char ashram, unki ayu va vanprasth ki vyakhya | maine shadi nahi ki to main age kya karu ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
sudha Gupta ji nai Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki char ashraomo mein se sambandhi hai jismen se ek vanprasth bataya gaya hai char ashraomo ki austan ayu 25 varsh suni hai hamne maharaj ji ham brahmcharya grast aur sanyaas ke bare mein to aksar sunte hi rahte hain lekin vanprasth ke bare mein kabhi baat nahi hoti haan vanprasth ab bada kathin hai vanprasth jo ashram hai kalyug mein bahut kathin hai kyonki wo mahan tap tapasya purn hota hai. Jaise brahmcharya, naisthik brahmcharya aur sanyaas ek marg yah hai brahmcharya aajeevan brahmcharya aur sanyaas aur ek marg brahmcharya aur grihasth ashram.
ab jab grihasth ashram ke 50 varsh ki ayu ho gayi. 100 varsh ki manushya ki ayu rakhi gayi. 70 mein pahunchtephunchte kam ho jaata hai. 60 70 mein aajkal ho jaata hai. Koi 80 birle pahunchta hoga. 90 aur 100 to bahut hi mushkil baat hai. Ab 50 varsh ke baad aadmi ki halat kya hoti hai jo grihasth mein hota hai. Kyonki wo 25 varsh brahmcharya nahi raha hai. Agar ashram ke anusaar pocho to 25 varsh tak brahmcharya rahna chahiye. Iske baad byah hokar 25 varsh grihasth ashram mein rahna chahiye. Phir vanprasth toki new gadbad hai.
25 varsh brahmcharya kahan girlfriend boyfriend brahmcharya brahmcharya kahan rah rahe hain? To 50 varsh pahunchtephunchte dher ho jaate hain. Ab wo jangal mein jakar ke tap mein jeevan vyatit karen. Na aise jangal rah gaye hain aur na aise tapasvi rah gaye hain ki wo 50 varsh ke baad apni patni ka putro ke hath saump karke aur ekant vas karte hue jangli kand mul phalan se nirvah karna jangli wastron ko pahnna jaise patton ke vastr pahan lene vakal ke vastr pahan lena garmi sardi varsha tino ka koi bhi nivaran na karna vanprasth ke liye garmi garmi sidhe sahna koi pankha bijli iska prayog nahi sardi sidhe sahna koi kisi bhi tarah ka sardi nivaran ka nahi sidhe angon par sahna varsha puri sahna aur agar aisa lage ki ab hamara sharir kam nahi kar raha hai to usko tap ke dwara apne prannon ka tyag kar dena bahut kathin vanprasth hota hai.
agar laga ki abhi hamara sharir tapasya kar sakta hai to sanyaas le lena. Is sanyaas ke dwara ab to vanprasth kaun rahta hai? Vanaprasthi kahan dikhayee dete hain? Vanaprasthi badi tap bhumi mein hi shayan karna nange pair chalna bada kathin tapmay jeevan hota hai. Ab to 50 varsh ke baad itna aasakt ho jaata hai ki wo parivaar sansaar maya isse hatkar ke jangal mein jae aisi kahan samarth rah jati hai aur 70 80 ke avastha mein to sahyog ki zaroorat hai. Akele chal hi nahi sakta. Akele apni dincharya nahi kar sakta to vanprasth kya chalega?
bahut kathin hai vanprasth aur ab kahan vanprasth dikhayee dete hain? Sidhe grihasth se sanyaas le liya. Sidhe grihasth se sanyaas liya aur ashraomo mein chale rahe. Tapasya aur kasht kahan? Tapasya aur kasht jab tak nahi saha jaata tab tak paramarth ka prakash bhi nahi hota hai. Tap mein jeevan bhagwan ke liye kasht mein jeevan wo ab sab granthon mein likha rah gaya hai. Koi koi birla hoga jo chal raha hoga nahi to bahut aisa. Ab kahte hain jawani mein bhajan na karo to budhape mein pooch lo aap ki kitna bhajan karte hain agar jeevan mein bhajan nahi kiya hai nana prakaar ki chintaen hoti hain indriyan shithil ho jati hai bhajan mein man nahi lagta ab bhajan mein man lagega ham ek sadharan yantr chalane ki kahte hamne kabhi pistol nahi chalai chhui nahi hath se ab hamko aap pistol de dijiye to ham chala payenge kya jo ki ek prakritik yantr chalana hai man ko paramatma mein lagane ka abhyaas nahi kiya to budhape mein laga loge aap kaise laga loge to jawani se jab ham sat marg shuru karte hain bhajan shuru karte hain tab hota hai hamare jo sanatan dharm mein hai pahla kadam hai brahmcharya phir chahe tum sanyaas ki taraf jao chahe grihasth ki taraf jao pahla kadam brahmcharya kaun chal raha hai brahmcharya 13 13 14 varsh ke bachchhe bachchyan apne dharm se bhrasht ho rahe hain jin jinko matlab abhi bachchha kaha gaya hai wo dharm se bhrasht ho rahe hain.
hamare samne kitne aise bachchhe aae jo 13 varsh se hamko to ascharya hua ki ye to tumhari khalne ki avastha hai. Tumko aisa gyan kaise to mobile hai. Mobile se sab gyan ho raha hai. To gande acharno mein pravriti 13 14 varsh ke bachchon ki ho rahi hai. To brahmcharya kab rahenge? Brahmcharya aur jab brahmcharya nahi to jab pratham hi si li nahi to paramarth ki chadhai kaun chadh sakta hai? Phir to hai sab keval bakwas bakwas rah jaata hai. Updesh suno updesh karo aacharan mein utarna bada kathin hai. Aacharan mein updesh utar liye jae tab to mahatma tab to grihasth nahi to aacharan mein utarna bada kathin.
chhote-chhote bachchhe bidi phunkte hain, cigret phunkte hain, hukka phunkte hain, naujawan hote hain, drugs lete hain, nasha karte hain, klab jaate hain, girlfriend, boyfriend kitni gandagi samaj mein fail rahi. Aap dekho kitni gandapan fail raha hai. Itna gandapan fail raha hai ki aaj ek grihasth chain se nahi hai. Ji, aapne bola abhi ki purush apni patni ko putr ke saath chhod ke gaye. To kya vanprasth ashram sirf purushan ke liye banaya gaya tha? Agar stri patni apne putr prem tyag kar sake kyonki bahut kathin marg hai na to matao bahno ko rahna bahut kathin hai.
wo apne putr santan ko tyag karke rahna kathin manti hai. Agar wah saath jana chahe to ja sakti hai vanprasth mein. Anytha waise bahut kathin hai. Isliye kathin hai ki jaise jangal mein khule mein shayan karna, valkal vastr pahnna, kandmool phal khana. Ab kahan kandmool phal rah gaye? Ek ber bhi jiske ped hoga na wo paise se bech ke dene wala hoga. Aap pani nahi pi sakte. Pani nahi pi sakte. Kyonki pine layak nahi hai aur bahar na kuan rah gaya hai, na haind paip rah gaye hain. Vanprasth kaise raha jae? Aap vichar karke dekhiye.
ek jine ke liye ganga yamuna ke jo pavan jal the jinke pine matra se samasth paushtikta apne aap aa jati thi kyonki pahadon se janglon se khuli vayu ke dwara ab gatar ka bada-bada nala ja raha hai ganga yamuna ka pani pikar rah nahi sakte kua haindap rah nahi gaye sarovar nadi jheel hai nahi ki ham pani pi pani nahi hai agar paisa nahi hai to bhagwan prashn mein paisa sparsh karna pehle hi nishedh hai. Arth ka sparsh karna nishedh hai. Usmen to khule bahut phus ki jhopdi bana le aur usmen rahe. Ye sab suvida hai.
sab maharaj ji ismen ek ek prashn tha maharaj ji ye us samay jo gurjan the sant jan the unhone ek Shastri vidhan aur ek manav mariyada ke liye ashram banae the. Maharaj ji aaj ke samay mein jo samay chal raha vaal prashn aapko dekhne ko nahi milega. Grihasth se sidhe sanyaas, brahmcharya se sidhe sanyaas aur sanyasi bankar ashram mein rahna. To maharaj ji aaj ke samay mein kaise sambhav hai ki bhagwat prapti ka marg ham kis bhasha mein divaid? Vanapra se keval thodi bhagwat prapti hoti hai. Maharaj ji abhi kya kaise chale maharaj ji?
krityuge dhate Vishnu tretayam yajat makh Dvapar paricharyayam kal ta kirtan apne ghar mein raho. Ghar mein rah ke parivaar ko bhagwan ka swaroop samjho. Ghar mein tyagi bankar ke raho. Jo mehnat se kamaya hai usse alphar karo aur nirantar bhagwat chintan karo. Bhagwan kahte hain anannya chintyanto mam ye jana paripaste mera jo anannya chintan karte hain. Anya chintan vanprasth ban karke kya karna hai? Bhagwan ka to chintan karna hai. Ab us tarah ki kathor tapasya rah nahi gayi. Us tarah ke hamara vatavran aap shauch nahi ho sakte.
to ab shauchalay chahiye isliye chupchap kalyug hai. Apne ghar mein raho aur apne ko uchit ahar aur vastr aadi se sharir ko dhak karke parivaar se mamta tyag karke ghar mein raho. Parivaar walon ko bhagwan ka swaroop samjho aur khub naam jap karo. Bhagwat chintan karo. Kalyug mein keval bhagwan ke naam chintan se bhagwat prapti hai. Dusre jitne sadhan hai ye ab man lo vanprasth sadhan aapka paripakva ho jae to aapko tap lok milega. Bhagwat prapti thodi ho jaegi. Tap lok milega. Mahar lok tapok janok satyalok brahmlok tak bane hue hain na bhagwat prapti hogi.
bhagwat chintan se vanprasth bankar ke yadi bhagwat chintan nahi hua keval vanprasth niyamon ka palan hua to aapko tap lok ki prapti hogi. Bhagwat prapti nahi. Bhagwat prapti to bhagwat chintan se hoti hai. Raat din aansu bahate hue Ram Ram Krishna Krishna hare hari Radha Radha jo andar chintan kar rahe hain unko bhagwat prapti hai. Maharaj ji jaise maine shadi nahi ki. Grihasth ashram mein nahi gayi lekin sansaar mein jo dayitwa the wo kiye to hamara to mera to brahmachari hi chal raha hai. To uske baad vanprasth ka koi mahatva hai?
matlab koi mahatva nahi rah jaata. Ab tum naam jap karo aur parivaar mein hi rahna. Ghar ke bahar vyvastha mat sochna ki kisi ashram mein chali jae. Bilkul nahi. Apne ghar mein raho aur jo mehnat ki hai usi kamai se pet bharo aur khub naam jap karo. Bhagwan ka chintan karo aur ghar ke sadasyon se moh mat karo. Bas yahi sanyaas hoga aapka. Sachchi ham baat kah rahe hain. Bilkul kisi ashraomo mein jake rahna ya is tarah ka vihaar wah bahut ghate ka hai. Bahut ghate ka hai. Kalyug hai. Bahut ghate ka sauda chal raha hai. Vishwas antardhya hota chala ja raha hai.
vishwas jo hai wo antardhya hota chala ja raha hai. Vishwas hamara bahut dagmaga raha hai. Is samay kyonki paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanchu kapt ka kalyug ka aisa prabhav badh raha hai. Sabha mein ham kuch aur hain aur ekant mein ham kuch aur hain. Kapti kutila kalyugi tanchu to ae parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun sun keval bhagwan ke leela gun gao bhagwan ka naam jap karo bhagwan ke chintan mein apne ghar mein rah ke ki bhagwat prapti nange ughare rahne se nahi hoti bhagwat prapti bhukhe rahne se nahi hoti bhagwat prapti bhatakne se nahi hoti bhagwat prapti chintan se hoti dawa hai bhojan hai sharir ke nirvah ki vyvastha uske bina ji nahi sakte aur jie bina bhajan nahi ho sakta.
isliye donon baten aur to aapko ghar chhorne ki zaroorat nahi. Ghar mein rah ke pavitra aacharan karte hue parivaar se moh rahit hokar bhajan karo. Aur isi se bhagwat prapti ho jaegi.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…