beta aur bahu donon accha vihaar nahi karte hain man dukhi ho jaata hai kya karu?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
maharaj ji ye prashn kafi sare aise mata-pitaon ka hai. Inheen ka nahi hai ki jaise bete ka shadi kiya. Abhi bahu ai aur phir bahu bete ke paksh mein ho gayi ya beta bahu ke paksh mein ho gaya aur mata-pita se ek rukhapan phir kah rahe hain ki aisi sthiti mein jisko pala posa bada kiya aur jab uski taraf se katuta hoti hai to maharaj ji jab bada hriday vridhi aapki samasya nahi hai bahut mata-pitaon ki samasya hai kyonki bachchhe adhyatma se jab tak nahi judte tab tak unko ye samjh mein nahi aata ki matri devo bhav pitr devo bhav hamare mata-pita hamare are bhagwan hai aisa bhav nahi aata to swarth mein
buddhi malan ho jane ke karan abhi to aap chal pa rahe hain to rukhapan hai aur jab chal nahi payenge to ekdam virodhi bhav aa jaega jab aap khaat par pahunch karenge na unko phenkni padegi na tab galiyan khani padegi koi vishesh shraddwan apne aise mata-pita ki seva kar pata hai nahi to bahu sas ko peet rahi hai beta maa-pita ko mar raha hai ladandon thappadon se to yah jo adhyatma vihin hain jinhone shastr swadhyay nahi kiya jinhone bhajan nahi kiya to unke andar ek asuri buddhi palti rahti hai.
asuri mane raaksasi buddhi aur wah samay ane par raaksasi swaroop prakt yah asuri buddhi hai jo apne mata-pita ko mare pite kasht de unko galiyan de daivi buddhi hai ki unke charan chhue unko bhagwan ki darja de aur unka poshan karen avastha jaisejaise dhalti jae to waise dular karen jaise hamara dular mata-pita ne kiya beta aur bahu bhi to ek din budhe honge haan dekho agar ham apne mata-pita pita ko kasht dete hain to hamare jo putr honge wah hamko usse 100 guna badh ke kasht denge kyonki wah byaj bhi to milega to isliye naye bachchon ko yah dhyan rakhna chahiye ki wah bhi kisi din mata-pita baenge aur wo kisi din wo bhi budhe honge to apne mata-pita ke saath asabhya vihaar nahi karna chahiye.
asuri vihaar nahi karna chahiye. Yar jis kokh se paida hue ho usko tum lat mar rahe ho uski aarti utarni chahiye. Mata to devi hai aur pita bhagwan ka swaroop hai. Aisa bhav par ye bhav tabhi aaenge jab satsang sunoge adhyatma mein chaloge. Agar adhyatma ki baat nahi sunoge to raaksasi bhav hi aayega ki chalo kisi anathalay mein chhod ate hain. Footpath mein chhod ate hain. Aise to hamen lagta hai aaj hamare naujvano ko adhyatma shravan karne ki avshyakta hai. Shastr shravan karen santo ki baat sune jisse samjhe to mata-pita kaun hai?
mata-pita ki aradhna se bhagwan vitthal aaj jo maharashtra mein virajman hai wo mata-pita ki aradhna se hi prakt hue. Pundrik naam ke ek bhagat apne mata-pita ko bhagwan mankar aradhna karte the to bhagwan swayam chalkar darshan dene aae. Jo vitthal rup mein hai na wo swayam darshan dene aae. Mata-pita ki aradhna bhagwan ki aradhna hai. Par kalyugi bachchhe nahi samjh pa rahe hain. Wo apne mata-pita ko dukh de rahe hain to unke bachchhe unko dukh denge. Pakka samjho byaj sahit milega. Yahan sab kuch byaj sahit milta hai.
to Gurudev ye karm to chhutega hi nahi. Bachchon ko unke kiye ka karm mil raha hai. Phir unki to yahi to karm parampara ham aaj tak bhog rahe hain. Jab se srishti hui tab se yahi to bhog rahe hain. Bar-bar janm bar-bar maran bar-bar janm bar-bar maran kahan mukt ho rahe hain ham? Ye karm parampara chali aa rahi hai. Waise dusht hote chale ja rahe hain. Ab ye adhyatma shiksha bachpan se diye hote. Galti inki bhi hai. Aadhunik shiksha hi keval di. Adhyatma ki shiksha nahi di to wo kya jane agar yah shuru se kahte hain chuo pair prat kal uthkar ke roz mummy ke pair chuo hath jodo bade se bade bhai se hath jodo yah sikhaya gaya hai jaise ham log chhote the na kara vaste lakshmi karm Saraswati bole hath chuo dharti ke pair chu chalo amma ke pair chu jake pitaji ke pair chhuo bade bhai jaise aise shiksha to ab wo roz ki dincharya bana di uthe aise aise karte hue amma ke pair chu bole khush raho.
ab jinke roz pair chu rahe hain to hamari sadbhavna ban rahi hai na. Unka ashirwad ban raha hai. Ab kaun bachchha roz mata-pita ke pair chhuta hai? Koi birla hi nahi birla hi hoga. Hamen lagta hai jo roz subah uthkar apne mata-pita ke pair chhue wo satsangi hoga. Bina satsangi ke to mata-pita ke pair mata-pita ko mata-pita man le. Bhagwan na mane kam se kam mata-pita man itni badi baat hai. Waise to bhagwan ka darja diya gaya hai mata-pita ko. Ved kahta hai matri devo bhav pitr devo bhav isliye are ji purv ke karmon ko to ham dekh nahi pate ki kya ane wala hai.
bat kabhi-kabhi parivaar mein jaise mata jo mata-pita hain wo apne bujurgo ke panv chu rahe hain. To yah prabhav bachchhe pe par raha hai. Pdos ke chacha lagte to chacha dandvat kya jaata hai? Sab mein bhagwan virajman hai. Sab mein bhagwan virajman hai. Agar ham apne bhagwan ko chacha tau kah ke dandvat karte to wahi to virajman hai. To isliye hamen lagta hai ki namrata vinay ye hamare samaj mein kam hoti ja rahi hai. Nahi hoti ja rahi hai. Jo padhe likhe bachchhe hain unko vinay hona chahiye. Vidya vinym dadti vidya vinay sabhyta sikhaati hai aur aaj ka padhe likha bachchha asabhya hota ja raha hai.
mata-pita se kaha tum apna dekho ham dekh lenge. Kuch to perentsa bhi abhi na matlab bachchon ko modarna stail se chalna chahte hain thoda bachchon ko hi kyonki khud adhyatma nahi hai maharaj ji isliye wo chahte hain ki jaise ham hai waise hi bachchhe bane aur kyonki bilkul maharaj ji disha vihin unka hi khud ka hi jeevan hai to phir kaise haan modarna life jine ke chakkar mein hote to phir wo modarna bachchhe tatti nahi uthaenge phir tumhen pare rahna pare maharaj ji agar sabko guru ke charan kamlo mein samarpit kar diya jae phir karm bandhan mein dekho dekho jab tak koi samarpit hona nahi chahega to kisi ko samarpit karne se koi samarpan nahi hota.
manushya sharir koi phal phool nahi hai. Wo samarpit nahi hona chahta to hamari takat nahi ki ham usko badal den. Aap badlna chaho to hamari baat man ke aap apne ko badal sakte ho. Bachchon ko vivekvan banane ke liye unko satsang sunao. Unko aap aacharan sikhao. Aur wo dhire-dhire chahe ki ham sant vani sunkar ke sudhre to wo sambhal jaenge. Par ji isiliye shayad pehle gurukulon ka nirman tha ki kuch samay ke liye bachchhe haan mata-pita se alag ho haan to wo bahut achhche bahut achhche parivaar ko chalane wale bante the kyonki gurukulon mein sab adhyatmik aur aadhunik donon shikshaen di jati thi to isliye wo bahut vivekvan hote the.
grahasti ko bhi chalate the aur sanyam se bhi rahte the. Ab aaj ki padhai mein adhnikta to hai lekin adhyatmikta nahi hai. To adhyatmik padhai na hone ke karan vinay ki bahut kami hoti ja rahi hai. Nahi padhe likhe bachchhe vinay se bahut dur hote ja rahe hain. Nahi jitna graduate utna ahankaar hai utna jabki jitna graduate utna saral hona chahiye ki aap bahut padhe-likhe vyakti ki pehchan yahi sabhyta saralta aap gaadi mein baithe bas mein ja rahe hain. Koi bada budha khada hai. Aie dada ji aap baith jaiye.
ham to khade bhi rah sakte hain. Aap to laga padha likha hai. Nahi laga ki padha likha hai. Sabhya aadmi hai to padha likha ka sam sambandh sabhyta aur vinay se hai. Aur aaj sabhyta aur vinay donon gayab ho ja rahe hain. Padhe likhe to bahut log hain. Sabhyta aur vinay ja raha hai. To hamen lagta hai adhyatmik shiksha hi sudhar sakti hai. Gurudev bhagwan ham bachchhe to nadan hai. Unko samjh nahi hai. Unke kalyan ke liye kahin na kahin ham naam jap karke samarpit karen to kya hoga? Haan ho jaega parivartan hoga haan bilkul parivartan hoga aur unko baithaal karke Radha Radha bulwao 10 minute 10 minute Radha Radha bulwao aur naam jap karke unko do to nischit parivartan hoga nischit hoga maharaj ji bat unko bhi aisa lagta hai ki hamare jaan pe aa raha hai ye sab kuch karna ki matlab bata bhi rahe hain ki ham ki ye itna karo tab aap karo aapko naam jab karna padega bat wo phir bhi nahi karna chah rahe ekad din karenge phir hafte baad phir fusla de phir phuslave hafte mein agar ek din bhi karne
lage na to ham hamari baat to manne lage na ham do din karvayenge phir hafta bhar kahne ke baad teen din karvayenge ham dhire-dhire unko sataarg mein dekho bachchon ko khilwad mein bhajan karaya jaata hai dekho tumhare liye ham bal bhog bana rahe hain tab tak tum Radha Radha agar Radha Radha bolna band kiya to nahi milega Radha Radha Radha Radha Radha Radha shuru ho jaenge bachchhe hain aur iske baad phir khalne lage ai Radha Radha Radha Radha Radha aise matlab pyar se dular se aao ham sab baithe hain dekho bhagwan ji ki katha suna rahe suno chupchap baitho.
dekho ye kya sant kah rahe hain. Suno dhire dhire dhire wo anjane mein unka sudhar ho raha hai. Wo na jane to bhi sudhar ho raha hai. Jab garbhsth shishu Prahlad ko narad ji ne updesh kiya to samjh mein aa gayi na Abhimanyu ko updesh kiya arjun ji ne to chakravyuh todna garb se jaan gaye. To garbhsth shishu ko kitna gyan? Wah to ab bahar aa chuka hai. Agar ham sunaenge to uske sanskar badlenge. Uske bhav badlenge.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…