॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

in dosho ke karan bhajan mein pragti nahi hoti / indra ke ghamanda ka nash evam Govardhan leela // 20/10/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam rad itam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mayam param shital ma Shyam param sacchidanand ghan Premanand swaroop nav nivrit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri shyama Shyam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta shri yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi pariti pranam koti naman namaskaar ladli ladli ladli Radha Radha Radha Radha hamara jab tak ahankaar kar nahi mitta tab tak wah sadhna nahi banti jisse bhagwat prapti hoti hai.

jisse hriday dravit hokar ar bhav se prabhu ko pukarta hai. Pratikshan bahar se shant andar se rudan karta rahta hai. Yah sthiti ahmta aur mamta ke galit ho jane se hoti hai. Jab kisi bhi karya mein sankalp nahi bana aur ahankaar nahi juda. Jismen ahankaar jud jaata hai wah bhagwat prapti ke yogya nahi rahta. Shubh karm ban jaata hai. Aur jis karm mein sankalp nahi banta aur ahankaar nahi banta. Wah bhagwat prapti ke yogya ho jaata hai aur mamta kisi vastu vyakti sthan par nahi ekmatra maharani ji ke gore charnarvind mein lal ji ke Shyam charnarvind mein inke naam mein inke rup mein inki leela mein ho gayi bhagwat prapti do hi hai jinko smetna hai mamta kahin hone na pave aur ahankaar kisi kriya mein na ho.

wahi kriya divya sadhna ban jati hai jab ahankaar rahit hoti hai. Shripad Prabuddhanand ji yahi kah rahe hain. Yatan mithya durgrah grahme tam draa satyajya mameti grasum ye mamta gras leti hai. Ahankaar dhak deta hai gyan ko. Isliye sansaar bhorasi muteem gatva nandam Vrindavan shripad kah rahe he mitra yah ahmta mamta hi jagat mein bandhne wali hai. Ek ahmta mamta yah jag mein hai dukhdai yah jab shri ji ki or jude to hot param sukhdai mat tat sutdar dar deh mein mati arajh mati manda hit kishor ko hai chakor tu lakh Vrindavan chanda Vrindavan chand ka sakshatkar karne ke liye jo badha hai wah ahankaar aur mamta hai sabki mamta tag batori mam pad man bandh var dori aur ahankaar bilkul nahi mere prabhu ke dwara hi mere hriday ka sanchan ho raha hai ab trignatmika maya ke dwara nahi isliye kisi bhi shubh se shubh karya ka sankalp na banne pave ashubh ki to baat jane do shubh ka bhi sankalp na bane bina sankalp ke cheshta ho aur bina asakti ke priti meny vihaar ho wo upasak is sansaar rupi mahan samudra ko par kar jaata hai.

sansaar bhoras mur teeram gatva wahi kinare lag pata hai. Yah hamta mamta shri ji ki or lage to hot param sukhdai to kaise lage to bole rasik mandli mein aa tan ko ni ke dhang lagao dampati yash gao harsao hit sori jhir jao devan ko durlabh nar deh tene sahaj hi pai man bhai nidhi pai phir kyon jaan bajh basrai rasik mandli mein yatan koni ke dhang lagao rasik mandli mein is sharir ko seva mein laga do to tumhara ahankaar nasht ho jaega aur unki vachan madhuri mein chitt jod do to mamta nasht ho jaegi kyonki unke vachno mein priyal ki maha mahimamay wo leela wo naam mahima jisse sansaar ka rag nasht hota hai bina ras ka mandli ke yah hamta mamta sametne wali nahi re man rasikan sang bin ranch na upje prem ranch matra prem nahi upaj sakta yadi bhagwat premi mahatmaon ka sang na ho to shripad kah rahe hain aa jao Vrindavan rasikon ka sang karo aur is ahmta mamta ko mita do ekmatra priyal ke charnon ki smriti rah jae to tum abhi bhagwat prapt ho gaye.

abhi achah sthiti bhagwat prapt hai. Ar bhav bhagwat prapt hai. Dainyta bhagwat prapt hai. Yah hamare andar bilkul nahi hai. Chah pe chah hai. Ahankaar hai. Aur ar bhav kaise aata hai? Jab sab jagah se har jaata hai, apne ko asmarth dekhta hai tab ar bhav se prabhu ko pukarta hai. Usi ar bhav ki pukar mein hi bhagwan ka pradurbhav hota hai. Shripad kah rahe hain yah janm keval bhagwat prapti ke liye hai. Isliye yoshit pind kim napas andh pratyaksham yat prakshare chhidr ke bhyaa ghaat kantatwa chamatkar matra vrindane upekshasi hadhik dhikkar hai usko jo apne sharir mein aham karke purush ka paray stri ki taraf dosh drishti se dekhta hai.

gyan drishti se dekho kya hai? Bhajan nahi karoge to ye gyan drishti tikegi nahi. Bhajan tikata hai. Gyan drishti se shripad kah rahe dekho kya hai yoshit pinde kim na pashyat andham are andhe tujhe dikhayee nahi de raha ki jaise teri chamdi sharir mein lagi hui andar mans hai chhidr hai bas aisa hi hai kyon bawra ban raha hai apne jeevan ko nasht kar raha hai par striyon ki taraf kam bhav se dekhne se apni ayu nasht hoti hai sukrit nasht hote hain tej nasht nasht hota hai. Buddhi bhrasht hoti hai. Kitni hani hi hani hai.

are andhe tu kya nahi dekh raha hai ki keval upar se chamdi lagi hui hai. Andar sab ganda hi ganda hai. Bhrata he bhai kantak keval chamdi ka chamatkar hai. Jaise resham ke badhiya thaile mein andar mal bhar diya jae aur yah aap dekh lo phir kya us resham ke thaile ko aalingan karoge kya aapko vistha hi dikhayee dega aise hi gyan netr prakt ho jae to aapko ghrna ho jaegi sansaar ke bhogon se brahmaadik ke bhog sab vish sam lagat tah narayan braj chand ki lagan lagi hai jah kanak marakta divya dham kishore udit mukh nasht chaksu chakore viharti vrinda kanne chit chore mam tadti vich yam nanyatra ghore he bhai Vrindavan mein ek kanak ke saman jinke shri ang ki kant hai sat Kumbh tan gori tapae hue swarn ki kant aur markat aabh ek hai markat mani indra neel man Shyam manohar sat Kumbh tanu gori ye divya dhaman isi Vrindavan divya dham mein kishore mithit udit ye yahan prakashit ho rahe hain.

bhai ek bar inko dekhne ki than lo ki Vrindavan mein virajman nitya bihari raas bihari shri Priya pritam ek bar main inka sakshatkar karunga aisa hriday mein lagakar lagan aur Vrindavan ki beethiyon mein khojo unko Radha Radha Radha pukarte hue ye anyatra ghor sansaar mein bhogon ki khoj mein bahut janm laga diye ek janm Priya pritam ki prapti ke liye laga do aa nata mapatra kim hant moha kshamayti hathad brahmata ta aha yadi aap nahi chahte to koi mahapurush aapko kaise bacha sakta hai sansaar se dhyan dijiye aha na mahta myatra kim hant moha yadi tum moh se yukt hokar sant mahapurushon par bhav nahi kar pate shraddha vishwas purvak unki baat nahi mante to phir koi bhi mahapurush tumhara kalyan karne mein samarth nahi hai.

moh ka nash karo. Kisi bhi rasik mahapurush ke charnon ka aashray le lo. Na kalti radhanpur dhan mugdho hari Ravi rah sanvne chet yadi tum kisi rasik mahapurush ka aashray le loge aur unke dwara batae hue naam mantr ko japoge to tumhare kano mein wo napur dhvani sunai degi Priya ki jo shri hari ke chitt ko cura leti hai napur dhvani wo priyaju ki napur dhvani jinki napur dhwaniyon se anek mantro ka pradurbhav hua hai. Aisi napur dhvani hai jo swayam hari sunkar mohit ho jaate hain. Phir kya tumhara man buddhi chitit ahankaar ye antahkaran chaturshty prem mein nahi doob jaega doob jaega.

aur bina rasik mahapurush ki kripa ke yah marg hi nahi milta hai. To napur dhvani aur bansi dhvani sunne ki to baat jane do. Bhavna hi nahi ban paegi. Jab bade-bade yogendron munidron ki bhavna nahi ban pati to sadharan jeev ki kya par rasik mahapurush mil gaye to ab kuch durlabh baat nahi hai. Pujypad shiv Baba ji maharaj brahm bodh sampann mahapurush jo hamare jeevan ke adarsh mahapurush hai. Ganga kinare sab kuch chhut gaya par vani Baba ki Baba ki chavi Baba ke vachan hi pura jeevan rahe jo vairagya hua wo Baba ke vachno mein hi sthiti rahi jahan ekant mein swadhyay karte ek aag lag jati kya Baba pahunche hue mahapurush ko vishay bhrasht kar sakte hain haan kar sakte hain.

vishay ki mahan shakti gyani bhakt aur vidvan inko bhi parast kar sakti hai. Bhakt narad ji byah ke liye tayyar ho gaye. Aur param gyani brahma ji bhi hain, Brihaspati ji bhi hain. Aur inke charit aapne piche sune hain. Vishay ki mahan shakti gyani bhakt aur vidvan ko bhi shobh kara sakti hai. Atah jo nirantar bhajan karta hai usko koi parast nahi kar sakta. Bhajan mein antar parta hai, vishay chintan hota hai to uske bhrasht hone mein der nahi lagegi. Ka Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi jis kshan bhagwan ka sumiran aur seva nahi ho rahi usi samay attack ho jaega maya ka aur aap parast ho jaenge aur agar naam paharu divas nish dhyan tumhare kapaat bhagwat dhyan mein sthit hai to mano darwaza band hai maya ka pravesh nahi naam nirantar chal raha to naam mahabali pahredar hai kam krodh lobh hriday mein pravesh nahi karenge.

karenge to nasht ho jaenge. Tumhen nasht nahi kar payenge. Atah upasak ko vishay chintan nahi hone dena chahiye. Jo indriyon ke sukh ka chintan karta hai usko bhrasht hona hi padega. Isliye tumhen siddhant ki baat batata hoon ki tum vishay tyag ke liye sarvda veer bane raho. Vishyon ke chintan ka tyag karke savdhani purvak bhagwat chintan karo. Agar bhagwat chintan chhuta to chahe jitna bada koi gyani ho, chahe jitna bada bhagat ho, bairagi ho, maya gira degi. Sadhak ke liye vishay purushan ka sang patan ka karan hai.

isliye dhani mani vishay bogi purushan ka sang darshan matra se vritti bigad jati hai. Agar bhagwat bhav hai to bach jaoge. Agar bhagwat bhav nahi to darshan matra se buddhi bigad jati hai. Jab ishwar mein tadakar vritti hoti hai tab girne ka chans nahi hota. Aur jab atma swaroop mein brahmaakar vritt hoti hai tab girne ka chans nahi swatma ramm vishay mrig tashna bhramti gyani aur atma bodh mein antar hai bhakt aur premi mein antar hai bhakt hai abhi jab agadh prem mein dubta hai to maha anand uske hriday mein rahta hai to kshadra anand ki avshyakta nahi hoti bhagwan shri Krishna chandra ji ne gita mein kaha jaise bade jalashay ke mil jane par shadra gaddhon ki yad nahi aati.

aise parmatmand prapt hone par phir bhogon ki yad nahi aati. Phir bhog use gira nahi sakte. Paramatma mein chit aasakt hue bina koi sadhak siddha avastha ko prapt nahi ho sakta. Asakti kahte hain bhari bazar mein bhi wah apna mantr jap raha hai. Khub bhid kola hal mein bhi uska naam nahi ruk raha kyonki asakti naam se hai. Bina paramatma mein asakti hue koi siddh purush nahi ho sakta. Sadhak ko sharir svasth rakhna chahiye aur iske liye vyayam karna chahiye. Vyayam, pranayam aur sukshm ahar ye bahut avashyak hai bhojan mein.

sadhak ko sharir svasth svasth ka matlab tagda nahi. Tagda tabhi hota hai jab yah indriyon se jhagda nahi karte ho. Jhagda karo indriyon se. Yah jo mange wo mat do. Sharir svasth ka matlab hota hai yatha yogya angon mein mans hona. Charbi na badhna. Jab chaho waise aasnan mein baith jao use svasth sharir kahte hain. Pehle sharir dekho Baba kah rahe sadhak ko sharir svasth khanpan sukshm khanpan ka sanyam sadhak ko rakhna chahiye. Khanpan sukh chahat apne tinko prem chhuvat nahi sapne sapne mein bhi nahi rona aayega Radha bhajan hoga alphar mein alp bhojan satvic bhojan bimar wala bhojan sadhak ke liye bhajan kabhi apna prakashit na karen gupt rup se rakhen mahapurushon ke vachan dhyan se suno apne bhajan ke anubhav apne bhajan ki sankhya apne bhajan ki prakriya kisi ko batayen nahi jab tak paripakva avastha na aa jae apne ko bhajnanandi sabit na kare sabke beech mein waise gappa marenege ekant mein jahan char log aa gaye to mala to usmen dikhayee ki bade Bhajnandi hai nahi dum nahi hona chahiye pakhand nahi hona chahiye ham bhajan kar rahe hain to kar rahe tum aao ya jao dikhava nahi hona chahiye.

koi jane ki ham bhajnanandi aisi koi prakriya nahi honi chahiye. Agar ham bhajan mein baithe to bhajan mein baithe sadhan mein to baithe to shant baithe. Hamen koi banavti asan nahi karna us samay jaise hamare paas koi ave to apne ko Bhajnandi nahi dikhana ki wo aise to Padmasan mein kabhi baithe nahi. Lekin panch minute ki baat hai to Padmasan laga ke mar. To kisko dikha rahe ho? Kisko tum dhoke mein dal rahe ho. Khud dhoke mein par rahe ho. Bhajan karne wale ko kabhi aisa nahi lagta ki main bahut bhajan karta hoon. Usko bhajan ki bhookh ho jati hai.

hamne bade-bade mahapurushon ko dekha hai. Aise jo hi jao so pranam karke aap vaishnav jan mujhe aisi ashish vritti do ki jisse ham khub bhajan karen. Bhajan nahi banta. Ek din Gurudev bhagwan kah rahe the kah kya batayen? Kabhi chhak ke bhajan karne ko nahi mila. Raat ke 1:00 baje se baithe hamne dekha maharaj ji ko asan mein baithe wahi paas rahe 5:00 baje 6:00 baje 7:00 baje ye teen ghante aise the jinme let gaye bas kamdal uthaya yamuna ji 8 9 11 iske beech mein ate the kabhi path ka man hua to jaldi chale aae path karte hue nahi to phir 11:00 baje ate the bhajan bhajan aur wo kah rahe hain ki chhak ke bhajan karne ko yahan do char mala ho gaye.

bole bahut ho gaye. Bahut bhanandi bhajan karne wale ko kabhi bhagwan se kisi sansarik vishay ki yachna nahi karni chahiye. Nahi to bhagwat prapti mein badha par jaegi. Isiliye bade-bade rog, bade-badi samasyaen sant jan sahte hain. Kabhi bhagwan se prarthna nahi karte. Aur prarthna ka bahut bada prabhav parta hai. Sankalp kar le to phir skamta yadi ham par upkar ke liye karte hain to kabhi hamari hani nahi kar sakti. Lekin apne sukh ke liye kabhi apne bhajan ka prayog na karen. Bahut aisi leela dekhi hai jo sochte hi tatkaal purn ho jae.

Shrimad chaturasi ji Radha naam aisi amog vastue par jeev inka prayog karna nahi janta in par shraddha aur vishwas nahi ho pata waise bhagwan se kabhi apne liye kuch na mange to bole apne liye na mange to apni vyvastha wo sarvagya jinka bhajan karte apne aap vyvastha karenge apne aap karenge aap naam japak hain aap acharya granthon ka path karte hain. Aap jo sochenge wahi ho jaega. Pakka par aap mein utna jap hona chahiye. Utna ekagrata honi chahiye. Utna bhav hona chahiye. Jab bhagwan ko adhin kar sakte ho.

naam vani jahan Shyam shyama tahan to kaun se aise karya nahi ho sakte. Par apne liye prayog nahi kiya jaata. Apne liye bhajan mein bahut badi samarth hai. Vishv ke papon ka nash vishv ka mangal bhajan mein aap apne jeevan ko Radha naam mein lagao. Aap pavitra aacharan karo. Aap gande aacharan mat karo. Aap sad granthon ka swadhyay karo. Dekho kya nahi ho jaega. Kya nahi ho jaega. Bachpan se dekh raha hoon. Tabhi kah raha hoon agar anubhav na hota to mike se kah deta ki zindagi barbad mat karo. Bach agar aise ho gaya ki kadam tumhara nahi badhega to kadam nahi badhega.

bhajan mein apaar samarth hai. Aap log mare ghum rahe ho. Ashirwad mil kahan kiska ashirwad? Aacharan sahi nahi karoge, bhajan nahi karoge to kisi ka ashirwad nahi. Aur bhajan karoge to ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa kare sab koi sab ashirwad aapke paas aa jaenge jaise samudra mein koi yachna ki vritti nahi hai lekin apne aap nadiyan umangti hui samudra ki taraf ja rahi aise hi dharmasheel tapasvi bhajnanandi pavitra aacharan wale ke paas sukh sampatti apne paas aa jati apne aap usko gher leti hai. Sadhak ko sansari purushan ke beech mein baithkar baten karna sansarik unke diye hue bhogon ko bhogna ye sab dikhavti pana paida kar deta hai.

sadhak mein dikhavti pana aa jaata hai. Bahut bade siddh mahapurush ke vachan hai. Isliye sansari purushan ke beech mein baithkar sansarik baten mat karo. Unke dwara diye hue bhogon ko mat bhogo nahi to pakhand aa jaega. Dikhavti pana dum bha jaega. Sadhak wahi hai jo itni baton ko chhod deta hai. Dhyan se suno. Paap karm chhal kapt man avshyakta se adhik vastue dhan stri ki asakti par ninda par charcha ahankaar pakhand agar in dosho ko tyag de to bahut jaldi bhagwat anand aa jae. Bahut jor ki maya hai. Ek ghusa dosh to 10 ko bula lega.

pardosh darshan sadhak ko bhagwat prapti ke marg se hata deta hai. Pardosh darshan dusre mein dosh dekhne wala bhagwat marg ka anuyai nahi ho sakta. Sadhak ko sansarik jhagdon se to dur rahna hi chahiye. Sampradayik jhagdon se bhi dur rahna chahiye. Ham bhagwat prapti ke liye nikle hain. Hamara sampraday tumhara sampraday ye chhota wo bada ye jhagda wo jhagda lago tum sab Radha Radha Radha raat din apne bhajan mein lagna. Sampraday ka matlab hota hai marg. Hamen jo guru ne marg diya us marg mein chal.

jhanjhat nahi, ladai jhagda nahi, bada chhota nahi, ninda stuti nahi. Nirantar naam jap apne aradhya dev ka pujan aur aradhya dev ke dhyan mein samay bitana chahiye. Sampradayik jhagdon jhanjhton mein nahi padna chahiye. Mahapurushon ke vachan jo hai na hriday mein dridh ho jae to koi fansh nahi sakta hai. Sadhak ko chahiye nirantar naam jap karne ka abhyaas. Chahe ekant ho chahe samaj ho hamara naam jap chale. Agar nind ane lage to khada ho jae. Alasya satane lage to unche shabdon se naam kirtan karne lage. Jo bhagwat samarpit hota hai dhyan dijiye jo bhagwat samarpit hota hai uske sab karm bhajan mane jaate hain.

jo bhagwat samarpit hota hai uske har ek karm bhajan mana jaata hai. Jo samasth dukho ko shanti purvak sahte hue bhagwat bhajan karta hai. Bahut jaldi siddh ho jaata hai. Kroadhi kshamasheel nahi hai. Dusron se bair karta hai. Dusron ki burai karta hai. Wo kabhi sadhu ho sakta hai. Kabhi bhajan kar sakta hai. Asamabhav adwashta sarwabhta naam mait karun nirmamo nirhankar sam dukha sukha jo kisi ke dosh darshan nahi karta. Kisi par dosh bhav nahi rakhta. Samdarshi vritti hai. Sabse mitrata ka bhav karuna ka bhav. Par mitrata karta hai mamta nahi.

karuna karta hai par ahankaar nahi. Adwashta sarwabhta mait karun nirmamo nirhankar mamta rahit ahankaar rahit sukh dukh mein saman bhav aur kshamvan hi bhagwan kah rahe wo mujhe bahut priy hai. Bhakt wahi hai jo apne ko sabse chhota manta hai. Wahi nikal jaega. Cheking nahi hogi. Bade vahnon ki chungi lagti hai. Cheking hoti hai. Chhote chhota banoge maya check nahi karegi. Jo apne ko sabse chhota samjhta hai. Kisi bhi baat ka abhiman nahi karta. Kisi ke dosh nahi dekhta. Kisi se ghrna nahi karta. Vani ko sanyam mein rakh ke maun rahta hai ya kam bolta hai.

jab bolo tab shastr ki baat satya bolo, mitha bolo, dusre ke hitkar bolo. Jo sabki seva karta hai. Yadi virakta sadhak hai to kisi ke vivah utsav aadi mein kabhi sammilit na ho. Vivah aadi ke padaarth kabhi na khae. Jo vivah mein padaarth bante hain unko kabhi na khae. Shradh ka bhojan na paye. Raj ann na paye. Grah nakshatron ke dan ka kabhi na paye. Nahi bhajan mein badha par jaegi. Agar yah sadhak mein hai sadgun to vishwas karo. Yah sadgun use bhagwat prapti kara denge. Dhan aur stri isse jo bach gaya uske muhn mein Yamraj kabhi kalikh nahi potenge.

bahut bada akarshan hai rupaye ka aur ye maya ka. Avinashi bhagwan ki prapti mein maya ne teen khaiya khod rakhi hai. Kanchan, kamini, kirti jo inko par kar gaya, anashakta ho gaya wahi bhagwan ke paas pahunch gaya. Nahi khaiyon mein gir jaata hai. Dinata bhagwat chintan aur sadguru adhinta yah sadhak ko siddh bana deti hai. Dinata, bhagwat chintan aur sadguru ki adhinta. Guru ki adhinta. Bhajan mein panch vighna hai jo bhajan hote hue bhi bhagwanand nahi hone denge. Lok mein man pratishtha ko sweekar kar lena. Meri desh deshantar mein khyati ho jae.

aisa sankalp bana lena hamara bank balance bahut jor ka ho jae dhan labh ho jae koi sundar stri dekhkar ke bhog vasna uday ho gayi ya jo ham soche jo chahe wo ho jae ye panch baten bhajan ke phal ko uday nahi hone deti bhagwat anand lok mein man pratishtha nishtha ki chah desh deshantar mein khyati hone ka sankalp aur hamara adhik se adhik dhan sangrah bank balance stri rup mein asakti aur sankalp siddhi jo chaho wo ho jae. Isse bhagwat prapti nahi hoti. Yah sadhan bhagwat prapti kara dete hain. Pahla sahan karna hai.

sab kuch sahan karna hai. Gali sahan karna hai. Ninda sahan karna hai. Bhookh pyas sahan karna hai. Sardi garmi sahan karna hai. Man apman aur bhajan ke sukh ko bhi sahan karna hai. Usmen phulna nahi hai. Dusra avyartha kalatwa ek kshan bhi samay bhajan ke bina na jae. Kab kal vritha nahi jae. Ek second bhi bhajan se alag na jae. Tisra padaarth paas hote hue bhi bhogne ki ichchha na hona. Bhog samgri paas hai par bhogne ki ichchha nahi. Pahla hai sahnseel bahut yah tath sadhu ka abhushan hai gahna hai sahnseel sab kuch sahna hai ek kshan bhi vyarth na jae aise bhajan mein lage rahna hai aur aisa vairagya ki paas mein bhog samgri bhog sakte ho lekin na hi bhogne ki ichchha hi nahi aisa vairagya apne isht dev ka nirantar chintan nirantar samutkantha naam gane sada ruchi utsah purvak apne isht ka naam jaise ham 500 rupya ginne mein utsah nahi lagte itne ho gaye aise adhik se adhik naam jap samutkantha naam gane sada ruchi lobhi ji priy dam aise mujhe bhagwan naam priy ho.

pancha sadguru ke hath bik jana. Sadguru ne naam diya, mantr diya. Ab main bika hua hoon. Mere jeevan ka astitva sadguru dev hai. Unka adesh hi is jeevan mein hai. Kriyatmak hona nahi to meri koi ruchi nahi. Meri koi ichchha nahi, mera koi astitva nahi. Main to bika hua hoon. Jab yah baten hamare hriday mein aa jati hain to krodh karne wale par kshma apman karne wale ka bhi mangal bhavna ye divya sadgun uske andar aa jaate hain. Bhagwan char par bahut prem karte hain. Jo apni bhog samgri ko abhav grast kisi ko pawa deta hai, de deta hai, use dan kahte hain.

bhagwan usse prasann hote hain. Par jo garib hai wo garib hokar ke dan karta hai to bhagwan use adhik prasann hote hain. Adhik prem karte hain. Bhagwan paropkari Shurvirr par prasann hote hain. Jo jaise kuch amangal karya ho raha hai. Aap beech mein kud pare aur bacha liye. Kisi mata bahan ko koi galat drishti se dekh raha hai ya kisi asmarth ko koi chhin raha hai to usmen kud pare aur apne upar prhar sah karke bacha le. Bhagwan bahut prasann honge. Par jo vicharvaan hokar sharir rag tyag kar deta hai bhagwan usse sabse zyada prasann hote hain.

bhagwan bhajan karne walon par prasann hote hain. Par jo balyvastha se bhajan karta hai usse bhagwan bahut prasann hote hain. Bhagwan bhakt se prasann hote hain. Par jo bachpan se bhagwan ki bhakti karta usse bahut prasann hote hain. Ab bhagwan krodh kis par karte hain? Jiske paas bahut dhan hota hai aur wah keval apne bhog mein hi prayog karta hai. Bhagwan us par krodhit hote hain. Jo dhani hokar ke bhi garibon ke khun chuste hain. Un par bhagwan vishesh krodhit hote hain. Kaise garibon ke khun lebar hai khub mehnat karva rahe hain.

wo vichar kar raha hai. Ab usko samay se paisa nahi de rahe. Kam paisa de rahe hain, nahi de rahe hain. Yah khun chusna hua, khun paseene ki kamai aisa hota hai. Aise logon par bhagwan bahut naraz hote hain. Bhagwan krodh karte hain us par jo lobhi hokar ke dhani hokar ke mahan dhani hai. Par apne bhog samgri wo kisi par hit nahi karta. To bhagwan ko gussa aata hai. Hamne itna tumhen diya hai paropkar ke liye. Lekin jo dhani hokar garibon ko chusta hai bhagwan us par vishesh krodhit hote hain. Jaise bhajan karta hai to bhagwan prasann hote hain.

par bachpan se jo bhajan karta hai us par bhagwan vishesh prasann hote hain. Dan karta hai bhagwan prasann hote hain. Par jo garib hokar dan karta hai bhagwan us par vishesh prasann hote hain. Jo dusre ki raksha karta hai bhagwan us par prasann hote hain. Par jo apne sharir ka rag mita deta hai bhagwan us par vishesh prasann hote hain. Dusra bhagwan paap karne wale par krodhit hote hain. Kintu jo budhape mein papacharan karta hai us par adhik krodhit hote hain. Jaise jawani mein kuch galti ho gayi to phir naam jap karke prayashchit karke usko hatao.

lekin aap budhe hain aur galat chal chal rahe hain. Galat rasta, galat bhav, galat aacharan to bhagwan chauthe pan aa gaya. Marne ja rahe ho phir bhi Ram Krishna hari nahi jap rahe idhrudhur to unko zyada bhagwan un par krodhit hote hain. Bhagwan ahankaari par krodhit hote hain. Parantu jo shastr gyani hokar bhakt hokar ahankaar karta hai us par vishesh krodhit hote hain. Kriya bhrasht par bhagwan krodhit hote hain. Kintu jo sadhu hokar kriya bhrasht hota hai us par bhagwan vishesh krodhit hote hain. Yah char baten pujya parad shri odiya Baba ji ke vachan in mahapurushon ke vachan gupt hi shastron mein rakhe isliye bhagwat prerna se aap logon ke kan mein bilkul ek shabd bhi bhagwan ke vachan ke saman hai.

ek shabd bhi mistek nahi pure jeevan bhar yah hamara matlab samvidhan samjho jaise bharat ka samvidhan aise bhagvatik samvidhan ye sadaiv hamare paas sab kuch chhod diya hai ye bagle mein inke bina ham ji nahi sakte aur aaj bhi ye jeevan dhan hai yahi adarsh in mahapurushon ke adarsh se hi jeevan chalta hai aur inhi ke bal se hi chala ja sakta hai chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran abhi aapne suna bhagwan ko ahankaari pasand nahi. Bhagwan ne dekha Devraj indra ko ahankaar ho gaya hai. To jiska ahankaar badh jaata hai phir bhagwan uska ghatate hain.

bahut achhche tarah se ghta dete hain. Bhagwan pit tatr baldev sanyuta apashya gopa nandraya kritman bhagwan shri Krishna Balram Vrindavan mein rahkar anek prakaar ki leela kar rahe hain. Ek din dekha ki bade kachori, pakri, pua, khir aur badi sab vyvastha ho rahi hai. Antarjami sarvagya bhagwan sab kuch jante hain. Unse koi baat chhipi nahi hai. Sab jante hue bhi anajan bankar ke nand Baba ke paas gaye aur vinay purvak kaha Baba ye sab budhe budhe brajvasi wahan bhi baithe the. Ye sab log kaun sa utsav aa gaya ki aaj gharghar mein pakwan ban rahe hain.

sab bada bhog tayyar ho raha hai. Ye kaun sa utsav hai aur iska phal kya hai? Aur kis uddeshya se kaun log kin sadhno ke dwara ye yagya kiya karte hain? Baba aap mujhe avashya bataiye. Dekho mere aap pita ho. Main aapka putr hoon. Aur yah baten sunne ke liye mujhe badi utkantha bhi hai. Pitaji jo sant purush hain unko hriday se yadi jo apna mante hain to sab baten bata dete hain. Chhupate nahi apni. Jinki drishti mein apne parae ka bhed nahi hai. Jinka na koi mitra hai na shatru hai na udasin to chhipane ki koi baat nahi rahti.

isliye aap kripa karke bataiye ki kya utsav ho raha hai. Baba yah manushya samjhe besamjhe anek prakaar ke karmon ka anusthan karta hai. Mujhe lagta hai samjh bujhkar yadi karm anusthan kiya jae to zyada labh mile. Besamjhi se labh nahi milta. Atah is samay aap log kaun sa kriya yog karne ja rahe hain? Yah shastr sammat hai ya lok sammat hai? Main janna chahta hoon. Aap kripa karke bataiye. Nand Baba ne kaha lala yah bhagwan indra ki puja ki vyvastha ho rahi. Bhagwan indra meghon ke Swami hain. Aur samasth praniyon ko jeevan dan dene wala jal megh barsate hain.

mere pyare lala ham samasth brajvasi muni Devraj indra ki puja ki vyvastha kar rahe indra yagya indra yaag inhi samagriyon se bhagwan indra ka pujan karenge kyonki wahi varsha karte hain. Usi se ghas pran aadi usi se hamari gaun ka hamara palan poshan hota hai. Shastr bhi kahta hai yagya se bache hue ann se jo sevan kiya jaata hai usse dharm arth kam trivarga ki purti hoti hai. To kisan aadi ki gaucharan aadi ki vritti to varsha se hi purn hoti hai. Isliye hamare bhagwan Devraj indra hain.

aur yah kul parampara se chala aa raha hai. Kul parampragat chala ane wala utsav ya pujan kam, lobh, bhay athva dves se nahi chodna chahiye kyonki parampragat hai. Usi ka ham log palan kar rahe hain. Bhagwan brahma shankar aadi ka shasan karne wale shri Krishna chandra jo nand Baba aur brajvasyon se baat suni aur man hi man vichar kiya Devraj indra tumhare abhiman ko main churn karunga. Kyonki tumhen garv ho gaya ki main tribhuvan pati hoon. Bhagwan ne kaha pitaji prani apne karm ke anusaar hi paida hota hai aur karm ke anusaar hi mar jaata hai.

use uske karm ke anusaar hi sukh milta hai, dukh milta hai, bhay milta hai, mangal milta hai, amangal milta hai. Bhai ye bilkul baat bhagwan jagatguru shri Krishna chandra jo bol rahe hain. Ab isi mein kisi ka jantur kya karega hamen batao kisi ka kisi bhi tarah ka chu chhaa kya karega karmana jaate jantu karmanav vilayte sukham dukham bhayammam karmanwapadte sara khel is man ka hai ek aadmi ko jo tum accha samjhte ho buddhiman 10 20 log keval tayyar ho jao alag-alag radheshyam tumhen dimaag mein kuch ho gaya hai kya?

nahi nahi kuch lakshan to aise lagte hain ki khasak gaye ho to matlab thoda pagal ho gaye. Age phir tisra mila us aise 10 din karo. Dhanyavaad yar kuch samjh dimaag mein ho gaya. Usko lagne lagega mera dimaag kharab hone laga hai kya? Jaisa hamare samne drishya hota hai, jaisi baten hoti hai wo hamen mehsus hone lagta hai. Ye keval manoyog hai. Nahi ek aadmi shri raghwa Swami ji jo ate the wah bata rahe the ki ek aadmi ko doctor ne kah diya tha ki tum jaldi hi marne wale ho usne bhojan chhod diya isi chinta mein ekdam sukh rahe Swami ji gaye to ghar walon ne bataya ki yah halat hai inki doctor ne kah diya hoga koi rog Swami ji bade viveki bahut viveki the bahut viveki ki bade hi tapasvi bhajlalandi unhone kaha main hastarekha dekhna janta hoon tum mujhe dikhaoge use vishwas tha dikha diya bole wo doctor ne jo kaha tha sahi tha

lekin wo samay nikal gaya bade vivek se mara ki doctor ki baat agar ham jhuthi kahenge to unhone kaha doctor ne jo kaha tha wo sahi kaha tha lekin wo samay nikal gaya ab tum bole sahi bole ham bole khao bole bhojan sab theek wo maranaasan mein para tha manoyog ka bahut bada prabhav hota hai dekho manoyog se ham prasann hai na dekho sharir bada rogi bada kashtprad hai lekin anand hai mano yog karmana ja jantu karman vilayte karm ka sara prabhav hota hai kuch kisi ka chu chhaa jadu mantar kuch nahi karega jaise

mano ham tumhare man ki baat jaan gaye ham apne man ki 24 ghanta ki baat jante to kuch nahi sambhal pa rahe tum hamare do minute ki baat jaan gaye to kya sambhal doge koi sambhal dega koi sambhla bhagwan ki baat suno karmana jayte jantu karman vilayte sukham dukham bhayammam karman vadte ast cheshwar kaschit ismen kya karega ishwar koi bhi ho Devraj indra ho lokpal ho koi ismen kya karega koi kohu ke sukh dukh kar data nij krit karm bhog sun bhrata yadi karmon ko hi sab kuch na mankar usse bhinn jeevan ka karm phal dene wala ishwar hai to wah bhi karm ke anusaar hi phal dega.

alag nahi. Uski prabhuta karm pe hi chalegi. Sabko apne apne karmon ke anusaar phal bhogna padega. Ismen indra ki kya hai Baba? Baba indra ki takat nahi ki kuch badal sake. Isliye aap pehle to bhul jao ki indra koi bhagwan hai. Bhagwan jab bhulwa rahe hain to phir ahankaar nasht karne ke liye purv sanskar zabardasti usse karm karate hain. Purv sanskar inhi purv sanskaro par attack bhajan kar sakta hai. Dusra nahi. Dhyan se sunna. Purv sanskaro ko bhasm kar deta hai bhajan sirf bhajan dusra kuch nahi jadu tona chucha kuch nahi Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram hari hari yahi yahi karan sharir swabhav ko badalta hai aur sukshm sharir ke up papa aacharan karne wali pravrittiyon ka nash karta hai anarth nivitti devta ho asur ho manushya ho agar dhyan se sunoge to bahut badhiya ho jaega ek aadmi hit dham mein to uske yahan sab lohe ke chhalle aise bhaiya ye kya hai?

ham anguthi pahne to dekha hai sone aadi ke ye kya hai? Bole ghode ke chha nal ke ye chhalle hain. Isse kya hoga? Bole koi bhi grah attack nahi kar sakta. Ghode ki durdasha ho ja rahi nal pahan ke aur yah nal ki lohe ki pehle to kah rahe hamari sadgati ho jaegi koi bhi attack nahi karega are buddhi mari gayi puri nal pahre wo thoki hai uske charnon mein puri nal aur mano bojha dho raha hai sati kha raha hai aur us nal ki tum anguthi banva are Ram Ram bolo Krishna Krishna bolo hari hari bolo are aisi buddhi bhrasht hai to kaise batayen bhagwan kah rahe hain ki devta ho, asur ho, manushya ho, yah sara jagat karm ke adhin hai.

avashya mein bhoktuvi kritam karm shubha shubham jeev apne karmon ke anusaar uttam gati adham gati ko prapt hota hai. He bhai aapke karm aapke karm hi guru hai. Karm hi ishwar hai. Kahan tak kahun karm hi bhagwan hai. Bhagwan isliye Baba manushya ko chahiye ki apne varnashram dharm ke anukul karm karen. Papacharan na karen. Jiske dwara manushya ki jeevika jeevika sugamta se chalti hai wahi usht devah hota hai. Apne vivahit pati ko chhodkar jo par purush se rati karte use jaar stri kahte ho. Jaar stri ki badi durgati hoti hai.

jo apni vivahit patni ko chhodkar dusri striyon se wah vyabhchari purush hota hai. Uski kabhi shubh gati nahi ho sakti. Wo yahan bhi kasht payega aur wahan bhi kasht payega. Isliye ham sabke aradhya dev shri giriraj maharaj hain. Aap inko chhodkar Devraj indra ki puja ki baat karte ho. Baba hamari jeevika giriraj ji se chalti hai. Krishi vanijya go raksha byaj lena ye vaishyon ki char vartavritti hai alag-alag varn ki to ham log gopalan karte aae hain. Baba is sansaar ki utpatti sthiti aur pralya satogun rajogun tamogun ke dwara hota hai.

rajogun ki prerna se megh gan sab kahin jal barsate hain. Usi se ann hota hai. Ann se sabki jeevika chalti hai. Ismen beech mein indra kahan se aa gaya? Pitaji na hamare paas koi desh hai na rajya hai na bade-bade nagar ke ain hai. Ham vanwasi hain. Ye pahar parvat hi hamare ghar hai. Isliye ham log gaun brahmano aur sabke mangal ke liye shri giriraj maharaj ka pujan karenge. Bhagwan ne kaha. Piche giriraj maharaj ki mahima suni hai. Lagta hai do mahine ke antargat hi hua hoga. Do dhai mahine hue honge.

ek mahina haan giriraj ji maharaj ki bahut pavan mahima indra ka yagya band. Ab giriraj ji ka pujan hoga. Khir, halwa, puri aur moong ki daal, braj ka sara doodh ekatra kar liya jae. Sab in padartho se giriraj maharaj ka abhishek hoga aur giriraj maharaj ka bhog lagega. Bhanti bhanti ke ann gaye dakshinaen ye sab brahmano ko dan ki jae aur sab brajvasi milkar ke jo bhog lage wo prasad paya jae aur gaun ko hari hari ghas aur phir sab milkar ke giriraj ji ki parikrama de. Bhagwan ne aisa agyaa kiya.

khub prasad kha pikar sundar sundar vastr pahnkar saj dhaj karke chandan lagakar gau brahmin agni tatha giriraj Govardhan ki pradkshina ki jae. Pitaji meri aisi sammati hai. Dekho bhagwan abhi sat varsh ke hue hain. Lekin itna bada prabhav hai ki kul parampragat Devraj indra ke ya ko rok diya aur giriraj maharaj ke kisi ne bhi sanshay nahi kiya. Sab brajvasi ek swar mein bol uthe. Jo kanhaiya kah raha hai wahi hoga. Parikshit bhagwan kal ke bhi shashak hai. Indra ka ghamand churchur kar dene ke liye bhagwan ne leela rachi.

nand Baba aadi gopo ne badi prasannata prakt karte hue haan aisa hi kiya jae. Ab bhagwan shri Krishna ne jis prakaar giriraj Govardhan ke pujan ki baat kahi gayi thi. Pehle brahmano ko bulaya gaya aur giriraj maharaj ki talahti par swasti vachan hua. Phir jo samgri thi kya sampurn brajvasi jan apni gay ka doodh laye the. Are kitna apaar doodh gras sab se giriraj ji ka pura abhishek hua pure giriraj ji ka kyonki sab 84 ko uske brajvasi jo jahan se wahin se abhishek kar rahe hain giriraj ji ka aur phir bahut si bhog samgri khir pua kachori pakri vivid samgri bhagwan brajvasyon ko sukh dene ke liye ek rup mein Baba ke saath sab bhog arpit kar rahe hain aur ek rup mein main giriraj hoon aur pana wahi pavale wale aur wahi pale wale bhagwan shri Krishna krishnyatam rupam gop mishram gat shalovan bhuri balma bahad bahhu vishal swaroop dharan karke neel megh ka main giriraj Govardhan hoon pawa ab sab brajvasi pawar hai are ye to dekho Devraj indra to kabhi pale nahi aae giriraj maharaj to sakshat khub kachori pakri pua khir bhagwan anant brahmand unke udar mein mano sabko tript kar rahe hain.

main giriraj hoon. Aisa kahkar bhog samgri a rogne lage. Accha iske baad apne dekho sab pranam karo. Bhagwan prakt hue giriraj. Jai giriraj maharaj ki. Ek taraf pranam kar rahe ho jisko pranam kar rahe hain wo wahi swayam hai. Vichitra leela dekho bhaiya dekho aho pashchat shailesho rupi anugrah vidhat. Dekho giriraj maharaj ham par kripa karke prakt hue. Bolo giriraj maharaj ki jai. Sab brajvasi jan giriraj maharaj ko pranam kar rahe hain. Bhagwan bhi ye chahe jaisa rup dharan karen bade hi sundar hai. Giriraj mein vishalkay rup main giriraj hoon.

sakshat shri Krishna chandra ji hi giriraj hain. Inke sparsh se darshan se bahut jaldi antahkaran pavitra hota hai. Jo kamnayen karen pakka jo kamnayen karen us kamnao ki purti karne mein samarth hai. Par theek se parikrama lagao. Ye bidi cigret masala ye sab nahi maun aur dahine laghu shanka nahi dahine thukna nahi. Kisi ki varta mat karo. Keval bhagwat charcha ya naam jap ya maun aur pure 21 kilometer mein maharaj virajman hai. Ek parikrama karke dekho kaisa aad hota hai. Kaisa anand hota hai. Vanwasi jitne brajvasi jan hai sab inka aadar karen.

aur jo inka aadar nahi karega wo patit ho jaega. Aao apna aur apne parivaar ka apne samaj ka mangal karne ke liye ham giriraj ji ko namaskaar karen. Aisa bhagwan bole aao sab milkar giriraj ji ko namaskaar karte hain. Is prakaar bhagwan shri Krishna ki prerna se nand Baba aadi bade budhe gopo ne giriraj ji ki vidhi purvak puja ki. Bhog lagaya jai jaykar hua aur phir sab parikrama lagai. Kha pi ke achhche-achhche vastr sab pahnkar aur khub naam kirtan karte hue sab brajvasyon ne puri giriraj ji ki parikrama lagai.

dandvat kiya. Phir sab shri Krishna ke saath apne apne nivas sthan par laut aae. Indra pua puri pane ke liye ek din upvas pehle kiye the ki brajvasi jan pavaenge. Chak wahan ek bhi gulgula nahi mila. Ek gramin chappan bhog hai. Ganv mein bhi giriraj ji ki puja hoti hai. Diwali ke haan agle din jo hai annakut manaya jaata hai. Gobar ke giriraj ji banae jaate hain. Seeke aur mor pankh khade kar diye jaate hain. Ganv mein bhi hota hai. Aur phir khub achhche-achhche bhog padaarth to achhche-achhche mein kya hai wahan?

dekho sabse achchhi chij jo hoti hai gujiya hai ganv mein gujiya pe barfi aise banae aur gulgula pua kachori puri aur sabji aur khir kadhi chaval pakri wale itne padaarth to hamne dekhe ganv mein iske baad to yahan akar ke dekhe chappan bhog kashi mein to dhatura akda akode ka phool bahut vichitra Baba haan puri dhature ki mala aati hai. Jab prasadi aati hai na aise prasad to dekhe hamne kashi mein ye wale jo chappan bhog hain kasheenath ka jo pujan hota hai bade vichitra vichitra wahan to bhog lagte hain. Bade vichitra bhog achhche aur swadisht bhog bhi lagte hain.

par ye bhog sab koi nahi pa sakta. Sidhe chita ki bhasm chadhti hai. Akhand chita jalti hai. Akhand 100 200 100 rakhe hi rahte hain. Kaun sa ghat manikarnika ghat haan sidhe wahan se garam garam chita ki rakha chita bhasma lepo garal masnam digpat dharo jatadhari kanthe bhujag patihari pashupti unki kripa ho gayi to sukh mila Devraj indra ne dekha ek bhi gulgula hamare ko nahi samarpit kiya gaya. Har sal to khub chakacha sab devta bhog pate the. Devraj indra bhi pucha bhai is bar braj 84 ko se ek bhi pua puri gulgula le samarpit hua.

bole nahi hoga. Band tumhara band bhog kisne band? Bole Krishna chandra ji ne kanhaiya ne. Ab to bhari krodh Devraj indra ko aa gaya. Indra ko apne tribhuvan pati hone ka ghamand tha. Isliye bhagwan ne unke ghamand ko choor kar diya. Tilmila uthe krodh se Devraj aur jo srishti ka vinash karne ke liye savartak naam ke megh gan hai unke bandhan chhod diye aur adesh kiya jao braj ko pralya rupi jal se nasht kar do. Ab samarthak namak gan megh gan braj par aa gaye. Devraj indra ne kaha gwal balo ka itna ghamand ki hamara pujan chhod diya.

sachmuch ek balak ke kahne par dekho buddhi kharab ho gayi. Buddhi kharab ho gayi. Aur in asuron se jab inki pitai hui thi na to yahi sab brahma ji ke paas jakar avatar ke liye prarthna kiye the. Bade swarthi devta hai. Jara sa kachori pakri gulgula nahi mile to bhagwan ko apshabda bolne lage. Are ek din bhukhe rahte to kya hai? Vachalam balisham stabdha madhyam pandit manam krishnam mash gop mein chakra Priyam ye vachalam bahut bolne wala balisham nadan stabdha madhynam abhimani pandit maninam apne ko bada gyani manne wala mrityu ka shikar mujh Devraj raj indra ki avhelna kar di.

aisi varsha karwaunga ki sab pashu pakshi sab stri purush sab mar jaenge. Keval varsha mein hi moti moti khmbe ki dhar bunde nahi aise. Samarthak megh se kaha jao inke sab ka sanhaar karo. Main swayam aata hoon vajr lekar aur maha parakrmi marud ganon ke saath ek bhi brajvasi nahi bachne payega. Meghon ko agyaa de deevraj indra ne unke bandhan khol diye bhagwan ne dekha ki aisa megh to pralya ke samay hota hai bijli aisi kadakdahat andhi ki prerna bade-bade badal aur ole barasne lage aur aise khmbe ke saman moti ki dhar khambha jaise mota aise dhar gir rahi moti moti khmbe ki dhara braj bhumi mein hahkar mach gaya.

ab to sabke pran jeevan dhan bhagwan shri Krishna ne dekha har brajvasi bhi raha hai. Thithur raha hai. Koi aashray nahi. Koi apne bachchon ko chhupa raha hai. Koi aise varsha haan Krishna he shri Krishna ab tumhare bhagya se hi hamari raksha hogi. Brajvasyon ne kampte kampte kaha pyare shri Krishna ham brajvasyon ke ekmatra tum rakshak ho bhakt vsal indra ke krodh se ab tum hi hamari raksha kar sakte ho bhagwan ne dekha ki indra to bhari varsha ole ki varsha ye to hamare samasth brajvasyon ka mangal kar dega bhagwan ne kaha indra tera yagya bhang kiya isliye tu braj ka nash karna chahta hai dekh tu abhi meri shakti ko nahi janta.

mere prabhav ko nahi janta. Jo murkhatavash tu apne ko Devraj indra mankar mere priy bhakt brajvasyon ko kasht dena chahta hai. Nahi bhagwan ke janon ko. Are devta to satogun pradhan hote hain. Tumhen aishwarya aur pad ka ghamand hai to abhi meri yog maya ko tum nahi jante ho. Main tumhara man bhang karunga aur ismen tumhara mangal hoga. Jab tumhara ahankaar nasht hoga to tumhara mangal hoga. Yah sara braj mere ashrit hai. Mere dwara swikrat hai. Aur is braj ka main ekmatra rakshak hoon.

aur mere brajvasyon ko koi kasht de main sah nahi sakta hoon. Mere braj 84 kosh mein jo rah rahe unka koi amangal kar sake. Nahi main inka ekmatra rakshak hoon. Mannatham parigraham dekh main apni yog maya se tere ko jawab deta hoon kyonki bhakt aur sant inki raksha karna mera vrat hai. Oo kya chinta? Swami ko chinta hai. Jab Bhishma ji ne pran liya ki kal panchon pandavo ko jivit rehunnga to mar dalunga aur panch baan nikal ke rakh liye. Yah baat jab bhagwan ko pata chali to pandavo ke shivir mein gaye to sab chaddar tan ke so rahe the.

uthaya aur kahe Bhishma ji ne pratigya ki hai ki kal tum panchon ka vadh kar denge. Jante ho Bhishma pratigya bole haan prabhu phir tum chain se so kyon rahe ho? Bole tum bechin ho na isiliye main chain se so raha hoon. Jiski raksha ke liye tum bechin ho to ab mujhe kya chinta hai? Bhagwan apne bhakt aur santo ka raksha karna vrat yah swayam unka isliye tasman mat sharanam gom manath mat parigraham gopae swatma yog swayam mein vatahita hamen kya pukarna ki aap hamari raksha karo unka khud vrat hai ye sharanagat mat sharanam jo meri sharan mein hai jo sant hai jo bhakt hai uski raksha karna yah mera vrat hai.

mera pran hai. Sakral dev prapannay tava chayachte abhyam sarwabhte dada mein tad vatam mam ek bar jo meri sharan mein aake kah de he hari main aapka hoon. Uska theka le leta hoon main. Pure jeevan ka theka le leta hoon. Bhagwan kahte yah mera vrat hai. Dada mein tat mam sarwabhute abhyam charachar jagat se use abhay kar deta hoon. Agar aisi baat sunkar bhi bhagwan ki sharanagati ki ichchha na ho to samjhna chahiye bahut kathor hriday. Ek bar jo vachan ki bhi sharanagati le leta hai bhagwan use nahi chhote. Par nirbhay nishcint nishok tabhi hota hai jab hriday se sharanagat ho jaata hai.

bhagwan uski jimmedari la tasmat mat sharanam gosh manath mat parigraham bhagwan kah rahe hain vat mahta ye mera vrat hai mera bhagwan ka vrat hai bas wahi raksha karte hain. Bhagwan samasth brajvasyon se kaha aao jin giriraj ji ko tumne bhog lagaya wahi tumhari raksha karenge. Sab brajvasi ek dusre ko pukar karke braj 8ra kos mein ek kshan mein samchar sab giriraj ji ki talahti mein chalo aur bhagwan giriraj ji ke samip jakar jaise barsati chhatte ko barsati chhatta dekha hai jab pani bahut girta hai to aise chhote-chhote nikelte hain aise jaise bachchha koi barsati chhatte ko ukhad ke hath mein le le aise bhagwan giriraj Govardhan ko aise utha liya upar se sudarshan chakra ka tej ek bund bhi pani braj mein nahi.

niche bhagwan shesh ji ne aisa raj mein ghuskar apne aap ko med bana li ki giriraj Govardhan ki talahti gufa mein ek bund pani nahi. Upar sudarshan chakra niche bhagwan sheshnag apne sharir ki baundri mein aur brajvasi sab andar socho bhagwan ki yog maya ka prabhav 84 kos mein rahne wale brajvasi gau bachra sab giriraj Govardhan ko bhagwan apni is anguli par dharan kiye hue hain. Sat din sat ratri sab brajvasi jan darshan kar rahe hain bhagwan ke Yashoda maiya dekh rahi hai are lala itna bada pahar uthae kahin hath thak na rahe mata ji maiya aap aram se baitho Baba brajvasi gan aap aram se baitho.

dekho tum log aisi shanka mat karna ki mere hath se pahar gir sakta hai. Kadpi nahi. Tum log tanik mat daro. Andhi, pani, ola jo chahe Devraj indra kar le kuch nahi bigdne wala. Bhagwan shri Krishna ne sabko ashwasan diya. Sab sakha, gwal, bal, bachhde, gaue, brajvasi sab wahan ke ashrit, purohit, chhakde, bhrat, samgri sab sab gadhe mein giriraj Govardhan ki tarahti mein bhagwan ne sat din koi bhog nahi aroga. Sat din pani bhi nahi piya giriraj Govardhan ko. Sat din sat raat khade rahe. Na kuch khana na pina.

na aram na vishram. Sat din sat raat lagataar us giriraj Govardhan ko uthae rakhe. Ek dag bhi wahan se hile nahi. Sakhag bhi are kanhaiya apni lathi sab lagae. Tu hath hata le. Thoda aram kar le. Bhagwan ne kaha bhaiya ye lathiyon se rukne wala nahi. Are yar kanhaiya tu kya samjhta hai ki tu hi balwa le. Bhagwan ne kaha accha dekh la jara se aise kaha kanhaiya phir bhagwan sat din sat raat tak akhil jagat ka bhaar uthane wale prabhu ke liye giriraj ji ko uthana khilwad hi to hai par hamen ye akhil brahmand nayak prabhu ke rup mein nahi ya nand Baba ke ladle sat varsh ke sab brajvasyon ke liye giriraj ji ko shri Krishna ki asim mahima ko dekhkar indra ka ghamand choor ho gaya ki sara prayas kiya.

ek bhi bachra nahi mara. Ek bhi brajvasi nahi mara. Ek bhi samgri nahi bikhri. Sab ke sab giriraj ji ki talahti mein surakshit. Aur bhagwan ka sudarshan chakra pehle se hi ghum raha hai. Braj mein ek bund bhi pani upar hi sab bhasm kar de raha hai. Mahan samarth. Jab Govardhan dhari bhagwan shri Krishna ne dekha ki Devraj indra ka ghamand choor hua aur apne gan wapas kiye akash se badal hate surya dekhne laga tab brajvasyon ne kaha kanhaiya sab band ho gaya sab brajvasi kanhaiya ki ek naveen jaykar lagate hain giriraj raj dharan ki jai giriraj dharan ki jai giriraj dharan ki charon taraf se asankh brajvasi kanhaiya ki jai jaykar bhagwan ne kaha sab bahar niklo pehle sab gay bachhde sab lekar ke brajvasi jan bahar nikle phir bhagwan ne giriraj ji ko padhraya aur aap bahar nikle bhagwan ki asim samarth bhagwan ne kaha mere pyare pyare gopo jiski main raksha karta hoon use koi bhay nahi pradan kar sakta.

sachchi mani ye hriday ki baat kahte hain. Bhagwan ka hoke dekho. Anant janmon se ham jal rahe hain. Koi hamara rakshak nahi hai. Sankat mein padne par koi nahi hai. Pranant hone par koi nahi hai. Yahi hamare mitra hain. Yahi hamare sathi yahi inko ham bhul gaye hain. Sansaar ko apna mante hain. Inko inke bhulne ki hi hamen dand dasha mil rahi. Durdasha mil rahi ki kam krodha aadi hamko jala rahe hain. Inki smriti prapt ho jae. Phir wo parmanand hai. Kaise tumhen batayen? Bhagwan ne brahmin patniyon ko kaha mere ang sang se utna prem nahi hota jitna mera smaran karne se meri leela katha sunne se mera naam japne se hota hai.

bhagwan ki ichchha shakti ne purn braj mandal ko surakshit ek patta bhi nasht nahi hua. Ek patta bhi nahi dhada. Devraj indra ka ghamand choor ho gaya. Sarvshaktiman bhagwan shri Krishna sabke dekhtede giriraj maharaj ko wahi virajman kar diya. Ab to sab brajvasyon ka apaar prem daud daud kar koi choom raha hai. Koi gale laga raha hai shri Krishna ko. Parvat rakhte hi sab brajvasyon ka prem umad para. Bhaiya teri kripa se ham sab brajvasi bache. Teri kripa se ham sab brajvasi punah mil rahe hain. Koi hriday se laga raha hai.

koi choom raha hai, koi mathe par ashirwad de raha hai. Badi budhi gopiyan dahi chaval mangal tilak kar rahi ashirwad de rahi kanhaiya ko Yashoda ji Rohini ji nand Baba Balram ye sab hriday se laga rahe bar-bar kanhaiya ko kanhaiya tune sampurn brajvasyon ko bacha liya bacha liya tha nahi hai wo aaj bhi bachayenge hamen jo hamare paap karm hain jo hamare dusht swabhav hain jo hamare hamare nich aacharan hai. Ye jab ham par aakraman karenge to bhagwan hamko apni kripa se bachayenge kyonki unhone hamen brajwas diya hai.

unhone apni sharan mein liya hai. Ab unki taraf se kami nahi hone wali. Kami hamari taraf se hai. Hoti rahegi pakka hoti rahegi. Wo hamari kamiyon ko na dekhen. Wo apne vrat ka palan karen. Hamara param mangal hoga. Yashoda maiya ne hriday se lagaya. Mastak chuma ashirwad diya parikshit bade-bade siddh rishi muni gandharv charan bhagwan par foolon ki varsha kar rahe stuti kar rahe shankh baj raha hai naubat baj rahi tambu aadi gandharv raj bhagwan ki madhur leela ka gaan kar rahe hain ab bhagwan Baba aur maiya ke saath bagal mein Balram ji chal rahe hain.

apne premi gwal balo ke saath premay gopiyon ki akarshanmay hriday ki vritti se jo ashish nikal rahe hain unko sunte hue sampurn jagat ko prem dan karne wale bhagwan Govardhan dhari anand magan hokar chal rahe brajvasi jan unki lilaon ka gaan kar rahe sab sukh purvak akar apne gharo mein nivas kiya Devraj indra ate hain aur bhagwan ke charnon mein natmastak hokar kshma mangte hain. Yah prasang age shravan karenge. Shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi