sab kuch karmon ke hisaab se milta hai to prarthna kab kam aati hai ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
kajal ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji agar sab kuch karmon ke hisaab se milta hai to maharaj ji prarthna kab kam aati hai maine chhote hote prarthna ki thi ki meri ichchhae puri ho par maharaj ji kya prarthna mein kami thi ya bhagya ke anusaar hi hota hai chahe ham nahi nahi prarthna aur bhajan yah bhagya se alag chij hai. Jab ham bhagwan se prarthna karte hain to bhagwan hamare karm ko na dekh ke wah apni kripa se dete hain. Jaise aadmi lebri kar raha hai to uski niyat keemat hai ₹00 ₹550 lekin wo sham ke mehnat karne ke baad babuji hamari patni ko badi pareshani hai to wo jo 5000 diye wo uski mehnat ke nahi diye wo uski prarthna ke diye ki bhai samasya ka samadhan hamne prarthna se karwaya to hamare bhagya mein to jo likha hai wo to milega hi jab ham bhagwan se prarthna karte hain to bhagya se alag bhagwan hamko dete hain.
wo jo baat hamari banti hai prarthna se wo bhagya nahi hota. Wo bhagwan ki prarthna aur agar prarthna puri na ho to kya samjhna chahiye? Bhagwan mangal bhavan hai. Wo puri kar dete to amangal ho jaata. Isliye wo bhagwan puri nahi kiye kyonki mangal bhavan hai. Par hamare man mein tha ki wo hona hi chahiye tha. Haan yah hamari kamzori hai. Yah hamari kamzori hai. Jaise ham jaan ham chahte hain ki agar yah mukadma jit jae, itna rupya mil jae, hamari nokri lag jae to hamara mangal ho jaega bhagwan. Aur bhagwan ko pata nahi mukadma jit gaye, nokri lag gayi tab to tum maya mein phas jaoge.
tumko ham aisi vipatti denge ki hamare siva tumhen kuch aur accha hi na lage. To har jagah har raste kaat diye. Ab tum nirash ho gaye. Jab nirash ho gaye koi saath nahi de raha. Tab aaya he asran sharan bhagwan aapke siva hamara koi wo sat marg mein chal para wo bhagwan ke marg mein chal para wo andar se grihasth hote hue bhagwan ka mahan bhakt ban gaya bhagwan mangal bhavan hai amangal hone nahi denge aur jisse amangal hoga wo prarthna puri nahi karenge ab hamari drishti aur bhagwan ki drishti mein to antar hai na hamari drishti mein ki yar amangal ho gaya ham agar hamari kamna purti ho jati to bhagwan ka kya chala jaata lekin vastvik maniye aapki us kamna purti mein aapka amangal tha.
age chalkar aapka mangal ho jaata. Bhagwan ne isiliye vighna dal diya. To bhagwan ki kripa sadaiv mangal karti hai. Amangal nahi karti. To ye bhagwan ki kripa hi hai. Aisa samjhna chahiye. Hamari soch aur bhagwan ki soch mein antar har jagah kripa hoti hai. To hamari kamna na purn hona hamari prarthna na sunna yah bhi bhagwan ki kripa hai. Usmen koi na koi amangal hai. To bhagwan ki har paristhiti mein ham kripa ka avlokan karen. Bhagwan hamari yadi maang puri na karen to pakka samjhna wah maang agar puri ho jae to hamara mangal ho jae.
hamara mangal ho jaata hai. Ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…