॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab koi apman kare to kaise jane ki kab sahna hai aur kab jawab dena hai ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maneesha sajwani ji Radhehe shri Harivansh maharaj ji maharaj ji jab koi apman kare to kaise samjhe ki kab chup rahna hai sunna hai aur kab jawab dena hai agar hamesha chup rahe to lagta hai samne wala aur bhi aisa karega to maharaj ji aisi mein mariyada nahi bhagwan shankar kah rahe hain apne karm jae apkari Uma kshma saphute bhari agar ham kisi ko kshma kar dete hain to hamari kshma kshma uske upar saanp se bhi zyada dand dene wali ban jaegi. Agar ham chup ho jaate hain to malik hisaab karta hai. Aur jab ham hisaab karte hain to phas jaate hain.

waise koshish karen jab hamara koi apman kare to hamen sahakar wahan se chal dena chahiye. Hisaab bhagwan ke upar chhod dena chahiye. Ladai jhagda karna, marpeet karna, hinsa karna, apne ko bandhan mein dal lena hai. Hamen lagta hai apne ko bachhae. Ek lambe dukh bhogne se accha hai thoda kasht sah le. Jaise koi hamen gali de raha hai, hamen apmanit kar raha hai. Yadi ham usse lad gaye to hamare andar krodh aa sakta hai, marpitai ho sakti hai, report ho sakti hai. Phir ham age bandho mein phaaste chale jaenge. Aur agar ham wo gali diya aur ham chup hue sun ke chal diye to usko gali dene wale ko aisa dand milega samay par ki dobara kisi ko gali nahi dega.

malik bahut ham yahi kai bar charcha kiye hain. Dekho hamare yahan bhi mukadma kai kai varsh chalta rahta hai. Tab hisaab ho pata hai. Jaise koi kes hua to turant thodi hota hai. Bahut kaho char varsh lag jae us kes ke sulajhne mein. Kaho 10 varsh lag jae. To yah to ek desh ki baat hai. Anant bramhandon ka hisaab hai. To hamare prabhu ke yahan kahte hain ki der hai par andher nahi. Kahte hain na thoda der to lagegi ki aapko wo gali diya turant usko chot nahi lagegi par samay ane par aisi chot lagegi ki zindagi mein gali dena bhul jaega.

apne ko sahna chahiye. Zyada virodh aur ladai jhagda aur hinsa aadi karne se ham khud bandhan mein par sakte hain. To hamari salah to yahi hai ki agar koi gali de to chup ho jae. Koi apman kare to sah le apna karm man ke ki koi hamara bigda hua karm hoga. Ab ham to sadhu bhash mein hai to yahi samjhaenge. Ham to yah kahenge ki agar wo gali de raha hai to ham sah jaate hain aur wah hamko apmanit kar raha hai to chupchap chale jaate hain. Hisaab bhagwan ke upar chhod den. Kyonki jitni jelen bhari hisaab karne mein hi to bhari hai.

kahin ham galat kar baithe kahin ham hinsa kar baithe to kanun ka aparadh hamara ban jaega. Kanun ke virudh hamare aacharan ban jaenge. To ham bhi aparadhi mane jaenge. To isliye ham mare pite nahi hinsa na karen krodh na karen sah jae bhagwan se prarthna karen ki he bhagwan uski bhi buddhi shuddh kar do uchit to yah hai ki ham uske liye bhi accha soche ki bhagwan agar aap iski buddhi shuddh kar do to gali dena band kar de. Yah bhi ek accha aadmi ban jae to aap iski buddhi shuddh kar do. Ham to yahi prarthna karenge ki bhagwan sabki buddhi shuddh karen.

ladai jhagda na ho. Ek dusre ka apman na ho. Ek dusre ko dukh dene wale vachan na bole jae. Par aaj nak mein gussa rakha hai sabke. Nak mein gussa jara sa dhakka lag jae to aadmi aadmi ke upar ekdam tut parta hai. Ho sakta hai wo balance bigad gaya. Uska dhakka lag gaya to apne ko bolna hai koi baat nahi. Koi baat nahi. Aap sambhlie aur age badhie. Lekin jara jara si baat mein kyonki khanpan sahi nahi hai. Tamoguni bhojan hai. Tamoguni vichar hai to jara mein gussa aa jaata hai. Hamen sahan karna chahiye.

sahan mein bahut anand hai. Jab hamen sahan na ho to ro dena chahiye bhagwan ke samne. Prabhu ham to asmarth hain. Aap samarth ho aap dekh lo. Wo jab dekh lenge na to bahut achchhi tarah dekh lenge. To yadi ham karm bura karte hain to char din bhale ham chamak le. Iske baad hamko girna padega. To bura karm ka bura phal bhogna padega. Achhche karm ka accha phal to wah tumhare saath bura kar raha hai. Tum uske saath accha karo to tumhen accha sukh milega aur wah parinaam mein dukh bhogega. Yah siddhant hai aur ladai jhagda karoge to jaise wo aparadhi waise aap aparadh kar rahe ho to phir usko dand bhagwan kyon denge?

phir to aap bhi aparadhi kar usne gali diya. Aapne gali de diya. Usne virodh kiya. Aapne virodh kiya. Uchit baat hai ham virodh na karen. Ham gali na de ham sah

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi