aap bas naam jap karo, baki sab bhagwan par chhod do ! // 06/10/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam had pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam nirvai param shital maya param sacchidanand ghan prema swaroop nav nivat nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal chandra pranaaradhy shri Priya pritam jo samasth hit parikkar nij par jeevan ki ek ek shas ek ek kshan kam hota ja raha hai. Bhavan Bhaskhar uday hokar ke roz hamari ayu ka haran kar rahe hain. Yadi ham prabhu ke naam rupi dhan ko nahi kamaya, sharir se nishkam bhavna se samaj seva, bhagwat seva nahi ki to hamari jeevan, hamari ayu, hamara manushya tan yah sab vyarth ho gaya.
iski sarthakta hai bhajan karte hue nishkam bhav se sabki seva karna. Isi se sare paap bhasm ho jaate hain. Hriday nirmal ho jaata hai. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain bhraat kim maranam malaeek neelay stri pind bhogasha rog ko bahir tarun mathan krit dwesho rag par kaha swarg parmo brajendra tanay premotsav sangati kim sarwopan rahasya param Vrindavi tat priy he bhai tumhen kya pata nahi ki tumhari mrityu hone wali hai. Yah bahut zaruri hai yad karna. Yah wah aushadhi hai jo bhajan karati hai.
mrityu mrityu ka chintan bhagwan ka aashray dridh karata hai. Bhagwan ka bhajan karne mein tanmayata deta hai. Aur phir mrityu ka bhay hi khatm ho jaata hai. Isliye mrityu bahut avashyak hai. Yad mein rakhna marna hai. Jab marna hai to sab chhutna hai. Phir pakdna kya hai? Hari naam hari leela gun hari seva. Isliye kah rahe tum nishcint kyon dikhayee dete ho? Bhrata kim maranam kya tum maroge nahi jo manmani aacharan kar rahe ho vishay bhogon mein bhule hue ho bade harshit ho ki hamare paas bahut dhan hai vaibhav hai parivaar hai bhog samgri hai kuch kami nahi hai to kya tum maroge nahi maroge to ye sab jaega kya tumhare saath nahi to hath kya laga vicharsheel bano dusri baat kah rahe hain malay ke neelay stri pind bhogas praha ye tumhara sharir aur dusre ka sharir bhi mal mutr banane ki mashin hai keval accha sa accha pey aur accha sa accha bhoj chosh leh ye padaarth paoge to parinaam mein laghu shanka aur soch banegi.
sharir mein jo anya dhatuen banti hai to vishay bhog ki prerna se unka nash hota rahta hai. To in pindon mein kyon aasakt ho rahe ho? Kya yah chhutega nahi kya? Jab tumhara sharir chhutega to phir tumhara rah kya gaya? Jab chodna hi hai to achhche ban ke chode na. Ye papacharan kyon karte hain? Bhog spraha ke karan parai striyon ki taraf ya anya shariron ki taraf bhog bhav karna kah rahe malik neelay stri pind bhogas praha is sharir ko main mankar jo dusre shariron mein tum mal yukt ho rahe ho bhog vasna se to kya tumhen yah gyan nahi ki tum maroge phir yah rag tumhari durgati karega yah paap tumhen bhayanak kasht dega.
agar abhi sudhar jao to chans hai. Nahi rog ko bahirant rupan mathan krit dweshot raga par jab tumhare paap purv ke phlibhut honge to bhayanak rog gher lega sharir mein. Us rog ki sthiti mein tum sharir ka hi chintan karoge. Dard mein hi pareshaan rahoge. Uski nivitti ke upay ke chintan mein pareshaan rahoge. Bhagwat bhajan kahan ho payega? Iske agar age badhe to andar shobh paida karne wale rag dves baithe hue hain. Kahin kam, kahin krodh, kahin lobh, kahin moh, madad, matsar yah andar jala rahe hain. To tumhen savdhaan hona chahiye ki avidya agyaan ke khel mein main fas gaya hoon.
yah param rog hai. Jaldi se chhutkara nahi milta bhav bandhan se. Kahin tumhare andar aisa ho ki main punya dan karke swarg chala jaaunga to swarg mein bhi aisa hi hai jaisa mrityu lok mein hai. Ek dusre se irshya ek dusre ke bhog ko dekhkar jalna aur bhayabhit rahna pata nahi kab punya ksheen ho jae aur hamen phir mrityu lok mein in sab sukh suvidhaon ko chhodkar jana padega. Kam wahan un loko mein bhi hamara nahi bana. To kah rahe hain shri Brijendr nandan premotsav sangati tumhen avsar mila hai premotsav mein sammilit hone ka to jo Brijendr tanay Priyalal hai vrishabhan ji bhi Brijendr hai aur nand Baba bhi Brijendr hai ye jo priyal hai shyama Shyam hai inke ke bhakton ka sang kar lo.
parmo brajendra tanay premotsav sangati jo priyal ke prem mein unmat bhakt jan hain unka sang kar lo to sarwopnishad rahasya param jo sab Upnishad hai shastr hai unka jo rahasya hai wah sant sang se aapki samjh mein aa jaega aur koi samjh nahi aati. Nirantar prabhu ka smaran karna aur prabhu mein hi mujhe sama jana hai. Unhin ki bhakti mein leen ho jana hai. Kuch yad na rahe. Yah sab shastron ka sar hai. To yadi tumhen kripa se sant sang mil gaya hai aur Vrindavan ke yugal kishor shyama Shyam ka sahara mil gaya hai.
to ab tum chinta mat karo. Thoda savdhaan ho jao. Yah baten dhyan rakho ki tum maroge. Tumhara sara kamai rishta nata yah sab nasht hoga. Yahan se jane par tumhen koi bhi labh nahi milega. Andar rag dves mita rahe hain. Bahar nana prakaar ki kuch cheshta hamen mita rahi hai. Parinaam mein dukhad chinta bhay shok yah milega. Isliye priyal ke premion ka sang karke ham priyal se asakti kar le. Dham ki kripa se bahut sulabh hai priyal ke premion ka sang. Jab hamare hriday mein yah baat baith gayi hai bahut samay se ki jo bhog hamari indri chahti hai agar wah bhog mil jae to phir hamara bhajan mein man lag jaega.
bahut galat salah aur gandi salah deta hai man buddhi. Bhog ka chintan hi tumhari durgati kar raha hai. Phir jab tum bhog mein utar jaoge to tumhara kya hoga? Em buddhimtam Buddha Manish maneeshna yat satya amrit neh marte napno mamritam yahan wahi buddhiman manushya hai wahi chatur buddhi wala hai ki is asat sharir jad bhog dukh rup kriyaen kshan kshanbhangur sukh ke liye wo apne avinashi chintan ko na chode. Sacchidanand priyal ke chintan ko na chode. Jo us avinashi chintan ko aisi paristhitiyon mein nahi chhota use bhagwat prapti ho jati hai.
wo mamritam amrit pad ko prapt ho jaata hai. Jab bhogon ka akarshan ho, vishyon ka akarshan ho ya dukh ki bharmar ho us samay bahut savdhaan hokar bhagwat smaran karen. Wahi buddhiman hai wahi chatur hai jo har sthiti mein bhajan kar le jae. Par buddhi hamari aisa nirnay nahi karti. Wah hamko updesh deti hai ki agar man sahit indriyon se bhog bhog liya jae to hamen shanti mil jaegi aur ek bar bhoga to bahut bar bhogne ki lalsa ho jati hai. Na jat kamna mubhogen samyati havash Krishna varta menv bhu evate yah vishyon ki lalsa jab bhogon mein utar deti hai to bhog bhogne se shanti nahi hoti ghor ashanti paida ho jati hai aur aur navam navam bhogne ki ichchha jaise ghrit ki ahuti agni par dali jae to agni prajvalit ho jati hai.
aise indriyon ke nishiddh bhogon ko jab ham bhogne ki chhut de dete hain to bhoga badh jati hai. Itni ashanti ho jati hai ki dharm adharm ka nirnay buddhi nahi kar pati hai. Na chendriyana bhogabhyasen va trishnam kartum shakyam bhog bhogne se kabhi bhi aaj tak kisi ki indriyan shant nahi hui. Bhog bhogne se bhogne ki lalsa trishna badhti hi gayi. Yah anubhavi mahapurushon ke vachan hai. Isliye yato bhogabhyas Manu vivardhante raga kaushlam chendriyanam ab jaise jaise bhog bhogta hai waise waise naveen naveen paddhtiyan uske man mein jagrit hoti hai.
aise bhogo aise bhogo aisa karo bhogabhyas vivardhante raga kaushlam chendriya indriyan badi kaushalta se kala purn dhang se phir bhogon mein utarti hain. Tasmad anupaya sukhas bhogabhyasa. Ab wah bhog abhyaas tanmayata hone ke karan use sukh lagne lagta hai. Yah bahut badi galti ho jati hai. Bahut bada maya ka parda par jaata hai. Tasmad anupay sukhas bhogabhyasa bhog ka dridh abhyaas aur malin hriday nirnay karne lagta hai ki ismen sukh hai. Sa khalavyam vrishchik vishat ivasi visheshan drishto ya sukharthi vishay anuvasito mahat dukh panke nimgn iti ab uski dasha aise ho jati hai bichhu ke dank se bachne ke liye aise bil mein hath dal de ja saanp kaat le arthat kisi bhi tarah se bhog sweekar karna apni durgati ko nischay karna hai.
grihasth dharm mein santan utpatti ke liye bhagwan ko pranam karke devtaon ko pranam karke mariyada se jin tithiyon ko jaisa niyam bataya gaya waise agar manmani bhogachran hua to kah rahe hain vrishchik vishat bichhu ke dank se bhayabhit hokar arthat bhogon ki lalsa se jo jalan hui usse se bachne ke liye usne bhogon mein rati kar li to aisa hua jaise vrishchik ke bhay se bachne ke liye phal dhari saanp ke bil mein hath dal de ya sukharthi vishay anuvaste ab sukh ka to les nahi hai vishay ki hi jalan hai mat dukh pankh nimgn wo bade bhari dukh mein phas jaata hai nikal nahi pata hai.
isliye sukh prapti ka sadhan paramarth hai. Adhyatma hai. Bhog sangrah aur bhog bhogna nahi hai. Hamare hriday mein jab ye nishtha baith jaegi ki ab hamko keval bhagwan naam jap karna hai. Yah bade bhagyashali ke baithegi nahi aur sadhno ki taraf man daudaega par naam mein nahi. Is jad jagat mein chidanand trigunnatt bhagwan ka naam hai. Naam maya yukt nahi hai. Mayatit hai. Trigunnatt hai. Jitni der aap naam jap kar rahe hain utni der aap trigunnatt hai. Kyonki naam trigunnatt hai. Jaise-jaise aap naam jap karenge, aapke andar divya chetna jagrit hogi.
jo bhagwat vimurkh karne wale aacharan hai wah sab nasht ho jaenge. Naam japak ko koi aur sadhan karne ki zaroorat nahi hai. Karen accha hai par karne ki zaroorat nahi hai. Naam apne aap mein purn hai. Ahot supachto gariyan yajya warte naam tabhyam te pu tapaste jo rajya brahmanuchur naam grante aho jiski jhyaa par he hari aapka pavitra naam rahta hai wah chandal kyon na ho wah tumhare naam kirtan ke prabhav se param pavitra ho jaata hai. Bada shreshth ho jaata hai. Jisne naam jap kiya ab use tapasya yagya tirth snaan veda adhyan sab kuch kar liya.
arthat usko in sab karne ki avshyakta nahi. Naam kirtan se tap aadi vedadhyayan tirth yatan jo jo bhi hai us sab ka phal swayam mil jaata hai. Idam hi push tapas shrutas vashtas suktas cha buddhi dattayo avich kavibhar nirupito yadattam shlok gunanu varnanam wahi bhari vidvan hai wahi bada anubhavi hai jisne nischay kar liya hai ki ab hamara ek hi lakshya hai bhagwan ke naam ka jap karna aur unka kirtan naam kirtan gun kirtan ab veda adhyan uttam yagya mantr anusthan gyan dan inka jo phal hai padhne likhne aur sab kriyon ka wah sab bhagwan naam mein swayam prapt ho jaata hai.
bhagne ki zaroorat nahi hai. Aaj yah parv hai. Bhage chale ja rahe hain. Prabhu ka vismaran ho raha hai. Dhakke mukar shant baith jao. Aur hari naam japne lago. Naam kirtan karo. Sare tirthon ka phal, sab vedon ka swadhyay, samasth yagno ka phal, sab vraton ka phal aapko naam mein hi prapt ho jaega. Kal ek prashnta ne kiya tha prashn ki main bachpan se sadhu samagam karta hoon. Bahut pehle diksha le li thi. Khub naam jap bhi karta hoon. Par main bhayabhit rahta hoon ki pata nahi mera kalyan hoga ki nahi hoga. Mera mangal hoga ki nahi hoga.
jakaro janm vichchhed pakar paap nashak tasma jap iti prokto janm paap vinashak jo prabhu ka naam japte hain to jo japte hain to jap matra se janm ka hetu jo karm hai paap nashak wo bhasm ho jaata hai. Jakaro janm vichchhed pakar paap nash jap jab aap Ram Krishna hari [gala saaf karne ki aawaz] Radha naam jap karte hain to jap karte hi tumhare janm maran ka jo karan karm bandhan hai wah bhasm ho jaata hai aur sharir se dhire-dhire sambandh vikshed hone lagta hai. Sharir shuddh prabhu mein lagne lagti hai. Deha abhiman galit hone lagta hai.
par yah samjh mein isliye nahi aata ki ham keval isi ko nahi pakde hain. Bahut kahin rag phailae hain. Isliye sanshay hai. Satatam keertanto mam satat naam kirtan naam jab chale aur satsang sunne ko mile. To ab jaise apne logon ke hai to yah thodi ki koi kalyan ho jae, moksh ho jae. Yah ho jane wali baten sab swaha hai. Inse koi matlab nahi. Haan, agar kabhi pukar hoti, maang hoti to ek hi baat ki hoti hai ki aisi koi bhi paristhiti ave dukhad ya sukhad ham aapko bhul na jae. Itni kripa karte rahna. Bas ab sab baten khatm ki darshan de do hamara kalyan kar do moksh ho jae ab bas prarthna kabhi hogi dainyta se to ek hi baat ki hoti hai bas ho na bas ho yahi dan moh de kahin aapki itni prachnd maya hai sukhad ya dukhad paristhiti dekar aapko bhulwa na de itni samarth hamen dete rahna.
ye madhur madhur metan mangalam mangala naam sakal nigam vli shat phalam chit swarup mitha se bhi mitha madhur se bhi madhur ye naam hai prabhu ka abhi jap mein tanmayata nahi isliye nahi aisa lagta aap ji nahi payenge naam ke bina itna iska nasha hai itna swad hai itna bole madhur madhur metan yetan naam mithe se bhi mitha Radha naam sudha rasam amrit ras hai mangalam mangala naam ye naam mangal ka bhi mangal karne wala hai. Sabka mangal karne wale hari hai. Aur dekho bal leela mein Yashoda maiya aur gopi jan milkar inheen ke namon se inki raksha karte hain.
mangalam mangala naam sakal nigam vli sat phalam chit swarup samasth jitne agam nigam puran shastr hai inka phal hai naam mein priti ho jana kyonki chit swarup yah chidanand swaroop naam hai sak par geetam shraddhaya helyava bhraguvar nar matram taryat Krishna naam ek bar koi ya koi gane mein ucharan kar le gate pargeetam ya shraddha se ya avhelna se aise bhi ucharan karne matra se prabhu ka naam tarat Krishna naam ye use tar deta hai. Vishwas karo koi ek rishi ek mahatma ke anubhav ki baat nahi hai. Ek bar lagan lag jae, ek bar gungunane lago naam kisi bhi geet mein ya shraddha se ya avhelna se to yah naam tumhen tar dega.
tarat Krishna naam ye Krishna naam aapko tar dega. Shaketam parihasyam cha stubham helan menva vaikunth naam gan mashsha haram vidhu sanket mein kisi ko bulane ke liye bhakt jan aise bulate shri Harivansh Radhe Radhe sambodhan bulane mein bade bhagyashali hain. Parihasam parihas kar raha hai wo par bol to Radha Radha hai na kah rahe parihasam ishtom helan mein kisi bhi prakaar se avhelna karne ke liye upas karne ke liye vuth naam grahan mashsha haram jibhya par naam aaya ki samasth paap har lega ye naam esh haram vidu tum aisa jano ki bhav se kubhav se anak se alasya se kaise bhi naam ucharan karoge naam paap ko nasht karke aapke hriday mein prem prakashit karega kitna bhi bada koi papi ho ajamilo papatma y namo charna dhanu praptavan param dhamo tam vande lok sakshanam sab loko ke bade-bade lokpal is baat ke sakshi hain ki ghor papacharan vaishyagami nikrisht ahar nikrisht charit aisa apne putr ke bahane se narayan bulaya to praptavan param padam use param pad ki prapti hui aur kahin koi bhav se bhagwan ka naam jap karta hai ab uske kalyan mein koi sanshay hai kya vishishta kachit gita Shyam tachte pragte hi mantr vakya Shyam shabdabhukta updeshti jo uchh swar se naam gaya jaata hai to jo Shyam ved ved ke mantro se gayan se pavitra nahi hoti.
jitni utni uchh swar se naam gayan se hoti hai aur bahut jaldi hari prasann ho jaate hain. Tabhi to ye shabd aaya gayant yam samgaha jo gayan karte hain bhagwan naam kirtan bas bhagwan ke liye hi bhagwan naam kirtan gaye kalim sabha jayantya gunagya sar bhagin yatra sankeertane na sarv swartho vilabhyate nata parmo labho deh naam bhata yato vdet parmam shantim nashti sanshti is kalyug ka waise to prabhav hai sabki buddhi ko malin kar dena bhrasht kar dena adharm aacharan mein laga dena par jo is yug mein naam jap shuru kar diya naam kirtan kalyug keval naam adhara to kahte hain use sarv siddhi prapt ho jati hai.
sare sanshay nasht ho jaate hain. Jo bhogon mein bhramn karne wala man hai wah prabhu mein lag jaata hai aur param shanti arthat moksh padvi ko bhi prapt ho jaata hai. Tan nirwidyamana michchhata makuto bhayam yog naam nirnitam hari naam kirtanam sansaar se jise vairagya chahiye aur dwandon se jise moksh chahiye aur prabhu prabhu se jise prem chahiye yah tino baten aapki ek saath badhata rahega. Yadi aap naam jap naam kirtan karenge. Aap bar-bar shastr padhenge vairagya ke par tikega nahi. Vairagya bhog samne ane par aap man chale ho jaenge.
aap dig jaenge. Lekin sansaar se vairagya jab naam dilaega wah bahut dridh hota hai. Dwandon se moksh dilana aur prabhu se prem sab kuch mil gaya. Ab rah kya gaya? Sansaar sharir se vairagya dwandon se dwandatit sthiti aur bhagwan ke shri charnon mein prem yah naam pradan karta hai. Bhav santap se bachne ke liye bahut jor ka uttam siddh sadhan hai prabhu ka naam. Us naam kirtan ka ruchi naam jap mein ruchi yah bahut kathin hai. Thodi der aap karenge phir man vichlit hone lagega. Yahi naam theek kar dega yadi aap chodo nahi to.
ismen itni samarth hai. Mantr mein to shraddha aur vishwas ki avshyakta hoti hai. Par naam mein nahi. Mantr mein yadi shraddha aur vishwas nahi hai to labh nahi milega. Naam mein ashradha hai, aviswas hai aur aap jap rahe ho to tar dega. Aapka mangal kar dega. Aapko bhagwat prapti kara dega. Badi mahima naam ki hai. Piche ke papon se ab darne ki zaroorat nahi hai. Vajram paap mahtam bhav do kas siddham tumhen chinta nahi karni jaise Devraj indra prhar kar de to parvat chakrachur ho jaata hai. Aise hi jo Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna Krishna Krishna Krishna aise japta hai to uske paap jo parvat ke saman jama hai sab chhaknachur ho jaate hain.
vajram paap mahtam sab paap nasht ho jaate hain. Kahin bhagne ki zaroorat nahi. Kahin jane ki jahan ho wahin se Radha Radha Radha phir kah rahe hain bhavagdas siddh aushdham sansaar rupi rog ki bhavar rog ki yah siddh aushadhi hai. Jisne aaj tak ise paya wo mukt ho gaya. Bhav rog ki Ram baan aushadhi bhagwan naam chale jab ye baten sunte ho to aapko lobh nahi japta naam ka yahi baten bachpan mein padhkar ke ekant ganga ke kinare har kasht sahne ki samarth inheen baton mein thi bas mujhe nirantar naam chahiye nirantar mantr chalna chahiye nirantar aradhya dev ki samapta ka anubhav hona chahiye.
usi ne nihal kar diya. Agar wah baat na hoti to aaj bhayanak dukh ki pida mein ham bah gaye hote. Par ham garaj kar kah rahe hain ki guru kripa se us baat ne mujhe bahne se bacha liya. Pravah mein para hai aur sudridh khevaiya nauka mein baithaal ke par kar raha hai. Koi bhay nahi, koi shok nahi, koi chinta nahi, koi parvah nahi. Yah yah keval pravachan nahi hai, jeevan hai. Hamen kisi or takna nahi hai. Ab mana hamse bahut paap hue par naam vajr ke saman parvat ko jaise nasht kar deta hai vajr aise naam parvat ke saman paap jama ho to bhasm kar dega.
bhavar rog ab chinta nahi karna ki sansaar se mukt kaise ho upay mil gaya hai naam raat din naam jap karo bh rog se mukt ho jaoge mithya gyan nisha vishal tamsas tig bimboday yah mithya sansaar ka jo hamen gyan hai na apne ko bahut buddhiman samjhte hain. To jo bhagwat vimurkh hai apne ko buddhiman mankar isi sansaar ki vyakhya isi sansaar ke prapanch ki varta kuch hath nahi laga hai. Kitna bhi bada gyan vigyan bagharo. Bole agyaan ratri hai. Saghan andhkar hai maya ka jisse satya vastu dikhti nahi hai.
par yadi naam jap kar rahe ho to is sansaar ki ghor andhkarmay ratri mein prakash faila dene wale mahan prachnd surya ke saman yah naam hai. Mithya gyan nisha vishal tamsas tigmanus bimbodya naam japak ke hriday mein surya ki tarah gyan prakashit hota jaata hai aur mithya sharir mithya bhog mithya sambandh mithya sansaar ye sab mitta chala jaata hai isat klesh mahitar jwala jatakhe dwrae nirti sad mano vijayate Krishna ta varn dwayamm yah sansaar ek mahan dukh rupi vriksh hai. Isi vriksh ne bahut kasht diya hai.
isi ke bhog rupi phool patte phal pane mein janm ke janm mita diye. Yah naam jap kya karega? Prachnd jwala ki tarah prakt hokar is sansaar rupi dukh rupi vriksh ko bhasm kar dega. Hamare andar se iska mahatva, iska rag, iski asakti bhasm kar dega. Kitni saral baat hai. Yah sab chhod pana, tyag pana bahut kathin hai. Lekin naam se ho jaega. Aur kah rahe hain ki yah moksh mandir ka pravesh dwaar hai. Dwaram nivatt shadam nivatt mane moksh sab dukho se dwandon se wo mukt ho jaata hai. Jiski jibhya par naam rahta hai.
vijayate krishnati varnayam aise jai ko prapt hue Krishna naam yah dwa akshar Krishna naam yah jai ko prapt hai. Jo naam aapko priy lage jo naam mila hai isi se sab kam ho jaenge. Gyan, vairagya, bhakti, yog sab prapt ho jaega. Kisi bhi yug mein agar kisi ne bhagwat tatv ka bodh prapt kiya hai ya prem prapt kiya hai to kah rahe hain chahu jug chahu shruti naam prabhav kal vishesh nahi aa upa naam le bhav sindhu sukha karahu vicharu sujan man ma ved puran sant mat u sakal sukrit kar phalna sane charon yugo mein charon vedon mein us sab ka prabhav phal yah ki naam mein priti ho jae.
naam japne mein ruchi ho jae. Naam japne wale ko bhav samudra se par nahi hona parta. Bhav samudra sukh jaata hai. Naam let bhav sindhu sukhahi. Ved puran sant bhakt sabka ek hi mat hai ki tumhare sakal sadhno aur sukrit ka phal yah hai naam sanehu naam mein sneh ho jae. Naam mein priti ho jae. Jitne shastr hai un sabka gyan tumhen padhne se nahi hoga. Kah rahe hain yadissi param gyanam gyana param padam tada yatne mahta kuru Govind kirtanam yadi tumhen adhyatma gyan ki baat janni hai vedant ki baat vedon ki baat janni hai to tum sab chodo to Govind Govind Govind Govind Govind sab gyan ho jaega.
ye mahapurushon ke vachan hai. Agar tumhen naam mein priti nahi ho rahi to phir baat nahi banegi. Aho chitra maho chitra maho chitra duja hari naam nishchitte lok sansare warte punah ascharya hai ascharya hai bade ascharya ki baat hai sab sukh chahte hain labh chahte hain anand chahte hain dukh mitana chahte hain par spasht dukh mitane ke liye sarwa mein anand pradan karne ke liye naam virajman hai. Bhai hari naam japte nahi dukh mitana chahte hain. Kaise ho sakta hai? Aho chitra mahochitra mahochitra midam duja ye bade ascharya ki baat ascharya ki baat ascharya ki baat hai.
ki sarv samarth naam virajman hai. Naam ka nirantar chintan na karke apne man ko anya sadhan asadhnon mein bhatka rahe hain. Bada ascharya hai. Prabhu ke naam ke sadhan ke rahte hue bhi log sansaar mein dukhi ho rahe hain. Kyon nahi pakdte naam jap? Y naam kirtanam bhakt vilapan manattam mait shesh papa naam dhatu naam pavak jab upasak apni jibhya se naam ucharan karta hai Radha Radha Radha Radha to jaise agni dhatu ke mal ka nash kar deti hai aise hi naam antahkaran ke mal ka naam nash kar deta hai. Bhav se kiya hua bhajan bahut jaldi labhdayak hota hai.
jahan antahkaran ka mal nash hua ki bhagwan ki pavan rup madhuri hriday mein hi jhalakne lagti hai. Isliye chakrakitas naam sada sarvatra keerta nacham keertane tas sa pavitra karo yata yadi tum bhagwan shri hari chakrapani ka nirantar naam ratte ho to ab tumhare liye apvitrata pavitra ki baat khatm ho gayi hai. Tum jaise bhi ho nirantar naam jap rahe ho. Soch mein bhi baithe jap rahe ho. Jo pavitra bane bane nahi. Naam tumhen param pavitra rakhega. Naam ham kai tarah ke bhay se bhi bhayabhit rahte hain. Kahin aisa na ho jae, kahin aisa na ho jae.
agyaan ke karan yadi ham naam shuru kar de to bhay sab khatm ho jae. En ken prakarare naam matra jalpaka shramam vinav gachchhati pare dham sama kin prakaar jaise bane man lage na lage jaise naam ucharan karo naam matras jalappakahan kin prakarare naam jibhya se ucharan karo bhav bane na bane shraddha bane na bane pavitra ho apvitra ho labh dikhayee de na dikhayee de par ek bar yah janm baat mankar chal do naam to shramam vinyav gachchhati pare dham sama bina kisi shram ke paramdhaam mein pahunch jaega uska bada aadar hoga isliye pyare tum mera naam lo nirbha nirbhay ho jao mat daro mat daro o pyare tumhare sharir mein rog hai shok hai tumhari vyvastha badi bigdi hui hai abhav hai vastuon ka samagriyon ka dhan ka tum raat din isi vishay mein jal rahe ho ro rahe ho abhav grast hokar, rog se grasit hokar, shok se grasit hokar ab meri ek baat man lo.
tumhen kabhi rona nahi padega. Pehle to rona band karo. Ye chillana band karo. Yah samasya, yah samasya, yah samasya. Ab meri baat man lo. Mera naam lo. Tere sare dukh dur kar dunga. Mera naam jap karo sare abhav dur ho jaenge. Meri baat par sanshay mat karna. Chahe bhakti shraddha na ho to bhi nirantar mere naam ko jab tu lega to tere hriday ki jalan shant ho jaegi. Bahari abhav khatm ho jaega. Rog shok ka prabhav tere upar nahi padega. Tu mukt ho jaega. Tanasta karmajam loke vajam manas mein cha yatra chhapayte ppam kalau Govind keertanat mat dar sansaar mein aisa koi paap nahi jo man se, vachan se, karm se kiya gaya ho.
aur jor jor se naam ucharan kiya Govind Govind hare murari Govind Govind Mukund Krishna Govind Govind rathang pan Govind Damodar madhweti Radha Radha Radha kahe bas itne matra se tere sare paap nasht ho jaenge chahe jitna bada tu papi ho tumhen bas savdhaan rahna hai ki uthte baithe khate pite sote sukh mein dukh mein abhav mein bhogon ki bahulyta mein upeksha mein shraddha mein bhakti mein abhakti mein kolahal sansaar ke ekant mein swapna mein jagran mein naam na chhutne pave yah hai siddhvastha uthte baithe khate pite sote sukh mein ya bhari dukh mein abhav hi abhav hai to bhi naam nahi chhutna chahiye ya bahut sukh ki bahulyta hai to naam sab upeksha kar rahe hain to bhi naam nahi chodna sab shraddha bhakti se tumhen pranam kar rahe hain to bhi tumhen naam nahi chodna.
kolahal bahut sansaar ka to bhi naam na chhutne pave. Ekant mein ho to bhi naam na chhutne pave. Jab aisa abhyaas karoge to swapna mein bhi naam chalta hai. Jagran ki kaun kahe? Ab tujhe kuch sochne ki zaroorat nahi hai. Jab tu mera naam le raha hai to tera sab bhaar main apne upar le leta hoon. Bhagwan kah rahe hain ab to tujhe mera dular milega. Sahi baat bhari se bhari vikat paristhiti mein prabhu ka dular milta hai. Wo kisi ko dikhayee thodi deta hai. Wo hriday ka vishay hota hai. Dekh lena tujhe main sada ke liye beparwah nishcint kar dunga.
tu mera naam jap kar main tribhuvan mein tera naam prakashit kar dunga. Aisa hi hai. Ye amritmay baat hai. Sab sadhno ka sah tu mera naam jap kar. Tujhe ichchha hai na ki mujhe log jaan jae. Tribhuvan mein tera naam prakashit kar dunga. Aur tu mere naam ka sahara le to main teri sari jimmedari swayam sweekar karta hoon. Bhagwan ab isse bada nishcint hone ka kya upay ho sakta hai? Ek dhani aadmi kah de ki tum nishcint ho jao. Jab zaroorat padegi to ham hai to garv se phule ghumenge. Akhil koti bramhandon ke Swami kah rahe hain.
phir kya tumhari samjh mein nahi aa raha? Aur tujhe batau tu parivaar ki chinta mat kar. Teri sat pidiyan jo bit chuki hain aur 14 pidiyan jo age ayengi unka udhar kar dunga. Yadi tu apni jibhya pe nirantar mera naam ratega. Yah bhi theka le liya. 21 pidiyan nahi 14 aur sat 21 ye to shastron mein kai bar paya gaya hai. Aap to tarenge hi aapki 21 pidiyan tar jaengi. Imandari se lag jao. Samay nahi hai. Anya kisi sadhan ki taraf ruchi mat karo. Sharir se bhagvatik jo cheshta ho rahi bas uthte jo agyaa kar rahe hain.
uthte baithe khate pite sote jagte chalte phirte bas naam naam chal raha hai. To kah rahe hain tera sab bhaar maine apne upar le liya. Ab tu sada ke liye nishcint ho ja, beparwah ho ja. Parivaar ki bhi chinta mat kar. Teri sat pidiyan jo bit chuki hain pitr lok mein hai aur jo 14 age hongi in sabka udhar main kar dunga. Agar tu mera nirantar bhajan karega. 21 pidiyan tarangi. Tan naam kaute bhajas dridhman naam yukt priyokam naam yukto bhavajun tu keval apnit mein dridta le le ki ab mujhe keval naam hi naam japna hai.
jab iska abhyaas chal raha tha naam mantr jap karne ka to jaise kahin sant samagam katha varta ho rahi to aapse satya kahte hain mantr ki gunj ke age kuch sunai nahi de raha tha thodi der baithe ke baad phir ganga kinare baithe the kyonki jo sunai de raha hai wah chhut nahi sakta aur jab kolahal macha hai mantr ka aur koi baat sunai nahi deti aur yah baat aa jati ki yar is sunne ka phal to yahi hai na lago chupchap isi mein raat din raat mein sardi mein sharir kamp raha hai mantr ekdam mashin ki tarah chal raha hai jab abhyaas sukh purvak abhyaas hi ka bhajan ho sakta hai naye sadhak ka nahi yah anubhav ki baat kah raha hoon.
naye sadhak ko asuvidhaa sweekar karni chahiye. Sadharan bichhauna jamin par let jao. Raj ke patr mein bhikshuk ki tarah jo uchit bhojan usko le lo. Jo seva bane seva bilkul nirvikaar raho. Jab tak wo vastr phat na jae dusra kamre mein mat rakho. Do langoti do achla ek odhne ka odhne wala to bahut samay tak chalta hai ekdam vairagywaan tum logon ko kisi se sampark nahi karna hai koi matlab nahi shri ji ki seva mein ho ya rasoi seva mein ho ya kisi seva mein ho maun dharan karo naam jap karte hue roti banao naam jap karte hue pocha lagao naam jap karte hue bhagwat bhav rakh ke dusron se varta karke ke unko sadga batao.
jaise jinko jo seva mili hai dridta purvak tu chitt se naam ko pakar le. Naam yukt mujhe pran pyara lagta hai upasak. Tu naam yukt ho ja. Kalyug mein main naam rup se sakshat virajman hoon. Mahaprabhu chaitanya dev ne kaha hai jo Krishna naam hai wah sakshat Krishna hai. Je naam mein te Krishna to agar ham Radha Radha rat rahe to swamini jo Radha naam rup mein hamari jibhya par virajman hai. Naam le ab dar mat mat dar mat dar are tu mera bhakt hai. Tujhe koi bhayabhit kar sakta hai. Ye bahut amritmay vachan hai.
shri sitaram onkarnath ji maharaj ke bade siddh mahapurush hai. Naam jaap tu mera bhakt hai. Tujhe kisi se dar hai. Tu keval naam to le. Tu janta nahi hai ki bhay bhi mere bhay se bhayabhit hota hai. Aa mere bhay se bhay bhi bhayabhit hota hai aur tu mera priy hai kyonki mera naam jap raha hai. Bade-bade chamatkar naam japon mein dekhe gaye. Tu kisi bhishan jhanjhwa se ghabra mat kyonki main bheeshnon ka bhi maha bhishan hoon. Isi baat mein bhakt janon ki chati phuli rahti hai. Tu vipattiyon se dar mat kyonki teri vipattiyon ka nash karne ke liye main virajman hoon.
jab tu mera naam le raha hai to main tujhe bahut pyar karta hoon. Aur kahin jab tu aisa kahta hai ki he prabhu main tera hoon bhagwan kah bahut premi hai priti ki riti ranghilo jab koi kah deta hai ki prabhu main tera hoon to main uske sanidhy ko kabhi nahi chhota. Main uske paas hi rahta hoon. Main use abhay kar deta hoon. Yah mera vrat hai. Prabhu satya hai. Unki vani satya hai. Nirantar naam jap kar rahe. Bichbich mein nikal raha hai. He prabhu he Priya ji aapke siva hamara koi nahi. Aap hi ho. Bas wah sun rahe hain.
aisa nahi ki koi uttar nahi mila to main wo hamari prarthna vyarth gayi. Aisa nahi. Tu dhyan de. Akash tut kar prithvi par gir pare. Pralya ki agni ki jwala gher le. Karodon bajpat hone lage. Bhaykar jhanjhwat vishv brahmand kamp uthe sato samudra ufan mein ho jae tathapi ai naam japak main jab tujhe chati se lagae rakhunga to ye kuch bhi tera bigad nahi sakte naam japak ko bhagwan kah rahe hain kuch nahi bigad kya bigad liya brajvasyon ka Devraj Rajendra ne kya bigad liya? Kuch nahi.
Baba ka kya bigad liya? Varun dev lokpal ne ghutne tekne pare. Jab main tujhe chati se lagae rehunnga bade-bade jhanjhwat pralyagni sato samudra ufan bhari ye sab kuch nahi tere ko chu payenge. Aisa hi hai. Aisa hi karte hain bhakton ke saath. Aisa hi vihaar inka hai. Yah baat mat bhulna kyonki tune kaha hai ki he prabhu main tera hoon to main kah raha hoon ki tu sirf mera hai. Sirf aisa bhakton ko thodi anubhav hota hai ki bhagwan ke bahut se bhagat hai. Unko anubhav hota hai ki prabhu sirf mere hain.
kyonki uske manas patal par aur koi nahi hota. Keval prabhu hote hain. Har samay unka dular pyar to yah bahari baat si lagti hai ki bahut se bhagat bhagwan ki aradhna karte hain. Yah bahari chetna ki baat andar ki chetna mein to sirf wo hota hai. Uska pyara hota hai. Bas us upasak ke netron mein manas patal par bhav nikunj mein keval Priya pritam hote hain. Main bhi hoon. Iska vismaran ho jaata hai. Keval Priya pritam abadh prem beech mein koi badha nahi. Keval shyama pyari ka dular keval wo hamen dekh rahe hain.
hamen dular kar rahe hain. Keval hamen pyar kar rahe hain. Ham unke samip hai. Dusra koi nahi. Vishwas karo keval is baat par upasak ki drishti ke samne keval upas dev hote hain aur unka pyar dular sidhe keval usko milta hai. Koi vyavdhan nahi kisi ka bhi ye antarik vishay hai. Dusron ko bhi sirf shyama Shyam aur aap har ek upasak ke shyama Shyam alag hain. Wah apne pran pyare upas dev ki bhavna mein unhee mein duba rahta hai. Ab wo apne bhav aapko agar batayen na to aap samjh nahi payenge. Wo apne bhav desh mein Priya pritam ko van vihar kara raha to dusre upasak ke bhav deh mein wo bhog laga rahe hain.
tisra jhula jhula raha hai. Hai na alag-alag? Ek ke saath van vihar mein, ek ke saath bhog arogya rahe aur ek ke saath Jhulan leela ho rahi. Vivid bhakton ki bhavna mein keval wo hota hai aur Priya pritam hote hain. Keval priyal aapke hi hai. Keval aapke aapki sampatti hoti hai. Atho pahar sampurn seva aapki hoti hai. Wo matlab tark vitark ka vishay nahi. Hriday ka vishay hai. Us jo kha rahe hain to phir usmen ham tumhen jo hamen swad mil raha hai to phir ham tumhari kyon myu kyon samjh payenge? Hamari baat samjho ya na samjho aisa hai.
jaise hamari drishti mein abhi diwal hai, khambha hai uske piche jo baitha hai nahi dikh sakta. Lekin jo bhav drishti hoti hai usmen sirf Priya pritam hote hain. Koi badha nahi hoti. Chidanand drishti aur chidanand mein Priya pritam chidanandmay leela ye bahut himmat bandhne ki vritti hamare hriday mein jagni chahiye. Kah rahe hain ki pyare chahe koti koti vajrapat ho pralyagni ho bhaykar jhanjhwat ho vishv brahmand sato samudra ufan mein use dubo rahe ho par tum mat darna kyonki main tumhen chati se laga dunga.
koi bhi dukh tumhen sparsh nahi kar payega. Aisa hi abhas hota hai jiske hriday mein keval hi hota hai ki mere prabhu aapke koi aur hain to sahyogi bhijwa denge wo aur agar aapne kisi ko sahyogi nahi mana hai to phir wo jaise maa apne ladle putr ko chati se lagae dolti hai aise anant vatsalya samudra prabhu apne janon ko hriday se laga. Yah vani ka vishay nahi anubhav ka vishay hai ki prabhu kitna dular karte hain. Tum samjhte ho bhagwan aaenge kabhi darshan denge kabhi. Wo jaate hi nahi. Kah rahe hain ek kshan ke liye main apne bhakt ko nahi chhota.
jiski jibhya par satat mera naam hai aur wah kah de ek bar ki he prabhu main aapka jaisa hoon aapka to phir main uski sari jimmedari sweekar karta hoon. Dekho tum hamse vimurkh hokar tapit hue ho, drishit hue ho, shabhit hue ho, shraant hue ho, klaant hue ho, vismaran ke gart mein chale gaye ho. Is sansaar swapna ko satya mankar hahkar mein phas gaye ho. Yah keval mayakrit swapna hai. Sansaar satya nahi hai. Yadi tum naam ka aashray le liya hai to tumhen dikhayee dene lagega ki mere siva koi nahi hai. Ye mere siva koi nahi hai.
darna mat. Main purn ka bhi purn hoon. Main prakash ka bhi prakash hoon. Main shanti ka bhi shant hoon. Main anand ka anand hoon. Mere se hi akash avkash prapt karta hai. Main hi surya ka sanchan karta hoon. Mere hi bhrakuti ke ishare se charachar jagat bartaav kar raha hai. Ab tu mat dar. Ab tu meri sharan mein aa gaya hai. Ab anand hi anand ka tere ko anubhav hoga. Tujhe koi nasht nahi kar sakta. Brahmand vinashyati deva indrad tatha kalyan bhakti yuktas mad bhakto na prannasati sare brahmand nasht ho jae Devraj indra aadi ye sab nasht ho jae par jo mera naam jap karta hai mere ko sweekar kar liya hai na pranashyati uska nash nahi ho sakta.
sat shudhi karam naam gyan pradam smritam mumukshu naam mukti prad kamina naam sarv kamdam antahkaran shudhi karne ke liye aur koi sadhan ka aashray mat lo. Keval naam jap karo. Yah shuddh kar dega antahkaran. Gyan prapti ke liye koi anya sadhan mein mat jao. Naam jap karo. Yah tumhen shuddh gyan pradan kar dega. Naam mumukshta jagrit karta hai aur naam hi mukti pradan karta hai. Agar tumhen lok ke kisi bhi sukh ki kamna hai to naam jap karo. Yah tumhen sab sukh pradan kar dega. Naam se bada koi tirth nahi hai.
isliye naam japak ko bhatakne ki bhi avshyakta nahi ki amuk jagah chale. Haan swabhavic hai to karo. Lekin zaroorat nahi hai. Zaroorat hai naam na chhutne pave. Naam param tirth hai. Naam param punya hai. Naam nami se bhi shreshth param dev hai. Naam sabse badi tapasya hai. Naam sabse bada dan hai. Naam sabse bada maha karm yog hai. Naam sabse bada param dharm hai. Naam sabse bada param dhan hai. Naam hi bhakt ka nirantar japan karna kam hai. Naam hi moksh rup hai. Naam hi param bhakti hai. Naam hi param gati hai. Naam hi param japya hai.
naam hi sarvshresht hai. Are o pritam tu ab samjh gaya hoga mere naam ko. Isliye naam tujhe vartman mein keval lena hai. Jo abhi kshan chal raha hai usmen naam jap kar. Bhavishya ki chinta mat kar. Bhut ke liye mat dar ki mujhse paap ho gaye hain. O pritam ab darne ki zaroorat nahi. Nirantar naam lene ki zaroorat hai. Sab chintaen tum chhod do mere upar. Yah ahankaari jeev nahi samjh payega. Tu jaan to mere ko mere dar se agni prajvalit hoti hai. Mere bhay se surya tapta hai. Mere bhay se indra, vayu, mrityu apna apna karya karte hain.
mera sharanagat bhakt ki chhaya bhi chu sake. Ye log itni samarth nahi hai. In lokpalon ke liye bhagwan kah rahe hain mere bhakt ki chhaya bhi chu sake. Itni samarth inki nahi hai. Mera sudarshan chakra har bhakt ke piche gupt rup se raksha ka kam karta rahta hai. Bas samarpan ki bhavna ho. Mukh mein naam ho hari aashray aur ye sudarshan ji sarv rup dhari hain. Yah kuch bhi rup rakh sakte hain. Ye manushya akriti rup dhar karke bhi aapko bacha lenge. Kuch na kuch aisa ye nirantar rahte hain bhakt ke piche. Yah divya bhagwat parsad aisa nahi ki keval astr rup mein hi rahte ho.
har bhakt ke piche bhagwan ka yah suraksha vidhan chalta hai. Wah bhagwat parsad hai. Par yahi baat hai ki agar anya aashray anya bal hai to phir nahi baat banegi. Jo sarkar ka vishesh paddhikari hota hai uski suraksha ke liye nahi laga diye jaate. Jeth ho kya aise kahe? Haan jo sikyoriti aise bhagwat bhakt ke piche sudarshan chakra ki seva rahti hai. Har samay darne ki zaroorat nahi. Aapka aashray dridh ho aur nirantar naam jap ho to mahmmahim bhagwan ke sudarshan chakra ji har samay piche rahte hain. Kisi ki sparsh karne ki samarth nahi meri agyaa ke bina isiliye jab bhakt ko koi dhakka lagata hai, gali milti hai to usko santosh hota hai ki bhagwan ka vidhan hai koi ahankaar nasht karne ke liye.
nahi to aisa ho hi nahi sakta tha ki koi aisi cheshta kar sakta. Koi baat mat suno kisi ki. Kisi ki baat ko lekar ke soch mein mat pado. Meri baat suno aur nirbhay ho jao. Bas tumhen uchh utkantha se naam lena hai. Main tumhari jaban mein naam rup se aa gaya hoon. Ab tere ko darna nahi hai. Tera sara bhaar le liya hoon. Phir bhi tu chinta kyon karta hai? Tu janta hai tumne to mujhe apna keval kaha hai aur main tumhen kitna pyar karta hoon tum nahi jante ho. Sachchi agar wo pyar na karen to unka naam unka chintan unka bhajan unke liye apnapan ki sthiti yah bilkul nahi rah sakti.
maya bahut malin swabhav ki hai. Tu kisi akanksha ke liye pareshaan hai. Kamna ke liye aur main tujhe nirakankshi banana chahta hoon. Dekho yahi hamse truti ho jati hai. Ham chahte hain kamna ki purti aur bhagwan hamen nishkam banana chahte hain. Kah rahe hain teri akanksha isiliye purn nahi kar raha hoon ki main tujhe nirakankshi banana chahta hoon kyonki nirakankshi hi mere paas aa sakta hai. Mera prem prapt kar sakta hai. Dekho main tujhe kitna pyar karta hoon. Jab tu mujhse vimurkh tha aur kamini ki ichchha ki to main hi to stri bankar tere paas aaya tha.
tuchch kamnao ko jo jo tune kiya main hi to wo rup le aaya tha. Mere siva koi nahi hai. Bahut gud baat hai. Aapko jo patni mili na prabhu hi hai. Putr hai na prabhu hi hai. Wahi bane hue hain. Ab kar lo bartaav ulta ya sidha ulta karoge to bandhte chale jaoge aur sidha karoge to mukt ho jaoge. Bhagwan hai saath mein tumhare. Tu janm janmantar mein jo jo kamna ki hai main hi bana hoon. Main hi ab unhin kamnao ke dukh se dukhi hokar ro rahe ho tum. Isliye main tumhen nirakankshi banana chahta hoon.
koi kamna tumhare hriday mein na rah jae. Aao ai meri amrit santan amrit santan laut aa is deh jal se hat ja deh sambandhi ki mamta se hat ja aur aap apne swaroop mein aur lag ja mere gale se ye naam jap se kamnao ka shaman swaroop ka bodh aur bhagwat aalingan naam bahut mahimamay hai. Kahan tak kahe? Agar tumhare bhagya mein likh gaya ki roro narak bhogna padega. Yah amuk amuk dukh tumhen bhogne hain. Ab wah likha padhi mitari nahi ja sakti hai. Aisa siddhant nahi hai. Jaise wo suna hai ki aap thane gaye batchit hui nipat sakte ho.
aur agar usmen likh gaya register mein ephaaeear ab kanun ke hisaab se hi aap mukt ho sakte hain. Wo panna phada nahi ja sakta. To hamara likh gaya aise aise karm the. Likh gaya is samay yah bhog is samay yah bhog to kah rahe na bhay yam dut naam na bhay ravadikam na bhay pret rajas Govind cha jalapnath tum mera naam jap karo Govind Govind Govind Govind ye yamdoot tumhen sparsh nahi karenge roro nark jo tumhare bhagya mein likh gaya hai wo sab nasht ho jaega yamdand ki takat nahi hai ki tumhare upar prhar kar sake tum keval naam lo naam sab badal jaega.
tumhara likha hua sab badal jaega. Koti janm ke aparadh nasht ho jaenge. Isi janm mein tumhen meri prapti ho jaegi. Keval naam jap karo. Naam se sab kuch purn ho jaata hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- sarv papon ka nash karne wale shri giriraj ( Govardhan ji ) ki adbhut mahima // 09/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- divya Diwali maha mahotsav // 08/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- in 10 dosho se pahchanen ki hamare bhitar paap hain ya nahi / gopiyon ki virah vyatha evam bhramargeet ka varnan — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan…
- santo ki kripa se prapt hoti hai aisi adbhut sthiti / Uddhav ji ko dekhkar brajvasyon ki virhadsha — Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasau purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param…
- nihal kar dene wali sharanagati ka varnan / Uddhav ji ka shrikrishna ka sandesh lekar ana / nandbaba se varta — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shi shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param…