॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #987 · 31 july 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki jai satgurudev bhagwan ki jai vijay ji Delhi se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj shri main apni taraf se har karya achchhi prakaar se karta hoon. Wo sabke hit mein karta hoon.

parantu log phir bhi mere se santusht sansaar kisi ko nahi basta hai. Aap bilkul naha dho ke sahi boli wo sansaar nahi isliye khub naam jap karo aur pavitra se jeevan nirvah karo. Isi mein sukhi rahoge. Maharaj ji wo hamen atish dete rahe to bhi hamen unka hit karte rahna chahiye. Bilkul karna chahiye. Ham band nahi karenge. Ham apna paropkar band nahi karenge. Tum marogey to bhi ham tumhara paropkar karenge. Tabhi to hamari sadhuta hai. Tabhi to hamari achchai hai. Jaise aap achchai kar rahe ho aur log aapki burai kar rahe hain to burai karne ki to baat jane do.

aap hamen marogey to bhi ham aapka accha hi karenge. Ye hamari achchai hai. Ye hamen apne niyam ko apnana hai ki agar ham burai karne walon ke sang mein akar unke burai kar baithe to unhin ke jaise to ham ho gaye. Ham apni achchai ko dridh rakenge ki aap hamen marogey bhi to bhi ham bhagwan se prarthna karenge ki aap svasth raho. Aapki buddhi theek rahe. Aapko kabhi kasht na ho. Tabhi to hamari bhakti siddh hogi. Tabhi to ham bhakt kahlaenge. Tabhi to ham achhche kahlaenge. Isliye Uma sant kah i bai karat mand jo kare bhalai.

nitin ji Radhehe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji bhav aur bhavukta mein fark kaise samjhe? Bhav wali sthiti to is kami man mein nahi hai. Par dekho bhav jo bhav hota hai wo bhajan ke bal se prakt hota hai aur jo bhavukta hoti hai wo tatkaalik hoti hai. Lekin jo bhav hai wo sthai hota hai. Wo panch hote hain. Da shant bhav dasy bhav sakhya bhav vatsalya bhav aur gopi bhav. Ye panch bhav hote hain. Tapasya aur sadhna se prapt hote hain. Jab ham bhajan sadhan karte hain aur bhavukta hoti hai ki thodi der ke liye kisi vyakti ke prati hamara kisi ghatna ke prati hamara kisi ki paristhiti ke prati hamara jo dravit ho jana use bhavukta kahte hain aur sadhna bhakti se jo bhav ki prapti hoti hai jaise shant bhav ab man apman sukh dukh labhan samya saman shant rahega dasy bhav bhagwan mere Swami main bhagwan ka sevak sakha bhav bhagwan mere mitra vatsalya bhav bhagwan mere putr putr gopi bhav kanta bhav bhagwan mere pritam ab is bhav

ko maya nahi taal sakti yah divya bhav lekin bhavukta ka parivartan ho sakta hai thodi der ham aapki kisi paristhiti mein bhavukta aae aur iske baad unhone bataya to drama kar raha tha ab turant wo bhavukta gayab ho jaegi lekin bhav yadi hamara aapke prati paramatma bhav bana hai to aapke kisi aacharan se hamen koi fark nahi padne wala kyonki hamara bhav sthai hai wo bhavukta nahi samjh pa rahe hain aap haan sir guru ji ke liye agar bhavukta hoti hai to wo wo bhav hota hai bhavukta ka jo ek tatkalik hota hai aisa nahi guru ji ke prati tatkalik nahi hota sthai hota hai guru sakshat parbrahm tasmai shri guruve namah apne guru ke liye sampurn jeevan samarpit kar dena apne guru ki agyaa mein pratyek pal chalna apne guru ke liye tan man dhan sarvasv war dena ye bhavukta nahi hoti ye bhav hota hai guru ke prati bhav hota hai aur bhavukta aur tatkaalik paristhiti vyakti ghatna mein hoti hai.

bole wo bahut aisi paristhiti mein tha ham bhavukta mein akar ke itne rupaye de diye. Wo bhavukta mein ghatna paristhiti mein jo aata hai wo tatkalik hoti hai. Lekin jo bhav hota hai wo sthai hota hai. Guru ke prati jo hamara guru bhav hai. Guru sakshat param brahm ye hamara sthai bhav hai. Ismen parivartan nahi hona chahiye. Tabhi moksh ki prapti hoti hai. Tabhi kalyan ki prapti hoti hai. Thoda sa sadhna karte samay bhavukta hoti hai. To ye nahi ye satoguni hai. Par ismen dhyan rakhen daya bina sadhu kasai aur daya kari to aphat ai sambhal karke jaise hiran par daya ki bharat ji ke charit mein aata hai.

daya karke do char din poshan karke chhod dena tha. Lekin usi mein aasakt ho gaye to agla janm hiran ka hua. To daya bina sadhu kasai aur daya kari to aphat ai bahut sambhal ke daya kar li chahiye daya mein fasav bhi hai daya mein aisi daya karen ki jaise koi doob raha hai to chaturta yah hai ki usko rassi ya vastr ka sahara de swayam apne hath na pakda de nahi agar accha taik nahi to dubne wala pehle use duboega jo use bacha le gaya hai. Aise is maya ka karya hai ki agar ham yahan daya karen to ham use aashray de de.

ham khud na phas jae uski daya mein. Agar phas gaye to phir ham hi pehle dubenge maya mein. Isliye bahut sambhal karke apne bhavuk log phas jaate hain. Isliye bhavukta ko sambhalna chahiye. Bhav nahi phansega lekin bhavukta fansa degi. Koi aapke samne jara sa bhi dukh prakt karega to aapko lagega kya karun? Inka dukh kaise duri karun? To bahut sambhal karke bahut soch samjh kar aaj sansaar mein chhal kapt pakhand natak iski bulyata hai to aaj ka samay thoda bhavukta sambhalne ka hai nahi to jeb kaat lenge bhavukta bhi aise bhi log hain shobhna ji empi se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji mujhe isi janm mein bhagwat prapti karni hai par pata nahi kaise virakta yar virakta marg bahut kathin sa jaan parta hai gasth mein jae grihasth st donon bhagwan ke ladle putr hain.

donon ka adhikar hai bhagwan prapti karna. Grihasth mein grihasth dharm ke anusaar chale. Virakta mein virakta dharm ke anusaar chale to donon paunchenge bhagwan ke hi paas. Par chalna dharm ke anusaar hoga. Galat agar rasta hamara ho gaya. Jaise man lo bihari ji idhar hai. Ab ham idhar daud laga den to zindagi bhar daudte rahe. Ham bihari ji nahi paunchenge aur idhar ham let ke chale to ham bihari ji pahunch jaenge kyonki sahi rasta hai to ham sahi raste par chale grihasth dharm mein rahkar agar ham byah nahi karte to brahmcharya ka purn brahmcharya ka palan karna hoga aur bada kathin hai brahmcharya ka palan karna dekho baten banana alag baat hai jab vednaen kam aadi ki satati hain to un vednaon ko sahan karna keval bhajan bal se dusra koi bal kam nahi karega yadi aap dat ke bhajan karoge aur kusang se bachoge to brahmcharya rah sakte ho.

nahi to grahasti mein rah ke brahmcharya rahna bahut kathin hai. Virakti mein ki bhai ekant kamre mein kisi se mil nahi rahe. Chalo bhai jaise grahasti mein parivaar ke jan aa rahe hain. Wo sab hans rahe hain. Sab khel rahe hain. Apne sab manoranjan kar kyonki grahasti mein aur hamko unhin ke beech mein rahkar ke ek udasin jeevan bhagwat prapti ke liye karna bahut kathin ho jaata hai. Aur virakta mein agar ham kadam rakhte hain to yah aag ka marg hai. Jaise aag par chalna hai na chadh ke mom turang par chalbo pavak may prem panth ati kathin hai sabko nibhat na bole mom ke ghode par chadh ke aag ki jwala se nikalna samjho mom ka ghoda pighal jaega na mom ke ghode par chadh ke aag ki jwala se nikalna ye virakta marg hai koi birla hi ise par kar pata hai nahi to gir jaata hai koi kanchan mein koi kamini mein koi kirti mein phas jaata hai.

bhagwat prapti tak to pahunchna bada kathin hota hai. To ham dhanyavaad dete hain ki aap bhagwat prapti karna chahte hain. Par kahin jaiega mat. Apne ghar mein rahie. Apne parivaar mein surakshit rahkar ke sadwatti ke dwara bhagwan ka bhajan karie aur bhagwat prapti karie. Amit sudan ji Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji mein bite kuch aise pal hain jinko main bhulna chahta hoon. Par wo bar-bar yad ate hain. Aise mein koi upay hai usko bhulne ka maharaj? Man ki pravriti hai. Wo bhut aur bhavishya in do par zyada vichran karta rahta hai.

age kya hoga kalpna piche jo ho gaya uska chintan. Vartman mein ham bhut aur bhavishya ke chintan karne wale man par shasan kar sakte hain. Naam jap ke yadi ham bhagwan ka param pavitra mahamangalmay naam jap karen vartman mein to ham uske bhut bhavishya ke jo chintan ki pravriti hai usko ham badal sakte hain. Bhut bhavishya ke chintan karne ke jo sanskar hai wo nasht kar sakte hain. Vartman mein mangal bhavan amangal hari jo Uma sahit je japat purari jinka naam bhagwan umapti bhi japte hain unhin bhagwan ka naam yadi ham vartman mein jape jaise hamara ye second vartman ka Radha Radha Radha to man bhut bhavishya ke chintan ko jo phenkega wo delete hota chala jaega wo ham par koi prabhav nahi par raha aur agar ham naam jap nahi karte hain to dhire dhire dhire dhire overthinking itni badh jati hai ki ham depression mein jane lagte hain.

ye jo aaj depression ki bimari hai na uska karan hai overthinking vyarth ka chintan adhik chintan aur agar ham yahi paramatma chintan karen to anand ki anubhuti hone lage. Ham nirbhay ho jae. Ham nishcint ho jae. Ham nishok ho jae. Ham chintan karte hain lekin galat kalpnatmak chintan, bhayav chintan, negative chintan ham sakratmak chintan kyon nahi karte? Kyonki paap ka dand bhogane ke liye hamare saath aisa bartaav kiya ja raha hai. Agar ham naam jap ke dwara paap nasht kar den to hamari soch sakratmak ho jae.

bhagvatik ho jae. Jaise age pata nahi aisa na ho jae to aisa ho jaega to bhagwan hai na wo sambhal denge. Sakratmak soch aa jaegi jab ham bhagwan se jud jaenge yar ab to ab kaun bachaega bhagwan bachayenge ya ab kya hoga ab to yah sab nasht ho gaya nahi bhagwan ne jinhone nai srishti ek brahmand nahi anekon brahmand ek kshan mein rach diye wo hamare liye naya vidhan bana denge bhagwan par bharosa hai sab theek ho jaata hai to hamen lagta hai vartman ke samay mein yadi ham bhagwan naam jap karen aur bhagwan ka bharosa rakhen to hamara jeevan accha ho jaega.

negative chintan se ham bach jaenge aur bhut bhavishya ki kalpanaon se bach jaenge. Jo bhut mein hua uska sochna jo bhavishya mein hoga uska sochna donon vyarth hai. Kyonki bhut mein jo hua wo to gaya. Ab bhavishya mein jo hona hai hamen pata nahi hai. Hamen bahut savdhaan hokar ke bhagwan naam jap karte hue vartman ko sudharna hai. Ji doctor shivali avasthi ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ham patipatni bharatiya nausena mein doctor hain maharaj ji maharaj ji sab achhche se karya kar rahe hain maharaj ji maharaj ji ek puchna chah rahe hain ki har bar garb jab aata hai to garbhapat ho jaata hai maharaj ji wo thhar nahi pata to maharaj ji purv janm ke praarabdh hai ya koi kahta hai bhagwan ki ichchha hai maharaj ji nahi bhagwan ki ichchha se puri srishti rachi gayi hai keval ek garb ki nahi baat hai bhagwan ne ek ichchha keval ki hai ek bahu shyama main ek bahut rupon mein ho jaun.

iske baad hamari ichchha lagu ho gayi. Wahi hamara patan karati hai. Wahi hamen sukh deti hai. Wahi hamen dukh deti hai. Achhche karm wali ichchha sukh deti hai. Bure karm wali ichchha dukh deti hai. Yah purv ka vidhan hai. Jaise mano aapka to garb sravit ho jaata hai. Garb tikta nahi hai. Lekin ganga maiya ka to garb se prakt hue balkon ko ganga mein phenk dena. Purv vidhan jante hain ki yah asht Vasu hain. Inme sabko hamen mukt karna hai. To jahan par prakt hote to ganga mein phenk dete jake. Athav Vasu jo Bhishma ji ke rup mein virajman hai.

us samay maharaj shantan ne kaha tu kaun hai? Aisi maa to maine srishti mein nahi dekhi jo apne navjat shishu ko jal ki dhara mein phenk de. Tab unhone kaha hamne kaha tha aap prashn mat karna lekin aapne prashn kiya to main devi ganga hoon kamp gaye ki patni ke rup mein maa Bhagwati ganga devi bas ab nahi tikungi aur antardhya ho gayi putr ko lekar wahi putr maharathi atirthiyon ke veer viron ke veer Bhishma pitamah ji hue to ham ye kahte hain ki jaise jin jeevan ko keval aapke garb mein ane ka likha hua hai lekin age jeevan leela nahi to garb mein akar hi wah shant ho jaenge.

wah garb shravit ho jaega. Wah janm nahi le payenge. To ab jin jeevan ko likha janm lete hi mar jana wo janm lete hi mar jaate. Jinka likha hai thoda sa bal to dekho aap dekho har tarah ki ayu mein mrityu ho rahi hai. To ye sab likha hua hai. Hamare purv karmon ke anusaar sab kuch vidhan hai. Jo jeev jitne minute ka aayega jitne second ka aayega utne minute second tik payega. Iska naam mrityu lok hai. To ismen hamen bhagwan ki aradhna karni chahiye aur apne purv praarabdh ko nasht karke naye bhagya ki rachna karni chahiye.

bhagwan ki aradhna se bhagwan ke sumiran se naam jap se ham bahut bade-bade papon ko nasht kar sakte hain aur paap nasht ho gaye to garb rah jaega. Ek parivaar 18 20 sal unko byah kiye ho gaye aur santan nahi hoti thi. Lekin unhone chhoda nahi. Dandvati parikrama lagana satsang mein ana bhajan karna wo lage rahe to do bachchhe ek saath prakt hue bhagwan kartum kartum anytha kartum hai wo koi sal nahi jaata jis sal Vrindavan ki dandvati parikrama nahi lagate khub bhajan karte ab paap nasht ho gaye to do putr ek saath prakt hue parivaar chalane wale ho gaye 18 sal baad 18 sal baad byah ke to hamen lagta hai ki agar ham bhajan karen to bhagwan kripa kar sakte hain wo kripa kar de garv rah jae, balak ho jae, vansh chal jae, unhin ki kripa se hai to khub naam jap karen, bhagwat aradhna karen.

gurudeep ji Kanada se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji pichle kuch mahino se aapka satsang aur ekantik vartalaap bar-bar sunne ke baad mans madira ityadi ka sevan bilkul chhod diya. Aapki kripa se Radha naam jap karne ka prayas kar raha hoon. Maine apne man se aapko apna guru bhi man liya. Jeevan kriya ko usi anusaar chalane ka koshish bhi kar raha hoon jaise aap kahte hain. Maharaj ji main is atma ko ab dobara punah janm nahi lene dena chahta maharaj. Iske iske liye bhajan chahiye. Har samay Radha Radha Radha Radha uthte baithe chalte phirte khate pite kyonki kabhi bhi sharir chhut sakta hai.

to sharir chhutne ke samay yadi ham Radha bole to hamen bhagwat prapti ho jaegi. Phir ham aavagaman se mukt ho jaenge. Jaise Ajamil ne apne bete ke mis se bulaya narayan to wah antim samay tha. Narayan pukarte hi bhagwan ke parsad aa gaye. Yamduton ki phansi kaat di uska mangal ho gaya to ham har samay naam jap karen pata nahi kab hamara sharir pura ho jae apne ko pata to hai nahi na chalte phirte uthte baithe kabhi bhi sharir ja sakta hai aisa nahi hai ki ham 10 varsh aur jiyenge ho sakta hai jie 10 minute akhiri hamara chal raha ho kya pata chale kab kahan ghatna ghat jae ye to ekdam bijli ka connection jaisa hai kat gaya ho to isliye har samay hamen naam jap karte rahna chahiye naam jap se hi hamen bhagwat prapti ho jaegi.

guru bhagwan prerna se yahan tak aap le aae aur ab apna saath kabhi mat chodna. Mere saath hi rakhna. Ji khub naam jap karna bas gande aacharan ab mat hone pave. Haan bilkul mukesh sahu ji shri Harivansh shri Harivansh Gurudev Gurudev bhagwan pujya kai santo ne ke shri mukh se suna hai ki 24 ghante naam sankirtana karne se kalyug mein aaj bhi bhagwat prapti ho jaegi. Gurudev bhagwan aap bhi naam kirtan par bahut ek 24 ghanta nahi 24 ghante barabar aaj jeevan har samay naam jap karo bhagwan ki prapti ho jaegi ismen sanshay nahi ek 24 ghanta nahi ki ek 24 ghanta kiya aur bhagwan akar khade ho gaye nahi to kitne log kar le 24 ghanta kitna hota hai hamare andar akhand smaran chalna chahiye 24 ghante naam kirtan ka matlab naam sumiran hamare andar chalna chahiye sansaar ka chintan chhuta aur bhagwan ka chintan akhand chal raha hai bhagwat prapti nischit ho gayi samaj jo jis 24 ghante mein agar 24

minute jaise tanmay hone ki jaise shri ji haan achchhi baat hai achchhi baat hai 24 ghante mein 24 minute agar tanmay hokar jape aur shesh samay aise jape to bhi bhagwat prapti ho jaegi to ek din jaise banseevat gaye the maharaj ji to wahan pe jaise likha bhi hai aur kai log batte bhi hai wahan pe to jaise napuron ki shri ji ki dhvani aati hai haan ye bhagwat ismen koi sanshay nahi bhagwat desh hai ki unmein se jaise ki dhvani to ai par shri ji ki jo napur hai wo dikhayee nahi di to kya bina nij mantr ke wo dikhayee haan uske liye bhajan chahiye bhajan khub karo tab jo bij nij mantr hai to matlab bina uske matlab shri ji ke na par are Radha naam se sab kuch ho jaega kaun si baat aisi jo Radha naam se na ho haan alka ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev mera puja path jab ityadi mein man lagta hai to is karan aur zyada samay maharaj ji usmen lagate hain to kabhi-kabhi bachchhe pati naraz ho jaate hain to mujhe aparadh kaun sa lagta hai haan waise grahasti mein zyada puja baith ke karne wali uchit nahi hai.

rasoi mein kam kar rahe hain. Radha Radha Radha apne pati ko tiphin laga ke de rahe hain. Bhojan pawa rahe hain. Bachchon ko pawa rahe hain. Ye puja hi ho rahi hai. In sab mein bhagwat bhavna karen. Ab aap ek ghanta puja kar rahe ho. Bachchhe ko school jana hai, pati ko office jana hai aur wah sab asantusht hai to mujhe lagta hai wah puja theek nahi hai. Puja utni theek hai baithkar ke jisse hamare parivaar ka balance bana rahe. Hamare parivaar mein sab sukhi rahe kyonki wo bhukhe chale gaye office to unke andar aapki bhakti ka virodh paida hoga.

bachchha bhukha ja raha hai. Yah sab theek nahi hai. Bilkul puja mat karo. Hamari baat samjho. Agar aap bilkul puja nahi kar rahe hain. Aap apne pati ko bhagwat bhav se putr ko bhagwat bhav se rasoi banai. Thakur ji ko dikha diya. Pawar hai. Badhiya puja ho rahi hai. Naam jap karna hai na. Dekho gopi janon ki jab dincharya mein dekho to leep rahe to bhagwan ka chintan kar rahe hain. Rasoi bana rahe to bhagwan ka chintan kar rahe hain. Gay dho rahe hain to bhagwan ka chintan kar rahe hain. Dhan koot rahe hain to bhagwan kya ham log aisa nahi kar sakte?

hal jot rahe hain, vyapar kar rahe hain, nokri kar rahe hain. Jo hamen pad seva mili hai, ham bhagwan ka naam jap karte hain. Us seva par dhyan den. Ham log keval usi ko puja samjhte hain. Char agarbatti ghuma diya photo rakh ke aur murti rakh ke to wo puja ho gayi. Accha ek baat dekho achal murti mein ham bhagwan ki bhavna kar sakte hain. Photo mein vigrah mein lekin chalte hue chalte hue par ham bhagwan ki bhavna nahi karen to hamari bahut badi kami hai. In sab mein bhagwan hi virajman hai. Sachchi maniye sachchi maniye.

agar aap imandari se sab mein bhagwat bhavna kar le to aapse bada koi mahatma nahi hai. Sam atma surlabha vasudeva sarwamti sam atma sudurlabha aur agar bhagwan chale jae to dekho aap apne priy putr ke sharir ko jala denge. Priy pati ke sharir ko jala denge. Kyon? Kyonki bhagwan antardhya ho gaye. To unhin bhagwan ki puja karna hai. Ab sab kha pi ke apne apne kam mein chale gaye. Ab hamare paas samay hai to ham tv na kholen. Ham puja grih kholen phir apne thakur puja karen phir baithkar jap karen lekin wah baad mein karen pehle pati putr ki puja karen unko bhojan unki tayyari karne len jo bhagwan ne grihasth dharm diya uska palan karo ji brahmanand joshi ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main naam jap karne ka abhyaas kar raha hoon usse mere ko bahut shanti mil rahi hai par paristhitiyan bahut zyada pratikultaa ho jati hai to aisa lagta hai ki kahin naam chhut na jae maharaj haan chinta mat karo chintan badhate raho

ananyas chinto mam ye jana paripaste tesham nityabhukta naam yogkshem bhavyam bhagwan kah rahe hain main yogkshem ka jiska yogkshem bhagwan vahan karte hain usko koi vipatti parast nahi kar sakti isliye prasann raho aur naam jap karo aur har dukh ko sahne ki koshish karo to usse paap nasht ho jaenge aap bhagwat prapti ke yogya ho jaenge yam bhi vyathte pursham purush sam dukha sukhadheem sot kalpte jo aae hue kasht se vyathit nahi hota sah jaata hai aur bhagwan ka naam smaran karta rahta hai sukhdukh mein saman

bhav rakhta hai wo amrit pad ka adhikari hota hai wo bhagwan ko prapt ho jaata hai mukesh Agarwal ji shri Harivansh guru ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji main aapka ekantik vartalaap evam satsang lagbhag do var se sun raha hoon. Jisse jeevan mein kafi badlav aaya hai. Gurudev prarambh mein shri ji ke naam jap mein kafi ruchi thi. Kafi accha bhi lagta tha. Ab dhire-dhire maharaj ji utapach sa kyon lag raha hai maharaj? Haan aisa hota hai gunon ke chakra ke karan. Teen gun hote hain. Satogun rajogun tamogun.

to jab tamogun aayega to nidra alasya pramadottam tat tamas mudahartam nidra hai alasya hai koi purani dushmani ki baat aake krodh hona dves hona aise chalta hai aur jab rajogun aata hai to makan bhog yash kirti ye sab chintan chal aur jab satogun aata hai to bhagwan pyare lagne lagte hain. Naam jap karna katha sunna dan karna ye sab accha lagne lagta hai. To ye gunon ka chakra chalta hai. Kabahu to tharo bhajan kabahu hot vishal man ko dhiraj chhute nahi gahe na duji chal kabhi thoda bhajan hota hai kabhi bahut hota hai lekin hamko chahiye ki dhairya na chode ham galat marg mein na chale gahe na duji chal agar man abhi bhajan mein nahi lag raha to aap shant ekdam zabardasti man ko roke hue hain to thodi der mein lag jaega gun hat jaega rajogun phir bhajan mein man lag jaega jaap to karta hoon guru ji haan bas jaap karte raho isi se isi se ho jaega haan utarchav to sabke jeevan mein aata rahta hai.

aapke hi nahi sabke jeevan kabhi bahut bhajan hota hai. Kabhi bhajan thoda hota hai. Kabhi lagta hai bilkul nahi ho raha hai. Lekin hamko dhairya nahi chodna. Hamen chalna hai. Apne marg mein chalna hai to ham age jit jaenge. Trigun se upar jahan uthe to nirantar bhajan chalne lagega. Trigunnatt nirantar bhajan hota hai. Lekin jab tak gunon ke andar hai to uska prabhav rahta hai. To ham hare nahi. Ham nirantar abhyaas karte rahe. Shri Harivansh maharaj ji pehle apne parivaar mein kabhi purwajon ka pinddan ya shradh nahi kiya.

ab ham sabhi riti-rivaj tyohar manne lage hain. To hamen ab pinddan ya shradh apne purwajon ka karna chahiye. Hamare hamare hamare shastron ke anusaar hai. Shastron mein jo agyaa hai dekho koi bhi siddhant ho tasma shastram prmanam te karya akaryo vyvasthit yah bhagwan shri Krishna ke vachan hai. Karya ho ya akary iska praman shastr se lena chahiye. To jo hamare purkhe hain, hamare purv hain, unhone sharir chhoda hai to hamen pinddan karna chahiye. Kyonki ham unke kul parampara mein hain to hamara adhikar banta hai pinddan karna.

unki antyashti kriya jaise ki to antyashti kriya ke baad ham pinddan karen. Ham gaya jaen wahan shradh karen. Hamara dharm jo hai uske anusaar chalna chahiye. Hamen lagta hai ki manmani aacharan na karen to accha hai. Jo hamare shastr kahte hain uske anusaar chalna chahiye. Jo hamare purv kar rahe hain vaisa hamen karna chahiye. Ab aajkal log itne vimurkh hote ja rahe hain dharm shastr se. Vastvikata hai ye aur ye sansaar ka niyam ban gaya hai. Ham dekh rahe hain ki jaise main mandir mein pujari hoon to log wahan pe ate hain to wo swahit to karte hain lekin dusron ke par uski kamna hi nahi kabhi karte.

wo wo chahte hain ki hamara accha ho. Baki uske bachchhe uska parivaar nasht ho. Haan haan bilkul. Lekar ke hamare unke saath kai bar brahmin hai. Hamara santosh hamara gun hai. Lekin us gun ko chhodkar ke hamen kai bar krodhabhas aur krodhit mudra bhi apnani padti hai. To mera to prashn yahi hai ki us krodhit mudra ko prapt karne ke liye kya main wo dekho brahm rishi sadhu mahatma ye samaj ke sudharak rahe hain. Devdan shastr samvat hai. Agar ham jivit hain aur svasth hain aur phir dan karte hain jivit to baat hamari baat alag hai.

lekin agar wo dimaag shunya ho chuka hai jise kya kahte hain? Mind deth haan bren bren deth haan kyonki wo kuch soch nahi. Ab nahi kyonki wo jo dene wala hai wo nirnay nahi kar raha isliye nahi. Accha jo mrit sharir ke baad dene ki baat aati hai ki marne pehle pehle sankalp pehle de sakta hai. Sankalp pehle ho jaata hai. Haan de sakta hai kyonki hamare ham apne sharir ke adhikari hain aur agar hamare aankh se tumhari aankh chal jati hai aur ham to marne ja hi rahe hain aur hamara to pran nikal hi gaye aur agar tumhare kam aa jati hai to hamen lagta hai achchhi baat hai.

lekin wo uski swikrati se de data ki swikrati se agar wah data dena chahta hai to dekho hamare yahan iska praman hai. Jinda dadheet ji ne apni haddiyan dan ki ki nahi ki? Devtaon ko jagat mangal ke liye dadheet ji ne apni haddiyon ka dan kiya jisse vajr bana aur kai astr bane. To ek rishi parampara ne yah hamen praman diya ki agar ham jagat mangal ke liye apne sharir ko dan karna chahe to ham kar sakte hain ki hamara sharir pura ho wo to jinda de diye the jinda. Aur man lo hamara sharir pure ho hamari kidney kisi ke kam mein aa jae.

dil kisi ke kam mein aa jae, aankh kisi ke kam aa jae, wo baat hai. Mangal hai dusron ka mangal hai ismen. Isliye uske ham us pe raji nahi hai. Wo jo bren deth us pe raji nahi kyonki wo swayam nirnay nahi kar sakta. Jeev accha agar aap kah do ki wo nirnay nahi kar sakta lekin wo jivit hai. To uski hatya karne ka aapko adhikar nahi hai. Jaise balak abodh aise wo kuch bol nahi sakta. Kuch sun nahi sakta. Kuch samjh nahi sakta lekin jivit hai na to uski hatya karne ka adhikar kisne diya hamen batao uski hatya karne ka adhikar agar ham jivit hain ham likh jaate hain to wo baat alag hai bren deth mein jo ye hota hai na ki uska dil nikal ke usko de diya usko uske wo spasht hatya hai us jeev ki kyonki wo apna nirnay karne layak nahi hai wo abhi buddhi mein uske kuch nahi hai to agar parivaar wale usko jab tak wo jivit rahe use jaise bhi jivit rahe to wo jivit uska mangalmay rahega.

lekin yah nahi ki jivit aadmi ke sab wo swayam de de to baat alag hai. Ham uske support nahi karte. Jo bren deth haan uska support nahi karte. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kuch aise mudde hote hain mere ko rakhne hi padte hain aapke age. Maharaj ji maharaj ji meri shadi pichle sal july mein hui thi. Lekin meri patni galat aadaton jaise sharab, cigret, mere saath marpeet, mata-pita ke saath duryvhaar aur anya kriyaen mein bhi shamil hai. Maharaj ji| in sabko na sahan kar pane ki wajah se hamara rishta talak ki kagar par aa chuka hai.

jaise ki aapne kaha ki agar aapne ek bar pani grahan kiya to jeevan bhar saath nibhaya chahiye. Lekin wo yogyta donon paksh mein honi chahiye. Ab kaise tumhen batayen? Agar wo bachchi sahi aacharan se chale to ek parivaar ko sambhal sakti hai. Agar usne aacharan apne bigad liye to dekho aap pati ho. Aap kah rahe ho talak ki sthiti hai. Agar talak hoti hai to uska bhi jeevan sankat purn hai aur aapka bhi jeevan sankat purn hai. To hamen lagta hai agar chhote-chhote bachchon ke aacharan pavitra karae jae. Unko vyasan mukt kiya jae.

koi bachchha vyasan na kare to hamara jo naveen bharat ki pidhi hai yah bahut badhiya ho jae. Ab wah bachchi agar nasha na kare galat aacharan na kare apne pati se prem karke ek sad grahasti basa sakti hai ki nahi bacha par wo aadat tumhara jeevan tumhare hath mein hai. Agar tum galat aacharan karoge to tum dukhi ho jaoge. Achhche aacharan karoge to sukhi ho jaoge. Dekho aapke samne udaharan hai. Wo kah raha hai ki talak ki kagar par kya byah isliye hota hai sadgrihasti bigad gayi ki nahi bigad gayi? Mana tum dusra kar loge tum dusra kar loge.

lekin aacharan apvitra ho rahe hain na. Bhawnaen apvitra ho rahi na. Ab in baton ko kaise samjhe? Hamara bharat desh hai. Ismen ek bar jiska pani grahan kiya jaisa bachchha kah raha hai aajeevan nirvah karna. Par donon uski yogyta ko samjhe. Pani grahan ki mahima ko samjhen. Jaise mana aaj ham var ka varan kar rahe hain. Aaj ham kisi ladki ka varan kar rahe hain. Ab ham donon galat nahi karenge. Ab donon milkar ham chalenge aur apni grahasti ko basaenge. Aise vichar kar lo. Chahiye ki balyvastha se jab tak byah na ho tab tak ham koi galat aacharan na karen.

chahiye brahmcharya se rahe. Dharm se rahe. Koi nasha na karen. Koi gandi baat na karen aur jab pati prapt ho jae to baat alag hai. Ab pehle hi sab aacharan agar ham bigad lenge to yahi baat aayegi jaise bachchha bol raha hai ki ab kya karen? Unko sharab pina hai. Unko cigret pina hai. Unko par purush ki taraf dekhna hai to ham kaise sweekar karen? To grahasti choupat ho gaye na. Ek wo bhi ashant hai aur unko bhi ashant hona padega. Aisa nahi ki wo ashant na ho. Aise aacharan wale mil gaye to ashanti paida kar denge.

aise inse bhi zyada aacharan wale hain na yah kyon iska karan yahi hai na hamare aacharan bigad gaye hamare vichar bigad gaye hamara charitraheenta wahi hamko dukh de rahi hai aap vichar karo santjan nahi bolenge shastr ki baat nahi sunoge to aap sudhroge kaise jo santo ki baat hai thodi kadvi lag sakti hai lekin wo aapko badhiya sudhar degi agar baat man jaoge ab bachchha bhagwan ka sumiran karo aur kusang ka tyag karo karo. Agar patni bhi kusang yukt hai to uska tyag kar do. Nahi jeevan khtre mein par jaega.

pakki baat hai. Jeevan khtre mein par jaega. Jo galat acharno wala hai use aap sudhar nahi sakte. Apne ko bacha sakte ho. Agar apne ko bachana hai to aapko sang tyagna hi padega. Agar aise acharno se yukt ho aur sudhrane ki gunjaysh na ho to tum bhi bhaiya anand se jio aur hamko bhi anand se ji lene do. Usmen yah sambandh vichchhed hi ek dawa hai. Marpeet nahi, hinsa nahi, koi jhagda mat karo. Bachchha ho chahe bachchi donon ko apne aacharan sudharne chahiye. Dekho tum galat rahege lekin tumko galat pasand nahi hai.

hamari baat ko pakdna. Tum galat rahe ho lekin tumhen galat patni mile yah tumhen chah nahi rahegi. Tumhen galat pati mile aisi chah nahi. To phir tum galti ko kyon sweekar kiye ho? Tum bhi galat chodo. Galat chodo to tumhen accha pati milega. Galti chodo to tumhen achchhi patni milegi aur aapka parivaar badhiya chalega. To ham chhote-chhote bachchon se lekar navyuvkon ko sambodhan dete hain. Prarthna karte hain ki aap nasha chhodie. Nashe se galat hota hai. Aap vybhchar chhodie. Aap apni patni se pyar kijiye.

aap apne pati se pyar kijiye aur jab tak pati patni ka sambandh na ho tab tak brahmcharya se rahie. Ab ham kya kahenge? Shastr aur adhyatma jo bolegaa wahi to ham kahenge. Jab tak byah na ho tab tak brahmcharya ka palan karne ka shastr adesh karte hain. Ab kaun hamari baat ko manne ke liye tayyar? Jo tayyar hain unka mangal ho jaega. Gireesha ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki bhagwan ji ne is srishti ki rachna ki. Hamen indriyan bhi di aur wahi hamen shastr ke madhyam se maya aur bhog vishyon se dur rahne ki shiksha bhi dete hain.

to kya mayapati ji ne maya ki rachna maya se dur rahne ke liye ki hai? Dekho bhagwan ne do paksh rakhe hain. Ek sukh, ek dukh, ek punya, ek paap, ek maya, ek bhakti. Donon rache hain. Vish amrit donon rache hain aur rach karke chhod diya. Ab tum vish pan karte ho ya amrit pan karte ho? Tum maya ka swad lete ho ya bhakti ka parmanand lete ho. Yah aapke upar chhut kar diya hai. Jeev ko swatantr kar diya hai. Tum jo chaho kar sakte ho. Chahe apne karm bigadkar durgati chahe karm bankar sadgati. Donon paksh bhagwan ne rache.

agar keval maya hi racha hota to phir prashn tha phir duri kyon banae? Kyonki dusra paksh hai nahi to dusra paksh bhakti hai jo parmanand pradan karne wali hai. Accha maya koi tyagne wali vastu nahi hai. Maya ke ku prabhav se maya mein do bhi bhav hai. Ek accha prabhav hai aur ek bura prabhav hai. Jaise maya se rachit ye sharir hai. Ab is sharir se ham satkarma kar sakte hain. To maya ka accha prabhav hua ki nahi? Hamari vani hai. Maya hi to hai. Isse ham mridu bole, satya bole, hitkar bole to maya ka sadupyog hua ki nahi hua?

ab hamare paas sundar bhojan hai. Us bhojan ko bhagwan ko bhog lagaya. Kisi bhukhe ko pawa diya. Hamne bhi apni bhookh mita di. To sadupyog hai ki nahi? Ab ham bhookh mitane ke liye dusre jeevan ki hatya karen. Ab maya ka durpayog ho raha hai. Ab tumhari durgati hogi. Hamare paas itne sundar sundar pey padaarth hain. Sugandhat paushtik buddhivardhak zaruri madira piyo. Itne sundar chappan bhog bante hain. Zaruri hai tum jeevan ko kaat ke unka mans khao. To maya ke do paksh hain. Ek accha aur ek bura. To bure paksh ka tyag karna.

jaise maya ka paksh ek kam bhog hai. Agar kam bhog ham apni patni se karte hain sahi hai. Lekin dusre ki stri se karte hain galat hai. Agar kam bhog na ho to santan ki utpatti na ho. Srishti na badhe. Ye to bhagwan ke dwara rachit hai. Koi hamara tumhara rachit to nahi. Lekin uska sahi disha mein prayog ho. Agar wah galat disha ab aap kam bhog parai beti ke saath karen to hamara kanun bhi aapko dand dega aur bhagvatik kanun mein bhi paap ban gaya aur agar apni patni se karte hain to dharm yukt hai. To agar ham vivek aur adhyatma shastron ka swadhyay karke theek se chale to maya kuch aisa hai nahi jo bandhne wali ho.

maya tab bandhne wali hai jab ham maya ka galat prayog karte hain. Tab bole are bhagwan ki maya badi vichitra hai. Dekho uski durgati ho gayi. Durgati maya ne nahi ki. Hamne galat maya ka prayog kiya. Maya ka matlab ye rachna jitni dekh rahe ho. Ab is rachna mein sahi dhang se chalo. Aap galat kyon chalte ho? Tumhari bahan ko koi galat drishti se dekhe tumhen bura lagega. To tum dusre ki bahan ko galat drishti se kyon dekho? Atmana pratikulani pareshaan samachrit to maya hamen yah batao ki bandhan karak kya hai?

yah maya, kapda maya, mike maya, yah diwal maya yah sab sahyog kar rahi ki nahi bhakti ke liye? Aap hamen vichar karke batao. Ab isi vani se ham gali dene lage. Isi sharir se gande aacharan ka ab maya ka durpayog ho gaya. To jab ham durpayog karte hain maya ka jaise paisa hai. Paisa se kisi garib ki seva kar dena. Bhukhe ko bhojan vastr nahi to vastr de dena. Kisi bimar ki aushadhi kara dena. 10 5000 laga dijiye. Wahi 10 5000 hotel mein sharab aur gande aacharan mein laga diye. Wah durpayog ho gaya. Yah sadupyog ho gaya.

maya ka durpayog nishedh hai. Sadupyog karna chahiye. Aap hamen batao maya kahan bandhan karak hai? Kab aapka aapko ko akar ke maya ne pakda. Hamen batao na kahan kya maya hai. Aapke vichar galat maya havi. Maya mane bhagwan ke dwara rachit bhram. Aapke vichar sahi maya maa hai hamara poshan kar rahi khanpan sharir poshan achhche karm sukh anand to maya nishedh kahan hai nishedh hai jab ham galat karte hain to hamen galat ka tyag karna hai dekho logon ki kya hai is samay jo buddhi hai na wah keval bhautik jagat ko dekh rahi hai adhyatma ki bhavna mein nahi hai koi birla hi adhyatma mein chal pata hai aap dekho bharat mein kitne hain?

ek arab 30 40 karod to honge. 40 karod to ho gaye. Ab unmein se kitne aise log hain jo adhyatma mein chalte hain? Chalne walon mein kitne aise hain jo sahi chal pate hain. Sahi chalne walon mein kitne aise jo pahunch pate hain? Ye bada kathin bhagwan ka maya ka charit racha hua hai. Ham isi mein raji hain. Jaise nali ka kida nali mein hi sukh ka anubhav karta hai. Use amrit kund mein dalo to use pasand nahi aayega. Aise jo gande aacharan kar rahe hain na unko sahi baat updesh karo to wo bura lagega. Unko bura lagega.

unko accha nahi lagega. Jaise aap sab bachchhe ho. Ab aae ho to sudhrane ke liye na to ham kadva bhi bolenge tum girlfriend boyfriend banana band karo tum koi nasha mat karo apne mata-pita ki agyaa mein raho ab isi ko tum bura mano to phir agar sant jan tumhen nahi updesh karenge to shastron tak tumhari pahunch nahi tum kaise janoge ki achchai kya hai aur burai kya hai naye bachchhe ho sansaar mein aae ho tumko lag raha hai sukh chahiye ab sukh vyasan mein vybhchar mein gande vihaar mein to wahi tumhen depression mein le jaega.

wahi tumhen susta karne ke liye prerit karega. Aisi ghatnayen ban jaengi. Wahi tumhen nana prakaar ke acharno mein fansakar jail pahunchaega. To sant aur sadguru dev aur shastr inki baton ka manan kare to maya hai nahi. Maa mane nahi ya mane jo jo hai nahi lekin apna kamal kar jati hai. Hai nahi par kamal kar jati hai. Bade bado ko bhrasht kar deti hai. Ye hai bhagwan ki maya. Hai nahi. Aap batao maya kahan hai? Koi batao maya kahan hai? Aap maya ho. Ab maya hai. Nahi hai na? Hamara alag naam hai.

aapka alag naam hai. Hamara alag aapka alag swaroop hai. To maya kya hai? Ab hamare aur aapke beech mein jo aacharan hai wah yadi galat ho gaye to maya ho gaye. Abhi aap jab yahan se nikelnge to aapse kaha jae maya se milkar aa rahe ho to aap kahoge bhai ham to bhakti ka anand le aa rahe hain to jab ham char log baithkar ke achchhi varta karte hain to wo bhakti ban jati hai aur jab buri varta karte hain to wahi maya ban jati hai. Bas itna antar bhagwan le isiliye donon paksh accha dekho bazar tabhi achchhi mani jaegi jab usmen har saman mile.

agar keval mithai hi mithai mile. Koi kah de mirch kyon banai bhagwan ne? Nahi yar mirch ki bhi zaroorat hai. Har chij ki zaroorat hai. Bhagwan ne apni srishti mein sab kuch banaya hai. Ab hamko kya pasand hai? Hamko dharm pasand hai ki adharm pasand hai? Paap pasand hai ki punya pasand hai? Hamko sudhna hai. Bhagwan se shikayat lekar li ki aapne maya kyon banai hai? Kyonki yah sab maya hi hai. Ye jo aap dekh rahe ho aapka rup bhagwan na banate, aapke hath na banate, aapke nak na banate, aapke aankh na banate to bada nishedhatmak hai.

ab jinke aankh nahi socho aap ek minute aankh band karke dekho. Ab aapko jeevan bhar aise rahna pare to kaisa lagega? Ek ghbarahat paida ho jati hai. Nahi ho jati hai. Ab achchhi-achchhi baten bhagwat charcha ho rahi. Ab hamare kan mein sunai nahi de raha. Kitni badi pura zindagi to bhagwan ne ham par kripa ki karmon ke anusaar ye milta hai hamen kripa ki bhagwan ne ki is janm mein manav deh svasth tumhen de rahe hain. Jao achhche karm karo paropkar karo aur bhajan karke mere ko prapt ho jao. Achhche banne ke liye hamen chans mila hai.

kyonki ham suar ban ke achhche nahi ban sakte. Ham kutta bankar achhche nahi ban sakte. Kyonki usmen itna vivek nahi. Ham manushya bankar achhche ban sakte hain. To bhagwan ne kripa ki hai maya rach ke na ki galti ki hai. Radha Radha Radha Radha Radha maharaj ji shabd likha hai aapke liye Dvapar ki sakhi ko ai ban ke Premanand Dvapar ki sakhi ko ai ban ke Premand Priya pritam mile kaise panth batae rahi hai Krishna hi hai Radha aur Radha hoe Premanand apni kripaluta sare jag ko dikha rahi hai. Chalo bhago luto luto Radha naam dhan sab chalo bhago luto luto Radha naam dhan sab bavri bani wo apno sarvas lutae jai jai sant bhagwan ki jai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi ho itna to kabahu has dehu sunhu kripalu kishori Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi