॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

1 hathi ko khilane ka punya aur 1 lakh cheentiyon ko khilane ka punya mein se kiska punya zyada hoga ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

prashant trivedi ji Radhe-dhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya ek hathi ko khilane ka punya aur 1 lakh cheetiyon ko khilane ka punya kyonki hathi ki khurak bahut hoti hai. Cheetiyon ki sankhya bahut hoti hai. Hona khilana bhavna seva mein agar hathi mein bhi bhagwan dekh ke pawa rahe ho. Chinti mein bhi bhagwan dekh ke pawa rahe ho to ek chinti aur ek hathi ke pawane ka barabar punya milega. Aur bhagwan nahi dekh ke hathi dekh rahe ho, chinti dekh rahe ho to bhed to ho hi jaega. Koi punya mein phir bevkuphi thodi hai.

chinti to ek dana se tript ho jaegi. Uske liye ek kuntal bhojan chahiye. Donon mein bhagwan dekhkar yadi de rahe ho ki hathi mein bhi wahi bhagwan hai aur chinti mein wahi bhagwan to punya barabar aur hathi ko hathi dekhkar chinti ko chinti dekh ke to punya mein ghata. Hathi ke pawane ka hathi ka phal milega aur chinti ke pawane ki chinti ka phal milega. Baat samjh mein aa rahi hai? Nirnayak chatur hai. Ek hathi ko khilate to ek atma ko punya milta aur 10 lakh chijon ko khilate 10 lakh atma hamari baat nahi samjhe 10 lakh atma hai hi nahi 10 lakh ghade rakhe hain aur ek ek surya ka pratibimb par raha hai to 10 lakh surya ho gaye kya to 10 lakh atma hai nahi atma to ek hai wo sab mein prakashit ho gaya kyonki ham agyaan mein hai na isliye samjh nahi pate hamne jo pahla shabd kaha jo jo bhagwan hathi mein hai wahi chinti mein hai.

agar yah bhavna karke ham pawate hain to barabar phal milega kyonki wahi atma hai. Atma 10 20 nahi hai. Atma 10 lakh nahi hai. Atma ek hai. Dekho ab aapse kahe ki ye panch sat bijli hai. Aap hamko kya kahoge? Faila yantr ke karan uska prabhav alag-alag hai. Heater yantr hai to garmi phenk rahi. Pankha hai to hawa phenk rahi. AC hai to thanda phenk rahi lekin bijli ek bas ye khopdiyan alag-alag hai. Bijli ek hai inme. Jo bijli hai inme wah paramatma hai wah ek atma hai. Ek vah guru hai. Wah ek hai.

wah anek nahi hai. Bahut achhche se samjh lijiye. Agar ham bhagwat bhav se kisi ko pawate hain to chahe chinti ko pavaye chahe hathi ko pave hamen barabar labh milega. Aur chinti ko chinti man ke aur hathi ko hathi man ke to phir hath ek hathi pavao aur do char arab chinti pavao to shayad samanta ki baat sochi jae kyonki parinaam hai na wo ek kwintal mein chhakega aur ek kilo mein lakho ho jaengi nahi ho jaengi aur agar ek chinti mein atma tatv bhagwan ko dekhkar ek hathi mein dekh ke to barabar phal milega wo tum dekh ke kya pate ho tumhara vishay hai samjh gaye man bahut chanchal hai idhar udhar bar-bar chala jaata hai.

hamesha aapki kripa se naam jap hoti rahti hai. Par phir bhi idhar udhar bhtak jaata hai. Haan koi bhatakne do usse koi fark nahi parta. Man jane se hamari hani nahi hai. Man ke anusaar tan jane se hani hai. Man hamara kah raha hai ye kha lo. Ham nahi khae koi fark nahi para. Ab man kah raha hai kha lo hamne kha liya. Ab fark par jaega. To man jo kahe to wo to kahega. Uska swabhav hai. Jab tak bhagwat prapti nahi ho jaegi tab tak wo kahega. To man ke kahne ke anusaar ham kriya na karen to man se hamari koi hani nahi hai.

wah dhire-dhire aa jaega. Line mein aa jaega. Khub naam jap karte raho. Man ke anusaar kriya kar di to phir nahi aayega. Phir to aur bhatakna shuru ho jaega. Kriya ko rokna hai man ke anusaar jo

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi