॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

brahmcharya kyon itna mahatwapurn hai? / Damodar ashtak ka varnan evam kuber putro ka udhar 05/10/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrindavnesheshwari tav padarvindm prema makrand raso purnam had itam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navnidhit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy pran priy shri yugal sarkar shyama Shyam samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parkar kotish naman kotish charan vandna namaskaar pyare jo pyare jo ki ahtu ki kripa baras rahi hai. Ham us kripa ka aadar karen.

aadar karna hai. Jo hamen bhagwat sambandhi sadhna sambandhi jankari prabhu ki kripa se hui hai. Ham usko prayog mein lave. Ham mein wah samarth hai. Apne samarth ko ham bhul gaye hain. Sant jan shastr gurjan usi samarth ko jagrit karte hain. Wah aap mein hai. Jo jeevan mukt mahapurushon mein samarth hai wahi aap mein hai. Aap bhul gaye hain moh mein. Bhogon mein, sharir ke abhiman mein, laukik jagat ki chakachaundh mein apne swaroop ko bhul gaye hain. Apni shakti ko bhul gaye hain. Yah satsang yah shastr, swadhyay usi shakti ko jagrit karta hai.

aur usi shakti ke bal par ham kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar, bhookh, pyas, jara, mrityu, moh in par vijay prapt karte hain. Agar ham inke prati mitrvat bhav rakh ke inki agyaa ka palan karenge to hamara sarvnash ho jaega. Lok parlok sab nasht ho jaega. Aise aacharan kara dete hain jahan man panch gyanendrriyon ke saath milkar ke in thagon ka sang kar leta hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar bas phir durgati prarambh ho jati hai. Aisi agyaan ke dwara swaroop vismriti ho jati hai ki hamko lagta hai ham sharir hi hain aur ham kabhi marenge nahi.

dusron ko ham dah sanskar karke ate hain. Par ham yah gyan nahi lete ki yahi dasha hamare sharir ki honi hai. To hamko aisi sadhna karni hai ki ab hamen in panch bhautik shariron mein na ana pare. Divya chidanandam mein deh se yukt hokar jismen na budhapa hai na vikar hai na bhookh hai na pyas hai na garmi hai na sardi hai na durgandh hai bahut divya chidanand us sharir se shri ji ki seva mein Priya pritam ke samip ham rahe ham aisa sadhan karen jo gurjan updesh karte hain uske anusaar yadi ham sadhna karenge to hamare asadhan mit jaenge aur shri ji sadhna mein shramit dekhkar hamen karuna karenge aur apni karuna se hamen bhav deh pradan kar denge.

jeevan mukt mahapurushon ke liye bhi jo agamya vastu hai wah hai prem. Priya pritam ka prem. Kabir das ji maharaj kahte hain dhai akhar prem ke padhe so pandit hoe. Agar prem jagrit ho gaya to sab shastr swadhyay sab sadhna safal ho gayi. Agar prem jagrit na hua to phir sab vyarth raha. Kah rahe hain ki param epi samasth shastr jaldhar yatar teti vyaa shrot parmottamattamya prajya na Vrindavane jo samasth shastr rupi samudra ko par kar chuka hai arthat samasth shastron ka jise gyan hai par bhagwat prem nahi hua to kahte hain uska swadhyay hai ki mujhe jeevan muktata mile mujhe mangal kuch nahi prapt hua use sab shastron ka gyan hai par bhagwat prem nahi to yahan to jo likh rahe hain wo kah rahe hain na pragya arthat murkh hai wo agar prem jagrit nahi hua to sab shastr swadhyay kiye hue wo agya hai.

wo agyani hi hai. Aur agar prem prakt ho gaya to sab shastr swadhyay safal ho gaya. Goswami ji kah rahe hain jog kujog gyan agyanu jahan nahi Ram prem pradhanu yadi hriday mein prem nahi jagrit hua pradhan vritt prem nahi bani to jo kujag ashtang jo wo kujag hi raha gyan agyanu samasth shastron ka gyan wo agyaan hi raha agar bhagwat prem nahi prakt hua so sab dharm karm jar jau jahan na Ram pad pankaj bhav wo dharm karm mein aag lag jae jo bhagwat prem pradan na kar sake arthat dharm ki sarthakta bhagwat bhav karm ki sarthakta bhagwat bhav jog ki aur gyan ki sarthakta bhagwat bhav bhav arthat prem shripad kah rahe hain ae te [gana gane ki aawaz] tatr varn matrak vidodha namta sarwaj sakalta partram Vrindavan ye vidu jo yah jaan chuka ki jeevan ka lakshya param tatv bhagwat prem hai.

wah is jagat mein sarvshresht ho gaya. Usne samasth shastron ka phal prapt kar liya. Wah samasth sarvagya purushan dwara vandneey ho gaya. Prem shave deh vachnam deh sva kamini Rupa na patangwan patre chaksu pramadapi jise prem prapt karna hai. Prem mein sabse badhak bhav kam hai. Yahi ek jod ka bhari dushman hai prem ka. Aur to sab chhote-chhote hain. Agar prem ka koi dushman hai to kam hai. Isliye mahapurushon ne kam andhkar prem nirmal Bhaskhar. Jahan kam tahan Ram nahi jahan Ram nahi kam. Yah kam bahut jor ka shatru hai.

chhota mota nahi. Bahut jor ka hai. Sab shastron ka gyan hai. Kaise bachna chahiye? Yah mithya hai. Are ye to malmutr ka bhand hai. Sharir par usi mein rati. Yahi bhagwan ki prachnd maya hai. Are ye to sab bhagwan ki maya hai. Ise chodo. Yah swapna hai brahm satyam jagan mithya Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna updesh apne log kar rahe hain aur sthiti usi sapne mein hai. [nak se ki jane wali aawaz] sthiti jahan updesh hai wahan hona yah bahut durlabh baat hai. Shripad pehle shlok mein varnan kar rahe hain ki sab shastron ko kanthsth kar liya.

bhagwat prem nahi to bekar jeevan wahi sarvagya hai wahi prashansniy hai wahi mahapurushon dwara adaraniy hai jiske hriday mein bhagwat prem jagrit hua ab bhagwat prem jagrit mein sabse badi badhak bhav jo kam vritti hai yah hai hriday saras hua dravit hua aur sanyog ban gaya to rok nahi payega agar naam jap hai aur bhagwan ki kripa hai aur bhakti ka ahankaar nahi hai. Yah bhi baat samjh lo. Pujya bhai ji se hanuman prasad podar ji se kisi ne prashn kiya ki bhagwan ka sharanagat bhakt hai aur phir bhrasht kyon ho gaya?

bhagwan kahte hain karo sada tinke rakhwari ji balak rakhe mahatari. To bhai ji ne kaha bahari pradarshn se sharanagat hai hriday se nahi. Dusri baat usko ahankaar hai. Ek hota hai pakhand dikhava ki ham nach kud rahe hain, sab kar rahe hain. Lekin itna bhi sambandh bhagwan se nahi hai. Keval bahari keval bahari bada vichitra khel hai bhakti ka aur maya ka. Donon bhagwan ki Priya hain. Agar bhagwan ki Priya bhakti hai to mam maya dutya meri maya hai. Sahi dhang se chaloge antarjami bhagwan jante hain aapko bacha lenge.

pakhand karoge mare jaoge. Damb karoge to badhiya vyvastha kar denge bhogon ki. Maro usi bhogon mein shripad kah rahe shant swaant mave deh vachan deh kamini shant raho. Apni indriyon ke veg ko saho. Kam aa raha hai. Radha Radha Radha Radha Radha Radha ye mobile bahut jahr hai bhai. Bahut se bachchon ko nasht kar raha hai. Bahut sudhar bhi isse hota hai. Satsang suna jaata hai. Avashyak phone aadi avashyak karyo mein bada prayog mein ane wala yantr hai. Dhanyavaad bhi hai. Par iska jo kuprayog karte hain bahut hanikarak hai.

yah Prahlad ji ne bhagwat stuti mein kaha ek kam vedna ek khujli si hai. Nai daad jaise ho na khujlao to bada accha lagta hai. Lekin baad mein jab wo phavti hai aur jalan paida karti hai. Shakti pat mein tumhen sukh mil raha hai. Uske rokne mein kitna sukh hoga? Ek adbhut nasha rahta hai. Uske rokne mein ek adbhut ojsita rahti hai. Ek tej rahta hai. Naujawan kamar mein dard ho raha hai, ganth mein dard ho. Agar aap gandi baten mobile mein dekhoge to din bhar ekant mein bhajan ki jagah yahi karoge. Man lo bahut man vichitra hai.

jo dekhta hai jo sunta hai wahi manan hota hai. Jo manan hota hai wahi kriya hoti hai. Hath jodkar prarthna hai. Mobile se sad prayog karo. Asad prayog mat karo. Nahi nash ho jaega. Jab samne tum gandi baat dekhoge to tum kaise rah sakte ho? Vichar karke kaise rah sakte ho? Isliye sabke paas mobile ab aisa na nishedh dekho kaisi chal se bheja gaya jahr na nishedh kar sakte ho isko ki ab nishedh karo to bahut si sevae hain jo usi ke ashrit hai mobile ke hi ashrit hai aur nishedh na karo to ab yah sab baat hai aur smart ke niche koi rakhna nahi chahta shripad kah rahe hain agar prem prakt karna hai to shantwe deh vachnam deh kamini rupag na patang van patre chaksu pramadapi jaise patanga tej ke lobh mein jakar apne ko jala deta hai.

aise ye kam ka lobh jo hai sarvnash kar deta hai. Bade-bade gyanyon ka. Agyaniyon ki to baat hi nahi hai. Gyan naam chetsi devi Bhagwati hasa balada Krishna mohay Mahamaya prakshati Mahamaya he nath main aapki sharan mein hoon raksha karo aur har samay Radha Radha Radha Radha to bachne ke chans hai aur ye gandi baten dekhna gandi baten karna ye sarvnash hai ye bachchon mein aise fail raha hai virus sa ki tarah yah jo hast kriya hai bachchon mein aise fail raha hai virus ki to yah bahut hanikarak hai. Kam ka jo swaroop hai wah tumhare hriday mein mathan karega par uska prayog na karo to shant ho jaega.

ye iski prakriya hai jitne ki. Jaise jalan hui bahut andar ekant ho jao. Shant ho jao. Shant swaant mave savdhaan Radha Radha Radha ladli ju kripa karo he karunamay Krishna kripa karo aapko bal milega dekho bahut pharratedar satsang ki baten ham aapko batte jae aur niv aapki kamzor hai to kuch pakar mein nahi aayega. Dusri baat madhukri ki roti pai uska alag prabhav dekha. Ghar mein ek ghar mein baithkar ke prasad paya uska alag prabhav dekha aur bhandare ka prasad jo banta hai accha accha gulab jamun ye wo pa ke dekha alag prabhav bhukhe rah ke dekha uska alag prabhav parta hai.

yadi aap bhajan mein dubna chahte hain to satogun ki zaroorat hai. Aur satogun ke liye satvic bhojan ki zaroorat hai. Satvic bhojan ke liye roti, daal, sabji paryapt hai. Isse udar poshan karna hai. Mitha ek pees bahut se bahut brahmachari ko khatti vastu adhik mithi vastu garishta vastu phool gobhi chaval dahi kai aisi mungaphli aur drai phroot sab ye sab band bimar ki tarah bhojan brahmachari ka hota hai. Halka bhojan, satvic bhojan, achhche-achhche padaarth paoge to bhajan niras hoga aur niras bhojan paoge to bhajan saras hoga.

kitni bar suna hai? Kaun dharan karta hai? Shantam swantwe deh vachan aisa nahi prabhu ki ham aapko updesh kar rahe ho aur ham rasgulla chhan rahe ho. Aisa nahi hai. Sachchi maniye agar aap hamare bhojan ko dekhenge to aap yahi kahenge ki aisa bhojan to ek sadharan aadmi bhi nahi karta. Namak thoda ghee rakh liye zyada nahi aur roti se aise ya thodi sabji thodi daal isi se hamara chalta hai. Aur to yogya hi nahi rakha. Yahi jeevan ki badi leela vichitra hai ki jab pane layak the to tha nahi aur jab hai to pane layak nahi hai aur badi bhagwan ki vishuddh kripa hai bahut vishuddh kripa hai bhagwan ki jab pratikultaa ke dwara jeevan mein bhajan ki vridhi ki jae pratikultaa se hi bhajan ki vridhi hoti hai bilkul samet ye dekho ye sharir tum nahi ho man lo ye indriyan tum nahi ho man lo jab nahi mante to mere bhagwan wahi sab anukulta de dete hain jo aap chahte ho jo ichchha kar man mahi hari prasad kachu durlabh nahi shant kitna anand hai shant aap baithe hue bhagwat chintan paraayan ankhon se ashu jara kabhi lalchao aise sukh ke liye vachnam de kamini Rupa na patang van patre chaksu pramadpi netron se chaksu pramada dape yadi matao bahno ki taraf gandi drishti se dekhoge mobile mein gandi drishti se wo sab dekhoge bahut kalyug ka vichitra swaroop hai yah jo mobile hai bahut sadhna mein bahut hanikarak hai bahut hanikarak hai agar aap indriy vijay ho to bahut sahayak bhi hai.

rakh diya mahapurushon ke vachan. Kan mein sun rahe hain, mala chala rahe hain. Bahut sundar sayog hai. Ek se ek mahapurushon ke vachan aap sun sakte hain. Lekin indriy vijay nahi hai tab to bahut badi hani hai. Aur isse bacho bhai isse bacho. Bachchon isse bacho. Agar kisi ko galat kriya ka abhyaas hai to niyam lok yah kasam khane se dridta purvak kasam khane se chhutta hai jo jo karta ho bachchha ho koi bhi ho kasam khao aaj ki main apne hath se kabhi bhi koi aisi cheshta nahi karunga andar hi andar swikrati kar lo kyonki yah bahut hanikarak hai bhai bahut hanikarak bahut hanikarak hai.

jo is kriya ko karte hain, wah grahasti mein jane layak nahi rah jaate kyonki unki nas nadiyan itni nasht ho jati hai ki wo soch matra se grahasti ke yogya nahi rah jaate. Wo jahan chintan kiye tahan wo grahasti ke layak nahi rah jaate. Aisi kamzori ho jati hai. Isliye grihasth aur virakta donon ke liye yah hast kriya bahut hanikarak hai. Iska kahin pravachan nahi hota. Iski kahin charcha nahi hoti aur yah bahut hanikarak hai. Na bachchhe mata-pita se bata sakte hain na mata-pita bachchon se pooch sakte hain.

jisse niv majbut hoti hai wahi niv barbad kar doge to kaise banega? Rupag na patang van nipre chaksu pramada yah jo rup sundar lagta hai yah keval kshnik hai. Koi sundar nahi. Thoda to ankhen kharab isliye sundar dikhayee deta hai. Sundar wo hai jo sundarata ki sima ka bhajan karta hai. Prabhu ka bhajan karta hai. Jiska hriday sundar hai. Rup sundar ho na sundar ho wo sundar hai. Jiske vichar sundar hai. Jiska charit sundar hai. Jiska bhav sundar wo sundar hai. Ye chamda sundar thodi hai. To ek aae the. Kahti kahti main khush nahi hoon.

vishv ka har sukh hamare paas hai. Kahti main khush nahi hoon ki sab kuch hamare paas hai par ham khush nahi hai. Ham aapse poochne ai kyon? Tum kaha shri Krishna tumhare jeevan mein nahi hai. Isliye tum khush nahi ho. Jiske jeevan mein bhagwan nahi hai wo kabhi khush nahi ho sakta. Brahm bhuta prasann atma na soch na ka bhagwan jiske jeevan mein hote na koi soch hai na koi chah hai ek adbhut anand o pati push poshay dosh kare apna nash mat karo jeev apna swayam nash karta hai apna udhar swayam kar a so pisto push isiliye bahut bahut savdhani ki zaroorat hai.

bahut savdhani ki zaroorat hai. Bahut kuch dekha hai is sansaar mein. Bahut kuch dekha hai. Bhramn karte the na bachchhe the na bahut kuch chupchap shanti se kahin bhi kisi bhi jagah bahut dekha hai. Ye dum ye natak ye pakhand bhagwan se bahut dur kar deta hai. Sachchai se chalo. Ek ek kadam mein anand ka anubhav na ho to mujhe batana. Are yar jab chal hi rahe hain bhagwan ki taraf to sachchai se kyon na chale? So na pistosh kya tumhen pata hai ki aaj hi mar sakte ho ya kal mar sakte ho phir paap kyon karte ho kyon aacharan bigad rahe ho kyon apne man aur indriyon ko chhut de rahe ho poshay dosh kare is sharir se dosho ka poshan kar rahe ho kuriya sangam abhang vas niymo Vrindavan gata mahapurushon ka sang karo dham aadi ka sevan karo karo.

bhagwan naam japte hue apni indriyon par vijay prapt karo aur mangalmay prabhu ke dham chalo. Ye bahut ho gaya sansaar ka khel khelte hue. Thoda to himmat karo. Thoda himmat karo. Ye aise kriyaen hain ki aap yah bhi kah sakte hain ki main karta nahi hoon. Ho jaata hai. Kyonki jab abhyaas siddh ho jaata hai to phir karna nahi parta. Phir hota hai chahe wo bhajan ho chahe wo sansaar ki kriyaen ho siddh aadmi jo bhajan karke bhagwan ka hota hai na uski divya leela chalti hai wo baat karta hai bhagwan aur jo prapanchi hota hai wo bhi siddh hota hai wo sote samay jagte samay bhi gali galauj sansaar ki baten wahi uske wo bhi siddh hua hai kyonki jeevan bhar wahi kiya hai to jaise budha aadmi ne dekha to laga kisi se baat karke akele mein baat kar raha hai.

akele mein apne aap mein baat kar jaise siddh purush apne aap mein baat karte hain bhagwan se aise wo prapanch mein khoya hua hai. Aise hi ye galat kriyaen bhi siddh hoti hain. Phir hatana mushkil hota hai. Par paripakva avastha aa gayi abhyaas ki to galat kriya hatana bahut mushkil hota hai. Isliye abhi aaj jo jo satsang mein baitha hai wah agar in galat kriyon ko karta hai to Vrindavan dham ko sakshi karke kasam kha lo. Aaj se swayam mein koi bhi aisi asat kriya ham nahi karenge. Yah deh nasht hone wali vastu hai.

isi se ham avinashi padvi prapt karenge. Do mahina sachchai se brahmcharya rah ke dekh lo do mahina agar aapke jaise gilahri nahi tilati hui aise pure sharir mein ek urja shakti aapko daudti nazar aayegi brahmachari ke pair aise padte hain jaise aag mein koi chalta ho aag mein kaise chalta hai aise uske pair padte hain uj tej brahmcharya yah sab divya sadhna mein isliye bahut savdhaan bhai yah jeevan shripad kah rahe hain prem prapti ke liye prem mein sabse badhak kam hai. Kam mein sabse badhak ye hast kriya hai.

kyonki sahwas to pani grahan hone par hoga. Agar pani grahan ke pehle to mahat paap hai. Aur yah kriya ke liye kisi ke grahan karne ki zaroorat nahi. Isliye sabse prarthna hai jinme aisi bhul ho wo bahut savdhani se isko hata den. Chalte hain param brahm paramatma bhagwan shri Krishna bhakt ke vashbhut hokar ukhal mein bandh diye gaye hain. Bhagwan sacchidanand jinka naam sabko mukt karta hai ukhal mein bandhe hue hain aur maiya grih karyo mein lag gayi. To bhagwan shri Krishna dan vyas dev ji narad ji bade bade mahapurush jahan ukhal mein prabhu bandhe hue wahan aae aur stuti karte hain.

bhagwan vyas dev ji dwara rachit hai namamashwaram sacchidanand rupam last kundlam gokule virajmanam yashodabhu khaladamanam parashta matyam tato datya gop namamashwaram sacchidanand rupam last kundlam gokule virajmanam jai ho samasth ishvaro ke ishwar sarveshwar sacchidanand swaroop shri Krishna ki jai ho jinke kapolon par makrakrit kundal hil dajul rahe hain jo Gokul namak divya dham mein param shobhayaman hai aur jo dad bhand phodne ke karan maa Yashoda ke dar se bhayabhit hue aur maa ne veg purvak daudkar pakar liya aur rassi se bandh diya aise Damodar bhagwan ko dam mein udhar aise Damodar bhagwan ko ham vinarm hokar bar-bar pranam kar Yashoda bhi yukhla dhaav manam paramrishta madhyam tato dat gop jab bhage to bhagwan ko pakar liya Yashoda ji ne aur ukhal mein bandh diya rudantam mur netr yugmam majantam kara bhoj yugman satank netram mushsa kampakank kanth sthit gav Damodar bhakti baddham maa hath mein chhadi liye hai.

prabhu barambar ro rahe hain. Apni ankhon ko donon hast kamlo se masal rahe hain. Unke netr bhay se vihal hai. Rudan ke aveg se sisikiya le rahe hain. Unke rekha yukt kanth mein padi hui motiyon ki mala kampayamaan ho rahi. Aise param ishwar bhagwan Damodar ka jinke udar rassiyon se nahi apitu Yashoda maa ke vatsalya prem se bandha hai. Aise prabhu ko main bar-bar pranam karta hoon. Samasth rishi bade-bade lokpal us ekant grah mein jo ukhal mein bandhe hue bhagwan unki stuti kar rahe hain. Iti da swaleela bhiranand kunde swaghosham nimjant makhya payantam titagya subhakta jittam punah prem tastam satavatta bandhe aisi bal leela ye sab apne premi Gokul vasiyon ko anand saro mein dubone wali hai.

apne ishwar gyan mein magn apne bhavon ke prati tathya prakashit karte hain ki premi jan unhen bhayabhit bhi kar sakte hain. Premi jan unhen bandh bhi sakte hain. Premi jan unhen dand bhi de sakte hain. Bhagwan ye leela dikha rahe hain. Antarang premi bhakton dwara is ajit bhagwan ko jita ja sakta hai. He bhagwan Damodar main koti koti aapko pranam karta hoon. Varam dev moksham na mokshadhwa nachanyam pranham [gana gane ki aawaz] vare saad pi idam tev purnath gopal balam sada mein manasya virasta kin he prabhu yadyapi aap har prakaar ke var dene mein samarth hain.

tathapi main aapse na to moksh chahta hoon na vaikunth ka sukh chahta hoon prabhu aur na navdha bhakti dwara koi anya vardan chahta hoon. Nath meri bas itni ichchha hai ki yah jo aapka bal gopal rup hai is sadaiv mere hriday mein spurit rahe. Is vardan se badhkar aur kisi vardan se hamara kya prayojan? Idte mumat neel vritam kuntal snigdha rakt gopya mumbitam bimb rakt dharm mein manasya vista malam lakshala he prabhu lalima yukt komal Shyam varn ke ghunghrale balo se ghira hua aapka mukh kamal maiya Yashoda ji ke dwara bar-bar chumbit ho raha hai.

aapke hath bimba phal ki bhanti lal hai. Aapke mukh mandal ka ye sundar drishya mere hriday mein sada virajit rahe. Mujhe lakho prakaar ke dusre labhon ki koi avshyakta nahi. Isliye prabhu mujhe aur kuch na dekar bas yah bal gopal rup mere hriday mein spurit ho. Namo dev damodrant Vishnu pras prabhu dukh jala magnam kripa drishti drishtya deenam batanu Ganesh mamadhyaksha drishya he bhagwan main aapko pranam karta hoon main aapko barambar pranam karta hoon he Damodar he anant he narayan he Vishnu he nath mujh par prasann ho jaiye main dukh ke sagar mein dubne ja raha tha aapne kripa drishti ki varsha karke mujhe bacha liya mujh deenheen sharanagat ka udhar kijiye aur mere netron mein sama jaiye yah rup aapka mere netron mein bas jae kuberatmaj badh murt tachito bhakti bhau krit tatha prem bhakti swaka mein prayachchha na moksh gaho me damodre he bhagwan he Damodar jis prakaar aapne ye Damodar rup se nal kubar manigri namak kuber putro ko shraap se mukt karke mahan bana diya.

usi prakaar mujhe bhi aap apni prem bhakti pradan kar dijiye. Yahi meri ekmatra kamna hai. Mujhe kisi prakaar se moksh ki koi ichchha nahi. Namaste damne pur deep dhamne tado daraya vishwas dhamne namo radhikay taday priyay namo anant leelay devay tabhyam he bhagwan Damodar main sarvpratham aapke udar ko bandhne wali us rassi ko pranam karta hoon aur prabhu aapki pran pyari preetma shri Radha kishori ke charnon mein mera sadar pranam hai. He anant leela karne wale parmeshvar Damodar mera bar-bar pranam aur aapse yahi akanksha hai.

Damodar rup hamare netron mein virajman ho. Parikshit ji ne pucha kathtam bhagwan ne tat sapas karnam yat vigitam karmava dev bhagwan dev rishi narad ji to kam krodh lobh moh mad vijay hai phir unko krodh aa gaya aur nal kubar manigreev ko shraap de diya. Aisa kya ki devrshi narad param shant unko krodh aa gaya. Shri Sukhdev ji ne kaha parikshit nalkubar aur manigreev yah donon bhagwan dhanadhyaksha kuber ji ke ladle hain ladke hain aur dusre bhagwan shankar ke anuchron mein inki gintin hai. Isliye inka ghamand badh gaya tha.

yah badi baat hai. Bhagwan shankar ke anuchar kuber ke putr to inka ghamand badh gaya. Isiliye mahapurushon ka sang jab tak nahi kiya jaega tab tak ahankaar badh jaata hai. Mahapurushon ke sang se hi ahankaar ka daman hota hai. Ek din donon ye mandakini ganga jo Kailash ke samip ye madira pikar ke bada nishiddh karya hai. Kuber ke ladle ladke madira pikar ke aur phir ganga ka ugahan ek itne nashe mein the ki khub ankhen ghum rahi thi. Sundari apsraen aur ye nirvastro jal mein aise dhan ka bada ghamand hota hai. Us ghamand mein bade-bade aparadh ban jaate hain.

apsraon ke saath nirvastro ganga ji mein se sanyog vasata bhagwan ke param premi sarv samarth devrshi narad ji wahan se nikal pare mahadev ji ke darshan karke wapas ja dekha ganga ji mein aur itne sab nirvastro aur aise vilas aag lag gayi param pavitra ganga ji mein inko kaise apsraen to bhayabhit hokar lajja se yukt hokar tatkaal vastr dharan kiya aur jakar devrshi narad ji ko pranam kiya lekin ye donon aise hi khade rahe bahut nasha kiye hue unmat ekdam narad ji ne dekha ki devtaon ke putr hokar Shrimadd se andhe hokar madira pan karke ganga mein inko dand milna chahiye.

chahiye dand kya anugrah anugrah mane kripa muni ka krodho mukti data sant jis par gussa kar diye ho uska mangal na hua ho aisa nahi jis par sant kripa kar de krodh karke muni ka krodh mukti datar aaj tak aisa koi udaharan nahi mila ki jis par munio ne, santo ne, rishiyon ne kripa ki ho aur uska mangal na hua ho. Kripa yahi krodh rup ki hai. Lomas ji ne gussa kiya kagbhund ji par bar-bar prashn uttar bar-bar kaat de rahe the. To uttar prati uttar ke diye upjay krodh gyani ke liye saanp de ja bar-bar beech mein baat kaat deta hai.

chandal pakshi ho ja bas turant ho gaye. Turant kauva ban gaye. Pranam kiya. Ram Ram Ram. Dekha iski bhakti to sachchi hai. To kaha louta aur vardan ki aisi jhadi laga di jahan tum rahoge. Yojana bhar maya ka pravesh nahi hoga. Tumhari nirantar bhagwadakaar vritti rahegi. Bhagwan tum par vishesh kripa hai jhadi laga di vardanon ki muni ka krodho mukti data narad ji ne dekha hai dang dhadang madira pan kiye hue aise khade inko dand milna chahiye inka Shrimadd nasha utrna chahiye ahankaar hai kuber ke putr hain kuber ke putr dhanadhyaksha tribhuvan ke narad ji ne kaha jo log apne priy vishyon ka sevan karte hain unki buddhi ko sabse badhkar nasht karne wala ye dhan dhan sampatti ka ahankaar hai.

ismen hinsa rajoguni karm kuleenta aad ka abhiman ye sab buddhi bhranshak hai. Par sabse zyada ye dhan ka ahankaar kyonki ismen stri sahwas juaa aur madira aur mans ye jud jaata hai. Jiske adhik rupya badhega bhajan kar raha ho santo ka sang kar raha ho to bhale buddhi shuddh rahe. Nahi yah dosh devrshi narad ji kah rahe hain par stri gaman juaa madira mans khana yah aa jaega rupya hai na hyate pashu yatra nirday rajitatma bhi manyaman de mara mrityu nasham ye dhana abhimani log becharey pashu ko crurta purvak marte hain aur paka kar khate hain aur apne sharir ko ajar amar jante hain.

yah sab narak jaenge. Hosh mein ho jao. Rupaye ka ahankaar karke murga bakra jo sab jeev jantuon ka bhakshan karte ho Rakshash nahi ho. Manushya ho durgati ho jaegi. Abhi dekh lo kuch din karm hai. Bolo bij bolo jab iska phal aayega tab tum aur tumhare purkha sab pani pa jaenge achhche se. Ye jeevan ki jo hatya karke khate hain na. Bade balvan bante hain. Chhuri chalate ho. Jab tum banoge murga aur tumhare gale mein chhuri chalegi tab avashya mein bhoktuvi kritam karm subhas dev anyate paso yatra nirjit bhi manyaman de mara mrityu nam apne sharir ko ajar amar mante hain dusre ke shariron ko mar kar khate hain inki durgati hogi ye dhanabhimani jan hai dev sangit mapte kram bhasm sangeetam bhut dhate swartham kim ved nirta are is sharir ko jise bhudev nardev dev aadi se pukarte hain iski ant mein kya gati hogi gad diya jaega to kide par jaenge bahar phenk diya jaega to pakshi khakar vistha bana denge aur agar jala diya gaya to rakh ka dher ho jaega is sharir ke liye dusre pashu ki hatya karte ho droh karte ho kah rahe hain ki jo apne sharir ke liye kisi bhi jeev ko kasht dekar iska poshan karega.

durgati pakki devrshi narad ji kah rahe hain aur kah rahe hain ved niryo yat pakka nir kahte hain narak ko pakka narak prapt hoga. Pakka narak jitna dusre jeev ko aap kasht denge aapko kasht milega. Badhiya badhiya gaadi mein ja rahe hain. Aur pehle tar wahi basta hua jisse shisha khulte hain. Gate khulta hai. Ab wahi bhoonj rahe ho usi ka sab bahar se dekh rahe hain log andar aag mein aap anand le rahe ho. Wahi hai jo murga murgi bhunje hain. Bahut hosh mein raho. Yahan jo karm karoge uska bhog bhogna padega.

pakka bhogna padega. Batao to sahi yah sharir kiski sampatti hai? Ann dekar palne wale ki, garbhadhan karne wale pita ki, nau mahine pet mein rakhne wali mata ki ya mata ko bhi paida karne wale nana nani ki kiski sampatti hai ye sharir? Are ye sharir kisi ki sampatti nahi hai. Aag ka ahar banegi jake rakh ban jaegi. Pashu pakshi khaenge bahar phenk vistha ban jaegi. Gad diye jaenge to kida ban jaegi. Yah kuch nahi hai. Sharir par rag karke paap mat karo. Yah sharir ek sadharan vastu prakriti se paida hoti hai.

prakriti mein sama jati hai. Are murkhon ye pashuv buddhi chodo. Dusron ka mans khana, sharab pina, vybhchar karna yah tumhen nasht kar dega. Jo buddhiman purush hai wah kabhi kisi dusre ko kasht nahi pahunchata. Dusron ko dukh dene se badhkar paap nahi hai. Dhyan rakhna agar dusron kisi bhi jeev ko kasht dete ho kaisa kaisa swabhav ban gaya hai. Jeev wo tadap raha hai. Jinda uske pair bandhe usmen jaise ek lohe ka pola aise pair aur niche se aag laga wo dhire-dhire jal ke mar raha. Aise dhire-dhire aram se gaadi mein jaloge pyare aur jaise nahi khach khach kaat diye to ab ja rahi age ladi hui sariya ka truck samjhe aur gaadi aapki idhar piche se truck kar bilkul khach khach sab sab vyvastha bhagwan ke paas hai avashya mein bhoktuvi kritam karm susubham aaj ham sidhe sadhe dikhayee de rahe kal paap kiya to uska phal bhogna padega jo purani kheti hai uska khana padega tumko.

isliye bahut savdhaan devrshi narad ji kah rahe hain jo is sharir ko apna atma mankar dusron ko kasht pahunchaega unke pran lega usko mahan durgati bhogni padegi. Yah dhan ke ahankaar se yukt ho chuke hain. Inko daridrata ka anjan lagana padega. Kyonki daridra prani kabhi kisi dusre ko kasht nahi pahunchata. Jiske sharir mein ek kanta gadh jaata hai, wah kanta ki pida ko janta hai. Phir wah dusre prani ko kyon kasht dega? Ek kanta gadh ke chhod. Dekho kaisa lagta hai. Kaise jeevan ka Radha Radha Radha kisi bhi prani ko kasht dena.

yah manushya ka kartavya nahi hai. Jo dusron ko kasht dega use kai guna badhkar ke kasht milega. Jaise jaise tum bartaav karte ho waise hi tumhen bhogna padega. Waise hi bhogna padega. Daridra mein ahankaar nahi hota hai. Ekdi nahi hoti. Daridra aadmi sab ahankaron se bach jaata hai. Aur agar kahin use sant samagam mil gaya to bahut badhiya tapasya aadi karke bhajan karke bhagwat prapti ho jati hai. Ye jo ahankaari log hain bahut paap karte hain. Bahut paap ye din bhar paap hi socha karte kyonki inko mauj chahiye na to paap hi sochte rahte hain.

jin mahatmaon ka chitt sabke liye udarta purvak hai, wah jyadatar dainya ko hi kripa karte hain. Dainya jo danya ahankaari nahi isliye bhagwat rishi ji ne likha hai ki sabse hamari mitrata hai. Sabke charnon mein ham jhuk rahe hain. Lekin is dehabhmani jo ahankaari inse bahut duri jo dhanabhimani inse bahut duri bhut bhavishya lok mein bhay hue hari pyare tin tin so vihaar hamaro abhiman te nyare ye dhani purushan ki chatukarita nahi karni chahiye nahi bhut bhavishya lok mein jo bhae hari pyare sabke ham das hai sabki seva lekin dhana abhimaniyon ki nahi dhana abhimaniyon se nahi agar aap hamare samne ₹1 rakhte ho to main janta hoon.

shri ji ne bheja hai. Ham aapko nahi jante. Dobara miloge tum Radhe se ham tumse nahi karenge. Ek bar ek apne priyjan ko bataya the ye zindagi bhar rabri khavao. Lekin ham yahi jante hain Vishvambhr bhagwan ke dwara aap bheje gaye hain. Isliye aisa ham aapka ehsan kabhi nahi manenge. Aur yahan kai bar kah chuke hain ki jisko lagta ho Radha ke kunj hamse chalte tumhen kasam bhagwan ki yahan chavanni mat chadna. Yahan bhagwan se hi chalta hai. Bhagwan ke hi ashrit hai. Aur ek bhi dhani aisa nahi hai. Ek bhi aisa asatma ke dwara kamai karne wale dhaniyon ke dan se bacho.

chain se namak roti kha ke Radha Radha bolne ki bhavna rakho. Rabri rasgulla khaoge to mathe se niklegaa. Pakka wo uske int marenga. Uske danda marenga. Yah hai ham pratyaksh ki dekhi hui baat kah rahe hain. To narad ji kah rahe durgunom ke khajana durachariyon ki jeevika chalane wale dhan ke abhimaniyon ko dur se inki upeksha karo. Inko lage ki sarvatra rupaye ka juta markar jhuka lete hain. Lekin ek sthan hai sadhu mahatmaon ka jahan nahi chalta. Ae utha hamen nahi zaroorat. Ja samne to Gurudev bhagwan ke aise koi kar nahi sakta.

wo darshan karne gaye the. Ham bhi darshan karne gaye the. Laut ke aae silendar, chulha, kukar kitni chijon aise sab puri vyvastha kyonki Gurudev bhagwan aaj bhi apni shri ji ka bhog apne kar kamal se gay ke gobar ke kande aur lakdi se aaj bhi banate hain. Apne kar kamal se aswasth honge to upvas kar lenge. Roti nahi payenge. Svasth honge to apne kar kamal se bana ke bhog lagaya phir paya. Ham aae to kaha kisne rakha? Hamen nahi maharaj ji pata sachchi bole uthao parikrama marg mein rakhe aao. Sab parikrama marg mein thodi der mein dekha idhar udhar walon ne dekha ki naya silendar naya chulha naya sab.

ye hai sadhu mahatmaon ka. Haan ghar tamasha dekh yahan thodi kitni kimti chij hai bilkul parikrama va marg mein rakhwa kai chijon aisi parikrama varg mein guru ji ek bhagat shishya maharaj ji ke bole Vrindavan mein jitne sant sabki kutia mein jakar ke sab nirapeksh bilkul nirapeksh Sadgurudev bhagwan bilkul nirpekshata ki murti jo bhagwat prapt mahapurush ke lakshan hai wo sare ke sare Sadgurudev bhagwan ke shri charnon mein prakashit hai. Sare ke sare utsav jo ki sant mahapurushon ka bahar bhi sang kiya ganga kinare pure ke pure narad ji kah rahe hain jab tum bhagwan ki sharan mein ho mahatma ho bhagwat charnarwindon ka makrand ras pine wale in durgunom ke khajane durachari ki jeevika chalane wale dhan ke abhimani duston ki phir chatukarita ki kya avshyakta hai inke piche piche dolne ki kya avshyakta hai tad mat varuya shri madyo dekho na inko kuber ke putr madira pikar ganga mein khade aur kaise khade hain nirvastro khade hain tamo mad harishyam star ajitatmano aaj main indriyon ke adhin rahne wale stri lampt aaj inka nasha utar dunga aaj inko main theek karunga inke ahankaar ko churchur karunga dekho to sahi yadi lokpalas putr bhut param pavitra bhagwan kuber ke putro ka madira pan karte hain.

apsraon ke saath vastraheen hokar ganga mein khel karte hain. Nang dhadang na vivas samatman ek bhi vastr sharir mein nahi vijaneeta sudarma ye bilkul dushtata ko prapt ho gaya. Jao main shraap deta hoon. Vriksh yoni ko prapt ho jao. Vriksh yoni ho jane par jab sardi, garmi, dhoop, barsat sab sahoge na tab tumhen pata chalega. Devtaon ke 100 varsh tak devtaon ke 100 varsh. Ab to unka nasha utar gaya. Bhage devrshi narad ji ke charnon mein gire. Kaha prabhu mera udhar bhi to bata do kaise hoga he nath daya karo bahut charnon mein gidgidae santo ka hriday bahut karunam meny hota hai theek hai devtaon ke 100 varsh vyatit ho jane par bhagwan shri Krishna chandra jo ka pradurbhav hoga aur jab bhagwan shri Krishna chandra jo tumhara sparsh karenge tab tum punah apne swaroop mein aoge.

devrshi narad is prakaar kah ke wahan se narayan narayan narayan beda mein bhagwan naam dhvani karte hue bhagwan nar narayan ke ashram chale gaye. Nal kubar manag turant vriksh ho gaye. Par kahan hue? Braj mein akar. Ye narad ji ki vishesh kripa. Inka naam hua yamlarjun. Ab bhagwan inka udhar karne ka samay aa gaya hai. To dhire-dhire ukhal ghaseete hue yamarjun ki taraf chale. Bhagwan ne socha devrshi narad mere atyant pyare hain aur yah donon mere mahan bhakt kuber ke ladke hain. Isliye devrshi narad ji ke vachan pura karne aur unka udhar karne ka samay aa gaya hai.

yah vichar karke bhagwan ukhal ko ghaseete hue yamarjun vriksh ke samip gaye. Yamal aur arjun beech mein ukhal aur bhagwan us par bhagwan dusri or nikal gaye. Ukhal tedha hokar donon vrikshon mein atak gaya. Damodar bhagwan ke kamar mein rassi kasi hui thi. Mara ek jhatka. Anant balshali bhagwan ke ek jhatka lagte hi jad se ukhad gaye. Yamlarjun vriksh shakhaen chhoti-chhoti daliyan patte sab kamp gaye aur badi jor se tadat shabd karte hue donon niche gir pare. Bhagwan apni kripa drishti se bhi to mukt kar sakte the. Par vrikshon ke paas jakar jo bhagwan ne ukhal ada ke ye kripa vishesh ki kya unka sparsh prapt bhagwan kripa drishti se bhi mukt kar sakte the sankalp se bhi mukt kar bhagwan unko sparsh pradan kiya bhagwan shri Krishna ka sparsh prapt hua vrikshon ke tadat shabd se pura braj mandal kamp gaya aur do tejasvi purush prakt hue.

sara paap nasht ho chuka tha. Unke tej se dishaein damak uthi. Sampurn loko ke Swami bhagwan shri Krishna ke charnon mein sashtang laut gaye. Aur hath jodkar ke donon stuti karne lage. Krishna Krishna maha yog tama purush par vyakt vishwam rupam te braah vidh tame sarwabh naam deha swatmendrashwar tamev kalo bhagwan Vishnu ishwar tam mahan prakriti sukshma raja tamoh tamev purushodhyaksha sarv kshetra vikar he Krishna he Krishna satchidanandmay shri Krishna sabko apni or akarshit karne wale Yogeshwar shri Krishna aapko namaskaar hai.

aap prakriti se atit swayam Purushottam hai. Vedagya brahmin yah baat jante hain ki yah vyakt aur avyakt sampurn jagat he shri Krishna aapka hi rup hai. Aap hi samasth praniyon ke sharir bane hain, pran bane hain. Antahkaran bane hain. Indriyan bane hain aur inke Swami bhi aap hi hain. Aap hi sarvshaktiman kal sarwavyapak evam avinashi ishwar aap hi mahatatwa wah prakriti hai jo atyant sukshm evam satogun rajogun tamogun Rupa hai. Aap hi samasth prakriti ke gunon aur vikaro ke dwara aap pakar mein nahi aa sakte.

sthul aur sukshm sharir ke awran se dhaka hua aisa kaun sa purush hai jo aapko jaan sake kyonki aap to un shariron ke pehle bhi ek ras vidyman the. Tasmai tyam bhagavte Vasudevay ved se atma det gun chhano mahimne [gana gane ki aawaz] brahmin namah samasth prapanch ke vidhata bhagwan Vasudev ko ham namaskaar karte hain. Prabhu aapke dwara prakashit hone wale gunon se hi aapne apni mahima chhipa rakhi hai. He param brahm swaroop shri Krishna ham aapko namaskaar karte hain. Aap prakrit sharir se rahit phir bhi jab aap aise parakram prakt karte hain jo sadharan sharir dhariyon ke liye shakya nahi hai aur jinse badhkar kya unke saman bhi koi nahi kar sakta to pata chal jaata hai ki aapka avatar ho gaya hai.

prabhu aap hi samasth loko ke abhuday aur param kalyan ke liye is samay apni sampurn shaktyon se avatar dharan kiye hue hain. Aap samasth abhilashaon ko purn karne wale param kalyan sadhya swaroop aapko namaskaar. Param mangal sadhan swaroop aapko namaskaar. Param shant sabke hriday mein vihar karne wale Yaduvansh shiromani aapko namaskaar hai shri Krishna namah param kalyan namah param mangal Vasudevay shatay yadu naam patay namah prabhu ham aapke dasanudas hain. Aaj ye sweekar kijiye. Agar devrshi narad ji ne ham par kripa na ki hoti to ham jaise apradhiyon ko aapka kabhi sparsh aur darshan prapt hi nahi hota.

prabhu hamari vani ye bahut jor ki baat kya manga? Stuti karte karte amlarjun ne kya manga? Pahli baat bhumas davachar kinkrau aapke daso ka main das banu. Aur dusri baat vani gunanukathne shravan kathaya hast charm sumnas tavpa smritya sirav nivas jagat praname drishti satam darshane bhavat tanu naam ye sabke jeevan mein aa jae to maha mangal ho jae bhagwan bhagwan ke daso ka dastv aur vani sadaiv aapke mangalmay gunon ka varnan karti rahe. Hamare kan aapki rasmay katha sunte rahe. Hamare hath aapki seva mein rahe aur man aapke charan kamlo ki smriti mein ram jae.

prabhu yah sampurn jagat aapka nivas sthan hai. Siras davo nivas jagat praname. Sara jagat aapka swaroop hai. Isliye ham pure jagat ke janon ko pranam karte hain. Jaise goswami ji kah rahe Siya Ram main sab jag jani karo pranam jo pani prabhu satam darshanne bhavat tanu naam ye sant aapka sakshat swaroop hai. Ram ji Shabri ji se satwin bhakti kah rahe hain. Sato sam mohim jag dekha mote adhik sant kar lekha aur yahan kah rahe hain ki ye sampurn jagat aapka swaroop hai. Sirasta nivas jagat praname sampurn jagat ko aapka swaroop mankar pranam karte hain.

par aapka sakshat swaroop to bhagwan se kah rahe ki sant jan hai. Pratyaksh aapka sakshat swaroop hai. Isliye aisi kripa karo ki ham apne netron se santo ke darshan karte rahe. Vani gaan kathne shravan kathaya hast karm man pad smatya aur nivas jagat praname drishti satam darshan bhat tanu naam aapke jo sakshat sharir hai sant jan drishti se unka darshan karo saundarya madhury nidhi gokuleshwar bhagwan shri Krishna ki jab is prakaar nal ko man greev ne stuti ki to rassi mein bandhe bandhe ukhal mein hanste hue bhagwan bole tum log dhan ke ahankaar se andhe ho gaye the main pehle janta tha sahi pocho to yah kripa bhagwan ne hi ki devrshi narad ji ko bhejkar kah main janta tha ki tum ahankaar se yukt ho gaye ho aur suno Ram kar sahaj swabhav jan abhiman bhagwan ko abhiman accha nahi lagta aur kahin unke janon mein ho tab to fouran operation shuru ho jaega.

to doctor bheja devrshi narad ji ko operation kar diya. Param karunik devrshi narad ne shraap dekar ke tum par badi kripa ki. Dekho santo ka saanp bhi kripa hota hai. Jinki buddhi samdarshani hai, hriday purn rup se mere prati samarpit hai. Un santo ka darshan ho jae to us jeev ka nischit udhar hoga. Maha sangst durlabho agamyo amogas jaise surya uday hone ke pehle hi andhkar nasht ho jaata hai. Aise hi sant darshan jahan hue to agyaan andhkar nasht hua. Bhagwat sakshatkar ho gaya. Isliye nalkubar manig tum log mere paraayan hokar apne apne sthan ko jao.

ab tum logon ko hamara darshan ho gaya hai. Ab tum sansaar chakra mein nahi padoge. Meri anannya bhakti tumhare hriday mein jagrit ho jaegi. Jab bhagwan is prakaar un donon ko kaha un donon ne bhagwan ki char parikrama ki aur bar-bar pranam kiya aur antardhanya ho gaye. Ukhal mein bandhe hue sarvagya bhagwan pura braj mein wo shabd gaya tha. Tadathat ka vriksh ka bhage sab us awaz ki taraf. Aur jab yah pata chala maiya ko ki ukhal sahit lala nahi hai ghar mein are to pocho bhari vyakulta hai maine aisa kyon kiya kyon use bandh diya wo to ukhal hi se ukhal mein banda tha kahin jaega nahi ukhal hi sahit le gaya ab to aur maiya vyakul Baba daud ke sab brajvasi wahan gaye aisa laga ki jaise bijli gir gayi ho sab ke sab bhayabhit hokar udhar gaye to dekha vishal vriksh bahut samay se ab devtaon ke 100 divya varsh se wo khade the to kitne bade honge yamlarjun ke vriksh jad se ukhde pare the wahan pahunchne par arjun vriksh gire hue unke beech mein ukhal mein bandhe hue shri Krishna aur spasht karan dikhayee de raha donon ukhal ke kinare fanse hue hain vriksh mein aur beech mein shri Krishna lekin koi soch bhi nahi sakta hai ki shri Krishna Krishna ne vrikshon ko ukhada hai.

ye sab soch rahe ki aisi ghatna kaise hui? Na tufan chala na andhi chali. Aur ye donon vriksh kaise jad se ukhad gaye. To wahan jab ukhal ghasit ke la rahe the to kuch balak dekh rahe the. Puri leela dekhi. Balkon ne kaha Baba ham batayen. Yah jo donon vriksh gire hain kanhaiya ne giraya hai. Yah kanhaiya ka kam hai. Donon vrikshon ke beech mein isne ukhal fasaya aur jab ukhal phas gaya to aisa jhatka mara ki donon vriksh ukhad gaye aur hamne in do vrikshon mein se do divya purush nikelte hue dekhe jo bahut chamak rahe the aur Baba wo bar-bar inki dandvat kar rahe the.

prarthna kar rahe the. Kah rahe the bhagwan bhagwan aisa kah rahe the. Baba ne kaha chal gop bal ko itna chhota kanhaiya itne bade bade vriksh ukhad dega are ek nanha sa bachchha jo ghas ukhad nahi sakta hai wo vrikshon ko ukhad dega sambhav nahi hai par kuch vayo vriddhon ne kaha Baba Putna ki chati mein yahi tha chhakda mein lat isi ne mara tha balkon ne bhi bataya tha aap mane ne nahi ho sakta hai shri Krishna mein aisi koi yogik siddhi ho jisse aisa kiya ho. Are nand Baba ne kaha tum sab kya bak rahe ho?

mera bachchha daud ke vatsalya daud ke gaye aur Baba ne rassi ki ganth ukhal se kholi. Chati se lagaya aur Yashoda maiya se dant kar kahne lage tumhen kya sujh gaya hai? Lala ko aise ukhal mein bandhna chahiye. Rassi mein bandhna chahiye. Kya kami apne ghar mein agar maa phod diya dahi ab maiya to aansu bah rahe hain ki galti ho gayi lala ko kasht se bacha liya hamare bhagwan narayan ne nahi kahin vriksh ke niche dab jaata ye nahi pata sakshat narayan ka anti ye shri Krishna hai sarvshaktiman bhagwan ko god mein utha liya Baba maiya ne bada dular karte hue le gaye phir abhishek aadi karke vipron ko bulaya dan punya kiya kabhi kabhi gopiyan gopi bhi nritya bhagwan balwat kachit udga kach mugdhas taso dar yantravat kabhi kabhi gopiyan bula leti

hai aath da khadi ho gayi taliya baja nach lala nach ke dikha ye nach rahe shri Krishna chandra kabhi kabhi bhole anajan balkon ki taraf khade ho jaate ae ga tu kuch ga ke suna gane lagte aa udayti kochin mug tad vaso dar yantravat gopiyon ke hath ke kathputli aur waise kya kaha gaya hai Uma daru jo shit ki nai sabah nachavat Ram gosai aur ye yahan yahan swayam dar yantravat gopiyon ke hath ki kathputli jaisa gopi chahe waise nachave kabhi koi gopi kahti ae lala wo baithe ka peedha to lana sir par pida lagti dusri kahti tolne wala batkhera utha lana bant utha ke koi kahti meri khadau le ana paduka paduka mathe par rakh ke la rahe apne premi bhakton ki sevkai karte hain kabhi-kabhi gopi kahti lala pahlvan kaise hote hain?

to waise akad mein khade ho gaye taal thokte bhuja thokte ae aise sadharan balkon ki tarah sarvshaktiman bhagwan bal lilaon se brajvasyon ko aandit karte sansaar mein jo bhagwan ke rahasya ko janne wale hain unko yah dikhate ki dekho main ishvaro ka ishwar hokar apne bhakton ke apne sevkon ke vash mein hoon. Yamlarjun vriksh ko todne wale bhagwan khelte khelte yamuna tat par pahunch jaate wahan khalne lagte Rohini devi pukarti o Balram o Shyam jaldi aao par kitna bhi pukare Rohini maiya ye yamuna kinare khalne mein hi mast rahte sakhaon ke saath jab nahi ate tab Rohini ji kahti Yashoda da ji se ki aap jao aapke kahne se aaenge mere bulane se to ate nahi shri Krishna aur Balram gwal balkon ke saath bahut der se khel rahe Yashoda maiya ji vatsalya mein bhari hui pukar rahi hai o beta Ram o beta Shyam pyare kanhaiya kamal nayan aao aao dekho tumhen doodh pilaenge aao tum khelte khelte thak gaye hoge bas dekho dekho tum kitne bhukhe ho gaye ho aa jao jaldi aa jao mere beta Ram mere beta Shyam kya saubhagya hai samuche kul ko anand dene wale Balram tum apne chhote bhai ko jaldi se le aao dekho aaj tumne bahut savere kaleu kiya tha kitni der ho gaye khelte hue aao ab tumhen bhog pana chahiye beta Balram Brajraj bhojan karne ke liye baith gaye abhi tumhari bat dekh rahe hain.

aao aandit karo. Balko tum bhi apne apne gharo ko jao aur wahan bhog prasad pao. Beta Shyam tumhara ek ek ang dhul se lathpath ho raha hai. Pehle tumhen snaan karayenge aur phir brahmano ko dan denge. Dekho dekho tumhare saathiyon ko unki matao ne nahla dhulakar meej pachhkar kaise sundar-sundar vastr dharan karae. Tum bhi chalo na naha dhokar kha pikar pahan okar phir khelnaa Yashoda maiya ki prem bhari baten sunkar charachar jagat ke shiromani bhagwan daud padte Balram ji hath pakde hue hain aur ghar ki taraf ate maiya unhen god mein utha leti mangalmay jal se snaan karati phir sundar shringar karti aur phir Baba ke saath baithkar ke bhojan leela hoti roz roz nitya naee anand nand nandan barsa rahe hain.

nand Baba ne jis din se vriksh ukhda tha Putna padhari thi. Sakat gira tha sakat bhanjan leela to sab brajvasi baithe aur kaha ki koi naya utpat na ho jae. Hamen lagta hai ki hamko is par vichar karna chahiye ki sthan parivartan karna chahiye. Unmein se ek go ka naam upnand tha. Badi avastha mein the aur gyan mein bhi bada bade pahunche hue the. To unko pata tha kis samay kaisa vihaar karna chahiye. Saath hi wo Krishna Balram ko prannon se bhi adhik pyar karte the. Unke bhi hriday mein tha koi sthan parivartan kiya jae.

nahi koi amangal na ho jae yahan mahavan mein. To unka bhaion yahan bade-bade utpat ho rahe hain jo Shyam aur Balram aur ham brajvasyon ke liye bhi anashtakari hai. Yadi ham Gokul aur Gokul vasiyon ka bhala chahte hain to ab yahan nahi tikna chahiye. Dekho ye nand ray ka ladla sabse pehle to bachchon ke liye kal swarupni hatyari Putna ke chungal se chhuta. Iske baad bhagwan ki dusri kripa hui ki chhakda girte girte bacha. Tisra tanavarta bavandar rup daitya akash mein le gaya. Bhari vipatti mrityu ke mukh mein hi yah balak tha.

phir bhi hamare bhagwan shri hari ne raksha ki. Ki iska bal banka bhi nahi hua. Isliye ab hamen lagta hai dekho abhi do bhayanak vriksh gire. Hamen lagta hai ki Gokul mein koi anisht na ho jae isliye hamko yahan se anyatra chalna chahiye. To yah hua ki anyatra kahan chalna chahiye? To bole vanam Vrindavan naam pashavyam navannam gop gopi gva sevyam purn tanweedh chalo Vrindavan chala jae kyonki Vrindavan mein bahut se naye-naye kunj nikunje van hai aur paas mein hi giriraj parvat hai. Bada wahan pavitra jharne jhar rahe hain.

pashu ke liye ghas hari bhari lata vanaspati gop gopi gaun ke liye Vrindavan sabse suvidhajnak rahega. Yadi aap logon ko baat jasti ho to haan bolie. Sab gopo ne ek saath mein haan kah diya goshtha Vrindavan jo gopi Vrindavan se juda hua jahan bhagwan apni bacchhron ko gaun ko charate bhagwan ka sakhaon ke saath jo vihar hai goshtha Vrindavan gopiyon ke saath jo vihar hai gopi Vrindavan ye navni nikunj vati shri kishori jo ka nitya mahal hai yahan ki jo leela hai wo sachariyo ke saath hai aur giriraj ji mein jo giriraj ji ka jo prangan hai ye gopi leela aur jo nand ganv Barsana Gokul ye mahavan ye sab goshtha Vrindavan hai jahan prabhu apne sakhaon ke saath gaye charane jaate ye maharani ji ka nitya nau nivrit nikunj Vrindavan hai teen Vrindavan shripad Prabodhanand ji ne varnan kiye goshtha Vrindavan gopi Vrindavan aur navni nikunj Vrindavan.

upnand ki baat sunkar sabhi gopo ne ek hi swar mein kaha haan haan theek hai ham sab Vrindavan chalte hain. Tayyari ho rahi Vrindavan chalne ki shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh lal ki.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi