॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

santo ke sang se kya milta hai? Shrikrishna dwara gwalbalon aur gayo ko davanl se bachana // 17/10/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital mayam param sacchidanand Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham [gala saaf karne ki aawaz] shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy pran priy yugal sarkar shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikkar kotisha naman kotish pranam namaskaar shri pyari jo pyare jo aapki jai ho aapne apaar kripa karke ham sabko avsar diya hai is mayakrit daldal se nikalkar premamart sindhu mein doob jae.

ab aapko hi ghaseetna hoga. Jaise kripa karke aapne avsar diya waise is avsar ko sarthak karne ke liye man buddhi bhi pavitra kijiye. Yah aapko hi karna hoga prabhu. Yadi aap nahi karenge to aapki itni malin maya hai ki wo aapse vimurkh kar degi. Isliye he kripa sindhu aap kahte ho ki man aadat ma buddhi niveesh ham prarthna karte hain ki hamare man buddhi ko aap cura lijiye. Aap sarv samarthyshali hain. Hamare man buddhi ko aap apne adhin kar lijiye. Shripad kah rahe hain mand mand Charu has divya pit patwas neel neelda davbhas ballavi vichitra raas aapko man buddhi churane mein koi mehnat nahi karni padegi.

jab aap mand mand muskurate hue divya Pitambar dharan kiye hue aapke shri ang ki kant indra Nilmani jaisi naveen megh jaldhar jaisi aur parshwa mein virajman param rup saundarya prem ki sima shri maharani jo phir aapko hamare man churane mein kaun si mehnat lagegi? Mand mand Charu has divya pit patwas neel nir davbhas ballavi vichitra raas aap aise Priya pritam milkar vichitra nritya kar rahe hain. Prem sampde ek vas Radhika nikunj vas maav nitya tad vilas koti chandra wakt bhashas prem sampatti ka dan karne wale aapko man buddhi churane mein kya mehnat lagegi abhi Radha peer ji se kah rahe the yar bol diya karo kabhi kabhi sharmao mat apne ghar ke hain sab agar aap bol doge to kya chala jaega?

hamara chala jaega. Hamara man, hamari buddhi, hamara chitt, hamara astitva, hamara ahankaar sab galit ho jaega. Aap bol do na. Par wo abhi sharmate hain. Abhi hamare prem mein itni takat rahe ki unko bulva de. Nahi wah bolte bhi hain. Dimaag mein to bolte hain lekin bahar nahi bolte hain. Sachchi maniye jis din wah prem ho jaega wo baat karte hain. Khelte hain saath log praman mangte hain ki bhagwan hai iska praman dijiye. Kaisi malin buddhi aa gayi. Koi kshan aisa nahi, koi kan aisa nahi jahan prabhu na ho.

aap prem sampatti ko pradan karne wale hain. He raas vilashi aap shri swamini jo ke saath navni nikunj mein virajman hai. Yah navni nikunj hi hai. He Radha nikunj nitya vilasi he koti-koti chandramaon ko vinindit karne wale yugal sarkar aap meri raksha kijiye. Kyonki aapke hi raksha karne se ham bach sakte hain. Bade khiladi hain. Wo aisi jagah se aapko theek kar denge ki dobara wo galti hi nahi hogi. Vishwas karo yadi inke bhrose ho gaye. Pehle to galti hogi nahi. Agar ho gayi to dobara nahi hone.

aisi sthiti de denge. Vishwas karo. Ham apne jeevan ki baat kah rahe hain. Jab tak hamen prabhu par vishwas nahi hota, bharosa nahi hota, tab tak hamen apna bharosa hota hai. Apne mala ka bharosa hota hai. Apni sadhna ka bharosa. Apni sadhna kitni pure jeevan ki sadhna ek vaishnav ki ninda kar do sab dhak jaegi. Kiye sukrit bahu janm ke chinh mein direct hoe. Kya apni sadhna raat din wah hamare chitt ko apne mein lagae rahe. Yahi prarthna hai. He mand mand muskurate hue yugal sarkar nilambr Pitambar dharan kiye hue raas mein virajman navni nikunj vilasi koti chandramaon ki shobha ko bhi mat karne wale aap hamare man buddhi ko cura lijiye.

aap hamari raksha kijiye jisse ham sadaiv aapka chintan kar sake. He priyaju aap sadaiv shri Lalaju ke gale ke har hain aur Lalaju aapke gale ke har hain. Ham pipashu hain. Jignyasu nahi pipashu aapke prem ras ka pan karne wale. Isliye aap mere hriday mein spurit ho. Aap hamare hriday ko apne adhikar mein le len. Tabhi yah sambhal sakta hai. Jaise arjun ke rath ki bagdor jagatguru bhagwan shri Krishna ne pakar li. To vijay shri arjun ko mili. Aise mere hriday desh mein virajman hokar he prabhu aap shasan kijiye.

aap indriy man ko apne adhin kar lijiye. Tabhi hamari baat banegi. Ek hai yah marg aur ek yah hai ki main indriyon par vijay prapt karun. Man par vijay prapt karun phir bahut janmjanm yah marg bahut badhiya hai. Bole man ko theek karo to aap theek kar lo. Indriyon ko theek karo. Aap theek karo maharaj. Ham aapke ashrit hain. Aapke adhin hai. Shri Swami haridas ji maharaj kah rahe hain ham so na bigaran ko to so na savaran ko toh hi moh pari ho kaun dho jite kaun dho hare par badi na tod dekho maharaj hamari tumhari is khel mein hod lag gayi hai.

ham to bigad rahe hain. Aur aap sanvar rahe hain. Bilkul 100% baat acharya hain. Ham jo bhi kar rahe hain wah bigdne wali baat kar rahe hain. Aap jo bhi kar rahe hain wo savar rahe hain. Par maharaj ham par gussa na hona kyonki ham bigad rahe hain. To tumhari maya baji pasari vichitra sun muni mohe kaki kod. Kiski god mein baithkar bade muni bade-bade muni jan aapka vismaran kar dete hain. Wah prachnd maya aapki hai. Hari ham bigadte bigadte jit gaye aur aap har gaye to na tod ham jite tum hare tau na tod.

phir bhi aap aise kripalu ho aap ki aap hamen chhote nahi ho. Yadyapi ham aapke virudh aacharan karte hain. Phir bhi aap mujhe dular kar rahe ho. Dular karte karte savarte savarte aap har gaye kyonki main nahi sudhra aur main jit gaya. Par phir bhi maharaj aap apni hi udarta par rahna to hamari baat ban jaegi. Ham bigadne wale hain. Aap savarne wale hain. Jaj rakhat ho tyun tyun rahat ho hari. Swami haridas ji jaise jaise maharaj rakhte hain waise waise main rah raha hoon. Hamari bas kahan hai ki ham aap ke virudh chal sake.

ye aapki hi to maya hai jo prachnd shakti wali hai aur hamen parast kar rahi. To maharaj aap hi maya ko rok do aur hamen apna marg prashasth karne do. Aap karuna karo. Jab is dainya bhav mein aaya jaata hai to paramarth ka marg bhagwan ki kripa se prakashit ho jaata hai. Sachchi maniye chah hi mit jati hai. Na lok ki chah na parlok ki chah na bhagwat milan ki chah. Sachchi maniye bas ek chah ka swaroop rahta hai ki vismaran na hone pave. Bas sache upasak ke hriday ki ek chah rahti hai. Akhand smriti bas phir ye jaenge kahan?

us din jo pad gaya ja raha tha nache Natni ko usmen tha ladli jo aapke hath mein dor hai inke jaenge kahan kyonki yah hai patang aur aap udane wali hain dor pakde hue hain patango narkacharya bhagwan ji patango yatha Manu braah man namaste shri radhikae parae namaste namaste Mukund priyae is ashtak mein hai patango yatha manra ma jaise patang udane wala jaise chahe waise udae ye akhil koti brahmand nayak paraatpar aapki dor mein bandhe hue hain. Prem dori mein jaisa chaho aap vaisa hi honge. To aap thoda inse kah do ki apni maya ko dant de aur hamare hriday mein aapke bhajan karne ka avsar de.

nahi ye prapanch ghusa hua hai. Is koti ka pocho pura jeevan hai. Pyare jara sa ladakhdae to gir jaoge. Bilkul ladakhdana nahi. Bilkul idhrudhur mat dekho. Mat samjho ki grihasth jan bade sukhi hain. Aapko keval ham itna bata dete hain ki har grihasth se pooch lo bhaiya tum tript ho gaye kya sansaar se? Wo aise hi kahega ki nahi tript nahi hue. Koi tript nahi hai. Tum udhar ye bhut ke laddu hain. Jo khae so pachtae aur jo na khae so pachtae. Man lo santo ki baat man lo. Shastr ki baat man lo aur nikal chalo.

aankh mund lo nikal chalo. Idhrudhur bazar dekhne lage to nahi nikal paoge. Ek raja ne ek bazar lagai sab free aur apne rajya mein ghoshna kar di ki suryasta hote jo hamare paas aa jaega use apna rajya pad ham dekar vanvas karenge. Ham bhajan karenge. Uske koi rajkumar nahi tha. Par bazar aisi thi sab free ab jo chale khanpan bhog vilas sab free to bole samay tak to pahunchna hai raja ke paas lag gaye bhog vilas mein ab ek se ek rajbhog ki samagriyan sab dekhne ki sunne ki sunghne ki chune ki bhogne ki sab free sham tak raja baithe rahe koi nahi pahuncha ek aadmi ek netr wala dala tha.

usne vichar kiya yah bazar hi isiliye lagai gayi hai ki main wahan tak pahunch na paun. To ek netr keval apne lakshya par lagaya aur chal diya aur sidhe raja ke paas pahunch gaya. Rajpad ka adhikari wo hua. Ek netr ka matlab samjhte ho jiska lakshya ek ho gaya ki bazar hi isiliye lagai gayi ki main shyama Shyam ko prapt na kar paun. Ye kam krodh ka fenka hi gaya hai jal. Isiliye ki main shyama Shyam tak na pahunch paun. Koi bhi nagar nivasi nahi pahunch paya. Keval ek netr wala pahuncha. Ek netr wala jiska ek lakshya hai bhagwat prapti.

vishyan vishwat parityajan na padamb punarbhav bhajan dridh sarv pumartha sarta mati rasmin was Radhika vishyon ko vish ke saman tyag do vishyan vishat paritjan aapko sachchi kahte hain bhajan karo aise tumhari sthiti ho jaegi chah hi nahi hogi sachchi kahte hain chah hi nahi hogi sphuran hi nahi hoga hi nahi hoga matlab bina bhookh ke aapko bhojan rakha jae to koi ruchi nahi hogi na aise jine ki ruchi nahi hai chahe aaj bula le chahe sham ke bula le chahe kal bula le chahe parso ko bula le jana ye malin bhogon ki taraf jab tak bhajan nahi hota punarbhavam bhajan kah rahe yadi mukti akar panv pakar le to bhi ham apna bhajan nahi chhodenge moksh akar pair pakar le phir bhogon ki baat bhajan ka sukh nahi mila isliye ab dekho agar yahi chintan chalne lage shri ji ke kaise gore charnarvind kaisi muskurahat shri ji ki kaise netr lal jhuke kaise karunamay prabhu to abhi abhi Bhagvdanand ane lage ab wo chintan ban raha hai ki to kaise kaise matlab bahut vichitra baat hai dhatu vishay pusa Sanga pehle siddhant samjho bhagwan ke vachan

hai shri Krishna chandra ji ke agar aap vishyon ka dhyan karenge to aapko bhog ki akanksha prabal hokar bhog mein lipt kar degi Sanga supte aur sang sanjayte kamma kamat krodh bhi jaate krodha samoha samoha smriti bhrama smriti bhasa buddhi nasho buddhi na prannasati sarvnash ki jad kya hai vishay chintan aur bhagwanand ki jad kya hai bhagwat chintan bahut bada ghatak prhar kar rahe ho apne upar yadi vishay chintan karte ho sachchi sachchi manna kriya utni khtrnak nahi jitna khtrnak vishay chintan hai. Vishay chintan pure antahkaran ko malin kar deta hai.

isliye vishay chintan to kah rahe hain vishyan vishwat parityajan teekshan vish ek vish hota hai khao to mar jao ek hota hai sungho to mar jao ye dekh lo to mar jao ye itna teekshan vish hai dekh lo to mar jao matlab sthiti se bhrasht ho jao vishyan vishwat parityajan na padamya punarbhav bhajan moksh akar charan pakar le to bhi bhajan nahi chodna Radha Radha Radha Radha dridh sarvam sarta mati rasmin va Radhika dridta purvak bhogon ka tiraskaar karke shri Vrindavan vas karo to Priya pritam ki prapti ho jaegi. Pujypad mahmmahim brahm murti shri odiya Baba ji maharaj santo ke sang se kya prapt hota hai?

pahla santo ka jo sang karte hain unhen bhagwat charcha prapt hoti hai. Shastri siddhant aur bhagwan ki prapti ki lalsa aur samasth papon ka nash paap pravriti ka nash adhyatma unnati [gala saaf karne ki aawaz] kyonki satsang unka swabhav hota hai santo ka charcha karna paraspat charcha karna asha basan bas ya tinhi Raghupath charit hoe ta sunah shri sanak sanandan sanatan Sanat kumar ji ek pravakta ban jaate hain teen shrota ban jaate hain. Akhand pravah chalta rahta hai. Bhagwan ki leela, gun dham, mahima ka jo santo ke mukh se bhagwat charcha sunne ka pravidhan bhakt aur santo ke mukh se hi prayah nahi to param hans shiromani shri Sukhdev ji ko Shrimad bhagwat diya.

anya ko nahi diya. Bahut se shishya the bhagwan vedabhyas ji ke adhikari dekha unko bhagwat rishi ji kah rahe hain pratham sun bhagwat bhakt mukh bhagwat vani bhagwat vani gita ji aur bhagwat sabse pehle upasak ko kisi sant bhakt ke mukh se sunna chahiye bhagwat bhakton ke mukh se jab bhagwan ki charcha suni jati hai to sidhe bina sadhan ke rati hoti hai bhagwan mein sidhe bhagwan mein rati hoti jab ham santo ke darshan karte hain to hamare hriday mein ek jalan paida hone lagti hai ki main kitna nich hoon. Maine aise aacharan kiye. Maine aise aacharan wo apne aap ane lagenge.

aur wah santo ki charan kamal seva mein apni samasth malinta ko bahane ki bhavna karta hai. Jaise kai bhakt jan ate hain kahte hain ki hamare hriday mein lalsa hai ki kabhi aapki seva mil jae. To ham kahte hain hamari seva kabhi nahi jeevan bhar karo. Kya Radha Radha japo galat aacharan mat karo. Nasha mat karo. Kisi mata bahan ki taraf gandi drishti se mat dekho. Ye hamari hamare bhagwan ki bhagwan ke vachan shastr ki sab ki seva ho jaegi. Sab santo ki seva ho jaegi. Yadi ye baat manoge jab santo ka sang karte hain to utkantha badhti hai.

bhagwan ke liye jignyasa badhti hai. Kaise bhagwan hai? Kaise bhagwan se milun. Kaise sansaar ke vishyon ka tyag karke main bhagwan ka anuragi banu. Jab sant sang hone lagta hai tab Gurudev ki prapti ki prabal utkantha hoti hai. Mere Gurudev ho jo mujhe shasan aur dular ke dwara bhagwan ke marg mein chalave. Bhagwan phir unhen Gurudev ki prapti karate hain. Gurudev ki prapti bhagwan kyonki bhagwan hi Gurudev hain. Gurudev hi bhagwan hai. Bando guru pad kanj kripa sindhu nar rup hari swayam hari hi nar rup dharan karke Gurudev ke rup mein hai.

Gurudev se prapt jo mantr hai usmen dridh vishwas hona chahiye ki isi se bhagwat prapti ho jaegi. Dridh vishwas hamen aur kuch satsang sunenge ham usmen jo hamare anukul Gurudev ke hoga wo dharan karenge upasna apne Gurudev ki hi karenge jo hamare Gurudev ne mantr diya jo Gurudev ne marg bataya usi par chalenge dekho gurjan jab vinod mein bhi uphash mein bhi kuch kahte hain na to usmen param mangal hota hai. Dantte hain ya uphash karte hain ya param mangal hota hai. Jaise ae ye aise kar ghum raha hai.

aise kar raha hai. Aise ye mat samjho ki sabha mein hamari beijjti hui. Nahi tumhari dhulayi ho gayi. Jo tum bahut dino tak sadhna karke apne hriday ko nahi pavitra kar sakte the. Wo tumhare hriday mein bam ka gola jaisa jaega. Aag lagegi aur tumhen utthan ki taraf le jaega. Sanshay, viparit bhavna, bhay aur shok yah sab sharanagati mein kalank hai. Nirbhayata, nishchintita, nishokta, viparit bhavna ka tyag, sanshay ka tyag is sharanagati ko pusht karte hain. To sant mahatma Gurudev ki prapti karate hain aur Gurudev bhagwan ki prapti karate hain.

jo Gurudev ne mantr diya dridh vishwas sant sang se kya nahi ho sakta? Satsang se kya nahi ho sakta? Leetron mein bikne wala til ka tel jab sang karta hai itr ka to tola mein bikne lagta hai. Bole ₹00 tola jo leetron mein bikta hai. Jo pair ke niche raj rahti hai jab vayu ka sang pa jati hai to akash mein udne lagti hai. Gagan chadhe raj pawan prasanga to satsang se kya nahi ho sakta ki yadi samne wala badlna nahi chahta bhagwan bhi nahi badal sakte. Bhagwan bhi nahi. Aap kahoge bhagwan kyon nahi badal sakte?

bhagwan to kartum kar anytha karat main. Duryodhan ko samjha rahe hain sandhi dutra banke ki bhai dekho aapne shart rakhi thi ki 12 varsh ka vanvas aur 13va varsh ka agyatvass pura kar loge to tumhara rajya ham wapas kar denge. Unhone imandari se tithi tarikh sahit pura vivran diya ki pura kar liya hai. Ab wapas karo. Unhone kaha nahi rajya nahi denge. To kaha aadha rajya de do. Bhagwan mana rahe hain. Kaha nahi aadha rajya mein kaha panch ganv de do. Panch ganv de do. Kaha surya agre keshwa sui ki nok par bhi nahi dunga.

dekha na bhagwan samjha rahe hain uski samjh mein aa raha hai ki akhirkar yuddh hua na mahabharat yuddh hua. Agar aap badlna nahi chahte to aapko koi nahi badal sakta. To Gurudev jo mantr de upasna de usmen dridh hona chahiye. Badi dridta lani chahiye. Prayah judte Gurudev se hain aur aaspas ke vatavran se wo apne ko Gurudev ki kripa se vanchit kar lete hain. Upasak ko chahiye sidhe Gurudev se jude. Bas bas itni baat samjh lo. Agar hamari pakar paye to aajeevan shraddha tumhari pusht rahegi. Ham keval Gurudev se jude hain na ki agal-bagal se.

Gurudev ki agyaa, Gurudev ke vachan, guru kabhi bhi aapki ashradha nahi hogi. Kabhi aap chukenge nahi. Aapko sirf Gurudev ke vachan, Gurudev ke mantr, Gurudev ki upasna tribhuvan mein koi parast nahi kar sakta. Aur aap jude kisse the? Kisse jude the? Aap vichar karo. Keval Gurudev se to aapko keval Gurudev ke vachno par, unki upasna par, unke mantr par, unki agyaa par dridh rahna hai. Koi nahi parast kar sakta. Jab tak guru bhakti nahi tab tak bhagwan ki prapti. Sant sang ka kya phal hua? Gurudev ka varan.

aur Gurudev ki kripa ka phal hua bhagwan ki prapti. Jab Gurudev ki seva hoti hai to indriyon ka daman karna chahiye. Dhyan dijiye Gurudev ki seva ka phal indriyon ka daman na ki indriyon ko chhut de dekar manmani aacharan karna. Ham dekhte hain itne satsangiyon mein sabka bhav bhagwat bhav hi hai. Tabhi to yahan baithe hue lekin nahi. Sabka lakshya bhagwat prapti nahi hai. Sab yahan jo bhi baithe hue hain aap bacho aur auron ko bachao paramarth marg ka sutra samjho jo dusht hota hai wo aap gaye aur aur hi ghaal jo kahun sataarg pratipal agar galti karoge to mere Swami sam dam aur dand bhed se sidhe raste laun nakli se banau asli yahi to mere man mein khade bhagat mere mukut mani sari ki sari kamia dur kar dete hain bhagwan guru sang ka matlab hai indriyon ka daman man ka nigrh man ko vishyon se hatana indriyon ko vishyon se hata ke bhagwan mein lagana sarwatmana naje bahir indriyaan yah guru sang ka phal hai guru ke samip rahne wale upasak mein rag dves ki vritti nahi rah jani chahiye sam buddhi ani chahiye sabke prati bhagwat bhav sampurn sansaar mein bhagwat buddhi honi chahiye jo guru ke samip rahta hai usmen yathalabh santusht rahne ki kala aa jati hai bhogon ki trishna ka nash ho jaata hai jo guru seva mein rahta hai uski chittritti saral vihaar nishchal keval bhagwan par bharosa hriday mein harsh, vishad, dinata, shok ye sab nasht ho jaate hain.

are guru seva ka matlab paramatma ki seva par 20 minute guru ki seva ki aur shesh samay prapanch kiya phir sevak sukh chahe man bikhari vyasni dhan shubh gati vyabhchari vyabhchari aadmi shubh gati chahe nashebaj jani nana prakaar ke kumargh gami pravrittiyon wala chahe ham dhani ho jae sevak sukh chahe to sevak kaisa hai bhikshuk sammaan chahe to sanyasi kaisa tyagi kaisa isliye bahut savdhaan pujypad odiya Baba ji maharaj tumhen koi dukhi dikhayee de to karuna karke uske dukh nivitti ka upay socho ved shastr mahatma guru aur bhagwan ke vachno par purn vishwas rakho sat aur asat ka yatharth vivek har samay taynaat rakho brahmlok paryant sampurn bhog maya mein hai.

aisa mankar kisi bhogon ki taraf akarshit mat ho. Kuch bhi vastu apne liye sangrah mat karo. Bhagwat prapti ke liye apne liye sangrah nahi samaj ke liye parivaar ke liye jo grihasth mein ho apne liye sangrah bhogon ka karna matlab apne andar mudhta bharna. Papacharan ka tyag purn rup se Gurudev ke kathna anusaar hi karmon mein pravriti hona. Maharaj ji ne kaha tha ise aise karna hai. Aise aise karna hai. Ye nahi karna hai. Bataya tha aise karna hai. Har samay Gurudev hamare dimaag mein baithe hain aur unke vachan ke anusaar hi ham kriyaen kar rahe hain.

bhari vipatti mein padne par bhi bhagwan ka smaran na chhutna. Bhari vipatti mein bhi tumhare prati jo tumhen gali de raha hai, ninda kar raha hai, apman kar raha hai, usko bhi bhagwan se manana ki iski buddhi shuddh ho jae, iska mangal ho, kabhi iska amangal na ho. Aur kabhi kisi se bhayabhit na hona, antahkaran mein koi vasna na hona, nirantar bhagwat smriti aur prasann rahna. Yah hai bhagwat prapti ke lakshan. Yah jismen aa jaenge wah swayam bhagwat prapt ho jaega. Phir ek baat sun lijiye. Jise dukhi dekhen uske prati karuna ka bhav aa jana.

ved shastr mahatma guru aur bhagwan inke vachno par purn vishwas hona. Sat asat ka theek nirnay samay par ho jana. Brahmlok paryant samasth bhogon mein anasakti mamtv buddhi se bhog buddhi se apne liye kuch sangrah na karna bhagwat sharanagati mein koi sanshay na rah jana papacharan ka purn tyag Gurudev ke kathna anusaar hi sab karmon mein jo dincharya ke karm hai wo Gurudev ke kathna anusaar unmein pravat hona. Bhari vipatti padne par bhi bhagwat vismaran na hona. Jo hamari ninda kare, jo hamara aparadh kare, jo hamare ko dukh de, usko bhi sukh dene ki bhavna karna.

bhay ka sarvatha abhav. Antahkaran mein koi ichchha vasna na hona. Nirantar smaran karte hue prasann rahna. Yah bhagwat prapti ke lakshan hai. Pujypad shiv Baba ji maharaj ke chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran bhagwan shri Krishna chandra ji ne Kaliya ka daman kiya. Kali hrid ko amrit jaise jal se yukt kar diya. Kaliya nag apne parivaar ke saath raman dweep chala gaya. Ab use koi bhay nahi kyonki bhagwan ke charan chinh uske mastak par virajman hai. Isliye Garud ji kuch nahi kar payenge. Ab jahan bhagwan ke charan chinh dekhe wahan Garud ji phir prhar nahi karte.

bhagwan ko bhi sangharsh par sangharsh hi karna para. To ham logon ko kyon sangharsh nahi karna padega? Abhi kali dah ko shuddh kiya. Dusre din phir pranambasur aa gaya aur bhagwan Balram ji ka aphrn karke liye ja raha tha. Bhagwan Balram ji ne pranambasur ka udhar kiya. Kal ye charcha suni. Parikshit agle din phir bhagwan ki wahi dincharya gay bacchhron sakhaon gopo ke saath Vrindavan mein hari hari ghas par gay ko chhod dena aur aapas mein krida karna gauen berok tok chadhti hui ghane jangal mein chali gayi garmi ka samay tha aur munja tavi sarkandon ke van mein pahunch gaye.

bahut se gop unko wahan se niklne ke liye gaye. Shri Krishna Balram aadi ne dekha ki gauen dikhayee nahi de rahi. Are wo to sarkandon ke van mein chali gayi. Gaun ke khur se pata lagate hue gaye. Bhagwan bade jor jor se gaon ka naam lekar ke pukarne lage. Gaue apne naam ki dhvani sunkar bhagwan pukar rahe hain. Hunkara jamane lagi. Yah ho hi raha tha ki aag lag gayi. Banson ki ragad se daval prakt ho jati hai. Aur munja tavi ye to bahut jaldi aag phailne wali. Samasth bachhde, gauen, gop, sakha aur badi jor ki andhi chalne lagi.

sab or se prachnd unchi unchi lapten jo sab jeevan ko bhasm karne ki samarth rakhti. Gwal gauen charon or davanl se ghir gaye. Yah ghatna Kaliya nag ke jab daman par ratri mein wahi ruke the to ek aisi ghatna ghati thi. Aisi phir ghatna ghat gayi. Mrityu se bhayabhit hokar ke jaise jeev bhagwan ki sharan mein aata hai. Aise samasth gwal balo ne bhagwan shri Krishna Balram ji ke sharnapanna hokar pukara. He Mahavir shri Krishna he pyare shri Krishna he param balshali Balram ham tumhare sharanagat hain. Tum donon hamen isse bachao.

shri Krishna jinke tum hi bhai bandhu ho. Jo purn rup se tumhen apna man liye hain unko kabhi koi kasht nahi hota. Aap sab dharmon ke gyata ho to aap sharanagat dharm ko bhi jante ho. Ham sab aapki sharan mein hain. Isliye he prabhu ekmatra aap hamare rakshak ho. Aap hamari raksha kijiye. Bhagwan shri Krishna ne bade jor se kaha daro mat daro mat. Ankhen band kar lo. Vacho nisham kripnam bandhu naam bhagwan hari nimlatma bhashta lochna nitya bhashat tum sab apne netr band kar lo ab aaspas badi unchi unchi lapten aankh ki munja tavi bahut unchi hoti hai mooj use ganv mein moonj kahte hain jise ise Shastri samjho shabdon mein kahte hain munja tavi use moonj kahte kahin kai sarkanda kahte hain use bade-bade hote hain.

safed unmein ubali si aati hai. Aur bhagwan shri Krishna ne sabse jab kaha aankh band kar lo aur akarshan kiya. Puri aag bhagwan ke mukh mein jakar shant ho gaye. Bhagwan aag ko pi gaye apne bhakton ke liye. Jis mukh se makhan paya doodh piya usi mukh mein aag ka pan kar liya. Ab gwal balo ne aankh kho kar dekha to sab bhandeer vat ke paas paya. Hamara shri Krishna jarur chamatkari hai kyonki is bhari sankat se ham kahan fas gaye the munja tavi mein kahan aa gaye yahan bhandarwat sabko sabko gay bachhde sakha sabko uthakar bhandeerwat mein aur aag ko pi liya parikshit sayank kal hone par Balram ji ke saath bhagwan shri Krishna ne gaue lautai aur bansi bajaate hue unke piche piche ghar aae gwal bal unki stuti kar rahe the.

braj mein gopiyon ka shri Krishna ke bina ek ek kshan 100 yug ke saman vyatit hota tha. Sham ke samay sab gopiyan raste mein aise khadi ho jati. Aur jab bhagwan gaye charate hue aa rahe hain to unke darshan karke sab parmanand mein magan ho jati. Gwal balo ne ghar pahunchkar apni maa bahan aadi striyon se aur apne bujurgo se bataya shri Krishna aur Balram ke adbhut karm ki as to ham sab mar hi jaate munja tavi mein aag lag gayi thi aur shri Krishna ne ham sabko bhandeerwat pahuncha diya aur apne mukh mein aag pi li.

bade-bade gop aur gopiyan sunkar nischay karne lage ki shri Krishna aur Balram koi bahut bade devta hain jo hamare brajvasyon ki raksha ke liye yahan padhare hain. Greeshma ritu ke baad varsha ka jab aagman hua ismen chhote-chhote jantuon ki badi vridhi ho jati hai. Varsha ritu mein bahut kit patanga bahut chhote-chhote jeev aur ismen jo greeshma mein sukhe hue vriksh hote hain unko jal milne se punah jeevan prapt hota hai. Surya aur chandrama par bar-bar mandal baithe lagte hain. Badal vayu chamak kadak karke bada shobh prakt karti hai akash mein.

neele neele ghane badal ate hain. Bijli kaudti hai, gadagdahat hoti hai aur varsha hoti hai. Jaise jeev brahm swaroop hai par maya ke gunon se dhak jaata hai. To apne ko sharir manne lagta hai. Aise hi surya aur chandrama ke upar badal dhak jane par dikhayee nahi dete. Jeev brahm swaroop hai. Bhagwan surya raja ki tarah prithvi rupi praja se aath mahine tak jal apni kirano se akarshit karte hain aur phir use bant dete hain. Jaise dayalu purush jab dekhte hain ki praja bahut pidit hai to daya parwash hokar ke wo apne jeevan pran tak nyochhavar kar dete hain.

waise bijli chamak kar ghanghor badal ate hain aur praniyon ke jeevan swaroop jal ki varsha karte rahte hain. Jeth asa ki garmi se prithvi sukh gayi thi. Ab varsha ke jal se seench kar wo hari bhari ho gayi. Jaise koi sakam bhav se tapasya karta hai to sharir durbal ho jaata hai aur jab tapasya ka phal milta hai tab phir sharir hasht pusht ho jaata hai. Varsha ke sayank kal mein badlon se ghana andhera chhaa jane par grah aur taron ka prakash to nahi dikta parantu jugnu chamakte hain. Jaise kalyug mein sache mahatmaon ka sanidhy bahut kam milta hai.

pakhandiyon ka bahut bolbala ho jaata hai. Kah rahe hain jaise varsha kalin mein sayank kal badlon ka ghana andhera chhaa jaata hai. Surya aur taron ka prakash to dikhayee nahi deta. Jugnu chamakne lagti hai. Keval jugnu ka prakash. Waise hi kalyug mein paap ki prabalta ho jane se sache santo ka milna kathin ho jaega. Pakhand maton ka prachaar hoga. Vaidik siddhant lupt ho jaenge. Pakhandiyon ka bolbala hoga. Jo mendhak pehle chupchap mitti mein ghuse hue so rahe the. Je hi barsa hui sab bahar nikal pare aur tar tar tar tar aise awaz karne lage.

jaise nitya niyam se nivatt hone par guru ke adeshanusar brahmachari log ved path karte hain. Chhoti-chhoti nadiyan jo jethshadh mein bilkul sukhne gayi thi mano sukhne ko aa gayi thi. Ab wo ghumad ghumad kar ghere se bahar bahne lagi. Jaise ajitendriy purush ke sharir aur dhan aur sampatti yah sab kumargh mein kharch ho jaate hain. Jo ajitendra purush hota hai, bhagwat vimurkh hota hai, uska paise ka bahut bada durpayog hota hai. Bahut bada durpayog. Wah apne ko saubhagyshali samjhte hain. Abhiman unko badhta hai.

maine bahut bada durpayog. Prithvi par kahin-ka hari hari ghas ki hariyali thi. Kahin kahin veer botiyon ki lalima kahin kahin barsati chhaton ke karan wah safed malum ho rahi thi ki jaise jethshan mein nadiyan sukh jati hai aur phir jab barsa savan bhado to sarita savan jal aise hi ye jo ajitendra bhagwat vimurkh purush inke paas dhan aata hai bahut galat jagah inka prayog ho galat jagah kharch hota hai sahi dhang se kharch kare to ek ek rupaye ki bahut badi so dhan dhanya pratham gati jaki sab khet anajon se bhare pure lahla rahe the unhen dekhkar kisan to mare anand ke phule na samate the par sab kuch praarabdh ke adhin hai.

yah baat na janne wale logon ke hriday mein badi irshya paida hoti thi. Aise aise eershyalu hote hain ki khadi fasal mein aise chupchap ek diya salai phenki aur bhag gaye. Ab kisi ko kya pata ab puri kheti uski jal gayi. Ab uske ghar mein kya hoga? Jaise sarson ki kheti thi na sarson ab badal aa gaye sham ke aur subah sarson katni hai. Pura parivaar udas baitha hai. He bhagwan varsha mat kar dena. Agar varsha hui sarson bhi jo paki khadi subah je hi surya uday hoga to pahli kiran mein khil jaegi aisi kali aur sab sarson bikhar jaegi.

pura fasal kisan bahut bahut tapasvi hota hai. Bahut mehanti ab to chal gaye traiktar nahi ek phaar ka hal tha. Subah 2:00 baje se lage 11:00 baje tak jot rahe tab jake kitna juta bahut kathin bahut kathin kisani bahut kathin aur bahut garib se bahut mehnat se bail ki tarah mehnat karte tab jake pet bharta. To yah log jo irshya karne wale hain unki fasal dekh ke jal jaate hain. Unke nasht karne ki sochte hain. Barsat mein jalchar jeev thalchar jeev ye badh jaate hain. Bhagwan ki seva karne se bhitar aur bahar donon tarah ki jaise sundarata aati hai.

aise prakriti mein sundarata varsha mein aa jati hai. Varsha ritu mein hawa ke jhonkon se samudra ek to yun hi uttal trangon se yukt ho raha tha. Ab nadiyan girne lagi to aur uttal trangon se yukt ho gaya. Jaise sadhak samjhna jaise sadhak man aur indriyon ko rok kar bhagwan mein lagana chahta hai. Par vishyon ka sampark ho jane par bhogiyon ka sampark ho jane par usmen ufan aa gayi. Ab wo nahi sambhal sakta. Isiliye likha hai kasta maya kastati maya to bole yo sangajti yo mahanubhav sevte yo nirmamo bhavti kisi se mamta nahi kisi ka sang nahi sang keval bhagwat premi mahatma ka sang asang hokar bhajan karo kal ek sant bhagwan aae the kai rupon mein to ek sant bhagwan prashn kiye ki naye sadhak ko ekant mein bhajan karna chahiye ya sadhu mandli mein rahna chahiye?

unka sadhu mandli mein pratham bhagat santan kar Sanga kyonki naveen paudha hai. Bakri kha gayi to bakri ka khaya hua paudha dobara ankurit nahi hota. Priyadas ji ne Bhaktmal mein likha hai ki bhakti ka ankuran jab ho raha ho to sadhu rupi baadh laga do sadhu sang rupi baundri jismen maya rupi bakri na pravesh karen bakri ka chara hua kinka nahi nikal wo aise danthal chba jati hai bhakti ka ankuran nahi hoga aisa prabhav maya ka isliye sadhu mandli mein rahe to unhone kaha ki hamare guru guru ji ke yahan jo diksha lete hain pehle kuch din to aise aur phir kahte hain ham ekant mein rahenge aur wo chhodkar guru ji ko chale jaate hain unki seva ka tyag kar dete unka kya hoga ham kabhi koi paripakva avastha nahi prapt hogi guru se vimurkh naam data guru se vimurkh hone wale ki paripakva avastha nahi pet to sab palan kar rahe hain paripakva adhyatma ki unnati guru kripa patr aur sadhna ka ahankaar na ho yah guru charan seva se hi hota hai to vasna yukt sadhak jab vishyon ke sampark mein aata hai to kamnao ki ubhar mein phir nasht ho jaata hai.

musladhar varsha ki chot khate rahne par bhi parvaton par koi asar nahi hota. Jaise paripakva sadhak hai to kam ki chot, krodh ki chot, ninda, stuti, apman ki chot koi fark nahi parta. Jaise parvat par varsha ho, musladhar to koi fark nahi parta. Aise sant ka hriday hota hai. Jo marg kabhi saaf nahi kiye jaate the unmein ghas dhak gayi. Unko pahchanana kathin ho gaya. Kalyug mein bhagwat marg dhak jaenge. Pahchanana kathin hoga. Pakhand ke marg khul jaenge. Shuddh bhagwat charcha shuddh bhagwat marg to bahut hi kathin ho gaya.

yadyapil bade lokopkari hai par bijliyan unmein sthir nahi rahti jaise bhrasht aacharan wali striyan kabhi apne pati ka anugman nahi karti jo bhrasht aacharan wali hai wo apne pati ke anannya nahi rheng unka swabhav ho gaya hai chanchal to phir wo tikna aur aaj ka jo samay chala hai girlfriend boyfriend ye pehle hi sab bhawnaen dushit ho jati hai apvitra bhawnaen to kaise grahasti kaise badhiya hogi inki? Akash mein meghon ki garjan tarjana badi jor se hoti hai aur indradhnush dikhayee deta hai. Jaise satogun, rajogun, tamogun is vishv ke bakhede mein nirgun brahm chhupa hua hai.

par ye teen dikhayee de. Satogun, rajogun, tamogun. Yah indradhnush ki bhanti dikhayee de raha hai yahi gun lekin inme jo vyapt hai wah paramatma anubhav mein nahi aa raha. Badlon ke suhagman se moron ka rom rom khil jaata hai aur wah kukar nritya karke anand manate hain. Theek waise hi jaise grihasth mein jo log hain unko jab bhagwat premi mahatma milte hain to unka hriday anand se nach uthta hai. Aaj aho bhagya bhagwat premi mahatma ka darshan hua. Aaj aho bhagya unke vachan sunne ko mile. Aaj ahobagy unki seva bani.

jo vriksh jeth asa mein sukh gaye the, wah apni jadon se jal pikar patte, phool, daliyon se khub sajdhaj gaye. Jaise koi sahi tapasya karne wala jab tapasvi apni tapasya ka phal pata hai tab wo prafulit ho jaata hai. Talabon ke tat kante kichad jal ke bahav ke karan prayah ashant rahte hain. Parantu saras ek kshan ke liye bhi unhen nahi chhota. Jaise ashudh hriday wale vishay purush sadaiv bhogon mein hi lage rahte hain. Wah bhogon ko chhorne ki baat soch hi nahi sakte. Varsha ritu mein indra ki prerna se badi varsha hoti hai.

isliye nadiyon ke bandh aur kheton ki me tut jati hai. Kalyug mein jaise pakhandiyon ke mithyavad se sahi bhagwat marg ye gupt ho jaenge. Sahi bhagwat marg gupt ho jae. Are bhai bhagwan ke naam jap karne se hi lok parlok banega. Ye chu chhaa se kuch nahi hone wala. Jisko chu chhaav mein aisa lagta ho ki yahan satyta hai to chu to chahe paas se kare chahe dur se kare. Uska prabhav have lage se hogi. Kya mantr ka to prabhav aisa hai ki yahan prithvi lok mein yagya ho rahi thi. Devraj indra ke pave mein tha takshak swaha bola to upar se chala aaya.

mantr mein to itni badi shakti hamara praarabdh kshay hua to ham theek ho jaenge. Hamara praarabdh kshay nahi hua to koi doctor theek kar sakta hai na koi chhuchha theek kar sakta hai. Praarabdh bada balvan hota hai. Praarabdh ko mitaya nahi ja sakta. Keval bhajan ke dwara hi usko saha ja sakta hai. Roka thoda ja sakta hai. Adhik ko kam mein kiya ja sakta hai. Mitaya purn mitana bada kathin hai praarabdh ko aur jo mitane ki samarth rakhte hain unko gyan ho jaata hai. Phir wo mitate nahi. Isliye kahte hain kalyug mein ye pakhandiyon ka bolbala ho jaega.

bada vichitra khel hai. Bada vichitra khel. Ek baragdiya Baba the. Unke pair mein kachua kaat khaya. Wahan kida par gaye to pura pair sad raha tha aur brahm bodh sampann mahapurush the. Aap kaise samjhte ho? Praarabdh bhog bade bade ko bhogna parta hai. Isliye kah rahe ki kalyug mein pakhandiyon ka mat chalega. Chalega daudega. Pakka aur raat din mala chalao bhajan karo satya marg mein chalo bhagwan ke marg mein chalo jo avinashi hai trikal mein kabhi dhokha nahi ho sakta ismen vishwas nahi hoga ismen vishwas sabko aisa lagta hai ki ham kuch le de ke Baba ji ko aur ham bhoge bhog aur Baba ji karen yog aur ham kuch phal phool rupya de de aur khub chakacha rahe nahi bhai aisa vidhan nahi hai avashya mein bhoktuvi kritam karm Subha shubham kon kan ke sukh dukh kar data aur nij krit karm bhog sun bhrata apne karm ko bhogna padega isliye bhagwan ka naam jap bhagwan ki mantr jap bhagwan ki seva bhagwan ke bhakton ki aradhna yah baat to hamari samjh mein aati lekin yah samjh mein nahi aati ki koi tumhen chu kar dega tum siddh ho jaoge aisa nahi bahut dekho karm kitna prabal hai.

hath kar liya Atmadev ne bhagwat mein prarambh mein ki ya to putr do nahi to ham tumhare samne mar jaenge. To sant bhagwan ne ek phal diya. Ab unke bhagya ko padh ke bata rahe the ki sat janm tak tumhare santan nahi hai. To kya hua? Phal le gaye to unki patni dhundhli ne phal nahi khaya. Gay ko khwa diya. Dekha na? Praarabdh kaisa buddhi badal di ki itna siddh phal wo gay khwa diya apne aur unke nahi hua bahan ka lekar ke dhundhkari jaise vayu ki prerna se ghane badal praniyon ke liye amrit mein jal ki varsha karte hain.

aise kabhi-kabhi bade sant jan dhani logon ko adesh dekar ke garibon ki seva karate hain. Dhani logon se dhan lekar garibon ki seva mein lagana ya dhani logon ko adesh dekar garibon ki seva mein lagana. Aise aise log hain jinko dawai ke paise ki vyvastha nahi. Aise vridh hain jinki seva koi karne wala nahi. Aisi matayen vridh hain jinko bahut kasht mil raha hai. Dhan ho to yah karna chahiye. [gala saaf karne ki aawaz] 10 panch aise sevak rakh le aur vriddhon logon ko rakhkar unki seva karvawe. Aushadhi karvawe aise yah sab dhan ke uttam hai.

so dhan dhanya pratham gati jaki. Vrindavan mein aisi shobha se yukt vriksh lataon ke beech mein bhagwan shri Krishna Balram gaye charane ate hain. Khub hari hari ghas gaue chate. Bade-bade than sab doodh se bhare hue aur bhagwan shri Krishna jab unka naam lekar pukarte hain tab prem parv hokar wo daudi hui bhagwan ke paas aati hain to ati sheeghrata ke karan unke dugdh se Vrindavan ki bhumi sichti jati hai. Vanwasi bheel aur bheeliniyan bhi badi aandit hai. Vrikshon ki panktiyon se madhudhara bah rahi hai. Parvaton se jharne jharjhar badi sureeli awaz bahut sundar guphaen to jab varsha hoti hai to bhagwan guphaon mein chhip jaate hain kisi khor mein chhip jaate hain aur kandmool pakar kandmool phal pakar sakhaon ke saath kabhi-kabhi jal varsha mein khelte hain.

varsha ho rahi aur bhagwan Krishna Balram sakha sab jal mein bheete hue khelte hain. Kabhi kisi chattan par khule baith jaate hain. Kabhi gwal balo ke saath milkar ghar se laya hua dahi, bhat, daal, shaak aadi khate hain. Varsha ritu mein bail, bachhde, thanon ke bhareebhar se thaki hui gauen yah sab bahut jaldi se ghas chal leti. Hari hari ghas par baithkar aankh mundkar jugali karti rahti. Varsha ritu ki sundarata apaar. Wo bhi Vrindavan ke sanyog mein to aur sundar. Ismen sandeh nahi ki yah ritu, yah gay, yah bail, yah bachhde sab ke sab bhagwan ki leela ke divya vilas hain.

bhagwan dekh kar bahut prasann hote hain. Bar-bar aandit hokar kabhi nritya karte, kabhi gayan karte, kabhi prashansha karte hain. Is prakaar Shyam aur Balram bade anand se braj mein nivas kar rahe hain. Isi samay varsha ritu biti aur shrad ritu aa gayi. Ab akash mein badal nahi rahe. Jal nirmal ho gaya. Vayu badi dheemi gati se chalne lagi. Shrad ritu mein kamlo ki utpatti jalashyon ke jal ne apni swachchhata prakt kar di. Jaise koi sadhak bhrasht ho jae to phir kada niyam lekar yog ka sevan karta hai to nirmal ho jaata hai.

aise shrad ritu mein varsha se malin hue sarovar nirmal ho jaate hain. Bhrasht ho jae to iska matlab nahi ki ham girte hi chale jae. Nahi phir kada niyam le aur phir age badhe. Shrad ritu ne akash ke badal, varsha kal ke bade hue jeev, prithvi ki kichad aur jal ke matamlepan ko nasht kar diya. Jaise bhagwan ki bhakti se chahe brahmachari ho, chahe grihasth ho, chahe vanprasth ho, chahe sanyasi ho, sab prakaar ke ashubhon ka, papon ka, vikaro ka nash kar deta hai. Bhagwan ki bhakti se badal apne sarvasv jal ka dan karke ujjwal kanti se sushobhit hote hain.

jaise jiske paas dhan adhik hai use chahiye ki parlok ke liye apni kamnao ko apne bhogon ko thoda rok karke dusron ke hit mein apne dhan ko laga de. Dusron ke mangalmay karyo mein laga de. Parvaton se kahin-kahin jharne jharte hain aur kahin kahin apne kalyankari jal ko nahi bate. Aise hi gyani purush jab dekhta hai adhikari hai to apne gyan ka dan kar deta hai aur kahin-kahin dekhta hai ki anadhikari hai to maun ho jaata hai. Unse baat nahi karte. Chhote-chhote gaddhon mein bhare hue jal ke jalchar jeev ye nahi jante ki char din ke baad ye gadha sukh jaega.

aur phir hamen marna padega. Aise hi yah kutumb bharan poshan mein bhagwan se vimurkh log yah nahi jante ki char din baad ayu ksheen ho jaegi ham mar jaenge aur jo hamen labh manushya yoni mein milna chahiye wo ham nahi le paye. Kya bhagwan ka bhajan shrad kalin surya ki prakhar kirano se badi pida hone lagi. Jaise jis sadhak ki indriyan bas mein nahi hoti use tarhatrah ke tap aur paap mein fansa deti hai indriyan. Apni indriyon ko sanyam mein rakhne wala sadhak sadhu hi parmanand ko prapt hota hai. Prithvi dhire-dhire apna kichad chhorne lagi.

ghas pat dhire-dhire apni kachai chhorne lage. Jaise vivek sampann sadhak dhire-dhire anatma padartho ka tyag kar apni atma mein sthit ho jaata hai. Shrad ritu mein samudra ka jal sthir gambhir shant ho gaya. Jaise atmaram purush ka man nisankalpa aur shant ho jaata hai. Wo phir kisi prapanch ya bhog ya karmkand ke jhamele mein nahi parta. Kisan kheton ki me majbut karke jal ka bahna rokne lage. Jaise sadhak apni indriyon ko vishyon ka sanyog na hone dena. Pratyahar karke apne gyan ki raksha karta hai.

jitna indriyon se bhog bhogoge agyaan badhega aur jitna bhogon ka tyag karoge utna gyan badhega. Shrad ritu mein din ke samay badi kadi dhoop hoti hai. Logon ko bahut kasht hota hai. Parantu ratri ke samay chandrama prakashit hokar santap ko waise hi har leta hai. Jaise daya abhimani ko sadhna mein dukh hota hai. Aur jab bhagwat prapti hoti hai to parmanand mein nimgn ho jaata hai. Isliye sansaar ke bhogon mein manoranjan na karke bhagwan ki taraf badho. Ye thoda dukh hai. Iske baad maha sukh hai. Aur sansaar ki taraf dukh hi dukh hai.

dukhalai masam. Foolon se lade hue vriksh aur lataon mein hokar badi hui sundar vayu bahti hai. Na adhik thandi na adhik garmi. Us vayu ke sparsh se sabki jalan to mit jati hai. Parantu gopiyon ki jalan aur bhi badh jati hai. Kyonki unka chitt shri Krishna ne cura liya hai. Shrad ritu mein badi sundar shobha. Usi shobha mein shri Krishna prem ki unmattata. Parikshit jaise raja ke sugman se daku choron ke siva sab log nirbhay ho jaate hain. Waise suryoday ke karan kumudni ke atirikt aur sabhi prakaar ke kamal khil gaye.

bade-bade shahron ganv mein nava prashan indra sambandhi utsav hone lage. Kheton mein anaj pak gaye. Bhagwan shri Krishna Balram ji ki upsthi se Vrindavan divya shobha se yukt hai. Sadhna karke siddh hue purush jaise samay ane par apne bhagwat shariron ko prapt karke maha anand mein sthit hote hain. Waise hi sanyasi raja snatak vyapari jo varsha ke karan ek sthan par ruke hue the. Wahan se chalkar apne apne abheeshta karya ki or bada sundar Vrindavan hai aur lal ji ki badi sundar bansi baj rahi hai. Us bansi ko sunkar ke jo gopiyon ke hriday mein bhav aa raha hai wo varnan karte hain.

ise venu geet kahte hain. Iski charcha age karenge. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi