॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

hamne jeevan mein kisi ka bura nahi kiya to hamen yah dukh kyon bhogna par raha hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

puja ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jeevan mein kai bar pareshaniyan aati hain to lagta hai hamne kabhi kisi ka bura nahi kiya phir yah sab kyon ho raha hai agar yah pichle janmon ka hai to is janm mein karm kyon phal mil raha hai iska matlab kyon fasal aapne boi hai to katna aapko hi padega koi dusra thodi kateega aaj katl karta hai 10 sal mukadma chalta hai 20 sal ki saja hoti hai kanun vyvastha hai aise hi hamari bhagwat kanun vyvastha hai. Bhishma ji is sir saiya par pare hue hain aur bhagwan se kahte hain ki main 70 janm tak dekh raha hoon apni divya drishti se.

maine aisa koi paap nahi kiya jo mujhe dand mile ki chha mahina banon ki saiya par. To bhagwan ne kaha 100 ke upar chalo. Ek bar aap raja the aur ek saanp ko uthakar ke bambul ke ped mein bade-bade kanton mein aise dal diya aur wo chha din tak tadap tadap karke mara. Usi ka parinaam aapko chhah mahine banon ki saya mein to ek bar kisi ek aadmi ka katl kiya to usko 50 hazar jurmana ya 1 lakh jurmana aur aajeevan saja kya dand milte hain nahi milte to hamare to na jane kitne paap hain. Ab kaun aisa shareerdhari hai jo jhooth nahi bol raha.

kaun aisa shareerdhari jisse paap nahi ho raha. Yah to baat kah dena ki hamse to koi galti hi nahi hui. Hamse to koi paap hi nahi hua. Yah bilkul ham avivakpurna mante hain. Nahi aisa nahi hai. Ham sabse galtiya hoti hain aur usi bhagwan ke darbar mein anyay nahi hai. Kyonki wahan kisi ke gavahi ki zaroorat nahi hai. Wo sarvvyapi paramatma aapke hriday mein hi baitha hua hai. Mat partram na kinch chidasta Dhananjay mere siva aur kuch hai hi nahi. To usko gavahi ki kya zaroorat hai? Wo dekh raha hai to hamko bahut dhairya purvak chalna hai.

dekho ham kai bar bata chuke hain ki hamare sharir ki rachna do karm se hui hai. Paap aur punya donon ke mishran se manushya sharir banta hai. Keval paap se yatna deh ka nirman hota hai jo nark mein milta hai. Keval punya se dev deh ka nirman hota hai. Jo swarg lok marlok janok tap lok satyalok aadi mein lekin manushya lok mein donon mishrit hote hain paap aur punya to jis avastha mein jo hamen dukh milna hai wo karm hamare upar lagu ho jaega agar punya karm lagu hai to hamen sukhad anukulta prashansha milegi agar paap karm lagu hai to dukh pratikultaa ninda milegi wo hamari waisi buddhi ho jaegi jaisi ho bhatavbhavyata taisi bane sahai aap na ave tah pe tah tha le jae achanak aapse aisi kriya ban jaegi ki aapki ninda hogi aapki avhelna

hogi achanak aapse aisi kriya ban gayi dav lag gaya ki aapki prashansha hogi aapki jai jai ho jaegi wo purv karmon ka vidhan chal raha hai to phir manushya janm mein mahanta kya hai ab naveen hamse paap na hone pave ab naveen karm ham aise aise samjh samjh ke karen ki hamari age ki jo janm ho ya age jo hamen mile mile wo bahut accha hi ho paap karm nahi hone chahiye ab hamse galti nahi honi chahiye ab lo nashani ab na naso to yah pakki baat samjh lijiye ki apne karm ko hi bhogna par raha hai ismen bilkul sanshay na kijiye ki maine to paap nahi kiya kisne prashn kiya tha imandari se dekho sakhi Vrindavan mein baithi ho imandari se jab se tumhen yad hai tab se ab tak dekho keval isi janm mein kya aapse paap nahi hui kya aapse galti nahi hui.

aap vichar karke dekhiye hamse purv janm mein kitni galtiya ho gayi hain. Itni galtiya ho gayi ki bhagwan ne kripa karke mujhe manushya sharir diya hai. Mere karm se manushya sharir nahi mila. Kabahu karuna nar deh det i bin het sane. Ab bhi bhagwan ki kripa dekho ki aap sadhu samagam mein baithe ho. Aap Vrindavan aae ho. Sant samaj mein baithe ho. Ab moh bha bhros hanumanta bin hari kripa mile nahi santa. To bhagwan to aapko dulari kar rahe hain. Bhagwan to aapko kripa hi kar rahe hain. Par hamne galti ki hai to wo bhog to hamen bhogne padega.

maharaj ji is janm ka kab bhogna padega? Jab abhi jo vartman mein galtiya agla aur aisa bhi ho sakta hai ki isi janm mein bhi uska dand mil jae. Bhayanak aparadh bhayanak aparadh jaise aap sant droh kar do. Sant ninda kar do. Kisi sant ko marpeet do. Phir aapko bhaykar aapko kasht sadhu avagya turant Bhawani bhaktan ninda ati buri bhul kare jin ko ke sukrit bahu janm ke chhindar ko turant akaal mrityu ka vidhan ban jaega turant akaal mrityu ka vidhan ban jaega turant bhaykar kasht dene wala yog lag jaega par ji bhagvatik vidhan vidhan hai do minute mein kisi ko mar diya iske baad aajeevan karagar aur usko upar se bole ek lakh jurmana to ye jo ham bhogne ate hain mrityu lok mein jurmana bhogne ate hain mul saja to narak mein milti hai ye jurmana yahan hota hai usko bhogna hota hai to jo hamen bhogne ko mila hai use mil age ham koi paap karm nahi karenge age ham accha bhajan karenge to hamen accha milega ji log kahte hain nark to kisne dekha hai ab kah do ki kisne dekha jab chori karoge aur jab tumhare danda chalenge aur jab jail jaoge to apne aap jaan jaoge ki jail kise kahte hain.

bole kisne dekha hai jail? To tasma shastram prmanam te karyakar karya vyavasthitau shastr jo kah rahe hain wo satya hai. Wo asatya nahi hai. Ab hamen bahut chhote hain. Kup manduk hai. Jaise kuan ka mendhak hai na ek samudra ka mendhak gaya. To kuan ke mendhak ne kahan se aae? Bole samudra se. To bole tumhara samudra kitna bada hai. Idhar se idhar uchhla kuan ka mendhak? Bole itna bada hai. Bole nahi bole itna bada hai. Bole nahi bole zindagi bhar tu uchhalta rahe to bhi tu samudra ki tha nahi pa sakta.

anant bramhandon ke rachyita bhagwan ne racha hai. Swarg nark paap punya uska phal donon rache aur aapko chhut de di hai. Aap paap kama lo ya punya kama lo. To manmani aacharan karne mein koi to manta nahi aur jab parinaam aata hai tab bhagwan ko kosta hai to yah vidhan bhagwan ka banaya hua aapke karm ke anusaar hai. Aapne jo karm kiya uske anusaar vidhan banaya hua hai. Ko kan ke sukh dukh kar data nij krit karm bhog sun bhrata. Isiliye jo dharmatma purush hote hain shastr ko janne wale hote hain. Ek bhi kadam galat nahi rakhte.

ae bhai main nahi paap karm nahi karunga. Tum mujhe mar dalo. Paap karm nahi karunga. Chahe jitna kasht do main adharm nahi karun kyonki jante hain ki adharm jo hai byaj ke upar byaj lag ke aisa phlibhut hoga ki hamare purkha pani pa jaenge bhogte bhogte to ye bhagwan ka galti thodi hai ki yar ek ko to itni sukh suvida de di ek ko itni dukh duwidha de di nahi donon ke karm hai usne karm kiya us jagah pahunch gaya usne karm kiya is jagah pahunch gaya ek bar rajasva yagya mein ek chita ek dana lekar ke chaval ka aur ek tang tuti hui thi.

teen tangon se badi mehnat se chal raha tha. Arjun ji ne dekha bhagwan se kaha sarvlok maheshvar shri Krishna kya is par kabhi kripa nahi hogi? Yah bechara chita ek chaval ke dane ko badi mehnat se le ja raha hai. To bhagwan ne kaha tumhen pata nahi mujhe pata hai. Yah 14 bar indra ban chuka hai. Rajsu yagya ka wo cheenta jo ek dana chaval badi mehnat se le ja raha tha. Wo 14 bar indra ban chuka hai. Maharaj nahuch indra ke pad mein the. Aur vyabhichar pravriti se indrani ke saath bhav galat kiya to turant jo hai ajgar ki yoni mein aa gaye.

karm turant se karm turant dekho na bade-bade adhikari ko saspend kar diya jaata hai. Aap apne karm jahan uttam kiye to aap chadhe chale jaenge. Buddhiman wahi hai jo sukhdukh ko bhog kar bhajan karte hue naya paap na kare aur apne janm ko bhagwan mein samarpit kar de. Yahan ka yash kitne minute ka hai? Jab tak tumhara sharir sharir chhuta kaun puchta hai yar? Tum chahe jis pad mein ho aur chahe jitne bade yashaswi ho tumhare marne ke baad yahan jab bhagwan ka naam nahi le rahe log to tumhara naam kahan se lenge aur tumhare saath jaega kya yahan ka bank balance yahan ki vahwah yahan ke tumhari patni putr parivaar are jab deh nahi jaega to tumhare saath kuch nahi jaega duniya mein lakho ka mela juda hansa jab jab uda to akela uda use akela bhog bhogna parta hai phir nai yoniyon mein jakar ke durgati bhogta hai isliye isliye hosh mein raho.

jo purv paap ka karm hai use bhog lo hanste hue. Age koi paap mat karo. Naam jap karo aur achhche aacharan karte hue vijay ko prapt ho. Paramatma ne tumhen kheti de di aur bij de diya. Ab bote kya ho yah tumhen dekhna hai. Kheti de di. Bharat bhumi mein manushya sharir bij de diya tumhari buddhi. Paap karm bote ho ya punya karm bote ho. Ab bambul booge dag chhuara khana chahoge to bevkuphi hogi. Ganna boge to ganna milega. Bambul boge to bambul milega. Avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhasham.

yahan manmani aacharan karte hain. Iske baad bhagwan ko dosh dete hain. Nahi bhai bahut sambhalsal karke karo. Phir dekho aapko anand aata hai ki nahi. Ham andar ki tumhen baat kahte hain. Yadi tumse paap karm na ho to aap dekho aap sukh mein hi dubte chale jaoge. Lekin manmani aacharan karte ho. Paap karte ho. Jab uska dand aata hai to bhagwan ko koste ho. Bhagwan ek sarv samarth pita hai jo tumhen de diya. Ab tum uska bartaav kya karte ho? Apni swason ka, apni buddhi ka ye tum dekho. Apni svase aur buddhi gande kamon mein lagaoge.

bole saphaya karva diya, garb gira diya. Are itni hamare vaigyanikon ne vyvasthaye rakhi hai ki aap wahan tak phucho hi mat. Jab garb aa gaya hai to usko nasht karo hi mati. Wo bhagwan ka jeev ansh hai. Ab aap uski hatya karoge uska dand milega ki nahi milega? Aur jab dand milega bole hamne to koi paap kiya nahi. Parae purush se vybhchar karoge hamne koi paap nahi kiya. Parai stri se vybhchar karoge hamne koi hamara shastr kah raha hai ye vybhchar hai ye paap hai. Jis stri ko sweekar kare aajeevan usi par hi apne jeevan ko nirdhrit rakh ke kisi dusri stri se sahwas na karen.

ek stri jis pati ko sweekar kare use bhagwan man karke aajeevan nirvah karen. Ye hamare bharat ki paddhti hai. Hamne kabhi divorce nahi suna piche. Yah abhi chala hai. Ye jo girlfriend boyfriend inheen ke baad yah chala hai. Nahi hamne kabhi divorce nahi suna. Ham apne bachpan mein kabhi nahi suna ki unki patni ne unko divorce de diya ya unke pati ne kabhi nahi. Aajeevan sambandh nirvah karna ye hamare bharat ki paddhti hai. Ye bharat hai. Videsh nahi hai ki aaj iske sang kal uske sang ye nahi yahan dharm ki mariyada hai.

ye param pavitra desh hai. Jahan ganga yamuna aur Ram Krishna ke avatar hote hain. Wo ye pavitra desh hai. To ye ham kabhi bhagwan par arop na lagaen ki unhone hamen dukh kyon diya, sankat kyon diya? Yah ham aapse prarthna karte hain ki aap aisa mat sochiye. Aapka hi kiya hua karm parinaam aapke samne aata

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi