atma, dimaag va dil me kya samanta hai ? Kya ye alag-alag hain ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
pushpa rana ji rohtak se Radhehe prabhu ji Radhe-dhe maharaj ji shri Harivansh pranam maharaj ji atma dimaag va dil mein kya samanta hai kya ye phir alag-alag hai bhajan karo tab janoge adhyatma ka vishay hai dekho dil aur dimaag jise tum kahte ho na use aise sadharan bhasha mein hriday kaha jaata hai aur bhagvatik bhasha mein antahkaran kaha jaata hai. Antahkaran ke char rup hai. Buddhi, man, chitt aur ahankaar. Ise aise sahit bhasha mein bol diya jaata hai yar hriday se bolna tum, dil se bolna. Us waise jo angon ki bhasha mein to dil ek ang hai jisse sharir ka sanchan ho raha hai.
wo kaha jo ham sambodhan karte hain na dil aur hriday se uska tatparya hota hai antahkaran. Usi antahkaran se pura system jo pura system hai na sochne ka karne ka dekhne ka sunne ka ye indriyan indriyan ek kar wahan se shasit hai pradhan board jo hai wo antahkaran hai buddhi nischay karti hai man sankalp vikalp karta hai. Chitt chintan karta hai. Ahankaar kriyon ko sweekar karta hai. Bhogon ko sweekar karta hai. Ye jo antahkaran ko power jahan se mil raha hai wo hai atma tatv. Usmen na koi kamna hai na koi vikar hai na wah marta hai na wah janmata hai chaitanya ghan atma swaroop hai usi ke power se sab kar param prakashak jo usi ke power se antahkaran mein antahkaran se indriyon mein indriyon se sari cheshta sab aapko dikhayee de rahi hai yah hai mayakrit aur wo hai mayatit jo atma tatv hai na wo hai maya bole atma pavitra ho gaye ab wo vichar janta nahi na atma pavitra nahi ho gayi antahkaran pavitra ho raha hai atma tatv kabhi malin hua hi nahi.
ishwar ansh jeev avinashi chetan amal sahaj sukhrasi wo amal hai. Usmen koi mal sparsh kar hi nahi sakta. Na paap na punya na janm na mrityu na dukh na sukh na astr na shastr na agni na surya na chandra na vayu kisi ke samarth nahi jo atma tatv hai na ab ham logki abhi gyan nahi hai isliye usko bhasha mein bolte rahte hain to jo aap bol rahe hain wo antahkaran hai aur jo aap atma tatv kah rahe hain wo antahkaran ka prakashak hai usi se power jaise chumbak aise rakh do to jo lohe ki vastue hain usmen hilan dhilan ho jaegi par usmen samarth nahi wo chumbkeey tatv par chumbak ki ichchha nahi uska prabhav hai.
uska prabhav hai. Aur wo jad vastue hilne lagti hain. To ye jad sharir hai na ye jad hai. Ye chaitanya nahi hai. Dekho abhi yahan se chaitanyata hata di jae to indri ki to aap chheel lo kaat do. Koi pareshani nahi. Ye jad hai. Ye jad sharir jisse prakashit ho raha hai. Powerful chaitanyata aa rahi. Wo antahkaran panch gyanendriay panch karmendirya. Char antakran man buddhi chitt aham aur panch gyanendriay aur panch karmendirya aur inko jahan se prakash mil raha hai wo hai atma tatv ye hamara swaroop nahi hai hamara swaroop hai atma tatv jab yah bodh ho jaata hai to mukt ho jaata hai aur jab nahi hota to fansa hua bhatakta rahta main stri mein purush yah prapanch mayakrit chalta rahta hai samjh rahe hain aap ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…