॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #905 · 10 mai 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Vrindavan dham ki jai shri Sadgurudev bhagwan ki jai shri Ramchandra guddu ji maharaj Radhe Radhe Radhe Radhe maharaj ji maharaj ji yadyapi manta hoon ki bhakti karna chahiye. Parantu jab tak sab kuch anukul hota hai tab tak man sthir rahta hai.

koi viparit paristhitiyan aati hain to man viksipt ho jaata hai. Dosh dekhne lagta hoon aur kabhi-kabhi anuchit aacharan bhakti hai kahan? Manta hoon parantu bhakti nahi hai. Isliye sthiti hai bhakti ho to samarth hoti hai. Samarth yahi bhakti ki samarth hai. Shatru mitra samjani man apman sam dukh sukh labh na hani yahi jo kripa hai mayakrit dhwanon mein jo saman bhav paida kar de badi-badi vipattiyon mein bhi jo muskurahat na ruke har gam ko har paristhiti ko anand purvak sah jae ye bhakti ki samarth hoti hai ye khilwad thodi hota hai bhakti hriday mein jab aati hai to badi-badi samarth andar prakt ho jati hai naam jap karo bhagwan ki aradh aradhna karo bhagwat katha suno pavitra acharno se chalo to tumhen adhyatma bal mile adhyatma bal se hi in vikaro ko saha jaata hai aapas mein rag dves mohale mein rag dves ganv mein rag dves pradesh mein rag dves hai hai hai markat ladai jhagda bhog rag ye shanti anand ye to kahan hai kahan hai shantil sab bhog bhogon mein apne jeevan ko barbad karke nasht karke aur kuch chand rupaye chand bhogon ki trishna aur parivaar bas yahi to jahan sharir chhuta to paap karm punya karm ke bandhan mein bandha hua jeev phir tahalta hai.

isliye bhai abhi bhakti ko samjha nahi tumne. Tum kah rahe ho ki bhakti parantu pratikultaa ane par kitni badi pratikultaa hai. Donon kidney phayl hai. Ek kasht agar kasht ginave to diary kya aapko ham kasht mein dikhayee de rahe hain? Aap vichar karo aise hain. Bhagwan ki sharan mein bhagwan ka naam jap karte hain to itna bal diye hain ki aisi paristhiti mein bhi aapke samne baithe hain, hanste hain, baat karte hain, normal jeevan vyatit karte hain. Haan. To kyon? Ham koi aisi aushadhi hoti hai kya? Nahi. Naam jap bhagwan ke sahare Radha naam ki haan bhagwan ke sahare hain.

ye ham khulkar aap logon se baat karte hain ki ham bhagwan ke sahare hain. Unka naam jap karte hain. Naam jap jo banta hai banta hai. Nahi ham unke sahare hain. Hamare bhagwan ke siva koi nahi. Isiliye hamen anand prapt hota hai. To isi ka to naam bhakti hai ki ham bhagwan ke sahare rah. Bhagwan ka naam jap karen. Gande aacharan na karen. Pavitra jeevan, pavitra bhojan to abhi aapko atambal mil jaega. Jab hriday shital hota hai aur ek anand anand aise jaise doodh ko batui mein chadha do na to ufan aata hai na aise bhagodanand ki ufan aati hai.

rone ka man karta hai. Kasht mein nahi sukh mein sukh mein rone ka man karta hai. Itna anand ekdam sahan nahi hota. Wo anand jab aata hai koi gali de rahe hain koi mar bhi raha hai apna anand hriday mein hai na to bahar ki choten kam nahi karti ab hriday anand mein nahi bahar sab suvida hai to soch mein ham negative soch mein pareshaan ho jaate hain negative nakaratmak soch matra hamen pareshaan kar deti hai jab hamen bhagwan ka bharosa nahi hota to sab suvida hai sab anukulta hai lekin negative soch se ham pareshaan ho pata nahi kahin aisa na ho pata nahi kahin aisa na ho jae.

negative soch hamen pareshaan kar deti hai. Aur jab bhagwan ki kripa hoti hai, ham bhakti mein hote hain to har nakaratmak paristhiti mein positive soch hamen anand pradan karti hai. Ye khas baat bhakti ki hai ki positive soch nahi. Ab matlab ham kaise batayen kitna kasht diya ja raha hai mahapurushon ko dekho jo vayguru ke sharanagat jan hai ki kitna aur kah rahe tera kiya mitha lage ab aap socho jara positive soch kitni badi hai matlab pure sharir ko tapt balu ke dwara jalaya ja raha hai aur wo kah rahe hain waheguru waheguru waheguru tera kiya mitha ye baat samjh samjhni hogi to ham log chhoti-chhoti pratikultaa chhoti-chhoti baat mein jo parast hote hain, har jaate hain, thakit ho jaate hain.

yahan tak ki apne jeevan ko nasht karne ki soch lete hain. Ye sab bhakti vihin jeevan hai. Agar bhakti yukt jeevan ho to badi se badi pratikul paristhiti mein bhi aap aandit hokar muskurakar ki yar jaise din nahi tika to raat nahi tikegi. Din aayega. Aise hi sukh nahi tika dukh bhi nahi tikega. Sukh aayega. Ham age badhte hain. Ham dukh mein dubte nahi hai. Lekin agar bharosa bhagwan ka nahi, bhajan nahi, adhyatma nahi to aisi soch hamari negative ho jati hai. Aisi le gayi ki itne divya sharir ko durlabh deh manushya ko wo nasht kar deta hai.

isliye bhagwan ki bhakti mein apaar bal hai. Par ham wahan tak pahunche. Bhakti ke bal tak pahunche. Abhi to bhakti ki shuruaat hi nahi hui hai. Jo bhakti ki shuruaat hai abhi kahara nahi aaya bhakti ka aur jab bhakti ka gyan aa jaega to ara chala diya jae to bhi apni nishtha se nahi hateega. Ab socho bhakti ka rang panch varsh ka balak Prahlad agni mein jalaya ja raha hai. Vish pilaya ja raha hai. Lekin hari hari hari dusra shabd nahi nikla. Abhi bhakti ka rang apne logon ko abhi to bhakti ke naam par ham sukh bhog rahe hain.

bhakti ka rang to tab aayega jab dukh pe dukh dukh pe dukh ho. Om hari hari Radha Radha Ram Ram iske siva nikle na tab mana jaega rang. Abhi rang to kahan aaya hai. Prem jab uday hota hai to dukh aur gamon ki parvah nahi karta. Agar dukh aur gam ki parvah hoti to prem hi nahi kaha jaata. Prem ka matlab kya hota hai? Apne pyare ke liye har kasht sahna. To abhi abhi anand aa jae. Jab pyare ke dwara diya hua kasht hai to bahut anand prapt hota hai. Tera kiya mitha lage. Bas ye baat samjh li. Abhi bhakti ka rang aaya nahi hai.

isliye aap aisa bol rahe hain. Amreek ji yas waheguru ji ka Khalsa. Vahe guru ji maharaj ji guru granth sahib ji mein sadhu janon ki sangati mahima bahut suni hai maharaj ji aap ji ki sangat YouTube par karke akaal purak ji bahut karib lagte hain. Maharaj ji ab bure kam karne ko man nahi karta. Kya karun ki priti ban jae. Dhyan dharte samay kaun-kaun si baten dhyan rakhun. Nishakmata, daya, santosh, prem, namrata aa jae. Maharaj ji guru pita bakhash le. Ek pakar le to sab aa jaega. Yadi hamari koi bhi swas vah guru ke sumiran ke bina na jae to sab aa jaega apne aap nishakmata aa jaegi shanti aa jaegi sab shwas shwas sumiran kare duwidha ray na koi har swas mein agar naam jap chal raha hai to duwidha ray na koi har sadgun daivi sampada sab kuch aa jaega naam swas do bilak chalat hai inko bhed nam moh ko bhave swas naam hi swasa naam swas ko bhed mitave rom rom jab ragrag bole tab swad naam ko pave har swas mein 10 naam 20 naam ghaseete chale gaye aur khub naam jap kar rahe hain.

abhi dekho daivi sampada apne aap prakashit ho jaegi. Nishakmata santosh param shanti anand ahlad daya ye sab devi sampada apne aap aa jaegi. Jab naam jap nirantar chale. Nanak naam jahaj hai chadhe so tarah par. Jo naam rupi jahaj par chadh gaya bhav samudra se par ho gaya. Nirantar naam rupi jahaj par chadne ka matlab hai nirantar naam jap karna. Koi naam jahaj thodi ki ham aise jakar baith jaenge. Naam mein baithe ka matlab hai har samay waheguru vahe guru waheguru waheguru har samay hamare andar shwas shwas mein adhik se adhik naam jab chale isi se sab kuch prapt ho jaega.

guru vani ka path karo aur waheguru ka sumiran karo. Unhin ki kripa se sab sadgun aa jaenge. Khanpan pavitra hona chahiye. Agar khanpan ashudh hai, aacharan ashudh hai to aisa mano jaise ghade ko ham bharna chahte lekin aaj niche se kai chhed hain to ghada ubhrega nahi. Aise yadi paap karm ho rahe hain aur apvitra bhojan ho raha hai aur aap naam japne ki cheshta kar rahe hain to safal nahi honge. Pehle usko safal karo ki aapke aaspas ka vatavran bhagvatik ho. Aapka khanpan bhagvatik ho, aapka chintan bhagvatik ho, tab bhagvatik bhav sthaapit ho pata hai.

praveen saini ji mohali se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji guru aur shishya ka sambandh laukik hai ya parloulik? Parloulik parmarth hai jo vyavahrik sambandh mata pita patni putr bhai aur bhi rishte nate hain. Yah sab vyavahrik hain. Nashvan hai. Sansarik hain. Parivartnshil hai. Swarth se hain. Moh se hain. Lekin guru ka sambandh yah paramarth se hai. Keval paramarth se hai. Guru ki agyaa par apne manobhav ko samarpit karke ham agar ek-ek baat unki man len to isi janm mein hamen bhagwat prapti ho jae.

yah bhagwat prapti ke liye guru shishya ka sambandh hai. Par shishyatwa aa jae aur guru mil jae. Guru milna bhi kathin hai. Damb aur pakhand aur kapt chhal ka to bahut natak chal raha hai. Lekin vastvik jisne bhagwan ko prapt kar liya hai ya jo bhagwan ki prapti ke marg mein tanmay hai. Aise sant ka aise bhakt ka aise uttam koti ke sadhak ka yadi hamen sanidhy mile to hi hamara bhagwat marg prashasth ho. Hamare shastron mein varnan hai. Bhagwat mein varnan hai ki guru aisa hona chahiye jo shabd brahm arthat shastron ka vedon ka pargami vidvan ho aur param brahm bhagwan ki anubhuti se yukt ho.

bhagwat sakshatkar kiye ho aur samasth shastron ka gyan ho. Swayam bhagwat swaroop jo ho gaye un Gurudev bhagwan ka varan ho aur shishya ke liye hai ki guru ki agyaa mein apne tan man prannon ko nyochhavar karke waise hi chale to isi janm mein bhagwat prapti ho jae jaisi agyaa Gurudev ki ho agyaa sam susah seva guru seva taj kare je ban yah adharm yah sab kan nakan mein rah guru Govind na bhed karae jaise Govind waise Gurudev guru sakshat param brahm to guru aur shishya ka jo sambandh hai wo keval bhagwat prapti ke liye hai aur yah keval shuddh paramarth hai.

ismen vihaar ka lesh bhi nahi hai. Ji harjeet kaur ji waheguru ji ka Khalsa waheguru ji ki phal maharaj ji jin prem kiya tin hi prabhu paye. Maharaj ji waheguru ji ne kripa karke YouTube ke jarie aapse milaya. Waheguru ji ki prit se khinche khinche ham aapse milne aa gaye. Aap ji unse mila do. Naam jap samay jitna hota hai utna kar sakte hain. Kam ho rahe hain bat puri tarah se nahi. Matlab naam jap kah rahe hain ki naam jap jitna kam ho raha hai bat jaisa chahiye vaisa nahi. Aap ji dwara batae hue bindu par dhyan lagane ka abhyaas bhi shuru kiya hai.

kah rahe pryasrat hai apni taraf se bat jo ek aur tadap chahiye priti chahiye wah kaise milegi maharaj ji aise alphar karo thoda bhojan karo maun ka aashray lo panch ghante so panch ghante se zyada nind nahi pavitra ahar alphar lo alphar ka matlab bhukhe bhi nahi rahna aur chhakna bhi nahi hai aur har samay maun rahne se hamen bhajan ka zyada abhyaas hoga ab jaise dimaag hai na yah ud raha hai. Ham apni baat bata na hamari khopdi jaise sa macha hai ekdam dimaag mein aur jaise bachpan se is marg mein rahe to sa jaise matlab bas chup hone ki zaroorat hai.

bas chal raha hai. Ab jaise baat kar rahe hain tumhare dimaag mein chhaya hua hai. Kyonki ab jaise yahan ghante do ghante hamare vyatit hue iske baad band na kisi se milna na niche utrna na bahar agar ham kisi chij ka apne mein basana chahte hain to uske liye hamko samay dena ek vaigyanik jab kisi baat ki shodh karta hai to bahut ekaagr ekant shant usi mein lagan lagega ham to paramatma ki shodh kar rahe hain ham to waheguru ki shodh kar rahe unko prapt karna chahte hain to hamari lagan na hamare deh mein lag pave na deh sambandhi mein lag pave na bhogon mein lag pave keval vah guru mein lage to abhi tanmayata ho jae tanmaya sthiti jab tak nahi aayegi tab tak baat nahi banti to hamen har samay apne Gurudev mein apne isht mein lage rahna hai aur jaban chalate rahna hai jaise ab ham upansu jap kar rahe hain mansik nahi hamari jaban chal aur mantr jap rahe hain.

ab ham mansik jap rahe hain. Chal raha hai. Aap bhi jap ke dekho to koi ascharya ki baat thodi hai. Do char bar to aap bhi mansik jap sakte ho. Phir man bhag jaega. Dekho chal raha hai. Mansik mein koi harkat nahi hoti. Chal raha upansh mein harkat hoti hai jaban mein aisa lagega kuch budbuda rahe hain aur vachik mein to upar hai hi hai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha to aise ham har samay upansh mein rahe jab tak hamari mansik sthiti achanchal na ho jae. Achanchal ka matlab hota hai sthir. Jaise vishay purush ka man bhagwan pe lagaya jae to bhagkar vishay mein chala jaega.

aise bhakt ka man vishay mein lagaya jae to bhagkar bhagwan mein aa jaega. Wo vishay mein nahi lagega kyonki usko swad mil gaya hai naam ka. Usko vah guru ki kripa mil gayi hai. To hamko chahiye kam bhojan, kam sunna, kam bolna, kam sona. Agar in niyamon ko ham dharan karen aur ekant sevan adhik samay karen aur khub naam jap upansh se karen to hamara mansik mein prayog jahan man lag gaya phir wo hatae nahi hatta hai man nirantar prabhu mein lag jae phir wo hatae nahi hatta hai ye jo ham aapko batte ki ham aiseise ye bah buddhi nahi batte ahankaar ke liye nahi lekin abhyaas yadi abhyaas kiya jae to bahut saral ho jaega ham aapse baat kar rahe hain lekin hamare dimaag mein wahi baat nach jaise aap hamari baat sun rahe ho andar kuch aur chal raha hai chal raha hai na jaise dabal kah de ki aap hamse baat kar rahe ho to bhajan kaise kar rahe ho to jaise aap hamari baat sun rahe ho shravan indri se sun rahe ho lekin aapka andar ka system kuch aur chal raha hai aap hamari baat par pure nahi ho bar-bar kuch aur chal raha hai wahi wahi usi jagah jab naam pahunch jaata hai tab bar-bar ham aapse baat kar rahe hain lekin wo khichav usi taraf chal raha hai to hamara nirantar bhajan hoga jab hamara aisa chintan hoga to hamara nirantar bhajan hoga.

use kahte hain paravani ke dwara bhajan. Vaikhri madhyama pashyti aur paravani. Paravani mein wo paripakva sadhak ho jaata hai. Wo siddh sadhak ho jaata hai. Jiski aisi sthiti hoti hai. To hamko ekant sevan karna hai. Hamko pavitra aur thoda bhojan karna hai. Apvitra bhojan bhi bhajan mein badhak hai. To yah dhyan rakhen ki hamara bhojan bahut pavitra hona chahiye. Aur hamara sang bahut pavitra hona chahiye aur bas 5 ghante se zyada saiya mein sona nahi chahiye. Uth ke baith jae aur naam jap karne lage. Aisa abhyaas karke dekho aur mul to guru kripa hai.

waheguru ji ki kripa hai. Praytn apna hai. Prayas apna hai aur phal to guru kripa se hi prapt hota hai. Maharaj ji jaise ghar mein tamoguni log hote hain to unke beech mein kaise-jaise ghar mein nonvej pakta hai. Ye to bahut badi samasya hai. Us bahut nahi ye to bahut badi samasya hai us parivaar ke bhakt ki jiske parivaar mein aisa ahar vihar kiya jaata ho aur wo bhakti karna chahe ye to bahut badi samasya hai bada durbhagya hai ki hamko aisa pratikul vatavran mila bada durbhav bada saubhagya hai jinko anukul vatavran mile lekin phir bhi swayam na khae swayam man lo aap patni kisi ki honge aap kisi ki beti honge kisi ke ghar mein to rah rahe honge agar un logon ka dabaw hai to aapko banana padega.

aapko unko pavana padega. Aapko unke bartan manjhne padenge. Lekin aap mat khaaiye. To bhagwan yah baat to jaan rahe hain na ki aap kis samasya mein ho lekin aapka man bhagwan ki taraf hai. Isi baat se bhagwan niche jaenge. Aap swayam pavitra rahie. Swayam mat khaaiye. Lekin agar aisa dabaw hai ki aapko bankar dena padega. To aap man lo kisi ki patni ho to aapko bankar dena padega. Bartan manjhne padenge. Lekin aap mat khaaiye. Aap bhagwan se prarthna kijiye ki mera durbhagya ki mujhe aisa vatavran mila hai.

par nath main aapka is jeevan mein bhajan kiye bina vyarth nahi jane dena chahti jeevan isliye aapko prapt karna chahti hoon. Andar hi andar prarthna kijiye. Aap mat khaaiye. Mujhe lagta hai ki agar parivaar ke log thoda bhi suljhe ho to jo na pana chahe use dabaw nahi dena chahiye. Aapki bhai ruchi hai aap nahi chhod pa rahe hain lekin jo chhod kar diye hain to unko support karna chahiye unko dabaw nahi dena chahiye piyush ji matlab shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj aapke dwara kahi gayi do baten mere hriday ko lag gayi.

pahli ye ki aapne kaha tha ki itne jeevan vishay bhogon ko de diye to ek jeevan Priyalal ko dekar dekho aur dusri ye ki aapne kaha tha ki shri ji ki kripa se ham is marg mein kadam rakhte hain. To Priya pritam bahut aandit hote hain ki ab ye nikunj aayega hamari sahachari banega. Lekin ham sansaar ki taraf mukh kar dete hain aur Priyalal ki taraf pith. To maharaj ji donon ladle udas hokar baith jaate hain ki ye kya kar raha hai? Aapne kaha ki hamne hamen dhyan rakhna hai ki apne ladlon ki taraf pith nahi karni.

ab maharaj ji shri ji ki kripa karke batayen ki prarambh mein prarambh mein sadhak ko chahiye ki aur koi isht na baname. Naam ko isht baname. Hamara kam itna hi hai. Age ka sab nikunj Priya pritam moksh sab apne aap mil jaega. Hamen keval Radha is par apne man ko kendrit karna hai. Vartman mein hamare andar chal raha Radha Radha Radha sab theek ho jaega. Jab khali samay nahi rahega to kam aadi dosh pravesh nahi karenge. Ye pravesh kar hain jab khali samay antray hota hai jahan naam ka antray to hani Harivansh ke naam antar pare labh Harivansh uchchat vani jahan ham naam jap kar rahe hain to yah vikar apna prabhav nahi dikha payenge isurit honge tabhi jab inko avsar milta hai jaise khali samay to andar aa gaye aur agar lagataar bhajan chal raha hai to inka pravesh nahi to hamara kartavya kya hai zyada kuch na soche Radha Radha vartman mein vartman ka samay Radha Radha Radha aap dekhna khud dekhna to hamko zyada age piche ki nahi sochni bhut bhavishya ki nahi sochni bhut bhavishya ke thekedar thakur ji hain ham unki sharan mein hamen vartman mein vartman ke samay ko naam mein laga dena hai aur kab pran chale jae iska koi bharosa nahi isliye agar ham abhi Radha chintan kar rahe hain hamare pran chhut gaye to ham bhagwan ko prapt ho jaenge.

bhagwan ke bina manav jeevan vyarth hai. Iska koi mahatva nahi hai. Aapka pad, aapki sampatti, aapka samrajya, aapke rishte nate, aapka makan, dukan, sharir sab yahi chhut jaega. Mila kya? Aap jab yahan se chalenge to kya milega? Aapke sharir ko to log sammaan purvak dah sanskar bhi kar denge. Lekin aapka kya hoga? Khas baat samjhni hai aapke sharir ko to salut bhi karenge, sammaan bhi karenge. Lekin aapka kya hoga? Aapka karm aapke saath jaega. Aapne jo rashtr ke prati karm kiya, jo bhagwan ke prati balidan diya, wah aapki unnati karega.

isliye donon kam ek saath hone chahiye. Samaj seva arthat rashtr seva aur bhagvatik seva. To bhagvatik seva mein sabse badi hamne apne jeevan ko ek baat mein keval kasauti mein kasa hai ki naam na chhutne pave bas ham achhche hain ki bure hain ham jitendri hain ki ajitendriy hain manonigrahi hain ki man ko vash mein nahi kar ye sab ham jhanjhat nahi pali ham vartman mein bas Radha Radha Radha Radha ab jitendra apne aap ho jaega kyonki Radha Radha chal raha hai man apne aap samete sab kam ho jaega sadhak pareshaan kya hota hai?

vartman ke samay ko bhut bhavishya ki chinta mein nasht kar deta hai. Itna kimti samay ham ek bar Radha bole mera ek second sarthak ho gaya. Ek bar Radha bole meri ek swas sarthak ho gayi to mujhe vartman ke samay ko bhagwan naam mein lagana. Bas goswami tulsidas ji ne kaha ki Raghunath ji aap jante ho sarvagya ho. Mere jaisa nich na bhut mein hai na bhavishya mein hai na vartman mein hai. Lekin ek baat aur kah raha hoon ki yadi taraaju mein toge to palda mera bhari hoga kyonki main Ram naam japta hoon. Khas baat aap tirth, tapasya, tyag, vairagya, vrat, niyam in sab karne walon ko ek taraaju mein toge aur tulsi ko toge to tulsi ka pal bhari hoga kyonki tulsi ne keval Ram naam ko sweekar kiya hai.

to wahi ham aapse kahte hain Radha ke hamara vartman ka samay Radha Radha Radha aap dekh lo. Ye para vidya hai. Ye para vidya hai. Radha naam para vidya hai. Aap dekhna iska naam jap karke matlab Radha Radha jap karke aap khud dekho. Bhai koi chij hoti to ham testa lete hain na ki are nai chij hai testa le. Radha Radha Radha Radha thoda swad leke dekho iska bhi. Koi fees le ye koi fees hoti to pareshani ki bhai itni lambi fees hai. Ham nahi de sakte. Free hai phir ye keval chakhna hai Radha naam sudha rasam rasat jista mein vila ai ji tu vibhal hokar ke is amrit ka pan kar Radha Radha Radha aur jo Radha naam bola to anutap tad Radha madhupati maha prema vista param dem vimti tavam shri Radhe ganti naam rasam mahina kama is pras das manasa jisne Radha bola to lal ji ne uske register ko faad diya.

jo purana register jama hai na hamara paap ka usko faad diya aur anu likha age likhenge nahi. Anu likha kitne ek do galtiya nahi anant aparadh bhi ho jae to age nahi likhenge aur phir sochte hain ki hamari priyaju ka naam ye Radha Radha rakhta hai. Isko kya de du? To sansaar ki vastue to lal ji dete nahi kyonki mayakrit hai jhuthi hai to wo usko gale lagate hain aur sacchidanand sukh pradan karte hain. Agar wo sansarik sukh chahta hai to wo bhi dete hain. To laukik parloulik donon unnati ke liye laukik parloulik donon jagah sukhi rahne ke liye hamen naam ka jarur smaran karna chahiye aur bahut saral naam hai Radha Radha Radha do akshar Radha naam ye do akshar jibhya mein sab jit gaye sab maya par vijay prapt kar loge aap dekh lena khub naam jap karo beena ji Uttarakhand se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jaisa hamne suna ki krtjnta ek asamya mein aparadh.

inka kahne ka bhav hai ki prabhu bhutkal mein ek do logon dwara ham par asim upkar kiye gaye. Ham shri ji ke charnon mein shish jhuka kar kahte hain ki ham jeevan bhar unke rni rahenge. Parantu soch, bhakti, rahan-sahan aur karya kshetra ki vishamtaon ke karan unse ab samannya duri ban gayi hai. Gurudev aap sarvagya hain. Kripya margdarshan karen. Krtjnta krtjnta kise kahte hain? Baat samjhni ai. Agar sahi bhakt ho to bhagwan se badhkar ham zyada sammaan kisi ko to nahi de sakte na. Ham use bhagwan mante hain.

main pyasa tha. Mere bhagwan ne is rup mein akar mujhe pani pila diya. Ham pranam karte hain aapko. Lekin vyakti ko nahi. Dhyan rakhna bhagwan ko. Ab agar wah vyakti pani pilane ke baad kuch aur to ham yah nahi manenge ki aapne mujhe pani pilaya hai. Pani pilaya mere bhagwan ne prerit karke tere se. Ab jo tu aacharan kar raha hai to uska hisaab leta ja. Hamari baat samjhna. Krtjnta yah nahi kahte hain ki koi hamare aisi vipatti mein akar sahyog karen aur iske baad wo manmani aacharan karne wala ho to ham aise jhuke rahe.

nahi meri vipatti mein bhagwan ne nimit banaya tha tumhen. Mere bhagwan ne kiya. Upkar bhagwan ka hai. Nimit matra tum ho. Iske baad ham pehle to dhanyavaad dete hain ki bhagwan ne aapko nimit banaya. Iske baad yadi aapke aacharan, aapka vihaar, aapka to ham krtjnta prakt nahi karenge. Ham aapse duri bana lenge. Baat samjh rahe hain na? To yah bhakti ka swaroop hai. Isi bhav se chalna chahiye. Sab ham bhagwan se zyada bada kisko sammaan den? Man lo ham aapko bhagwan man rahe hain ki aapne bhagwan bankar hamari sahayata ki.

bhagwan ne meri sahayata ki. Bhagwan ne nimit banaya to hamara sara bhav aapke prati bhagwat bhav hai. Iske baad aapka jo role hoga wo insaan ka role hoga aur uska parinaam hoga. Yah bhav rakhna chahiye. Insaan mein bhagwan hai wo sara karya kar rahe hain. Ham unko mante hain. To hamari krtjnta sidhe bhagwan ko gayi. Insaan pe nahi. Kyonki insaan abhi kuch aur hai phir kuch aur ho sakta hai. Wo pani pila ke kuch aur bhi kar sakta hai. To isliye insaan ki insaniyat par shasan buddhi se aur bhagwan ki kripa par upkar ka bhavna hamara aisa rahta hai ki aapne hamen pani pila diya.

bhagwan ne aap hamare bhagwan ho. Lekin ab jo aacharan karoge uska nirnay hoga. Agar aap galat aacharan karte to ham aapse duri banayenge aur galat aacharan karte to ham aapki report karenge. Aapko dand dilwaenge. Yah nahi ki aapne pani pilaya hai to ham krtjnta vash peeste chale jaen. Ham krtjnta vash adharm sahte chale jae. Aisa nahi is baat ko khulkar ke samjhne ki baat hai ki kabhi-kabhi bhagwan aise logon se bhi hamen upkar karva dete hain jinka upkar swabhav nahi hai. Wo gande aacharan ke hain. Lekin wo upkar ban jaata hai to ham unke mitra nahi ban jaenge.

dhanyavaad. Bhagwan ne aapko nimit bana diya aur wo yah sab rupon mein hai. Tum nahi to yah sahi yah nahi to wah sahi wo karega. Hamen us par vishwas hai. Aap par nahi aapko nimit banaya isliye aapko pranam hai. Main bhagwan jaisa sammaan karta hoon. Lekin barabar nahi barabar nahi. Barabar main aapka upkar nahi manunga. Upkar bhagwan ka manunga. Agar agla aacharan aapka galat hota hai to hamara swaroop aapke samne dusra hoga. Wo nahi hoga ki aapne pani pilaya tha. Pani bhagwan ne prerit karke pilaya tha aur tum ab ye aacharan kar rahe ho jiska nirnay ab hoga.

yah baat samjhni chahiye bahut achhche se nahi to ham upkar mein dab karke adharm mein ghasit sakte hain. Up kisi ko bhi agar ham swarthi hain to ham pehle upkar hi dikhate hain. Aie aie chai pi lijiye na. Nahi paisa ham de denge na. Matlab fansa raha hai. To aap samjho bahut krtjnta hai. Krtjnta nahi prakt karni. Chaturta bhi rakhni hai kyonki wo aadmi avsar dhundha aur wah hamko fansa raha hai to ismen bhi dekhna hai aur vastvik agar kisi ne hit kiya hai to bhagwan ne kiya hai. Bhagwan ne usko prerit kiya hai.

main bhagwan se zyada kya sammaan de sakta hoon? Aapko bhagwan manta hoon. Lekin kal agar aapka aacharan hamare prati galat hua to uska nirnay alag hoga. Aaj aapne kiya ham aapko bhagwan ki tarah aadar dete hain. Yah baat bahut vihaar mein samjhne ki hai. Nahi paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanchu bade kapt ke jal chalte hain. Aapko lagega hamara hit kar raha hai. Lekin wo aapko fansa raha hai. Wo aapko apne panje mein fansa raha hai. Kisi swarthi ki purti karna chahta hai. Ya koi apni chahat purti karna chahta hai.

yah bahut sambhalna hai. Bahut sambhalna hai. To ismen dekhna ham ye nahi mante ki hamara koi upkar karta hai. Hamara upkar paramatma karta hai aur karwata hai. Dusre ko ham nahi mante. Tab isiliye sabse prem hai. Kisi se var nahi hai. Lekin aapke acharno se prem nahi hai. Agar aap aacharan galat karte hain to aapke saath hamara vihaar galat hoga. Agar aap aacharan sahi karte hain to aapke saath sahi hoga. Aur aap hamara bahut khavate pilate upkar karte hain. Mere bhagwan ne kiya. Yah siddhant samjhna hai. Mere bhagwan ne kiya.

tum nahi to dusre se dusre nahi to tisre wo prerit karega. Puri srishti uski hai. Is siddhant se chala jaata hai. Nahi to upkar mein kabhi-kabhi adharm bhi ho jaata hai. Ab wo galat karna chahe wo galat vihaar karna chahe. Naye ab tu nahi hai. Wo nahi hai. Wo paramatma tere se upkar kara hai. Ab tu achranheen purush hai. Tere saath bartaav galat hoga. Baat samjhna. Vihaar ko bahut sambhal karke. Nahi to kabhi-kabhi kisi ke upkar ke dabaw bas ham adharm ki bhi kriya kar sakte hain. Hamare saath adharm bhi ho sakta hai.

is baat ko savdhaan rakhna hai. Jaise koi pooch sakta hai ki adharm ki kriya kya ho sakti hai? Man lo aapne bahut bar hamen ab aap khanpan ke vishay mein bole yar aao na khao. Jo nahi khana chahiye wo aap khane ke liye kah rahe hain. Jo nahi pina chahiye wo aap pine ke liye kah rahe hain. Jo nahi karna chahiye wo aap karne ke liye kah rahe hain. To ham aapka upkar pai bhar nahi manenge. Is baat ko matlab samjhna hai. Agar ham aise upkar mante rahenge aur aise khanpan to hamari bhakti, hamara sanskar, hamara dharm, hamara charit dushit ho sakta hai.

isliye hamen savdhaan rahna chahiye. Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aapne kai bar kaha hai ki guru ki prakt mein zaroorat hai. Jo akar rup mein hamen marg dikhae, dante dular karen. Prakt mein guru hone ka kya arth hai maharaj ji? Jis sadhak ki diksha ho gayi hai, ab guru antardhyan ho gaye hain wo kya karen? Sadhak mantr jaap karen naam leta rahe phir bhi satsang karta rahe phir bhi bade santo ka sang karta rahe kyonki satsang ke bina vivek tikta nahi maya itni prabal hai jaise ek bar pocha laga diya aur khidki khuli hai to ye ganda ho jaega khidki band ho to bhi ganda ho jaega 10 din baad khologe to ganda ho jaega hamen roz pocha lagana hai jaise apne ghar mein roz pocha lagana hai aise roz hamen satsang sunna hai.

roz hamen sant mahapurushon ka sang karna hai. Bhagwan ki kripa se mobile chal gaya hai. To agar pragat mein sang nahi mil raha hai to agar ham mobile se bhi sang kar rahe hain to parivartan hota hai. Hazaron log hamare paas aise aae jo pehle sudhar gaye baad mein aae. Pehle sudhar gaye ki hamne aapka satsang sunkar ke sab chhod diya. Gandi baten aur achhche marg mein ab chal rahe hain. Do sal ho gaye. Phir ham aapke paas aae. To yah kam mobile ne kiya. Mobile ke satsang ne unko sudhar diya. To hamen lagta hai pragat mein sant mahapurushon ka yadi ham sanidhy lete rahe to jo guru ji ne diksha rupi pocha lagaya antakran mein wo waise hi swachchh bana rahega.

nahi to maya apni dhul jama kar degi aur ham sab bhul jaenge. Phir maya mein rath ho jaenge. Hamen roz satsang ki avshyakta hai. Jaise ghar mein roz jhaddu pocha ki avshyakta hai. Aise roz satsang ki avshyakta hai. To roz mobile se ek se ek sant mahapurushon ki vaniyan hai. Unko aap chayan karo aur aap unki vani suno aur unka manan karo. Guru ko apne guru mano. Mantr wahi japo jo guru ji ne diya hai. Lekin satsang sant mahapurushon ka karte raho. To isse aapka hriday nihal ho jaega. Samjh pa rahe hain? Namaskaar Baba ji badi ichchha thi aapse milne ki pichle do varsho se badi kripa ke aap darshan diye aa ke jab bhagwan ka vishesh anugrah hota hai to santo ka darshan hota hai aapki jo seva jo bhakti ham dekhte hain hamne to aapko YouTube aur media ke madhyam se hi dekha tha.

lekin pahli bar jab dekha tabhi aisa laga tha ki aapse to milna hai. Aur us samay main kanyakumari mein thi to pichle teen do dhai teen salo se pratiksha thi is pal ki aur paidel chalte hue bahut kripa bahut kripa aapse milne aae. Bas har samay jo guru ji ne smriti di hai usi smriti mein rahna. Haan har samay paramatma chintan hota rahe. Sharir bhramn kare lekin man sthai prabhu mein laga rahe. Aapko dekh ke hamara ora bhi straang ho jaata hai. Aapke is sare jitne bhi sakhiya hain aur jitne bhi guru ji hain, sadhu maharaj hain, sabko dekh ke bada accha laga.

yah hamare 24 teerthankar bhagwan aur unko ismen yantr mein sthaapit kiya hai aur aapke bare mein ham ah matlab media ke madhyam se hi jante hain ki aapki tabeeyat theek nahi rahti lekin aap phir bhi muskurate rahte hain. To aapko aur bhi shakti mile. Aap yugo yugo tak jie. Ki prapti aap sabka ashirwad haan sabke jo hriday ki prasannata hai yahi hamari muskurahat banti hai aur hamari chhoti-chhoti Radha raniyaan aapse milna chahti thi mala pahna do tilak kal wapas mud gaye the inhe andar nahi ane diya to rone lag gaye bahar aapko ek-ek vastr safed de sakte hain aapka anugrah hi kafi hai vastr nahi hai bhagwan ek ek ek hi kafi hai ek de do ek dupatta un bhai ko de do jo santo ki seva mein rahe wo pujya hote hain aapse milke bahut bahut dil ka matlab bahut hi anand

aa gaya matlab maine hamne 33 sal ho gaye sadhu banke chhotepan mein hi ban gaye the sant to bahut dekhe aapke jaisa nahi dekha sab aap santo ki kripa aap santo ki charan ki kripa bahut accha laga jai jai jai jai Ram guru ji hamara ek question hai ji jaise hamari ej ho gayi hai ki ham hamara sharir saath nahi de raha hai ham dhyan mein baith nahi pate thodi der mein kabhi panv mein dard kabhi hath mein kabhi kuch hona shuru ho jaata hai aur ham soch sochte hain, koshish karte hain ki ham zyada se zyada time brahm muhurt mein subah baithe.

teen se 6:00 baje ka time dekho ghar mein sofa mein aram se baitho. Jaise sofa hai na pair faila ke aur naam jo aapko guru ji ne diya ho ya jo priy ho jo priy naam ho ab aise Ram Ram Radha Radha Radha Radha jo naam aapko mila hai usi naam ko aap aram se japiye. Mantr bahar ucharan mat kijeyega. Naam to bahar ucharan kiya ja sakta hai. Mantr andar hi andar bhagwan ki prapti ke liye zaruri nahi ki aap Padmasan mein baithe. Haan zaruri hai chintan. Ab jaise aap aise baithe hain aur aap andar andar jap rahe hain.

aapka bhajan badhiya ho raha hai. Man prabhu mein lagna chahiye. Tan agar para bhi hai to koi baat nahi. Kabir das ji ne kaha thade baithe pare utana. Kabir kahe ham rahe thikana. Ham khade hain ya baithe hain ya lete hue hain ya chal rahe hain har samay paramatma ka chintan kar rahe hain. Ab aapki vridha avastha hai to aap khub naam par dhyan dijiye. Aake baith nahi pate. Haan koi baat asan ki koi zaroorat nahi hai. Aap naam par dhyan kijiye. Narayan naam ucharan kiya jamil ne. Antim samay to bhagwan ko prapt ho gaya.

agar aap bhagwan ka naam ucharan karenge nischit mangal ho jae. Uddhav ji maharashtra se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aap ji kahte hain ki shri ji ne hamen is marg mein ghaseeta hai usi prakaar shri ji mujh adham ko bhi kab ghaseeteng main aisa kya karun ki shri ji mujhe apne marg mein ghaseete kyonki jab main shri ji ke ashrit hokar sansaar aur prarthna prabhu se ham prarthna hamen prarthna bhi nahi karni padi kyonki hamara piche ke janm se chalta raha hai isliye ki jaise hota hai na koi kisi ko samjhae koi kisi ko prerit kare phir uski samjh mein ave ki jeevan ka lakshya bhagwan ki prapti hai.

phir wah chale. Aisa mere jeevan mein kuch nahi tha. School se ate to aag lag jati hai hriday mein. Yar amma hamari nahi ye marenge. Pita hamare nahi ye marenge. Hamara hai kaun? Ye padhai likhai karke kya karenge? Dhan milega. Dhan ka kya karenge? Bhog bhogenge. Bhog ke kya karenge? Mar jaenge. Yar matlab shanti kahan hai? Anand kahan hai? Kaise jeevan ka? Bas isi prashn ne kisi ne hamko nahi samjhaya. Isi prashn ne kaha bhago bhago yah purv janm ka bhajan na bhago 13 varsh ki avastha mein bhaga diya ghar se aur pure jeevan kisi ka sahara nahi liya.

kisi vyakti ka sahara nahi liya ki ham kisi sadhu mahatma ka prakt mein aise saath chalna saath kabhi kisi ka nahi. Asangoham purush tum bol rahe ho to chhup ke suna aur baat jo samjh mein ai use jeevan mein dharan kiya age badhe ham kisi ka sang nahi kiya isliye sang nahi kiya ki kahin hamari jo wo kisi ke sang se dab na jae kyonki aapka sang karen aapka lakshya hai nahi bhagwan ka to ham phas sakte hain to duri bana karke rakhen aur sadaiv pujya pad shri odiya Baba hamare adarsh rahe unhin ke hi vachan unhin ka jeevan to hamari hari pocho to ye purv janm ka hai.

is janm ka nahi hai. Purv janm se hamen jo sampatti mili thi usi ne hamko ghaseeta hai. Ab jaise aap log ho ye kripa hui hai ki satsang sunkar bhagwat marg mein chalne ki bhavna bani hai. Satsang sunkar ye kripa hoti hai. Bin satsang vivek na hoi aur Ram kripa binu sulabh na soi. Bina satsang ke gyan nahi hota aur bina bhagwan ki kripa ke satsang nahi milta. Lekin purv janm ka jo jaise jaise dhruv ji the balyvastha mein panch varsh mein nikal pare ghar se aur chha mahine mein bhagwat sakshatkar kar liya ye Mathura mein aake madhupuri mein chha to kya dhruv ji ko chha mahine mein bhagwan mil gaye nahi purv janm mein bhari tapasya ki chha mahine rah gaye the purnata mein to chha mahine mein purnata mein ho gaya ab jaise ek do logon ne kaha ki ham aap jaisa banna chahte hain bhai ye to ham vada nahi kar sakte ki tum Premanand ban sakte ho kyonki bhagwan ke yahan dhancha alag hai.

aap jaisa dhancha nahi hai. Aap jaisa dhancha nahi aap akele hain. Pure bharat mein aap dekh lijiye kuch na kuch fark padega. Kitne danche hamare prabhu ke paas aap socho. To accha Premanand banne ke liye wo samgri chahiye jo bachpan mein hamko purv mein bhagwan ki kripa se mili. Us samgri se akele bhagna aur kitna kasht sa hai pure jeevan mein tumhen kaise batayen jaise koi chal raha ho mehnat kar raha ho to koi shabash bol de to accha lagta hai na aur use gali dekar ke usko nirash kar de to prayah nirasha hi mili hai tab wo andar se haan tab wo pushta ai ekmatra bhagwan ka aashray lekar to satsang suno naam jap karo aur bhagwan se prarthna karo to wo tumhare jeevan ki dor apne hath mein le le ab jaise hamare jeevan ka hai ab hamen na bure se koi na bhale se koi jaise chalao bas apna aise ho gaya ki jaise driver baitha hai ab kahan le jaega kaise le jaega bilkul apne chupchap baithe kya bulva rahe hain wo sun raha hoon kya karva rahe hain wo dekh raha hoon kahan le ja rahe hain kya-kya ho raha hai ye unka khel to ye ye bhagvatik gyan hai ye matlab padha likha gyan nahi ye bhagwan andar se hamare jaise arjun ke rath mein bhagwan baith gaye aise aise Premanand ke hriday mein bhagwan baith gaye aur wo dori pakar ke chala rahe hain.

ab dusron ko lag raha hai Premanand kar rahe hain aur Premanand to keval baithe hain. Age bhagwan sab kuch kar rahe hain. Kah rahe karave aap sab aur jane badhai de to Priya ji se prarthna karo wahi apne charnarvind mein le le. Bas yahi sar baat hai. Jaise donon taraf balance karke chalna sansaar aur paramatma bahut mushkil. Hai to hai to kathin par bachchha babagiri bhi bahut kathin hai. Bahut kathin accha mahina do mahina brahmcharya rah lo khuli baten kah raha hoon. Sahi hai. Mahina do mahina tumhen niyam de de ki do mahina brahmcharya aap aram se rah loge kasht sah ke lekin aajeevan brahmcharya rah jao.

kitna akarshan hai maya ka. Ye nana prakaar ki bhog samgri man to hai 25on varsh jo jeevan kata wah aisa jeevan tha ki pure jeevan mein kabhi kisi rasoi mein baithkar bhojan nahi kiye Vrindavan ke siva kabhi jeevan mein nahi ki aao Baba baitho garam garam nahi ek roti yahan se mil gayi ek mil gayi wo bhi mili ki na mili ganga kinare ganga kinare 10-10 kilometer duri ganv hai ab ganga kinare hi chalna hai ab kai kai din ho jaate bhojan nahi milta bada kasht mein ye koi na samjhe ki sadhu ka marg bada saral marg hai.

sadhuta se pura jeevan nirvah karna hamen lagta hai kalyug hai. Bahut sambhal ke chalna chahiye. Ye bhagwan ke ashrit Baba ji banne ki sochna mat. Hamen aisa lagta hai na ki ham kisi yog ke nahi rahenge. Chal hi nahi pate. Kisi bhi marg mein nahi nahi pehle Radha Radha japo. Dat ke japo andar phir age baat karna. Pehle Radha Radha babagiri bahut kathin hai. Ham kai bar kaha hai ekantik mein ki 50 sal se sahi chal raha hai 50 sal se aur 5 minute galat ho gaya. Kya samaj use kshma karegi? Sab log kahenge phrod hai.

nahi aur bechara 50 sal jalta raha. 5 minute phesal gaya to koi kshma nahi karega. Isliye babagiri bahut katil baat hai. Bahut ji Mayank ji Kanpur se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam. Maharaj ji aapse milkar laga ki jag jhutha hai aur naam sacha hai. Ab is jhuthi duniya mein rahte hue lagta hai ki kuch saath nahi jaega. Jo kam karta tha pehle usmen ek utsah nahi rah gaya. Sab mithya sa lagta hai maharaj ji. Sanyaas lene ka utsah nahi hai. Sahas nahi hai. Beech sa phas gaya hoon maharaj ji.

le beech mein phasla le. Ab ab aur straang mano ki aapki ruchi na hote hue aapko us karya ko karna hai ki apne man ko bhaktimay karte hue karya karna hai ki jaise hamara man nahi hamara man hai ki ekant mein baitho chupchap lekin hamko seva mili hai to ab ye seva hamen karni par rahi hai. Aise aapko seva man ke karni hai. Jo aap vyapar karte ho ya jo bhi nokri karte ho ya kisani karte ho use seva man karke ki parivaar rupi bhagwan ki seva ke liye arth chahiye isliye seva kar raha hoon. Meri ruchi to nahi.

sansaar mein ruchi na hona yahi bhakti ka lakshan hai. Lekin us karya ko samyak karna yah bhi bhakti ka lakshan hai. Jaise arjun kah rahe hain mera sanyaas lene ka man hai. Yuddh karne ka nahi. To bhagwan ne kaha sanyaas nahi yuddh rupi kartavya karm ko karo. Isi se tumhara mangal hoga. To jisko jo karya mila hai use bhagwan ki puja man ke karo. Andar andar se naam jap karte raho to naam ka ek prabhav hota hai. Wah kahin asakti nahi rahne sab aise lagega kya hai jhutha hai sab jab marna hi hai aur ek paisa saath nahi jana to hai hai karke kahe ko mare wo khub naam jap kare to andar andar naam jap karo bahar se wahi karya karo jo ek sansari aadmi karta hai tab to pravinta aur sab chhodkar ke baith gaye to kayarta kayar nahi banna bhagwan ne arjun ko kayar banne se mana kiya hai tum yuddh karo is samay yuddh rupi kartavya hai to ab sanyaas lena tumhari kayar ta hogi ki yuddh se pith karke sanyaas le liya to apne kartavya karm se pith mod karke aise baith jana theek nahi hai to isliye na sanyaas lena hai na kahin jana hai jo karya kar rahe ho wahi karya bhagwan ki puja man ke karo aur khub naam jap karo aruci hona ye bahut badhiya baat hai lekin isko prakt nahi karna ham aapse mil rahe hain hath mila rahe hain hamara koi sambandh nahi koi ruchi nahi lekin ham inko jhalakne nahi de rahe aur aap kaise ho aisa laga ki main khushi hoon aapse milkar ke.

yah hamara natak hona chahiye. Yah jagat rupi natak manch par jo hamen role mila hai usmen hamen perfect utrna hai. Bhai ke saath bhai jaisa vihaar bahan ke saath bahan dost ke saath dost mata-pita ke saath vaisa sabke saath vaisa vihaar karte hue kahin bhi ruchi nahi. Yahi bhakti ki kala hai. Kahin bhi apnapan nahi. Wo apnapan Gurudev se bhagwan se hai. Lekin wo vihaar waise hi kar raha hai jaise ek sansarik purush karta hai. Samjh rahe hain na aap? Ji. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi ho itna to kabahu has do

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi