॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1018 · 31 August 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai shivartha agarh se Gurudev bhagwan aapke charnon mein koti-koti naman maharaj ji mera prashn hai ki aapne ekantik vartalaap mein ek bar bataya tha ki aapko ek sadhu mahatma ji ne bataya tha ki bachchha jaisa banna hai vaisa socho jaisa sochoge waise ban jaoge.

to maharaj ji aapne bola tha ki hamne yah baat apni diary mein likh li thi. To maharaj ji aapne apni diary mein aur kya-kya likha hai maharaj ji hamko batayen bhai wo personal diary hai. Santo santo se jo suna jo anubhav hua wo do diary banai. Ek sanyaas ki diary hai aur ek vaishnav marg mein jab chale to iski diary ab kai varsho se kuch nahi likhte nahi pehle kuch na kuch ab to bas shant ab kiske liye likhe kya likha padhi karen ab to bas jo samjh mein aa gaya hai ki har samay prabhu ka chintan karna hai to jahan ekant baithe bas shant prabhu ka likha padhi donon band ho gayi hai maharaj ji hamne wo diary padhi hai hamen lagta hai ki wahi usi ke sutro ka vistar kar rahe rahe hain vivid prashan ke madhyam uske uttar deke maharaj ji wahi satsang hazaron ghanton ka aapka pravachan hai wahi sutro ka vistar hai maharaj ji kyonki jitne bhi sutra usmen likhe hain wahi vistar mein aap uska naam jab haan de diya tha kuch din ke liye in logon ko de diya tha ki aap log jo chaho number utar lo apne jeevan mein usi se kalyan hoga kyonki usmen santo ke vachan hai jo bhramn karte rahe jahan jo sant bole wahi likh liya to santo ki yathavat baat mani jae to kabhi maya mein phas nahi sakte.

yathavat baat mani jae. Kabhi maya mein nahi phas sakte. Mera prashn ye ismen ye bhi tha jaise ki ham sansaar mein rahte hain to ham jitne bhi sansaar wale hain wo bhagwan se judne ke liye aisa kya likhe jo aapne diary mein likha hai us tarike se kuch aap bata dijiye. Hamare jo aap vicharon ko bata agar aap ekantik ko sunoge to ye sahi baat kah rahe hain. Sab diary ke hain. Ekantik mein jo dekho ham bachchha tumhen sabse bata rahe hain. Ham zyada padhe likhe nahi hain. Ham kaksha nau padhe hain. Ganv ke school mein bas iske age hamne nahi padha.

koi vyakaran Shastri ya kuch kuch nahi aur bhagwan ki sharan mein hokar manga khaya aur nirantar bhajan karne ka abhyaas kiya. Aaj jo aap log labh le rahe ho wo hamen lagta hai sadhuta ka le rahe ho. Jo sant mahatmaon se suna sikha anubhav kiya wo baten aapko bata rahe hain saral bhasha mein. To hamen lagta hai padhe badhiya hai par padh ke chale usi marg pe aur jo unko padhna nahi aata wo hamari tarah jaise ham gawar hain bas Radha Radha Radha Radha Radha pahunch jaoge dekho mara mara kah ke jab wo jit gaye maya par vijay prapt kar li to ham Ram Ram kah ke jit le jaenge to Radha Radha japo achhche aacharan karo pavitra bhojan karo mata-pita pita parivaar ki seva karo.

isi se kalyan ho jaega. Isi se kalyan ho jaega. Apne parivaar ko bhagwan ka swaroop samjho. Ab mata-pita se prem nahi, bhai bhai ka prem nahi, parivaar mein prem nahi, ladai jhagda, hinsa ye sab khub achhche achhche se jio. Manushya janm achhche se jine ke liye mila hai. Ye gande aacharan, ganda bhojan, ganda vihaar theek nahi. Ji ayush Garg ji namaskaar. Maharaj ji main jeevan mein us mukam par pahunch chuka hoon jahan yadi koi aur hota to wah atyant prasann hota. Mere jeevan mein pragti bhi ho rahi hai lekin phir bhi mere bhitar sachchi prasannata ka anubhav nahi hota.

maharaj ji yah antarik anand kyon nahi aa raha aur ise kaise prapt kiya ja sakta hai? Prakriti ke pado mein ya prakriti ke bhogon mein ya prakriti rupi sampatti mein anand hai hi nahi to aapko kaise mil jaega? Bhram se anand lag raha hai. Anand to paramatma mein hai. Koi kisi bhi pad mein ho agar uske hriday ka aaj tak koi ultrasound nikra nahi. Nahi to kiya jae to aapko dikha den ham ki dekho kitna asantusht hai. Yah kitna jal raha hai. Thodi der ke liye garv hota hai ki main amuk paddhikari hoon.

par usse koi sukh to nahi milta na. Sukh to bhagwan mein hai. Sacchidanand prabhu ka jab ham sumiran karte hain jab unse chitt jodte hain to kuch na ho. Dekho jo bhagwan ke marg mein chale to bade-bade raja maharaja apne rajpat ko chhodkar bhikh mangkar khaya aur ekant jangal mein sevan kiye. Kyon? Agar usmen sab sukh tha to aisa kyon? Jaise bharatri ji maharaj chakravarti samrat the. Bharat ji maharaj chakravarti samrat sab chhodkar gandki nadi ke kinare bhagwan ka bhajan to ham yah nahi kahte ki sab chodo. Lekin sab karte hue Radha Radha to rat sakte ho na.

mans mat khao. Kisi jeev ka mans mat khao. Madira mat piyo. Parai bahan betikon ki taraf gandi drishti mat karo aur naam jap karo. Phir dekho aapko anand milta hai ki nahi? Kaisa hriday prasann hota hai. Aap accha accha padaarth kha lo. Ek din ye dekho aur ek din kisi gali mein bhukhe baithe hue kutte ko hi chahiye. Kisi ko bhi, manushya ko, kisi ko bhi bharpet bhojan parwa do. Phir dekho aapko kaisa lagta hai. Accha accha padaarth khane par bhi aapko wo shanti nahi mili jo aap dusre ko jab pavaya aur wo aise kiya na aise to aapke hriday mein jo sheetalata hogi wo hogi bhagvatik.

bina adhyatmik sukh ke man shant nahi ho sakta. Hamara man ek avyakt prem ki taraf badhta ja raha hai. Ham jis vyakti vastu sthan se prem karte hain wahan se wo hat jaata hai. Nahi hat jaata hai. Thode din to lagega. Thode din jaise naya-naya koi bhi purush stri mile, samaj mile, pad mile, paisa to ek thode din to lagega. Phir iske baad wahan se anamna ho jaega. Phir wah dusra chahega. Kyonki usko jo chahiye wah mil hi nahi raha. Usko chahiye akhand anand, usko chahiye prem, usko chahiye shanti, ekdam anand.

aur yah keval bhagwan mein milta hai. Ye rupya paisa mein nahi milta. Rupya paisa mein badhiya shanti hai. Kahin bhi agar sukh shanti hai to bhagwan ke naam aur bhagwan ke charnon mein hai. Ye rupya paisa nana prakaar ki ye sab manoranjan hai. Lekin man vishram wahin payega jahan anant sukh ka aur anant sukh bhagwan mein hai aur ant wala sukh yahan hai. Har sukh ka ant hai ki nahi ismen? Bhai bahut bhookh lagi to bhojan badhiya laga lekin pate pate ant hoga na bhojan ka pate hi thodi rahoge thodi der ke baad phir wahi padaarth aapko diya jae jo bahut badhiya hai aap kahoge bas yar agar thodi jagah hai to thoda le liya aur phir iske baad kahoge bas gussa aa jaegi agar phir dal de to wo uth ke chal dega matlab itni aruci ho jaegi har bhog ka ant hai to ant wale bhogon mein jo sukh hai wo ant wala hai aur hamara hamara man bhagwan ka ansh hai.

yah anant sukh chahta hai. Asim sukh chahta hai. Prem chahta hai. Shanti chahta hai. Yah to sirf bhagwan se milegi. Sansaar mein to hai nahi. Kyon? Aaj tak batao koi dhan prapt karke shanti paya ho to hamen batao. Kuch na kuch dhan to sabke paas hai. Shanti mili kya? Parivaar mein prem hai kya? Kahin moh ho sakta hai prem nahi. Kahan anand hai? Vichar karke dekho. Ab log anand manane ke liye party karte hain. Party mein sharab pite hain aur gande bhav prakt hote hain. Unse inme anand hai kya? Anand hai atma ka.

aatmand bahari kisi nashe mein anand thodi dekho nashebaj aadmi barbad ho jaata hai to bhai kuch bhi unnati ho wah sansarik hai aur wo nashvan hai aaj nahi to kal wah mit jane wali hai agar anand hai to shri bhagwan ke charnon mein hai priyal ke charnon mein hai isliye shri ji ka naam jap karo aur jitna ban sake paropkar karo dusron ka hit karo isi mein anand ki prapti hai. Maharaj ji ek to praarabdh anusaar jaise aapne bola ki bahut dhan aa gaya aur ek mukam pe bhi pahunch gaye usko kaise bhog karen taki akhand prasannata bani rahe aur dusra hai ek hai praarabdh anusaar kuch nahi hai aur vyavahrik buddhi hone ke karan keval dhan mein hi sukh mil raha hai to usko anand mein kaise tabdeel karen dekho jiske paas bahut dhan aa jae usko paropkar karna chahiye swayam bhog ki zyada vritti na rakhen aspataal jahan bimar logon ko free dawa di jati ho un aspatalon mein achhche doctor achchhi aushadhi inki vyvastha karen yadi paryapt dhan hai gaun ki gaushala khulwa den unko bhojan vyvastha bahut se aise log hain jo avyavasthit hain budhe hain kuch kar nahi sakte apang hain aise logon ki vyvastha kar de dhan ka karya hai dusron ko sukh pahunchana so dhan dhanya pratham gati jaki jo in karyo mein lagta hai wah dhan dhanya ho jaata hai.

sadhu mahatmaon ki seva, bhagwan ki seva, atithi seva aur anathon ki seva aise jahan dikhayee de wo bhagwan sab de dete hain. Avsar de dete hain seva ka aur jinke paas dhan nahi hai. Unke paas sharir to hai na. Sharir se seva karen. Aur bhagwan ka naam jap karne se dhan ki trishna nasht ho jati hai. Dhan ho ya na ho wah jitne mein usmen raji hone lagta hai. Dekho kisi sant ne kaha hai sain itna dijiye ja mein kutumb samae aur main bhi bhukha na rahun. Sadhu na bhukha jae. Kitni badhiya baat hai. He bhagwan itna de do ki jo aapne parivaar diya hai wah achhche se kha pi le.

kabhi koi hamare darwaze se bhukha na jae. To kitni badhiya santosh ki baat kah raha hai ki sain itna dijiye ja mein kutumb samae. Main bhi bhukha na rahun aur sadhu na bhukha jae. To hamen lagta hai ki bhagwan prayah prayah wo anant bramhandon ke jeevan ko bhi bhukhe nahi rakhte. Ab hamara karm hi bahut bigda ho to baat alag hai. Nahi pashu pakshi jalchar bhumi mein rahne wale kitne jeev sabko bhagwan ahar dete hain. Sabka pet bhagwan bharte hain. To bhagwan ke bhajan mein itni samarth hai ki wo dhan ki trishna ka nash kar degi aur dusron ki seva mein itni samarth hai ki dhan ko sarthak kar degi.

aapke paas jo dhan hai wo sarthak ho jaega. Nahi to kya jana to hai hi acharya itne karod bank mein jama kar lo. Jab maroge to chavanni thodi jaegi aur agar aapne usse kisi ka hit kar diya hai, kisi ko ek bar bhojan bhi pawa diya hai, wah aapka punya ban gaya. Wo aapke saath jaega. Jo dusron ki seva ki jati hai, wo hamare saath jaega. Bhagwan ka naam saath jaega. Gauri Mishra ji Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jeevan mein hamare chunav hi bhagya aur disha ko nirdhrit karte hain. Kai bar koi chunav kisi bhi nirnay lena wo hamari age ki disha ka ki ham bhakti marg pe ja rahe hain ya ek sansaar ke kisi bhi karya mein kar rahe hain.

kai bar jeevan mein do rahon par manushya khada hota hai. Ek or man ki chah aur swapna hote hain aur dusri or paristhitiyon ke anukul chalne ki avshyakta hoti hai. Aise mein kis raah ko chunav karen maharaj ji aise kaise nirdhrit karen? Dekho nirdhrit to dharm ko sakshi karke kiya jaata hai. Man ko sakshi karke nahi. Man to bahut chanchal hai. Wo to galat nirnay bhi de sakta hai. Galat nirnay deta hai. Hamare jeevan mein dekho jitni galtiya hui isi ke nirnay se to hui. To man ko to ham dharm ke nirnay ke adhin rakhne se man sahi rahega.

ab dharm kya hai? Yah janne ke liye hamen shastron ka swadhyay karna hai. Santo ki vani sunni hai. Tab hamen pata chalega hamara dharm kya hai aur dharm ke adhar par hamara nirnay hona chahiye. Tab hamara man sahi marg mein chalega. Viparit paristhitiyan ya anukul paristhitiyan us samay hamara dharm kya hai? Viparit paristhiti to ab hamara dharm kya hai? Anukul paristhiti to ab hamara dharm kya hai? To dharm ke bina jane to baat banegi nahi. Aur dharm ko janne ke liye do hi hai. Ya to santo ka satsang karen aur ya shastron ka swadhyay karen.

sad granthon ka ham swadhyay karen to pata chalega manushya ka dharm kya hai? Alag-alag dharm hai na? Ek pati ka dharm kya hai? Ek putr ka dharm kya hai? Ek bhai ka dharm kya hai? Ek pita ka dharm kya hai? Ek samaj mein rahne ka dharm kya hai? Alag-alag hai na? Hamare manav deh mein bahut se dharm hai. Ek hi vyakti kai dharmon ka palan karta hai. Pita putr parivaar ke vivid dharmon ka aur samaj ka bhi palan karta hai. To hamen gyan hona chahiye ki pati ka kya dharm hai? Putr ka kya dharm hai?

ek samaj mein rahne ka hamara kya dharm hai? Aur hamare janm lene ka kya uddeshya hai? Yah sab gyan satsang ke dwara aur shastr swadhyay ke dwara hoga. Yadi ham shastr swadhyay karen, satsang karen to hamari buddhi praveen ho jaegi. Usmen vivek aa jaega aur vivek se ham man ko sanyam mein lekar dharm purvak apne jeevan ki yatra chalaen aur dekho jeevan ki yatra mein do baten sabke jeevan mein aati hain. Vipatti aur sampatti sukh aur dukh labh aur hani ye sabke jeevan mein koi aisa nahi kah sakta ki mere jeevan mein nahi chahe sadhu mahatma hi kyon na ho.

kabhi man aata hai, kabhi apman aata hai, kabhi ninda hoti hai, kabhi prashansha hoti hai. To hamko bahut sambhal ke chalna hai. Apni buddhi mein vivek jagrit karke jaise hamen sukh badha to hamen control karna hai man ko. Sukh mein kahin galat bahak na jae. Dukh badha to hamen usko bahut sambhalna hai. Kahin dukh mein dubkar nirash na ho jae. Vivek ke dwara sambhal karke hamen yatra chalani hai. Bada sangharshamay manushya jeevan hai. Sukhdukh ke thapde ate rahte hain. Aur ismen bhagwan ka yadi aashray hai to ham bach jaenge. Nahi ye bhavsagar hamen dubo dega.

yah bhav samudra sansaar hai. To ham dharm ko samne rakhkar chale to sukhdukh vipatti sampatti mein sahi nirnay ham kar payenge. Aur jab dharm hi nahi jante to man ke anusaar chalne par to galat ho sakta hai kyonki man galat salah de deta hai. Yah bahut chanchal hai. Yah kabhi kuch bhi salah de sakta hai. Shobhit Agarwal ji guru gram Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji gita ji ke 18va adhyay ke panchav shlok mein shri Krishna bhagwan arjun ji se kahte hain ki yagya dan aur tap rupi karmon ka tyag nahi karna chahiye. Ye tino hi karm maneeshyon ko pavan karne wale hain.

mera sanshay yah hai ki yahan par bhagwan kis prakaar ke yagya, dan aur tap ka varnan kar rahe hain aur is kalikaal mein ek samannya vyakti jo grahastha jeevan mein rahta ho wo in shikshaon ko kis prakaar samjhe aur apne nitya jeevan mein utare kiska prashn hai? Yagya naam jap yagya yagno mein sabse bade yagya kaun hai? Jap yagya hai. Bhagwan ne swayam kaha hai yagya naam jap y shastron mein padha hai abhay dan se badhkar koi dan nahi hai. Aur indriyon ka vikar grast hokar adharm purvak bhogon mein jana unko rok lena jane se to jo jalan hoti hai usko sah lena isse bada koi tap nahi hai.

ab grihasth dharm mein panch yagya aadi ka shastr adesh karte hain. Jaise bhojan bana to agni mein ahuti dena ek yagya hai. Kisi ke mukh mein bhojan pawa dena atithi sadhu mahatma bhikshuk koi mile kuch ek do roti lekar ke chidiya aadi ko dal dena chhath mein gau ko gras nikal dena. Atithi sevan, sadhu sevan, gau sevan, pashu pakshi aadi ko bhojan yah sab yagya ke antargat hi aata hai. Aur sabse badi yagya jap yagya. To naam jap karte hue grahasti mein aisa karen. Pahli roti gau ke liye nikal de. Dusri mein jo hai pakshi ke liye phir jab bhojan ban jae to bhagwan ko arpit karke ek bar darwaze ke bahar nikalna chahiye.

koi pashu pakshi koi bhukha to nahi baitha hua hai. Agar kutta bhi baitha hai to ek roti dal diya ke agar koi aisa hai to usko bhojan de. Yah yagya hai. Kyonki ham vaishwanro bhutwa prani naam deh mashta bhagwan kahte hain main vaishwanar agni ke rup mein samasth praniyon ke udar mein virajman hoon. Wahi to pachate hain. Jo dan hai jaise ham dharm purvak ₹100 kamae to ₹90 ham apne prayog mein rakhen aur ₹1 ka ham dharmik karyo mein prayog yah dharm purvak kamae hue ki baat hai. Adharm purvak kamae hue rupaye ka dan sahi nahi rahta.

jaise aapne paap karke kamae aur aapne rupaye kisi sant ko diye. Ab wah paisa jakar unki buddhi ko bhrasht karega. Kyonki paap ka paisa hai na unki buddhi ko galat chintan karwaega. To jahan wo bhajan kar rahe the wahan aapka paisa galat chintan karaya to pehle paisa paap se kamaya aur dusra sant ki buddhi ka parivartan karne ka paap mila. Unke bhajan mein vighna para. Isliye dan shabd jo hai wah sahi yah hai ki ham mehnat se ₹100 kamae. Dharm purvak ham ₹100 kamae. Usmen ham ₹1 koi atithi hai, bimar hai, sant mahatma hai, kisi ki seva mein laga sakte hain.

lagana chahiye. Apne dhan ka dashansh dharm mein lagane ka shastr adesh karta hai. Santo ne kaha hai ki aisa karna chahiye ki agar hamare paas lakho rupya hai to usse kuch rupya devalay dev mandir banva den. Sant seva kar den aushdhalay banva den. Kisi bimar ko free seva kar den. Koi bhukhe ko bhojan de den. Kisi ko kapde nahi kapde de den. Par dhan dene mein thoda vichar karen. Agar wah dhan diya usne sharab piya ganda kam kiya to uske bhageedar aap baenge. Dhan wahin de jahan hamara prichay hai ki yah hamare dhan ka durpayog nahi karenge.

bhojan sabko de de vastr bhi aushadhi bhi. Lekin dhan usi ko de jahan prichay hai pakka ki yah hamare dhan ka durpayog nahi karega. To grahasti mein dan karna. Yah dan dusri pahla dan abhay dan. Kisi ko bhi ham dand nahi denge. Abhaydan koi kitna bhi aparadh karen abhaydan se badhkar koi dan nahi jaise jap se badhkar koi yagya nahi aise abhay dan se badhkar koi dan nahi aur tap yam hi na vyathte pursham purush gita ji mein likha hai yam hi na vyathte pursham purush jo man hamara kah raha hai aaj ham ye khaenge ye dekhenge ye bhogenge agar use na mile to jalata hai us tap ko jalan ko tap kahte us tap ko jo sah jaata hai wahi tapasvi hai.

bahari panch agniyon ko tapna, jal mein thandi mein khade ho jana. Is tarah ke vani ka maun rakhna kai tarah ke tap kiye jaate hain. Lekin sabse bada tap hai apne dharm mein chalne se jo kasht mil raha hai us kasht ko anand purvak sahna. Ise tap kahte hain. To yagya dan aur tap. Iska bhav yah hai ki ham bhagwan ki sharan tak pahunche. Agar yagya dan aur tap hi keval hua aur bhagwan ke charnon tak ham nahi pahunche to inka sabka phal swarg lok mahar lok janok tap lok aur yah sab nashvan hai. Bhagwan ki prapti ho jae wahi sadhna dhanya hai.

isiliye bhagwan ne gita ji mein personal baat kahi arjun ji se sarwadharman parityaj mamekam sharanam braj kyonki akhiri lakshya bhagwan ki sharan agar bhagwan ki sharan mein nahi hue to sab kya karaya man lo char din ek swapnik sukh ki tarah swarg ka sukh liya phir mrityu lok mein aa gaye to baat to bani nahi baat tab banegi jab hamara aavagaman mit jae bhagwan ki prapti ho jae isliye naam jap rupi yagya karo abhaydan aur jo annadan dhan dan jaisa bane wah karo aur sabke prati bhagwat bhav rakhte hue jo hamen kasht de use ham sah le chahe kam kasht de chahe krodh de chahe lobh de chahe moh de wahi sabse badi tapasya hai samjh paye aap neena Garg ji punjab se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki bhakt aur rasik mein kya antar hai?

bhakt hai phal aur rasik hai uska ras. Jab bhakt paripakva ras mein doob jaata hai to use ras kahte hain. Jaise aam hai to aam mein ras hai lekin kab aata hai? Jab pak jaata hai pak jaata hai tabhi to to bhakt jab paripakva ho jaata hai to wahi rasik ho jaata hai jab usmen ras ka pradurbhav hota hai Priya pritam ke charnarvind ka prem ras ras hi ki murt do rasik ladli lal jab tak ham aur bhagwan hain tab tak bhakt hai aur jab hamara bhav Priya pritam mein doob jae Priya pritam ke sukh mein doob jae Priya pritam ki seva mein doob jae.

apni sudh na rahe to use rasik kahte hain. Rasik tab pahchanie jake yah ras riti chhin chhin hi mein upje lal ladli priti Priya pritam ke charnon mein pratikshan vardhmaan prem unki rup madhuri jhalak rahi hai. Usi mein duba hua use rasik kahte hain. Rasik sabse badi padvi hai. Jo rasik jan hai wah sabse bade hain. Bhakt kabhi apne sankat nivitti ke liye bhagwan se prarthna karta hai. Kabhi arth ke liye prarthna karta hai. Vivid prakaar lekin rasik Priya pritam ko ashirwad dete hain. Aur unke sukh ke liye har samay chintan karte hain.

kaise ladli lal ko sukh pahunchave? Ab yahan apne hi sukh mein fursat nahi to ladli lal ke sukh ki baat kya ye to bahut unchi baat hai na. Isiliye bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina kuch samjh sake na. Bhagwat rasik ji kahte hain bina rasik ke koi rasik ki baat nahi samjh sakta. To bhagwan ke prem ras mein duba hua rasik kahlata hai. Jo ladli lal ke prem ras mein duba hai wahi rasik hai. Sheeraj ji Kanada se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya aprakat sant maharaj ji se mansik rup se diksha mil sakti hai?

yadi haan to hamen kaise gyaat hoga ki unke dwara kaun se niyam diye? Bahut kathin baat hai jo mahapurush aprakat ho chuke hain aur wah prabhumay ho gaye jaise tarang samudra mein leen ho gaye yah gyan margi santo ka hota hai aur Priya pritam ke bhav mein deh prapt karke bhav deh unki seva mein ab unka akarshan kar lena wo man lo ras ka hai to Priya pritam ki seva se hatkar ke unka chitt hamari taraf aa jae aur wah hamko apna shishya sweekar karen. Yah bahut badi baat hai. Isiliye bhagwan ki prerna se har sampraday mein acharya rup mein prakt hue hain.

to acharya parampara se prapt mantr ham kisi pragat sant se le. Hamari itni samarth nahi ki ham lalitaju ka akarshan karke unse mantr le len. Bhai hoe kisi ki to le lo. Hamen to pragat guru ki kripa mili hai. Pragat guru ke charnon se mantr mila hai. Unhin ke charnon ka aashray liye hain. Ab aisa koi siddh purush ye to siddh purush hota hai. Sadhuk thodi hota hai ki chintan kiya aur Lalita ji akar mantr de gayi. Vishakha ji akar mantr de gayi. Nahi to sahjta ke liye Lalita ji ka avatar Swami haridas jo hai.

haridas ji ki parampara mein jo mantr Lalita ka hi hai. Unki sharan mein gaye rijha liya unse mantr le liya ko bhajan karen. Pragat mein itna chintan karke ki ham lalitaju ko ham vishakhaju se baat kar sake. Ye bahut kathin baat hai. Bahut kathin baat. Bina priyaju ki kripa ke sambhav nahi hai. To ham pragat mahapurushon ka aashray le le. Unhin ki parampara se to hamen lagta hai wahi mantr mil jaega jo unhone diya hai. Kyon kiska prashn hai? Haan aap dekh lo. Vandna ji punjab se dada vallabh shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapki kripa se 84 ji ke pad yad kar liye hain.

niyamit unka gayan bhi karte hain. Bat bhajan upasna mein aisa lag raha hai ki age nahi badh pa rahe aur shri ji ke liye jo pyar jagrit hona chahiye. Wo abhi hriday mein jalan hi hoti hai maharaj ji. Hamen iski chinta nahi karni. Hamen apne samay ko sarthak karna hai. Pahla niyam andar se yah banao ki hamara 24 ghante mein kitna samay shri ji ko samarpit hota hai. Kabhi naam jap ke kabhi 84 ji ka path karke kabhi asht yam seva mein jo bhi aam kar pave shri ji ka seva karke hamko 24 ghante satat shri ji mein lage rahna hai.

bas age hamen nahi dekhna ki hamare prem prakt nahi ho raha. Wah jab hamare paap nasht ho jaenge, jab hamare karm bandhan kat jaenge to apne aap prem prakashit ho jaega. Hamen chalte rahna hai. Hamko ubna nahi ki chaturasi ji se hamen koi ras nahi mil raha. Naam jap karne se hamara koi labh nahi mil raha. Yah sab nahi dekhna hota. Chupchap chalte raho. Satya marg hai. Jab wah hamare karm bandhan vidhvans kar dega bhajan to andar se prem prakt ho jaega. Ab uske liye ek dirgh kal tak hamen lage rahna padega.

ab ye nahi ki char din path karen hamen nitya vihar nahi dikhayee de raha. Hamen koi prem nahi aa raha. Aisa na soche. Uday jaise ek din ek se 84 pad aur dusre din 84 se ek pad. Aise karna kya uchit hoga? Koi baat nahi hai wo to pad to pad hai chahe aap aaj dekh to pyari se joi pyaro aur jo pyaro se aaj dekh to pyari pad to wahi hai aap gao age banega age banega aap aise chalte rahie aise chalte rahie hamko bhi varsho samjh mein nahi aaya tha guru ji ne kaha tha roz path karo to ham path karte the par hamara koi bhav nahi samjh mein aa raha tha aap to grihasth mein ham to sanyaas marg mein the guru agyaa thi aap path karte ho aur phir wahi swad ane lagta hai phir usi mein hamari asakti ho jati hai chupchap karte raho punam thakur ji punjab se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek sadhak apne antarman ko kaise apne Gurudev ke antwar mein mila sakta hai jab brahmaakar vritti hoti bhagwadakaar vritti hoti hai tab aisi samarth aati hai aise thodi ki abhi to man vishyon mein mila hua hai abhi to man sharir mein mila hua hai.

abhi to man sansaar mein mila hua hai. Jab man mein bhagwadakaar vritti to us vritti se agar guru ki taraf dekha to jo unke chal raha hai wahi uske man mein aa jaega. Abhi to aap apne man ki puri baat nahi jante hain. Kya-kya tumhare man mein hai. Phir guru ke man ki baat guru mein man mila dena bahut badi baat hoti hai. To ham bhajan karte rahe naam jap karte rahe. Thakur seva karte rahe. Koi galat aacharan na ho to dhire-dhire hamara man shuddh hoga aur shuddh man hi guru ko samarpit hota hai. Nirmal man jan so mohi pava bhagwan kahte hain na to isliye shabeena bansal ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera sawal hai ki shri ji ki kripa se jis din hamara naam jap pura din chalta hai us din man mein ye bhav aa jaata hai ki hamne aaj pura din jap kiya kya ye abhiman hai?

usmen aisa bhav le aao aaj bhagwan ki vishesh kripa rahe. Kiska prashn hai? Usmen aisa bhav le aao ki aaj bhagwan ki vishesh kripa rahi ki din bhar naam jap karwaya prabhu aise roz ham par kripa karo ki aapka naam sumiran to abhiman ane ka sawal nahi. Maine kiya to phir abhiman to aa hi jaega. Prabhu ki kripa se hua to dainyta aayegi. Prabhu se prem badhega aur maine kiya to abhiman aayega aur phir wah kahin na kahin gira dega. Isliye aisa deepak ji meri maharani shri Harivansh maharaj ji Gurudev bhagwan pata nahi jane anjane mein is adam se kaun sa aparadh ban gaya hai ki kuch kuch bhi theek se nahi ho pa raha.

naam jap bhi theek nahi chal pa raha. Mantr bhi nahi aur maharaj ji andar andar se bahut jalan si ho rahi hai. Negative vichar aa rahe hain. Maharaj ji kisi sant ke prati aapka koi bhav bigad gaya kya? Kuch samjh mein nahi aaya. Nahi yah samjhna hoga dhairya purvak ki kisi sant ki ninda sun li kisi sant ki ninda kar di ya kisi sant ki avagya ho gayi tabhi aisi sthiti hoti hai ek do din sthiti rahe aisi to bhojan se bhi ho sakti hai galat bhojan hone par aisa ho sakta hai aur agar yah kai din sthiti rahti hai to ye vaishnav aparadh se hoti hai kuch anjane mein kuch pata nahi ho gaya ho to Gurudev waise to jane mein to kuch nahi aisa samjh mein nahi aa raha aapko to aap shri ji se prarthna karo ki main man vachan karm se ham jo kah rahe hain man vachan karm se he ladli jo aapka das hoon ekant mein agar hamare dwara kahin bhi kisi ka koi aparadh bana hai to shri ji aap hi jano aap hi kshma karo aur mera man bhajan mein lag jae aisi kripa karo unhin se bahut kripalu ladli hai to shri ji ki kripa se kuch thoda sa ban gaya tha Gurudev lekin ab jab se kuch din se krodh ane laga to ho jae nahi ye sare lakshan vaishnav aparadh ke hain.

ab kahan se hua aapka abhi ab aap jane kahin na kahin matlab to aap andar se shri ji se prarthna karen aur samasth vaishnnon ko ki jane anjane mein hamse jo aparadh bana ho bhutla ke samasth pragat aprakat samasth santo ke vaishnnon ke charnon mein pranam hai. Aisa ekant mein aur naam japne ka prayas karo. Pawan kumar ji hamari bhasha maharaj ji vihaar mein rahkar shri ji ke anannya hua ja sakta hai kya? Kyon nahi wahan ja sakta vihaar mein rah ke kyon nahi vihaar ki kriyaen hain hriday thodi vihaar hai kar se karm karo vidhi nana man rakho jahan kripa nidhana kya pareshani hai sav man Krishna padarwind ham sevae kar rahe hain Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna kya pareshani hai prem to hriday ka guh vishay hai seva kuch bhi ho bahut se aise bhakt hue hain jo grihasth mein sansarik seva karte hue badi uchh koti ki avastha adhyatma ki prapti ki.

to aisa nahi kaha ja sakta ki sansaar ke karya karte hue ham bhagwan ko nahi prapt kar sakte. Nahi prapt kar sakte hain. Bas savdhani ye rahe ki hamse kisi ka bura na ho aur naam jap ho. Do baten pakar le ki hamara jeevan aisa hona chahiye ki hamare dwara kisi ko dukh na pahunche. Burai na ho. Kisi ka ahit na ho aur naam jap sab sudhar jaega sab theek ho jaega Gurudev bhagwan pehle aapki kripa se pratdin ek lakh naam jap deli hota tha lekin phir jab aapne bola na shri ji naam sankhya jo prasann nahi hoti hai wo naam likhne ka use abhyaas karo to wo koshish kiya teen char din to bahut achchhi tarika se chala lekin phir achanak se jab maya ne prabhav dala to 1 lakh se sidha 10 hazar pe aa gaye abhi phir aapke satsang wapas se wahi are wo to aisa prabhav 10,000 to jap rahe ho 1 lakh se 10 bar bhi jap raha hai bas mushkil kar de bhagwan ki bahut vichitra lubhavavni mano mohak maya hai.

ramaiya ke dulhan lute bazar. Kabir das ji ne likha hai ramaiya ke dulhan arthat maya bhagwan mayapati hai na to ramaiya ke dulhan lute bazar. Bade bado ko shiv viranchika moh kohe bura as jaan bhuji mayapati bhagwan. Aapki kripa se ek sidha hai ki naam ke bal se shri ji ka nahi ho uski thesak se shri ji haan naam jap karo par karte raho naam jap dori hai agar dori nahi rahegi to patang nahi pakar paoge dori hath mein hai to patang mil jaegi naam dori hai aur prabhu patang hai jaenge kahan meenakshi dangi ji Lucknow se Radhehe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki shiv ji ki aradhna mein bhakt ko sabse pehle kya anubhav hona chahiye shanti bhakti bhakti ya vairagya shraddha aur vishwas sabse pahla sopan hai shraddha phir hai vishwas phir age sansaar se vairagya phir prabhu ke charnon mein anurag aur phir agar moksh chahta hai to moksh prem chahta hai to prem marg mein chala jaega par sabse pahli sidhi hai shraddha phir hai vishwas dridh vishwas bhagwan ke charnon mein tab phir anubhutiyan shuru hoti hain.

jab pehle dridh vishwas hona hi kathin hai. Bhagwan ke charnon mein vishwas hona kathin hai. Maya aise aise leela kar deti hai. To hamen lagta hai pata nahi bhagwan hai bhi ki nahi. Bhagwan hamari baat sunte hain ki nahi sunte. Bhagwan hamari baat banayenge ki nahi banayenge. Kai tarah ke aise sanshay aa jaate hain to hamara vishwas tutne lagta hai aur hamen lagta hai bhagwan se hamen prarthna karni chahiye ki hamari shraddha aapke charnon mein lage. Hamara vishwas aapse jude. Agar shraddha aur vishwas hai to vairagya, anurag, gyan sab kuch aa jaega.

pehle hamara shraddha aur vishwas. Shraddha kahte hain shastr aur santo ke vakyo mein bilkul yathavat buddhi rakhna. Apna kyon mein na lagana aur vishwas kahte hain bhagwan hain. Wo hamari baat sun rahe hain. Wo hamen bahut pyar kar rahe hain. Wo suhad hai hamare. Unse badhkar koi hamara nahi. Aisa dridh vishwas ho tab age unnati prapt hoti hai. Kripa sindhu sharan ji shri Harivansh Gurudev. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji adhyatma mein sadhan ka adhik mahatva hai ya aashray ka?

aashray ka. Agar aap tap karte hain, sadhna karte hain to tap lok ki prapti hogi. Lekin yadi bhagwat ashrit hain aur koi trutiyaan bhi hain, aisi samasyaen bhi hain jo nahi honi chahiye aur aapka sharir chhut jaata hai to aashray se bhagwat prapti hogi. Mere banae na banegi koti kalp lo aapke banae banegi pal pav mein har samay jitni ham mein urja shakti hai wo ham lagakar bhajan karenge jitni hamari buddhi kam kar rahi hai ham galat acharno se bachenge lekin isse bhagwat prapti ho jae yah hamara vishwas nahi hamara vishwas hai ki aapki kripa se aap milte ho kisi tapasya ya bhajan ke dwara bhagwan ko kharida nahi ja sakta bhagwan ko vivash nahi kiya ja sakta.

bhagwan ke hokar bhagwan ko vivash kiya ja sakta. Kitna vivash ho sakte hain? Arjun ji jahan khade hote hain aur unki jahan paduka hoti hai wahan akhilkot brahmand nayak pat par is bhagwan shri Krishna sarathi ke rup mein baithe hain. Itna vivash ho jaate hain apne janon ke liye. Apna janm aashray se hota hai. Main aapke ashrit hoon. Ashrit ki chinta hone lagti hai aashray data ko. Jaise aapke darwaze pe kutta baithe aapse koi matlab nahi lekin wo kahin jae na to aap apne aap uske bhojan ki vyvastha karne lagenge.

ek din na sahi, do din na sahi jab aap dekhoge jaate nahi darwaze par baitha rahta hai to do roti le nikloge aur dalne lagoge. Usne aashray ek darwaze ka le le anya darwaze na jae to yah jimmedari aapke upar apne aap savar ho jaegi ki subah sham do roti aap dalne lagoge kyonki dekho ja hi nahi raha hai ye yahi hamare darwaze para hai to aise hi ham bilkul koi anya aashray na le aur priyaju ke ashrit ho jae to hamara kam ban jaega. Anannya aashray bahut badi baat hai. Anukulta hoti hai to lagta hai Priya ki bahut kripa hai.

aur jab pratikultaa hoti hai tab aise man ghabra jaata hai ki pata nahi he shankar bhagwan aap kripa karo he Ram ji aap kripa karo he Shyam ji aap kripa karo he devi ji aapki nahi us samay bhi ek hi hona chahiye bane to raghuvar te bane aur bigre to bhrpur aur tulsi auran te bane ta banwe pe dhur jiska hamne aashray liya hai agar bane to usi prabhu se bane aur na bane to bigad jae hamen koi banane ki koshish nahi he nath main aapki sharan mein hoon. Aap dekh lo pakka sab theek ho jaega. Pakka sab theek ho jaega. Hamen chahiye bhagwan ka aashray dridh le.

sabse badi bhakti kya hai? Atma samarpan shravanam kirtanam smrnam vishnupad sevnam archanam vandnam dasyam sakhyam atma nivedan atma nivedan purn bhakti atma nivedan ka matlab hota hai aashray samarpit ho jana he nath main aapko samarpit andar se man vachan karm se bhagwan ka sharanagat nischit bhagwan ko prapt hota hai hamen prayas karna hai jo hamari sharanagat gati mein kamzori hai ki bhagwan ke virudh aacharan hai. Jo apne sharir ko lekar mange hain, jo apne parivaar ko lekar mange hain, wo keval apne prabhu ke samne pesh karte rahe aur yah mangte rahe ki aapke siva hamare man mein kisi anya ka aashray na ho.

jarurten hain lekin aashray nahi. Dhyan rakhna jaise main aap kahun meri jarurten hain to main sirf aapse kahunga inse nahi kahunga jarurten hain par aapse koshish karen ki aap to alpgya hain. Pata nahi payenge ki hamari kya zaroorat hai. Lekin bhagwan sarvagya hain. Unko sab pata hai. To ham apni jarurton ki baat bhi na kahe. Yah bahut unchi baat hai. Lekin agar kahe to sirf apne prabhu se jo hamne prabhu ko apna mana hai. Ram rup, Krishna rup, Radha rup, shiv rup. Ham usi se baat karen ki yah jarurten yadyapi hamen aapse nahi kahni chahiye.

par ham agyanwash kah rahe hain. Yah jarurten par aapse auron se nahi. To yah anannya aashray jo hai yah bahut jaldi bhagwat prapti kara deta hai. Nahi to janmjanm jatan karte raho. Koi trutiyaan hoti rahti hain aur bhagwan se milne mein badha pahunch jati hai. Par agar aashray liye ho to trutiyaan hone par bhi bhagwan kripa karke apni sharan mein le lete hain. Accha ji yar itne dino baad aae ho tumhen. Maharaj ji mujhe leke nahi aata ye. Are yar sipharish kar diya karo kabhi-kabhi to. Maharaj ji main to hamesha kahta hoon.

accha nahi lekar aata hoon mujhko ye. Aap isko samjhao na. Are bhai ham to aapko dekhkar samjh hi kho jaate hamari. Aap donon ko dekh nahi maharaj ji aapko to pata hai mera naam kya hai? Joni jojo haan joni jojo batayen na sabse galat ho gaye. Batao kya? Main bataunga hamara naam kya hai? Abhi naya naam dala hai kya? Ki darling maharaj ji hai na unhone hamara namakran kar diya. Pith par. Accha kya naam rakha hai? Mera naam to rakha Janaki sharan aur mera naam rakha Jagannath sharan. Ye to bahut badhiya sahab. Bahut badhiya.

Janaki sharan Jagannath sharan ye to bahut badhiya naam hai bhai. Haan ye bahut badhiya. Bhagvatik naam hai. Tum tar jaoge. Tar to ham pehle hi gaye the. Tar to pehle hi gaye. Haan ye baat to hai. Santo ka sang kar rahe ho. Tar to jaoge. Asal haan batao. Kuch bol rahe the. Bolo na? Aap kuch bol rahe bolo na ham ye bol rahe the ki jitna aap bhagwan se judoge utna hi tumhara mangal hoga aur samaj ka mangal karoge. Aap achchhi-achchhi baten sunaoge to sabka man bhagwan mein lagega. To aap bhagwan ki baten zyada kiya karo.

theek hai. Theek hai. Ji maharaj ji haan ek bhajan suna do. Haan suna do. Waise to dekho ham jahan aae na tino haan aaj Radha ki mangal badhai dene aae bilkul bilkul theek hai to Radhashthami ki mangal badhai ho haan Radhashthami ko mangal badhai bilkul maharaj ji haan bhajan ye hai sunao he sun Radhika dulari tere dwaar ka shajari hai hangari shangnala shangnala shangnala ham sochte thikana kahin kunjan mein hoga sochte the kanha kahin kunjan mein hoga ankhen to milan ka hamne sukh nahi hoga ankhen to mil milan ka sukh nahi hoga sunke kra ki kari ghasha sunke kra ki kari ghasha asha hui ye nirasha chhati de gaya dilasa bahut sundar vah main pehle hamare ghar ka nalayak beta tha abhi layak beta bahut kripa hai maharaj ji ek wakt pe matlab joni jojo ko kahin pe leke jaata tha to log dhakke dekar bahar nikaalte the aur aaj unhin ke upar phool baraste hue dekhkar matlab rona aata hai bilkul ki bhagwan aur bhagwan ke nij janon ki kripa ka swaroop yahi hota hai ki parivartan ho jae.

hamari vani ka parivartan ho jae. Hamare chitt ka parivartan ho jae. Hamare jeevan ka parivartan ho jae. Ab jab yah hoga to aapka chitt bhagwan se judega. Aapko lagega ki kitni kripa hai unki. Kitni mehar hai ki kahan ham the aur kahan ham pahunch rahe hain. To bhagwan se jo jeev judta hai. Dekho sabke jeevan mein galtiya hain. Koi aisa nahi hai ki jiske jeevan mein galtiya na ho aur phislan hai maya ki. Koi bhi kahin bhi phesal sakta hai. Par phisla hi para rahe. Yah theek nahi hai. Uthkar khade ho aur ham age badhe.

to jaise laukik manoranjan kitni unnati de sakta tha aur jab aap alaukik se jude to kitna parivartan hua ye socho jiske das se judne par yah baat hai to Swami jab barsega to uski kitni kripa hogi to isliye naam jap karo aur accha sa accha bhav pradarshn karo logon ko sukh pahunchta rahe bas yahi theek hai khub achhche se bano Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha itno to kabahu hasi ho itna to kabahu has de sunhu kripa kishori Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe avasi kripa ki ko chit ho itna to Om

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi