॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kisi bhi rog-bimari se pidit ho to maharaj ji ki yah baten dhyan se sunen ! Bal milega

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

do abhishek ranjan ji patna bihar se Radhe Radhe shri Harivansh aapke charnon mein koti-koti naman prabhu ji main shri ji ki kripa se ek chikitsak hoon marash aae din gambhir lachar marij jinhe cancer polisis kidney diseej jaise kabhi theek na hone wale rog hain jinme mrijon ki halat din pratdin kharab hoti rahti hai ilaj ke dauran unko mansik shareerik pida se gujarna parta hai aise mein sirf unmein dar balki palpal maut ka agaj unhen kai bar aise halat de deta hai ki wah bahut sare depression mein chale jaate hain jisse wo ya to wakt se pehle dawai chhod dete hain ya nakaratmak hokar avsad grast ko khana pana band kar dete hain maharaj ji aise hi mrijon mein ummeed aur as tab jagane ki cheshta hoti hai jab aapki polisis kidney bimari aur ilaj dialysis ke atre din kasht aur pida ke baad bhi aap roz aisi dincharya mein rahte hain jo ek svasth manushya bhi nahi kar pate aapke udaharan dete hue ham mrijon ko adhyatmik shakti hetu cheshta karte hain Gurudev is babat ham chikitsakon aur mrijon

ke kalyan hetu aap apna marg dekho ham spasht aapko bata de abhi ham apne ko bimar man le kitne kasht aap jo kah rahe param satya hai agar bhagwan mein chitt na juda ho to aadmi mrityu mange mrityu aisa kasht hai wo hamse puchte aapko kasht ho raha hai to kahte kasht ko kya kasht hoga kasht ko kya kasht hoga aap chitt ko prabhu mein lagae tab bachte hain aise thodi bachte hain par ham har samay aandit rahte hain aap dekho subah satsang hua shri ji ka van bihar mangala sav abh ekantik chal raha hai ab ja baje tak chale phir aarti mein gaye phir jake thoda prasad paya dialysis karwaya us samay bhi ham aandit rahte hain kyon kyonki ham chitt mein Priyalal se jude rahte hain khas baat hai to aap doctor hain aap marij hain ya aap svasth hain ya aap kisi bhi karya mein rat hai jab tak adhyatma se nahi jud hoge tab tak aap dwaand par prapt nahi kar sakte kyonki vyapar hai barabar munafa hi thodi milega kabhi ghata ho sakta hai sambandh hai barabar anukulta thodi milegi kabhi pratikultaa mil sakti hai kabhi

manmutav ho sakta hai to us sthiti mein ham apne ko kaise sambhal paye wo adhyatma jab ham naam jap karenge aur jab ham satsang sunenge aur ham is jeevan ke rahasya ko samjhe ki ham sharir nahi hai aaj ham Baba ji hai bachpan se bhajan mein lage lekin janm ke samay se yah rog mil gaya yah jo pol sista hai yah vanshanugat hai hamari maa ko tha usi se hamare aaya aur ham usi garb mein gaye jahan poli sista hai kyonki hona hai kyonki bhogla hai 35 varsh ki avastha tak to hamen pata hi nahi chala 35 varsh mein aisa prakashit hua tha ki lag raha tha gaye gaye matlab yah to aisa hai doctor ne kaha do dhai sal bahut bahut teen sal aise 18 sal 19 sal ho gaye lekin hamen bhagwan ki sharanagati milne ke karan ham kid ni ke phayl wale department mein hai hi nahi ham paas wale department mein kyon ham shri ji se jude hue hain bhagwan se jude hue itna bhi bhay nahi hai do kidney donon phayl hai agar char panch chhah hoti sab phayl hoti to bhi bhay nahi hota marne ka bhay nahi hai to ham kya prasann rahne ke karan hamen aaj tak abhi

wo khun wala system wala pareshani nahi hai wo nahi khun kya marij ka kam ho jaata hai sat aath aise chalta hai kyon kyonki ham har samay prasann rahte hain ab doodh rabri to kha nahi sakte aap to khad jante hain iska to khun badhne ka karan kya hai ham prasann rahte hain raat din prasann rahte hain aur ham isko sochne ka time nahi dete ki ham bimar hai sochne ka time nahi dete nahi jahan granth padh rahe hain chintan kar rahe hain naam jap kar rahe hain aur dincharya aisi hai ki ham ratri ke ek baje jagte hain aur sach snaan sab karke 2 baje tahalne jaate hain jo dedh kilometer do kilometer tahalne ke baad phir ham apni kutia mein jo kuch thoda phir apna dincharya grantha avlokan karke phir satsang aur yah dincharya chalti rahegi din mein kabhi sote nahi ratri mein sat aur aath ke beech mein lette hain 11 aur 12 tak jo vishram hua hua ni jag koi bimar wali charcha nahi hai bimar aadmi aise hota hai ham rog mein nahi hai to ham sam mrijon se aur daktron se aur sab bhaion se yahi prarthna karte ki adhyatma

ko samjhe bina tumhen sukh shanti nahi mil sakti rog aa gaya hai sharir mein hai agar man nirog hai to koi fark nahi padega rog nahi hai aur man rogi hai to jitni jelen bhari man rogiyon se hi bhari hai jelen jo bhari hai na man rogiyon ke dimaag ke rogi jo hai na hinsa dves vy vichar papa aacharan kar rahe hain aur man svasth hai sharir aswasth hai to bahut anand rahta koi fark nahi parta ye chhota-mota rog nahi aap khud samjh rahe hain ye chhota-mota rog nahi hai aur bhagwan ki sharan mein sanyam se pura jeevan raha brahmcharya ka ek bahut bada pratap hota hai to ekdam har nas nadi mein ek avyakt tej rahta hai avyakt utsah rahta hai oj rahta hai koi bhi karya jaise ki parikrama chala jae haan haan ye thodi aga ham kidney failure par hamara utsah itna jor ka rahta hai ki kisi karya mein negative soch hai hi nahi positive positive hai to ham aandit rahte hain ab jaise ye ye to phayl ho gaya to ham positive hai bhagwan koi na koi rasta to rakhe honge na ab ham chintit nahi ho gaye ab kya hoga hai

kya wahi hoga jo mangal vidhan aur aaj tak ham dekh rahe hain har karya mangal vidhan ka ho raha hai ye kya hai bhagwan ka pratap isiliye agar bhagwan se jud jae koi bhi to param mangal ho jae par chitt kya hai bhagwan se judta nahi apna bharosa rakhta hai apni kamai ka apne mitra ka apne lekin bhagwan ka bharosa nahi to ham yah kahte ki agar hamara chit bhagwan se juda hai aur ham bhagwan ka naam jab kar rahe hain aur bharosa bhagwan ka rakhe to bahut anand ki prapti ho jae par ab kya hai ki jaise aag lagne par kua khodna murkhta hi kahi jaegi ab jaise aadmi pareshaan sthiti mein aa gaya ab usko yah gyan nahi su aayega ab nahi su kyonki aag lag chuki ab kua khodne se matlab to yavat svasth madam kalevar yavat cha dure jara bharathri ji kah rahe hain jab tak rog dur hai budhapa dur hai samasya dur hai tab tak tum apne chitt ko bhagwan mein jod lo to tum nikal jaoge nahi us ghatna paristhiti mein aisa dum hota hai ki tum usmen bhagwan mein chitt jod hi nahi sakte kyonki maya itni prabal hai ab jaise ek aadmi

ka parivaar lut gaya vyapar hani ko prapt ho gaya ab use kaho bhagwan mein chitt jodo wo to wo gali dega bhagwan mein ab jaise bachpan se chitt juda bhagwan ki kripa pehle se aur usko pata ho chuka mera sharir ab jaega ab usko yah pata nahi ki jitna bacha hai usse main kama lu bhagwan naam aur apna kalyan kar lun to kalyan se to matlab nahi rah gaya aur sharir svasth hoga nahi aur ab itni dum nahi rah gayi ki chitt bhagwan mein jod le ye durdasha jeev ki hai agar wo jeev ab bhi jod le to jod sakta hai par wo bimari mein hamne dekha hai marij mobile mein film dekh rahe hain aur dialysis ho raha hai unko pata hai ki kaun sa dialysis antim ho sakta hai lekin apne jeevan ka mangal nahi soch rahe serial hai gandi baten idhar udhar dekh kar ke mobile mein yah durdasha jeev ki hai kaise ab va samay kaat raha char ghante film dekh ke aur yahan samay akh mundi andar char ghante naam jap mein tanmay maharaj dialysis hoga ha chalo thi hatao phir apne cha kab dialysis hua hamse matlab kya ab wo film dekh raha hai wo

mobile dekh raha hai va kaise chain se rahega chitt bhagwan mein juda nahi to sharir se juda sharir marne ki baat hai to ab ghbarahat hai badi avyvastha ham mante hain badi avyvastha hai par us avyvastha mein agar ab bhi bhajan kar le to bhagwat prapti ho jae kyonki bhay ka avsar to hai hi hai ki kabhi bhi mrityu ho sakti hai par hai bahut kathin bhai hai bahut kathin us avastha jab svasth tha to bhogon mein chitt tha ab aswasth hai to sharir nasht hone wala is baat ki chinta hai dhan ki chinta hai kasht ki chinta hai bhagwan ke chintan ki to gunjaysh hi nahi rah gayi to ham sab prarthna karen ki unka chitt agar prabhu mein jud jae to samasya ka samadhan hai anytha koi samasya ka samadhan nahi yah bada bhyawah sansaar hai bada bhyawah sansaar hai bhagwan ke aashray to bahut anand hai bhagwan ke aashray se hi anand hai anytha dusra koi anand nahi accha chahe jitna dhan sampatti aur svasth aapke paas ho maroge to hai hi ek din aur saath kuch jana hai nahi to agar naam jap nahi hai to ant ek bar ek sajjan aae the to

unhone kaha ki prabhu mere andar ek bhay sata gaya hai kaha kya bole sab kuch hai lekin ab hamen dar lag raha hai ki murunga to sab chhut jaega hamara ab is dar se mujhe kaun batae to yah dar hatane ke liye hi bhajan hai sab kuch hai lekin ab maroge ab jana padega ab chhod ke jana padega patni putr parivaar kyonki vriddhavastha aa gayi to suchna mil ki ab jana hi jana hai to ghabra rahe the ki kya upay hamka ek matra bhajan agar bhajan kiye hote aap kah rahe sab kuch hai par bhajan nahi hai to aap ghabra rahe ho aur

kuch na ho aur bhajan ho to hamari tarah taal thoko ki jis samay jo avshyakta hogi wo sab ho jaega bhagwan sab karne wala hai pakka samjho bahut kripalu hai ham dekh rahe hain wo kaun sa rup lekar aata hai kab kaise kam bana jaata hai bada vichitra khel uska hai ab jeev ko bharosa nahi bhagwan ka use apna bharosa hai apni kamai ka bharosa apne karmon ka bharosa hai par prabhu ka bharosa nahi to apne paas jo kuch hai wo bahut thoda hai maya nasht karne mein second nahi lagaegi aur jo bhagwan se milega wo amogh milta hai amogh milta hai pakka samjho lo parlok sabka mangal karne wale bhagwan hai isliye sabse prarthna naam jap karo bhagwan ke aashit raho aur ye sharir nasht hoga aaj nahi to kal ye dhyan mein rakho to jab ye nasht hi hoga to paap kyon karo achhche karm kar lo yahan se jane hi to kamai karke jao yar ek arab aapke bank mein jama hai to 25 paise lekar jaoge kya yahan se aapka pura naam roshan hai lekin jab maroge paap karm kiye yamdoot lekar jaenge to yahan ka naam y Yamraj ke yahan tumhara bachav kar lega kya

nahi naam jap kiya bhagwan ka chintan kiya bhagwan ka dusron ki seva ki dusron ko sukh phuchaya ye aapko sukh pahunchaega yah aapke saath jaega to isiliye hamen lagta hai thoda unko satsang suna jae naam jap ki prerna di jae aur unko dhadhas bandhaya jae ha dekho utsah sampann ham aapko wo kaise batae har samay hamen aise phalan rahti ek anand rahta hai ek matlab kaise tumhen batae ha ek utsah rahta hai ini kidney sa kone mein fase jahan sundarata ki sima bhagwan shri Krishna priyaj unka naam unka rup unka

hamen khushi hai marne ki ki sharir chhutega tu apne prabhu se mil jaenge apne prabhu ke paas jaenge janm janm se jisse bichhre rahe usse milne ka avsar aaya to bhala bhay ka vishay apne jaise videsh se koi apne ghar jana ho to usko kahin pareshani aayegi kya wo to utsahit hoga kitni jaldi phucho apne ghar wale se mi to anant janmon se apne prabhu se bichhre rahe aaj hamara milne ka samay aa raha hai sharir chhutega apne shyama ju se milenge apne prabhu se milenge to marne ka bhi bhay khatm to phir

chinta kya rah gayi anand hai anand isliye bhagwan se jab tak chitt nahi judega tab lag kushal na ji goswami tulsidas ji tab lag kushal na jeev kah sapnehu man vishram jab lag bhaj na Ram ko shok dham taj kam jab tak bhagwan ka bhajan nahi karta tab tak shok chinta bhay mrityu dukh inse nahi bach sakta kuch bhi kama le kuch bhi kar le isliye bhagwan ka aashray bas kuch baten aisi hoti hai jo kahi nahi jati samjhi jati hai prabhu kitna pyar karte hain prabhu kitna dular karte hain jane mori chati jaise Meera ji kahti na ki

jane mori chati mere Giridhar vaidya mujhe kitna sukh dete mere Giridhar kitna su ye Meera ji kahte aise ham tumhen kaise batae prabhu kaise sukh dete hain ye kidney phitni sansaar ke rog is sansaar ke dukh yah sansaar ka sharir ye tanik bhi asar nahi kar raha jo bhagwan ki kripa hai na wah aise kavach mein liye hue jaise Prahlad ji ke ko hathiyon se kuch laya gaya jahr pilaya to apne mitron se se kahte hain mujhe itna bhi kasht kyonki mere hari mujhe god mein liye aur yah keval pravachan se nahi pravachan kar rahe

hain aur sharir svasth hai sab khanpan badhiya wo ek alag chij hai bhari kasht to ham kah rahe hain ki itna anand jab mil raha hai to aap bhagwan se chitt ko jodie aapko bhi milega kyonki yah khajana aapke andar bhi hai sabke andar bhagwan baithe hain anand liye par aapne bhagwan se kabhi apnapan nahi kiya sharir se kiya sharir ke rishte nato daro se aur yah janne mein dikhayee de rahe hain par ye hai nahi koi apne koi apna nahi sachchi maniye sare sambandh jhuthe hain tum kisi ke kam layak ho isliye tumhen koi pyar kar raha hai aur agar kam layak na ho to yahan aap dekh lo koi pyar nahi kar raha bhagwan se chitt jod le phir usko asli chashma milta hai koi nahi to jab tak jeevan bhagwan ko samarpit nahi hota bh bhavan se nahi judta bhagwan ka naam jap nahi hota tab tak anand nahi kuch bhi kar le aur jab sankat mein fas gaya to chitt bhagwan mein judna kathin hai jaise rog aadi phir chitt haan phir chitt ko ghasit kar prabhu mein lagana bada mushkil hai isliye bade kripa patr hai jo svasth sharir mein bhajan ka abhyaas

kar liye to aswasthata mein phir bhajan karke nikal jaate hain

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi