ekantik vartalaap evam darshan #486 · 10 march 2024
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
doctor anupma saini ji Haryana se Radhe Radhe Radhe Radhe adaraniy Guruji aapke charnon mein koti koti pranam maharaj ji mera sawal yah hai ki bhakti marg par chalte hue jab insaan ko kuch anubhutiyan hoti hai to man kamphyuj ho jaata hai ki yah kya ho raha hai kuch anubhuti kya kyu yahi samjh theek nahi hai anubhuti aur sanshay kamphyuj ka matlab sanshay to hotana kuch naya hota hai na inka aisa bhav hai kuch naya hota to kya ho gaya le kamphyuj shabd nahi hota ascharya ascharya hota kamphyuj nahi kamphyuj to matlab sanshay atma vinashyati wo paramarth ka pathik nahi hota sanshay paramarth ki anubhuti mein thodi hota hai anubhuti mein use ascharya hota hai kyonki abhi tak wo deh bhav se sansaar mein vichran kar raha tha ab usko jab divyta ka thoda bhi anubhav hota hai to usko sarwa acharyaya are kahan main bhula hua tha yah to hamare hriday mein anand hai ye naam ke dwara guru prdat mantr ke dwara ye kaisa anand ka anubhav ho raha hai to ascharya nahi wo sarwa ascharya sthiti ko prapt hota hai
to koi ismen ascharya nahi kyonki bhagwan naam jap mein bhagwan ki aradhna mein bhagwan ki bhakti mein ya gyan marg mein sab parmanand swaroop us atma tatv ka hi bodh atma tatv ka hi gyan us atmanand ka hai yah jo sharira and vishayat bhogon mein hai to yah durgati ka karan hai chahe saank yog se chale chahe gyan yog se chale chahe bhakti yog se chale chahe karm yog se chahe ashtang yog se sabka pahla ek lakshan hai sansaar ka chintan chhute aur satya ka chintan ho use yogi jan paramatma kahte hain gyani
jan brahm kahte hain bhakt jan bhagwan kahte hain premi jan ladle kahte hain kisi bhi bhav se us Paramatmane lage to sarwa shachar mein anand ki prapti hoti hai bhogon mein pado mein rupya mein nana prakaar ke sansarik jo vihaar hai inme jo harsh hota hai anand nahi ismen jo harsh hota hai wo dwaand ke antargat hai wo shok paida karega milne mein harsh bichhadne mein shok man apman sukh dukh labh hani janm mrityu aadi dwaand ye sansaar ke bhogon ko bhogne se prapt hote hain va dhanya hai jo apni chitt vritti ko bhogon mein na phasa kar ke bhagwan mein lagae hue hain aur sharir se dharm purvak bhogon ka sevan kar rahe hain lekin chittritti bhogon mein nahi hai chittritti bhagwan mein hai to unko to sarwa shachar mein anand ki anubhuti hoti hi hai par hamen lagta hai ki abhi sarwa shachar mein anand ki anubhuti nahi hui hai kyonki wo anand ek bar jiske anu mein aata hai phir shabd badal jaate hain kaun ras baadh jahan boli boi bhaar re va anubhav gam mein bhaje ji santa muka swad vat anirvachniy in shabdon
se bola gaya anirvachniy wo bolne layak nahi hai vani ke samarth nahi ki bol sake jin dekha tin bola nahi jin bola tin dekha nahi arthat jis netr ne dekha rup ko to vani ne dekha nahi wah bol rahi hai ab netr ke vani hoti to varnan karne mein samarth kyonki dekh rahe agar vani ke netr hote to va varnan karne mein samarth hote to jo yahan anubhav ho raha hai wah ye bol hi nahi sakti hai accha netr teen prakaar ke hain ek ye netr hai parthiv buddhi mein gyan chaksu jo gyanyon ke prakashit hote hain gyan chaksu se sarvam lamdam brahm hriday chaksu se chad chad lakshanam sarwam Radha Krishna mayam jagat siy Ram mein sab jag jani charm chaksu se main aur tu mera aur tera stri aur purush dushit aur nirdoshi ye dwaand dikhayee dete hain pehle hriday ke chaksu khule ya gyan chaksu khule to wo anubhutiyan sthai mani jati hai thode bade mein satvic bhavon ke dwara pran jo anand hai wah parmatmanand nahi hai parmatmanand triguna ta hota hai aur wah jab prapt hoga to tino
shariron se rag mita dega sthul sharir sukshm sharir karan sharir kahin aisa na ho ki ham pital ko sona man kar ke apne ko dhanvan man le johri ke samne jaoge to pital ka dam hoga sone ka nahi pital sone jaisa bhram paida kar sakta hai aise hi vishayat bhi sab anukul pranam namaskaar rupya paisa sab to va anubhuti mi hai anukulta aur pratikultaa donon se jo parya anubhuti hoti hai use samtal hota kahte hain wah samta bhagwat kripa se hoti hai kahin aisa na ho ki vishayat ko anukulta ko man mani vastu ki jo socha va ho gaya to ham ascharya mane yah koi khas baat nahi hai bhagwata and jo kam vijay krodh vijay lobh vijay moh vijay mad vijay matsar vijay banata hai wo ascharya mein hai jignyasa Varma ji Bhopal se Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji shri ji ke prati parivaar ke har sadasya ka bhav alag alag ho to bhi kya ek hi chavi ya vigrah ki puja kar sakte hain jaise meri beti unhen sakhi manti hai main unhen mata man ke rup karte hain to kar sakte tum mata pita tum ho tum bandhu sakha tum tum
vidya dravan tum tum sarvam mam dev dev to usam koi pareshani lekin meri beti ki sakhi jab wo kahlati hai to mujhe lagta hai ki wo meri beti jaisi lagne lag phir mujhe wo uska bhav aapne bhav mein thodi bigad hona chahiye dashrath ji ke putr Ram ji lekin hanuman ji ke Swami Ram ji tulsidas ji ke Swami Ram ji aur gaan sab kuch kar rahe hain dashrath ji ke bhi bhav ka gaan kar rahe kaushilya ji ke bhi bhav kan gaan kar rahe hain lekin dasat mein thodi koi kami aa rahi aapke bhav mein kami hai aap apne bhav ko sudhar meri swamini to meri swamini ab use koi bahan man le man lo ki kishori ji hamari bahan hai swamini ji to sabke bhav ki hai na ab koi kishori ji ko kah raha hai ki jagda atma Jagdamba hai maa hai to uska bhav hai ab hamare samne koi kahe kishori ji maa hai hamen to ascharya hoga meri swamini nau kishori maa kaise ho sakti hai lekin uska bhav hai mere liye nahi swikrat hoga aapke liye swikrat ho jaega kyonki aap jis bhav se prabhu ko jis bhav se baja jaata prabhu vaisa hi anubhav
karate hain to ab hamare jaise anya jan aur wah anya bhav se karen to mujhe swikrat thodi hoga unka bhav lekin shri ji ko swikrat ho jaega to shri ji se bhav karen mujhe thodi dekhna hai accha apna bhav ek vihaar ka hai jaise pati patni ek hi guru se dixit hue agar koi dusra guru se dixit hota hai tum use guru bhai ya guru bahan kahte hain kahte hain na lekin jab pati patni dixit hote hain to vihaar ka sambandh pati patni paramarth ka sambandh donon ek hi aradhya dev ke upasak usmen vihaar mein nahi chalega nahi to phir dosh upasthit ho jaega phir dosh upasthit ho jaega accha usi ko jab ham vihaar mein dekhte hain bole aap hamare guru ji se dixit to aap hamari guru bahan hai na bhav aa jaega na to guru se pati patni donon dixit hai lekin waha guru bahan ka bhav nahi aayega ham paramarth mein donon ek hai vihaar mein ham pati patni hai aise lakho asankhya bhakt hain jo apne guru se pati patni donon dixit hai hai na phir dosh aa jaega na kyonki ab jaise aap hamari
guru bahan hai aap hamare guru bhai hain bhata to patni kaun hai bole phir to bada gadbad ho gaya aap guru bahan man liya to kaise chalega nahi yah vihaar hai sharir dharm ka aur yah param dharm ka vihaar hai param dharm mein ham donon bhagwan ke nij jan hain jo bhav kiya hai malo donon sah chari hai donon das hai donon sakha hai ye donon gopi alag-alag bhav hai na lekin vihaar mein ham donon pati-patni hai vihaar ka ek alag marg vihaar ko ham paramarth mein nahi jod dete paramarth ko vihaar mein utarte hain vihaar bada samjh kar ke hai vihaar ko nahi to dosh aa jaega na a wahi dusra hoga to ham bol denge ki aap to hamari guru bahan i na hamare guru ji se dixit hai lekin apni patni vihaar mein wah patni hai paramarth mein ham donon ek hi pati hain guru marg ke aise ham bhagwat marg mein chalte hain ki hamari shri ji hamare liye nitya kishori aur hamara beta unhen maa kahe hamari beti unhen apni mitra mane to uska bhav hai hamari kishori ji hamare liye swameeni hai hamara bhav
kaise badal gaya iska matlab tumhare bhav mein nishtha nahi hai samjhna padega na ki koi kah de sakhi to aapko aapka bhav bigad gaya koi kah de maa to aapka matlab kamzori aapke bhav mein unke bhav mein thodi hai wo to manti hai meri sakhi hai wo bahan manti hai wo maa manti hai aur aap kishori mana aur aap phesal gaye to kamzor to aapka bhav rala apne bhav ko pusht karna meri ladli meri kishori meri swamini hai meri priy sakhi hai mere jeevan dhan hai aisa bhav kya hai rajeev bhatiya ji amritsar punjab Radhe Radhe Gurudev aapke charnon mein koti koti naman Gurudev kabhi bhi is agyani jeev ne bhagwan se pyar nahi kiya aur na hi kabhi aisa bhav prakt hua aap zindagi mein aae aur aapne sab kuch badal diya Gurudev bhagwan prashn yah hai ki hamen apna pyar ya bhav bhagwan ke prati kaise vyakt show karna chahiye kya dusron ke samne show karne se yah kam ho jaega ya is man ke andar hi rakhna chahiye man ke andar hi rakhna chahiye prem varnan hi nahi kiya ja sakta anirvachniy prem swarup jo varnan kiya prem
hota hi nahi hai prem varnan kar hi nahi sakte hain anirvachniy sukshm taram anubhav swarup pratikshan vardhmaan y prem ke lakshan varnan kiye gaye prem ki bahari dasha varnan ki jati hai antarik to ki nahi ja sakti par hamen apne pritam ki charcha kiye bina raha nahi jaega jisse pyar hai ya jisse pyar karna hai uski charcha uski rup madhuri uska swabhav uski gun madhuri uski leela bhumi uski leela yah sab hamen pran pyari lagegi yah ham charcha kar sakte hain lekin hamara personal kya sambandh hai yah charcha nahi kar sakte kai bar Gurudev apne bhav jaise apni patni ke saath ho jaate hain haan paraspat do premi milkar pritam ki baat kar sakte hain par jitna kam kar sake pritam ke gun pritam ki rup madhuri pritam ki mahima par dhyan dijiye mujhe pritam se kitna pyar hai yah prakashit nahi hona chahiye ismen savdhani rakhni chahiye jaise koi hamse baat kar raha hai to santo ne aisa kaha hai shastron mein aisa likha hai bhagwan ka aisa swabhav hai prabhav hai bas aapka bhagwan se kitna pyar hai ya
mon aap kya bhagwan ko arvan ke aap kis kot se bhagwan ko bhajan karte hain ya maun hamse kya bhajan hota hai jaisa prabhu kara lete hain vaisa hai apne hriday ki priti ko gupt rakha jae to badhti hai mahima varnan kar sakte hain bhagwan ne adesh kiya hai mat chitta madagdeepet tushyanti cha ramanch bhagwan ne kaha mere mein chitt lag gaye hue mere ko pran samarpit kiye hue aaj satsang suna hai to pran samarpit ka matlab hota hai pratyek shwas mein naam jap karna aur bodh anta paraspat yah to bahut saubhagya ki aap
patni ke saath bhagwat varta karte hain hamare mitra hamare samaj jo bhi hamare paas baithe ham usmen satya varta karen shastr varta karen bhagwat varta karen bodh yanta paraspat paraspat gyan ki charcha bhakti ki charcha sat ki charcha karen aur bhagwat charcha karte usi mein aandit ho usi mein prasann rahe to bhagwan kahte hain ki wah mera param bhagwat mere yog ko prapt ho jaata hai yah to bahut achchhi baat hai par apne prem ko prakashit nahi karna kisi wakt bada darta lagta hai ki matlab itna lamba safal tay
kar payenge ki nahi nahi bilkul nahi hamko darna nahi kyonki ham to safar hi nahi kar rahe hamko to god mein le ja rahe hain prabhu agar ham safar kar rahe hain to bahut kathin safar hai har building mein ab do vyvasthaye ho gayi hain ek sidhi ki vyvastha ek lift ki vyvastha aise bhagwat marg mein bhi hai ek sadhan marg tair kar jana aur ek nauka mein baith jana chal jahaj mein baith jana to prabhu ke charnarvind ka aashray liya aur Gurudev khivaiya hue aur jo naam mantr jo upasna jo sadhan mila use ham jitna ban raha kar rahe nahi to ham Gurudev ki kripa mein baithe hain bhagwan ke ashrit hai hamen koi parast nahi kar sakta darna nahi hai har samay hamare Gurudev hamare saath hai prabhu hamare saath hai haan yadi papa charan ban jaega to dar aa jaega pakka phir aap andar hi andar yahan ane mein bhi darenge sanmukh hone mein darenge aapko ek achanak ghatnatmak bematlab kalpnatmak dukho ki aisi bhavna jag jaegi pata nahi aisa na ho jae kahin aisa na ho jae kahin aisa iska matlab aap koi dharm virudh aacharan kar de koi
papa aacharan kar de nahi to man bhagwan ke chintan mein bhagwan ke sanidhy mein magan rahta hai dekho jab sarvatra bhagwan hai to aap jahan bhi hai wahan bhagwan hai na sab mein bhagwan hai aap mein bhagwan hai sabke bhagwan hai to aapke bhi bhagwan hai sab par kripa hai to aap par bhi kripa hai to hamko phir chinta kya karni agar bhagwan kisi kshan kisi kan mein na ho to main daru par dar lagega tabhi jab papa aacharan ho jaega bhagwan se vimurkh aacharan ho jane par achhche-achhche ko bhayabhit hona parta hai galat aacharan karne par achhche achhche ko
darna parta hai andar hi andar man usko darata hai agar vishesh paap ban jae to yahi man bahut dand deta hai koi kitna bhi ho agar usse aise paap ban jaate to jalta rahta hai aisa na soche wo aapko bhay dikhate hue dikhayee dega astr shastr liye bada veer dikh lekin wo andar se khokhla ho jaata hai jo papa atma purush hota hai jo shastr virudh aacharan karta hai va kabhi nirbhay nishcint nishok nahi ho sakta to darna to hai hi nahi kyon dare hamare prabhu hamare saath par agar hamse galti ho gayi paap ho gaya hai
to hamen prachit karna chahiye andar se jalna chahiye aur prabhu se prarthna karni chahiye aaj se nahi karunga kisi ke bhi man mein dar hai bhay hai kalpnatmak ghbarahat hai to paap hai paap pakka samjh lijiye va bematlab jalata rahta hai kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae yar agar aisa ho gaya to kya hoga wo darta rahta hai agar sahi chal raha hai phir koi uska virodh kar raha hai to shata bhagwan hai na maine koi galti to ki nahi jo hoga bada accha hoga mangal hoga wo dar pa nahi dekho pach varsh ke shri Prahlad ji hai kitna kasht diya ran Kashyap ne bilkul nahi dar pe kyonki satya par chal rahe bhagwan ka bharosa hai naam jap hai kitna bhayanak bhay hai dher sari lakdiyaan ka ek pahar jaisa jama karaya gaya aur hiran Kashyap ki jo bahan thi usko agni prasad prapt ta shital pat odh ke baith jae to aag use sparsh nahi karegi u aap vyarth mein chintit ho main ise abhi bhasam kar deti hoon aur lekar Prahlad ji ko samne aise pakar ke baith gaye aag laga di gayi bhagwan se prerit hokar aisi vayu chali ki shital pat
Prahlad ji ke upar piche se aag usne lag gayi wo jalkar bhasm ho gayi jo vardan prapt thi Prahlad ji ka rom bhi nahi jhulsa subah sab bhakt jan jab dekhe ki Prahlad surakshit jo Holi manai jati hai anand mangal pad gaye jaate hain nach kirtan kiya jaata hai wo isi baat ka kuch nahi bigad sakta jisne agni ko dayka shakti di hai wah kaise jala sakti hai jo Swami hai prabhu unka Prahlad ji chintan karte hain unke bhrose mein to agni mein jo dayka shakti bhagwan se hi to hai isliye nahi jala hamen darna nahi hai haan aparadh na karen galti na karen ye to pakka samjho agar koi galti karega to chahe naam jap bhi kare par usko darna padega aur uska hriday jalenga jab tak paap nasht nahi ho jaega tab tak santap use jwar usko jalae aur jahan naam jap ke prabhav se paap nasht hua paap karna band ho gaya to phir vigat jara koi tap daihik daivic bhautik usko sparsh ek anand ki anubhav isiliye varnan karne mein bada matlab kath kathin parta hai adhyatma kyonki adhikari milna bada kathin hai jab tak aapka khanpan sahi nahi
aapke aacharan sahi nahi aapka bhagwat chintan ka swabhav nahi tab tak aap adhyatma ko samjh hi nahi sakte ab aaj khanpan kitna malin ho chuka hai wahi gande padaarth wahi aapko bana banaya bhojan mil raha hai wahan swadisht lag raha hai lekin ghor apvitra hai va jahan jis rasoi mein mans Radha gaya y sab aise aksha padaarth prayah ab banane wala to aapko de diya roti daal sabji lekin va patr kaise the uska bhav kaisa tha kitni pavitra thi wah tumhari buddhi par jaegi ye satsang jab hamara ahar shuddh ho aacharan shuddh ho to hamara vichar shuddh tabhi to ham age badh sakte hain to mujhe lagta hai ki agar agar aap ahar par dhyan de aa charnon par dhyan de ki galat na hone pave aur naam jap karen to darna nahi chahiye phir phir dar nahi lage fi ek masti rahti hai us masti mein bhakt nirbhay rahta hai wo mrityu se bhi nahi darta hai ek agyani bhi mrityu se nahi darta hai chori karne jaata hai hinsa karne jaata hai be vichar karne jaata hai agyaan mein usko lagta hai dekha jaega jo bhakt kyon dare wo to sat marg mein
chalta hai asat marg wala bhi himmat itni kar leta hai dekho na apne ko uda diya hazaron ko udane ke liye apne ko bam se kya hua kitni himmat kar li asat marg mein aur bhagwat marg ke pathik mujhe dare dar lage ya ye to theek nahi hai darna tabhi hoga jab ham kahin dharm se virudh aacharan mein hai nahi to darne ki baat ek asat marg wala dar tyag deta hai to ham to sat marg ke pratik hai ham kyon dare samjh pa rahe hain aap ji Manish pande ji Radhe Radhe shri Harivansh Radhe Radhe maharaj shri aapke charnon mein koti koti pra maharaj shri sansari karyo mein sharir laga hai bachchhe patni ki seva mein kuch mahino se man bahut vyakul hai shri shri Priyalal se prem sa hone laga hai bhakti ya prem nishkam swatah apne aap hi ho gaya hai par is prem ko parlok sudharne ki nishkam tak kaise phuchaya jae aapke satsang se bhautik evam agar Priyalal thoda bhi achhche lagne lage aur bhajan chalne laga hai to sudhar gaya parlok new rakh gayi ab building banne mein der nahi lagegi bahut majbut new agar
astik itni aa jae ki prabhu hai to us jeev ka kalyan shuru ho gaya phir aap to kah rahe hain nishkam bhav se bhajan bhi kar rahe hain Priyalal pyare lagne lage hain to kalyan ka jo mahal hai voh to banna shuru ho gaya hai ab ye guru ke sharanagat hokar kisi mahapurush ke upasna paddhti le lo kyonki ab ham Vrindavan mein darshan karna chahte hain prabhu ke lekin hamen pata nahi kaun thakur kahan virajman kar to hamen guide chahiye aise hi is maya prapanch se mukt karne ke liye bhagwat anurag ke liye hamen guru guide chahiye aise Gurudev mile jo swad chakhe hue ho aur hamko chakha de to acharya sharanagat acharya parampara se isiliye juda jaata hai ki jaise aap acharya parampara wale kisi mahapurush se jude to sidhe acharya se jadte hain acharya ke adhin isht hai isliye kalyan mein koi sanshay nahi rahta hai wah mahapurush hamko jo naam diye va acharya ke dwara diya hua hai jaise pujya shri Vallabhacharya shri krishna sharanam ab jitne to sab wahi aaenge na shri krishna sharanam to yah acharya ka diya hua hai acharya
parampara se hai to wahin pahunch jaoge shri krishna sharanam mam acharya hamari sudridh nauka hai acharya hi chatur khivaiya hai acharya hi jahan par hokar jane wale ham wo aradhya dev hai kahne ko keval antar hai acharya hi nauka hai acharya hi khivaiya hai aur jab par ham hokar jaate jinse milte hain wo isht bhi acharya hi hai koi dusra nahi isliye acharya parampara banai gayi kyonki apne aap aap hi prapt kara sakte hain dusra nahi to aap hi isht hi acharya aur Gurudev ke rup mein prapt hote hain hamen lagta hai aise upasak ko Gurudev ke charnon ka acharya parampara se jo jude hue hain aashray le lena chahiye to mano ham nauka mein baith gaye ab jaisa kah rahe hain vaisa ham anand le rahe hain upasna ka baka hamare kalyan mein koi sanshay nahi kyonki ham acharya sharanagat hai guru acharya parampara se hai na to ham sidhe acharya se judte hain Gurudev jo hamen mantr dete hain naam dete hain wo acharya prdat hai to sidhe acharya aur acharya hi isht hai isht hi acharya ismen koi sanshay nahi aur acharya hi
Gurudev hai Gurudev hi acharya hai ham aisa bhav karte hain kyonki wahi acharya guru mantr jo de rahe hain to dhancha koi aur ho sakta hai lekin andar se wahi tatv rup mein virajman hai to aise upasak ko acharya Gurudev ka aashray lekar ke phir upasna ke rang mein nishcint nirbhay aur nishok ho hua jaata hai jaise nav mein baith gaye na pata khivaiya chatur hai nav majbut hai to ham nidar hokar baith jaate na aise hi bhavsagar se par hone ke liye haan Vishveshwar padam buj dirgh nauka ye vishal acharya Gurudev Ishtdev ki nauka hai is par baith gaye upasna ka matlab nauka mein baith khivaiya Gurudev acharya isht hai bade chatur hai lakho ko par kar diya to hamen sanshay nahi nav majbut hai khaiya chatur ab ham to chain se baith gaye aur trange dekhte hue bhav samudra se par ho gaye shri Harivansh pratap naam nauka nisu khevat bhav sagar sukh tartantri nav par ja rahe ab hamko chinta nahi karni samjh pa rahe hain aap ha aapko chinta nahi karni aap acharya Gurudev ki sharan mein hoega tabhi Priya pritam ka vastvik prem
vastvik anurag hriday mein jagrit hoga abhi wah akarshit kar rahe hain to unki sharan mein ho jaiye aur unka naam mantr upasna jo mile usi ko khub chintan milaie age ki baat prakashit ho jaegi sadhna to ham kai salo se kar rahe hain naam bhi jap raha hai sab rulsa reguleshan bhi follow kar rahe hain to age aapne peshens ki baat kahi bahut badi baat theek par lagta hai ki age badh kyon nahi rahe aap keval itni baat samjh lijiye ki age badhna tumne kya samjh rakha hai agar vartman mein tadartha akhila charita aur tad smaran param vyakul te sthiti hai to aap age ki chinta bilkul mat kijiye aap age nahi badhenge wah aapke age badhenge dhyan rakhna hamare man buddhi ki samarth us chidanand tatv mein pravesh pane ke nahi hai lekin wo chidanand shri Krishna hamare man buddhi mein akar baith jaenge unke liye koi nishedh nahi hai hamari sthiti keval hone devesh narad ji tadartha akhila charita sare aacharan hamare prabhu ko samarpit hone chahiye shri Krishna anukul pratikul varjan koi bhi pratikul aacharan aradhya dev ki
agyaa ke virudh na ho jitne aacharan hai voh shri Krishna anukul aur hamari chitt ki sthiti honi chahiye ki tad smaran param vyakul tete ek kshan ke liye bhi vismaran hamen bardast na ho ye aap pariksha kar lijiye andar apne ki yadi aisi sthiti aa rahi hai ki ham ek kshan ke liye bhi apne prabhu ko nahi bhul rahe to age ki jo sthitiyan hai nir davan trigun se upar trigun se upar triguna ta jo yogkshem ki bhi chinta nahi karta hai aisa yat prapya siddh bhavti amrito bhavti tript bhavti wah sthiti apne aap aa jaegi aapko mangne ki zaroorat nahi aapko kahne ki zaroorat nahi yahan dekhi hui baat kah raha hoon apne ko ek lakshya rakhna hai ki kisi bhi sthiti mein vismaran nahi hona avyavaharik kahan inko prakashit hona hi padega bas aap nishcint ho jaiye nirbhay ho jaiye bas pakar lijiye ki naam nahi chhutne denge iske baad aap hamari baat baat ko dekhna ki age hota kya hai khud dekh lena aap bilkul nirbhay ho jaiye nishcint ho jaiye asat kriya phal dek rahti hai koi bhi asat kriya phal
deke rahti hai phir sacchidanand ka naam uske phal mein koi sanshay bilkul nahi agar anubhuti nahi ho rahi to bhi koi baat nahi hai kyonki age chalkar wo hone wali hai koi aisa hamara karm hai jiske nash mein abhi naam ja raha hai anant janmak hai na usko saman kar raha hai usko bhasm kar raha hai aur jis din wo bhasm hua us din ye muskurate hue samne khade honge naam ka prabhav hai dekhiye rup naam adhi na Krishna Krishna Krishna to lalit tribhangi aapke manas patal par chhae rahenge bas apne ko naam nahi chodna
unke virudh aacharan nahi karna nirantar unke ashrit rahna bas chinta mat kijiye samjh gaye bas maharaj ji ek badi lambe samay ta ek shaka janm braj mein mil ji braj mein palle bade bhae baj braj mein santan ki charnon ki dhuli mein rahe lekin ek 15 20 sal te jaise ki bahar rah rahe hain ji to braj mein rahwe ko phal hai ki na hai phir bahar ra ye thesak aur chintan do chijon saath mein honi chahiye sasak ye ki main Brajraj ke ghar ka hoon aur chintan unke naam ka yah do chijon agar hai to kahin bhi ho haan jaise sarkari aadmi
bharatiya kahin bhi desh videsh jae to wahan rahta main bharat ka hoon aur agar sharir pura hota sarkari bheja gaya hai to bharat hi laut kar ke aayega nahi aayega to aap braj ke hain aap bahar kisi seva hetu rah rahe hain to aapka jab sharir chhutega to aap yahi aaenge kyonki yahi ke hain braj ke hain par ismen do baat jarur dhyan rakhna ek thesak thesak ka matlab samjhte hain nava haan aur dusra chintan chintan ra yahi ko yahi ko chintan yahi ko naam yahi ki sharan aur aapko hi dhyan bas yahi jeevan mein maraj chinta na kijiye jeevan mein anand hai maharaj ji jab aapko aashray milo hai aapke charan ko aashray milo bada chintan sab kachu dhanya ha chintan pradhan chij hoti hai krishna Sharma ji Gujarat se Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji purani ghatnae kabhi kabhi prabhu smaran mein barbar yad akar badha dalti hai unhen dur kar ne ka bhi koi upay hai smaran naam jab aaj ka satsang suna tha kya dhyan se sunti to usmen uttar tha jab ham naam jap karte hain to hamare andar ki jitni dabi hui baten hain gandi achchhi va sab niklti hain jaise ek
sarovar mein garjaj pravesh kare to uske jo chhote mote jeev hote sab kinara lekar bhagte hain aise hi maha balshali naam jab re hriday mein jaata hai to ek do baten nahi janm janm ki gandi vasna en wo sab niklti hai aur upasak gabda jaata hai ki jab naam jap nahi karte the tab shanti thi jab se naam jap kiya to badi gandi gandi baten aa rahi hai accha ab yah naam unko delete karega unko nasht karega to ek jaise kam sambandhi baat hai to karodon bar hamare dwara kai janmon mein is janm mein hua hai ab wo har bar kam kam message aayega abhi naam use delete kar raha hai phir kam ka message to aayega kitna ham gande hain kitna hamare andar matlab naam kuch kar nahi raha kya wahi bar-bar baat aa rahi baat wahi nahi ai jo ai wo to gayi aisi wahi baat karodon bar hamne dohrai hai isliye karodon bar aayegi to sadhak ko bahut dhairya purvak naam jab karte rahna chahiye to purv ki jitni bhi vilasita hai jitni bhi vasna en hain jitni bhi durvasan en hain ye sab na nasht kar dega man nirmal ho jaega par ismen dhairya ki
zaroorat hai tumko har bar yahi dekhna hai ki ye nikal raha hai ye nikal raha hai par upasak do baat kar baithta hai ya to uske chintan mein dubkar swad le baithta hai to sanskar ruk jaata hai aur ya usse dves kar leta hai ye kyon aaya nahi ana chahiye to dves karne ke karan phir wo sanskar ruk jaata hai na dves karo na rag karo ye adhyatma ki baat hai bilkul tatastha Radha Radha aur andar prasann ho ye ja raha hai ye gandi baat ja wo aapko bar-bar kheenchega mujhe rok lo kheenchna kya hota hai dekho aapne amuk samay aisa kiya tha aapko sukh mila tha na amuk samay aapne yah khaya tha sukh mila tha ye hua raga apmujhe atmak wo andar ki peshgi kar kar ke nikal raha hai tabhi man nirmal ho jaata hai bhajan karne se ab aap nirmal ke marg mein lagi hain to pareshani aapko nahi honi chahiye gandi baten andar se nikal rahi khushi hona chahiye par upasak samjh nahi pata kyon kyonki u naam jap mein dhyan na dekar un baton mein dhyan de diya itni gandi baat mere man mein kaise main to bahut nich hoon ab kaise kya wo
nahi nich le y sab nikal rahi gandagi Radha Radha Radha Radha Radha Radha tabhi to man nirmal hota hai bhagwan ka sakshatkar nirmal man se hota hai nirmal man jan so mohi pava mohi kapt chhal chhidr na bhawa to nirmal man kahan se hoga yahi naam jo mantr jap rahe naam jap kar rahe hamare man ko nirmal kar raha hai accha malin kya hai koi achchhi ghatna jeevan mein ghati koi bure aacharan hue aur wo sab jaise seeseeteevi mein hai na tumse kuch kahega thodi seeseeteevi har cheshta tumhari note kar kar raha hai na aur piche jao ek mahina do mahina jitne ka aapke paas wo hai wah aapko sab kawar karke dikha dega to man ke paas anant janmon ka hai anant janmon ka ab pura man khali karna hai isliye to pura jeevan lag jaata hai bhajan karte karte nahi to bhagwan ke sakshatkar hone mein der thodi lage bhajan karte karte sab delete hote hote hote ja aur jaise hi durvasan nasht hui ki anand ane lagega aansu chalne lage Radha Radha ab usi anand mein shri ji padhari Priya lal padhare ab nihal ho gaya nainan pi murti pritam netron
mein sama gaye dekhne ki baat nahi pritam hi netr mein nainan pa murti rahe tehi ras rahe samay ye lakshan sun prem ke aur na kachu suhay aur na kachu suhay phire apne ras mato kutumb dehte jae chhut sabi vidhi nato ye adbhut prem dasha par pehle intazar karo ye gandagi hatne do Radha Radha Radha Radha Radha usko pareshani kyon man rahe ho nikal raha hai pareshani tab thi jab nikla nahi ab ye sab gandi baten nikal rahi hai dhairya purvak naam jap karte raho samjh rahe aap haan usko chintan mein jo aa raha hai usko yah
mat samjho ki hamko pareshaan kar raha hai wo nikal raha hai wo pareshaan nahi kar raha wo ja raha hai chahe bura aadmi ave ya jave donon mein dukh hota hai nahi hota hai to ye jab aae the tab dukh ka kam karva gaye aur jab ja rahe to hamare hriday mein dukh ho raha chupchap sah jao nikal jane do aur dekho bahut purane kiraedar hain hamare kam krodh lobh moh madh matsar yah bina naam ke danda chalae jane wale nahi inse prarthna karo aap ghar khali kar do to ye mukadma darja kar denge ki bahut janmon se ham inke ghar mein rah rahe hain kaise khali kar de hai ab naam balvan ke naam kar do makan jo wahan ka robdar koi ho to sabse bada robdar naam hai bhagwan bhi naam ki mahima puri nahi ga sakte kah kahan lagi naam badhai Ram na sak naam to jahan hamne shuru kiya Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna hari hari hari ab va sab jitne gunda party andar the kam krodh lobh moh mad mat sir chala danda naam ka nikal ke bhagne lage kamzor sadhak jante ho bhajan kaise karega guru ji ne kaha 11 mala karna hai tv chalao serial chal raha hai
mala chal raha kyon kyonki delete nahi ho payega delete hone ke liye sab band karo phir Radha Radha shuru karo Radha Radha man kahega nahi khidki paas khade hok Radha Radha japo dekhna chahega koi man ki baten pakar lo satsang chala lo phir naam jap karte nahi delete karna hai to keval naam jap karna hai hamari baat pakar lena agar man ko nirmal karna hai to keval naam jap jap kar rahe to naam aur satsang sun rahe to mala rakh do puri ekagrata se pakdo satsang ko jab ham satsang jab seva kar rahe hain bilkul seva mein tanmay yah dabal maang karta hai man dekh lena ki hamen naam jap karna hai to kuch bahari isko chahiye satsang chala ke ya ek aadmi baith jao baat karte jao mala chal raha hai va chitt na lage agar wahan chitt lagaoge to delete hona shuru ho jaega isiliye delete nahi ho pata phir kya hota hai fi gira deta hai jo kam krodh hai na phir kya hota hai upasak ek niyam bhar pura karta hai to balance bana leta hai man ka bhaiya hamse to nahi ho hamko to aise hi jeena hai yah kamzori kar dega agar aap naam jap
ekant mein thoda bhi karenge to aap dekh lena uljan paida kar dega man ki yah bas na karo aur jo chaho so kar lo kyonki vasnaon ko delete karne ki samarth keval naam jap mein hai aap pakki samjh lena yah ham andar ki baat kah rahe hain sabse zyada man darta hai naam jap mein naam jap nahi aur vihaar kara lo dan punya karva lo paramarth kara aur jo chaho kar naam jap le accha naam jap bhi to aise ki aao baitho kursi samne aur Radha Radha Radha aur kaise ho mala chal raha hai ki sankhya puri bhaiya bajal kiska kar rahe ho batchit ho rahi hansi majak ho rahi hai aur naam jab chal raha aise delete nahi hota aise na age likha hai Radha Radha Radha Radha Radha ab delete hona shuru hoga aankh khol ke chahe aankh band karke Radha Radha aur ek drishti jamana sikho kisi ek bindu par drishti ham tumko upay bata rahe hain naam mein man lagne ka kisi ek bindu par koi ek bindu chayan kar lo jo samne tumhare ho man lo aise dekha usi ab likho Radha naam Radha Radha Radha Radha thodi der mein aankh thak jaegi aansu ane lagenge band kar lo
phir Radha Radha phir jab khola to aise aise barbar nahi ek bar aise kiya phir Radha Radha Radha Radha ye aapke man ko bilkul khali karta chala jaega a aise karna bahut kathin hai thodi der mein ka man chal band kar sab aap matlab dimaag kharab ho raha hai kyonki paramarth jo hai na wo thoda sa chadhai chadna hai aur vishay mein kya phesal jana hai fisalne mein koi mehnat nahi hoti chadne mein mehnat hoti hai ab ham logon ko avsar mila hai ki man ko sambhalkar Priyalal ke charnon mein lagae y janm ham sarthak kar le daro mat tum mein bahut samarth tum bhagwan ke ansh ho tum sharir nahi ho yah sharir ek tumhari yatra ke liye gaadi mili hai parmarth yatra tum sharir nahi ho tum bhagwan ki divyansh ho jo chaho kar sakte ho tum apne ko bhul gaye ho ba isliye tum kahte ho main nahi kar paunga nahi tum sab kuch kar sakte ho socho ek vishay aadmi ek vishay ki krida karke jail gaya aur pure jeevan nirvic hokar rahta hai ki nahi rahta rahta agar wah wahi aadat control mein kar leta to mahatma kahlata aur wahi aadat uski
zabardasti wahan control hui ki na parivaar se har samay mil sakte ho na mitra se mil sakte ho na manmani kar sakte ho aa gaya na line mein kah raha tha main nahi rah paunga pure jeevan rahte hain na bade-bade vyabhichari hinsak chor jail unhin ke liye to bani agar yahan control kar leta man ko mahatma kahlata accha aadmi kahlata to hamen lagta hai ki agar ham control kar le to accha jab maya control karwaegi to bahut bura tadap tadap karke jeevan vyatit ho raha hai parivaar ki yad aati mitron ki yad aati jail mein wahi wahi karo jo kuch karna hai wah bhi simit limit jitna adesh hai uske viparit chale to lat bajegi yah hai yahan ka aur ek badi jail hai nark wahan to kisi ki koi sunwai hi nahi hai wahan to keval bhog hi bhog hai isliye bhai Radha Radha Radha char din ka jeevan hai pata nahi kab sharir chhut jae to dhan kama lo Radha naam jo tumhen bahar hisaab mein bahut sahyogi banaega yahan ka dhan tumhara keval yahi ke kharch ke liye hai jo aapne prabhu ko diya jo prabhu ka naam jap kiya jo prabhu ke liye
samarpan kiya apne chitt ka apne man ka apne jeevan ka wahi tumhara mangal karega to yah kisi ko nahi darna chahiye ki man mein hamari gandi baat kuch nahi bigad payega yadi aapne use roka to bigad lega rokna do prakaar se hota hai ek pyar se hota hai ek dves se hota hai koi swad aa gaya aur jo phenk raha hai yar ye to amuk samay hamne khaya tha phir khaya jae mar dega ab delete ki jagah phasa dega aur ye kyon aa gaya nahi ana chahiye are to bahut bura hai kahin hamko girama de gira dega kyonki tumne uski satta dridh kar di rag na dves chala Radha Radha Radha nikal raha hai isliye dhairya purvak naam jap karo
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…