॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

shrikrishna leela: ladle Radha-Krishna ka pratham milan kaise hua ? // 14/10/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta tap mugam nirvai param shital mashryam param shital mashray param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nivraat nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti pranam koti saha naman namaskaar aaj badi rasmei charcha hai. Abhi tak to aghasur bakasur Putna tanavarta vsasur inse mila bhagwan ko kasht dene wala prayas aur bhagwan ne inko diya param pad.

aaj bhagwan ko sukh dene wala charit hai jismen param ras datri shri Priyaju aur shri Lalaju ka pratham milan hai. Barsane mein shri ladli ju aur nand ganv mein shri Lalaju maharaj abhi tak kunwar kunwar ki dekha dekhi nahi hui. Netron mein netr nahi mile. Param rasmay yah charcha mahas sindhu mein dube hue rasik shekhar rasik shiromani shri dhruvdas ji ne jo divya leela dekhi wahi gayan ki. Apne log rasaswadan karte hain. Priya pritam ke prem ras ki yah mahmmahim pratham milan leela hai. Ismen pratham bar ladli ju ko lal ju ne dekha aur lal ju ne ladli ju ko dekha.

abhi tak to jitne aae wah sab dekhne layak nahi the. Prabhu ko kasht dene ke marne ke irade se aae. Prabhu ne karuna karke unko param pad diya. Aaj prabhu ko prem vihal vikal kar dene wali leela hai. Jismen pratham darshan hamari maharani jo ka shri lal jo maharaj karte hain. Pratham milan vidhi jo u ai jatha buddhi jaisi kachu gai ras vihin ke ye man nahi bhave pahan chit ko samjhave naval neh ras adbhut aah rasikan binu ko samjh tah rasikan hit viv kunwar bhay pragat brajani pratham milan sukh kahat ho jahan lagi buddhi praman shri hit dhruvdas ji kahte hain jaisi priyaju ne hamen leela dikhayee aur jaisi hamari buddhi mein ai waise main sarvpratham pratham milan leela jo Priya pritam ki hai uska gaan kar raha hoon.

iska sukh wahi le sakga jisko priyaju se apnapan hai. Jo ghor sansari vishay bhogon mein rath hai uska hriday pashan ki tarah hai. Wo is ras ka rasaswadan jab bahut din satsang karega jab bahu kal kari satsanga tab ho sab sanshay bhanga rasik kripa se ladli ji ke prati ye bhav ana hamare mai shyama ji ko raj ye thesak ana tab is ras mein usko rasaswadan milega braj ke mahipti shri nand ray ji unke ladle shri lal ji maharaj kumar avastha mein hai aur shri vrishabhan ji maharaj unki ladli ye bhi kumar avastha mein hai vai kishor ye kumari nausel shiksha diksha yah kumar avastha mein kishor avastha ka avesh ho jaata hai.

inme preetim kam naam matra janat prodam romagmam smaran matra se kashor avasthao ka bhav aur prem ki bhari umang ye hamare Priya pritam hai. Itne sundar lal jo hai ek din Lalita ji ne dekha ki ang ang sundar ati shobhan yah maha sundar sundarata ke samudra Lalaju agar inko Priyaju ek bar dekhen aur sundarata ki sima si Priyaju inko ek bar Lalaju dekhen sakhiyon ka jo het hai wo Priya pritam ko milana hai. Kaisi sundarata lal ji ki hai. Chavi tarang kachu kahe na ja Madan koti lute charan ni chhahi aisi avastha aisa rup karodon Kamdev jinke charnon mein murchhit hokar gir jae aisi sundarata lal ji ki hai.

sundarata ke samudra hai. Itne sundar hain ki man stambh mein apni rup madhuri dekhkar ke lattu ho jaate hain aur kahte hain ki main tumhen makhan khavaunga tum mere dost ban jaoge. To wah bhi aise makhan dete aur wo bhi kuch kah rahe kyonki manik mein ja ka tyun pratibimb maiya dekh dekh kar nihar swaman man mohan inka man khud mohit ho jaata hai. Itne sundar hain. Prabhu apni rup madhuri dekh ke lattu ho jaate hain. Swaman man mohan muni man mohan vishv man mohan Madan man mohan sakhi ne dekha socha ek bar Priya ji is rup ko dekhen aur ek bar ye hamari ladli ko dekhen kaisi ladli du i da shri bras Bhanu dulari vaish kishor bh suvari adbhut rup kunwar ko mai aisa priyaju ka rup rom rom se sundarata tapak rahi hai.

dhruvdas ji kahte hain kaha kaho agar ek jibh mein samarth hoti to varnan kar pata karodon jibhya rom rom mein ho koti koti rasna jo rom rom prati hoe pyari jo ke rup ko na praman kaho jat hai ati hi agadh sindhu par nahi pave ko chhuti buddhi seep maj kaise samat hai meri buddhi to seep hai Priya jo ko rup apaar prem samudra hai kaise sama sakta hai. Yadi ek ek rom mein karod karod jibhya ho to bhi varnan nahi kar sakte. Harivansh mahaprabhu kahte hain swamini ji ke rup ka varnan karna chahte hain.

kahte dekho mai sundarata ki sima kaisi sundar hai ki jo braj yuvati jan hai wo ek itni sundar hai ki karodon lakshmiyon ke saundarya ko hapra karke unko ashcharyachkit karke murchit kar de. Lakshmi koti vilaksha lakshan leela kishori sat Ram braj mandle madhuram Radha vidhanam param karod karod lakshmiyon ko ashcharyachkit kar dene ki samarth ek braj yuvati mein hai aur aisi braj yuvtiyon ka samuh shri ladli ke rup ko dekhkar greeva jhuka leta hai brajno tarun kadamb mukut mani shyama bani samasth braj taruniyon ke samuh ki mukut mani hamari shyama jo hai dekho dekho ma sundarata ki sima brajno tarun kadamb nagri nirakh karat adhwa to aisa lagta hai mahaprabhu ab rup ka varnan karenge par asmarthta prakt kar di pehle hi pankti mein jo hit sajni swaroop paas rahte hain kahte hain jo koti kalap lagwe rasna kotik pave to ruchir badnarwind ki shobha kahat nave to bole kuch udaharan mein de do koi kisi lok ki sundari bole devlok bhulok rasatal sun kavi kul mati darie sahaj madhuri ang ang ki kah kaso pathrie bas itna ishara bata dete hain ki jinka pratap rup gun balway sab adbhut adwati aur ved neti neti kahte hain wo prabhu krida mrig ki tarah hamari swamini ke adhin hai.

Swami haridas jo maharaj kahte hain yah kaun baat jo ab aur ab hi aur ab aur pache na suni abhu hoon age hoon na ho hai yah gati adbhut rup ki aur ki aur hai ye dev nari nag nari aur nari te na ho aur ki aur ye jo pyari ju ka rup shri Lalita ji ne socha ek bar lal ju dekhe aur lal ju ka rup ek bar pyari jo dekhe ati sukumari naveen kishori jun ke man let hai chori koi bhi sundari aisi nahi jo Priyaju ko dekhkar lubhayaman na ho jae ang ang banik kahi na jai jit chitavat barsat chavi mai ai jidhar pyari jo dekhti chavi ki varsha ho jati hai.

kunjan ke angan mein jahan jahan pag dhare chavi ke bichhauna se bichhae ta jat hai. Kaise koi pyari ji ki mahima ka varnan karen. Dhruvdas ji kah rahe hain vishv sundriyon mein anant bramhandon mein agar dekha jae to inke naam liye jaate hain. Kamdev ki patni rati bhagwan narayan ki Priya lakshmi ji inko rati kamla aur phir kuch apsraen hain jaise Urvashi ji bejod sundari hai to bole rati kamla devangna nari hamari priyaju ke samne padnak ki dut upar bhari inki sundarata nyochhavar hai swamini ji ke ek nak ki kant ke barabar nahi yako rup ye aisa rup hai jo dekhe ai so rupwant hoe jai piyaju kaisa rup hai is rup ki jo aradhna kare wo bhi rup rashi ho jaega bada sundar swabhav bhav bada sundar vapu bada sundar akarshan paida ho jaega kyonki sabka akarshan karne wale Krishna ke bhit ko akarshit karke adhin karne wali Priya jo hai shri Lalita jo nand ganv aur barsane ke beech mein ek sarovar bhi aur bat bhi hai.

use sanket vat kahte hain. Bada ramni sarovar jiska naam prem sarovar hai. Us sundar vanasthali ramni bhumi par juhi malti vivid prakaar ki latae vrikshon ka aalingan kiye hue pushpanwit hai. Khili hui hai. Lalita ji ne vichar kiya in donon ko milane ke liye yahi sthan param uttam rahega. Shri Lalaju ke samip jati hai. Lalaju nand bhavan mein the. Ishare se bulaya. Nazdik aae. Aur Priyaju ke rup ka varnan kiya. Jab Lalaju ko priyaju ka sakshatkar sakhi ki kripa ke bina nahi ho sakta to kisi jeev ko kaise ho sakta hai?

jab ishwar ko priyaju ka sakshatkar sakhi ki kripa Priyaju ka rup varnan kiya. Lalu rup sun ke hi vikal ho gaye. Mano purv ki jo prem vritti hai wo sakhi ne jagrit kar di. Sakhi ke charnon mein padte hain. Jo rup bataya ye darshan karne ko kaise milega? Unhone kaha hamari Priya jo prem sarovar mein hai ham sab sakhiyon ke saath kabhi-kabhi khalne aaya karti hai. Yadi aapko darshan karna hai to aie kahan darshan honge? Prem sarovar mein. Priyaju ka darshan prem sarovar mein hota hai. Jab tak hriday prem sarovar nahi banta prem ka pradurbhav nahi hota tab tak priyaju ko koi nahi dekh sakta.

sandra nand ghan prem murti kishori priti murtimti ras sindhu sar sampad vimla prem samudra ka sar shri ladli maharaj hai bahut hi karunami albeli sarkar sab sukho ki varsha karne wali Lalita sakhi ki kishori jo ki baat sunkar nand nandan ke hriday mein atyant prem uday hua prem kaise uday hota hai? Priyaju ki baat sunkar Priyaju ka naam ratkar Radha naam sudha rasam raseet jeesta mein bhi bhala Radha Radha Radha kal ek bhagat ji aae wo kah rahe the do varsh se main satsang sun raha hoon to jeevan ka sar laga to Radha naam pakar liya hogi koi unki aisi pareshani hriday mein bole wo pareshani nivatti hui lekin sharir ki ek pareshani thi jismen operation mein jana tha.

bas hamne pukara Radha Radha Radha to bole pata nahi aap vishwas karoge ki nahi karoge. Unhone kaha mujhe operation thietar mein shri Krishna bansi liye khade dikhayee diye. Unka mujhe koi sanshay nahi kyonki Radha naam ki aisi mahima hi hai ki Radha naam gayak ke piche piche thakur ji rahte hain. Ye siddh hamare ras granthon mein likhi hui baat hai. Ham kaha hamen koi unke ankhon mein aansu the. Wo kah rahe the koi vishwas mane na mane. Ye jo ham aapse batane aae hain ye ham shri ji se prarthna karke batane aae.

bahut vinay kiya ki ladli ji yadi hamara satya Radha naam mein prem hai to mujhe Baba se mila do. To mujhe do din mein aisi vyvastha ki mili aur main ye keval batana chahta hoon ki kitni apaar kripa Radha naam ki hamare upar hai. Nand nandan ke hriday mein prem umga. Prem samudra bhagwan hai aur prem samudra ka sar hai ladli jo aur shithil ho gaye. Ab to bas kaise rup darshan ho jo maine suna hai. Pritam ke man mein ullas hua ki naval kishori ka kis prakaar se darshan ho. Ab wo upay karne lage. Jis din se priyaju ki baat suni unhen kisi se baat karna accha nahi lagta.

pehle to khelnaa hansna ab to kuch accha nahi lagta. Bas ek hi baat hai kunwar kishori ji ko kaise dekhun yahi hai kunwar kishori ji ke dekhne ka upay na ko so bol na koi vihaar bas udasin chittavatta nirantar priyaju ke charnarvind naam ka chintan karte hue unhee mein ab to kisi se koi baat karna accha nahi lagta tahi tak ab lage raha kahu so kachu baat na kah nit uthi barsane tan ja jit sanket saghan ban aa nit prati ab ek hi niyamavli rah gayi barsane ki taraf jana aur dekhte rahna. Bas usi sanket prem sarovar mein baithe rahna.

kab ayengi priyaju sakhi ne kaha tha wo khalne aati hai. Ek din man mein than liya ki jab tak Priyaju ke darshan nahi honge ab main yahan se nahi jaaunga. Aur saghan kunj mein chhup ke baith gaye. Udhar bhari kauthal sahastron sakhiya gaan karti hui aur madhya mein maharani ji badi adbhut chavi hai koti chandramaon ki kant ko bhi he karne wali priyaju ka mukharvind gaur varan gaurangi anant bijliyon ki kant pita anant ta latabh anant bijliyon ki shri kam ki aur priyaju ke pratibimb swarupi samasth sakhiya lal jo chhupe hue saghan kunj mein baithe barsane ki taraf hi dekh rahe the ki gaan sunai diya khade ho gaye aur wahan dekha samasth braj yuvtiyon ke beech mein halki jhalak mili maharani ji ki badi vilakshan chavi shri swamini jo ki aisa lagta tha koti-ki chandrama ek saath uday ho gaye ho.

naval kishoriyon ke madhya mein anupam rup lavanyamai hamari Priya jo tanmay ho gaye nand nandan par bhar netr dekh nahi pa rahe kyonki shastron sahcharya hai chal rahi kabhi unke sahachari ki aad ho jati hai bade vyakul hue ki bhar netr dekhne ko mile. Priyaju adbhut gaur varn aur nilambr neel varn ki sari dharan kiye hue hain. Ujjwal shubhra motiyon se kesh paas adbhut malle aadi pushpo se beni guthi hui hai. Atishay vishal ujjwal arun anire kajrare salaj netr hai chanchal chapal arun anire agr bhag ban anjan nainan parivaaron kotik khanjan ruchar manohar vakra vilokan surat samar dal ganjan jaise hit Harivansh kahat bane chavi sukh samudra man ranjan sukh samudra prabhu ke man ko anand mot pradan karne wale ladli ji ke netr khanjan meen mrigaj mad metat kaha kaho nainan ki baten kaise netron ki baat kahe na khanjan pakshi udaharan mein aata hai na mrig ka shravak udaharan mein aata hai kyonki pyari ju ke prem mein chidanandmay netr prakrit khanjan aur machhli ke ne kisi bhi tarah udaharan mein nahi baithe.

ati vishal ujjwal arunima liye hue nukeele kajrare anjan lage hue bade hi manomohak netr pyari jhu ke neel sari dharan kiye hue kasumi rang ki kanchuki dharan kiye hue sundar veni abhi kumar aur kishor avastha ke beech ki avastha hai. Adbhut rup swamini ji ka abhi purn kishor bhi nahi hue hain. Kesh rashi bahut sundar dhang se sakhiyon ne sajaya hai kesh paas ko mano phandhari saanp virajman ho aise chikur chandrikan beech ardhavi mano grasit phani phani pda aise kesh paas aur upar se Chandrika Shyam varn ki bendi gore bhaal par kasturi ki Shyam varn ki bendi aur sundar patraavli ki gayi hai.

bada hi sundar swaroop pyari ji ka nasika ke agr bhag par sundar moti ek gulak jise kahte aur beshar dharan kiye hue chavi ko bhi lajit karne wali chavi pyari jhu ki hai. Aur mand mand muskurati hui sakhiyon ki taraf dekhkar kuch baat kar rahi hai. Jab muskurati hai to dant pantavli apurv chamak rahi hai. Lalima liye hue adhon ki to mukh mandal par alkavli aur mandmand muskurati hui bhrakuti sanchan karti hui maharani jo padhar rahe hain. Naval kishori jo ka ye rup koi banaya hua nahi ki sajaya hai to isliye sundar hai.

subhag sundari sahaj shringar sahi puchhun to shri ji ke shri ang ki shobha ko chhipane ke liye shringar kiya jaata hai. Chavi ko chhipaeeve ko ras ko badhave ko dhruvdas ji ne varnan kiya hai. Kisi navyuvti ka jab abhushan se shringar hota hai to abhushan se shobha badhti hai. Par hamari maharani ji ko abhushan shobha dhakne ke liye pahnae jaate hain. Sahaj rup sundari pyari jo hai subhag sundari sahaj shringar sahaj shobha sarvang prati sahaj rup vrishabhan Nandini sahjand kadambini sahaj vipinwar udit chandni swabhavic sahaj navan rup lavni abhi aur abhi aur abhi aur aise badh raha hai aisa vilakshan rup aur waisi hi vilakshan sahchariya sundarata ki sima shri swamini ji ke saath kaisa itju maharaj kah rahe hain lakshmi koti vilaksha lakshan las leela kishori satai shri swamini ji ki sahcharya aisi ki saikadon lakshmiyon ko ashcharyachkit karke murchhit kar de itni sundar ab wahan sab sanket vat mein pahunche aur aaj hua ki kaun sa khel khela jae.

Lalita ji ne kaha aaj chhupa chupi ka khel khela jae. Aaj ladli jo chhupegi ham sab dhundhenge unhen. Aur jo khoj mein pakar lega to phir ladli jo dhundhenge ham sab chhupenge. Aisa krida prarambh hui. Shri ladli jo maharaj chhipne ke liye usi kunj mein ja rahe hain jahan Lalu maharaj baithe the. Avyakt akarshan jahan shri ji ke darshan karne ke liye lal jo maharaj chhupe baithe the. Wahi ladli jo chhupne ke liye ja rahi aur ladli jo je chhupne gayi achanak drishti padi kamal nayan arwindaksha koti-ki kam jinke rup ko dekhkar ke dhrshit ho jae murchhit ho jae aise Shyam sundar are Shyam sundar aise kya samjhte ho gori Priya jo chakori ki bhanti unke mukh chandra ka pan karti rahti hai the the kahat chahat pritam da badan chandra mano tasaddha chakori achanak netron pe netr mile kunvri tahan pata nahi hai aisa anjanat ai jahan lal hoe rahe lubhai wo to pehle se dur se hi dekh ke lubhayaman the.

charon nain ek bhay aise mano janm janm ke bichhre hue mile pratham milan hai. Pratham drishti ladli ju ki Lalaju par Lalaju ki ladli ju par. Itna prabhav para donon ke netron ka paraspat ki Lalaju saham gaye. Ladli jo ne nilambr aise kar liya sab kunvari pun ghunghat ko naval lal tinke rang bheeno Priya ji Lalaju to rup netr padte hi Lalaju ke hriday mein apaar prem uday hua piy mano meen paro chavi jala Priyaju ka rup mano jal hai aur Lalaju ka man mano machhli machhli jaise jal mein phas gayi aise Lalaju ka man Priyaju ke rup ek pal bhar ka darshan hua pyari jo ne nilambr ki oth kar li ab to Lalaju vyakul ho gaye nekah chitavat rup [gana gane ki aawaz] rasala murcha ai gayi teh kala Priya ji ko dekhte hi lal ji ke hriday mein aisa prem umda ki sacchidanand bapu lal jo us prem ko sambhal nahi paye vitkit ho gaye vikal ho gaye aur murchhit ho gaye usi samay tab sab hi lal gire dharmai bhumi par gir gaye aur priyaju ne aise dekha dekho kaise priyaju ko dekhkar koi sah sakta hai.

isiliye jo guru mantr milta hai nijmantra wo itni samarth paida karta hai hriday mein ki is prem ko sah jae. Socho Priya aur lal donon ke rupon ka pan karti hui sahcharya seva mein kitni badi samarth hai. Jahan pratham darshan mein lal jo murchhit ho gaye. Rup sindhu mein man par dharat nain do nir dagamgai dharni pare rahi na sudhi jo sharir Lalaju baithe the jab Priyaju chhupne gayi to je hi rup dekha ekdam khade ho gaye aur rup dekh Priyaju ne nilambr ki oth ki rup dekhte hi kampay manush ye prem ka lakshan sharir mein kam payman hua vikalta badi aur gir pare aur yah Priyaju ne nilambr ki oth se dekha ab to ati karuna samudra ladli jo dekha bas saku kuch gaye aur kadam age badha diye par piy ko man apun hari leeno apno chit pritam ko deeno Lalu ka man priyaju ke Priyaju ka man lal ke ab shri ladli jo ke kadam apne aap sakuch va sakhiyon ki taraf badhne lage.

sakhiyon ne kaha ki aap chhupne nahi thi aap chupi nahi aa gayi kuch nahi boli bas ishara kiya chalo mujhe khel nahi khelnaa maharani ji ka adesh samasth sakhiya bas ladli ji ke netron se ashru bah rahe sakhiyon ko lag raha hai aisa kya ho gaya Lalu to wahan murchhit pare hain nainon mein pritam ki rup madhuri deh vismrit bas sakhiyon ke saath vrishabhan bhavan mein ja rahe hain. Thodi-thodi der mein piche mudkar ke us disha ki taraf dekh leti hain. Jidhar shri lal jo maharaj the. Pritam ke aashcharyamay rup shri vrishabhan Nandini apne aap ko bhuli hui bas wahi chintan kar rahe ki wo dekhkar ke gir gaye murchhit ho gaye kaun unko sambhalega bas andar badi pida hui ladli jo na kisi se baat karti hai ab na koi khel ki baat karti karti hai na koi hansi na koi khanpan aur yah baat kisi ko pata nahi ki ghatna kya ghat gayi jo khel par ruchi khatm ho gayi wapas aa gayi aur aisi udasi chhaa gayi vilakshan dasha maharani jhu ki ab sahcharya himmat nahi ki koi pooch sake ke maharani jo hai par tirchhi drishti se dekhti ki hamari swamini ko kya ho gaya na hamse baat karti na hansti bas gambhir mudra idhar shri lal jo maharaj kuch der mein jab chetna ai to bas haan ladli aisa hi hai rup haan priyaju phir shithil ho jaate hain.

char ghadi 24 minute ko ek ghadi kahte hain. Char ghadi kitna 24 duni 48 96 minute matlab 1 ghanta 36 minute Lalu behosh rahe. Murchhit hai. Aisi anand ki umgan ki lal jo ko murchhit kar diya Priya rup ne. Phir sachet hue, savdhaan hue. Ab upay socha ki punah darshan kaise honge? Kyonki ab main darshan ke bina ji nahi sakta. To prabhu mana rahe hain ki mujhe wah sakhi mil jae jisne rup bataya tha Priyaju ka aur jisne sthan bataya tha ki yahan Priyaju ke darshan honge. Mere prannon ka haran karke naval kishori jo to chali gayi.

ab unke darshan ke bina mera jeevan matlab lal jo kah rahe hain prabhu kah rahe hain. Pritam sochne lage ki jis sahachari ne mujhe naval kishori Priyaju ke rup ka varnan kiya tha. Wo ek bar mil jae. Mujhe jila legi. Agar wo ek bar mil gayi. Priyaju ke milan ka ek hi upay sahachari mil jae. Us sakhi ne jo naval kishori ke rup ka varnan kiya tha. Jaisa varnan kiya tha usse 100 guna adhik hamne dekha. Rasik pritam barambar us sakhi ke charnon ki vandna karte hain. Yad karte hain ki wah darshan de de. Sakhi darshan de de to Priya usse mila denge.

ab itna virah Lalaju ko prakt hua ki sakhaon se udas ab maiya ka shringar karna unko accha nahi lagta. Maiya ka bhog pradan karna unko accha nahi lagta. Hriday mein aisa prem ka bar-bar prhar ki lambi shwas bharte aur haan priyaju ye rup ka chamatkar hamari maharani jhu ka kshan kshan mein wo vikal ho jaate jal vihin kamal ki bhanti murjhane lage shri lal jo maharaj bhojan jalpan shringar sab apriy ho gaya tabhi kaha hai nahi khanpan te bhave hai nahi komal van suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka magara phir priyaju ka prem khanpan sukh chahat apne tinko prem chhuvat nahi sapne unke hriday mein keval ek hi baat hai naval kishori Priyaju ka darshan ho jae to pran bach jae sharir krish hone laga.

bhojan pan na kachu suhai hriday dhyan no Priya raha ati chhin ju bhyo sharira [gana gane ki aawaz] dinah nain bhar ave neera barsane ki taraf dekhkar barsa shubh pravah karna khade khadekhde pura din vyatit ho jana na khana na pina na sakhaon ke saath khelnaa netron se nirantar ashv jal pravahit ho raha hai yahan tak ki Pitambar aadi bhi geele ho jaate the ashubh pravah se dhari dhari mukta se parat rahe bhi tan cheer ab jaise maiya mor mukut dharan karati nahi hamen mor aur mukut dharan karna accha nahi lagta. Sugandhat ang rag vastitra ye sab achhche nahi lagte.

vaijanti mala dh ruch na vaijanti mala nahi shital mand sugandh aisi vayu lagti mano jwala bhari agni bhari ho priyaju ke virah mein ab to na Pitambar dharan karna accha lagta hai na patuka bansi bajana bhi bhul gaye aisi prem ki virah avastha ki bas barsane tan chitavat rah maun dhare kachu ve nahi kah ud tej pawan sakhi ave suraj adhik lal man bhav barsane ki taraf se jab vayu aati to aise karke thoda hriday mein sheetalata milti barsane ki raj lekar vayu aati to lal ji ke hriday ki virag ko thoda sa meri Priyaju ke sparsh karti hui yah vayu ai meri Priyaju ke charan raj lekar ke vayu ai hai netr to bas Priya rup mein aur man priyaju ke paas man aur nain kunwar ke pasa deh rahi milbe ki asha ab to ek kshan bhi kal nahi par raha tan man donon jahan Priya aap anurag mein range hue hain.

yah to premanubhuti hai. Yah vani se kaise varnan karen? Yah anubhavgamya hai. Prem hai anubhav swarup pratikshan vardhmaanam sukshm taram sukshm se sukshm baat prem ki anubhav jiske hriday mein prem nahi wo kya jane priti riti ati kathin hai kahe na samjhe koi prem ban je u lage nish din jane soi idhar to lal ji ki dasha udhar kishori jo ki dasha kya hai lal ji maharaj jaisi sthiti mein aisi sthiti Priyaju ki bhi hai. Pyari ji ke netron ki chanchalta pata nahi kahan gayi us din se. Bas gambhir ardh khule netr aur shubh pravah.

bas mahal se wahi vat sanket ki taraf dekhti rahi. Bar-bar yah yad aati ki wah murchhit hokar gir gaye the. Unko kaun sambhala hoga? Sahcharya ye dekhkar badi vismrit hai. Badi praveen sakhiya lekin koi samjh nahi pa raha. Us din se muskan chali gayi priyaju ke mukh se. Hansna khelnaa vismrit ho gaya. Sakhiya shringar karti mana kar deti hai. Shringar karna accha nahi lagta. Bhulo hasbo khelbo bhulo ang shringar nish din rahe ya soch mein ruchat na uhar sakhiya to sabkul aa gayi aise kaise hoga na khana na pina na khelnaa na hansna na bolna na shringar dharan karna yah swamini ji ki dasha dekhkar sakhi mandli bahut udas ho gaye, vyakul ho gayi, chintit ho gayi.

ek din pradhan pradhan sakhiya shri ji se ekant mein mili aur kaha pyari accha nahi lag raha chalo wahi vat sanket chalte hain wahi khelte hain chal ke priyaju ne naam mat lo vat sanket ka nahi hamen nahi khelnaa hai udhar nahi jana kaha yah to priy sthan hai Priyaju ka roz khalne ke liye utsahit hoti thi kahne bhar ki der hoti thi chal wahan ke liye kyon mana kar rahi Priyaju ko is samay kuch accha nahi lag raha bas wahi kasak karunamay hai na ki mujhe dekhkar murchhit ho gaye unko kisne sambhala hoga avarnaneey prem pritam ke prati avarnaneey priti aur ekant jab sakhiyon ne kaha aur ekant ho gayi Priya jo bar-bar apne man ko prem samudra se nikalna chahti par wo bar-bar usi mein doob jaata hai.

sakhiya ek ek drishti rakh rahi. Priyaju angan mein khadi hokar ke apne charnon ke nak se dharti krodh rahi hai. Ye mano bahut dukh prakt kar rahe hain. Bas wahi pritam ke rup madhuri unka murchhit hokar ke girna hriday mein basa hua netron se ashubh pravah ho raha hai. Asht sahcharya pradhan hai. Ye pran ki tarah priyaju ko pyar karti hain. Asht sahchariya bahut praveen hai. Sab sakhiyon ko bheja. Aap ye seva aap ye seva aur anya sab sakhiyon ko dur kiya hai. Priyaju ko madhya mein bithala aur kaha pyari jo aaj tak aisa kuch ham mein aur aap mein bhed nahi raha jo ham aapki sthiti na jane aur aap hamse gupt rakhen.

aaj tak aisi koi baat nahi rahi. Aap mujhe kripa karke bataiye. Lalita kahe shri Radha pyari moso baat kaho sukumari main hoon to man ki kachu pai so tum moh kaho samjhai Priya ji waise mujhe pura pata ho chuka hai maine aapke man mein man mila ke dekh liya baat kya hai agar aap prakt kah doge to zyada accha rahega kripa karke aap bataiye apne so durav nahi kijiye ham to aapke hriday hain aapke sukh ke liye hain aap hamse durav matlab apne se durav kya at aap chhipav mat kijiye Priyaju ne kaha sakhi us din aap khalne ke liye lava gayi thi na prem sarovar mein chhupa chupi ka khel wahan sagan kunj mein main chhupne ke liye gayi to wahan pehle se ek baithe the naval kishor Shyam sharir Pitambar dharan kiye hue salona rup nayan vishal bahut sundar unke arun adhar par mand muskan thi.

uske mathe par mor mukut tha. Nasika par moti ki beshas shobhit thi. Maine dekha kanth desh mein dhul ek kshan mein sab rup madhuri Priya ji ne motiyon ke manjulhar mukh mandal bada hi lawanya salona manomohak aisa lagta tha prem ki jyoti mano murtiman virajman ho lalite kunj mein pravesh karte hi wo mujhe dekha aur murchhit ho gaye unka wo murchhit hona, unka prithvi par girna ye mere liye aashay ho gaya. Usi kshan se mera man us kishor ka chintan kar raha hai. Aur jab tak mujhe us kishor ka darshan nahi hoga tab tak ho nahi boli laj ki lai teh pache dho kaun gati bhai mere man mein to aaya ek bar daud karke unko uthaun par lajjav sankoch us maine unka sparsh nahi kiya par mere hriday mein hota hai unki kya gati hui hogi ab koi mujhe unki baat bhi to nahi bata raha ki kaun the, kya hui baat, unki dasha kya hui?

sakhi un nau kishor ka darshan hi mera jeevan hai. Bas unka milan nahi hoga to meri dasha sudhrane wali nahi hai. Kya unki gati hogi? Mujhe koi bata keval de. Mere man mein apaar pida hai. Pratiphal mere chitt mein ek hi kashak hai. Itna kahte kahte shri ji ro pare. Ati anupam anurag paraspat sun abhut bhutla par jori tatkshan vani mukh ho gayi. Netron se ashubh pravah phir wahi udasin dashastri ji ki shri Lalita ji ne kar kamal se shri ji ko pakda aur kaha pyari jo vishwas karo aapka sukh hi mera sukh hai karo jatan khabar nahi Nandlal hilau piy pyari [gana gane ki aawaz] mein rang badhaun milah do ras bah vyatha bichte hoe nyari ladli jo nishcint ho jao aap kah rahi khabar mil jae main nand nandan ko yahan laungi aur aur aapse milaungi aur aap donon ki virah vyatha ko beech se hata dungi.

muskurahat aa gayi Priya ji ke man mein sachar man anand bhyo sunat vachan atisar prem magan anand bhyo milwan nand kumar pyari jo je muskurai sakhi ne kaha chinta mat karo abhi gayi aur har upay karke nand nandan ko aapke paas laungi bas nischay kiya yugal milan ki murtiman rup sahachari anand mein magan hoti hui nand ganv te hi chhin ai aur inka ek hi karya tha Lalaju ka bas ganv se bahar nikalkar ekant kunj mein khade hokar barsane ki taraf dekhna raste mein dekha Lalita ji barsane ki taraf je dekha ye wahi sakhi hai jisne Priya ka prabhu daud pare lal ji daud pare Lalita dekh ke muskura di haan donon taraf wahi premagni prakt hai bujhat sakhi chatur tab bata kahe mohan ho Krishna gata kya ho gaya Lalaju aap bahut duble ho gaye bahut udas dikhayee dete ho puri baat sab bataai tum bata ke gaye the na main gaya wo rup dekha tab se Priyaju ke darshan ki vikalta Lalita ek kishori dekhi mano rup ki sima pe maine un nau yuvtiyon mein jo ek kishori dekha mano rup ki sima kaun bhat mukh ki chhav kahiye chitavat sakhi

chitra ho rahi hai bas dekhte raho aise kaha kaho ang ang nikai chhinak maah leo chit churai mano Mohini aur thagori teen lok ki kar thori aur bas rup kahat vivas bhyo pyaro prem nir nainan tena Priyaju ke rup ki charcha karte hue ankhon se ashubh pravah mere chitt ko cura liya hai naval kishori jo ne Lalita ji ke charnon mein hath rakhte hain lal ju aur kah rahe hain ab to jatan karo var nari mile mohi vrishabhan dulari yahi upay hai keval priyaju ki prapti ka sakhi ke charan raj sakhi ke charan vandna sakhi ko rijha sakhi reej gayi Priya jo mil he shreshth pran priy hamari sakhi hitaishi tum ho tumhare charan vandna karte jaise ladli jo mile upay karo main to yah jani sakhi hitu na to hi saman yah gun tero man ho jab lag ghat mein pran agar mujhe Priya se mila diya to jeevan bhar main tumhara rni rehunnga jab tak pran rahenge tab tak main tumhara rni rehunnga aur ye main janta hoon ki tumhare siva aur koi mila nahi sakta.

tum hi ek aisi hit ho jo naval kishori use mila sakte ho. Jis din se maine dekha us din se aaj tak bhojan aur jalpan nahi kiya. Ab kaise din biti hote gaye ham kaise batayen lekin ab age vyatit honge yah mere mein samarth nahi rah gayi mujhe Priyaju se mila do pyari ju ko itna pyar karte ho yah sunkar ke Lalita ji ke ankhon mein aansu meri pyari ju ko itna pyar tum karte ho isiliye lal ju ham sakhiyon ke prannon se bhi adhik priy hai Lalita kahe kahe suno Nandlala milaun tumhen aaj nau bala hath milao tumhen nischit Priyaju se mila dungi Lalaju ekdam anand mein magan ho gaye gale se laga sachchi mujhe

Priyaju ke darshan kara doge itni sunat saras hoe aae bichure pran pheri mano paye sunat vachan anand na samai pag Lalita ke sir dhar jai hriday se lagaya charnon mein mastak rakh diya lal ji ne Lalita ji ke rasik shiromani rasik priy janat ras ki riti akhil koti bramhandon ke Swami prabhuta Rakhi dur ke bhay din bas priti thi theek hai main aapko nischit Priya se milate hoon hath pakda aur nand bhavan ke darwaze tak hath pakar ke gayi phir ishara kiya piche aao maiya ke paas gayi charan vandna ki Yashoda maiya ki pakar charan baithi dhag jai ghri ek pe baat chalai kuch khanpan hua phir kaha maiya barsane se ai hoon haan janu nahi kisi vishesh karya se ai hoon kirti ju paye lag kirti maiya ne aapki charan vandna ki are haan haan wo to bahut hamen pyar karti hai nahi kuch raah sa ki baat hai kya baat ki kun pai maiya unhone kaha hai ki nand nandan ko ek bar main dekhna chahti hoon unhone bulaya hai puni man mein kachua bichri dekh chahat kunwar bihari hamen lagta hai hamne samjha ki unke man mein kuch hai kya kuch wo

kunwar ji ko shayad dekhna chahti hain kunwar ke liye ishare mein bataya bahut praveen Lalita jo hai accha aa lala pehle tujhe savar du maiya shringar ki dekhte hi kirti rani kah de ki nahi hamari ladli ji ke liye lala bahut sundar dulha hai maiya mudit mahar ati chav so bhushan basan surang naval lal ati ban ke dayo sahachari sang nand nandan ke ati anand ho raha hai kyonki pyari jo ke darshan sambhshan karne ko milega ati anand anand samudra ke hriday mein anand badhane wali hamari pyari jo hai ati anand badho man mahi Lalita jo hath pakar ke Lalaju ko le gayi aur jab nand ganv ke bahar kunj mein gayi tab kaha lalan bahut kathin jagah tumhare netr lade hain bahut kathin jagah sachar tab man karat bichara soch nadi ta badh apara ab ki vidhi barsane ja [gana gane ki aawaz] lakhe soi jo ban pehle hi darbar laga hota hai vrishabhan ji ka bade bujurg sab brajvasi baithe hote hain aur wahan sainik lage suraksha bahut chor ki maharani ji ke mahal mein bina suraksha ke bina janch ke koi ja hi nahi sakta.

jahan ladli jo hai Lalita ji soch rahe inko kaise le jaun? Mahal mein kaise le jaun? Ladli ke paas kaise le jaun? Ab lal ji se kaha ki aapse hamne vada to kar liya hai lekin wahan gurjan bhir tahan ati bhari sabke pran wah sukari phan mani ja liye rahe sawari jeevat hai sab tah nihar jaise saanp apne mani ki raksha karta hai aise sampurn brajvasi bujurg jan sab wahan ladli ke mahal mein aise kisi ka pravesh nahi hai. Aisi kathin thor suni pyare tetha lage nain tahare sakhi ki baat sunkar charan pakar liye nahi ab na mat kahna to aap vada kiye ho ki Priya jo se milaenge aap kah rahe ho aisi kathin thor tumhare netr lag gaye ab wahan sab vidhi mohi bharoso tero purn karo manorath mein pranat kamdam padmachitam wo sakhi ke charan pakar ke kahte tumhara hi pura bharosa hai tumhare charan pakar ke kahta hoon tum mere manorath ko purn karo ek bar kaise hoon dikhao to Lalita mohi jeev [gana gane ki aawaz] jeevao ek bar pyari ji ke darshan kara do mera jeevan safal ho jaega ye Lalita ji badi gambhir hai lal ji kah rahe yahan pran na boli ki nikal gaye nasa agr pran rah ai buddhi bal kar kachu beg bas haan bolna na mat bol dena agar na bol diya to mere pran nikal jaenge yahi pran hai nasa mein aise vachan sunat gavri sachar soch kup mein pari kaise le jaun ki koi gurjan toke na accha to main vichar karti hoon.

aa gaya vichar nand nandan vachan karo tum so da tari milaungi bali pran piyari aur ek baat aur kahi taj ke lok ved ki laj de pran tahare ka agar mere pran bhi le liye jaenge to bhi main tumhen mila ke rakhun yahi hai sakhiyon ki kripa isi se ham nirbhay nishcint hai ki jab priyaju ki sakhi hit sajni jo ne sweekar kar liya to Priya milna ab durlabh nahi hai. Lalita ne vichar kiya aur kaha lalan le to chalungi par nand nandan ke rup mein nahi. Are unka kuch bhi karo aap hamen Priya se mila do. Palat vesh le jaiye.

jahan kunwar sukumar purush ka pravesh nahi. Maharani ji ke mahal mein purush ka pravesh nahi. Aap bhi purush rup mein nahi ja sakte. Aapko main sahachari vu dharan karaungi. Tab Lalita mantr vicharyo peeko ti ko vesh shrringaryo bhay chav so sakhi bihari dekhn hit shri Radha pyari kyonki sakhi ka hi adhikar hai pyari ju tak pahunchne ka. Accha yah jab barsane se ai thi ladli ji se kah ke ki main lalan ko milaungi tab sakhi ke vesh ki puri samgri isi kunj mein chhupa gayi thi. Idhar lalan ko lakar ke kasumbi rang ki sari sundar maang hui waise hi ghunghrale lambe kes shri lal ji maharaj ke beech se maang sindur ki moti ki ladi sundar sanvle bhaal par lal bendi waise lag rahe hain jaise tribhuvan ko mohan ke liye tayyar ho rahe hain Mohini rup dharan karke sundar besar bulak sab shringar karke piche hat ke dekha to aisa laga pran haran karne wali sukumari tayyar ye aise inko kuch bhi mila do ye kuch bhi ban jaate hain kuch bhi kachchhap avatar Varah avatar narsingh avatar aur jo

bante hain sab bhale maharaj Lalita ji ne inko sahachari vapu dharan karaya netron mein anjan lagaya chibuk par ek dhithauna lagaya inka dhithauna bhi kale rang ka nahi lagta nahi to dhithauna hi nahi lagega kanth desh mein kanchan ke taron se gumpit motiyon ki dulri vaksha sthal par kanchuki dharan karai mano Shri phal virajman ho Shri phal nariyal param pavitra sab abhushan dharan karae Lalita ji ne jab nasik tak shringar kar liya aur piche hatkar ke puri kasumbi rang ki sari dekha to balhari jao ab koi nahi rok sakta vrishabhan bhavan mein le jane se koi nahi nav navayman sakhi chal padi chal bhi badal li hogi na rup to badal liya lambe lambe pair dal rahe hain kyonki Priya jo gajgamini ki tarah hans kalgamini ki tarah aise chalo to yuvtiyon ke vrind lajit ho jae aisi sundari Shyam sundari shri pyare jo Shyam sundari aisi sundari yuvtiyon ke vrind lajit ho jae Shyam rang mein kasumbi rang ki sari naksha paryant sundar shringar motiyon se maang bhari hui sab kuch apurn Lalita ji ne kaha chalo barsane ki taraf le gaye

jab mahal ke paas gaye to bole ghunghat ko aur hath pakdao hamara aise pakdo aur piche piche bilkul jaisi chal hoti waise chal se chalna yahan sab bade praveen gop virajman hai suraksha mein turant jankari lenge jab rajamhal mein pravesh kiya ghunghat hai lal ji ke mastak par wahan jo angrakshak hain jo sakhiya seva mein suraksha mein hai he Lalita ji ye kaun si isko to nahi dekha kabhi mahal mein ate hue ye kaun hai param chatura shri Lalita jo madhur vani mein uttar deti hai ye hamare priy mitra hai gopraj upnand ki beti hai ladli milna chahti hain.

milti bhi hai. Wo kai bar mil chuki hain. Wo sakhri khor mein mili aur sandhya bhi hone ja rahi thi. Hamne manaya ki chalo to isliye hamare saath aa gayi. Ghunghat itna kiye hue hain. Accha maharaj ke sab chhup sakte hain. Netr nahi chhup sakte. Wo bade chanchal isliye ghunghat karwaya ki kajalwajal to laga diya hai lekin Arvind das inke netron ka chamatkar hi alag hai. Accha theek hai le jao. Suraksha kavach se par hokar hath pakde hue mahal ke bhitar le gayi. Jo maharani ji ka wo ekantik mahal hai jismen sahcharyon ke siva kisi ka pravesh nahi hai.

maharani jo bas intazar mein simhasaan par virajman hai. Phir dekha Lalita ek sakhi ko la rahi. Muskura diya. Bahut praveen sakhi hai. Aisi chaturi se pritam ko la rahe nirkhi paras par aand bhari nazdik hata ghunghat ghunghat wahi netr jo sanket vat mein jaise lage waise donon ke netr nirakh paras par aand bhari virah vyatha bichte bhai nyari Priya pritam paraspat netr mile ladli ka hriday shital hua Lalaju ka hriday shital hua kuch sakhiya rup akarshan shri Lalaju ka aisa ki piche hi lagi hui thi jo nitya seva mein nahi thi.

unkit Lalu parasakta tha. Itne sundar sakhi rup mein kishori ji ke mahal ke andar tak aa gayi thi. Lalita ji ne kaha aa gayi ho to thodi seva karao na. Kuch phool hain unko jo hai sahi karke mala banwao. Aur Priya ji aur sakhi donon ko dharan karvayenge to tumhari seva ban jaegi unko aur jo nij parikar ki sakhiya aati hai alag-alag seva di aap ye tayyar karo aap pe tayyar karo aap bhojya padaarth aap aisa sabko kyonki Priya pritam baat to karen bahane se sab sakhiyon ko seva vibhajit ki shri Lalita ji ne jaisi jiske liye agyaa hui tatkaal wo sakhi usmen tatpar ho gayi Lalita ji ne kaha aaj bada sundar avsar hai.

sukhmay divas hai. Hamari kishori jo ki atithi priy sakhi ai hui hai. Khub bhav se sab shringar banao bhog banao. Jao sundar sundar pushpo ki rang birangi suhavni mala tayyar karo. Sabko us tahal mein seva mein laga diya. Aur keval Priya aur Shyam sundar sahachari swaroop se mile mohan shri Radha pyari hit dhruv [gana gane ki aawaz] rakhi jaun balhari pyari ju aur pyari jo jaise jal ko jeevan manne wali machhli kilole karne lagti hai jab jal pati hai aise tadpne lagti hai aise do chakor do chandrama do wali pankaj do donon donon ke liye chandrama hai donon donon ke liye pankaj hai donon donon ke liye jal hai donon donon ke liye meen hai naval lal nav ladli naval ke sukh rasi [chikne ki aawaz] naval priti nav badi karat

mand mriduhas ekant dekha to donon Priyaju aur Shyam saheli donon gale se hriday se lage naval lal waisi hamari naval ladli inki keli bhi naveen inka sukh bhi naveen nayo neh navang nayo ras naval Shyam vrishabhan kishori nav Pitambar naval chunri nai nai bundan bhajat gori nav Vrindavan harit manohar nav chatak bolat mor mor sab kuch naveen inka hai nutan priti pratikshan vardhmaan nitya naveen mand mridulhas anandmay ek dusre mein netr lage hue hain ek dusre ke hriday lage hue hain mand muskurahat yahi sakhiya dekhkar nav bhushan nau mukut virajat nai nai up let thori thori to jaise hi dharivansh ashish det mukh chir ji bhutla hajori sakhiya Priya pritam ke milan ko dekhkar apaar anand mein barkar inko ashish deti hai.

Priya pritam Radha mohan ji ka milan sakhiyon ko apaar anand paraspat prem varta hui Priya pritam ki. Yugal Priya pritam vivid bhanti se rasmay varta karte hain. Donon ke manon mein atyant apaar Premand ki vridhi ho rahi hai. Phir shri Lalaju maharaj sahachari vapu utar karke apne swaroop mein virajman hue. Priya pritam samasth sakhiya atishay anand ko prapt ho rahi hai. Prem pagi lalitadik ai ati anand na ang samai shobhit shithil dhun ke anga nirakhat sachar prem abhanga Priya pritam prem mein shithil hai aur sahchariya Priya pritam ke rup darshan karke atyant abhang prem mein sthit hai.

koi chvar dula rahi, koi vyajan dula rahi hai. Koi ati aasakt hokar netron se dekh rahi hai. Kunwar kunwar do rasikwar yah sab sakhiyan ke pran dampati sukh sukh jin ke nan gati kachua ye yugal rasikwar kishor kishori jo samasth sakhiyon ke pran hai inhi Priya pritam ka sukh hi sakhiyon ka param sukh hai is sukh ke labh ke atirikt sakhiyon ki aur koi gatimti nahi. Priya pritam sukhi rahe. Priya pritam hase khele mile. Unhin ki paricharyaa unhin ko sukh pradan karna. Yahi gati mati sahcharyon ki hai. Ab sakhiyon ne vichar kiya aur mat nischit kiya ki roz aap nand ganv se bat sanket mein padharie.

ham Priyaju ko le aaenge. Roz aapka milan hoga. Roz wahi khelnge. Priya pritam roz khelnge prem sarovar sanketwat mein. Aisa nischay karke yugal kishor ne nij sakhiyon ko atishay sukh pradan kiya. Tabhi se pratdin aaj bhi Priya pritam nitya prem sarovar vat sanket mein milte hain. Shri yugal sarkar ki nitya krida wahan hoti hai. Shri dhruvdas ji kahte hain ki yah leela jo prem se gayan karega ya shravan karega use anyas hi sahachari pad ki prapti ho jaegi. Use sahaj mein Priya pritam ke prem ras ki prapti ho jaegi.

yah leela dhruv jo nit gawe prem bhakti so dridh kar pave pratham neh aise bhyo bina jatan anyayas yah ras gavat sunat dhruv hot ju prem prakash yah jo aaj leela gai gayi pratham milan ki isko jo shravan karega jo gaan karega uske hriday mein Priya pritam ka nischit prem prakashit hoga aur wo sahachari pad ko Priya pritam ki seva pad ko prapt hoga. Hamare manushya jeevan ka param labh yahi hai ki ham nirantar naam jap karen. Naam jap karte hue apne kartavya ka palan karen. Kartavya ko bhagwan ki puja samjhe aur wah bhagwan ko samarpit karen aur andar se ek ichchha jagrit karen jo samasth ichhao ko mita dene ki samarth rakhti hai.

isi ichchha mein itni samarth hai ki sari kamnayen, sari ichchha, sari vasnae nasht kar dega. Bas ek ichchha dharan karo. Is janm mein mujhe bhagwat prapti karni hai. Is janm mein mujhe Priya pritam ka sakshatkar karna hai. Yah jitni ichchha prabal hoti jaegi sab ichchhae mitti chali jaengi. Par saath mein naam jap karoge tabhi ye ichchha sarthak hogi. Nahi ichchha matra se nahi hoga. Naam jap karna padega. Sansaar ke asat aacharan asat bhogon ko tyagna hoga. Jagte bhyo phire bairagi tab Vrindavan ras mein anuragi.

sahi pocho to bhog mein asaktit wala aisi ichchha hi nahi kar sakta ki mujhe is janm mein bhagwat prapti ho. Bhogeshwar prasakta naam tat chetsa vyavsayatmika buddhi samadho na vidhte bahut jeevan barbad kar diye. Is jeevan mein bhi kafi hissa barbad ho gaya. Isliye bahut savdhaan rahie. Apne kan ko sambhaliye, jaban ko sambhaliye, netron ko sambhaliye. In teen se hi sadhna banti hai aur bigadti hai. Netr galat dekhenge, jaban galat bolegi, kan galat sunenge to aapka galat chintan hoga, galat kriyaen hongi. Aur aap satya sunoge to satya bhagwan ki prapti karata hai.

shesh charcha ke shri Radha vallabh lal ki haan

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi