kaise pata chale ki ham sharanagat hain aur sharanagat kaise hua jaata hai ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Sunil ji Radha Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti naman maharaj ji ham shri ji ke prati samarpit hain iska kaise pata chale hamari kahin mamta nahi rah jaegi jab hamara samarpan ho jaega kahin mamta sabki mamta tag batori mam pad nahi bandh bar dori sharanagati ka lakshan hai janani Janak bandhu sutdhara tanu dhan dham suhad parivara sabki mamta tag tori mam pad man bandh bar dori maa pita patni putr deh kahin bhi mamta nahi rah jati prem hota hai mamta nahi hoti maa mein bhagwat bhav se prem patni mein bhagwat bhav se prem sab mein nate neh Ram ke maniyat suhad sushbhavya jaha lo jitne bhi surad hai sushavya hai sab mein bhagwat bhav se wah prem karta hai par mamta kahin nahi hoti hai uske andar ahankaar nahi hota kyonki aham samarpit ho chuka hai sharanagat ho chuka hai isliye use kabhi bhay nahi lagta kahin bhi use bhay nahi wo nirbhay ho jaata hai nisankoch ho jaata hai nishcint ho jaata hai usmen koi sanshay nahi rahta usmen koi bhagwat viparit bhavna nahi rahti wo bahar bhitar sab jagah se nirbhar
jaise bahari bhay sarp bichhu sinh dushman nana prakaar ke aur bhi bhay aur antarik bhay kahin main kam se bhrasht na ho jaun kahin aisa na ho jae kahin vaisa na antarik bhay na bahya bhay sharanagat hone par wo donon bhayon se mukt ho jaata hai use apni chinta nahi rahti kinchin matra bhi lok vihaar ki chinta nahi rahti kyonki usko pata hai ki hamari chinta ka bharan poshan theka thakur ji liye hue hain. Main unki sharan mein hoon. Use koi sankoch shok nahi rahta. Kuch ave ya kuch chala jave. Usko pata hai jisne ek kshan mein anant bramhandon ka srijan kar diya.
wo mera Swami hai. Shok kis baat ke? Kabhi yah sanshay nahi hota. Pata nahi bhagwan ne mujhe sweekar kiya hai ki nahi. Viparit bhavna. Kahin hamari durgati na ho jae. Ham bhrose par baithe hain. Aisi bhawnaen ye nikal jati hai. Do baten nikal jati hai. Sanshay viparit bhavna aur yah nirbhay nisankoch nishchintita ye uske hriday mein thasathas bhar jati hai. Jo bhagwan ka sharanagat hota hai. Mrityu ka bhi bhay nahi rahta. Jaise ek Shri ma naam ke bhakt hue hain. Wah mugal badshah ke khajanchi the par bade dayalu the aur bhagwan ka nirantar naam jap karte rahte the.
unse jaise koi kahta meri beti ka byah hai to badshah to adesh karega nahi. Wo chupchap khajane se de dete. Aur yah rajkiy aparadh hai. Aadha khajana khali ho gaya. Kajiyon ne jab yah pata paya to badshah se shikayat ki. Badshah unko samne bulaye aur kaha tumne aparadh kiya yah bole haan agar praja se hi karaj liya jaata hai aur agar unhin ko zaroorat par gayi to unko dene mein agar aparadh mante hain to maine aparadh kiya hai to kajiyon se pucha inko kya saja milni chahiye to unhone kaha phansi ki saja milni chahiye aur har samay naam jap karte the muskura diye to unhone kaha ki tumhen phansi milne ja rahi tum muskura kyon rahe ho?
bole mere agar bhagwan mujhe phansi dena chahte hain to mujhe bahut anand hai. Mrityu to honi thi lekin paropkar mein mrityu ho rahi. Unhone kaha tumhari antim ichchha kya hai? To vitthal bhagwan maharashtra mein jo hai na wo unke isht the. Unhone kaha ek bar darshan kara dijiye vitthal bhagwan ke. To samne gaye aur kaha aap raji ho? Agar aap raji ho to ham raji hain. Joi joi pyaro kare soi moh bhave. Aap jismen raji ho usmen main raji hoon. Idhar ye vitthal bhagwan ke darshan karne gaye. Udhar vitthal bhagwan pahunch gaye.
14 varsh ki avastha nau kishor swaroop aur ek Pitambar ki jholi mein ratnnon ka dher badshah ke age aise ratna fenke aur kaha dekh tere pure khajane ki keemat ek ratna mein nahi hogi. Aise yah divya ratna hai. Rakh le apne khajane mein. Tere khajane ki yah shobha badhaenge. Unhone kaha ho kaun? Unka kaha main naukar hoon unka shriram ka. Shriram to hamare yahan nokri karta hai. Bole wo malik hamare aise hi hain. Hamari baat samjh nahi rahe. Main unka naukar hoon aur tere paas sampatti kya hai? Kuch nahi. Ek hire ke barabar tere paas sampatti nahi.
rakh le hire. Bole tumhara naam kya hai? Bole bitthu vitthal bhagwan the. Bole bitthu Ram aur bole turant hukum kar ki mere malik ko phansi se mukt kiya jae. Turant ghode daudae aur aur wo udhar adesh dene lage idhar bhagwan antardhya ho. Ab wo rup madhuri wo bolne ki kala aur uska to hriday chhin gaya tha. Jab shri Ram ko samne bulaya to unka ek bar apne naukar se mila do bas. To unhone kaha ham to aapke naukar hamara kaun naukar hai? Unka nahi wah kah raha tha bitthu naam hai aur Shyam rang ka tha.
bas unke aansu ane lage ki are yah mere prabhu ki leela thi. To unko bhay nahi laga. Prahlad ji ko itna kasht diya gaya lekin unko bhay nahi laga. Kyon? Unko pata hai mera hari rakhwala hai. Prahlad ji ko tha hazaron hathon se mere ko aise bhagwan god mein liye isliye mujhe koi kasht nahi ho raha. To bhakt nirbhay ho jaata hai, nishcint ho jaata hai, nishok ho jaata hai. Use bhagwan jiski raksha karte hain use bhay kaise ho sakta hai? Surdas ji ne ek pad mein likha tha uska arth tha ki ek kabutar vriksh mein baitha hua tha.
baj ne upar se dekha aur pura nishana tay kar liya. Idhar niche bahelie ne kabutar ko dekha, to dhanush baan se nishana. Kabutar upar ki taraf ude to baj kha jae. Niche ki taraf dekha to baheliya nishana lagae. Usko purv janm ke sanskar se bhagwan ki yad aa gayi ki nash aisi bhi paristha ab hamen bachne ka koi upay nahi. Upar udta hoon to baj kha jaata hai aur niche udta hoon to baheliya mar dega. Aise mein keval aap bacha sakte ho. Bhagwan ka je dhyan kiya to jahan baheliya khada tha dhanush baan bilkul kabutar ki taraf tale wahi kala sarp nikla use dasa dasa to aise hua tir chhuta to sidhe baj ke laga donon mar gaye kabutar nishcint ho to bhagwan bacha rahe hain jab to bhakt ko kabhi bhay nahi hota aur kabhi chinta nahi hoti dekho Sudama ji ke do do din charchar din khane ko nahi tha aur jab malik ki kripa hui to Sudama puri ban gayi.
jaise Dwarikpuri waise sudamapuri to bhakton ko kabhi shok nahi hota. Kabhi chinta nahi hoti. Kabhi bhay nahi hota. Wo bhagwan ki sharan mein nishcint nirbhay nishok rahta hai. Samjh pa rahe hain aap? Haan. Bhagwan ekdam nishcint mast ekdam. Aur aisa nahi ki viparit paristhitiyon mein bhi mast. Anukul paristhiti mein to sab mast masti dikhate hain. Jab vipatti ho, pratikultaa ho, tiraskaar ho, sansaar mein koi saath na de raha ho tab masti ho to jano bhagwan ki sharanagati ki masti. Ji laveena batra ji Jaipur se ji inka prashn hai ki bat sharanagat hua kaise jaata hai?
kya kisi vishesh stuti ke ucharan se sharanagat hua jaata sharanagat ki char baten hain. Pahla hai agyaa palan. Kisi sant maha pratham bhagat santan kar Sanga. Kisi sant mahapurush ka aashray le lo. Unko apna adarsh banao. Pehle satsang karen aur satsang se pehle khub achchhi tarah janch le ki damb pakhand nautanki natak to nahi hai. Rupya kamane ke liye pakhand to nahi kiya ja raha hai. Agar yah samjh mein aa jae bhagwan ki prerna se ki inke adesh updesh se hamara jeevan pavitra ho jaega. Bhagwan ke charnon mein sharanagati ho jaegi.
to pratham bhagat santan kar sanga. Pehle santo ka sang karen aur unke baat ko manne ki apne andar prabal shraddha rakhen. Pehle hai agyaa palan. Dusra hai sanket ke anusaar chalna. Tisra hai ruchi mein ruchi milakar ke chalna. Aur chautha hai sab mein bhagwat bhav karna. Isse sharanagati ho jati hai. Ham kisi sant ke agyaa par chale. Unke sanket ke anusaar chale aur unki ruchi mein ruchi milakar chale aur sare jagat ko bhagwan ke bhav mein dekhen ki Siya Ram mein sab jag jani karo pranam jor jug pani sab mein bhagwan virajman ab pahli baat agyaa palan ki samarth kahan se aayegi?
bhagwan ka naam jap karne se. Jitna bhagwan ka naam jap karoge utna hi sant aur shastr ki agyaa palan karne ki samarth aayegi. Kisi bhi sant ki agyaa ka palan yadi aapne aksharsa kar liya to devrshi narad ji kahte hain maha sangst durlabho mahapurushon ka sang milna durlabh hai. Phir likha hai agamyo nirvah kar pana kathin hai. Yadi unki agyaa ka palan kar le gaye to agla shabd likha amoghas nischit bhagwat prapti ho jaegi. To bhagwan ke premi janon ka sang, unki agyaa ka palan, agyaa palan karne ke liye nirantar naam jap aur paropkar ki bhavna sab mein bhagwat bhav isi se sharanagat ho jaegi.
sharanagati andar se bas ki main bhagwan ka hoon. Bhagwan ke siva hamara koi nahi. Jaise Meera ji kahte hain mere to Giridhar gopal dusro na koi. Sharanagati ka matlab hota hai har baat bhagwan se kahna, bhagwan ke chintan mein rahna, bhagwan ka naam jap karna, bhagwan ke premi santo ki agyaa ke anusaar chalna. Kyonki bina guide ke rasta tay nahi hota. Jo hamen rasta malum hi nahi hai. To hamen us raste ka guide to chahiye. To bhagwat marg ke guide hote hain siddh mahapurush jo bhagwan ko prapt hote hain ya bhagwan ki prapti mein tanmayata kar rahe hain.
achhche sadhak aur siddh. Aajkal jo hai bhagwan ke marg ko bhi ek matlab sadhan bana liya gaya hai apne jine khane ka. Jabki bhagwan lok parlok sabka bharan poshan karne ke liye swayam theka lete hain. Yadi ham nishkam bhav se bhagwan ki bhakti karen agar ham sahi dhang se chale to lok parlok ka sara vaibhav apne aap prapt ho jaega. Damb karne ki zaroorat nahi natak karne ki zaroorat nahi. Bhagwan ne kaha anannya chintyanto mam ye jana parpasate te sam nityabhakta naam yogkshem bamyam tum keval mera anannya chintan karo jo jan mera anannya chintan karta hai uske yogkshem ka wah vahan main karta hoon aur jab bhagwan karta honge yogkshem ka vahan to kami kya rah jaegi anand hi anand rahega hriday bhi aandit rahega aur bahar bhi sukh suvida rahegi to hamen lagta hai bhagwan ke marg mein kapt chaturi chhal dum ye karne ki to zaroorat hi nahi.
mahalakshmi pati prabhu hain. Jis din kripa kar denge mara vaibhav ghumega. Isliye imandari se bhagwan ke marg mein chalne ke liye kisi siddh sant ya achhche sadhak to pratham bhagat santan kar saan dusri ratimam katha prasanga bhagwan ke leela charitra ka khub gayan karen aur khub shravan karen. Shri goswami tulsidas ji kah rahe hain guru pad pankaj seva tisri bhakt aman man rahit hokar guru charnarvind ki seva aur chauthi bhagat mam gun kare kapt taj gaan kapt yahi ye bhagwan ka charit to ga rahe hain lekin asha man pratishtha rupya paisa ye sab kapt hai apna yash chah rahe hain.
apni vasnaon ki purti chah rahe hain aur gaan kar rahe hain bhagwan ke yash ko to yah kapt hua bhagwan ki bhakti bhagwan ki bhakti ke liye bhagwan ki katha bhagwan ki Prita ke liye to chauth bhagat mam gun gan kare kapt taj gaan mantr jaap mam dridh vishwasa pancham bhagat su ved prakasha panchvi bhakti bata rahe hain ki khub nirantar naam jap mantr jap vishwas ke saath kisi se kam ho jaega. Mantr jaap mam dridh vishwasa mere upar dridh vishwas aur mere mantr aur mere naam ka jap pancham bhagat su ved pra chhathdam shil virat bahu karma nirat nirantar sajjan dharma jo sant jan aacharan karte hain un acharno ko ham karen matlab jo adesh karte hain aur sheelwan rahe sahnseel rahe titakshu rahe man apman mein dukh sukh mein saman bhav rakhen sato to sab moh mein jag dekha mote adhik sant kar lekha satwin bhakti hai pure sansaar ko bhagwat swaroop dekhna aur bhagwan kah rahe mere se bhi adhik santo ko manna ye satav aur
aatho jatha labh santosh sapne nahi dekhe pardosh jaise bhagwan hamko rakh rahe hain usi mein ham santosh karen aur swapna mein bhi kisi ke dosh na dekhen navam saral sab sanl heena bhagwan kah rahe hain moh kapt chhal chhidr na bhawa to tumhara swabhav saral hona chahiye tumhare aacharan pavitra ho navam saral sab sanchal heena mam bhros hi haras na dena mere upar dridh vishwas ho aur laukik vastuon ki prapti mein harsh na ho aur laukik vastuon ke nasht ho jane mein dinata na ho ki main amuk vastu hoti to theek hai nahi dinata ta bhakti ki ho aur anand bhagwan ke chintan ka ho.
mam bhros mera bharosa dridh ho. Agar yah nau lakshan aa jae to purn sharanagat ho jae. Sabhi
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…