sache santo ki pehchan kaise karen? / brajvasyon ko davanl agni se bachana / pralambasur ka udhar
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam had itam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital mashray ya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy pran priy yugal sarkar shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi parikar ke charnon mein kotish naman kotish pranam namaskaar shri shyama Shyam bade kripalu hain. Hamari purv janm ki sanskar vritti hi is janm mein swabhav karm chintan is par prabhav dalti hai.
jaisi purv janm mein hamari aadat rahi hai vaisa is janm mein apna prabhav dalti hai. Usi prabhav ko badalne ke liye hamen manav deh mila hai. Purv janm ke sanskar ke anusaar prabhav pashu jan bhogte hain. Mita nahi sakte. Lekin manushya sharir mein ise mitane ki samarth hai. Hamare man mein jo bhogon ke prati priyata hai, yah koi ascharya ki baat nahi hai. Yah sab praniyon ke andar hai. Chinti se lekar brahma tak isi ko mitane ko sadhna kahte hain. Jinko bhagwan ki ahetu ki kripa se sadhan marg mila hai, wo ise mita sakte hain.
yadi mitana chahe to. Par mitana na chah ke bhog bhog kar badhane ki ichchha yah to durgati pradan kar degi. Punah aise naye sanskar paida kar degi jo aapko bhogon mein pagal bana denge. Isliye prarthna hai ki yadi aapko bhagwan ne bhajan ka samay diya hai, paramarth marg diya hai to prayas kijiye ki aapse aisi chuk na bane jisse aapka jeevan prapanch mein phas jae. Maya mein phas jae. Prayas kijiye. Samarth to bhagwan dete hain. Prayas hamara samarth bhagwan ki to vijay nischit hai. Lekin ham prayas karen galat marg ka to bhi bhagwan, sant, Sadgurudev, shastr aur hriday mein prerna karte hain ki aap galat hain.
aap sudhar kar lijiye. To aap sudhar kar le to aapka paramarth marg prakashit ho jaega. Yadi aap aise hi manoranjan ki bhavna se Vrindavan aae hain, manoranjan ki bhavna se aap paramarth path ke pathik ka natak kar rahe hain to aap kisi ka kuch nahi bigad payenge. Aapka hi sarvnash ho jaega. Koi yahan kisi ko bigad nahi sakta. Yadi ham bigadna na chahe. Ham apne aap ka hi nash kar lete hain. Nash ka tatparya hota hai buddhi ka patit ho jana. Jab ham kamad dosho mein rokne ka praytn na karke aur bhogne ki cheshta karte hain to buddhi bhrasht ho jati hai.
kam sanjayte krodha krodha smriti vibhrama smriti bhrasha buddhi nasho buddhi nashat prannasati prannasati sarvnash buddhi nash sarvnash isliye savdhaan rah bhagwan ki kripa se aapko roz satsang mil raha hai. Samjh jaiye aapka mangal hoga. Kripa manaie ki abhi koi samjhane wala hai. Nahi koi samjhane wala nahi milega. Age chalkar aisa samay aayega. Kaun kisko samjhae. Sab swatantr vritti se man aur indriyon ki adhinta sweekar karke sansaar mein vichran karna sukh mante hain. Dhyan dijiye sab swatantr vritti se man aur indriyon ke saath vishay sevan karna ye sukh mante hain.
kaun samjhaega? Ye dukh hi naya hai. Dukh hi milega. Shanti parmanand yah to bhagwan ke charnon ka aashray lekar khub bhajan karen prayas karen hamse galti na ho to bhagwan aisi sthiti pradan kar denge jahan se galti hoti hi nahi hai koi vasna nahi rah jati koi ichchha nahi rah jati bas raat din bhajan ki bhookh badhti rahti hai prabhu madhur madhur jhanki dihakar chitt ka aphrn karte rahte badho age badho. Abhi jahan khade ho yah sthan theek nahi hai. Yahan maya ki daud aapko bhaga le jaegi. Isliye age badho. Aisi sthiti lao ki Priyaju ka muskurana, Lalu ka muskurana dekhen.
in maran dharma shariron ke muskurane se kya milega? Kya milega? Are sacchidanand ki prapti ka avsar aaya hai. In shariron ki dular mein mat pado. Koi tumhara nahi hai. Fas jaoge to phir nikalna mushkil hai. Vishay chuga jin chug man chugat kachuk sukh hoe. Phir phansi aisi pare te sam dukh na ho. Bada bhari bhram janjal fail jaata hai aur jeev badi vipatti mein phas jaata hai. Isliye savdhaan ho. Abhi baat man lo. Maya jab akarshan karti to samne vipatti nahi nazar aati. Sukh nazar aata hai aur gurjan jab kahte hain tab bura lagta hai ki sukh ko yah dukh kah rahe hain.
lekin jab phas jaata hai tab samjh mein aata hai. Ye aisa daldal hai. Ek bar jo kude to bhagwan hi nikal pave nahi nikal nahi payenge. Yah maya prapanch bhog ka aisa daldal hai. Ek bar jo kuda aaj tak nahi nikal paya. Bhagwan hi nikale to nikal paye. Savdhaan raho. Shripad Prabodhanan ji kah rahe hain ki yadi priyaju ke charnon ka prem aur bhagwat prapti karna chahte ho to ko naam Vrindavan kirti vrinda karno sakpat yadev Radha pad yoga gadha dadha tyasaran bhav lakshmi agadh prem samudra shri Radha ke charnon ka yadi asdhran bhav prapt karna chahte ho to apne kano ko priyal ki charcha ke siva aur kuch mat sunne do.
apni jaban ko bhagwat charcha ke siva mat bolo kuch maun ho jao apne netron se bahut kam dekho jab aap satsang sun rahe ho to ya to vakta ke mukh ki taraf dekho ya netr niche karke kan kholkar sunte raho man bhage to mala rakh lo bichbich mein naam chalate raho vani ji ka path ho raha hai kai bar prarthna ki kaha hai aapke paas ek jholi honi chahiye kai bar kaha hai jismen Shrimad chaturashi ji Shrimad sudhanandhi Shrimad sevak vani ye teen vani to aapke paas honi hi chahiye charanamrit raj yah honi hi chahiye aapke paas har samay ab hamare jeevan ka ek hi uddeshya rah gaya hai aapka mangal ho jana hamara bhajan hamari sadhna hamara jeevan hamara sarvasv aapke liye hai jitna ham aapse pyar karte hain aapko koi pyar nahi karega.
koi aapko pyar karega to aapke sharir ko dekh ke prapt aapke gunon ko dekh ke aapki sampatti ko dekh ke avashya mein bhoktuvi kritam karm Subha apne karmon ka bhog tumhen bhogna padega. Aur lagta hai agar andha kue mein girne ja raha hai to ham dekh rahe hain to ham girne nahi denge. Ham age khade ho jaenge. Chati laga denge. Ae bhai ruk ja. Par koi nahi manta. Aisa maya ka akarshan hai. Buddhi aisi badal jati hai ki aisa lagta hai yah hamara ahit karne wala hai. Ham to sukh bhogne ja rahe the aur isne hamare sukh mein badha dal di.
shri kishori ji ke charnarvind agadh prem ras samudra hai. Yadi inka asdhran bhav rupi sampatti prapt karna chahte ho to teen baton ko sudhar lo. Jaban se Priya pritam ki baat nahi to maun naam jap kar rahe hain. Kano se bhagwat charcha nahi to duri bana ke rakho. Baten mat karo. Prapanch ki baat gandi baat mat suno. Ankhon ko bahut sambhal ke rakha jaata hai. Bahut sambhal ke. Jeevan bhar bahut sambhal ke rakha hai. Aise hi chale hain. Kabhi kisi se baat ab seva mil gayi hai to aankh utha ke dekh lete hain. Chahe ekantik mein ho ya koi baat karni ho.
nahi to koi baat nahi. Kisi se koi matlab nahi rakha. Sabko pranam. Sabko namaskaar. Apne marg se matlab seva kar aae tala bahar se lagva diya phir seva karvaaye phir kai kai din bhojan nahi tale ke andar man buddhi chitt ko Priya pritam mein lagana hai ab aaj apne ko chhod diya hai prabhu ke hath ab jo bhi karya hota hai ham samjhte hain mere prabhu karva rahe hain jiske saath bhi hota hai samjhte hain mere prabhu ke saath ho raha hai main apne prabhu ko dekhta hoon. Kal kisi se kaha tha tum yah mat samjho ki main tumhen dekhta hoon.
main apne prabhu ko dekhta hoon. Apne prabhu se vinay karta hoon. Apne prabhu ki sevkai karta hoon. Apne prabhu ko prasann karna chahta hoon. Vyakti ko nahi. Kisi stri ya purush sharir dhari ko nahi. Usmen ham apne prabhu ko dekhkar Swami aap is rup mein ho. Main aapka naukar hoon. Jaise chaho prayog karo. Jaise chaho rakho. Aap sahyog do to aap nikal sakte ho. Bar-bar kahte hain teen ke dwara hi sadhna ka nash aur sadhna ki unnati hoti hai. Aankh, kan, jaban teen ko sambhal lo aapki sadhna paripakva ho jaegi.
maun raho. Kyon baat karte ho? Kan se utna suno jitna sunna nahi. Rui ki itni moti moti tait bana lo kan mein dal liya andar sun rahe Radha Radha bahar kisi se matlab nahi jaban kan aur netr teen se sadhna badhti hai teen se sadhna ghatti hai ab sabse zyada khtrnak samay aa gaya hai mobile chhoti-chhoti nai avasthao ke bachchhe hain unmein jab galat cheshta galat baten pai jati hai uska karan kusang hai bahar vyakti ka kusang aur ekant mein mobile ka kusang hamen lagta hai naye bachchon ko mobile se agar himmat hai to bhagvatik baat dekho baka band kar do jab tumhara man galat search karne ko kare to bilkul band switch off karke rakh do kyonki agar aap galat baat dekhoge to aapke netr kharab ho jaenge aapka man kharab ho jaega aapka sharir apvitra ho jaega jaisa manan hota hai waisi cheshta hoti hai.
bhagwan ki kripa se satsang mil raha hai to kya aapke liye durlabh hai? Ab durlabh to do hi baat kahi gayi. Sant samagam hari katha tulsi durlabh do samatma su durlabh ma sangst durlabh ho ise durlabh kaha gaya hai aur aapko sulabh hai satsangi phir kusang ke aacharan to samjh mein nahi aata ki aap kya satsang sunte hain roz sunte hain ek satsang bhagwat prapti kara sakta hai kyonki ek satsang mein hi sampurn samgri hoti hai koi satsang le lo roz ka ek satsang bhagwat prapti kara sakta hai. Kyonki usmen mahapurushon ke vachan hote hain.
anubhut vachan hote hain. Yadi aap man lo to aapka param kalyan ho jae. Par kaise manaye? Ye koi rabri rasgulla to hai nahi ki ae bhai ye kha lo. Usmen bhi leelna to aapko hi padega. Aapko amritmay anubhavmay vachan mahapurushon ke dhundhdhundh ke suna rahe hain. Aur aap mein koi fark na pare to phir ab kya kiya ja sakta hai? Yahi durant bhagwan ki maya ka prabhav hai. Yahi kaha ja sakta hai. Sache sant bhagwan ke marg mein jo hain unka ek hi uddeshya hai jagat mangal ho jae. Jitne adhik se adhik naam jap karen dukh se hat jae.
sab svasth rahe sabke vichar pavitra rahe. Sab anandmay bhagwan ko prapt ho. Yah har sache sant ke hriday ki pukar hoti hai. Kaise pahchana jae ki ye sache sant hain. Pujypad odiya Baba ji maharaj Baba sache sant ki pehchan kya hai? Pujya Baba mahatmaon ko to koi mahatma hi pehchan sakta hai. Dusra nahi. Ya mahatma ka anannya bhakt ho to pehchan sakta hai. Kuch lakshan ham varnan karte hain. Pahla jo kabhi kisi ki burai nahi karta. Sache sant ka lakshan. Dusra chahe jitna koi uska bhala kare ya uska bura kare.
donon ke prati saman bhav jiska hai use sant kahte hain. Chahe jitna uska bura kare ya bhala kare saman bhav. Tisri baat sache sant ki pehchan. Bhari se bhari ninda hone par hriday mein shobh na hona aur bhari se bhari yash kirti pranam namaskaar vijay to harsh ka kinchin matra hriday mein vikar na hona ye harsh vikar ke antargat aata hai. Bhari se bhari ninda hone par shok na hona. Bhari se bhari stuti pranam namaskaar yash kirti hone par harsh na hona. Chauthi baat kisi bhi prakaar ka asat chintan jinme nahi hota jo nirantar apne paramatma lakshya ke chintan mein dube rahte hain.
khas baat ye hai isi se sab upar wale lakshan aa jaenge. Unhen sant kahte hain jo keval bhagwat chintan mein pujya pandit gaya prasad ji maharaj ne kaha tab mana jae wo ki bhajan bhyo hai jab bade se bade shubh karya ke liye bhi man na lalchave shubh karya ke liye ashubh to jane do bade se bade anusthan utsav se man ghabrae hamara bhajan chhut jaega nirantar bhajan mein isse bada koi shubh karya nahi bhajan se bada koi shubh karya shri Harivansh chandra shubh naam sab sukh sindhu prem ras dham jam ghati bisre nahi sevak ji kah rahe hain jam ghati bisre nahi yah jo par sahaj
swabhav shri Harivansh naam ras chav nav sudridh bhav taran ko naam japat ai sab soh dev subuddhi kripa kar mohi koi sugun mala racho nitya sukanth jo pahro das jas barno Harivansh vilas shri Harivansh naam jap karte hue sab aa jaega paramarth ka pura gyan aapke andar paramarth ki puri samarth jagrit ho jaegi naam jap tai sab soi dev subuddhi kripa kar moh mujhe aisi subuddhi pradan karo ki main sadaiv naam ratu ek kshan ke liye bhi naam na chhodu aapke leela gun ka gayan chintan karun mahatma ka sabse bada lakshan
kisi bhi prakaar asat chintan na hona. Har samay apne lakshya paramatma chintan mein rahna. Panchvi baat manasya vachasyat karm duratma naam manaskam vachkam karmankam mahatum naam jo man mein kuch aur rakhta hai vani se kuch aur bolta hai aacharan mein kuch aur hota hai use duratma kahte aur mansam vachsam karmanam mahatum naam jo vani se bol raha hai wahi man mein chal raha hai wahi aacharan mein hai use mahatma kahte hain. Kya mahatma ke darshan se paap nasht hote hain? Haan. Mahatma ke darshan se paap tal jaate hain to sadharan phal hai.
mahatma ke darshan ka phal hai sab duracharon ka tyag ho ke bhagwan naam mein priti ho jana aur swayam mahatma ban jana. Mahatma ka matlab bhesh parivartan nahi uddeshya parivartan. Wo andar se sadhuta dharan kar leta hai. Kahte hain mahatmaon ke paas khali hath nahi jana chahiye. Kuch le jana chahiye aur kahte hain mahatmaon ke hath se kuch prasad lena chahiye. Ismen aapki kya mati hai? Pujya padu Baba ji uttar dete hain mahatmaon ke paas kuch bhi bhav se le jane par sevya sevak bhav ki pushti hoti hai aur shastr ki agyaa ka palan hota hai.
shastr ki agyaa hai ki sant gurujanon ke paas kuch nahi hai to tulsi dal hai, durwankur hai, kuch bhi ek pushp hai unke charnon mein rakh ke pranam kiya aur unke hath se prasad lene ka bhav ye hota hai ki mahatma mein bhajan ke paramanu hote hain. [gala saaf karne ki aawaz] unka sparsh ho jana, hamare papon ka nash ho jana aur hamare andar bhajan ke paramanu ana. Isliye agar wah unke hath se charanamrit prasad kuch bhi ya kisi tarah wah chu de to hamara mangal ho jae. Isliye mahatmaon se mangkar prasad lena.
mahatmaon ke charnon mein patr pushpa aadi samarpit karna. Jaise surya uday hone par andhkar ka nash nischit ho jaata hai. Aise sache mahatma ke darshan se jeevan ka parivartan nischit ho jaata hai. Yadi agyaa ka palan karen to agar anukulta ki maang santosh se hai to tik pana kathin hota hai. Jab koi brahm prapt mahapurush karuna karke to wah andar anubhut gyan jo anubhut gyan hai wo jad chetan granthi ka bhed to jab tak aap mahapurushon ke vachno ke anusaar nahi chaloge tab tak aapka ahankaar pusht hoga.
aur ahankaar nasht hue bina brahm bodh nahi hota. Ek taraf brahm bodh ek taraf dulhan ho to dulhan sweekar kar lega. Brahm bodh nahi. Aisi maya hai. Ek taraf rupaye ka dher ho, ek taraf bhagwat prapti ho to rupaye ke dher ki taraf mud jaega. Ek taraf yash kirti prashansha ho, ek taraf shri bhagwan ho, prashansha ki tarah aise rachi maya koi khilwad nahi hai. Jaise agni ka sevan karne wale ka sheet jaata rahta hai. Thandapan aise hi mahatmaon ka sevan karne wale ko ye jadta rupi jada nahi lagta. Pravinta bas samarpit ho.
dekho jo lohar hota hai wo lohe ko katkar astr banata hai. Par utne se wah prhar ke yogya nahi rahta. Phir usko aag mein rakhta hai. Phir ghan se uski dhar banata hai. Itne par bhi nahi katega. Phir reti se ret kar maheen dhardar banti tab katte hain. To paramarth ka pathik ban jana mano lohe ko katkar akar de dena. Aur guru ke vakya rupi ghan ka prhar hona mano usmen dhar dena. Phir vivek ke dwara us par mano shaan chadha dena. Ab chadh gayi vivek ki shaan maro sansaar rupi vriksh kat gaya. Ek ek baat ham aapko isliye khol khol kar bata rahe.
maya hai. Wo vipaksh hai. Wo aapko ghaseetega. Mahatma ke paas jane se unko pranam karne se paap nasht hote hain. Lekin unki baat man lene se paap pravriti ka nash ho jaata hai. Bhagwat prapti ke marg mein agradsar ho jaate hain. Mahatma ki mahima ganga ji kalpavriksha aur chandrama se bhi badhkar hai. Ganga ppam shash tapam dainyam kalpatrush tatha ppam tapam tatha dainyam harti sadhu samagma ganga ji paap ko nasht karti hai. Chandrama tap ko nasht karta hai. Kalpavriksha daridrata ko nasht karta hai. Lekin yadi bhagwat premi mahatma mil jae to paap tap aur daridrata tino ka saman ho jae.
yadi unki agyaa par chale badshah ban jae. Bina chhattar ka badshah achah purush ko jo sukh hai wah badshah ko bhi nahi chah miti chinta miti manva beparwah jinko kachu na chahiye wo shahan ke shah bhagwan jab kripa karte hain to sache mahatma ka sang de dete hain aur sache sadguru jab kripa karte hain to bhagwan ki prapti kara dete hain. Mahatmaon ki bahya cheshaon par dhyan nahi dena chahiye. Unki baat se jo unki cheshta mile use sweekar kar lena chahiye. Bakaya pranam. Wo kya bolte hain? Kaise chalte hain?
kya cheshta hain unki? Unke jeevan mein kuch cheshta aisi hain jo tumhare se pare hain. Jo unke updesh se aacharan milte hain wo sweekar kar lo. Shreshth unke anugman na karna pura pura anugman aadi guru bhagwan shankaracharya ji age age piche sab shishya pariksha ke liye apne shisyo ki machhli uthyi kai machhli aise kha gaye shisyo mein char khade rahe shesh jo aur the wo dekha bhagwan shankar shankram shankracharyam swayam bhagwan sakshat shankar hi shankaracharya age badhe to kanch ubala ja raha tha khaulta hua kanch nariyal ke khappar mein bhara pi gaye ab sab shishya khade to jinhone machhli khai thi unse pucha aapne machhli kyon khai kaha Gurudev aapne pai to gala hua kanch pi rahe piyo nahi piye kyon nahi piyoge anusaran kiya karo sab jinhone nahi piya tha aapne kyon nahi piya kyon nahi khaya machhli kaha bhagwan aapka adesh nahi tha agar aap adesh karte to tatkaal palan hota aapne hamen adesh nahi kiya isliye hamne machhli nahi khai aap adesh karen abhi jo adesh karen prasann ho gaye.
haan, gurujanon ke har aacharan anuran mein nahi lane. Unka adesh jis aacharan ke liye ho wahi ham karen. Mahatmaon ki bahya kriyon par dhyan na dekar unki vani par dhyan dena chahiye. Wo kya kah rahe hain? Jo vani se unka aacharan mile use sweekar karna chahiye. Jo sant mahatmaon ka anannya bhakt hoga wahi bhagwan ka anannya bhakt hoga. Jo anannya bhakt hoga wahi bhagwan ki prapti kar payega. Bhagwan ki prapti karne wale sadhak ke kaise lakshan hote hain? Nishkinchan indri daman rama raman ek tar tulsi aise sant jan birle ya sansaar jinko koi chah nahi hai ek tar bhagwan ke bhajan mein dube hue hain.
indriyon ko apne adhin kar liya hai wo bhagwan ko prapt ho jaate hain. Nishkinchan indri daman rama raman ek tar tulsi aise sant jan birleya sansaar kahte hain sant mahatmaon ki seva se bada labh hota hai Baba haan kyonki unke sharir mein aise paramanu hote hain ki bhogon mein aruci kara dete hain. Pakka pakka aapke andar se nikalne lagega nahi chahiye mujhe sansaar ka koi bhog aur bhagwan ki pratichchha chah ho jaegi. Main jitendra hona chahta hoon. Main manonigrahi hona chahta hoon. Mujhe nahi chahiye sansaar ke bhog.
yah uski dharohar uske hriday mein transfer ho gayi hai. Sant mahatmaon ki seva ka phal hota hai ki unke shuddh paramanu nikal kar ke unke samip rahne wale, unki seva karne wale, unki agyaa palan karne wale ke hriday se paap parmanuon ko bhasm kar dete hain. Isliye mahatmaon ka sanidhy sarv mangalkari hota hai. Ek bar main ek budhe vidvan ke ghar bhiksha karne ke liye gaya pujya padu Baba aur bhiksha pa lene ke baad nikla to ghar ke bahar shant mudra mein baithe the to hamne kaha pandit ji vridh ho gaye ho putr bhi hain putri bhi hain ab to poutr bhi ho gaye jao ganga kinare ekant baithkar karke bhajan karo.
jeevan ka param mangal swaroop yahi hai. To un pandit ji ne kaha Swami ji jo kabhi par stri ki taraf aankh utha ke nahi dekhta. Kabhi hath pasar ke dusre ke dhan ko nahi liya aur par ninda nahi karta. Nirantar naam jap karta hai. Usko kahin ganga ke kinare jane ki avshyakta nahi. Wah swayam pavitra hai aur sabko pavitra karne ki samarth rakhta hai. Baba ne kaha yahi sunne ke liye hamne prashn kiya tha tum dhanya ho kyonki shant darwaze par baithe mangalmay bhagwan ka chintan kar rahe the. Teen baten unhone kahi par stri par dravy par ninda iska tyagi hai aur naam jap karta hai.
use kahin bhagne ki zaroorat nahi. Ghar baithe bhagwat prapti ho jaegi. Teen baten par stri par dravy par ninda. Goswami tulsidas ji ne bhi kaha satya vachan adheenta parteey mat saman. Itne pe hari na mile tulsidas satya vachan bhagwan ka naam bhagwan ka rup bhagwan ki leela bhagwan ke gun satya hai bhagwan ki adheenta ho aur matao bahno par pavitra bhav ho beda par ho gaya dwadha vedha bhram chakra ka kanke cha yah do bhram paida karke bhagwan se vilak karne mein bahut samarth hai. Ek to kam bhav se aur dusra lobh bhav lobh paas ja gal na bandhaya so nar tum saman Raghuray kanchan aur kamini dwadha vedha bhram chakra kasu kanke cha tasu te virakto ya sakshat bhargo narakriti jisne kabhi paray stri par dosh drishti nahi dali parae dravy ko hath nahi lagaya wo manushya rup mein sakshat narayan hai wo nar rup mein sakshat narayan hai jo kabhi bhi apne brahmcharya ko nasht nahi kiya.
para stri ki taraf kabhi aur nirantar bhagwan ka chintan kisi ka dravy aphrn ki bhavna nahi wo nar rup mein narayan hai. Vidhata ne puri maya ko teen mein jhonk diya hai. Kamini kanchan aur kirti mein jo isse nikal jae wo sakshat bhagwan hai. Gyan yog param tu pad prakshalitam jalam bhav shuddh mnanam ta tirth muni pango jo kanak vijay hai kamini vijay hai kirti vijay aise mahatma ke charan ka charamodak pi le to vishv ke samasth tirthon ki pavitra uske hriday mein aa jae yadyat is panabhyam yadyat pashyati chakshusa sthavran mute kim pun pamraj yadi aise mahatma hath se chu le aankh se dekh le koi bhi ho wo maya bandhan se mukt ho jae.
yadyat spati pabhyam yadyat pashyati chakshusa netron se dekh le ya sharir se sparsh kar le wo nishpap hokar bhagwat prapti ki yogyta aa jaegi. Usmen jab sant samagam mile to ye char baten nahi dekhni chahiye. Ye sant kis jati ke hain? In sant ki kitni ayu hai? Yah padhe likhe hain ya nahi hai? Inme koi khas tej to dikhayee nahi de raha. Rup, rang, avastha, padhai likhai ye sab mayakrit hai. Ashtavakya ji aath jagah se tedhe the. Lekin Janak ji ke guru bane. Mahatma ko isse thodi pahchana ja sakta hai.
rup rang avastha padhai likhai se aur balyvastha ashtavak ki thi aur vayovriddh gyan vridh shri Janak ji maharaj the. Janak ji ke guru ashtavakya ji hue. Bhagwan ki anubhuti kis koti ki mahapurush ki hai? Wo bahar se nahi dikhayee deti. Nirakshar hone par bhi aksharateet hai. Wah bhagwan mein sthit hai. Kaise jala ja sakta hai? Sansari manushya sadhuan ko to bheekhmanga aur pagal samjhte hain. Kyonki jin bhogon ko wo sarvasv mante hain unke wo tyagi hote hain. Isliye unko lagta hai pagal hai puri zindagi barbad kar rahe hain.
aur jin bhogon ko sarvasv mante hain, sant unhen swapna samjhte hain. Unhen pagal samjhte hain. Pagal hai puri zindagi bhogon mein barbad karke ek bar bhi bhagwan ka prem se naam jap nahi kiya. Jo sache mahatma hote hain, wah anand ki murti hote hain. Unke darshan se anand, unke sambhshan se anand. Bharatri ji ne bhagwan shankar se yahi manga tha ki mujhe kabhi sammaan na mile. Sammaan se bhiksha na mile. Kyon? Kyonki sammaan anand ko nasht kar deta hai. Sammaan dehabiman pusht kar deta hai. Dehabhmani vishay ka anand le sakta hai.
paramatma anand nahi. Isliye sant samagam mila hai. To ham apne jeevan ko bhagwanand mein dubone ke liye pryasrat rahe. Kripa shri bhagwan ki Bhagvdanand mein sthit nischit karenge. Chalte hain sacchidanand bhagwan shri Krishna chandra jo apne sakha gwal bal bachhde gaue sabko apni amritmay drishti se jivit kiya jo kaleeday ka vish purn jal pine ke baad wo mrit ho gaye the phir bhagwan ne kaleeday ko shuddh karne ki bhavna se chhalang lagai kud gaye vishal bahuon se jal ko mathne lage aankh se sunne wale Kaliya ne dekha ki koi nirbhay hokar mere kund mein mera apman karte hue jalkeli kar raha hai.
tatkaal nag paas mein bandh liya aur bahut bar bhagwan ke komal shri ang mein phal se prhar kiya. Vish ugal raha lekin bhagwan satchidanandmay hai. Wahan in prakritik vishon ka pravesh hi nahi hai. Panch bhautik sharir par vish ka prhar hoga. Sacchidanand pe nahi jaise atma mein kisi bhi Varun agne vaywastra Brahmastra inka kuch bhi asar nahi ho sakta atma tatv mein to jaisa hamara atma tatv aise hi bhagwan shri Krishna ke ang sacchidanand rup aae to us par sarp ka bandhan ya vish koi prabhav nahi para bhagwan ne apne sharir ko mota kiya uski nas nadiyan tutne lagi wo chhodkar dur khada hua.
phir bal purvak bhagwan par prhar kiya. Bhagwan thodi der khelte rahe. Iske baad ek thapak mari uske phanon par chadh gaye. Devta gandharwon ne dekha bhagwan nritya karna chahte hain. Adbhut vadya bajne lage. Bhagwan tandav kar rahe hain. Jo phan nahi jhukata us edi ki mar se usko raund dete hain. Khun ke phavware nikalne lage. Shri bhagwan ke charnon mein aisa lagta hai wo khun ke phavware mano kisi ne rakt pushpo se shri bhagwan ke charnon ki puja ki ho. Raund dala Kaliya ko bhagwan ne. Ab jab Kaliya ne dekha ki ab to mera maran nischit hai to usne bhagwan narayan ko pukara.
he narayan he apaar karuna samarth prabhu ham par kripa aur yah pata nahi ki narayan hi upar chadhe hue hain. Nag patniyon ne hath jodkar bhagwan ko pranam kiya aur kaha prabhu iske aparadh ko kshma kar dijiye. Aparadhi to hai hi yadi aparadhi na hota to sarp yoni hi na milti. Nath isne aparadh kiya hai. Aap kshma kar dijiye. He karunamay prabhu namo anantay sukshay katasthay vipashchate nana vadanudhay vaach vachak shaktay namah praman mulay kavay shastr nay pravattay nivatt nigmay namo namah namah krishnay ramay vasudev sutay cha pradyumnaya niruddhay satwatay namah namo gun pradeepay gutmanay cha gunwatta gun drisht swas he prabhu pratyaksh anuman aadi jitne bhi praman hain unko pramanit karne wale to aap hain.
aapko kaun pramanit karen? Jaise kal ek vigyan ke chatra sains ke unhone kaha ki yadyapi ham bhav rakhte hain thoda par hamari vigyan ki kasauti praman mangti hai agar us par praman mein na tike to manti nahi to aap praman de sakte hain ki bhagwan hai to yahan kya kah rahe pratyaksh hanuman aadi jitne bhi praman hai sabke praman to aap hai. Aapka praman kaun de sakta hai? Phir bhi kaise ham mane ki bhagwan hai. [nak se ki jane wali aawaz] unko to uttar jo bhagwan ne us samay prerit kiya. Jaise dekho sab log mante ho aap ho.
aap hain sachchai se batao is danche ko tum mante ho apna swaroop isko main mante ho isko apna sab kuch mante ho main par jab andar wala nikal jaata hai to isko kyon nahi mante ho phir isko jala kyon dete ho andar wale se prichay nahi tha bahar wale ka prichay bahar wale ko nasht kyon kar dete ho bole wah chala gaya kaun chala gaya tum ho par dikhayee nahi dete. Aaj tak koi yantr nahi bana. Itne bade vaigyanik vishv mein koi nahi jo man aur buddhi ka exra kar sake. Yah to sukshm sharir hai. Phir karan sharir hai.
jo tino shariron ko prakashit karta hai wo tum ho. Tumne apne aap ko nahi dekha. Bhagwan ko kya jaan jaoge tum? Tum bhagwan ke ansh ho. Apne aap ko dekha hai phir bhi aap mante ho hai aur apne prabhu ko nahi mante ho ki hai chalo doodh mein ghee hai banao puri nahi banegi aur hai prakriya hai uski prakriya karo ghee nikal aayega mehdi mein lalima hai pure vriksh mein dikhao ek bund bhi lalima prakriya hai prakriya se karo karo phir hath mein dikhayee dega lalima hai aise paramatma hai sadhna karo aapko anubhav mein aa jaega ye praman ka vishay nahi yahan Shrimad bhagwat mein kah rahe pratyaksh anuman aadi jitne bhi praman hain unko pramanit karne wale to aap hain.
phir aapko kaun pramanit karen? Isliye ham keval aapko namaskaar karte hain. Aapka gyan swatah siddh hai. Ae vayu sab le rahe ho na? [nak se ki jane wali aawaz] dikhayee de rahi hai. Anuman pratyaksh dosh se pata chalta hai. Aise koi vastu tango hilne lage to bole vayu hila rahi hai. Nahi tabhi to vayu ka pata chalta nahi. Vayu hai na? Aur mante ho hai sab koi ji rahe ho usi se to paramatma hai ye jo tum hil dul rahe ho na ye usi se hildul rahe ho vigyan keval prakriti tak hai aur kriti mane hota hai rachna to jisne prakriti ko racha hua hai paramatma agar photo banai hai to photo banane wala bhi to hai to ye itni badi photo bani hai akash ki prithvi ki jal ki agni ki surya chandra vayu Tara gan jad chaitanya stri purush charachar jagat to koi banane wala to hai wahi hai sabka bap sabke pita wahi sabke mata wahi sab kuch wahi wahi prabhu hai kaise janoge santo ki sharan mein jao sadhna karo tab jaan paoge aise jaan paoge doodh mein ghee hai nikal do ise prakriya ke dwara niklegaa aise prakriya ke dwara tum paramatma ko jaan sakte ho sadhna ke dwara nahi aise se nahi jaan sakte.
bina dekhe kahte hain vigyan nahi manta hai. Kitni aisi chijon hain jo bina dekhe tum man rahe ho yar. Oxygen dekha hai kaisa hota hai? Kala ki gora choda mota lamba kaisa hota hai? Lekin mante ho na oxygen hai. Kitni aisi prakriti mein vastue jo hai keval manne se hai. Hamara jeevan hai. Hamare andar baitha hua paramatma hamara jeevan hamara pran hai. Kaise janoge? Sadhna karo. Yahan sakshat shastr kah raha hai pratyaksh aur anuman jitne bhi praman unko pramanit karne wale to aap hain. Aapko kaun pramanit kare?
aap shata siddh hai. Kaise jana jae paramatma ko? Man lagane se jab paramatma mein man lagaya jae uski vidhi kya hai? Sab jagah se man hatakr ekmatra jo Gurudev ne paramatma ka rup bataya us nivitti marg ko sweekar karo. Arthat sab kuch andar se tyag kar ekmatra paramatma ka chintan abhi anubhav mein aa jaega. He shuddh saptamay Vasudev ke putr Vasudev sankarshan pradyumn Aniruddh yah chaturah ke rup mein aap bhakton ko sukh dene ke liye prakt hue he shri Krishna ham aapko namaskaar karte hain. Aap antahkaran aur uski vrityio ke pakar mein ane wale nahi hai.
sukshm sharir ke dwara bhi kyonki uske prakashak hain. Antahkaran ke prakashak hain. Antahkaran aapko nahi jaan sakta. Kuch kuch jab antahkaran pavitra hota hai to sanket milne lagta hai ishwar ka. Aap antahkaran ke sakshi hain. Ham aapko namaskaar karte hain. Yah mul prakriti se prakt trignatmika prakriti hai. Aap mul prakriti mein vihar karte hain. Ye sthul sukshm ye karan jagat aapse hi siddh hai. Isliye inke dwara paramatma ko nahi jana ja sakta. Avinashi mam swaroop se usi avinashi ko jana ja sakta hai.
apne aap se apne aap ko jana ja sakta hai. Bada vishuddh marg hai. Ismen bahut antahkaran ki pavitra chahiye. Sampurn vishv prapanch ke nishedh ke baad jo bachta hai wah aapka swaroop hai. He vishv ke aadi dev sakshi agyaan ke dwara satya ki bhranty ho gayi. Isliye swaroop ka gyan kisi ko nahi ho raha. Isliye aapka sakshatkar nahi ho raha. Kaun baitha hai? Apne swaroop mein. Deh mein hi to sab baithe hain. Deh ke hi vikar bhav yadyapi prabhu aap mein kartapan na hone ke karan koi bhi karm aapko bandh nahi sakta kyonki aap nishkriya hain.
tathapi anadi kal shakti ko sweekar karke prakriti ke gunon dwara aap is vishv ki utpatti sthiti aur pralya ki leela karte hain. Aapki leela amog hai. Aap satya sankalp hai. Isiliye jeevan ke sanskar rup chhipe hue swabhavon ko aap apni drishti se jagrit kar dete hain. Triloki mein teen prakaar ke prani hain. Satogun pradhan shant, rajogun pradhan ashant aur tamogun pradhan mudh ve sab ki sab aapki leela murtiyan hai. Phir bhi satgun pradhan shant jan hi aapko vishesh priy hai. Aapka avatar leela ye sadhu janon ki raksha dharm ki raksha evam vistar ke liye hai.
prabhu ek bar to aparadh sah lena chahiye apne sevak ka. Yah nag mudh hai. Aapko pahchanta nahi isliye aap ise kshma kar dijiye. Bhagwan ab kripa kar dijiye. Nahi ye Kaliya marne hi wala hai. Mar jaega. Sadhu purush sada se ham avlaon par daya karte aae. Atah yah daya kijiye ki hamare pran swaroop patidev ko aap hamen de dijiye. Ham aapki dasi hain. Hamen aap agyaa dijiye. Aapki kya seva karen. Jo shraddha se aapki agyaa ka palan karta hai, wah sab prakaar ke bhayon se mukt ho jaata hai. Parikshit aise bhagwan ki stuti nag patniyon ne ki.
bhagwan ke shri charnon ki thokron se kale nag ke phan chhinnabhinna ho gaye the. Beshuddh ho gaya tha. Jab nag patniyon ne stuti ki to bhagwan ne chhod diya. Ab kale nag ko dhire-dhire phir samarth ai. Chetna ai. Badi kathinata se shwas liya aur aankh khol kar dekha. Ab usko lag raha hai yah to sakshat bhagwan hai. Badi dinata se hath jodkar ke bola dekho yah baat satya hai jo Kaliya bol raha hai. Isi ka parivartan bhajan se kiya jaata hai. Kaliya ne kaha ki naraz mat hona maharaj. Ham janm se hi dusht aur tamoguni swabhav ke hote hain.
aur jo hamse bair kare to bahut varsho tak ham apne swabhav mein us bair ko yad rakhte hain aur phir badla jarur lete hain. Varsho kai varsh tak aapki akriti uske dimaag mein rahegi aur jab phasoge tab wo badla le lega. Aur he prabhu yah swabhav aapke dwara racha gaya hai. Isi ko badlna hai. Ya jo param sahaj swabhav shri Harivansh naam ras jao. Har samay hamara agar bhagwat chintan chala to mayakrit swabhav badal jaega. Prabhu swabhav chodna bahut kathin hota hai. Bahut kathin hai apna swabhav. Jo swabhav bana wo karan deh hai.
isi ka parivartan ho jae to mano bhajan ka prabhav ho gaya. Veer bal yoni beejit akritiyon ka nirman yah sab swabhav ke anusaar hi hota hai. Prabhu srishti mein ham jitne sarp hain yah janm se hi bade kroadhi swabhav ke hote hain. Swami ham sab aapki maya ke chakra mein mohit ho rahe hain. Phir apne praytn se is dushtaj maya ka tyag kaise karen? Aap sarvagya sampurn jagat ke Swami hain. Aap hamare swabhav ke bhi Swami hain. Maya ke bhi Swami hain. Ab main jaan gaya aap kaun ho. Prabhu aap chahe kshma karo ya dand do.
donon mein mujhe kripa dikhayee deti hai. Kaleenag ki baat sunkar leela manushya bhagwan shri Krishna ne kaha Kaliya ab tujhe yahan Vrindavan mein nahi rahna hai. Ye hamari leela bhumi hai. Tere rahne se sab jal dushit ho raha hai. Tu apni patni putr parivaar sabko le aur yahan se chala jae. Gauen aur manushya yamuna jal ka upbhog karen. Teri aur meri is baat ko jo sunega use kabhi sarpon se bhay nahi rahega. Kaliya ka mardan aur kali dag ki baat aur bhagwan ki baat jo sunega use sarpon se koi bhay nahi rahega.
yah bhagwan adesh karte hain. Maine is kali dah mein hriday mein kida ki hai. Isliye jo kaleeday mein snaan karega, pitr tarpsn karega, upvas karega, sare papon se mukt ho jaega. Ab yamuna ji chhodkar idhar ho gayi. Ye nahi pehle yahi se yamuna ji pravahit thi. Main janta hoon ki tu Garud ji ke bhay se ramnak dweep chhodkar yahan aa basa hai. Kyonki Garud ji aa nahi sakte. Sobhri ji ka saanp hai. Ab ja tere sharir mein mere charan chinh ankit ho gaye. Isliye Garud bhagwan se tujhe koi abhay nahi raha. Bhagwan shri Krishna ki ek ek leela adbhut hai.
aisi agyaa pakar Kaliya nag aur uski patniyan bade anand se bhagwan ka pujan kiya. Divya vastr pushp mala mani bahumulya abhushan divya gandh chandan uttam kamlo ki mala se jagat ke Swami garunadhwaj bhagwan shri Krishna ka pujan kali nag ne kiya iske baad bade prem aur anand se bhagwan ki parikrama ki phir sashtang bhagwan ki dandvat ki phir anumati li apni patniyon putro bandhu bandhwon ke saath kaleenag ramnak dweep ki jo samudra mein sarpon ke rahne ka ek sthan hai yatra ki leela manushya bhagwan shri Krishna ki kripa se wo jal vishheen hi nahi amrit ke saman prabhavshali ban gaya aur aisa jal tha ki pi lene par gay bachhde sakha sab padhar gaye the.
raja parikshit ne pucha bhagwan kaleenag ne nagon ke nivas sthan ramnak dweep ko kyon chhoda aur usne kaun sa aisa aparadh kiya jo Garud ji se bhay usko ho gaya. Shri Sukhdev ji ne kaha parikshit purv kal mein Garun ji ko Garun ji jis sarp ko chahte sarp ahar hai bla chahe hazar phal wala ho chahe saikadon phal wala ho Garud ji ke panje se chonch ke prhar se chhinnabhinna ho jaata hai. Phir yah niyam liya gaya ki pratyek mas mein ek mahan balvan sarp tumhen bhojan ke liye diya jaega. Ek mahine mein ek bar aap aakraman karke sarpon ka vinash na kijiye.
aisa brahma ji se paas ho gaya tha. Amavasya ke din mahine mein ek bar mahatma Garud ko balvan sarp bhet diya jaata tha aur use kha lete the. Sarpon mein kadu ka putr kaleenag tha. Bada ghamandi mat wala swabhav. Garud ji ko bhet dena to jane do. Jo Garud ji ko bhet dene ke liye kaha jaata wah usi sarp ko kha jaata Kaliya bhagwan ke pyare parsad shaktishali mahabali Garud ji ko jab ye pata chala to Kaliya ko mar dalne ke vichar se us par aakraman kiya. Kaleenag ne jab dekha Garud bade veg se mujh par aakraman kar rahe hain tab saikadon phal the.
phan faila ke dasne ke liye Garud ji par tut para. Ab Garud ji ki pankhon ki mar, chonch ki mar, panjon ki mar, tarakshandan Garud ji bhagwan shri hari ke vahan hai. Unka veg aur parakram atulni hai. Garud ji ne dekha hai nag bada dhathai aur ghamandi hai. To unhone jhatak karke pankhe se prhar kiya. Ghyal ho gaya. Aur usko pata tha ki sobavri ji ne shraap diya hai is kshetra mein Garud ji pravesh nahi karte isliye bhag kar aaya aur kaleed mein chhup gaya. Tab se abhi tak chhupa hua tha. Is sthan par Garud ji nahi aa sakte the.
dekho bado se agar koi galti bhi ho jae to unko dand nahi dena chahiye. Namr hi rahna chahiye. Sobhri ji tapasya kar rahe the to usi kshetra mein Garud ji ne ek bade machhli ko khaya. Kaha Garud tumhari itni himmat hamare samne machhli ko. Bhagwan Garud ji ne kaha mera ahar hi yahi nischit kiye gaye hain. Jalchar jio. Unhone kaha aaj ke baad main shraap deta hoon ki agar tum kisi machhli ko yahan khae to tumhare sir ke 100 tukde ho jaenge. Garud ji to chalo bhai tum mahatma ho isliye chhod ke chale gaye.
par machhli ke hi maithun se bhrasht ho gaye. 50 byah karne pare. Ye aparadh tha Garud ji ka. Aise mahatma ki buddhi lekin machhli ka paksh lekar Garun ji ko shraap diya to machhli ke hi dwara unka patan ho gaya aur yah baat pata tha kali ko to yah bhag ke yahi is kund mein akar chhup gaya. Yah baat keval Kaliya ko pata thi. Isliye Garud ke bhay se yahan rah raha tha. Ab bhagwan ke charan chinh ban gaye. Isliye Garud ji kabhi isko khaenge nahi. Bhagwan divya gandh mala vastr sarp ki jo maniya unse vibhushit kund se bahar nikle.
unhen dekhkar sab brajvasi aise uth khade hue jaise mrit sharir mein pran aa gaye ho. Sabhi gop ka hriday anand se bhar gaya. Yashoda maiya nand Baba apne kanhaiya ko gale se laga rahe. Rohini ji gopi gop sab kram se bhagwan ko gale lagae. Balram ji muskurakar bhagwan se mile ki hamen kya pata tha ki tumhen yahi leela karni thi isiliye hamen le nahi aae the kyonki bade bhrata sarpon ke to yahi hai Balram ji sabse pehle putr hain shesh bhagwan kadu ji ke garb se sabse pehle shesh bhagwan phir Vasuki aur phir sab nag Balram ji shri Krishna ko hriday se lagakar hansne lage.
vriksh, gay, bail, parvat, bachhde sab ke sab anand magan ho gaye. Gopo ke kul guru brahmano ne apni patniyon ke saath nand Baba ke paas akar kaha, nand ji tumhare balak ko Kaliya nag ne pakar liya tha. Chhut kar aaya hai. Dakshina de. Dan punya karo nyochhavar karo. Bahut dan punya kiya nand Baba ne ki balak bach gaya. Sahi baat hai. Saanp ke phal ka prhar uski pakar. Nand Baba bade prasann hue aur bahut sa sona aur bahut si gaue brahmano ko dan kiya. Param saubhagyavti devi Yashoda maiya ne kal ke gal se bache hue apne lala ko god mein lekar hriday se laga liya.
unki ankhon se anand ke asuon ki bunde bar-bar tapki padti thi. Ab brajvasi gauen bahut thak gaye the. Bhookh pyas bhi lagi thi. Isliye sab wahi raat mein vishram kiye yamuna ji ke sameepwarti kunj mein sab aur garmi ka mahina tha. Kafi van sukh gaya tha. Achanak adhi raat mein aag lag gayi. Vipatti par vipatti abhi Kaliya se chhute ab daval aur wo aag aise lagi ki charon or fail gayi aur beech mein brajvasi nikalne ka koi rasta nahi. Aag ki badi unchi unchi lapten. Ab brajvasi jage ekdam. Are ye kya? Balram ji ne ishara kiya bhagwan shri Krishna ko.
sab brajvasyon ne kaha he shri Krishna he Shyam sundar maha bhagyawan Balram kuch karo nahi ham sab brajvasi mare gaye. Dekho dekho ye bhaykar aag charon taraf se lag chuki thi. Hamen mrityu se dar nahi lagta lekin tumhen chhodkar marna bhi accha nahi lagta. Bhagwan Jagdishwar sab log aankh mund lo. Sab brajvasi aankh bhagwan ne aise mukh khola aise kiya puri aankh samet kar bhagwan ke mukh mein chale gaye dekho aise ham bhagwan ke sevak hain. Agar makhan khaya hai inka na to aag bhi khai hai. Shri Krishna ji ne jo kiya kabhi nahi anuran nahi unki agyaa ka palan karo.
bhagwan ne apne mukh mein mukhad agni rajayat bhagwan ke mukh se hi agni dev ka pradurbhav hua hai. Bhagwan ne mano jahan se agni prakt hui wahan virajman aa puri agni samit kar akarshan hokar bhagwan ke mukh mein virajman ho gaye. Ab brajvasyon se kaha aankh kholo. Aankh khola to shital mand sugandh vayu chal rahi. Kahin aag nahi. Aise chamatkarik hai hamare prabhu. Bahut anand ka vishay hai. Yadi sachchai se chalo to prabhu se apnapan ho jae. Ab sab brajvasi aandit aur sabko pata hai ki hamare shri Krishna koi alaukik hain.
sab shri Krishna ke shri mukh ka darshan unki kirti ka gaan karte hue ab bhagwan goshtha mein pravesh kiye. Yog maya se gwal bal ka vesh bankar shri Krishna aur Balram braj mein krida kar rahe hain. Garmiyon ki ritu thi. Ye sharir dhariyon ko prayah kam priy rahti. Bahut garmi pasina sab parantu Vrindavan ke swabhavic gunon se yahan divya basant ki chhata rahti isliye garmi bhi samjh mein nahi aati. Ab to samjh mein ane lagi hai kyonki latae sab Radhehe aur int patthar aur AC andar thanda to bahar garmi phenk rahi to bahut garmi Vrindavan mein swabhavic basant ki chhata rahti hai.
Vrindavan mein param madhur bhagwan Shyam sundar shri Krishna aur Balram ji nivas jo karte the shital mand sugandh vayu chalti jheeron ki teekhi jhankar jharnon ke madhur jharjhar jhar jharnon se sada sarvda bahut thandi jal ki phaya yamuna ji ke jal se lekar pure Vrindavan mein hariyali chaai rahti hai jidhar dekho hari hari dhoop se prithvi hari hari ho rahi nadi sarovar jharne ki lahron ka sparsh karke jo vayu chalti thi usmen lal pile neele turant ke khile hue kalhar utpal aadi anekon prakaar ke kamlo ka parag mila hota shital mand sugandh vayu ke karan Vrindavan vasiyon ko garmi ka klesh nahi sahna parta na davagni ka tap lagta tha na surya ke ghaam ka nadiyon mein agadh jal bhara hua tha badi-badi lahren unke taton ko choom jaya karti thi.
unke pulinon se takrati hui swachchh banati. Unke karan aaspas ki bhumi geeli bani rahti. Surya ki atyant ugr tatha teekhi kirnen bhi wahan ki prithvi aur hari hari ghas ko nahi sukha sakti thi. Charon or hariyali thi. Vrindavan mein vrikshon ki pat ki pat foolon se lag rahi thi. Jahan dekhiye wahi sundarata phuti padi. Kahin rang biringe pakshi chahak rahe. Kahin tarah-tarah ke hiran chaukdi bhar rahe, kahin mor kuk rahe, kahin bhavre gunjar kar rahe hain. Kahin koyle kuhak rahe to kahin saras alag hi apna alap chhede hue hain.
aisa param sundar Vrindavan dekhkar Shyam sundar shri Krishna gaur sundar Balram ji ne usmen vihar karne ki ichchha ki. Age age gauen chali. Piche piche gwal bal beech mein apne bade bhai ke saath bansuri bajaate hue shri Krishna dekho bhagwan ko bhi sangharsh sahna para to apne log jab janme hain to sangharsh se na dare abhi agasur se nipte kali phir dava lal ham ek aur aa raha hai pranambasur roz ek naya naya sankat to tayyar raho. Ham bhi bhagwan ke ansh hain. Koi dukh, koi vipatti, koi rog ye sab aakraman karte hi rahenge.
Ram Shyam aur gwal balo ne naveen pallon, mor pankh ke guchchhon, sundar sundar, pushpo ke har, geru aadi rangeen dhatuon se sab apne apne ko sajae hue hain. Jis samay aise sab saje dhaje gwal walon ke saath bhagwan to koi sakha bhagwan ke samne nachne lagta to koi taal thok kar kushti ladte hue shri Krishna ko anand pradan karta koi koi rag alapne lagte jis samay shri Krishna nachne lagte sab gwal bal gane lagte taliya bajaate bansuri bajaate sin bajaate aur kahte vah vah parikshit us samay nat jaise apne nayak ki prashansha karte hain.
waise hi devta log gwal balo ka rup dharan karke wahan ate aur gop jati mein janm liye hue bhagwan shri Krishna Balram ji ki stuti karte. Ghunghrali alkon wale bhagwan shri Krishna aur Balram ji ek dusre ka hath pakar kar kumhar ki tarah chak ki tarah ghumri preta khelte. Kabhi ek dusre adhik phaan jane ki ichchha se kudi kudte. Kahin had lagakar dele phenkte, kahin taal thokte, kahin rassaksi, kahin rassi se kudte. Is tarah ki balwat kreedaen bhagwan kar rahe the. Jab dusre gwal bal nachne lagte to shri Krishna Balram galbiya dekar khade ho jaate aur kahte vah prashansha karne lagte.
kabhi ek dusre par bel jayphal anvle ke phal hath mein lekar phenkte. Kabhi ek dusre ki ankhen band karke chhip jaate. Wah piche dhundhta aankh bichauni khelte. Kabhi pashu pakshi ki tarah phudak phudak kar krida karte. Kabhi mendhkon ki tarah kabhi bandron ki tarah muhn bankar hansi udate. Kabhi rassiyon se vrikshon par jhula dalkar jhulte. Kabhi do balkon ko khada karke unki bahon ke bal par latakte. Kabhi koi raja ki nakal karta. Is prakaar bhagwan Ram aur Shyam arthat Balram aur shri Krishna Vrindavan ki nadi parvat ghati kunj van sarovar in sabhi mein wo khel khelte jo sadharan bachchhe khelte hain.
ek din Balram aur shri Krishna gwal balo ke saath us van mein gaye chara rahe the. Tab pralambasur naam ka ek Rakshash aaya. Uski ichchha thi ki main shri Krishna Balram ko har le jaun. Bhagwan shri Krishna sarvagya dekhte hi pehchan gaye. Wo sakha ke rup mein aaya tha. Mano bahut bhagwan pyar kar rahe hain. Jane hi nahi. Bhagwan vichar karne lage ki iska vadh kaise kiya jae. Gwal balo mein sabse bade khiladi khelon ke acharya shri Krishna gwal balo ko bulaya. Kaha mitron ham log apne ko do dalon mein bant le phir khele.
khel mein gwal balo ne do dal banae. Ek ke nayak shri Krishna, ek ke Balram. Ab ek dal ke log dusre dal ko apni pith par chadhakar ek nirdishta sthan par le jana. Jitne wala dal chadta tha. Harne wala dal apni pith par chadhata tha. Aur yah khel bhandeer namak vat ke paas ho raha tha. Ek bar Balram ji ke dal wale shri dama vrishabh aadi gwal balo ne khel mein baji mar li. Tab shri Krishna aadi unhen apni pith par chadhakar dhone lage. Shri Krishna ne Shri dama ko apni pith par chadaya. Bhadrasen ne vrishabh ko aur pralambasur jo sakha bana hua tha usne Balram ji ko mahan balshali pralambasur ne dekha ki shri Krishna bahut praveen hai.
unko nahi haraya ja sakta. Atah Balram ji ko apni pith mein lekar phurti se bhaga aur jo sthan utarne ke liye tha usse age nikal gaya. Balram ji ek bar to yahan nahi utara kahan le jaega hamen? Jab dekha ki age le ja raha hai to apne asli swaroop ko prakt kiya Balram ji ne. Mahan balshali Balram ji. Pralambasur ladkhda kar chal ruk gayi. Pralambasur ne daitya rup dharan kiya. Aisa pahar ka swaroop kala sharir sone ke gahne chamak rahe the. Mano sone ke gahne lag rahe the jaise Shyam megh par bijli aise aur gore se Balram ji ko dharan kiye hue tha.
pranambasur aisa lag raha tha chandrama ankhen aankh ki tarah bhahe badi bhayavni lalal bal bikhere hue hath aur panv mein sone ke kade sir par mukut kano mein kundal bada bhayavna lag raha tha pehle to Balram ji ekdam ghabrate gaye achanak phir apne swaroop ki yad ane par Balram ji ne dekha jaise chor kisi kisi ka dhan cura le jae. Aise mujhe cura kar le ja raha hai. Balram ji ne ek ghasa banda pranambasur ke upar prhar kiya. Ghasa lagna tha mahabali Balram ji ka ki muhn se khun ugalne laga. Chetna jati rahi. Bhaykar shabd karta hua mar gaya.
girakar bhumi mein. Balram ji param balshali khade ho gaye. Jab sakhaon ne dekha pralambasur ko bhagwan Balram ji ne mara to vah vah vah vah aisa kahne lage aur sab gwal wala akar Balram ji ko hriday se lagaya. Sabne aisa anubhav kiya ki mano Balram ji agar na hote koi sakha hota to ye mar hi dalta. Pralambasur murtiman paap tha. Devtaon ko bada sukh mila. Balram ji par devtaon ne phool barsae aur bahut accha bahut accha kiya bhag aisa karke prashansha karne lage. Bhagwan shri Krishna ne Balram ji ko hriday se lagaya.
pralambasur ko wo gati prapt hui jo bade-bade yogi log akanksha karte hain. Dhanya hai bhagwan ki avatar leela jinme in mahan papiyon ko bhi param pad prapt hota hai. Ham jo satsang sunte hain uska manan karen. Usko aacharan mein utaren. Nirantar naam jap karte hue pavitra jeevan vyatit karen. To isi janm mein hamen bhagwan ki kripa se bhagwat prapti ya bhagwat prem [gala saaf karne ki aawaz] prapt ho jaega. Shesh charcha age shri Radha vallabh lal
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- sarv papon ka nash karne wale shri giriraj ( Govardhan ji ) ki adbhut mahima // 09/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- divya Diwali maha mahotsav // 08/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- in 10 dosho se pahchanen ki hamare bhitar paap hain ya nahi / gopiyon ki virah vyatha evam bhramargeet ka varnan — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan…
- santo ki kripa se prapt hoti hai aisi adbhut sthiti / Uddhav ji ko dekhkar brajvasyon ki virhadsha — Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasau purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param…
- nihal kar dene wali sharanagati ka varnan / Uddhav ji ka shrikrishna ka sandesh lekar ana / nandbaba se varta — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shi shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param…