॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mere bete ne Love Marriage kiya tha, use dhokha mila, usne apne pran tyag diye ??

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

praveen ji rohtak se Radhe Radhe shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji mere putr ne prem vivah kiya tha parantu kuch samay pashat hi prem mein vishvasaghat pane par usne apne sharir ko nasht kar liya Guruji kya meri sadhna ya bhajan se us atma ki durgati ko mitane ke liye main uski kuch madad kar sakti hoon haan kar sakti maa hai aap naam jap kijiye agar aapko aisa sahyog mil raha hai to tirth atan kijiye jaise dham aae aur yahan agar aapke paas arth vyvastha hai kuch pashu pakshi ko koi jase baithe rahte hain kuch khwa pila diya aur wah sara punya bhav se bhagwan ko samarpit kijiye aur bhagwan se prarthna kijiye ki jo jeevtma hamare putr ke rup mein aaya tha uska mangal ho usko sukh pahunche to jarur labh milega par bahut badi durgati ki baat hai y bahut badi durgati ki baat hai bahut se upay hai vase siddh upay Shrimad bhagwat mahapuran hai agar uske nimit ham path karvawe sat din kisi vidvan se aur wah phal ham prabhu ko samarpit karen ki wo us jeevtma ko

prapt ho to phir wo prapt ho jaega uska mangal bhi ho jaega waise bahut badi durgati hoti hai yah bahut hi nikrisht durgati ka ye sabse bade papon mein rakha gaya hai uska dand to apni bhi sarkar mein hai agar aap abhi kuch aisa kritya karne ja rahe ho aur report kar di jae to hamari bharat sarkar aapko bandi bana legi aur iska dand degi sharir ka aap prayog kar sakte hain lekin nasht karne ka adhikar aapko nahi hai yahan ki sarkar bhi aapko aisa nahi degi fi jo bhagwat ki sarkar hai ismen to bahut bada dand milta hai kyonki yah bahut divya deh hai jo manushya deh hai iske dwara ham narayan ban sakte hain ham achhche aacharan karke ham devta ban sakte hain ham bure aacharan karke bhut ban sakte hain narak ja sakte hain nali ke kida ban sakte hain durgati ho sakte ismen jo chahe kar sakte hain ab hota kya ham kai bar prarthna kar chuke ekantik mein kiy jo aaj hamare lagbhag 30 varsho se chala hai pehle hamne nahi suna 30 35 varsh se chala hoga y boyfriend girlfriend yah to hamne nahi suna kyonki ham jab

school mein padhte the tab to kahin koi les matra bhi aisi koi charcha hi nahi thi aisi koi bhavna hi nahi thi aisi koi bhavna nahi thi yah 35 ya bahut 40 isse zyada nahi ho sakta mobile bhagwan jab aae na tab se zyada vistar kumargh gami pravrittiyon ka hone laga kyonki uska durpayog karne lage aap bataiye jiska man shasan mein nahi hai sanyam mein nahi hai wo prem kar sakta hai jiski indriyan vyabhichar mein utar gayi wo premi ho sakta hai kya drama kya natak ham aapse prem karte hain dhokha nahi to aur satya milega dhokha hi hai agar tike hue bhi ho to bhi dhokha hai aap dekh lena parinaam mein dekh lena kyon yahan aae kisliye ho sanyam se chalkar mata-pita ki aradhna karke unki anumati lekar ke grihasth dharm ya virakta dharm jo bhagwan de uska palan karte hu bhagwat prapti ke liye aaj mata-pita ko kuch nahi samjha jaata hai naye bachchhe na avhelna kar de kitne yahan akar ke is vishay ki charcha karte hain ham sab naveen bhaion se yahi samjhana chahte hain mitrata karna bura nahi hai prem karna

paap nahi hai lekin vay vichar karna paap hai aap jab tak ek ko varn kijiye aur aajeevan nirvah ka niyam lekar mata-pita ke samne pesh ho jaiye chahe wah sarkar se aapko paas karva de ya swayam paas kar de aur aajeevan rahie dukh sukh ko saman bhav se chahiye koi paap nahi lekin jab tak sanskar na ho jae tab tak donon ek mitra ki tarah pavitra rahie dekho aapka jeevan kaisa banta hai yah kya charit hai char din idhar char din idhar bole usse breakup aur usse phir pyar phir usse breakup phir usse pyar isko kya ham shabd de kya kahenge ise aap vichar karo wah kabhi jeevan nirvah kar sakti hai kar sakta hai donon ke liye hamen tum kabhi ek ka varn karke rah sakte ho thodi baat dekho yah Rasendra hai isko char hotlon ko pavao aur phir apne ghar ki rasoi ka ek mahina pake hamen dikhao do hi din mein man kahega ki chahe char pare lao dukan ke liye kyonki aapne apni Rasendra ko chhut de di hai ab wo kaise rah sakti hai ek rasoi mein aise hi pura udaharan le lo jeevan ka aapne vy vichar pravriti ka swagat kiya

apne jeevan mein ab aap ek pati se prem kar lenge ya ek patni se prem kar lenge ab is baat ko samjha nahi ja raha hai char din baad dhokhebaji shuru hoti hai aur phir ya to krodh mein akar wah uski hatya kar deta hai ya phir aise aise sab jo nautanki natak ho rahe hain haan yah hai lav marriage ye hai pyar vah bhai pyar pyar ko to hamne aaj tak yah samjha hai ki apne ko dukh dekar samne wale ko sukh pahunchana jisko hamne pyar kiya hai usko sajana jeevan bhar uski khushi ke liye apne ko balidan kar dena ise pyar kahte hain chahe rashtr se pyar karo chahe bhagwan se pyar karo ya kisi vyakti ko bhagwan man kar ke pyar karo aap aise karo abhi anand aa jaega lekin ham pyar karte hain hamare anukul chalo samaj ka swaroop dekho na haan hamare anukul chalo ise pyar nahi kahte apni indriyon ki vilas ko pyar nahi karte pyar mein mitna aata hai hamare desh se pyar kiya to vande matram phansi ka fanda aise gale mein choom ke dal liya jaise byah ka jaymala kya pyar ek dusre se karte hain yar

dhikkar hai haan dhokha de diya wo uski hatya karva di ye pyar hai nautanki natak mein phas rahe ho nahi ham kahte karo mitrata ham aadar karte hain aapki mitrata ka lekin donon pavitra rahna jab tak tumhara aaj jeevan ka niyam na ban jae ki ham donon ek grahasti dharm mein band kar aajeevan rahenge ab aao aur sanskar karo phir apne vichran karo grihasth dharm mein ye kaun sa bhaiya malin aacharan shuru ho gaya hamari to samjh mein nahi aata nayan bachchhe jarur katu vachan mante honge ki aisa kahte ab ek aur chala hai abhi va

charcha hui thi living relation ab hamen to prichay uska inheen sab padhe likhe logon ne diya ki aap chaho to mahina do mahina rah sakte ho saath aur iske baad chhod sakte ho yar kya tamasha ho raha hai matlab aap koi dukan ki vastu samjh liye ho matlab aaj aap apne jeevan ko aap kahan pahuncha rahe ho ki ham mahina do mahina ek mitra ban kar ke rahe aur vilasita ki aur phir kah diya ki hamara to man nahi aapke saath rah hoga hi kyon man kyonki wahan sukh hai nahi naveen naveen bhogne ki ichchha hogi kya yar hamari samaj ko barbad kiya ja raha hai kya samaj ka hamare swaroop prakt ho raha hai to hai waise bada bhyawah yah prasang kai bar ham kah chuke hain ki mata-pita jarur doshi paye jaenge kyonki agar aapne bachpan se sh shaa di hoti aap unke wo adhikar na dete jo aapke adhikar ko raud rahe hain to mujhe lagta hai ki shayad aisa galtiya na hoti aapne apne sukh ke liye keval vichara laukik sukh ke liye keval vichara aapne kabhi baith ke use dharm ki shiksha nahi di aapne kabhi baithkar use shastr swadhyay nahi

karaya aapne baith kar ke use kabhi usko wah nahi sikhaya jiska bhog bhogna par raha hai haan khub padho likho nokri karo dhan kamao mauj masti kar beta ab beta jab utra apne rang par to phir tumko bhi aadar bhav se dekha aur aur kuch janta nahi to kya karega sansaar mein jaega apheem piega drag se khega vansa karega va vichar karega ab iske baad parinaam jab inka aayega to aapke hath se nikal jaega wo kisi tarah nikal ja ab aap ro rahe ho hamen to lagta hai ki paudha aropat jab hua tab se lekar jab tak wo pura vriksh na ban jae mali ki duty rahti hai kahin hamse chuk ho gayi deemak lag gayi hamara paudha nasht ho gaya hamse chuk ho gayi ham jo andar ki baat dekh rahe hain garbhsth shishu mein bhi sanskar aa jaate hain dekho Abhimanyu ji ko kahan se chakra vi todne ki Prahlad ji ko kahan se bhakti mili garb se ham log kya aacharan karte hain garbhsth shishu ke sanskar pusht karne ke liye hamen brahmcharya rahna chahiye hamen bhagwat chintan karna chahiye hamen ahar shuddh rakhna chahiye aisa nahi ho pa raha jahan bachchha garb

mein aata hai bas ab ek tapasvi jaisa jeevan uske kalyan ke liye uske sanskar ke liye usko svasth rakhne ke liye mata-pita mein itni kshamta hai man mani ahar man mani bihar to usi ka lakshan uske andar par raha hai aur wahi aaj jakar apna vistar karta hai tab baad mein rona hota hai haan aap jaise sanskar denge waise bachchon mein padhenge wo naveen pidhi hai ham bahut prarthna karte hain bachchon se mitra jaisa vihaar karo dost jaisa jab thoda bade hone lage paas baitha lo ekdam khula kar do he tumhare mummy paap nahi tumhare dost bhi hain tumse koi bhi galti ki baat ave to hamen turant batana ham tumhara saath dene wale hain tumhen nasht karne wale nahi tumhen dukh dene wale nahi agar aisi ham chhut diye hote aur va hamse batata ki to ham phir us par chintan karte mata-pita ki yah uchit hai ki kyonki bachchha hai wo bigdne ja raha hai hamne aise sanskar hi nahi diye chhota bachchha kahta dekho tum apni baat ham swatantr ham kar lenge wo aise jawab de deta hai mata-pita ko kaise sanskar

diye ja prat kal uth ke raghunatha mat pita guru nav matha ye hamari bharatiya sanskriti hai swayam Raghunath ji bhagwan aisa aacharan karke bata rahe hain kaun naujawan kaun naveen avastha ka balak aise hi chhale na matha rakho are chalo pair na chuo to unki baat man lo kuch nahi rah gaya hai koi birla aisa hoga hazaron mein ek jo mata-pita ko mata-pita manne ke liye tayyar hai nahi aaj jo buddhi badti chali ja rahi hai na na bachchi manti hai nahi nahi ham swatantr hai na bachchha manta hai ab wo sab donon ek aise raste mein chale ja rahe hain jahan dukh sanshay nash patan yahi hai aaj ka pyar aaj ki mitrata kahan vishwas rah gaya dekho kaisa bhav badh raha hai pati-patni ke beech mein aviswas mata-pita putr ke beech mein aviswas bhai bhai ke beech mein aviswas mitra mitra ke beech mein aviswas kya yar jeevan rah gaya are mitra mitra ke liye aisa vishwas hota tha pran tyagne wala hota tha pati-patni ka sambandh aisa jeevan bhar dukh sukh sahte hue haan dharm purvak chale mata-pita ko bhagwan samjha ja ye hamara

dharm hai par aaj jo samay ham yahi upkar mante hain ki aap sab akar baat sun rahe ho dharm ki shastr ki ye ham par bada upkar kar rahe ho ham par badi kripa kar rahe ho yadi aap sudhar gaye aapke vichar sahi ho gaye to hamara jeevan hamari sadhna sarthak ho jaegi yahi ham samjhane ke liye chahe jaisi paristhiti ho aapse milte hain ki aap samjh jao yah koi sukh dene wala nahi hai dekho jab aapka pavitra hriday hota hai phir koi sathi milta hai to ekdam samarpan ho jaata hai aur lagta hai mera jeevan sathi va saikadon hamare hriday mein aa gaye hain chale gaye hain ab uska abhyaas ban gaya hai ab wo tikega nahi na ek jagah tikega na ek baat mein tikega hamare ishare ko samjh lo ab uska jeevan kya hoga wah kah raha hai ki tumhen jo karna karo ham rokte hain kya wo kahe tumhen jo karna karo ham rokte hain kya aap hamen disturb mat kijiye wah apni beg uthyi wo apni beg uthyi apne aur ekahi makan mein rahe donon ka man nahi mil raha donon ke aacharan nahi mil rahe kya bhala hai jeevan hai grahasti ka yah kya jeevan hai ab kya sukh

inko milega bhai sukh milta hai priti mein jaise ham mitra mitra baithe hain to priti ka sukh hai agar ham pati patni priti kare kitna sukh hai agar putr prit kare mata-pita mein kitna sukh kahte mata-pita priti kare to mujhe lagta hai agar wah priti na ki hote to aap itne bade nahi ho jaate tumhari soch dhoi tumhen snaan karaya apni chati ka doodh pilaya tumhen itna bada sayana kiya unki priti mein sanshay mat dekho sanshay hamari priti mein unhone apna kartavya kar diya badi mehnat karke mata-pita padha likha karke jab unche padvi par baitha late to beta unhen naukar kahta hai ek aae the hamen bataya tha ki ganv ke hamen hamara ladka badi padvi mein hai to jab ham gaye to apne dost ke saath baitha tha na pair chhwa na utha kursi se aur jab unhone pucha ye kaun hai unka hamare ghar ka naukar hai wo turant wapas ho aae the aur bole padhai likhai aur sabka hamen phal mila ki apne mitron ke samne usne hamen naukar thahra diya ab to ham zindagi mein kabhi uske paas le jaenge yah hai aaj

ki buddhimatta vidya vinym dadti agar aap padhe likhe ho aapke mata-pita aa rahe hain uthak khade ho jao unke charnon mein pranam karo tumhara saubhagya badhega tumhara ayu badhega yash badhega shri badhegi lakshmi badhegi unko naukar bata diya wari padhai likhai vare tumhare vip star ki tumne apne pujya pita ko naukar bata diya to bhai aap samjhna hamari baat ko ki jab tak tum shastron ka swadhyay nahi karoge adhyatmik pravachan nahi sunoge naam jap nahi karoge bhagwan ka aashray nahi loge to buddhi tumhari ashudh hi rahegi aur uske dwara jo aacharan honge wo durgati karane wale honge kya dekha usne sansaar ka kya karne aaya tha kya kar baitha to hamen lagta hai sudhar hona chahiye ham log apni buddhi ko sudhare jo bhagwan ka naam priy ho naam jap kijiye Radha Radha Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram jo accha lage aur kuch samay rakhiye satsang sunne ka kuch achhche mahapurushon ne jo chhote-chhote bade-bade granthon se patrikaen nikal li jaise gita prishtha mein aap Radha Baba bhai

ji hanuman prasad padas ji jai dayal Govind ka ji aur Swami Ram Sukhdas ji inki chhoti chhoti hai aap padho aapki buddhi ka vikas hoga aapki buddhi pavitra hogi aur kahin ghar mein bhagwat hai ramayan hai yah 10 minute suna do to ghar ka vatavran pavitra ho jae kirtan karo naam kirtan ghar pavitra ho jae naam sankirtana yasy sarv paap pranas par yah nahi hota hai ab to prapanch ki baten hoti hain aaj ke din chale dekho matlab ja 12 12 ek baje tak to khanpan aur sab vilasita aur iske baad so gaye 9 10 baje tak ab batao jo brahm muhurt ka samay bhajan ka hai jeevan ko prakashit karne ka wah sone mein ja raha hai buddhi kya hogi isliye sab savdhaan raho jaise y maa dukhi hai ham chahte hain aisi koi maa dukhi na ho aap logon ka jeevan mangalmay ho aap vichar van bane apne dost ko vichar purvak chayan karen jeevan aise khilwad mein mat nasht karen ki ham manoranjan mein jeev nasht karen nahi to pura jeevan aapko isko bhogna padega yah baat dhyan rakhna agar aapne naveen avastha mein apne jeevan ko vichar mein pravat kar diya

to age chalkar sudhar bhi jaoge to jalna padega kyonki wah bij jo bhaya hai um nasht karega pakka samjh lijiye isliye hath jodkar prarthna hai mitra banao byah karo grahasti mein raho bahut sundar hai par bahut vichar purvak aur mata-pita ko itna to adhikar de do ki tumhare vishay mein final kar sake apni baat hat purvak rakh sakte ho aap balak ho lekin unko itna adhikar de do ki va ye haan ya na unki is baat ko to aap samjhne ki koshish karen hamen lagta hai Rakshash ki baat nahi kar rahe ham lekin jo mata-pita hote hain wah jeevan bhar yahi chahte hain jo mata-pita ka hriday mujhe jaisa lagta hai Rakshash ki baat nahi kah raha jaise aajkal kuch udaharan ane lage hain wah baat nahi kah raha hoon wo ka hamen to lagta hai har maa ka hriday har pita ka hriday agar aap usko gali bhi dekar jaoge to yahi chahe ki mere bete ko koi gali na de mere bete ko koi thokar bhi na lage mujhe jaisa lagta hai abhi to kuch aise chatpat udaharan milte hain ki jinke dwara poshan hona chahiye unke dwara shoshan hone laga hai wah buddhi

bhrasht Rakshash hai wah mata-pita nahi hai kya apne mata-pita ko adhikar dena chahiye aur aisi kabhi galti na karo he marne se kya samasya ka samadhan ho jaega kya chalo tumhen dhokha mila hai to koi na koi marg to khulega ja mein pyar milega agar man lo jaise aaj yah ai hai agar us inki jagah wah aa jaata marg mil jaata usko usko bal mil jaata agar ham apne ko nasht na karen to mujhe bhagwan marg de denge ho sakta hai usse badhkar koi pyar karne wala mil jaata jo tumhare hriday ke ghav ko shant kar deta hamen jeevan nasht kisi bhi vishay mein nahi karna padhai mein phayl ho jae kisi khel mein har jae hamara vyapar mein ghata lag jae hamara dost hamen dhokha de jae hamen pran nahi tyagna yah baat dhyan rakhna hai yah manushya jeevan agar nasht hua to pret banna parta hai aur pret ko man dukh bhogna parta hai pret yo nahi milti hai atma hanan gat isliye aisi koi galti mat karna nahi ham har dukh sah sakte hain ham har ladai jit sakte hain aisa mat karna kabhi koi mat karna jahan tak hamari awaz

pahunche chahe pragat mein ya tab ke dwara kabhi aap apne jeevan ko nasht karne ki baat to sochna nahi rasta hai aisa tumhare liye rasta khatm ho gaya nahi aapko bhagwan rasta denge bas dhairya purvak chalna sankat aaya hai vipatti ai hai sab chhod rahe hain to koi ek hai jo pakar lega na to sabko down kar dega agar usne pakar liya tumne usko pakar liya haan to ja par kripa Ram ki i ta par kripa kare sab koi koi aisa nahi hoga jo tumhara virodh kar sake dhairya purvak chalo sharir nash karne ki kabhi baat

na socho bado ka aadar karo naam jap karo mitrata karo par bahut vichar purvak vyabhichar mitrata nahi hoti aur mitrata mein vyabhichar nahi hota donon baat samjh le mitra wahi hai jo kupath ka nivaran karke supanth chalave ab yahan supanth ka pata hi nahi to chalave kya chalave isliye Radha Radha Radha

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi