#08/ sar ki baat / 30-09-2023 / Saar Ki Baat
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
aap bilkul ghabrana mat. Bhagwat prapti ka ham aapko saral sutra bata rahe hain. Isi pe ham phule rahte hain. Hamen keval ladli lal ke charnon mein apna atmsamarpan kar dena. Isi se bhagwat prapti ho jaegi. Roz atmsamarpan ki tayyari hi ham karva rahe hain. Ye jo satsang ho raha hai na ye roz aapko khinch khinch ke itne gehre dhas gaye ho na. Ek jhaatke mein bahar nahi hath. Roz thoda khinchte hain. Phir tum ghasit ke udhar hi chale jaate ho. Phir ghaseete hain. Phir sochte hain kabhi ek dhakka aisa laga ki nikal aayega.
abhi avsar hai nikal chalo shyama Shyam ke samip chalo jinki baat itni mithi hai wo kitne sundar honge wo kitne mahan wo kitne sukhmay honge ek bar dekho na yar pure jeevan ke jeevan vyatit ho gaye ek bar shri ji ko dekhne ki than lo ek bar to than lo ki ab ek bar nikunj ka dekhenge ham vaibhav nihal ho jaoge than lo tum bas tum than liye to mil jaega pakka hai iska ye siddhant hai paramarth ka tumhara nischay hi hoga hi nischay nahi agar tumhen shri ji nahi mil rahi to nischay hi nahi hoga aur agar nischay ho gaya hai pakka shri ji ne paas kar diya tumhen agar Vrindavan ka rang chadna chahte ho to yahan to ek hi baat hai jai jai shri Radhe Radha Radha Radha Radha yahan to hamari maharani jo ka rajya hai meri maharani shri Radha rani har samay kishori jo sahayata kya hai pritam unke adhin hai jara sa ishara kar diya ki dekh lo isko bas ho gaya aur kya lihal dekho aur ek baat batayen jaise aapko koi raji ji karna chahe mehnat padegi agar aapki Priya ko bas aap uski baat nahi taal
paoge to lal jo ki Priya hai isliye unko Priya jo kahte hain aur lal jo anant brahmando anant shaktyon ke Swami hai aur jake adhin sada hi savro ya braj ko sirtaj hamare mai shyama ji ko radhala to agar Radha Radha Radha to phir koi badha le anand hi anand kyonki anand sindhu bhagwan ki jimmedari ban gayi kishori ji ne ishara kar diya ye mera naam ratta hai mere ashrit hai dekh lo pritam bas pritam dekh lenge to nihal ho jaenge. Kisi aur ka jis din bharosa nahi rahega usi din prabhu ka sakshatkar ho jaega.
tab tak vilumb hai prabhu ki taraf se jab tak koi aur hai tumhare jeevan mein jis din aur koi nahi hoga. Vastu vyakti sthan kuch bhi itna bhi kuch aur kahte hain na dubne wale ko tinke ka sahara kafi hota hai. To yahan bhagwat anand mein dubna tinke ka bhi sahara nahi lena. Wahi badha pahuncha dega. Sidhe prabhu ka bharosa, prabhu ke bal se prabhu ka bhajan karna aur us bhajan ka phal prabhu ki prasannata. Itna bada mahan mahimam mein ishwar tumhara mitra ban gaya. Isse bada koi chahiye. Puri duniya banane wala tumhare sambandh mein hai.
are bada wo maya ka khel hai na kahin na kahin ham aise aise rahte hain. Idhar maya ko pakde idhar prabhu ko bhi pakdna. To pakar mein aaenge nahi wo. Wo nahi aaenge pakar mein. Jab tak pura ka pura aise nahi karoge na. Pehle aise dekho ham kisi ko nahi pakde. Zaroorat hai bhrose ki par bharosa hamara kai jagah fansa hua hai to wahi satsang se bhajan se dhire-dhire ham apna bharosa sametkar prabhu ke charnon mein ek bharoso ek bal jo pure tribhuvan mein vijyi hai koi aisa rishi muni brahm rishi mahatma Paramhans shabdasparsha rup ras vijeeta ki madhur vani inke rup inki mand muskan inki pankh chitvan ne use ghyal na kar diya lalit kishori ji kahte bhale ki tarah barchhi ki tarah iski chitvan lagti hai.
dekho ji dekho ye nand ka chora barchhi mare jaata hai. Barchhi si tirchhi chitvan ki paini chhuri chalata hai. Hamko ghyal dekh bedardi mand mand muskata hai. Lalit kishori jakhma jigar par nanpuri burkata hai. Dekho ri dekho ye nand ka chora aur nand ke chora ko jo koti kam lawanya bihari wo kahte pyari jo jab dekho tero mukh tab nayo nayo lagat eso brahm hot dekho na kabhuri duti ko dut lekhni na kagat param swatantr bhagwan Durvasa ji se aham bhakt para gazab kar diya akhil bramhandon ke Swami anant shaktyon ke Swami kah rahe hain main bhakt ke adhin hoon aam bhakt paradheeno astantra main swatantr nahi hoon main bhakt ke adhin hoon ye baat bhagwan isse bada kaun sammaan de sakta hai isse bada sammaan kuch ho sakta hai jinka ved yash gate hain jinko param swatantr paramatma brahm kaha gaya wo swayam shri mukh se kah rahe hain tum kya samjhte ho main swatantr hoon nahi main bhakt ke adhin hoon.
aham bhakt paradheeno astantra iz isse bada pyar kya ho sakta hai? Isse bada dular kya ho sakta hai? Isse bada sammaan kya ho sakta hai? Isliye savdhaan nischit nischit aise vachan prabhu unhin ke liye kahte hain jo prabhu ke siva kisi ko apna nahi mante. Ab hamare paas koi shabd nahi rah gaya hai. Koi updesh nahi rah gaya hai. Bahut samjhne ka vishay hai. Bahut samay nahi rah gaya hai. Kam samay mein bada labh Priya ji ke gale par jao. Ab to aapko sweekar karna hi padega. Ham kaise hain? Hamse kya hoga?
yah sab chodo. Ab aap jano aapka kam jane. Apna shabd keval ladli ji ke liye rahe. Apna shabd kahin nahi hona chahiye. Bas itni khas baat hai. Tum kya karoge? Kuch kar sakte ho. Nahi to hokar baithe raho. Hamare hriday mein jab pyari ji aur pyare ju ke siva anya kahin koi vyakti nahi rahega, koi bal nahi rahega to aap nikunj jane ke liye kamar kas lijiye. Aap pahunch jaenge. Samat satsang anya aashray tyag karane ke liye hai. Bas gore charnarvind ka bharosa aur wo gati jo brahmadi bhi yachna nahi kar sakte.
pane ki baat jane do. Shri ji ke bhrose hain. Shri ji ke hi adhin hai. Aapko nischit shri ji ki prapti hogi. Ek hi chij hai jisse shyama Shyam bik sakte hain. Apnapan aap apnapan sametie shri ji ke charnon mein dijiye to aap dekh lenge ki priyal ati udaar karuna varunalay hai. Tumhare hriday mein prakashit ho jaenge. Jis din shri ji se apnapan ho jaega usi din sare aparadh aapke kshma jo bhutkal ke aparadh, vartman kal ke aparadh aur bhavishya ke bhi tahre agle pachhle aparadh Harivansh ke bhi avgun kare samudra sham ganat na apno jaan apno yah sabse khas shabd hai apnapan shri ji se aur jahan shri ji se apnapan hota hai to baat samjh lo dhyan shri ji ka kiya nahi jaata.
kisi ki karne ki samarth bhi nahi. Shri ji hamare dhyan mein jam jaate, baith jaate hain. Jaise abhi hamara man vishay hai. Vishay ban raha hai. Yahi vishay ki kalpna karke vishyon mein sukh ka bhram paida karke hamen vishay bana diya. Aur ham kah baithe hain ki ham to sansari hain. Ham to vishay hain. Nahi. Ham vishyon mein jarur parast ho rahe hain par ham prabhu ke hain. Ismen koi baat lagane wali nahi hai. Hain unhin ke hain. Jitna Meera jiu ko prabhu pyar karte hain sachchi maniye utna aapko bhi pyar karte hain.
par Meera ji jitna prabhu ko pyar karti utna aap nahi karte. Prabhu ki shikayat nahi aap kar sakte. Aap dekh lijiye. Hamari taraf se kami hai. Meera ji ka pyar surakshit hai. Bata hua nahi hai. Kahti mere to Giridhar gopal dusro na koi aur hamare pyar mein agar yahan tak baat aa gayi ki mere to Giridhar gopal par yah baat nahi aa pai dusro na koi dusra bhi bahut kuch hai par prabhu ka pyar bata hua nahi wo hamen saman pyar kar rahe hain par ham samjh nahi pa rahe jiski jibhya ke agr bhag par hari naam virajman ho swapach bhi chandal bhi param shreshth aur vandneey ho jaata hai hari ko agar adhin koi kar saka hai to aaj tak na koi tapasvi kar paya hai na koi gyani kar paya hai na koi yogi kar paya hai.
agar koi kar paya hai to sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhe Ramu naam mein ek aisi samarth hai bhagwan ko adhin kar leta hai ki yadi aap bhagwan ka aashray liye hain aur aap naam jap karte hain to kisi ki takat nahi hai ki aapke dharm ke virudh aapke saath vihaar kar sake. Ham bhi bachchha hi the. Bachchepan se nikle hain. Sab jagah rukna baithna uthna kahin bhi kisi ki bhi samarth nahi thi. Ye ham dekha hai jangal mein akele saanp bi sab kahin kisi ab ham Padmasan lagae baithe hain bagal se kala saanp nikal raha hai senpur bas nischay hai ki agar ise katna hai to tum bhag lo tumhen kateega ye nahi to dusra kateega aur nahi katna hai to ye upar se nikal jaega kateega nahi ab band ke mantr jap rahe ho dhire se samne se aise gujar ke chalo koi bhi yahan srishti mein hamara bal bhi banka nahi kar sakta hamara karm hi hamko giraega aur agar ham bhajan kar rahe hain to us karm ko bhi bhagwan rokenge
bhagwat prapti atyant durlabh unko durlabh hai jinhone prabhu ko apna nahi mana jo prabhu ko apna mane unke durlabh kaise apne ko shri ji ka mano isse bhagwat prapti ho jaegi prabhu ke ham bachchhe apne bap ko prapt karne ke liye bete ko kisi laykat ki zaroorat nahi hoti to ham [nak se ki jane wali aawaz] bhagwan ke bachchhe hain ham mane ya na mane to bhagwat anand hamare bap ki property hai uske liye hamen kisi laykat ki zaroorat nahi chalbaji se nahi ki udhar godname wale se bhi kahe ki ham tumhare idhar inse bhi kahe ham tumhare hain phir nahi chalega tan man dhan sab tera kya lage mera Om jai Jagdish har soch kya rahe bhagwan aisi vyvastha kar de aisa kar de vaisa tan bhi mera man bhi mera dhan bhi mera aur aarti mein ham kya gate tan man dhan sab tera kya lage mera bas bhagwan se kapt mat karo unhone to hamen diya hai yar ham unke bachchhe hain hamko apnapan dena hai bhagwan ne kaha bhav ka bhukha hoon main bhav bhagwan se apnapan karke bhajan karne se aata hai bhagwat prapti koi durlabh
nahi sahi dhang se chalo bhagwat prapti ka swaroop samjhte ho jab bina kisi prayas ke bhagwan dimaag mein chhae, man mein chhae, dusri koi sphurna nahi to koi aur bhagwat prapti nahi honi. Ho gaya. Aapke samne lalit murti prabhu apni divya leela prakashit kar denge. Ham log samjhte hain koi bhagwat prapti aati hogi. Jaise nahi kahte hath se tej nikal kar unke upar par raha mandal par yah sab focus camera ke [nak se ki jane wali aawaz] haan bhagwat prapti yahan ka vishay chati ka vishay brahm gyani sab jagah bhagwan ko brahm ko dekhta hai bhakt apne pritam ko dekhta hai jo bhagwat premi mahatma hote hain iska aadar nahi karte ki aap aae aur chale gaye jeevan bhar aapki bat jod rahe hain aae chale gaye nahi piy murti nainan base te ras rahe samae ye lakshan sun prem ke aur na kachu suhaye pritam bas gaye pritam bas gayo mere man man mein tan mein netron mein sama gaya ab usko jo sukh mil raha hai kisi kisi aur sadhan se nahi aur yah keval bhajan se milta
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…