? Ham sab to aapka dhyan karte hain. To unka sir saiya mein pare hue Bhishma ji unka main dhyan kar raha yatha mam prapte to Uddhav ji ka hath apne hath mein liya bhagwan shri Krishna ne aur kaha tama bhagwan prasham bhaktim kachit gwana pan prapna haro hari ga brajam saumy pitra preetima gopi naam mad mat sandesh vimoch sharngat ke sare dukh har lene wale bhagwan shri Krishna ne apne priy bhakt ekantik premi Uddhav ji ka hath apne hath mein lekar kaha saumy shabha Uddhav tum yadi braj mein jao wahan gopiyon ko samjhao unka rona band ho jae to mera rona band ho jaega.

wahan mere pita mata nand Baba aur Yashoda maiya hai unhen aandit karo. Gopiyan mere virah ki vyadhi se bahut dukhi ho rahi hai. Unhen mera sandesh sunakar unko vedna mukt karo. Pyare Uddhav ta man manas ka bhagwan gopiyon ki sthiti ka varnan kar rahe hain. Ta man manaska mat prana mad takt dahika ye bahut uttam sthiti hai. Ta man manas ka gopiyon ka man ta mane gopiyon ka man manas ka man nirantar mujh mein laga rahta hai. Ye bhagwan kah rahe hain gopiyon ka man nirantar mujh mein laga mat prana main unka pran hoon kyonki unhone apne pran mere ko samarpit kar diye hain.

madar the tyakta dahika unka jeevan unka sarwasway hoon kyonki unhone madar the mere liye apne pati putr deh sage sambandhi sabko chhod diya hai ye hai gopi ki sthiti ta man manas ka gopiyan mere man wale nirantar mera bhajan karti mat prana unhone apne pran mere ko samarpit kar diye main unka pran hoon aur madakta dahika mere liye unhone apne deh sambandh pati putr desh sage rishte nate sabka tyag kar diya hai. Mamev datam prash mahatum mansagta yet lok dharma madat vibh unhone apni buddhi mujh mein laga di hai.

mujhko apna pyara mante hain. Nahi nahi apna pritam nahi mujhe apna atma apna sarvasv manti hai ye baat dhyan dijiye bhagwan ke ye takt log dharm madanam ye mera vrat hai jo mere liye laukik parloulik dharmon ko bhi chhod dete hain unka bharan poshan main karta hoon samjh lo laukik parloulik laukik aur vaidik parloulik vaidik sahab bas hamare shyama Shyam hamare main unka swayam bharan poshan karta hoon ye masti ka baat mata prasa pre durasthe gokulasta ye shlok hamare pujya Gurudev bhagwan ladli kunj mein bhi likhe the aur wo jo chhoti kutia thi mame datam prash matman mansagta yet lok dharm mein ham Gurudev bhagwan likhe the aur is par bahut jor dete the kyonki upar wala to gopiyon ki sthiti ta man manas ka mat prana takt deh ka dusra ye ki ye takt lok dharmas jo lok aur parlok donon dharmon ka tyag kar dete ho mere bhrose ho jaate hain unka pura bhaar main le leta hoon.

kahe ko bhaar liye? Jai Radha. Jai swamini ki. Priy Uddhav main un gopiyon ka param pritam hoon. Mere yahan chale ane se mujhe durastha manti hain. Wo mera smaran karke atyant mohit ho rahi hai. Bar-bar murchhit ho jati hain. Ve mere virah ki vyatha se viphal ho rahi hai. Pratikshan mere liye utkanthit rahti hai. Uddhav meri gopiyan, meri preshiyan is samay bade hi kasht aur yatna se apne prannon ko kisi prakaar rakh rahi hain. Kyonki maine unse kaha tha ki main aaunga. Wahi shabd unke jeevan ka adhar hai.

Uddhav aur to kya kahun main hi unki atma hoon. Ve nitya nirantar mujh mein hi tanmay rahti hai. Shri Sukhdev ji maharaj kahte hain parikshit jab bhagwan shri Krishna ne yah baat kahi to Uddhav ji bade aadar se apne Swami ka sandesh lekar rath par savar hue aur chal pare braj ki or. Param sundar Uddhav ji suryasta ke samay nand Baba ke braj mein pahunche. Us samay jangal se gaue laut rahi thi. Unke khuron ke aghat se itni dhul ud rahi thi ki Uddhav ji ka rath dhak gaya. Brajbhumi mein bahut se sandon ki garjan ho rahi.

bahut si gaye phanon ke bhaar se dabi hui apne bacchhron ke saath daud rahi. Safed rang ke bachhde idhrudhur uchal kud machate hue bahut hi bhale malum ho rahe hain. Gay dhone ka samay hai to ghar ghar aise gay dhone ki dhvani aa rahi kahin bansuriyon ki dhvani badi apurv shobha braj mandal ki. Gopi aur gop sundar sundar vastr tatha gahnon se saj dhaj kar shri Krishna tatha Balram ji ke mangalmay charitra ka gaan kar rahe hain. Is prakaar braj ki shobha aur bhi badh gayi thi. Gopo ke gharo mein jagmag jagmag deepak aur roz pushpo se sajaya jaata tha.

pata nahi kis din bhagwan aa jae. Bhagwan ne kaha main aaunga. Aise manohar graham se sara braj aur bhi manoram ho raha tha. Charon or van panktiyan foolon se lad rahi thi. Pakshi chahak rahe the. Bhare gunjar kar rahe the. Jal sthal donon hi prakaar ke kamal khile hue the. Hans batakh mor ye sab pakshi vihar kar rahe the. Bhagwan shri Krishna ke pyare anuchar Uddhav braj mein aae. Nand mahal ke samne rath khada kiya. Nand Baba ne dekha accha koi aur hai. Accha Uddhav ji hai. Prasannit unse mile. Ek bar to laga ki shri Krishna aa gaye kyonki waisi hi poshak vaisa hi Shyam rang aur rath par savar to ek bar to sabko lagta tha prabhu aa gaye kya?

accha nahi prabhu nahi. Uddhav ji ko gale lagaya. Jaise bhagwan shri Krishna ko pyar kiya karte the waise hi Uddhav ji ko pyar kiya. Sundar bhog pavaya. Aram se palang par jab baith gaye sevkon ne pankha jhal ke Uddhav ji ki thakavat dur ki. Tab nand Baba ne unse pucha kachchadang maha bhag sakha sur nandan aste kushal pya yukto mukt sudat param bhagyawan Uddhav ji hamare sakha Vasudev ji jail se chhut gaye hain. Unke atmeey swajan putr aadi unke saath hain. Us samay sab kushal se to hai na. Bade saubhagya ki baat hai ki papi kans apne papon ke karan anuyayiyon ke saath mara gaya.

kyonki swabhav se hi dharmik aur sadhu purushan se dves karta tha. Accha Uddhav ji. Sab baten to alag rahi. Kya ekant mein kabhi shri Krishna ham logon ki yad karte hain? Yah unki Yashoda maiya hai. Aisa kabhi yad karte hain? Ham swajan sambandhi aise kabhi baat karte hain? Unke sakha, unke gop, unhin ka sarvasv manne wale ye braj, unhin ki gaye, unhin ka Vrindavan, unhin ka giriraj kya kabhi inka smaran karte hain? Baba aisi baat kahte kahte as purit ho gaye. Kahne lage Uddhav sahi batao kya hamare Govind kabhi yahan aaenge?

ek bar bhi main unko dekh paunga. Kya wo apne braj mein kabhi aaenge? Ek bar Uddhav sahi kahte hain. Yadi ve yahan aa jaate to ham unki wo sugh nasika unka madhur hasy manohar chitvan se yukt mukh kamal dekh lete waise to bahut udaar hai wo unki shakti anant hai kyonki hamne dekha unhone davanl se andhi pani se vrishsur se ajgar se bahut mrityu ke nimit ham brajvasyon ke aae unhone tala ek bar nahi anekon bar hamari raksha ki Uddhav kya is bar wo hamari raksha nahi karenge virag se ham sab virah se jal rahe hain ham shri Krishna ke vichitra charit unki vilas purn tirchhi chitvan unmut hasy madhur bhashan aadi ka smaran karte rahte hain aur ismen tanmay ho jaate hain.

ab hamse koi kam kaj nahi hota. Bas har samay wahi shri Krishna muhi ki wah leela Uddhav ji jab ham dekhte hain ki wahi yamuna ji hai jismen shri Krishna Balram jal krida karte the. Yah wahi giriraj ji hai jise unhone apne ek hath par utha liya tha ham sab ki raksha ke liye. Yah wahi kunj nikunje hain. Yah wahi van hai jahan shri Krishna gaye charate hue bansuri bajaate the. Yah wahi sthan hai jahan ve apne sakhaon ke saath anekon prakaar ke khel khelte the. Uddhav sampurn Brajbhumi unke charan chinh se yukt hai.

abhi mite nahi hai charan chinh to un charan chinnon ko dekh dekh kar hamara man shri krishnamay ho jaata hai. Ismen sandeh nahi shri Krishna aur Balram koi dev shiromani bhagwan hai. Main janta yah bhi manta hoon ki devtaon ka bahut bada prayojan siddh karne ke liye wah avteerna hue hain. Swayam bhagwan gargacharya ji ne mujhse aisa hi kaha tha. Jaise sinh bina kisi parishram ke pashu ko mar dalta hai. Waise unhone khel khel mein hazaron hathiyon ka bal rakhne wale koliya pe garjaj ko pahalwanon ko aur kans ko mar dala.

unhone teen taal lambe atyant dridh dhanush ko tod dala. Jaise koi hathi kisi chhadi ko tod dale. Hamare pyare shri Krishna ne ek hath se sat dino tak giriraj ji ko uthae rakha. Yahi sabke dekhte dekhte khel khel mein unhone pralamb dhenuk arishta tanavar bakasur aghasur bade-bade daitya ko mar dala. Jinhone samasth devtaon aur asuron par vijay prapt kar li thi. Aise rakshasaon ko mar dala. Parikshit nand Baba ka hriday to waise hi bhagwan shri Krishna ke anurag rang menga hua tha. Jab is prakaar ve unki lilaon ka ek ek smaran karne lage tab to unke hriday mein prem ki baadh aa gayi.

vibhal ho gaye aur rudan karne lage. Unka utkantha bhara awaz hi nahi nikalne lagi. Romach ho gaya. Aansu bah rahe hain shri Krishna ke dhyan mein magan Uddhav ji ne Baba ka yah prem maiya ka yah prem dekha thodi der ke liye Uddhav ji bhi vichar magan hai ki aisa prem abhi to gopiyon ka prem dekha hi nahi keval Baba ka prem dekha age samasth brajvasi goe gopiyon ka prem ka varnan karte hain shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi