॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mahila Teachers ko maharaj ji ne kya updesh diya?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

ambala mein teecharsa hain sare. Accha ek shikshak samaj ke liye koi guru ji message ab is samay ham sabse zyada baith jae ek bar is baat mein pareshaan hai ki hamare jo bachchhe hain wo gandi aadaton aur vysanon ke shikar hote chale ja rahe hain. Chahe bachchha ho ya bachchi ho ye jo girlfriend boyfriend chala hai aur jo vyasan chala hai unse hinsak pravritti bachchon mein badh rahe hain. To hamen lagta hai aadhunik shiksha buddhi ko bhrasht kar rahi hai ya buddhi ko pavitra kar rahi hai. Vidya vinym dadati jab vidya badhti hai to vinay saumyata shaleenta gambhirta jitendrita ye aacharan pavitra hote hain.

aaj hamare vidyalay mein aacharan hinta fail rahi hai. Ab aap is vishay ko samjh rahe hain na? Agar yah aacharan hinta sambhali ja sake to hamari nai pidhi jo hamare bharat ka bhavishya hai ise sambhala ja sakta hai. Agar yah vybhchar pravriti aur vyasan pravriti badhti gayi. Ab bachchi apne maa bap ko jawab de rahi hai. Bachchhe apne maa-bap ki hatya kar rahe hain, peet rahe hain, mar rahe hain, nikal rahe hain. Ye kya vidya hai? Aap vichar karo. Yah kya vidya hai? Vidya ka matlab hota hai gyan. Gyan ka matlab hota hai saumy, sadachar, pavitra, vihaar mein aa jae ki bhai ye dekho padha likha aadmi aur ye gawar aadmi.

gawar aadmi asabhya bartaav karta hai. Padha likha aadmi sabhya bartaav to aadhunik padhai ke saath yadi adhyatmik padhai nahi hogi to hamen lagta hai aadhunik padhai se control nahi ho sakta. Indriyon ka jo control hai, mind ka jo control hai, jo overthinking hai, jo depression ki taraf le jane wale aacharan hai, jaise vybhchar, vyasna aadi ye jab badhenge to hinsa pravriti badhegi aur mind jo hai wo hamara negative phenkega. Jab negative phenkega to ham chintit ho jaenge, pareshaan. Hamara dimaag yadi positive hai to ham badi se badi vipattiyon ko bhi cross kar sakte hain.

agar hamara dimaag negative hai to har sukh suvida mein bhi ham jalenge baithe jalenge to hamen lagta hai positive dimaag hone ke liye sabko jaise gita ji hai bhagwat ji hai naam jap hai brahmcharya hai in par prakash thoda agar adhyatmik prakash nahi para to ye bachchhe hamare bigadte chale ja rahe hain. Aap dekh rahe hain na kahan ja rahi hai aaj kya karenge bachchhe yahi hamko bhi chinta ho rahi hai chinta hoti hai jab ham yahan baithkar ke jab prashn karte hain na bachchhe aur jab unki halat dekhte hain tab hamen chinta kyonki ham to sansaar mein jaate nahi lekin sansaar apne paas aata hai to uski jab bhawnaen dekhte tab lagta hai ki ab jo pidhi aa rahi hai ye akhirkar padh likhkar grihasth banoge to yah kya padhai likhai hai ye kya padhai padhai likhai tumhen kam se kam apne jeevan ke parinaam ko to dekh sako ki hamara jeevan kis disha mein ja raha hai.

hamara parinaam kya hoga? Lekin ye vidya kam nahi kar rahi. To hamen lagta hai adhyatmik vidya zaruri hai. Mata-pita ke charan chuna, bhagwan ka naam jap karna, pavitra aacharan karna, brahmcharya se rahna, jab tak byah na ho jae tab tak brahmcharya se rahna tabhi wah aadar karenge aapka. Nahi to aaj ke bachchhe ticher ka aadar kahan karte hain? Kahan aadar karte hain? Jo guru ke pad par ticher virajman hai. Bina anushasan ke padhai purn kaise ho sakti hai? Anushasan chahe lekin aisa adhikar bhi chinta ja raha hai.

isiliye udandta bachchon mein badhti chali ja rahi hai. To hamari prarthna jahan tak ho sake aapki jahan tak pahunch hai aap bachchon ko charit pavitra par dhyan dijiye. Aacharan pavitra rahe, vichar pavitra rahe, bhojan pavitra rahe to unka jeevan unnatsheel rahega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi