insaan to naam jap kar ke bhagwan ko prapt kar sakta hai par mook jeev ka kaise kalyan hoga?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
ritik saksena ji ko Radhe-Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab har jeev jivit prani apne apne karmon ke anusaar praarabdh bhogne ko badhya hai to manushya naam jap kar bhagwan ki sharan mein jakar apne dukh sahne ki shanti prapt kar sakta hai parantu wo mookh prani jo bol nahi sakte apni taklif kisi se kah nahi sakte kya unke liye bhi nahi koi vidhan koi vidhan nahi isiliye to bade bhag manush tan pava sur durlabh sad granthan gava sadhan dham moksh kar dwara paye na je parlok sanra so partr dukh pav sir dhun dhun pachtae kale karm ishwar mithya dosh lagae jo aise badhiya manushya deh ko prapt karke apne karmon ka nash karke paap karm ka nash karke bhagwat prapti nahi karta so partr dukh pav use mahan dukh milega wo sir dhun dhun pachtae kale karm ishwar mithya dosh lagae ab kya kutta banne par pashu banne par ham apne praarabdh ka nash thodi kar payenge.
man lo kutte ke pet mein pida ho rahi kya? Kaun dawa dega? Kaun jaan raha hai ki uski pida wo bata sakta hai kya? Wo phadaphda raha hai. Kitne aise jeev hain jin tak hamari pahunch nahi hai aur unko shareerik peedaen hain. Unko pyas hai. Unko bhookh hai. Unko koi bimari hai. Kaun dekh pa raha hai? Bhogna hi bhogna hai. Keval bhogna hai. Tadap-tadap ke marna hai. Koi sahyog dene wala nahi hai. Manushya jeevan mein to hamen kasht hai to ham bata sakte hain. Mujhe yahan pida hai. Ham aspataal ja sakte hain. Ham bhajan ke dwara anusthan ke dwara apne purv papon ko nasht kar sakte hain.
agar purv paap nasht na hote to bhagwat prapti kisi ko hoti hi nahi. Iska matlab purv praarabdh mitta hai, likhat mitta hai. Tabhi to ham jakar ke naye praarabdh ki rachna karke bhagwat prapti karte hain. Yah suar kutta banne par nahi hoga. Yah gadha unt banne par nahi hoga. Yah manushya banne par hi hoga. Aur manushya janm mila to bhumi parat bha dhabar pani ti jeev maya laptani. Jaise shuddh jal akash se gira aur prithvi par ganda ho gaya. Aise hi ate mummy papa parivaar jawan hua patni putr makan dukan rupya paisa budhapa aaya phir wahi sab vasnae aur mar gaya jis kam ke liye aaya wo kam nahi kar paya karm bandho ka nash karke bhagwat prapti karne ke liye aaya wo to ho nahi paya sab ka sab yahi para rah gaya aur apne karmon ko lekar yahan se chala jaata hai isliye vivekvan wahi hai jo apne kartavya ko puja bana le aur bhagwan ka naam jap karte hue paap papon se dare koi paap karm na kare to wah baji mar le jaega nahi to maya raund degi phir hamko 83 lakh 999 yoniyan jaise ek yoni hai sarp ab sarp yoni mein kobra hai dumha hai ajgar hai kitne prakaar ke sarp hai ek yoni hai sarp aisi 83 lakh999 yoniyon ke baad ek manushya yoni jab hoti tab use 84 lakh yoniyon mein aise hi hamko anya yoniyon ke vibhagon mein kab tak bhatakna padega jab tak manushya sharir milkar ke ham bhajan nahi karenge.
to abhi hamen mil gaya hai. Ab ham sahi chale paap aacharan na karen. Sharab na piye mans na khain. Parai bahan beti ki taraf gandi drishti na rakhen. Chori na karen. Hinsa na karen. Naam jap karen. Imandari se jo pad mila hai apne pad ka imandari se prayog karen. Samaj seva ke liye badhiya mangalmay puja ho gayi bhagwan ki. Bhagwan agarbatti se itna prasann nahi hote jitna apne kartavya ke palan se prasann hote hain. Kyonki sampurn srishti bhagwan ki hi hai. Agar usko ham apne kartavya jo jahan jis pad par hai apne kartavya ka palan karen aur naam jap karen use alag se puja karne ki zaroorat nahi.
karen to achchhi baat hai par na karen to usko bhagwat prapti ho jaegi. Lekin maharaj ji ismen jaise agar koi bhi jeev hai to agar koi aur jaise manushya koi unka priyjan unke liye prarthna karen to kya isse unko kuch sahayata milegi? Kasht kuch kam hoga? Nahi kasht to kam nahi hoga. Kasht kam nahi ho sakta. Aisa ho sakta hai ki jaise aap bhajan karke kisi jeev ko apna bhajan de den to ab agla jo janm hoga wo unnatisheel hoga. Lekin is samay vartman ke kasht ko ko kan ke dukh sukh kar data nij krit karm bhog sun bhrata ab hamare bhajan ka phal yah hai ki aisi paristhiti mein bhi ham aandit hain.
aisi paristhiti mein bhi ham prasann hain. Ham aise prasann hai jaise svasth purush prasann nahi rah sakta. Usse zyada ham prasann hai. Kyon? Bhagwan ki sharan mein hai. Agar bhagwan ki sharan mein na ho to abhi sab bigad jae. Abhi jo hamen utsah hai, yah jo hamen power mil raha hai, yah bhagwan se mil raha hai. Ek naveen utsah, ek naveen power, ek naveen anand to har samay prasann rahte hain. Brahm bhuta prasann atma aur yadi brahm se sambandh nahi hai to phir nahi. Isliye isiliye to chuko mat. Yah ghata kabhi pura nahi ho sakta.
agar manushya sharir prapt karke bhajan na kiya to kabhi yah ghata pura hone wala nahi. Aur hamari durgati phir abhi to aap manushya hain. Abhi aap kuch bhi kar sakte hain. Lekin aap pashu pakshi aur anya yoniyon mein jane par aap kuch nahi kar sakte. Wahi kar sakte hain jo aapka bhog hai. Bas usi ko bhog lo. Naya karm nahi ho sakta. Bhens se naya karm hoga kya? Unt se naya karm hoga kya? Saanp se naya karm wo praarabdh ke anusaar chalta rahta hai. Manushya sharir hai jismen ham naya karm kar sakte hain.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…