॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

antahkaran ko shuddh karne ka upay / Shri radharani aur shrikrishna ka divya milan // 22/10/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital mayam param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy pranapriy shri yugal sarkar shyama Shyam ji samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein kotisha naman kotisha pranam namaskaar upasak apni upasna ko surakshit rakhne ke liye vani bahut sambhal kar bole kyonki vak shakti ka nash hone se bhajan mein aruci ho jati hai aur galat shabd nikal jae kisi sant ki ninda to bahut janmon ki ki hui bhajan vritti bhi dhak jaegi isliye vani ko bahut sambhal ke rakho.

pujypad shri odiya Baba ji kah rahe hain raj katha aru jag katha bhog katha tu tyag ye tino tyage bina pave nahi anurag bhakt katha aru hari katha sant katha tu jaan in tino ke gyan se pave pad nirvaan. Rajniti ki baten sadhak ko nahi sunni chahiye. Samchar patr ya samchar aadi bilkul nahi. Kyonki aap koi raj paddhikari thodi ho ki aapko rajkaj dekhna hai. Aapko sampurn srishti se vairagya dharan karke ekmatra sacchidanand bhagwan mein chitt jodna hai. To ye jo kya samchar hai? Bharat mein kya chal raha hai?

videsh mein kya chal raha hai? To phir prapanchi ho. Tum sadhak nahi ho. Kaun kya ban raha hai? Kaun kya bigad raha hai? Kahan kya ho raha hai? Yah nahi pata hona chahiye. Sadhak ki to vritt aisi honi chahiye ki aaj kaun sa war hai pata nahi. Kaun si tithi hai, kaun sa din, kaun sa nakshatra, kaun sa tarikh iska bhi gyan nahi hona chahiye. Sachchi maniye yahan ekadshi ka pata tab chalta hai jab parikrama hoti hai. Agar ham in bahya baton ka chintan karenge to phir bhajan nahi hoga. Raj katha bilkul charcha nahi honi chahiye.

sadhako ke beech mein kaun kya kaisa aap koi sansaar ke pado mein jane wale nahi hain. Aap sansaar ke pado ke tyagi param pad ke adhikari hain. Jis param pad ko is tribhuvan ka sabse bada pad hai parmesthi pad brahma pad brahm pad mein virajman brahma bhi jisko namaskaar karte hain wah haridasatwa hai. Wah param pad hai. Aap bikhari nahi hai. Aap rank nahi hai. Aap garib nahi hai. Aap bahut bade hain. Aapse bada koi hai hi nahi. Isiliye sabse bade ka sabse bada hone ke karan dainya ho jaata hai. Jo dal phal se yukt ho jati hai wo jhuk jati hai.

bhakt danya hota hai. To hamko aur kisi pad ki zaroorat nahi hai. Agar kisi pad mein lubhayaman ho rahe ho to param pad ke adhikari hi nahi ho. Jab upasna ment judta hai to na parmeshtha na mahendra dum sarwabham na rasadhipatyam na yog siddhi apunbhav wa na param pad ki jiski akanksha nahi hai wahi bhogon mein jaata hai wahi aur pado ko chahta hai jo param pad ka lakshya bana liya wo brahma ka bhi pad nahi chahta ye sab chhote na Devraj indra ka pad na sarvbhaum pad na lok lokantar ke bhog na siddhiya isliye raj katha ka tumhare jeevan mein koi astitya nahi hona chahiye kaun kya hai kuch pata nahi keval apne prabhu se matlab dusri baat kah

rahe jag katha ganv gali parivaar rishtedar natedar sab ye sab baten bhog katha nana prakaar ki bhog varta nahi aaj khane mein kya banega aaj kya yah sab charcha ka vishay hai kya gaye jo mila radheshyam pa charcha ka vishay prabhu ki charcha bodhta parsparam bhagwan ki charcha paraspat ye tino tyage bina pave nahi anurag yadi bhagwat anurag mein dubna hai to raj katha jag katha aur gramya katha bhog katha iska tyag karna hoga aur yadi bhagwan mein dubna hai to bhakt katha bhakton ke charit padho suno bada vairagya milta hai bada bal milta hai bhagwan ki katha se bhi zyada bal bhakt katha mein milta hai kyonki bhagwan ki katha mein bhagwan ki aishwarya mahata ka darshan hota hai aur bhakt katha mein bhagwan ki dainyta ka darshan hota hai apne bhakt ki mal bhari langoti dho rahe hain.

apne bhakt ke liye raja ke charan chapne ja rahe hain. Sen nai bankar. Kaisa kaisa swaroop bhagwan ka danya apne bhakt ke liye trilochan ke antarjami naukar rup dharan karte hain. Tab lagta hai mere bhagwan itne bade hokar kitne kripalu hain. Apne bhakt ke liye kitne chhote-chhote karya karte hain. Aise parsad hain ki ek kshan mein srishti rach de. Aise parsado ka adesh nahi karte. Swayam prabhu jakar sevkai karte hain. Apne bhakt ki bhakt charit mein jab hamen dekhte hain to hamara hriday bhagwan ki asakti se yukt ho jaata hai.

sant katha jo tyagi vairagi mahatma jan hai unki katha se hamare hriday mein bhagwan ke charnon mein apaar prem hota hai. Aur bhagwan ki katha bhagwan ki katha hriday ko pavan karke bhagwat tatv ka prakash kar deti hai. In tino ke gyan se pave pad nirvaan jo bhakt katha sant katha bhagwant katha inme apna chitt lagata hai wah nirvaan pad moksh pad ko prem ko prapt hota hai. Baba likh rahe hain rukha sukha khae ke thanda pani pi dekh parai chupri mat lalchave jeev rukha sukha jatha labh santosh sada ka so kachu na chaho ek baat samjh lijiye jab bhagwan ki sadhna ki jati hai tab dekho sadhak ko aur jab paripakva ho jaata hai tab aap pehchan nahi sakte ho vairagya dekhna hai to bhagwat prapti ke marg mein chalne wale sadhak ko dekho aur anurag dekhna hai to siddh mahapurush mein dekho par anurag ki drishti nahi hai to nahi dekh paoge vibhishan ji bhagwan ki sharanagati mein ate hain.

jab sharanagati pakki hoti hai to bhagwan kahte hain mere sukh ke liye ek kalp ka rajya sweekar karo. Meri aviral bhakti rahegi. Meri kripa rahegi. Mere sanidhy ko dekhoge aur ek kalp tak ka rajya sweekar. Prahlad ji ko vardan diya. Prahlad ji ne kaha mujhe kuch chahiye nahi. Bole mere sukh ke liye meri agyaa palan ke liye tum is rajya ko sweekar karo. Maharaj bal ka sarvasv arpit hokar jab sharanagat main chaluga tumhare saath dwarpaal ban ke rehunnga. Rasatal ka rajya sweekar karo. Dhruv ji jab bhagwat prapti hui to kaha rajya sweekar karo.

kyonki maha bhagwat jab shasan karega, maha bhagwat jab updesh karega to uska prabhav jagat mangal ke liye hoga. Isliye bhagwan jab paripakva avastha ho jati hai to vihaar mein utar dete hain. Dhan kamane ke liye nahi yash kirti ke liye nahi. Unki yash kirti tum logon ke dwara kya hogi? Yash kirti to sabse badi main haridas hoon. Isse badhkar kirti kya hogi? Bhagwan ka hoon. Jab koi chhote-mote padadhikariyon ka naam leta hai kahta main uska hoon to kitna garv hota hai uske andar vas abhiman jae jan bhore main sevak Raghupath pati more akhil brahmand nayak paraatpar iska main das hoon thesak ye sochna ki bhakton ke paas jab bhagwan hai to kaun se vaibhav ki kami hai vairagya dekhna hai to sadhak ka dekho jo taksha purn bhagwan ke marg mein chalta aur jab paripakva avastha aati hai to mahlo mein rakho chahe jhopdi mein vas do yatha labh santosh sada kahu so kachu na chaho jaisi bhi paristhiti

hai usmen main raji rehunnga mahlo mein rakho chahe jhopdi mein vas do kabhi ghee ghana kabhi mutti bhar chana kabhi wo bhi na bana tumhari drishti waisi hi srishti brahm drishti to brahm mein Ram drishti to Ram mein Shyam drishti to Shyam mein dusht drishti to dusht mein paap drishti to paap mein kam drishti to kam mein srishti kaisi jaisi tumhari drishti isliye dekh parai chhapri mat lalchave jeev alag-alag jeevan ke alag-alag bhagya vidhata bhagwan hai hamen jaisi paristhiti mein rakhe hamko santusht rahna chahiye

chhinai chadhe chhin utre so to prem na ho aghat prem panjar base prem kahave soe thodi der aansu aa gaye phir wahi prapanch mein phir wahi nana prakaar ke sansaar ke prem nahi chhin mein ghta chhin mein bada use prem nahi prem aghat prem sada babo kare ja shash kala subesh prem sada badhta rahta hai. Jaise chandrama ki chandra kala badhti rahti hai. Pai po ya mein nahi tate kabahu na se par kabhi prem mein purnima nahi aati. Sadaiv prem bhukha hriday tadpata rahta hai. Isliye ismen kuch bachta bhi nahi. Wo purnata ki purnata hai.

par purnata ka anubhav nahi hota. Isliye yah sada badhta rahta hai. Prati kshan vardhmaanam ek nem yah prem ko nem sab chhut ja pe jo chhade jaan ke tahan prem kachu na prem ka ek niyam hai ki wah koi niyam nahi rahne deta. Ab duba hai to duba hai kab sudhave lekin janbujhkar niyam chhod de to uske andar prem jagrit ho hi nahi sakta. Isliye chitt ko sadaiv prabhu ke chintan mein sharir seva mein aur vani bahut maun bole to hriday ki granth khole aisa gyan ho tab bole nahi to chup rahe to sadhak bhagwat prapti kar leta hai.

maharaj ji bina chitt shuddh hue paramatma ka anubhav nahi hota to chitt shudhi ka sadhna kya hai aur kab samjhna chahiye ki hamara chitt shuddh ho gaya hai pujya Baba uttar chitt shudhi ke liye sadhak ko do baten dhyan rakhni chahiye pahla sarvatra vivek ka prayog karen buddhi ka nahi buddhi to sabke fansa rahi hai. Vivek vivek kahan milta hai? Bazar mein nahi milta. Satsang mein milta hai. Bin satsang vivek na hoi. Aur Ram kripa bin sulabh na soi. Jis satsang se vivek hota hai aisa satsang keval bhagwan ki kripa se milta hai.

bole pahla vivek aur dusra naam jap. Ye do sadhan. Vivek kateega jab tumhare sansaar ki rag asakti bhog vasna aayegi to vivek kateega aur naam jab tumhen pakka rakhega fisalne nahi dega ye do baten sadhak ke jeevan mein bahut jor ki honi chahiye agar kanchan ekatrit kiya aur mujhe vairagya ho gaya to sab yamuna mein phenk diya khatm khel kirti se dar lage to bhag jao ekant kshetra mein to kabhi koi kirti hai hi nahi lekin kamini ka bhog kar liya to wah sanskar chahe jis gufa mein bhag ke ja tere ko nasht kar dega.

zindagi mein sadhu ko ek baat se bach jana chahiye. Ek baat se agar wo kahin parai mata bahno ki taraf gandi drishti nahi rakhega. Koi bhi aisi kriya nahi karega brahmcharya nash ke liye to badshah para rahe. Masti se jo prasad mile kha jo bane bhagwan ka chintan kar aur jo sharir se seva bane para rahe. Vrindavan prabhav sun apno hi gun det jaise balak malin ko mat god bhar le jaise mata malin balak ko bhi apne god mein sweekar karke pavitra kar deti hai aise Vrindavan apne prabhav se pavitra karke priyal ki prapti karata hai sabse bada shatru bhagwan ne naam liya hai gita ji mein kaha ye kam bade-bade gyanyon ka bhi bairi hai.

mar dal isko arjun ise mar dal kam ko marna hai aur tum chinta na karo bhagwat prapti bilkul khub ghus ke shodh karke chintan karke kah raha hoon bhagwat prapti bilkul nazdik hai keval hamari jo phailav phas gaya hai ye mera ye mera ye mera ye mera ye bhog lun ye dekh lun ye sungh lun ise mitana kathin ise mita do usi kshan bhagwat prapti hai kyonki bhagwan aapke hriday mein baithe kahin dur nahi chalna hai yahan darshan hote yahan sabse pehle sadhak ko bhagwat sakshatkar hriday desh mein hota hai phir sarvatra hone lagta hai chitt shudhi ke liye do upay pahla vivek vivek wahi hai jo sat asat ka nirnay karta hai sat kya hai ek matra Priya pritam bhagwan asat kya hai sab sab kuch brahm satyam jagan mithya Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna sadhak ko chahiye bilkul savdhaan ho jao ham ek baat par keval kah rahe hain ek baat par savdhaan ho jao kabhi kahin bhi kisi bhi tarah se ishti sansarg ya viparit sharir ya anukul sharir ke kam bhog ki leela ko keval tum sahan kar jao shesh sari baat

vijay hi vijay hai. Sari baat vijay kyonki prasade sarv dukh naam haras upajte tum agar Vrindavan dham mein rah rahe ho to sabse bada bhajan vas ho raha hai. Aur dviti yadi gurujanon ke aashray mein rah rahe ho to seva hi seva hai. Ek kshan ke liye fursat nahi. Tumhen bhagwat prapti nahi hogi to kise hogi bhagwat prapti? Bas ek baat ek baat ke liye tumne swayam chhoda hai sansaar ko tumne swayam tyaga hai sansaar ke bhogon ko to ab uski taraf lalchana ya dekhna ya tanik bhi usko badhava dena ye apna sarvnash karna hai vivek aur har samay naam jap ka prayas Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh madhur madhur Radha Radha Radha asatya aur satya ka vivek hone par sadhak ko sansaar ki taraf se vairagya hone lagta hai aur uska bhajan pusht hone lagta hai aur jahan bhajan pusht hua to nitya nirantar apne chitt mein bhagwan Vasudev ko dekhne lagta hai.

chitt ke adhashtha devta bhagwan shri Krishna Vasudev jab chitt shuddh ho jaata hai uski pehchan hai. Na koi apna lagta hai na koi paraya lagta hai. Sab bhagwat swaroop lagte hain. Apna paray ka bhed mit jaata hai. Jab chitt shuddh hota hai to kisi bhi padaarth ke bhogne ki ichchha usmen nahi rah jati. Jab chitt shuddh hota hai to uska anurag keval paramatma aur mahatma mein hota hai. Pure sansaar mein kahin hota hi nahi. Ye chitt shudhi ka lakshan hai. Chitt shudhi ka upay vivek aur nirantar naam jap. Chitt shudhi ka lakshan rag dves ka abhav na koi apna na koi paraya aur kisi bhi vishay bhogne ki ichchha hi nahi asakti to sirf paramatma mein ya mahatma mein ye rag dves kise kahte hain maharaj jis manushya ke jis padaarth ke jis sthan ke aisi asakti ho jae kiske bina jiya nahi ja raha use rag kahte hain.

jaise maa mein rag, pita mein rag, patni mein rag, putr mein rag, dhan mein rag, makan mein rag, sharir mein rag bahut hai. Samjhna chahiye hamara rag ho gaya. Jiska bar-bar smaran aae aur bar-bar khichav ho hriday se jo hamare dhyan path mein prabhu ke siva aur aa raha hai, wah sab rag ka hi kiya karaya khel hai. Dves ismen mul rag hai. Jisse rag hota hai usi se dves hota hai. Rag nahi hoga to dves hoga hi nahi. Jab wo hamare pratikul chalne lagta hai to dves ho jaata hai. Pratikul padaarth pratikul vastu pratikul vyakti to hamara dves ho jaata hai.

yahi rag dves jeev ke janm maran ki shrankhla hai. Aur iska mul karan dehabiman ahankaar hai. Maharaj sadhak ko samay kis prakaar bitana chahiye? Sabke liye ek jaisa updesh nahi hoga. Pujya Baba bol rahe hain jo guru ke paas rahte hain unko sab samay guru ki seva mein lagakar bhagwat smriti yukt jeevan vyatit karna chahiye. Aur jinko guru ka sanidhy nahi mila unko bhajan mein adhik samay lagana chahiye. Yadi Gurudev seva ke liye adesh karen wahi sabse bada bhajan hai. Yadi wah kah rahe hain ki baithkar bhajan karo to adhik samay bhajan mein lagana chahiye.

agar Gurudev seva to phir seva hi bhajan hai. Jo grihasth hain unko apne grahasti ke karya ko guru seva bhagwat seva mankar karna chahiye. Yadi guru ji kuch sweekar karte hain to theek hai. Nahi sarvasv guru ka hai. Aisi bhavna karni chahiye. Virakta upasak ko guru ki adhinta sweekar karni chahiye. Guru ki adhinta se apne aap sare paap, dves, dosh, rag sab nasht ho jaata hai. Sabko yah to dhyan rakhna hai ki Bhagwati jo hamari param karunamay smriti swaroopa hai wo hamare dimaag mein chaai rahe. Mahan tejomay nikunj devi shri swamini maha mahimamay maharani ladli jo Bhagwati smriti aisi kripa karen ki yah hamari smriti mein hi bas jae kabhi smriti se dur na ho chahe ham seva paraayan ho ya ekant baithe ho maharaj bhagwan to hamen dikhte nahi to unse pyar kaise ho unki sharan kaise ho bhagwan tumhen dekhte nahi.

bade ascharya ki baat hai. Yah sab bhagwan hi to hai. Pujya Baba ab unki brahmamay drishti hai. Chalo bhagwan nahi dikhte to bhagwan ka naam bhagwan ki mahima bhagwan ke bhakt ye to dikh rahe hain. Aap inki baat mano naam jap karo. Bhagwan ke leela gun gao. Jaise adesh hota hai waise siddhant se chalo bhagwan dikhayee dene lagenge. Jab tumhare hriday mein shanti, anand, kisi ke prati koi bhi dves nahi to jaan lo ab bhagwan prakashit hone wale hain. Hriday mein anand bhagwan ka swaroop hai. Shanti bhagwan ka shakarkaram jo anand sindh sukh rashi jo bhagwan ko dekha nahi aur bhagwan ki sharan hokar naam jap karte hain.

bhagwan bahut rijh jaate hain unse wah to dekh hi rahe hain na. Maharaj ji aap bar-bar bhajan ki baat karte hain. Bhajan mein to nind aa jati hai. Phir kya karen? Mala chhut jati hai bhajan mein. Aise baithe raho. Prapanch sochte raho nind nahi aayegi. Teen ghanta film dekhte raho nind nahi aayegi. Pata nahi kaisa tamogun ka prabhav hai. Baba kahte hain ki jab naam jap karne mein nind ane lage to jor jor se kirtan karne lago. Yah ekant mein karna chahiye. Samuhik jahan vas ho wahan nahi karna chahiye. Nahi pata chale kal manjeera le 12:00 baje se shuru ho gaye to sadhak jo dincharya mein hai unko paresh man lo bagal wale kamra wala dhyan sadhak kar raha hai to phir aapka aparadh ban jaega.

yadi aap mandira le kirtan kar rahe hain aur uske dhyan mein vikshep ho raha hai to aparadh ban jaega. Isliye jo bhi sadhna karo wo aisi karo ki dusre sadhako ko vikshep na pare. Apne kamre ke bahar awaz na jae. Dusra upay khade hokar jap karo. Yah bahut badhiya upay hai. Is nind rupi dushman se lado. Yah khade hokar bhajan karne ka abhyaas Gayatri anusthan mein naishka brahmachar mein nai avastha mein nind zyada satati hai. To jhopdi thi to khade hokar aise jhopdi ka ek rassi aise dal liye the aur aise pakar lete kabhi ek pair ke bal khade hain kabhi baye pair phir utha liya daen pair aur mantr mein ekagrata puri japte hue bahut accha lagta panchap chhah ghante kyonki Gayatri ka 24 lakh Gayatri ka ek purachran hota hai.

bhakt ko chahiye kisi bhi sthiti mein bhajan ke samay mein nind na ane pave. Bahut ladna parta hai. Nind se bahut ladna parta hai. Ekdam gussa jaate hain. Jaise ab badi savdhani se jap rahe. Pata nahi kab gol ho gaye. Mala chhut gaya. Jab dekha mala chhut gaya to ekdam gussa ab pura mala gaya. Ab phir ek se shuru karna. Jaise man lo aap 99 manka pe pahunch chuke hain. Wo aapka chhut gaya to anusthan mein nahi mana jaega. Phir wahin se shuru karo. Ek se yah nahi ki kahin se bhi pakar le waise shuru kar lo.

aisa nahi jab anusthan kiya jaata hai to agar jitne par chhuta ab ye counter dikhane se thodi chalega. Counter aaj chala hai. Counter mein kya hai ki jitna karo utna chhod do. Hamne Gurudev bhagwan se. Ye to abhi kuch samay se chala hai. Aur ye to dikhayee nahi diya. Pehle kabhi dikhayee nahi diya. Ab to nai rachna hai. Nahi to chhota mala wo haan sumerni jise aur bada mala do hi the chalane ke liye ab ye counter bhagwan ki kalyug maharaj ki kripa se aa gaya hai ki chalo mala nahi to isko apna pahan mala se logon ko sharm bhi lagti hai.

pura mala dale aise bole bhagat banta ismen anguthi ki tarah pahne aur badhiya hai. Badhiya hai. Bahut badhiya hai. Kisi tarah bhagwat smriti bhagwan naam jap ho raha hai. Bahut par ismen yah suvida hai ki 50 mein chhod diya chhod de. Mala mein nahi chhod sakte. Yadi anusthan chal raha hai to aap bol nahi sakte. Chhod nahi sakte. Man lo aap 107 mein pahunch gaye aur aapne chhod diya to nahi mana jaega. Phir ek se shuru karo. Ab jaise aap mala jap rahe hain guru mantr ki to beech mein guru mantr ki mala japte hue bolna nahi hai.

jo jaise 11 mala ka anusthan diya gaya usmen bolna nahi. Agar bola to jahan se bola wo phir wahan se kainsil phir wahan se shuru karo ya phir uski paddhti hai us mala ko aise karke nikal ke man ka rakho achman karo bhagwan se prarthna karo atyant avashyak hone par baat karo phir pranam karo phir uske niche wali manka se jahan se rakha hai niche wali manka se shuru kar do aise nahi ki aise khade baat kar rahe hain phir ghuma rahe to kya fark parta hai dimaag mein kya fark parta hai kaun sa parivartan ho hai jo hamari vaidik siddhant paddhti hai usi se labh prapt hota hai.

maharaj jo nind hai usse ladna parta hai. Bhajan karna bahut unchi baat hai. Isliye hamko khade ho jana pare, tahalna pare, hamen naam jap karna, hamen mantr jap karna, us samay nind nahi ani chahiye. Abhyaas bahut badi takat hoti hai. Aankh mund ke theek lakshya par goli mar de jiska abhyaas hai aur apne abhyaas nahi kiya to kuch nahi hone wala. Abhyaas yog yukt chetsa nagamina aaj bhi wahi dincharya hai jo balyvastha se gurujanon ne sikhai thi waisi dincharya maharaj ji jab bhajan karte hain to bure kam karne ka man karta hai bahut sundar prashn bahut sundar uttar mahapurush ke hain aur bure kam mein man jaata hai bhaiya un bure sankalpon mein na rag karo na dves karo bahut jaldi jaldi nipat jane wali baat hai.

bilkul aise raho sakshi bhav se gandi baat aa rahi Radha Radha Radha achchhi baat aa rahi Radha Radha Radha na rag na dves khatm hote chale ja rahe ye buri baat kyon aa rahi aapne pakar liya aapne unko pakar liya unko sthan de diya jara sa wo sankalp bhogon ka bana rahe hain aap Radha Radha usi mein doob rahe ho to wo aapke hriday mein sanskar naya bhog ka paida kar denge na bura na bhala shant ekdam sakshi bhav aur naam jap chalta rahe mit jaenge aur ghrna buddhi rakho bure baton se dosh drishti yah nindniy baten hain nahi sweekar karna Baba sab sadhako ka dhey kya hona chahiye dhyan dhyata dhey jo dhyata hai wo dhyan karta hai par dhey kya hona chahiye sabka dhey hona chahiye bhagwat prapti sabka dhey hona chahiye.

apne bhajan ka phal kya? Bhagwat prapti. Hamen Priya pritam mil jae. Hamen prabhu mil jae. Sansaar chakra se hamara pind chhute. Bahut ho gaya is jhuthe sansaar ke khel mein. To is parmanand ki prapti, bhagwat prapti, bhagwat sakshatkar sabka dhey hona chahiye. Kam shabdon mein iski prapti ka upay kya hai? Jo sharir se nishkam bhav se paropkar prani matra ki seva karta hai. Jo bhagwat vigrah bhagwat bhakton ki seva karta hai aur khub naam jap karta hai. Koi paap aacharan nahi karta usko bhagwat prapti ho jati hai.

yahi pranayam kahte rahte hain. Bhakt seva bhagwant seva samaj seva naam jap aur papacharan ka tyag nischit bhagwat prapti. Chalte hain kishori ji se chandranna sakhi ne pucha he priyaju he Radhe param saubhagyadayak mahan punyajnak shri Krishna ki prapti kaise hoti hai? Priyaju se pucha. Priyaju ne kaha bahut jaldi shri Krishna ki prapti karane mein samarth hai. Shri tulsi maharani jo Priya ji ka bataya hua upay shri vrinda sakhi ye Vrindavan ki adhishthatri devi hain. Ye Vrindavan ki puri vyvastha ko dekhti hai.

pyari jo pyare jo ke nitya kel ki vyvastha karti hai aur inki kripa ke bina koi Vrindavan mein pravesh nahi kar sakta. Yah hamari pyari jo ki priy sakhi vrinda sakhi shri tulsi maharani jo chandranna sakhi ne kaha ki param saubhagyadam Radhe maha punyam var pradam shri Krishna syaap lyartham unka tulsi sevnam matam mere mat mein yadi tulsi ji ki seva ki jae tulsi ji ka yadi sparsh ho jaata hai tulsi ji ka naam kirtan kiya jaata hai. Tulsi ji ko pranam kiya jaata hai. Tulsi ji ka vriksh lagaya jaata hai.

tulsi ji ko jal arpit kiya jaata hai. Aur tulsi dal se nitya bhagwat seva ki jae to bahut jaldi shri Krishna prasann ho jaate hain. Pratdin jo tulsi ji ki bhakti karta hai. Tulsi ka paudha rup karke tulsi ji ka sinchan karna, tulsi ji ko tilak lagana, tulsi ji ko mala pahnana, tulsi ji ki parikrama karna, tulsi ji ko pranam karna. Wah koti sahasra yugo tak aisa mahan sukrit hota hai ki bhagwan shri Krishna ke nitya samip rahta hai jo tulsi ji ki seva karta hai. Jab tak manushya ki lagai hui tulsi ki shakha prashakha bij pushp sundar dal se tulsi ji sushobhit hoti hai tab tak hazaron kalpon mein shri hari dham mein rahte hue uska kabhi punya nasht nahi hota.

jaise ek din 1000 kalp do din 2000 kalp wo bhagwan ke nitya dham mein mahan sukrit ke bal se bhagwat dham mein rahega jo tulsi ji ka pakka man lijiye jab swayam sinh the to tulsi ji ropan karke tulsi ji ka ek van lagaya aur roz naveen naveen manjri tulsi dal lekar prabhu ke charnon mein kahin na kahin tulsi ji ki kripa hui Vrindavan ye vrinda vrindapatri devi Vrindavan ki hai inki kripa ke bina he chandradne sampurn patron aur pushpo ko jo utar karke sammaan purvak pehle prarthna karni chahiye. He vrinda devi he tulsi ji bhagwan shri hari ki puja ke liye ya priyaju ki puja ke liye ham aapke kuch manjri kuch dal lekar ke seva karna chahte hain.

aap kripa karke mujhe dijiye aur phir utar le. Aise nochna nahi bahut sammaan se bahut pyar se tulsi ji prasann hote hain. Jo manushya tulsi dal se shri hari ki puja karta hai koi bhi paap uska sparsh nahi kar sakta. Purv mein kiya hua koi bhi paap usko dand nahi milega jo tulsi ji ki aradhna nitya karta hai. Ab itna jal bhi na chadha de purn ho jae aur tulsi ji antar dhyan anukul jal jaise man lo gamle pe hai to itna bada tambe ka roz usse ab bhar ke lota chadha doge do char din mein antardhya ho jaenge tulsi ji bahut vivek se zaroorat hai bole bhari punya hoga ab itna bada lota roz jal chadhaoge to do-char din mein pili ho ke antardhyan ho jaenge bas itna jal anukul jal chahiye ek tambe ka chhota sa liya aise dal roz dalo usmen koi fark nahi aur gamla uthakar dhoop mein virajman karo seva ka matlab kya hai jo tulsi ji ko jal arpit karke tulsi ji ki seva karta hai hari chintan karta hai kabhi koi paap uska sparsh nahi kar sakta 100 bar sona 400 bar chandi ka jo dan karne ka phal hota hai wo ek tulsi dal utar jo apne dwara lagai hui tulsi dal wo hari ke charnon mein arpit karo.

ye 100 bar sona aur chandi barabri nahi ho sakti. Kitna mahatva hai jo roz tulsi dal chayan kar dwadashi ko na chayan karen. Dwadashi ko matlab bahut bada aparadh lagta hai. Tulsi dal ka matlab tulsi ke vriksh ka bhi sparsh na karen. Pranam namaskaar dur se ek bhi dal nahi tutna chahiye. Dwadashi ko aisa hamne mahapurushon se suna hai ki manjri aur patr utarna yah theek nahi. Bilkul nahi theek hai. Brahm hatya ka phal lagta hai. Agar jo paap lagta hai agar koi dwadashi ko tulsi chayan bahut savdhani se jiske ghar mein tulsi ka bagichi hota hai, kai paudhe hote hain.

usko kahin tirth jane ki zaroorat nahi. Uska ghar tirth hai jiske ghar mein tulsi ke paudhe hain. Aur Yamraj kabhi us ghar mein kisi bhi marne wale ko lene nahi aaenge. Jiske ghar mein tulsi laga lo bhaiya tulsi laga lo ghar mein. Kahe ko Yamraj ko ane doge? Sabke ghar mein tulsi. Kitna sundar pehle tha. Ghar mein angan hote the. Angan mein ek bahut bada aur phir usmen tulsi ji aur phir usmen do char narmadeshwar shaleegram aise aur phir ghar ka har vyakti jal chadna pranam karna namaskaar karna char kitni pavitra paddhtiyan hamari thi jab rasoi bane pahli gay ke liye phir kuch pakshi ke liye phir koi sant mahatma koi bhikshu aisa kitna pavitra vihaar yad jaise hamne dekha hai rasoi ban rahi na to dhua nahi khatm hone pata wo ho sab apvitra kiye hue hain.

raaksasi buddhi aati chali ja rahi hai. Tulsi ji ye Bhagvati ko hamen lagta hai balakni to hoti hai. Badhiya balakni mein kaisa uthane dharne wala staind lohe ka rakho ki tulsi ji ko virajman kar do. Jiske ghar mein tulsi ji virajman hoti uske ghar mein Yamraj kabhi nahi jaate. Jo tulsi ji ka sevan karta hai uski sari kamnayen tulsi ji purn kar deti hai. Tulsi ji ko lagana, tulsi ji ka palan karna, tulsi ji ko sinchan karna, tulsi ji ka darshan karna, tulsi ji ka sparsh karna, manushya ke dwara jo man vani aur sharir se paap ho gaye sabko tulsi maharani kshma kar deti hai.

dagdha kar deti hai. Pushkara aadi tirth ganga aadi param pavan nadiyan yah sab jo snaan aadi avgahan aadi karne ka phal dete hain wo keval tulsi ji ghar mein virajman hai usko phal mil jaega. Kitne badhiya jo tulsi ji ki naveen manjri prabhu ke charnon mein arpit karke pranam karta hai wo chahe kitna bhi aparadh kiye ho wo kabhi Yampuri ko nahi dekhega kabhi Yamraj ke paas nahi jaega jo manushya tulsi kaasht ka ghisa hua chandan lagata hai uske sare sanchit bhasm ho jaate hain aur kriyman jo vartman wo kabhi usko bandh nahi sakte.

tulsi ji ka kaasht ka ghisa hua chandan jiske ghar mein tulsi ki chhaya hoti hai wahan pitro ko apne aap kalyan prapt ho jaata hai jo shradh karne se labh milta hai pitro ko ghar mein tulsi laga ke jo tulsi ki chhaya bada vriksh pitro ko tripti milti hai chaturbhuj brahma ji sarang dhanwa shri hari ke mahmmahim swaroop ki anubhuti karne ke liye bhi kaha hai ki tulsi ji ka mahan mahatum agar tulsi ji ka sevan karen to bhagwan shri hari ki mahima ko jaan jaega. Stri ho ya purush purush napunsak nariva jeev charachar koi sarv bhav bhaj kapt taj moh param pri sharir vardi hai hamari poshak hai ham sab ek hai atma swaroop hai kuch alag nahi hai sharir keval panch bhautik hai to sabka panch bhautik hai usmen chinh hai stri purush ke bas iske liye bhagwan ki aradhna nishedh thodi hai jo stri striya purush shri tulsi ji ke kaasht ke manke bana ke jaise chhoti kanthi ya badi mala dharan karta hai.

shri Krishna uske bas mein ho jaate hain. Yah hai tulsi ji ki mahima. Param suhag shri Krishna mil jaate hain aur kaun si hamen uplbdhi chahiye? He gop Nandni tulsi ji ka sevan karne se shri Krishna vash mein ho jaate hain. Jo tulsi ki mala se naam jap karta hai. Counter wali baat to smriti ke liye padhai hai. Ham nishedh nahi karte. Nahi bahuton ke bhajan band ho jaenge. Par ham itni mahima jarur batae dete hain ki tulsi mala se jo naam jap kiya jaata hai usse adhyatmik siddhi bahut jaldi hoti hai. Gurudev bhagwan kah rahe the jo anguliyon se ragad hoti hai manka se usmen adhyatmik urja shakti tulsi mala se plastik par bhai karo nishedh nahi kah band ho jaega wo bhi Radha Radha kahna wo hamen band nahi karna ham kah rahe hain tum jaise bane waise karo lekin mala ka bahut bada prabhav hai tulsi param pavitra bhagwan shri hari ki Priya aur unke kaasht ko jab ham aise aise naam ke saath jo vishesh urja shakti adhyatmik ka shakti ham mein jagrit hoti hai.

ho sake jinko aisa ban sake to chhoti ek aati hai sumirni usko rakh lo apni jeb mein rakh lo usse karo aur nahi hai to bhaiya tum isi se karo naam jap karo bhav ko bhav nalso naam japat mangal daso sundar sundar tulsi ji ke vrikshon ke samip baithkar ke jo anusthan kiya jae wo bahut labhdayak Shrimad bhagwat ka, gopal sahasra naam ka koi bhi path tulsi ji ke samip virajman karke kiya jae. Acharya ko bulakar ke tulsi pujan karna chahiye. Vivid prakaar ke anusthan are tabhi to sab mangal hota hai. Pehle tha hamne dekha hai 4:00 baje mata ji darwaze ke samne lipti roz ka kam.

jo purane gharo mein dehri ke age akar 4 baje leep karke wahan apna chauk pur ke deepak jala kya pavitrataen thi kya mangal tha jab kisi ko nimantran diya jaata tha sabke pair dhoe jaate the sundar bichhauna bicha ke aur usmen baithkar pattal aur raj ke sakra kulha aise bhojan paya kitna pavitra jo hamari purv pavitra thi dharti karta choti pavitra malum agar bahar jae to pajama kurta aise bahut pavitra poshak thi pavitra aacharan the pavitra khanpan tha ghar mein jao to ek pavitra ek kisi bhi ghar mein aisa nahi tha ki dev murti na virajman ho kisi bhi ghar mein aisa nahi tha tulsi ji virajman na ho ek do gay jarur hoti thi pavitra ab to bada vichitra ye bharatiya gaue jo shwet rang ki jo arun rang ki jo seeng wali hai wo unka aap dugdh dekhiye dhokar rakh dijiye swarnnim kant chaai milegi ye hamari Bharti paddhti hai havishyan isse devtaon ka bhagwan ka sabka abhishek pujan hota hai shuddh gay jo hamari Bharti hai teela hai uski jaise nikla hua bhagwan ne seva ki hai hamare Govind bhagwan ka naam hi

Govind gaun ke indra bhagwan subah se nikal jaate the sham tak gaon ko charate the. Bada to kishori ji ne shri tulsi ji ke pujan ki baat bhagwan gopiyon se vada kiye the ki ab tumhen agli purnima ko raas ab raas bina reshwari ke nahi ho sakta. Likha ho chahe na likha ho. Koi bhi vidvan, koi bhi pravakta is baat ko batave. Kahte hain bhagwat mein Radha naam nahi likha hai. Bhagwat Radha mein hi hai. Sandranand ghan prem murti kishori bina ladli ju ke koi raas bata de kahin bhi kabhi bhi kaisa bhi maharani ji ke bina reshwari ke raas ho hi nahi sakta.

likha ho chahe na likha ho. Kyon nahi likha? Yate shri sukh prakt kiyo nahi jahan bole Radha to samadhi lag jati ho yahan sat din mein takshak katna hai shri Sukhdev ji ne maharani ji ka naam hariram vyas ji kah rahe yate shri sukh prakt kiyo nahi janisar ko sar param dhan Radha naam adhar waise to roz sanket van mein piche hamne charcha ki thi prem sarovar mein priyal milte the nand ganv barsa mein aaj Lalu ne ek nai leela rachi gop devi leela hai shri Lalu maharaj Priyaju ko raas ke liye unhone socha ek bar chhalia rup rakh ke bail mein pravesh karte hain.

dekhte hain ladli jo pahchanti hai ki nahi aur kitna pyar ladli jo karti hai. Maharaj to jo rup dharan karen to sab sundar hain. To sundarata ke samudra hain. Jab nakbesar dharan karte hain na anjan aur ghunghat nilambr ka maharaj hriday churchur ho jae aise sundar hai gori kishori bhi chakori hai jinki nilambr dharan karke aur jis samay lali laga ke maharaj apne Radha pi ji ko kabhi-kabhi jab ate hain to dekho aisa lagta hai yar balihar hai maharaj jo rup dharan karte ho sidhe hriday par prhar karte ho. Prabhu ne gop devi ka rup dharan kiya.

gopangna ka shri charnon mein napur ki jhankar kati mein kardhni jismen kshadra ghantika lagi hui hai adbhutam gopika rupam chal jhankar puram kinkni ghantika shabd manguleek bhushitam badi divya anguthiyan dharan kiye hue anguliyon kamar mein kardhni jo rujhun rujhun shri charnon mein napur aur ratna kankan ke yoor muktahar virajitam kalaiyon mein ratna jatit kangan bichbich mein chudiyan kangan aise bajub kantha motiyon ke har aur shish phool kesh paas beni rachna nasika mein moti ki bulak besar aur alkavli ghunghrali alkavli Shyam varn kesh aisa rup dharan kiya jo dekhe mugdh ho jae Shyam sundar ko vrishabhan bhavan ki taraf chale khai aur parkoton se yukt vrishabhan bhavan char darwajon se sushobhit pratyek dwaar par kajal ke saman varn wale garjaj jhoom rahe hain.

rajabhwan ki badi manoharta hai. Us mandap prangan mein vayu ke saman veg wale ghodo se angrakshak mahal ki raksha karne wale charon taraf daud rahe hain. Vrishabhan bhavan mein aur badi hi sundar sundar gaye dharm dhurandhar balvan saand rama rahe hain. Bahut se gopal bansi ved dharan kiye hue unko sambhal rahe hain. Vrishabhan ji ka bhavan kya hai? Aisa lagta hai ki vishwakarma ne puri kala kaushal laga di. Aur maharani ji ke liye bhavan ke andar hi bagichi, jharna, sarovar sab koti-koti surya ke saman kant wale sundar sundar maniya khambhon mein jatit hai jisse prakash fail raha hai.

ratna mandit angan bahut se ratna swaroop bhumi par jatit hai aur wahan Veena taal mridang aadi baje bajati hui bahut si manohar sakhiya phool chhadi liye hue darwaze par khadi hai sangit baj raha hai us antapur mein divya vishal upvan ki chhata chhatak rahi bhitar anar kand mandar neembu tatha anya unche unche vriksh lahla rahe ketki malti madhvi latae badi sundar vrikshon ka aalingan kiye hue shri Radha nikunj mahal ke andar hi kalpavaksha ke foolon ki sugandh se bhare mat wale ho rahe hain. Shital mand sugandh vayu chal rahi hai.

kahin sahastradal kamlo ke parag ko barambar vayu bikher rahi hai. Nikunj shikhron par baithe hue mor kabhi nachte hain. Kabhi kok rahe hain. Kahin kokila, kahin saras, kahin sukh aur foolon ke sahasra sahasra sayaen jagah-jagah kabhi ladli jo idhar se nikle kisi mein bhi virajman ho jae. Megh mandir mein saikadon phuhare chhut rahe. Bal surya ke saman kant kundal tatha vichitra varn wale vastr dharan kiye hue karodon balvan mahal ke aaspas shri ladli jhuke aur shri swamini ji ki paricharyaa mein sab susajit sakhiya kesriya rang ke sukshm wastron ko sajakar parda banaya gaya hai.

jalaj pushp phalaj pushp jaghajgah pallav bikhere gaye hain. Aur ghutnan tak pushpo ka parag maharani jo chale gaye rajabhwan mein aisa malti makrandon ke phavware malti makrandon ke malti ke sundar makrand ke parag ke sugandh se yukt aise phavware chal rahe hain. Aise angan karodon chandramaon ki kantimti komlangi sahcharyan karodon chandramaon ki kanti dhire-dhire wahan sab nireekshan parikshan shri vrishabhan Nandni shri kishori ju ki seva mein sahastron aisi sundriyan jaise chandrama ke uday hone se taraon ki kant pheeki ho jati hai to jab ladli jo padharti to aise sabki kant pheeki ho jati hai.

dekho mai sundarata ki sima brajno tarun kadamb nagri nirakh karat adhagrima mahan gaurav ladli ju ka shri kishori ji ki agwani karne ke liye sakhiya daud padi. Ladli ji ko sambhal sambhal ke kar kamal pakar kar ke parag marg se simhasaan par bithaya. Phir ladli ji ki jaisi seva hoti hai. Koi chvar, koi pankha, koi vejan, koi pan bili. Ab ye gop sundari thoda ghunghat karke sakuchati hui koi tok na de. Vrishabhan bhavar mein pahunchi. Kaun ho aap? Main gop sundari hoon. Gop devi kya karya hai? Aapki maharani se milna hai.

mujhe shikayat karna hai. Kya shikayat karni hai? Shikayat karna hai to Baba se karo jake. Wah baat Baba se nahi kah sakti jo baat hamare saath hui hai. Wo baat keval ladli ji se kah sakti hai aur wahi hamara nirnay kar sakti hai. Haan to koi gambhir baat hai. Gambhir baat hai isiliye to maharani ji koi gop sundari ai apne ko bol rahi aur wo aapse apna nyay karvana chahti hai. Aadar purvak usko lao. Pushpo ke pavde jahan the wahin se gop sundari ko ghunghat itna kiye hue hain kyonki ladli jo ke samne netr chapalta inki khul jati hai to itna ghunghat kiye hue hain.

aadar se satkar purvak parashwa mein ek simhasaan asan dalwaya aao tum hamari atithi ho tumhara swagat hai. Baitho kuch khao piyogi hriday jal raha hai. Khain piye kya nahi baat kya ho gayi aisa kya hriday jal raha hai kuch aapko nahi hamari pehle baat sun lo aur nyay kar do bas ho gaya accha sundari tumhara swagat hai swagtam te sakh subhe namdham badasme bhu bhagyam mamwa bhatyagat swagat se swagat hai. Sundari tumhara swagat hai. Mujhe aisa lag raha hai mere bhagya se tum ai hui ho. Kyonki jab main tumhare jo ang khule dikhayee de rahe hain unko dekhti hoon to mujhe vishesh sukh milta hai.

jisse mere pritam ke sukh mere pritam ki smriti aapke darshan se aa rahi hai. Tat samanam divya rupam drishyate nahi bhutle yat vase sun dhanyavat sundari tumhara swagat hai. Bhutla par tumhare saman divya rup nahi ho sakta. Subhru tum jaise sundari kahan nivas karte hain? Dhanya hai wah nagar jahan tum nivas karte ho. Priya ji itna kyon? Kyonki Shyam varn ne anguthi pahne hui hai. Shyam varn ki kant anguthe se to Priya ko apne lal ji ki yad aa rahi. Pritam ki yad aa rahi. Prabhu ki yad aa rahi hai.

tum apne aagman ka karan vistar purvak batao. Mere yogya jo karya hoga main avashya karungi. Tumhari chal dhal bahut sundar lagti hai. Priya ne ate dekha tha tumhari chal dhal bahut sundar lagti hai. He vrishabhan Nandini shubh main tumhen kaise batau? Shayad tum bardast nahi kar paoge. Nahi bolo na kya baat hai pucha mera nagar kaun sa hai to sun lo main Gokul mein jo nand ganv paas mein hai nand bhavan mein uttar disha mein mera nivas hai main gop devi kahlati hoon maine Lalita ji ke mukh se tumhari mahima suni hai ki tum nyay theek karti ho badi karunami ho aapki rup madhuri gun madhuri chanchal lochne pradhan uddeshya to tumhara darshan hai aur dusri baat ek shikayat karni hai nyay lena hai hamen kamal lochan jahan lalit lavang lata ki sugandh chhaa rahi hai gunja nikunj mein madhupon ki madhur dhvani se yukt kanj pushp khil rahe hain yah Radha nivas aaj maine andar dekha.

jeevan mein pahli bar dekha hai. Meri ankhen nihal ho gayi. Aisi to koi puri nahi hai. Chahe Devraj indra ki kyon na ho. Ab wo varta kar ladli ji se gop devi ne kaha meri ankhen to sarthak ho gayi shital ho gayi par mera hriday jal raha hai kya ye jo nand ganv mein ek Shyam sundar hai aapne suna hoga shri ji savdhaan hui roz hamko pareshaan karte roz pareshaan main nahi chahti main to unko dekhna bhi nahi chahti bolna bhi nahi chahti lekin wo roz hamari taraf dekhte hain bolte hain aur hamko tang karte hain ab tum hi batao kisi bhale ghar ki Lalu bhale ghar ki kisi ko aise ab yah baat to Baba se nahi kah sakti na.

shri ji ne kaha ki nahi nahi aisa nahi hai. Aap jaisa kah rahe ho vaisa nahi hai. Main dukh nahi hoon. Aur Lalu maharaj jo hai na dukh ko prakt karne lage. Dekho gop devi tum khinn na ho. Main tumhen thes nahi pehchan rahi hoon. Kalyani tum phir se apni baat batao. Hamen lagta hai ki tumhen aur jagah dukh pahuncha hoga. Nand nandan se nahi. Tum apne dukh ka karan batao. Ek baat sachchi samjh lo. Shri Krishna aur shri Krishna bhakt in do ke siva agar kisi ne tumhen dukhi kiya hai to main dand de sakti hoon.

par aisa shri Krishna ke dwara aapko dekho agar tum banavti baat kah rahe ho to tumhen jo hathi, ghoda, rath, sona, ratna chahiye sab le jao. Sahi baat batao. Nishchal bhav se jaise maine tumhen apna mitra mana waise hi tum mitrata ka bartaav karke batao. Dekho shri ji ne kaha ki tum hamare mitrata mein kapt na agar jo mitrata mein kapt karta hai usko dhikkar hai. Gop devi ne kaha Radhe barsanagiri ki ghatiyon mein manohar sakli gali hai. Khuli baat tumhen batayen. Abhi tak to ham gupt bata rahe the.

main dahi bechne ja rahi thi. Itne mein nand ka aa gaya nau tarun to hai hi hai aur aap to janti sundar bhi hai. Aap hi hai ki main sundar hoon ki nahi shri ji aise karen. Aap jante ho sundar bhi hai. Usne rok liya mujhe aur ghunghat karke jaise leela purvak are main to Sharma gayi uske hath mein bansi thi, bet thi us rasik shekhar lampt ko lajja ki to tilanjli hi de di. Mera hath pakar liya aur jorjor se hath marodne laga aur kahne laga sundari main is kar lene wala hoon is vith ka gali ka. Maine kaha are goras lampt main kadpi kar nahi dungi.

bas itna kahna tha ki usne sir par se zabardasti dahi ka maat utar dala, phod dala aur mera purane jamane ka wo maat tha aur dahi pi liya. Phir jo baat ham aapko batayen usne meri upar se chunriya khinch li. Ab main laj ki mari kuch kahi nahi. Wah tumse dil ki baat batane ai hoon ki wo kaise hain. Waise batao na yah nand ka hai to gwala hi shri ji ekdam saham gaye pritam ke liye aisa aur koi khas dhanvan nahi hai. Na susheel hai na swaroop hai. Apne ko bada sundar samjhta hai. Aise purush se kahin prem kiya jaata hai kishori ji se.

aap thoda sahyog kijiye. Seth ji se kaha aap thoda sahyog kijiye. Yah theek rahega nahi. Jab aise vachan bole to ladli ju ko bada vismay hua aur kaha sakhi jinki prapti ke liye brahma shiv aadi bade-bade devta utkrisht yog riti se nana prakaar ka tap karte hain. Dattatrate Sukhdev kapil asuri angira ye bade-bade jinke charnarvind ke makrand ras ka pan karne ke lolup hai tam Krishna mad pursham paripurn devam leela avatar mata mar haram jana naam tum aise ajnma paripurn param dev leela avatar sarv jan dukh hari bhutla bhaar harankari sant purushan ke ekmatra aradhya dev tumne shri Krishna ki ninda hamare samne kaise kar di?

shri ji ne kaha tumne shri Krishna ki ninda kaise kar di? Tum kahti ho gwale hain. Are brahma ji jinki charan raj ki vandna karte wo gwale hain. Unhone gaun ka aadar kiya. Gaun ka palan kiya. Goraj ki kitni mahima hai tum kya jante hain? Goraj ka sparsh hote hi wah param pavitra ho jaata hai. Jiske mathe par goraj lagti hai. Gaun ka uttam naam jo jap karta hai wo Golok bihari ko prapt hota hai. Din raat gaun ka sundar mukh darshan unki seva yah bhagwat prapti ka swaroop hai. Meri samjh mein tumhari buddhi theek nahi.

tumne gop jati kah ke avhelna karna chaha. Tum kahte ho kala Shyam sundar shri Krishna ki Shyam prabha vilasit sundar kala ka darshan karke bhagwan neelkanth shankar ji sanak sanandan sanatan are jatajut halahal vish bhasm kapal aur sarp dharan karne wale unki sundarata ke piche ghumte hain. Swarg lok siddh muneeshwar yaksh gandharv marudag nar kinnar kaun aisa jo hamare shri Krishna se mohit na ho jae utkrisht aishwarya saundarya madhury tu kaise bol diya tum kahti ho nirdhan hai are sara vaibhav unhee ka hai tu abhi mere shri Krishna ko nahi janti tu kahti koi khas nahi vatsasur agasur Kaliya nag bakasur yamlalarjun vriksh tanavat sasur Putna inko param padvi pradan ki jo ghor raaksasi swabhav ke the khas nahi hai un murari ke liye tum apyas wale shabd bole koti koti brahmand samuh ek ek rom kup mein jinke vas karte hain unko to kah rahi khas koi dhanvan nahi Purushottam kah rahe ho ki wo kis prem karne layak nahi are bade-bade vaibhav ko thukra kar bhakt log shri Krishna ke charnon ki aradhna karte hain.

tum bhakti ke rahasya ko nahi jante. Unki ye kripa hai ki wo apne bhakton ko pyar karke unke piche piche dolte hain. Shri Krishna susheeli hi nahi samasth loko ke sujan samuday ke chudamani hain. Ve apne bhakt ke piche chalte hain. Apne rom rom ko lok ko pavan karte hain. Wah paramatma hai. Tu kaise bol gayi? Gop devi boli shri Radhe main dukh to nahi pahchana chahti. Waise to tumhari buddhi to Brihaspati ka bhi uphash kar rahi. Itni praveen hai. Vani kala kaushal bolne ka? Shri Radhe. Hamen lagta hai tumhen shri Krishna se prem hai kya?

kyonki tum baat sunte hi aisi tumhen bahut vishwas hai shri Krishna pe tumhen prem hai shri Krishna se shri ji ne kaha mujhe prem hai shri Krishna se aur mujhe vishwas hai shri Krishna pe kya tum bulaoge shri Krishna upasthit ho jaenge haan isi kshan yathagti yada har paresh kim kar chedagmo nahi bhave dhan malin swam sarv dhanam cha bhavnam cha dadamityam o ho ho tu meri pariksha leni chahti hai sun sakhi mere bulane se mere shri Krishna tere samne upasthit ho jaenge. Agar wah nave na mere smaran karte hue to yah jeevan yah dhan sab nichhavar kar kitna prem hai shri ji se kah rahi chedagmo na bhavet dhan malin to swayam sarvam dhanam bhavnam dadamitabhyam main tumhari sevika ban jaoongi sab kuch arpit kar dungi agar mere bulane par shri Krishna aae ath Radha samay nava shri nand nandnam upwisne dadhya dhyan lochna usi samay shri ji ne aankh mund liya aur prabhu shri Krishna ke dhyan mein magan ho gayi.

shri Krishna ka man hi man chintan karke unke dhyan mein dubi aur nishchal ho gaye. Wo to samne hi baithe gop devi ke rup mein dekho ab to mamla badh gaya shri ji to dhyalasta ho gayi aur shri ji ke ankhon se ashru pravah hone lage utar kar phenk diya sab devi ka bhikalte hue ke baith gaye aur gambhir vani mein bole Priyaju ladli jo shri Radha shri ji aankh khol ke dekha wahi mor mukur unko kya der lagti hai chandravadne pran priy manu sheele priy Radha dekho main tumhare samne aa gaya hoon aankh khol kar dekho.

haan pritam samne dekha. Mujhe vishwas tha. Aap chintan karte hi aa jaoge. Kahan gayi wo? Gop devi wo kahan gayi? Bahut ninda kar rahi thi. Kahan gayi? Prabhu ne kaha jo tumne chintan kiya main waise to banseebhat mein tha. Par main abhi yar kam se kam samne to jhooth mat bolo. Waise to main banseevat mein tha. Main turant sahab ke dhyan ke karan hi maine dekha ek abhi gayi. Kaun thi wo? Koi devangna thi, koi mayavini thi aur mujhe lag raha tha ki koi achhche vichar wali nahi thi. Jab gop devi ke rup mein aae to Shyam sundar ke liye bole aur jab Shyam sundar ke liye aae to gop devi ke rup mein jo gaye.

waise ham aapse kahte hain ki aise idhrudhur ke ghumne valiyon ke baton par vishwas nahi karna chahiye. Shri kishori jo parmanand mein magan ho gayi aur lal ji se hriday se mile. Sakhiyon se kaha gop devi bahar nikli jo phool chhadi liye hui khadi unka ate andar ate to dekha to bahar nikelte hue to nahi dekha to shri Krishna se kaha aapne dekha bole haan nikelte maine bole hamari sakhiyon ne to nahi dekha kaun gop devi thi to kaha kshma kijiye main hi gop devi ban ke aaya tha to shri ji ke hriday se lage aur shri ji se kaha isi ke age raas leela hai.

shri ji se kaha ki he rasheshwari aapki upsthi ke bina hamne gopiyon se jo vachan diye hain ki aapko shrad purnima ki ratri mein raas utsav mein sammilit karenge. Aapki upsthi ke bina raas nahi. He pyari ji aap kripa karke jo yah ratri hai shrad purnima ki ismen aap padhare aur samasth raas sukh gopiyon ko pradan karen. Prabhu shri Krishna ke saath hamari maharani jo aur anant anant braj yuvatiyaan yah adbhut premay jo raas hai ye prem ki charm avastha hai ye ras ki varsha hai anand ki varsha hai dampati ati anand bas prem mat nishank kreedat yahan anand ki matta hai ye sab vikaro ki to sadhna kal mein sadhako ke hriday se nivitti ho jati hai phir bhav deh ki prapti jaise sakha bhav ya vatsalya bhav ya das bhav ya gopi bhav ya sahachari bhav de chidanand hota hai.

wahan sab vikar hote hi nahi hai. Vikar ki kalpna hi nahi hai. Ye maha prem ka swaroop rasotsav maha prem ka swaroop hai. Bhagwat kripa se jo age charcha hai wo raas ki hi hai. Ham log bade saubhagyshali hain. Jo Vrindavan ki bhumi mein raas bhumi mein baithkar raas charcha karne ko aur sunne ko milegi. Bahut bhav se sune pyari jo pyare ju ki is charcha ka phal hai ki sada sada ke liye hriday rog nivraat ho jae. Ham bhagwadakaar bhav mein ras mein doob jae. Shesh charcha ki shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi