॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan ko adhin karne wali 8 prakaar ki nishthaen / akrur ji dwara bhagwan shrikrishna ki stuti / 31/10/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hrid pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital maya param shital ma Shyam param sacchidanand ghan swaroop premandmay shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke yugal sarkar shri shyama Shyam samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein kotish pranam koti naman namaskaar shri swamini ladli priyaju apaar kripamai har samay ham kripa ka darshan karen. Jab tak ahankaar hai tab tak yah adesh bhi shastr ka hai ki aap sudhar kijiye aur jab aap ahankaar galit sthiti mein ate hain to ajat pakshayu matram khga jaise ghonsle mein baithe hue jiske abhi pankh nahi nikle wo chhota sa bachchha kya kar sakta hai aur uske liye kuch karne ka adesh bhi nahi hai.

sachchi sharanagati isi sthiti ki hai. Ajat paksha matram khga jaise chhota bachchha panchhi ka keval maa ki bat jo hota hai wahi dana wahi jal ka bund lakar uske mukh mein dalti hai. Aise hi yogkshem vamyam hamare prabhu ham bas prabhu ki sharan mein yah jeevan prabhu ko arpit hai. Wah jaisa rang chahe vaisa chadha den. Par yah sharanagati bahut uchh koti ki hai. Yah koi sadharan baat nahi hai ki bilkul bhagwat ashrit. Apni buddhi apna man apna aham prabhu ke charnon mein samarpit ho gaya. Bahut uchh koti ki sharanagati hai.

ajat paksha matram khga. Ab prabhu uske hriday mein baithkar ke bhagvatik karyo ka anusthan karate hain. Jisse jagat mangal hota hai. Par jab tak hamare ko aisi bhakti ki sthiti nahi aati hai tab tak hamen asatmon se apne aap ko bchane ki cheshta karna bhagwan ke bal se aur satkarmon ka adhik se adhik samay anusthan karna naam jap naam kirtan bhagwat leela katha shravan bhagwat leela katha gayan aur Priya pritam unki seva seva ke kai vibhag hain. Ek hai prabhu ki chavi seva, ek hai naam seva, ek hai prabhu ke shri vigrah ki seva aur ek hai sara jagat prabhu meny hai.

sare jagat ki seva. Sare jagat mein mata-pita bhai bandhu rishte nate aur jo bhi jan hain pashu pakshi sab aa jaate hain. Hamari seva hi seva hai. Chahe vyapar ho ya nokri ho ya koi bhi kriya ho yadi ham use Priya pritam ke bhav se karte hain to wah seva hi ho jati hai. Wah hamare sansaar bandhan ko katne wali ban jati hai. Isliye upasak ko jab tak aham galit na ho jae tab tak bahut savdhani ki zaroorat hai. Yah man bada dusht hai. Dusht isliye hai ki sukh sindhu bhagwan ko chhodkar ye bhogon ki taraf bhagta hai.

aur aisa bhagta hai ki pakar mein nahi aata hai aur hamko pakar ke bhogon mein dal deta hai. Na wahan sukh milta hai na shanti milti hai. Ek aur naveen trishna naveen kamna jagrit ho jati hai. Isliye jahan tak ho sake is man ki pakar mein tum mat aao. Tum man ko apni pakar mein rakho. Tum man ki pakar mein aa jaoge to tumhara patan ho jaega. Aur tum man ko apni pakar mein rakhoge to tumhari unnati ho jaegi. Adhyatmik unnati, laukik unnati sab pavitra aacharan wale ko prapt hoti hai. Papachari ko jo laukik unnati dikhayee deti hai wo keval uske punyeon ke kshay tak ki baat hai.

jahan punya kshay hue ta uska wo patan hoga jo wo socha bhi nahi hoga. Aur dharmatma purush ko vartman mein dukh mil raha hai to yah uske purv ke paap krit parinaam hai. Jahan paap krit parinaam sampann hue aur vartman ka punya aur piche sanchit punya wo bahut anand mein rahega. Isliye kabhi dharm ko mat chodo. Satya ko mat chodo. Pavitra aacharan, pavitra chintan hamara bhagwat swaroop sthiti mein yah zaruri hai. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain yah Vrindavan dham Baikunth se bhi shreshth hai. Prakti par vikuth dham durat ramad madhya rasadbhutam rahasyam i nij kripya vistashta Vrindavan midma vasta sata prapde maya trigunmay rachna niche ke sat lok upar ke sat lok yahan se lekar brahmlok tak yahan se lekar patal tak ye aise anant bramhandon ki rachna sabse shreshth prakriti se pare bhagwan ka nij dham vaikunth aur vaikunth mein bhi jo maha sukh nahi hai Priya pritam ka mahadhury ras wo Vrindavan dham mein hai.

yah adbhut rahsyamay Vrindavan hai aur yah kripa karke prithvi mein prakashit hai. Arthat bhutla par Harivansh mahaprabhu ne bhi kaha hai jaise hit Harivansh vipin bhutla par santat avichal jori is prithvi par virajman Vrindavan mein hamari jodi Priya pritam nitya vihar paraayan hai. Isliye ham satpurushon se prarthna karte hain ki yadi aapka isi janm mein bhagwat prapti ka bhav hai to aap Vrindavan se sambandh jod lijiye. Vrindavan se apnapan kar lijiye. Vrindavan ka aashray le lijiye. Vrindavan ko naman kijiye. Vrindavan ka vas sweekar kijiye.

do din teen din char din mahina sal jeevan jitna aapko shri ji paas de de utna Vrindavan vas kar lijiye par Vrindavan se sambandh kar lijiye ye vaikunth se bhi shreshth bhutla par virajman Priya pritam ka nij mahal param rahsyamay aur param karunamay hai. Hat hriday nimajya hant Vrindavan bhumi nirmal chidsa vishay vish durasya naya tam kamit masav tano dukh sindhu he bhai manushya sharir prapt karke tum durbhagi na kahlao. Durbhagi kaun? Jiske jeevan mein bhajan nahi hai. Bhagwan se sambandh nahi hai. Sambandh jo hamara hai wah swikrat ho jae.

main shri bhagwan ka shri bhagwan hamare he nath aapke siva koi hamara nahi. He nath main sarvto bhaven aapka hoon. Yah sambandh agar yah sambandh nahi swikrat hua to durbhagi kahlaoge. Kitne bhi patit ho bhagwan se sambandh ho jae to bhagwan ka naam patit pavan hai. Hamara nata jud gaya. Ham patit hain aur hamare prabhu patit pavan hai to swabhavic siddh nata jud gaya. Agar hamare hriday mein prabhu se tanik bhi sambandh nahi hai to isse bada durbhagya aur koi nahi ho sakta. Shripad kah rahe hain hat hriday bada durbhagya hai nimajya hant jo maya ke bhogon mein kud rahe hain.

maya ke daldal mein kud rahe hain. Prabhu se vimurkh hai. Yah hant hriday inka bada durbhagya hai. Hai jo chidanandmay ras pradan karne wala shri Vrindavan dham hai. Aise dham mein na akar aise dham ka aashray na lekar satsang na sunkar vishyon ki vishay durasha mein apne jeevan ko nasht kar rahe hain. Yah hant hriday hai. Ye durbhagi hai. Hai inka jeevan vyarth ja raha hai. To hamare jeevan ki sarthakta kya hai? To kah rahe sva sadhu milte shoti kathya sayo madhuri shri Vrindavan mavse mam samadhya na sarwatmana sad bandhu param sam pad guru sarvasv bhu sam ta niptam dandav sarwabhimanita aise santo se milo jo bhagwan mein apne chitt ko arpit kiye hue hain.

ab hamari to samarth nahi ki aise sant kahan ham khoj le to ham bhagwan se prarthna karen ki aapke jo premi bhakt jan hai unse hamara sambandh kar unka darshan unka sambhshan unka milna hamare jeevan ka param mangalmay shripad kah rahe jo isht prem mein mat wale hain. Aise santo ka milna bahut durlabh hai. Aur vihaar aur anusthan aur sab theek hai. Dharmik pravritti bahut sundar hai. Sant nahi karenge to aur kaun karenge? Par yahan jo baat kah rahe hain wah thoda alag hai jo keval isht prem mein mat wale hain jo taj lok dharm dharmam bhajas satatam taj lok dharman sevan sada sadhu purush jah kam trishna kamna trishna ka tyag karke lok dharm ka tyag karke keval bhagwat dharm prem dharm mein jo sthit hai aise sant sant mahatmaon ka sang prapt ho aur unse judkar ke apna jeevan unko samarpit karke unki agyaa ke anusaar pranadhar pranesh yugal sarkar ki madhuri leela rup mahatam ye ham sune gune aur man mein dharan karen ham durbhagi kab nahi kahlaenge ham hriday kab nahi kahlaenge jab ham bhagwat premi mahatmaon ka sang paye aur unke shri mukh se priyal pranesh yugal sarkar ki charcha sune naam kirtan karen khub naam jap karen aur unki seva mein apni vritti lagaen jab is prakaar ham atma samarpan ke dwara shri Priya pritam ki aradhna karte hain samyak rup se to param guru param sad bandhu hamare Priya pritam ye hamare sad bandhu hain.

asad bandhu nahi hai. Ye hamare param guru hain. Guru ke bhi guru hain. Param guru jeevan sarvasv yah kripa karke hamare abhiman ka nash kar dete hain aur ham unki rup madhuri ka darshan pate. Bina dehabiman nasht hue bhagwat sakshatkar nahi hota. Jab ham bhagwat premi mahatmaon ka sang karte hain, unke mukh se bhagwat charcha sunte hain. Unke shri mukh se sadhan ka updesh pate hain. Aur waise hi ham sadhna karte hain to hamara dehabiman galit ho jaata hai aur ham shri Priya pritam ka sakshatkar kar pate hain.

unke charnon mein lautne ka avsar milta hai. Isliye sadaiv ham naam mein ho ya vani ji mein ho ya Priya pritam ke rup mein ho ya leela shravan leela gayan naam kirtan isi abhyaas mein ho to hamara durbhagya sadbhagya mein badal jaega. Hamara jeevan mrit amrit ki sthiti mein aa jaega. Hamara jeevan asad hai. Sad mein sthiti ho jaegi. Hamara jeevan tam mein hai avidya andhkar mein yah tejomay ho jaega. Isliye hamara jeevan bhagwat swaroop ho jae. Yahi hamara lakshya hai. Prayah log ekantik mein prashn karte hain ki safalta jeevan ki kya hai?

safalta jeevan ki brahma bhi ban jana nahi hai. Safalta jeevan ki hai pratiphal madhur madhur bhagwan ki smriti. Har samay hamare hriday mein bhagwan ka smaran ho raha hai. Isse badi aur koi safalta nahi. Yahan to sab nishphal hai. Chahe jitni jamin ho tumhare chahe jitna rupya paisa ho chahe jitna bada pad ho jo jo bhi sab yahan se chhin karke tumhen bheja jaega. Kuch bhi tum saath nahi le jaoge. To asfal hue na safalta to hai jo hamare saath sukh rah sake wo hai bhagwat sukh jo saath rah sake wo bhagwat naam bhagwat leela gun shravan bhagwat leela gun gayan bhagwat bhav se samaj ki seva yah aapke saath rahegi atah ham apne jeevan ko durbhagi na bankar sadbhagi banain kaise satsang ke dwara prapt upasna ke dwara nirantar abhyaas rahkar ham bhagwat prapti karen.

pujypad shri odiya Baba ji maharaj mahapurushon ke vachan hamko hamare marg mein dridh karte hain aur hamare jeevan ki kamia wo hamen dikhate hain aur hamen bal dete hain jisse ham un kamiyon ke dwara apna jeevan jo nasht kar rahe the usse ham bacha lete hain. Pujypad Baba koi ek nishtha to honi chahiye upasak mein pujya Baba ke vachan aath prakaar ki nishthaen bhagvatik hoti hai. Inme koi ek nishtha to honi chahiye aap mein. Jaise gyan nishtha dusri vairagya nishtha tisri satya nishtha chauthi jap nishtha panchvi dan nishtha chhathwi guru nishtha satwin bhakti nishtha athwin samadhi nishtha dhyan nishtha koi ek nishtha to mat naam nishth har samay naam ki pradhanata jeevan mein hai.

har samay naam jap mein hamara sab kuch naam hai. Naam nishth mein sab kuch naam hai. Hamara sadhan bhi naam hai. Hamara sadhya bhi naam hai. Jaise sevak ji maharaj sampurn sadhna keval naam ki. Shri Harivansh chandra shubh naam sab sukh sindhu prem ras dham jam ghati bisre nahi sevak ji kah rahe hain yah jo par sahaj swabhav shri Harivansh naam ras chav nav sudridh bhav taran ko yah Harivansh naam param mangal param shubh bhagwat prapti karane mein samarth hai. Bhagwat prapti yahan Priya pritam ki seva Priya pritam ka anurag Priya pritam ke samip rahna sevak ji kah rahe hain main atho pahar keval Harivansh naam japta hoon shri Harivansh chandra shubh naam sab sukh sindhu prem ras dham jam ghati bisre nahi ek kshan ke liye bhi naam na bisre bole ya jo par sahaj swabhav mera to swabhav par gaya hai shri Harivansh naam ras chao atho pahar naam ras ye naam nishth har samay Harivansh naam mein vansh bina hari naam ho leo na jaki tek pave soi vastu ke ko jako hai vat ek aisi

nishtha shri Harivansh shri Harivansh shri Harivansh Harivansh naam bire na chhin shri Harivansh sahai bhal ek kshan ke liye bhi naam na chhute pragat dharm jaise janie shri Harivansh naam jahie naam siddhi pahchanie shri Harivansh naam sab siddhi sab rasik bil nau nid bhugat deh na jachah poshan bharan chint karae shri Harivansh vibhav bilsae shri Vrindavan ki madhuri Harivansh dharm usi ke hriday mein prakt hai jiski jibhya pe naam virajman hai pragat dharm jaise janie shri Harivansh naam ja is Vrindavan nitya vihar ras ki prapti ke liye pehle shri Harivansh sunam kaho Harivansh sudharman sang lao Harivansh dharmiyon ka sang ho aur jibhya pe naam ho naam nishth raat din naam mein hi ek nishtha koi to pakdo gyan nishth main brahm hoon dusri koi baat nahi brahm satyam jagan mithya aur wo satya main hoon gyan nishth vairag nishth yahan se lekar brahmlok tak ke samasth bhogon ka vairagya wo vairagya nishth satya nishtha vani se satya bolna satya aacharan karna satya chintan karna dan nishth puri udarta det let man shankh na dharai

bal anuman sada hit kar kabhi koi samne se vimurkh nahi ja sakta agar uske paas mangne aaya agar pran dena pare to pran bhi de de use dannishtha kahte hain. Aise kitne dannishtha mahapurush hue guru nishtha hamare jeevan dhan hamari sadhna hamara sab kuch hamare Gurudev hai. Param aasakt Gurudev ke koi ek nishtha bhakti nishtha ya samadhi nishtha ye aath nishthaen hain. Pujya padu Baba kah rahe sadhak mein koi ek nishtha to honi chahiye. Apne andar dekhna chahiye kaun si nishtha hai? Gyan nishtha, vairagya nishtha, satya nishtha, naam jap nishtha, dan nishtha, guru seva nishtha ya bhakti nishtha ya samadhi dhyan nishtha koi ek nishtha honi chahiye.

aur ek hi nishtha rahti hai. Nishtha do prakaar ki nahi hoti. Ek hi hoti hai. Apne mein kabhi badappan ka bhav na lave. Kisi bhi tarah se jahan badappan ka bhav aaya wahi patan shuru ho jaata hai. Jahan ye laga ki main kuch bada ho gaya to phir gir jaata hai. Ya to sabse bade bano. Itne bade bano ki pure vishv brahmand anant bramhandon ko apne aap mein samaahit kar lo. Wo hai brahm bodh. Mere siva koi hai hi nahi aur ya itne chhote bano tanaduch beech wale sab piste hain chhote ban jao bhakti bade ban jao gyan itna bade ban jao ki koi dusra bacha hi nahi aap hi aap keval bache apne mein badappan dekhna dusron ko he bhav se chhota dekhna dusron mein paap aap drishti rakhna, dusht buddhi rakhna, nich buddhi rakhna yahi durdasha hai.

kachu sadhako mein dosh paye jaate hain. Wo dusron ko papi dekhte hain. Dusht dekhte hain. Nich dekhte hain. Apne ko accha aur bada mante hain. Sarvatra apne isht ko dekhen. Ninda stuti paap nich uttam adham ye sab malin maya ka chintan hai. Pujya Baba kah rahe hain aath nishthaen vihaar mein savdhani apne ko chhota samjho ya sabse bada sabko samaahit kar lo apne aap mein mere siva koi nahi. Yah hai brahm bodh ya sabse chhota ban jao. Tan se nich apan ko kahat aur phir yah aath prakaar ke sadhan karo. Sadhna mein ye aath sadhan bahut upyogi hai.

pahla jo aap sadhna kar rahe ho usmen dikhavat pana nahi ana chahiye. Kisi bhi tarah ki koi yah akripa ka lakshan hai. Shri sevak ji maharaj ne varnan kiya hai. Sab jag dekh chahe ka kaho hari bhakti binu priti kah nahi ai shri Harivansh kripa bina bole sare jagat mein dekhte hain ham kisko kah de ki bhakt nahi sab bhakt hai hari bhakt hai kyonki sab rupon mein hari hi virajman hai par ham priti nahi dekh pate sevak ji kah rahe kahin hamen priti nahi dikhayee de rahi ki bhagwan ke prem mein mat wala hai koi bhagwan se prem chahta phir bole yah sab akpa ka lakshan hai.

bhakti to ho rahi hai. Bahut ho rahi hai. Kaa ka hari bhakti bin bhai ek lota jal bhi chadha de to bhakti hi hai. Koi vishay ki bhakti kar raha hai. Koi bhagwan ki bhakti kar raha hai. Vivid prakaar bhakti to ho rahi hai. Par hari priti wali nahi. Hari priti nahi to bole yah akpa ka lakshan hai. Bahut gaan bajan ho raha hai. Lekin wah sansaar ke logon ko rijhane ke liye hari rijhane ke liye nahi gavat geet rasal taal shobhit prit binu dekht sakal abhag shri Harivansh kripa bina bahut sundar sundar geet gaye ja rahe hain lekin wah sansaar ke rijhane ke liye wo abhag hai khub rag raginiyon ka gyan ho sab abhag hai.

yadi priti purvak prabhu ko sunane ka bhav nahi aaya to koi swad nahi usmen vishay purushan ko swad bhale mil jae jahan mahapurushon ki sabha mein gane ka adhikar nahi milta ho sab vyarth ho jaata hai. Chahe jitni rag raginiya ho rag ragniya aap ga lete ho lekin bhagwat bhakton ki sabha mein nahi to tumhari rag ragniyon ko koi mahatva nahi wo akpa hi hai kripa nahi hai Swami ji maharaj jab bihari ji ko pad sunate the tansen jaise unke shishya the sakshat prem ras ki varsha hoti thi keval bihari ji ko sunate the unka sunana keval bihari ji ke liye tha.

jab ham prabhu ko sunate hain to hamara tuta phuta rag bhi bhagwan sweekar kar lete hain. Aur bahut badhiya swar hai. Bahut badhiya rag ragini hai. Lekin prabhu ke liye nahi sunaya. To wo abhag hi hai. Dekht sakal abhag. Bahut badhiya nach lete ho. Bhakti mein nritya bhi ek 64 angon mein bhagwan ki bhakti ka gun hai ki ham apne prabhu ko nritya karke nritya ke dwara rijhate hain. To yadi ham keval prabhu ke liye nritya kar rahe hain to hamari bhakti pusht ho rahi bhagwan kripa karenge aur yadi logon ka yah andar ka bhav hai bahar ka nahi logon ke dikhane ke liye aapka nritya ho raha hai to nachat rasal taal na shobhit prit bin jan bandhe janjal shri Harivansh kripa bina gavat geet rasal bhaal tilak shobhit ghana aise varnan hai aap bahut aise nach rahe hain to bole aisa lag raha hai jaise jal se apne ko chhuda rahe hain yadi prabhu ke liye nritya kar rahe ho to aise waise kaise bhi karo dekhkar khush ho rahe hain ye abhag hai darshan bhakt anup rup sushobhit prit bin bhram bhatkat bhoop shri Harivansh kripa bina bahut sundar bhakt ka rup dikhayee de raha hai lekin bhagwan se priti nahi hai ho sakta hai bade-bade raja maharaja aapke rup par prabhavit hokar aapko bada bhakt man le lekin abhagya hai tumhara akpa hai tumhare upar kyonki tum bhagwan ke das kahlakar bhagwan se priti nahi kar rahe ho prabhu se apnapan nahi kar rahe ho to ham akripa ko samjhe aur kripa ko samjhe.

hamare andar akpa ka bhav bahut zyada hai. Dikhava sadhan mein aath niyam bahut upyogi hai. Pahla dikhavat na hona. Hamari koi bhi sadhna dusron ke dikhane ke liye nahi honi chahiye. Prabhu ko prasann karne ke liye honi chahiye. Ham poshak pahnate hain apne prabhu ke sukh ke liye. Ham prabhu ki seva karte hain. Prabhu ke sukh ke liye. Ham naam kirtan karte hain. Leela katha jo bhi wo sab apne prabhu ki prasannata ke liye karte hain. Jagat ke dikhave ke liye nahi hona chahiye. Dusra brahmcharya palan. Yah to bahut hi bahut hi kathin vishay hai.

pahla hai dikhavat na karna. Sadhna mein aath ye upyogi sadhan hai. Pahla dikhavti pana na hona chahiye. Kisi bhi sadhan mein kisi bhi sadhan mein. To ham dekh rahe hain ki apne logon mein dikhavti pana bahut badh raha hai aur yah dikhavti pana bhagwan se vimurkh kar deta hai. Sevak ji maharaj likh gaye mul na mantr tatora ki riti dharm puchhat badan duravat mul na mantr tatora ki riti tatora mane idhar se pakar liya udhar se pakar liya udhar se pakar liya siddh ban gaye mul na mantr tatora ki riti aur dharm na puchhat badan duravat aise na waise rahe majhre dho na idhar ke rahe sansaar ke aur na sanyaas ke rahe beech mein jeevan vyatit ho jaata hai isliye bahut savdhani ki zaroorat dikhava nahi hona chahiye chahiye.

dusra sadhan hai brahmcharya ki bhagwan ki kripa ke bina yah pusht nahi hota. Bhagwan ki kripa ka aashray lene ke siva ismen apni koi bhi chal nahi. Bhagwan ki kripa ka bal ho aur apni savdhania ho to is par nirvah ho sakta hai. Kripa bal bahut zaruri hai. Ahankaar se to kuch nahi hone wala. Kripa ismen kripa zaruri hai kyonki ye sabse bada vrat hai. Sabse bada vrat aap nau din bina jal ke rah sakte hain. Jal pe rah sakte hain. Bina jal ke bhi rah sakte hain. Lekin aap jeevan mein brahmcharya rah sakte hain.

yah badi baat hai. Yah jo brahmcharya ka palan hai yah bahut kathin hai. Bhagwan jis par vishesh kripa kiye hue hain, jo vishesh bhagwan ka kripa patr hai, wahi is vrat ko dharan kar sakta hai. Ham man sakte hain ki aap nirjala rah sakte ho, aap phalahar rah sakte ho. Lekin aap brahmcharya rah sakte ho. Yah keval bhagwan ki kripa se kyonki ye ek do din wala vrat nahi hai. Ye aajeevan wala vrat hai. To kabhi na kabhi kisi na kisi mod par kahin na kahin agar ham phesal gaye to phir pura vat tut jaata hai. Yah bahut balu ka bandh hai.

balu ka bandh jara sa surakh hua pura bah gaya. Ye balu ka bandh hai. Par yah dusra bahut upyogi sadhan hai. Chahe wo brahm gyan ke marg mein chahe ashtang yog ke marg mein chahe bhakti ke marg mein zaruri hai. Aur ek isi mein ham jod karke bata rahe hain. Ki ek hota hai ki ham brahmcharya se chal rahe hain aur ek hota hai hamen jaise chalaya jae waise ab ham aapke hain. Hamko na brahmcharya se matlab hai na hamen kisi sadhna se matlab hai kyonki hamne apna sharir apna man apna pran apna jeevan aapko de diya.

ab aap dekh lo kaise chalana hai. Yah usse bhi jor ki baat hai. Yah usse bhi jor ki baat hai. Ab ye samjh mein aa jae to aa jae. Yadyap bhakt anannya jo vishay indriy bas hoe karmth koti jitendra te samlayan ko ismen har sthiti mein anand rahta hai. Hamare andar bahut dosh hai. To aise drishti jati hai. Priya pritam dekh lo aap. Aapka ye makan hai. Ab mera to hai nahi. Main bahut nich hoon. Kyon nahi chu ab jab main bacha hi nahi hamne aapko de diya aapke naam mein makan likh diya hai ab aap use gerua poto pila poto aap jaisa manao usko usmen putai karao aap ismen prem rang dalo kam rang dalo dushtata dalo uchchata dalo ab aapke bas ki baat hai jai shri Radhe main aapka hoon yah usse bhi jor ka vrat hai yah usse bhi jor ka vrat hai je bya ja Bali so sukanth pun keen kuchali soi kartut vibhishan keri sapne Ram na tan tanri Nityanand mahaprabhu bachpan se hi bairagi aur avdhut sthiti avdhut bhash nahi avdhut sthiti mahaprabhu chaitanya dev ne adesh kiya shripad jagat kalyan ke liye vyas sweekar karo.

jinko langoti ki bhi sudhi nahi thi. Digambar hokar krishnakar vritti mein nav kishor avastha digambar langoti ki bhi sudhi nahi rahti. Parikar ke jan langoti bandhte hain unko sudhi nahi rahti. Aise Nityanand mahaprabhu ko mahaprabhu chaitanya dev ne adesh kiya jagat mangal ke liye jagat kalyan ke liye kyonki aap jaise mahapurush se jo santti prakt hogi wo mahavashna wo jagat kalyan ke liye hogi shripad ek bar bhi prashn nahi kiya ki mahaprabhu to bachpan se sanyasi bachpan se vairagi nahi do patniyan aisa kuch smaran hai ki Nityanand mahaprabhu ki do patniyan mahaprabhu Harivansh chandra jo shri bachand mahaprabhu shri Krishna chandra mahaprabhu shri gopeenath mahaprabhu aur sahib devi ye char ka pradurbhav devwan mein ho chuka tha.

mahaprabhu sampurnatya Priya pritam ke anurag rang mein range hue Vrindavan ke liye chal pare. Rukmani devi santanon ki pushta ke liye parivaar ke liye mahaprabhu ki agyaa se wahin ruke. Aap apne nij parikar ke saath pran samarpit karne wala parikar gangu ji maida ji Govind das ji aise bilkul matlab tan bhale char panch dikhayee de rahe ho lekin pran samarpit Harivansh mahaprabhu wo mahaprabhu ka antardhya sunte hi pran nikal gaye aise the teerthaval gram mein mahaprabhu ko adesh hua ki aap yahan vishram raam kijiye.

mahaprabhu ji gram ke bahar vishram kiye. Wahan ek bade hi maha bhagwat dampatti virajman unko adesh hua aapki jo Krishna dasi manohari naam ki do ye sakhiya hain hitju maharaj tumhare nagar mein padhare hue hain unko sadar laie aur Radha vallabh ji ko aur do sakhiyon ko pradan kar dijiye. Mahaprabhu ko adesh hua shri ji ka ki wah aa rahe hain. Aap aisa sun ek bar bhi yah nahi prashn hua ki pura parikalpa to tyag karke aapke liye hi ham ja rahe hain aur aap joi joi pyaro kare soi moh bhave dola mein Radha vallabh lal seva mein sakhiya do aur mahaprabhu Harivansh chandra jo us samay purn asuvidhaa yukt Vrindavan tha asuvidhaa yukt unchi thaur par Radha vallabh lal ko virajman kiya ek sakhi ko sant seva mein aur ek sakhi ko shringar seva mein jo do sakhiya thi aur to parikar tha hi saath mein navaldas bairagi bade-bade mahapurush mahaprabhu ke saath the to ham ye kah rahe hain ki ek hota hai aise jeevan samarpit jaise aap nath ye jeevan aapka aur ek hota hai ki aise aise chalna hai aur ek hota chalna nahi hai.

baith jana hai. Bas aapki sharan mein baith gaye. Yah usse bhi jor ka hai. Tisra har sadhak ko brahm muhurt mein uth hi jana chahiye. Apne yahan to is sutra ke upar sutra chalega. Har sadhak ko ratri ke ek baje uthna padega. Kyonki jab ham 2:00 baje wahan to wahan sab pahunchte hain lagbhag lagbhag pau:ne5 baje pahunch jaate honge pau:ne5 baje to kyonki ham ham bhi kabhi-kabhi do mein 10 kam mein ate hain to sab milte hain wahan iske baad so nahi sakte sab dekho satsang mein baithe hue hain aur ye dincharya hamari to 9:30 baje tak chalegi inki 11:30 12 baje tak chalegi prasad pavana pa ke phir thodi der vishram karna phir shri ji ko dhoop wala phir shri ji ke liye phir shuru ho jaata hai 3:00 baje yahan kah rahe hain ki har sadhak ko

brahm muhurt mein to bahar walon ke liye kah sakte hain apne Radha ke nikli kunj aur Vrindavan mein to hamen lagta hai yahan brahm muhurt raat ke ek hi baje ho jaata hai nahi to brahm muhurt ka tatparya hai 4 baje 4 baje ko brahm muhurt ka samay kaha gaya hai char 4:30 baje uth jana chahiye sabko jo bahar hain unke liye prarthna hai jo anya log satsang sune kam se kam 4 baje to uth jaiye brahm muhurt mein [gala saaf karne ki aawaz] chautha hai spasht varnan kar rahe hain thoda bhojan matahar

ek bar jab se padha tha ki 400 gram ann mein 24 ghante mein pran poshan ho ke sadhna achchhi karne ke liye jo hamen power chahiye wo mil jaata hai to tab se koshish karte hain. Yadi dialysis hota hai to iski to badi avyvastha hai. Ruchi nahi rah jati kuch khanpan ki kuch aisi par ham koshish karte hain ki jab 400 gram ann se kam chal sakta hai to shesh upar dalna bojha hi hoga. To koshish karo do bar char gram dal lo udhar mein pran poshan karne ke liye thoda matahar kiya jae. Aisa chautha sutra hai matahar kiya jae.

pahla hai dikhavti pana bilkul sadhna mein nahi hona chahiye. Dusra hai brahmcharya ka palan. Tisra hai sarvda brahm muhurt mein utho aur chautha hai matahar. Thoda bhojan karo. Iska abhyaas kar le. Sona aur bhojan karna. Ye abhyaas ke antargat aata hai. Aap jitna chaho to abhyaas kar lo. Utne mein aapka hone lagega. Kam karte chale jao to kam ho jaega. Badhate chale jao to badhate chale jao. Pujya shri Raghunath das goswami ji Radha kund ke aisa shri dhruvdas ji ne likha hai ki matlab matha ke siva unhone kuch kabhi nahi paya.

takra lon braj ko leo paras nahi kachu aa namak lon mane namak aur takra mane matha braj ka takra sakakra ko bhi durlabh hai sakrate indra ko ye takra mane matha bas keval chhach matha wo bhi jara sa namak dal itna hi ahar karte the paras nahi kachua dhruvdas ji ne kaha tak lon braj ko leo paras nahi tab unki sthiti sthiti thi sovat hu rasna rate Radha Krishna sunam so rahe par jaban se nikal Radha Krishna Radha Krishna Radha Krishna bahut pavitra bhojan aur thoda bhojan jo prabhu ko bhog lagaya gaya hai kabhi shant dekho pavitra bhojan ekdam jaise rasgulla pane mein ekdam jaban rasmay ho jati hai aise bhagwan naam japne mein rasmay ho jati hai.

gadh naam mein sthiti aankh kholo to naam band karo to naam hriday anand mein ahar par sudhar kiya. Pancha jo vastu vyakti bhojan tumhen priy ho uska tyag kar do. Kyonki yah priyata bhagwan mein lagni hai. Kisi vyakti se pyar na ho, kisi vastu se pyar na ho aur kisi padaarth se pyar na ho. Ye to hamara phevret hai. To shri ji phevret nahi hue. Prabhu phevret nahi hue. Aur ye ye to hamara phevar jaise aise kahte hain na ki ye to hamara phevret hai. Arth nahi jante. Phevret ka matlab vishesh pasand manapsand na wahi to vishesh pasand matlab manapsand ye hamara phevret hai yar manapsand shri ji kab bologe ye to hamari phevret hai lal ji hamare phevret kabhi nahi bolte ye vastu padaarth vyakti mein bol ye tumhara phevret sansarik shabdon ka sansarik vastuon ka sansarik vyaktyo ka sansarik bhogon ka jo hamara priytapan hai wo bhagvatik hona chahiye.

to jo hamen bhojan priy ho, jo vyakti priy ho, jo vastu priy ho, usko ham adhik se adhik duri bana ke rakhen kyonki hamen Priya pritam ka prem prapt kar yar. Gazab ki baat hai. Sahi kah rahe hain. Bahut galat pakar man ki hai. Sansaar ki har baat ko saja saja ke batane mein kitna sukh milta hai. Aur bhagwan ki varta karne mein vani kam nahi karti. Buddhi kam nahi karti. Man kam nahi karta. Bada yahi vidambna hai. Jo hamen vastu padaarth vyakti drishya priy ho ham usse hate kyonki vastvik priy shabd to sansaar mein hai.

abhi Radha priy ji priy nahi hue. Abhi thakur ji priy nahi hue. Yah to jaban se kahte hain. Pran aradhya pran priy jeevan dhan vastvik priy nahi hue. Jis din priy ho jaenge us din bhajan ke siva kuch chalega nahi. Jaise ham pooch rahe the ek din yar batao phir bhajan ke siva aur chalta kya hai? Kyonki yahi hamare jeevan dhan hai to aur chalega kya? Ab hamare to yahi sab kuch hai. Rishtedar, natedar jo bhi hai sab yahi hai. To aur chalega kya? Baad mein hamare samjh mein aaya ki jo hamara anant janmon se sansaar se rag raha hai wo rag swabhavic chalta rahta hai.

prabhu ke bhajan ki taraf vritt nahi jati. Aur aise hi manorajya jise kahte hain. Vyarth ki baten, vyarth ka sochna, vyarth ki kalpna yah chalta rahta hai. Chhathwa jab tumse koi gussa kare to tum maun ho jao. Chitt ko shuddh mat hone do. Vani ko kholo mat. Yah sadhan mein bahut upyogi hai. Gussa log dilate hain. Uphash karte hain. Uphash karte hain bhakt ka. Uski avhelna karte hain. Usko gussa dilate hain. Ye maya se prerit hai. Aapko gussa nahi hona. Aapko shant hona hai. Us samay aapko muskurana hai.

jab aapko koi gali de, apman kare, ninda kare. Satva jo bhi tumhen guru ne sadhna di hai. Jaise ki aap 11 mala jap kijiye, aap 51 dandvat kijiye, aap itna path kijiye, aap itne baje jagie, aap aisa kijiye. Yah bahut kal tak niyamit sankhya mein niyamit samay mein yah chalna chahiye. Kabhi tutna nahi chahiye. Niyamit sankhya se niyam purvak jab sadhna kiya jaata hai to paripakva ho jaata hai. Jaise bataai gayi itni dandvat karo apne thakur ji ki. Stri sharir hai to panchang karo. Purush sharir hai to sashtang karo. Yahan hai.

ya apni kutia mein thakur ji beech mein rakh liye char parikrama lagai darwaza band kiye hue dandvati kar rahe chahe koi bhi ho ekant mein to sab koi apne thakur ji rakhta hai kutia mein to wahi thakur ji hai agar wahan thakur ji nahi to kahin thakur ji nahi aur jab sab jagah thakur ji to wahan bhi thakur ji hai apne shri ji thakur ji ko beech kamre mein rakho char parikrama lagao apni dandvati do niyam nishtha nahi tutna chahiye path naam jap, mantr jap, dandvat seva yah sab chalne chahiye. Hamne dekha hai ki gurjan jab bahut bhishan bukhar pare hain khaya nahi hai par shri ji ki seva nahi chhodi.

jaise hamne prarthna bhi ki ham snaan karva dete hain. Maharaj ji aap darshan keval kar lo. Nahi nahi nahi uthe aur kasht purvak shri ji ko snaan karaya. Chandan lagaya aarti ki phir let gaye. Apni seva apna niyam nishtha hamne mahapurushon mein dekha wah todte nahi aur apne logon ki koi niyam nishtha bahut kal tak chalti nahi hai. Yahi apne mein kami hai. Ek ras bahut kal tak niyam nishtha chalti hai. Aur athwan ye sabko karna chahiye. Sone ke samay apni dincharya ka nireekshan karo ki kaun si dincharya mein hamare papacharan hua, truti hui, kaun sa niyam tuta, kaun si baat nahi karni chahiye jo ho gayi.

nireekshan karke usko note karo apne dimaag mein. Prayashchit karo. Jalo ki yar ye nahi hona chahiye. Jo hamare gurjan agyaa karte hain uske anusaar hona chahiye. Unke virudh nahi hona chahiye. Aur jo hamare ko niyam diya gaya tha wo niyam pura nahi ho. Ab jaise aap sone ja rahe ho aapki dandvati nahi hui aaj to niyam wale ho to aapko nind ki taraf khichav nahi hoga. Pehle hoga ki chalo kamre mein hi sahi par 51 dandvati ab kar lete hain phir soenge. To jo niyam nishtha wala nahi uska man updesh karega.

dandvati karoge sharir mein garmi aa jaegi. Nind aayegi hi nahi. Isliye chupchap so jao. Phir kal kar lenge. 108 kar lenge kal. Aur kal hua tab kiya nahi to dusre teen din char din baad kabhi yad aaya aise aise nahi kaha ja raha Baba kah rahe hain jap dhyan guru pradatt sadhna niyam nishtha se niyat samay par honi chahiye aur athwa sone se purv is baat ka nireekshan karo ki aaj kis-kis prakaar ki kaun-kaun si galti hui kaun-kaun si truti hui aur unko dimaag mein note karke bhagwan se prarthna karke unko dur karne ki cheshta cheshta karo.

chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran. Bhagwan shri Krishna aur Balram ji ko akrur ji Mathura le ja rahe hain. To brahm hriday mein akrur ji ne snaan kiya to dekha wahan rath par virajman shri Krishna Balram. To socha ye kya drishya dekh raha hoon. Rath to bahar khada hai. To jal se sir upar kiya to dekha rath pe shri Krishna Balram. Phir dubki lagai to jal mein dekha shri Krishna Balram. Bahut ascharya hua. Itne mein bhagwan ne drishya badal diya. Dekha anant bhagwan shesh ji jinki phanon se divya manyon ka prakash ho raha hai aur unki saya par bhagwan shri hari shayan kiye hue hain.

badi-badi vibhutiya badi-badi shaktiya bade-bade devta lokpal rishi muni sab vandna kar rahe hain. Bhagwan ki ye jhanki nirakhkar akrur ji ka hriday parmanand se labalab bhar gaya. Sara sharir harshavesh se pulkit ho gaya. Prem bhav ka udrekh hone se netron se aansu jharne lage. Akrur ji ne bahut sahas batora aur bhagwan ke charnon mein sir rakhkar yah keval bhav se nahi dikhayee de raha tha. Sakshat bhagwan prakt hue the jal mein. Sir rakhkar pranam kiya aur hath jodkar badi savdhani se dhire-dhire gadgad swar se bhagwan ki stuti karne lage.

na to ham le hetu het naraynam purush madhyamavyayam yanajata darwind ko brahma virasi yate shoka bhoom pawan khamadir mahan jadar man sarwendriy vibhdha sarve ye tavaste jagat bhuta nate swarup viduratmaste jayo ajob sagun rajaya gum vedte swarup akrur ji ne kaha prabhu aap prakriti aadi samasth karanon ke param karan hain. Aap hi avinashi Purushottam bhagwan narayan hain. Aapke hi nabhi kamal se shri brahma ji ka avirbhav hua. Brahma ji ne hi is charachar jagat ki srishti ki. Main aapke charnon mein namaskaar karta hoon.

prabhu prithvi, jal, agni, vayu, akash, ahankaar, mahatatwa, prakriti, purush, man, indriyan, sampurn indriyon ke vishay aur unke adhishthat devta yahi sab charachar jagat uske vihaar ke karan hai. Aur ye sab ke sab aapke hi ang swaroop hain. Dhyan dijiye. Prithvi, jal, agni, vayu, akash, ahankaar, mahatatwa, prakriti, purush, man, indriyan, sampurn indriyon ke vishay ye sab aap hi bane hue hain. Bhagwan hi hain. Prabhu yah janne ki prakriya ke karan inhe anatma aur jad kaha gaya hai. Isiliye inheen ke karan aapke sakshat darshan nahi hote kyonki ye bahar mayakrit rup hai aur aap hi bane hue hain aur agyaan ki nivitti hui nahi to iske liye do paddhtiyan hai vyatirek aur anvay vyatirek pehle isko kato yah nahi hai aur phir hai jab hai mein pahunchoge to sab wahi hai tab anubhav hoga aap swayam atma hai.

hamari atma hamare prabhu hai. Brahma ji aapke swaroop hain. Parantu ye prakriti ke gun raj se yukt hai. Isliye ve bhi aapki prakriti ka aur uske gunon se pare ka swaroop nahi jante. Ta yogino yaj mahapurusham sadhyatma sadh bhutam cha sadh devam cha sadhav sadhu sant mahatma yogi ye antahkaran mein aapka chintan karke aapko prakashit karte hain aur hriday mein aapka sakshatkar karte antarjami ke rup mein samasth bhut bhautik padartho mein vyapt paramatma ke rup mein surya chandrama agni aadi dev mandal ke rup mein sakshi mahapurushon ke rup mein niyanta ishwar ke rup mein jaise rup mein chaho waise rup mein bhagwan ka sakshatkar upasna ke dwara kar sakte ho.

bahut se karmkandi brahmin jan karm marg ka updesh karne wali tr vidya ke dwara jo aapke indra agni aadi anek devwachak naam tatha vajr hast sapta ruch aadi anek rup batlate hain. Bade-bade yagya karte hain aur unse aapki upasna hoti hai. Bahut se gyani jan apne samasth karmon ka sanyaas kar dete hain aur shant bhav mein sthit ho jaate hain. Is prakaar gyan yagya ke dwara gyan swaroop aapki hi aradhna karte hain. Bahut se sanskar sampann shuddh chitt vaishnav jan aapki batlai hui panchratra aad vidhiyon se tanmay hokar aapke chaturwah aadi anek aur narayan rup ek swaroop ki puja karte hain.

bhagwan dusre log bhagwan shankar ke dwara batlae hue marg se jiske acharya bhed se anek avantar bhed bhi hain. Shiv swaroop se aapki puja karte hain. Aap hi shiv hain. Swameen jo log dusre devtaon ki bhakti karte hain aur unhen aapse bhinn samjhte hain. Ve bhi vastav mein aapki hi aradhna karte hain kyonki aap hi samasth devtaon ke rup mein hain aur devtaon ke sarveshwar rup mein hai. Prabhu jaise parvaton se sab or se bahut si nadiyan niklti hain. Varsha ke jal se barkar ghumti ghamti samudra mein pravesh kar jati hain.

waise koi bhi upasna ho der saver wo sab aapke paas hi pahuncha deti hai. Prabhu aapki prakriti ke teen gun hai. Satogun, rajogun, tamogun. Aur brahma se lekar sthavar paryant sampurn charachar jeev isi prakriti ke adhin hai. Jaise vastr sutro se otaprot hai. Waise hi sab kuch prakriti ke gunon se otaprot hai. Parantu aap sarv swaroop hone par unke saath lipt nahi hai. Aap nirlipt hain. Aapki samasth vrittiya sakshi matra hai. Gunon ke pravah se hone wali srishti agyaan mulak hai. Devta manushya pashu pakshi aadi samasth yoniyon mein aap vyapt hain.

aap unse alag bhi hain. He shri Krishna main aapko namaskaar karta hoon. Agni he bhagwan aapka mukh hai. Prithvi charan hai. Surya chandrama aapke netr hai. Akash nabhi hai. Dishaein kan hai. Swarg sir hai. Devta gan bhujaye hain. Samudra kokh hai. Yah vayu hi aapki pran shakti ke rup mein upasna ke liye kalpit hui hai. Jitne vriksh ausdhiya ye sab aapke rom hai. Megh sir ke kesh hain. Parvat aapke asthi samuh aur nakh hain. Din aur raat palkon ka khol aur meechna hai. Prajapati jnendriay hai aur vrshti hi aapka virya hai.

he avinashi bhagwan jaise jal mein bahut se jalchar jeev aur gular ke phalan mein nanhen kit rahte hain. Usi prakaar upasna ke liye swikrat aapke manomay purush rup mein anek prakaar ke jeev jantuon se bhare hue log aur unke lokpal kalpit kiye gaye hain. Prabhu aap krida karne ke liye prithvi par jo jo rup dharan karte hain ve sab avatar logon ke shok moh ko dho baha dete hain aur phir sab log bade anand se aapke nirmal yash ka gaan karte hain. Prabhu aapne vedon, rishiyon, aushadhiyon aur satyavrata aadi ki raksha diksha ke liye matsya avatar dharan kiya aur pralya ke samudra mein swachchhand vihar kiya.

aapke matsya rup ko main namaskaar karta hoon. Aapne hi madhu aur kaitam naam ke asuron ka sanhaar karne ke liye hayagreev avatar dharan kiya. Main aapke hayav rup ko namaskaar karta hoon. Aapne hi vishal kachchhap rup dharan karke mandrachal ko dharan kiya. Main aapke kachchhap swaroop ko namaskaar karta hoon. Aapne hi prithvi ke udhar ke leela purvak rup dharan kiya. Varah rup main aapke Varah rup ko bar-bar namaskaar karta hoon. Prahlad jaise sadhu janon ka bhay mitane wale prabhu aapke us alaukik narsingh rup ko main namaskaar karta hoon.

aapne vaman rup grahan karke apne pagon se tino loko ko nap liya. Aapke vaman rup ko main namaskaar karta hoon. Dharm ka ullanghhan karne wale ghamandi raaksasi swabhav ke kshatriyon ke van ka chhedan kar dene ke liye aapne bhagupti parshuram rup grahan kiya. Main aapke us parshuram rup ko namaskaar karta hoon. Ravan ka nash karne ke liye aapne raghuvansh mein bhagwan Ram ke rup mein avatar grahan kiya. Main aapke shri Ram rup ko namaskaar karta hoon. Vaishnav janon tatha yadivanshiyon ka palan poshan karne ke liye aapne Vasudev, sankarshan, pradyumn aur Aniruddh is chaturwah ke rup mein apne aap ko prakt kiya.

main is chaturwah rup aapko bar-bar namaskaar karta hoon. Daitya aur danwon ko mohit karne ke liye aapne shuddh ahimsa marg ke pravartak bhagwan Buddha ka rup grahan kiya. Main aapko namaskaar karta hoon. Prithvi ke kshatriya jab mileksha prayah ho jaenge tab unka nash karne ke liye aap kalki bhagwan ke rup mein avteerna honge. Main kalki bhagwan swaroop aapko namaskaar karta hoon. Bhagwan yah sab ke sab jeev aapki maya se mohit ho rahe hain aur is moh ke karan hi yah main hoon aur yah mera hai. Is jhuthe duragrah mein phaskar karm ke margo mein bhtak rahe hain.

he mere Swami isi prakaar main bhi swapna mein dikhne wale padartho ke saman jhuthe deh ge patni putr dhan swajan aadi ko satya samjhkar unhin ke muhn mein phas raha hoon aur bhtak raha hoon. Meri murkhta to dekhiye prabhu maine anitya vastuon ko nitya anatma ko atma aur dukh ko sukh samjh liya. Bhala is ulti buddhi ki bhi koi sima hai. Is prakaar agyaan va sansarik sukh dukh aadi dwandon mein hi ram gaya. Yah bilkul bhul gaya ki aap hi mere sache pyare hain. Jaise koi anajan manushya jal ke liye talab par jae aur use usi se paida hone wali shivar se dhaka dekhkar samjh le ki yahan jal nahi hai.

tatha surya ki kirano se jhuthmuth pratit hone wale jal ke liye mrig trishna ki or daud pare. Waise hi main apni hi maya se chhipe rahne ke karan aapko chhodkar vishesh sukh mein bhtak gaya. He avinashi he akshar he gyan swaroop shri Krishna main aapko pranam karta hoon. Main gyan se rahit hoon. Prabhu isi se mere man mein anek vastuon ki kamna aur unke liye karm karne ke sankalp uthte rahte hain. Prabhu ye indriyan badi prabal evam durdamneey hai. Ye man ko mathmach ke bal purvak idhar udhar ghasit le ja rahi hai.

prabhu main indriy aur man ko nahi rok pa raha hoon. Dekh lo bade-bade hath utha dete hain. Akrur ji kah rahe hain isliye main in indriy aur man ko nahi rok pa raha hoon. Bade prabal aur durdamneey hai. Is prakaar bhatakta hua main aapke kripa se aapke charan kamlo ki chhatrachhaya mein aa pahuncha hoon. Jo papiyon aur duston ke liye bahut durlabh hai. Mere Swami ise bhi main aapka kripa prasad hi manta hoon. Kyonki padmanabh jab jeev ke sansaar se mukt hone ka samay aata hai tab sant purushan ki upasna se chitt vritti aap mein lag jati hai.

jab jeev ke sansaar se mukt hone ka samay aata hai to use bhagwat premi mahatmaon ki sangwritti milti hai aur unke sang se bhagwan ki upasna ka rang chadta hai. Prabhu aap vigyan swaroop hain. Vigyan ghan hai. Jitni bhi prateetiyan hain, jitni bhi vrittiya hai, un sab ke aap hi karan aur adhishthan hain. Jeev ke rup mein jeewo ke sukh dukh aadi ke nimit, kal, karm, swabhav tatha prakriti ke rup mein he shri Krishna aap hi hain. Aap hi un sabke niyanta hain. Jeev ke rup mein jeewo ke sukh dukh aadi ke nimit kal karm swabhav prakriti ke rup mein aap hi hain.

aap hi un sab ke niyanta hain. Aapki shaktiya anant hai. Aap swayam brahm hai. Main aapko namaskaar karta hoon. Prabhu aap hi Vasudev. Aap hi samasth jeevan ke aashray sankarshan. Aap hi buddhi aur man ke adhishthat devta pradyumn aur Aniruddh hain. Main aapko bar-bar namaskaar karta hoon. Prabhu aap mujh sharanagat ki raksha kijiye. Parikshit ji akrur ji is prakaar stuti kar chuke. Bhagwan ne apna wo divya rup antardhya kar liya. Ab akrur ji ne dekha ki wo bhagwan ka rup antardhya ho gaya. Tab ve jal se bahar aae.

jaldi jaldi apne vastr badle aur rath par chale gaye. Us samay akrur ji bahut ascharya mein the. Bhagwan shri Krishna chandra ji ne pucha chacha ji kya prithvi akash ya jal mein koi adbhut vastu dekhi kya? Bade ascharya mein dikhayee de rahe ho. Aapki akriti dekhne se lagta hai. Akrur ji ne kaha jab aap hi ko dekh raha hoon to phir prithvi jal aur akash mein aur kya ascharya dekhna hai prabhu prithvi akash jal mein sare jagat mein jitne ascharya mein padaarth hai wo to sab aap hai unke mul kyonki aap vishwup hai jab main aapko hi dekh raha hoon to aisi kaun si adbhut vastu rah gayi jo maine na dekhi ho bhagwan jitni bhi adbhut vastue hain chahe wo prithvi mein ho jal mein ho akash mein sab ke sab aap mein hai aur main aapko dekh raha hoon.

ab vila aap bataiye ki mere liye adbhut vastu kaun si rah gayi? Ginni nandan akrur ji ne jab ye kaha bhagwan muskura diye. Akrur ji ne rath haak diya aur din dhalte dhalte Mathura puri ja pahunche. Marg mein sthan sthan par ganv ke log milne ke liye ate. Bhagwan shri Krishna aur Balram ji ko dekhkar anand magan ho jaate. Wo ektak unki or dekhne lagte. Apni drishti hata na pate. Nand Baba aadi brajvasi to pehle hi pahunch gaye the Mathura. Aur Mathura puri ke bahari upvan mein ruk kar ke pratiksha kar rahe the.

akrur ji ki. Akrur ji ka rath jab unke paas pahuncha Jagdishwar bhagwan shri Krishna vineet bhav se jab akrur ji utre prabhu shri Krishna Balram utre to akrur ji ka hath pakda aur muskurate hue kaha chacha ji ab rath lekar aap Mathura Puri mein pravesh kijiye apne ghar jaiye ham log phir nagar dekhne aaenge akrur ji ne kaha prabhu aap donon ke bina main Mathura puri nahi ja sakta. Main aapka bhakt hoon. Bhaktavatsal prabhu aap mujhe mat chhodie aur aap chalie. Mere param hitshi sache suhat bhagwan aap Balram ji gwal bal nand ray ye sab chalkar hamare ghar mein vas kijiye.

ham grihasth hain. Aap apne charnon ki dhul se hamara ghar pavitra kijiye. Aapke charanamrit se agni devta pitr sab ke sab tript ho jaate hain. Prabhu aapke yugal charnon ko pukhar kar mahatma bali ne wah yash prapt kiya jiska gaan sant purush karte hain. Keval yash hi nahi unhen atulni aishwarya wah gati prapt hui jo anannya premi bhakton ko prapt hoti hai. Prabhu aapka charamodak ganga ji tino loko ko pavan kar diya. Sachmuch ganga ji murtiman pavitra hai kyonki wo aapka charamodak hai. Unhin ke sparsh se sa ke putro ko sadgati prapt hui.

usi Gangajal ko bhagwan shankar ne apne sir par jataon mein dharan kiya. He Yaduvansh shiromani aap devtaon ke bhi aradhya dev hain. Jagat ke Swami hain. Aapke gun aur lilaon ka shravan kirtan bada mangalkari hai. Uttam purush aapke gunon ka kirtan karte rahte hain. He shri Krishna main aapko namaskaar karta hoon. Shri bhagwan ne kaha chacha ji main dau bhaiya ke saath aapke ghar aaunga par pehle nahi. Pehle apne mama se milunga. Pehle is drohi mama kans ko mar karke apne sud sujnon ka priy karunga. Phir aapke ghar aaunga.

parikshit is prakaar kahne par akrur ji kuch anamne se ho gaye. Unhone puri mein pravesh karke kans ke paas jakar kaha shri Krishna aur Balram ko le aaya hoon. Upvan mein ruke hue hain aur ji apne ghar chale gaye. Ab bhagwan agle din Balram ji aur gwal balo ke saath Mathura puri mein pravesh kar rahe hain. Badi sundar shobha Mathura puri ki aur ab to aur sundar kyonki param sundar Shyam sundar aur gaur sundar Balram ji ye donon aur sakha jan ab kya-kya leela pravesh se hi shuru hoti hai ye age sunenge. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi