nirantar naam jap mein badhak hain ye 5 baten / kans vadh / Devki-vasudev ji se milan / gurukul shiksha grahan
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital mayam param sacchidanand dhan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta shri yamuna ras rani jo raj rani jo samasth brajvasi parikar ke charnon mein kotish pranam koti naman kotish namaskaar shri ji ketu ki kripa se ek ek shase vyatit ho rahi hai dham mein naam mein rup chintan mein leela shravan gayan mein to ab hamen aur kuch nahi chahiye.
hamara jeevan param dhanya ho gaya. Yadi hamari ek bhi swas sansaar ke chintan mein shastr viparit aacharan mein jo ja rahi hain wo vyarth ja rahi hai. Isliye kahin bhi ho kaise bhi ho kuch bhi kar rahe ho Radha naam mat bhulo. Sab theek ho jaega. Apni samarth sab theek karne ki nahi hai. Radha naam sab theek kar dega. Chinta mat karo. Chintan karo. Yadi Radha naam ka chintan ho raha hai to anant janmon ke sanchit karm bhasm ho jaenge. Yadi Radha naam ka chintan ho raha hai to vartman mein ya age bhavishya mein jo hamse aparadh baenge wo likhe hi nahi jaenge anukhyantra madhupati Lalaju maharaj uske aparadh hi nahi ginte aur maha premashtam to param deti is Radha naam ke jap karne wale ko kya de unke vichar mein hi nahi aata kyonki yah maya janit padaarth vastu pad pratishtha ye bhagwan swapnik vastue apne janon ko nahi dete to kya karte hain Radha naam japne wale ke adhin ho jaate hain aur apne ko rni kahlate hain.
ye Radha naam yadi hamari swas prashwas mein chal raha hai to ab hamen chinta ki baat nahi. Shripad kah rahe hain kammam vaso bhavtu narke [gana gane ki aawaz] cha mahand kand Shrimadd Vrindavan gunag pute karan randh gateva smriti path mathuyavanyatha mein shri vaikunthe ruchidam shri prath dasyam mahanand kand prem sudha ras sindhu yadi Radha naam ka chintan ho raha hai Radha naam ka kirtan ho raha hai Radha naam ka jap ho raha hai aur jahan se Radha naam ka prichay mila wah Vrindavan ka aashray hai. Vrindavan ka vas hai. Vrindavan ka chintan hai.
to kah rahe ab hamen koi parvah nahi. Aap narak bhej dena. Dekh lo. Kammam vaso bhavat narke chain mahanand kand mujhe wahan bhi maha aand kand ka mul Vrindavan anand mein rakhega. Kyon? Kyonki Radha naam japenege. Agar ham Radha naam japne wale hain, nishtha hai to hamen narak bhej do. Hamen uski koi parvah nahi. Aur kah rahe hain Shrimad Vrindavan gunag purte karan randh yadi Vrindavan ke mahmmahim shri Priya pritam ki leela gunon ka hamare kano mein shravan karne ka saubhagya mil raha hai to mujhe Baikunth ka vaibhav nahi chahiye.
mujhe mahmmahim narayan ki dasata nahi chahiye. Mujhe apne Vrindavan bihari bihari ke yash ka shravan kano se karna hai. Raj ka sevan karna hai. Radha naam japna hai. Aap narak bhale bhej do mujhe Baikunth mat bhejna. Kitni badi baat. Mujhe Baikunth ka sukh nahi chahiye. Narak ka dukh dena aur usi dukh mein ham pukarenge. Radha Radha Radha. Yah premion ki baat hai. Kyonki narak tab hota hai jab ham bhagwat vimurkh hote hain. Chahe jahan raho tum narak ke saman hi dukh bhogoge yadi bhagwat vimurkh ho aur bhagwat sanmukh ho to maha dukh narak jaisi paristhiti mein bhi aap anand mein rahenge.
isliye hamari baat man lo. Ye dwa akshar para vidya Radha naam ye kabhi mat bhulo. Radha Radha Radha Radha aap dekh lena aap kitne anand mein rahenge lok parlok sab kuch sambhal jaega aapke sambhale nahi sambhlega Radha naam sambhal dega ek bar hamari prarthna man lo jinke kano mein baat par rahi ho kisi bhi sampraday ke ho jaise ham aushadhi mein sampraday nahi dekhte aise Radha naam bhav samudra se par karne ki aushadhi aur prem mein dubo dene ki apaar samarth hai. Isliye Radha Radha Radha har samay rakhte raho. Aap dekh lena aap dekh lena is Radha naam ka pratap kya hai?
khud anubhav kar lena. Bahut jaldi anubhav ho jaega. Yadi papacharan rok diye jae to papacharan karte hue Radha naam jap karoge to bhi udhar karne ki samarth naam mein hai. Bade-bade vaishyagami papiyon ka bhi udhar naam ne kar diya. Agar aap papacharan rok kar naam jap karenge to bahut jaldi aapko anubhav mein aa jaega ki Radha naam kya hai? Kya milta hai? Badi-badi sadhanao se jo phal milta hai wah Radha naam se jo phal milta hai uski barabri nahi kar sakta. Radha naam use laghu he kar deta hai. Isliye khub Radha Radha japo chahe jaisi paristhiti ho.
hamari baat par dhyan dena. Chahe jaisi paristhiti ho man ki chahe jaisi paristhiti ho bahar ki tum Radha naam jap karoge sab mangal ho jaega. Dekh lena. Ye ham apne hriday ki baat, apne acharya ki baat aur sampurn Vrindavan vasiyon ki baat kah rahe hain. Kyonki Radha naam keval Vrindavan ki kripa se hi jibhya mein aa sakta hai. Anytha nahi. Jis par shri Krishna ki asim kripa hai wahi braj mein kadam rakh sakta hai. Jis par shri ji ki asim kripa hai wahi Vrindavan mein kadam rakh sakta hai aur Vrindavan ka prabhav hai ki tumhen Radha naam rupi mahaprasad dega.
anyatra nahi agam nigam puran agochar agmon mein nigmon mein purannon mein agochar hai Radha rup Radha naam isliye bade kripa patr hain jo Vrindavan ki pavan bhumi mein baithkar bhagwat charcha sun rahe hain. Radha naam ki mahima sunkar aap Radha naam ko apni jibhya par virajman kar lijiye. Bas sab ho jaega. Isi se sab ho jaega. Tum kishori ke naam par vishwas kar lo. Bilkul dridh bhav rakho. Tumhara kalyan ho jaega. Mangal ho jaega. Aur agar shri ji ke rasikon ka sang hokar kahin upasna ka rang chadha to shri ji ki seva mil jaegi.
pujypad shri odiya Baba ji maharaj naam [gala saaf karne ki aawaz] japak ko kya tyagna chahiye? Hamare jibhya par nirantar naam chalta rahe. Iske liye hamen kya tyag karna chahiye? Bole pahla vyarth bhashan. Agar naam jab nirantar chalna hai kyonki chintan tabhi hota hai jab hamara vyarth bhashan hota hai to vyarth chintan hota hai. Vyarth bhashan bekar ki baten. Yah log bekar ki baten dod ghante char char ghante baithe aag mein sek rahe hain sardi ka samay aur prapanch ki baten koi ek bar Ram Krishna hari nahi aise logon ke beech mein nahi baithna chahiye aise logon ki baten nahi sunni chahiye vyarth bhashan phir vyarth chintan Baba ne kaha vyarth chintan vyarth chintan prabhu ke siva siva aur jo kuch bhi chintan hota hai jo bahut soch vichar karte rahte hain bahut manorajya karte rahte hain bahut kalpna karte rahte hain inka samay bahut vyarth jaata hai phir wo itne thak jaate hain ki buddhi unki negative sochne lagti hai.
nakaratmak soch itna badh jaata hai ki phir wo depression mein pahunch jaate hain. Depression itna badh jaata hai ki jeena mushkil ho jaata hai. Bina naam ke kahin sukh shanti nahi hai. Vyarth chintan hamara hone na pave. To isiliye kahte hain ki jaise Radha japo to Radha hi chintan karo. Radha kyonki kishori jo ka rup chintan karne ki samarth to kishori ji hi deti hai. To kishori ji ke naam mein wo samarth hai jo kishori jo ka chintan karva de. Samasth kalaon mein gunon mein praveen hamari swamini jo aisi agri hain gun sagar rup sagar vaidag chaturta ke sagar kripa ke sagar vatsalya ke sagar ki lal jo ko adhin kiye hue hain.
akhil koti brahmand nayak parat paras jinke gunon mein adhin hai wo naam ham chintan karen. Ye amritmay hai avinashi ra bada ki matra dha bada ki likh gaya Radha naam bar-bar likhe Radha Radha Radha to naam ka jap chal raha hai aur naam ka chintan chal raha hai. Ek din dekhna isi Radha mein rup jagrit ho jaega. Priya pritam dekh lena ek din tumhari samarth jaisi bhajan ki badhti jaegi waise waise rup prakashit hota jaega aur rup prakashit hone ka matlab hai chitt ka lut jana aur chitt lut jane ka matlab hai param pad mil jana Priya pritam mein chitt lut gaya to param pad ke adhikari ban gaye to vyarth bhashan chodo vyarth chintan chodo aur vyarth darshan chodo.
ye ankhen bahut charate rahte hain log. Ankhon ko thoda mariyada mein rakho. Uchit dekho. Anuchit mat dekho. Baat karna hai to charnon ki taraf dekh ke baat karo. Rasta chalna hai to raste ko dekh ke chalo. Koi baat hai. Theek hai. Kabhi aisa hua. Ek bar drishti chali gayi. Drishti sambhalo. Tabhi bhajan hoga. Drishti charate ghumoge to bhajan nahi hoga. Ae bhai jinke paas mobile hai bahut sahi dhang se prayog karo. Uska galat prayog mat karo. Usmen avgun jo hai unko mat dekho. Bhagwat marg ke pathik ho. Netron ko sambhalo.
jitni avshyakta hai utna hi kholo. Anytha nahi pura sansaar bhara hua hai usmen. Vyarth darshan se bacho. Aur vyarth shravan se bacho. Bekar ki baten sunne se. Aur pancha vyarth bhramn. Yah panch baten naam japak ko tyagni chahiye. Ab ghum rahe hain bekar ka idhar se udhar. Nahi chupchap asan laga ke baitho. Bhajan karo. Kinhin kinhi ka swabhav hota hai. Asan mein baitho ya gardan jhukao. Jis lakshya mein ja rahe ho wahan jao. Parikrama darshan bas sant samagam to netr jhukae bas sant samagam mein pahunch gaye. Bahut savdhani ki zaroorat.
naam japak ko vyarth bhashan vyarth chintan, vyarth darshan, vyarth shravan aur vyarth bhramn inka tyag kar dena chahiye. Bhagwan ke naam smaran bhagwat lilaon ke smaran bhagwat swaroop ke smaran se vyarth chintan dur ho jaata hai. Bhagwat gunanuvad bhagwan naam kirtan bhagwan naam jap se vyarth bhashan nivitti ho jati hai. Bhagwan murti mahatma aur Gurudev ke darshan karne se vyarth darshan ka dosh dur ho jaata hai. Bhagwat katha shravan naam kirtan shravan isse shravan pavitra ho jaata hai. Vyarth shravan nivraat ho jaata hai.
bhagwat [nak se ki jane wali aawaz] seva aur sadhu janon ki seva karne se vyarth bhramn nivatt ho jaata hai. Yah hua naam japak ki savdhani. Ab ham prem marg ke prathik hain to hamara prem badhe ghate na to kin baton se prem ghat jaata hai pujya padu pahla jo bahut granthon ka swadhyay karta hai wah premi nahi ho sakta jignyasu to ho sakta hai premi nahi premi ko ab jaise aap Vrindavan ras mein jud gaye to Radha sudha nidhi Shrimadd chaturasi ji 42 leela yahi apne Priya pritam ke jas ke granth jo inhi ka path karen inhi ka swadhyay karen hamen chalna hai bihari ji ki taraf to hamen chathi kara aur Agra ke kilometer jaan ke kya zaroorat hai jab hamen bihari ji jana hai to apni disha ki baat ham jane anya disha ki baat jaan karke koi pravachan karna hai kya to bahut granth nahi padhna chahiye dusra bahirmukh purushan ki banai hui pustaken aur tika nahi padhni chahiye.
ham kahte hain jo hamare sad granthon ki tika prakashit hai usi ka bhav apne jeevan mein dharan kar lo. To mahapurushon ki tika padhe anya ki tika na padhe. Bahirmukh purushan ke dwara banai hui bahut vichitra vichitra hai. Jo mahapurushon ko anubhav hua usi anubhav mein ham chale ham apne anubhav na chhape. Mahajno gaten sapanta mahajan jis marg mein gaye usi marg mein chalne se bhagwat prapti hogi. Premi marg mein chalne wale mahan sadhak ko keval mahapurushon ki baten sunni aur padni chahiye. Bas anya nahi bahut granth padhna aur bahirmukh purushan ki banai hui pustaken ya tika padhna tisra bahirmukh purushan ka sang karna yah prem ko ksheen karne wala hai bahirmukh purushan ka sang nahi karna bahirmukh karte hain jo antar kabhi baithkar bhajan hi nahi karte bahar hi keval baten bahar ka hi keval sab rag rang sab mein panch bhautik tatv ek hai sab mein paramatma tmaa ek hai wah samjhe na samjhe hamko to samjhna hai hamara siddhant kya kahta hai sanatan sanatan siddhant kahta hai vasudeva sarwamti vasudeva hamko apne bhagwan ki agyaa manani sab mein bhagwan dekhna hai bole jo dushtata karega to ye unki jimmedari hai yada yada dharmas gir bhavti bharat abhan adharmas tadatman sajam sajam mein ham aham wah kar lenge.
apne ko unka gun gana hai, naam jap karna hai aur unki juthan pakar jeevan vyatit kar dena hai. Dharm sansthapanthay sambhwam yuge yuge ye unka karya hai. Ham unka gun ga rahe hain. Isi se dharm ki sthaapna jitni honi deepak apna prakash dikhata hai. Apna prakash dikhata hai. Chandrama apna prakash dikhata hai. Surya apna prakash dikhata hai. Par sab apurn hai. Kyon? Surya bhi ek simit prakash dene wale asim prakash bhagwan dene wale jo surya ko bhi prakashit karte hain. Samjhna hoga yahan yahan andar ghuso andar dharm ki sthaapna karo.
bahirmukh purushan ka sang na karen aur kisi vyakti se apnapan na hone pave. Premi ko ye bahut khas baat rakhni hai. Kisi se apnapan na hone pave. Apnapan keval shri ji se isi baat mein sab kshma ho jaega avgun kare samudra sam ganat na apno jane ye mera hai apna shabd keval shri ji se jud jae vihaar sabse sab jeevan se priti riti nivahat apni hamari riti hai sukh dena nishkam bhav rakhna sabse prem karo nishkam bhav se apnapan shri ji se rakho shri ji ke nate sabse prem karo pancha updeshak banna jo dusron ko updesh karta hai aur swayam sthiti nahi hai wo kabhi paramarth ka pathik nahi ho sakta chahe jitna badhiya updesh de leta ho sthiti sthitivan purush uski ab sthiti mein koi fark nahi padna jo bhagwadakaar vritti ho gayi hai usi ko updesh dene ka adhikar hai nahi to kah rahe updeshak banne se patan ho jaega.
wah sataarg mein nahi chal payega. Kyonki kam, krodh, lobh, moh, matsar, mad ye jo tyagne yogya hain inko tyag nahi payega. Kyonki kam, vasna upasna se nasht hoti hai. Krodh satsang se prapt vivek ke dwara kshma se nasht hota hai. Moh yah sab nashvan hai. Parivartnshil hai. Mrityu lok hai. Ekmatra satya paramatma hai. Isse moh ka nash hota hai. Lobh bhagwan ke naam mein hone se naam mein lobh hone se sansarik dhan sampatti ka lobh ka tyag ho jaata hai. Matsar jo bhi karm karen wo ishwar ko samarpit kar de.
isse matsar irshya nasht ho jaegi. To ab jo dusron ko updesh de raha hai pakka keval vyapar matra ho sakta hai. Lekin paramarth mein chalne ke liye pehle sansaar par vijay prapt karo. Pehle bhagwat prapti karo. Phir aap jao. Ek bar agyaa ho jae kisi baat ko to aise pakdo ki hamare udhar ke liye rassa phenk diya gaya. Jaise samudra mein koi doob raha ho ek rassi phenk di jae aur wo pakar le to usse par ho jae. Aise gurjan agyaa kar de ki 10 pad ga liya karo aake yahan baith ke to duniya mein chahe jo kuch ho jae lekin tum agar Vrindavan aae ho to 10 pad wahan baith ke ga lo usse tumhara kalyan ho jaega.
to pujya pad shri odiya Baba ji kah rahe hain prem marg mein updeshak banne se badi badha aa jati hai. Agar hamari vritti bhagwadakaar hai to phir koi parivartan nahi. Kyonki updesh bhi to mahatva jan hi dete hain. Sant jan dete hain. Agar sant jan na de sab band kar de to updesh kahan se hoga? Lekin updesh dene ka adhikar usi ko hai jo bhagwat sakshatkar ya nirantar bhagwan se apni chittritti jodna chahta hai. Kyonki kam, krodh, lobh, moh, matsar, mad inka tyag kiye bina updesh kis baat ka ho raha hai?
jo keval bahya hai tyag ka natak karta hai. Wah dhong hota hai. Usi ko damb kaha jaata hai. Usi ko pakhand kaha jaata hai. Aur yadi hriday se tyag kiya jae tab baat to kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar inka hriday se tyag hota hai. Bhajan se jitna bhajan karoge utna hi in vikaro par vijay prapt hogi. Nij ka kalyan karen pehle to jag ka kalyan swayam hoga. Ye hamne mahapurushon ke vachan sune. Pehle swayam jeevan mukt bano phir jagat kalyan apne aap ho jaega. Jo damb hai yah sadhak ko bahut buri tarah gira deta hai.
aur iski damb ki gati achhche achhche nahi samjh pate. Atah bahut savdhaan raho ki tumhare andar koi pakhand, koi damkar ye dosh na aa jae. Dusron ke avgunnon ko dekhna, sunna, kahna, chintan karna ye chhod diya jae kyonki bhajan mein badhak hai. Isse hamare bhajan mein malinta aa jaegi man mein aur bhajan nahi banega. Dusron ke avgunnon ko dekhna, sunna, kahna ya chintan karna isse bhajan mein badha par jaegi. Par charcha ka tyag kar do. Dusron ke agar dekhna hai to gun dekho. Waise to kuch na dekho. Na gun dekho na dosh dekho.
tat suno mayakrit gun dosh anek. Gun ya ubhay na dekhi dekhi so abhivak. Vani, netr, hath, pair inme jo chanchalta hoti hai uska lakshan hota hai ki wo murkhta hai. Usmen bhi mudhta hai. Netr chanchal, vani chanchal, hath chanchal, pair chanchal. Baithe hain wo hila rahe hain pair hila rahe hain aise pair shant baitho jahan hath rakh diya rakh diya ab ghanta ghante shanti se baithe jab aap shanti se baithna chahoge to aapki twendra mein idhar udhar khujli hogi kabhi idhar kabhi idhar kabhi idhar shant netr gambhir mudra gambhir sadhak ka ek alag hi swaroop hota hai jo bhagwat marg ka hota hai vani netr netr, hath aur pair inme chanchalta murkhta ka lakshan hai.
atah sadhak ko in charon ki chanchalta chhodni chahiye. Vani, netr, hath aur pair. Jismen charon chanchalta ho to samjh lo ki dhong hai sadhak rahe. Hath ki chanchalta, netr ki chanchalta, vani ki chanchalta, pair ki chanchalta. Siddh mahapurush hai pujya padu Baba to vani ki chanchalta kya hai jor se bolna adhik bolna vyarth mein chillana bina prayojan ke bina prayojan wali baten karna bina koi uddeshya nahi aise baat kiye chale ja rahe hain ye vani ki chanchalta hai netr ki chanchalta bina kam ke idhar udhar daudana netr upar niche aise bahut chanchaltaen hain.
inko sambhalne ke liye hi mahapurushon ke vachan jo prayah sunne ko nahi milenge. Granthon mein likhe rakhe hain. Netr chanchalyata bhajan mein bahut badhak hai. Kahin na kahin phasa degi. Aur hast chanchalta tinka todna pushp todna, prithvi par likhna ya idhar udhar bar-bar chanchalta chapalta karna aur pad chanchalta, pair hilana, bedhange dhang se chalna aadi aad vani, netr, hath, pair gambhir mudra mein raho. Jo ati bhashan karta hai, ati parishram karta hai, ati bhojan karta hai, aur ati nind leta hai, jo sansarik dharmon mein bandha hua hai, duston ka sang karta hai, rupaye ka lobh rakhta hai, wo paramarth pe nahi chal sakta.
wah paramarth par nahi chal sakta. Pujya Baba jo ati bhashan karta hai. Bahut bolta rahta hai. Ati parishram bahut bekar ki vyarth ki cheshaon mein apni shakti ko khota hai. Ati bhojan bahut bhojan pata hai. To sari shakti bhojan pachne mein lag jati hai. Bhajan kahe se karega? Jo sansarik dharmon mein bandha hua hai. Sansarik dharm koi kisi ka pati, koi kisi ka pita hai, koi kisi inki mahata nahi mahata hai bhagwat sacchidanand bhagwan ki chintan ki to ham karya sab karen par chintan prabhu ka karen. Inki pradhanata na rakh le.
duston ka sang aur lobh rupaye ka lobh yah paramarth mein nahi chalne dete. Ati bhashan ati parishram ati bhojan ati nindra aur sansarik dharmon ke niyamon ka palan karne ki baat aur duston ka sang aur dhan ka lobh yah shuddh paramarth mein nahi chalne dete. Apne karm ko chhodkar jo dusre ke karm dekhte rahte hain, wah pramadi hote hain. Jo dusre ke dosh dekhte rahte hain, unmein rajogun aa jaata hai. Rajogun tamogun ko bula leta hai. Rajogun tamogun hota hai tab bhajan nahi hota. Satvic purush ko chahiye ki rajogun na pave.
kam se kam rajogun hi na pave. Tamogun aa jaega to so jaoge par rajogun aa jaega to vishay vilasita mein fansa dega. Kam bigade bhakti ko gyan bigade krodh aur lobh virag bigad hi moh bigade bodh. Kami purush vishuddh bhakti nahi kar sakta. Kroadhi purush vishuddh gyan nahi prapt kar sakta. Lobhi purush vishuddh bairagi nahi ho sakta. Mohi purush bodhwan nahi ho sakta. Atah kam, krodh, lobh aur moh inse jo milag hote hain wahi bhakt hote hain. Wahi gyani hote hain. Wahi bairagi hote hain.
wahi bodhwan hote hain. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran. Sacchidanand karunamay bhagwan shri Krishna aur Balram kans simhasaan par virajman hai. Sampurn Mathura mandal ki praja baithi hui hai. Aur braj ke nand Baba aadi sab gwal bal bhi gaye hue hain. Bhagwan shri Krishna aur Balram ko akhade mein ghaseeta chanur aur mushtik ne aur kaha aao hamse yuddh karo. Shri Krishna Balram ji ne kaha ham to balak hain. Aap pahar jaise sharir wale kushti to saman bal walon se ladi jati hai. Are unhone kaha tum balak nahi ho.
tum Mahavir ho. Aisa kah karo lipt gaye. Aur bhagwan shri Krishna se choor aur Balram ji se mushtik paraspat kushti ke dav pech ek ghasa mara charur ne bhagwan ke vaksha sthal par to jaise hathi ko foolon ki mala maro kya fark parta hai aise bhagwan ko koi fark nahi para sampurn dekhne walon ne kaha anarth ho raha hai. Kahan do nau kishor balak aur kahan yah bahut purane vajr ke saman kathor sharir wale bade-bade pahlvan nahi anarth ho raha hai. Jis sabha mein anarth hota hai us sabha mein virodh karna chahiye.
hat jana chahiye. Nahi to paap ka bhagi hota hai. Bhagwan shri Krishna chandra ji ne jab dekha ki sampurn Mathura mandal ki praja ko bada is baat par dukh ho raha hai to Balram ji ko ishara kiya ki niptao bahut der khalne se kya fayda? Chanur ko bhagwan shri Krishna ne donon bhujao mein kas ke pakar liya. Utha ke patak diya. Pair pakar ke ghuma ghuma kar dharti par jaise kapda pachhada jaata hai aise pachad pachad ke mar dala. Charur ke pran to patak kar ghumane mein hi nikal gaye the. Uski veshbhusha astavyasta ho gayi.
kesh malaen bikhar gayi. Wo indradhwaj ke saman gir para. Isi prakaar mushtik ne bhi pehle Balram ji ko ek ghasa mara. Is par mahabali Balram ji ne bade jor se ek tamacha jad diya. Tamacha lagne se kampayamaan ho gaya aur andhi se ukhde hue vriksh ke saman atyant vyathit aur ant mein pranheen hokar khun ugalta hua prithvi par gir para. He rajan iske baad yoddhaon mein shreshth bhagwan Balram ji ne apne samne ate hue pahar ke saman balvan koot namak pahlvan ko khel khel mein hi baye hath ke ghase se upeksha purvak mar dala.
usi samay bhagwan shri Krishna ne ek charan ka prhar kiya to shal padhar gaya. Toshal ko tinke ki tarah cheer kar do tukde kar diye. Is prakaar shal toshal koot mushtik chanol in pahalwanon ko bhagwan ne mara. Ab aur jo wahan pahlvan the wah sab pran bachakar akhade se bhag pare. Unke bhag jane par shri Krishna Balram ji samavyaska sakhaon ke saath kushti ka khel khalne lage. Mal ki raat kans ye sab dekh raha tha. Bhagwan shri Krishna aur Balram ji ki is leela ko dekhkar darshakon ko to bada anand hua. Aur jo vayo vridh baithe hue the wah ashish dene lage dhanya hai dhanya ho aisi prashansha karne lage parantu kans bada bhayabhit ho gaya usne vichar kiya koliya peed hathi ko mar diya chadur mushti koot chhal tosal inko mar diya bache hue sab pahlvan bhag gaye bhojraj kans ne kaha band kar do yah baje bajana.
baje bajana band ho gaye. Are Vasudev ke in duchritra ladkon ko bandi bana lo. Gopo ka sara dhan chhin lo. Nand ko kaid kar lo. Vasudev shighr mar dalo. Ugrasen mera pita hai par anuyayiyon ke saath shatruo se mila hai. Isko jita mat chodo mar dalo. Aisa jaise koi pagal aadmi bolta ho. Aise kans bakwas karne laga. Bhagwan shri Krishna ne chhalang mari. Wahi akhade se sidhe simhasaan ke samip pahunch gaye. Veg purvak chhalang markar manch par pahunch gaye. Jismen uchh simhasaan par kans virajman tha. Jab kans ne dekha ki chhalang mar ke mere samip aa gaye.
ab wo bahut ghabra gaya. Sahsa uth khada hua. Hath mein dhal li aur talwar aur bhagwan shri Krishna par chot karne ka paitra badte hue avsar dhundne laga. Kabhi dai aur kabhi bai or. Bhagwan shri Krishna ka tej to prachnd atyant dussa hai. Jaise Garud saanp ko pakar lete hain waise hi bhagwan ne paitra pakar kar ke kans ko balpuk apne kabje mein kiya. Bhaywash kans ka mukut gir gaya. Bhagwan ne kes pakde. Jaise Devki ji ke vivah ke samay kesh pakde the waise hi kes pakde. Aur unche manch se fenka to rang bhumi mein girakar param swatantr bhagwan shri Krishna chandra vishv ke aashray hai.
phenk ke usi ke upar kud pare. Kudte hi kans ke pran nikal gaye. Kes pakar ke ghaseeta aur rang manch mein niche fenka aur usi ke upar kud pare. So uski mrityu ho gayi. Bhagwan sabke dekhte dekhte kans ki lash ko dharti par ghasit ghasit kar marne lage. Jaise balvan sinh hathi ko sabke muhn se hai hai ki unchi awaz nikalne lagi. Kans nitya nirantar badi ghbarahat ke saath bhagwan shri Krishna ka chintan karta rahta tha. Khate, pite, sote, chalte, bolte, sans lete sab samay bhagwan shri Krishna ka dves purvak chintan karta rahta tha.
to usko dikhayee deta tha hath mein sudarshan chakra liye hue bhagwan shri Krishna. Is nitya chintan ke phal swaroop wah chahe dves bhav se hi kyon na kiya gaya ho. Use bhagwan ke usi rup ki prapti hui jise sarupya moksh kahte hain. Kans ko sarupya moksh ki prapti hui. Jiski prapti bade-bade tapasvi yogiyon ke liye bhi kathin hai. Ab jab kans ke bhaion ne dekha jo kanka aadi nigrodhadi the ki hamare bade bhrata maharaj kans ka vadh kar diya shri Krishna ne to apne bade bhai ka badla lene ke liye krodh mein aag babula hokar bhagwan shri Krishna aur Balram ki or daude.
jab bhagwan Balram ji ne dekha ki bade veg se yuddh ke liye tayyar hokar daude aa rahe hain to ek parig uthakar un sabko mar dala. Jaise sinh pashu ko mar dalta hai. Us samay akash mein dhundhbhiyan bajne lagi. Bhagwan ke vibhuti swaroop brahma shankar aadi devta bade anand se pushpo ki varsha karte hue shri Krishna Balram ki stuti karne lage. Maharaj kans aur uske bhaion ki striyan swajnon ki mrityu se atyant dukhit ho gayi aur apna sir pitati hui ankhon mein aansu bhare hue wahan ai aur veer saiya par soe hue apne patiyon se lipt kar wo shok grast ho gayi aur bar-bar aansu bahati hui unche swar se vilap karne lagi wo striyan ro-ro ke pukar rahi thi ha nath hai he pyare he dharmagya he karunamay he anath vsal aapki mrityu se ham sab mari saman ho gayi aaj hamara ghar ujad gaya hamara saubhagya ujad gaya hamari santan anath ho gayi kans se uski patniyan kahti is puri ke aap hi Swami the aap ke aapne itne nirparadh praniyon se droh kiya ki usi paap ke karan aap mare gaye.
aapne bada anyay kiya tha. Isi se aapki yah gati hui hai. Sach hai jo jagat ke jeevan se droh karta hai, unka ahit karta hai, aise purush ki aisi hi gati hoti hai. Unki patniyan kah rahi yah bhagwan shri Krishna jagat ke samasth praniyon ki utpatti aur pralya ke adhar hain. Ye bhagwan shri Krishna jagat ke rakshak hai. Jo bhagwan ka bura chahta hai ya jagat ka bura chahta hai wo kabhi sukhi nahi rah sakta. Parikshit bhagwan shri Krishna hi sare sansaar ke jeevan data hain. Phir unhone kans aur unke bhaion ki raniyon ko daand banaya.
santwana di. Phir lok riti ke anusaar marne walon ka jaisa kriya karm hota hai wo sab karaya. Tadantar bhagwan shri Krishna aur Balram ji ne jail mein pravesh kiya. Wahan dekha ki unke mata-pita Devki vasudev hathkadi bediyon se jakde hue hain. Swayam bandhan kata aur sir se sparsh karke unke charnon ki vandna ki. Apne putro ke pranam karne par bhi Devki Vasudev ji ne dekha ki yah to Jagdishwar hai. Yah to sakshat bhagwan hai. Unhone apne hriday se nahi lagaya. Shanka ho gayi ki ye bhagwan Jagdishwar hai.
inko ham kaise gale lagaen. Shri Sukhdev ji kahte hain parikshit bhagwan shri Krishna ne dekha ki mere mata-pita ko mere bhagwatta ka aishwarya ka bhagwat bhav ka gyan ho gaya jo theek nahi hai. Kyonki isse inhe putr sneh ka sukh nahi mil payega. Aisa sochkar unhone un par apni us yog maya ka prabhav faila diya. Jo unke swajnon ko mugdh rakhkar unki leela mein sahayak hoti hai. [gala saaf karne ki aawaz] Yaduvansh shiromani bhagwan shri Krishna bade bhai Balram ji ke saath apne maa-bap ke paas jakar aadar purvak vinay jhuk kar kaha meri maa aur mere pitaji jab aisa bole ki mere maa mere pitaji aur udhar yog maya ko adesh kar diya ki inke gyan ka aphrn karo nahi to putr sneh ka sukh nahi le payenge.
hath jodkar kaha pitaji mata ji ham aapke putr hain aur aap hamare liye sarvda utkanthit rahe hain phir bhi aap hamare bal paugand aur kishor avastha ka sukh hamse nahi pa sake aur duradwash aap logon ko hamare paas hamko aapke paas rahne ka saubhagya nahi mila. Aisi prem bhari baten karne lage. Pita aur mata is sharir ko janm dete hain. Iska lalanpalan karte hain. Tab kahin jakar yah sharir dharm, arth, kam athva moksh ki prapti ka sadhan banta hai. Isliye koi bhi manushya 100 varsh tak jivit hokar apne mata-pita ki seva karta rahe.
tab bhi wah mata-pita ke rin se un nahi ho sakta. Phir jo apne mata-pita ko gali dete hain, marte hain ya kisi bhi tarah kasht phuanchte hain to unko unki to durgati pakki hai. Jo putr samarth rahte hue apne maa-bap ke sharir aur dhan se seva nahi karta. Samarth hai, sharir svasth hai, rupya paisa bhi hai aur apne maa-bap ki seva nahi karta. Uske marne par yamdoot use uske apne sharir ka mans khilate hue narak bhogate hain. Isliye mata-pita ki seva bahut aniwarya hai. Bahut aniwarya hai. Are aaj ka jo samay chal raha hai bada mangalmay hai.
jara dekho to apne mata-pita ke charnon mein mastak rakhkar dekho apne mata-pita ka dular dekho. Jab wo kripa karte hain tab aisa lagta hai mere bhagwan inme virajman hai. Dusri koi aisi kripa kar hi nahi sakta. Dekho jab maa aise daudkar gale se lagati hai aur ashruon se mastak bhigoti hai us samay ka sukh kaise varnan karen zindagi mein koi wo sukh nahi de sakta jo maa hriday se laga ke jab aisi pavitra maa aise pavitra pita ko jo apmanit karte hain unki badi durgati hoti hai jo apni patni ka bharan poshan nahi karta.
jaise tumhen pani grahan mila to tumne jimmedari li. Uski jimmedari tumne li hai. Jo unke mata-pita se bana wo tumhen de diya. Kuch log dahej ke liye pratdit karte hain. Yah bahut badi nindniy baat hai. Agar garib aadmi hai, beti ka byah hai, apna jeevan dhan beti de raha hai aur jo kuch hai wo de hi diya hai. Aisa koi pita nahi hota ki beti ke saath kuch dena. Aisa nahi. Sabka hriday ullasit hota hai aur bada mangalmay wo din hota hai jab pani grahan kanyadan karta hai. Wo pita bada bhagyashali hota hai.
ab yah jo log ladki ko pratdit karte hain dahej hai sab narkgami log hain. Yah narkgami log hain. Aur jo purush par grahan hath mein lekar patni ka bharan poshan uski kamnao ki purti uski suraksha vyvastha puri jimmedari uski banti hai aur patni ko chahiye jisse pani grahan hua hai. Aajeevan uski agyaa par chalne ki cheshta karen. Balak aur budhe atithi aur guru bhojan sabse pehle inko pavaya jaata hai. Inka sammaan kiya jaata hai. Jo aisa nahi karta wah jita hua murde ke saman hai. Bhagwan ne kaha pitaji hamare itne din aapse vimurkh gaye.
kyonki kans ke bhay se sada udagnit rahne ke karan ham aapke paas nahi aa paye. Aapki seva nahi kar paye isliye ham asmarth rahe. Hamen kshma kijiye. Meri maa aur mere pitaji aap donon hamen kshma karen. Hai dusht kans ne aapko itne itne kasht diye parantu ham partantra rahne ke karan aapki koi seva susa na kar sake. Shri Sukhdev ji kahte hain parikshit leela se manushya bane hue vishwatma bhagwan shri Krishna ki suvani se mohit hokar ke Devki vasudev ji ne god mein utha liya aur hriday se lagakar mere beta aisa kah ke parmanand mein magan hue yah yog maya ka prabhav nahi to jaan gaye the param brahm paramatma hai isiliye pratham bar pranam karne par hriday se nahi lagaya yog maya ka prabhav ki aise sneh paas mein bandh gaye purntya mohit ho gaye ki asuon ki dhara bahne lagi aur shri Krishna chandra ji aur Balram ji ko hriday se laga liya gala randh gaya kuch bolne ki samarth na rahi Devki nandan bhagwan shri Krishna chandra jo is prakaar apne mata pita ko santwana dekar jail mein hi age badhe aur maharaj ugrasen jo yaduvanshiyo ke raja bana diye gaye the unke paas gaye aur kaha maharaj ham aapki praja hain.
aap ham logon par shasan kijiye. Raja Yayati ka saap hone ke karan Yaduwanshi raj simhasaan par nahi baith sakte. Parantu meri aisi ichchha hai isliye aapko koi dosh nahi hoga. Jab main sevak bankar aapki seva karta rehunnga to bade-bade devta bhi sir jhukakar aapko bhet denge. Yah dusre naraptiyon ke bare mein to kahna hi kya? Parikshit bhagwan shri Krishna sare vishv ke vidhata hain. Unhone jo kans ke bhay se vyakul hokar idhrudhur Yaduwanshi bhag gaye the. Brishwanshi, andhak Vanshi, madhur dasar, kukur aadi un sab vanshjon ko bulaya.
unhen ghar se bahar rahne par bada klesh uthana para tha. Bhagwan ne unka satkar kiya, santwana di aur khub sampatti dekar sabko Mathura mein vas karaya. Sare ke sare Yaduwanshi bhagwan shri Krishna tatha Balram ji ke bahubal se surakshit the. Bhagwan ki kripa se unhen ab kisi prakaar ki kami nahi. Kisi prakaar ki vyatha nahi. Dukh to tha hi nahi. Unke sare manorath safal ho gaye. Ve kritarth ho gaye. Ab apne apne gharo se anand kand bhagwan ka chintan karte hue samay vyatit karne lage. Bhagwan shri Krishna ka mukharvind anand ka sadan hai.
nitya prafulit hai. Kabhi na kumlane wala kamal hai. Prabhu ka saundarya apaar hai. Sadasya has chitvan mukharvind par nachti rahti hai. Yaduwanshi din pratdin bhagwan ka darshan karke anand magan rahte hain. Mathura ke vridh purush bhi yuvkon ke saman balvan aur utsahi ho gaye the kyonki sabke upar bhagwan ki drishti padi thi. Ve apne netron ke donon se bar-bar bhagwan ke mukharvind ka amritmay makrand raspan karne isliye budhe budhe bhi jawan lagne lage the Mathura mein. Ab Devki nandan bhagwan shri Krishna aur Balram ji nand Baba ke paas aae aur gale lag ke kahne lage Baba aapne aur maa Yashoda ne bade sneh aur dular se hamara lalan palan kiya hai.
ismen koi sandeh nahi ki mata-pita santan par apne sharir se bhi adhik sneh karte hain. Jinhe palan poshan na kar sakne ke karan sajan sambandhi ne tyag diya hai. Un balkon ko jo log apne putr ke saman lad pyar se palte hain ve hi vastav mein unke maa-bap hain. Pitaji ab aap log braj mein jaiye. Ismen sandeh nahi ki hamare bina vatsalya sneh ke karan aap logon ko bahut dukh hoga. Yahan ke shraddha sambandhi ko sukhi karke ham aapse milne aaenge. Aisa Baba se kahkar unko vida kiya.
bhagwan shri Krishna aur nand Baba dusre brajvasi is prakaar varta hui. Sabne sundar sundar vastr abhushan dharan kiye. Bhagwan shri Krishna Balram ko nand Baba ne gale lagaya aur bade prem adhir ho gaye aur aansu bhar ke abhishek kiya nand Baba ne thakur ji ka aur Balram ji ka kyonki prabhu kah rahe ham aaenge kabhi aapse milne abhi aap jae iske baad bhagwan wahan se vida hue aur nand Baba braj ke liye chale. Vasudev ji ne apne purohit gargacharya aur dusre brahm rishiyon ko bulakar shri Krishna Balram ka vidhi purvak dwijat samuchit yagyopwit sanskar karaya.
agar yagya pavitra para hua hai Gayatri anusthan hai uske samne koi badha vighna nahi. Yagya pavitra brahm shakti hai. Dwajati ko dharan karne ka adhikar hai. Koi birle aise hain jo is dharm ka palan karte ho. Vasudev ji ne gargacharya aur anya brahmano ko bulakar yagyapwit sanskar karaya. Bhagwan shri Krishna aur Balram ka. Badi mahima yagyapwit ki. Agar yagya pavit para hua hai to bhut pret nahi aapko chu sakte. Yagya pavitra para hua hai to aapka koi maran mohan vashikaran atan nahi kar sakta.
par mahatma hi nahi samjhte hain. Aaj ke bachchhe mahatma nahi samjhte. 12 13 mein Gayatri anusthan prarambh ho jaata hai to buddhi prakashit hoti hai. Bada sab dharm viparit aacharan ho raha hai. Khub dakshina di vastr abhushan brahmano ko dan kiye. Gaun ko sone ki malaen aur sone se jatit chadren odha ke dan ki. Vasudev ji bhagwan shri Krishna aur Balram ke janm nakshatra mein jitni gaye man hi man sankalp kar di thi to kans ke bhay se wo sab de nahi paye the. Ab unka smaran karke brahmano ko sab gauve di jo bhagwan ke janm nakshatra ke samay sankalp kiya tha.
gargacharya ji se sanskar karakar Balram aur bhagwan shri Krishna ko dwijat prapt karaya. Yagya sanskar ye dwijatwa hai. Aur brahmcharya akhand to hai hi aur akhand vrat diya. Brahmcharya ka akhand vrat yah sabko milta hai. Kuch samay baad jab 22 24 ki avastha to phir jo naishthik brahmachari to sanyaas le lete hain nahi to shesh grihasth ashram mein chale jaate hain. Aisi shastr paddhti hai. Shri Krishna aur Balram ji jagat ke ekmatra Swami hain. Sarvagya hain. Sabhi vidyaen unhin se nikli hai. Unka nirmal gyan swatah siddh hai.
phir bhi unhone manushya ki si leela karke apne gyan ko chhipa rakha hai. Ab ve donon gurukul mein nivas karne ki ichchha se avanteepuri gaye. Ujjain wahan kashyap gotri Sandipni muni ke paas gurukul mein nivas kiya. Unko guru pad mein varan kiya. Donon bhai vidhi purvak guru ji ke paas rahne lage. Us samay mein bade hi susyat apni cheshaon ko sarvatha niyamit rakhte. Guru ji ke paas bahut savdhaan hokar rahna chahiye. Kam bolna jitna adesh utni seva nahi to naam jap mantr jap shastr ka swadhyay aise vyatit kiya jaata hai.
gurujanon ke yahan bahut savdhani se rahna chahiye. Bhagwan shri Krishna Balram bade susyat rahte hain. Cheshaon ko niyamit rakhte hain aur Gurudev ka vishesh aadar karte hain. Gurudev bhi shri Krishna Balram ka vishesh aadar karte hain. Bhagwan shri Krishna Balram ji ne sevak ki bhanti Gurudev bhagwan ki uttam seva ki. Gurudev ke adhinta kaise sweekar karni chahiye? Yah swayam shri Krishna aur Balram ne adarsh rakha. Apne Gurudev ko sakshat bhagwan samjhkar unki agyaa ka palan unki seva guruvar Sandipni ji unki shuddh bhav se yukt seva se bahut prasann hue.
unhone donon bhaion ko chhahon ang aur upnishdon ke sahit sampurn vedon ki shiksha di. Iske siva mantr aur devtaon ke gyan ke dwara dhanurwed manusmriti aadi dharm granth meemansa aadi vedon ka tatparya batane wale shastr inki shiksha di. Phir sandhi, vigrah, yaan, asan, dwaidh, aashray in chhah bhedon se rajniti ka bhi adhyan karaya. Parikshit bhagwan shri Krishna aur Balram sari vidyaon ke pravartak hain. Keval manushya ka sa vihaar karte hue Gurudev ke paas rahkar shiksha grahan ki. Gurudev ji ek bar keval bolte the bhagwan ko kanthsth ho jati thi.
kyonki kanthsth kya hai? To bhagwan hai. 64 din mein 64 din raat mein bhagwan ne 64 prakaar ki shikshaen grahan ki. Gaan vidya vadya bhanti bhanti ke baje bajana nritya karna natya karna chitrakari karna bel bute banana chaval aur pushpa aadi se puja ke uphar ki rachna karna foolon ki sej banana dant vastr angon ko rangna manyon ki pharsha banana saiya rachna jal ko bandh dena aur vichitra siddhiya har mala aadi banana kan aur choti ke phool gahne banana kapde nana prakaar se susajit karna foolon ke abhushan se shringar karna kano ke patton ki rachna karna sugandhat vastue itr tel inka nirman karna
indrajal jadugri karna jaisa chahe vaisa vesh dharan kar lena hath ki purti ke kam tarhatrah ke khane ke bhog ki vastue bana lena tarah-tarah ke pine ke padaarth banana aur sui ka kam silne ka kam kathputli banana usko nachana paheli banana aur usko gana pratima banana uski puja karna koot niti granthon ke padhane ki chaturya natak akhyayika aadi ki rachna karna samasya purti karna patti bet baan aadi banana galeeche dari aadi banana bai ki puri kareegri grah aadi banane ki kareegri sone chandi aadi dhatuon ki tatha hire panne aadi ratnnon ki pariksha karna sona chandi aadi bana lena manyon ke rang ko pehchan lena khanon ki pehchan karna vrikshon ki chikitsa karna bheda murga bate aadi ko ladane ki riti sikhna tota maina aadi ki boliyan bolna uchatan karna keshon ki safai ka kaushal aur mutti ki chij ya man ki baat jaan lena aur mleksha kavyon ko samjh lena vibhinn deshon ki bhashaon ka gyan ho jana shakun apashkun janna aur prashan ke uttar mein shubhshubh batlana, nana prakaar ke matra ka
yantr banana, ratnnon ko nana prakaar ke akaron mein katna, sanketik bhasha bolna, man mein katak rachna karna, naeenai baten nikalna, chhal se kam nikalna, samasth koshon ka gyan hona, samasth chhandon ka gyan hona, wastron ko chhipane ya badalne ki vidya aur dat krida dur ke manushya vastuon ka akarshan kar lena balkon ke khel mantr vidya vijay prapt karane wali vidya vetal aadi ko vash mein rakh lena ye 64 prakaar ki vidyaen Sandipni rishi se suni Balram ji aur bhagwan shri Krishna ka parakram anant hai donon maharathi hai Gurudev dev bhagwan ne 64 prakaar ki shiksha sikhai.
ab adhyan samapt hua to Sandipni muni se prarthna ki ki guru dakshina ye guru ko guru dakshina se santusht kiya jaata hai. To aapki jo ichchha ho wo guru dakshina maang lo. Maharaj Sandipni muni ne unki adbhut mahima sun rakhi thi. Alaukik buddhi ka anubhav kar liya tha. Isliye unhone apni patni se salah karke guru dakshina mangi. Kaha prabhas kshetra mein hamara balak samudra mein doob kar mar gaya tha. Use aap le aao. Yahi guru dakshina hai. Bhagwan Balram ji aur shri Krishna ka parakram to ananton maharathi.
unhone bahut accha kahkar guru ji ki agyaa sweekar ki aur rath par savar hokar prabhas kshetra gaye. Samudra tat par jakar kshan bhar baithe the. Us samay ye jankar ke sakshat parmeshvar hai. Samudra ne anek prakaar ki puja samgri lekar samne aaya. Aur bhagwan ne samudra se kaha samudra tum yahan apni badi-badi trangon se hamare jis guru putr ko baha le gaye use lakar lao. Sandipni ji ne guru dakshina mein manga ki hamara putr prabhat kshetra mein doob gaya tha use wapas le aao. To samudra hath jodkar bola devdhidev shri Krishna maine us balak ko nahi liya.
mere jal mein panchjan naam ka ek bada bhari daitya jati ka asur hai jo shankh ke rup mein rahta hai. Ho sakta hai usi ne wo balak cura liya ho. Samudra ki baat sunkar bhagwan turant hi jal mein ja ghuse aur shankhasur ko mar dala. Parantu wo balak uske pet mein nahi mila. Tab uske sharir ka shankh lekar bhagwan rath par chale. Wahan se Balram ji ke saath bhagwan shri Krishna sanymini Puri Yamraj ki rajdhani hai. Wahan jakar panchjan ne shankh bajaya. Shankh sunkar ke Yamraj ji aae aur bhagwan ka swagat kiya. Bhakti bhav se vidhi purvak archan vandna ki aur namrata se jhuk ke kaha sabke hriday mein virajman sacchidanand swaroop bhagwan shri Krishna kya seva karen?
aap donon leela se manushya bane hue ho. Waise to parmeshvar ho. Main aap donon ki kya seva karun? Bhagwan ne kaha Yamraj yahan hamare apne karm bandhan ke anusaar guru putr laya gaya hai. Tum meri agyaa sweekar karo. Uske karmon par dhyan mat do aur wo putr lakar do. Yamraj ne kaha jo agyaa aur bhagwan adesh jo diye the uska tatkaal palan hua. Guru putr ko lakar de diya. Ab aap dekh lo. Sandipni ji ke putr hain. Aur kahan pahunche the? Yampuri mein mile. Bhajan nahi karoge to baat nahi banegi. Wo Sandipni ji hain jinke shishya bhagwan shri Krishna jinko 64 vidyaon ka gyan karaya.
bhagwan shri Krishna jinke shishya bane unke putr kahan mile? Yampuri mein. Isliye aisa na socho ki jo man ave so karen ham nahi bahut savdhani ki zaroorat hai jaise Harivansh nark gati durbhar yam dwrae katiyat na chhi keke thode se aparadh ka bhi hisaab hota hai isiliye Radha Radha bolo sab kshma ho jaega bahut bada bal hai Radha naam mein Yamraj ji ne akar ke guru putr ko saump diya aur kaha prabhu aur agyaa kijiye kya seva seva karun. Bhagwan ne kaha keval guru putr chahiye tha aur guru putr ko liya aur akar Gurudev se kaha Gurudev ye guru dakshina mein mara hua putr wapas la ke de.
guru ji ne kaha beta tum donon ne bhaleebhanti guru dakshina di. Ab aur kya chahiye? Tumhare jaise Purushottam bhagwan ka guru banne ka saubhagya mila. Mere sare manorath purn ho gaye. Bas viron ab tumhari vidya purn hui. Tum apne ghar jao. Tum loko ko pavitra karne wali kirti prapt karo. Tumhari padhi hui vidya is lok aur parlok mein sada naveen bani rahe. Kabhi vismrit na ho. Guru ji se agyaa lekar vayu ke saman veg aur megh ke saman shabd wale rath par savar hokar shri Krishna Balram Mathura laut aae.
Mathura ki praja bahut aandit hui ki bhagwan shri Krishna aur Balram gulkul se laut aae. Sab ke sab parmanand mein magan ho gaye. Shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh lal ki jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- sarv papon ka nash karne wale shri giriraj ( Govardhan ji ) ki adbhut mahima // 09/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- divya Diwali maha mahotsav // 08/11/26 — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- in 10 dosho se pahchanen ki hamare bhitar paap hain ya nahi / gopiyon ki virah vyatha evam bhramargeet ka varnan — pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
- upasna mein badha dalne wale ye 6 dosh / Uddhav ji ka gyan aur gopiyon ka anannya prem // 06/11/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan…
- santo ki kripa se prapt hoti hai aisi adbhut sthiti / Uddhav ji ko dekhkar brajvasyon ki virhadsha — Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasau purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param…
- nihal kar dene wali sharanagati ka varnan / Uddhav ji ka shrikrishna ka sandesh lekar ana / nandbaba se varta — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shi shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param…