hanuman tekri se aae pujya santajnon ne pujya maharaj ji se kya prashn kiya ?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
shri Radha vallabh lal nandan ke dar pe ghiske karm ke bani jai ho haan Guruji aap viraj jai ho bhagwan ki ye maharaj ji ke jeevan charit likha hua hai patiya wale aparadh sa lagta hai sharir hai isliye badi kripa isi maa ji aapka darshan ho jaata hai in mahapurushon ke bahane mahapurush log kahte hain maharaj ji darshan kara le iske bahane aapka bhi ho jaata hai aur maharaj ji aapse prarthna hai maharaj ji ek sachchi ghatna bhi hai unhone jaise hamse kaha tha aur hamare sadhan sathi bhi rahe hain to wo chitritkut mein 12 sal tak naam jap kiye to unke man mein aisi kuch ichchha kutia ka nirman ho jae to phir kya unke man mein ekdam aaya turant wah Ayodhya mein ramayan padhne aae aur wo sadhna ko wahan viram kar diya aur padhne ke baad wo katha kahna chalu kiya to unhone hamse jo bataya phir unhone ashram banva liya ek do jagah bhi kharid liya to maharaj ji katha kahne lage tab tak thoda avshyakta zyada purti hone lagi us swayam sadhna mein the to paradheen rahna parta raha.
to waise bhi dekha gaya hai jo katha par utar jaate katha vachon ke to aisa ji man mein kaise aaya aisa kaise ho jaata hai naam jap aur katha mein haan maharaj ji jivtv mein dehabiman pusht rahta hai jivtv mein dehabiman pusht rahta hai aur dehabiman mein man bhogashakta rahta hai bhogashakta man sammaan ka bhog aur indriy jan vishay bhog jab ham sadhna mein lagte hain to shant hote hain nasht nahi hote ye chingari swaroop rahte hain aur jahan naam jap hua aur us bhog ka chintan hua man ka chintan hua to ab power jagrit hua wo kud para udhar to wahi sab mil gaya agar wo naam jab chhut gaya to agle janm ki vyvastha ban gayi aur agar us sthiti mein bhi wo yah sochkar uk pratham vasna rahi to bhagwan ne de diya ab mujhe bahut savdhaan ho jana chahiye is vasna ke lapete pe nahi ana chahiye aur updesh tab shuru karna chahiye dena jab anubhav ho jae jab nirvishay hriday ho jae jab bhagwat sakshatkar ho jae tab updesh ke chakkar mein padna chahiye kyonki bhagwan ke jab leela gun ka ham gayan karte hain to usmen kapt mila rahta hai.
chauthi bhagat mam gungan kare kapt taj gaan apne yash ki chah apni kamnao ki purti to jo bhagwat leela gunanuvad ka sidha phal hai bhagwat prem wo na milkar ke hamko man sammaan rupya paisa makan ye chijon milne lagti hai aur yah sadhak ko jab mile to durbhagya samjhna chahiye. Sadhak ko durbhagya samjhna chahiye ki yah hamara saubhagya nahi hai. Yah theek nahi kyonki jeevan to nasht hoga hi aur ye sampatti kisi ki hui nahi aur jo ham Raghunath ji ke charnon mein prem prapt karne ke liye nikle the wo hua nahi to ham to dhoke mein aa gaye na.
aur rahi kahin-kahin bhram ho jaata hai ham logon ko ki hamare dwara jagat ka kalyan ho raha hai. Yah bahut buri baat hai. Bahut buri baat hai. Jagat Siya Ram mein uska kalyan kya karna hai? Jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jaan ye mujhe janna tha. Siya Ram mein sab jag jani. Ye mujhe janna tha. To sadhak apni sthiti se gir jaata hai. Isiliye pehle gurjan sadhako ko bhajan mein lagate the ki dat ke bhajan karo. Bhagwan ka sakshatkar karo. Iske baad bhagwan kya agyaa karte hain? Guru kya agyaa karte uske anusaar chala jaata tha.
guru kah rahe hain diksha do. Guru kah rahe hain ab bhagwat charcha karo. To ab wo guru sambhalnge na ki man sammaan indriy bhog inme phasne ke koi chans nahi rahte. Aur agar ham swayam upasna se yukt hokar karenge to phir gir jaenge. Yah hamara swayam ka anubhav hai ki upasna se vasna nasht nahi hoti. Sukshm ho jati hai aur bhagwat sakshatkar se vasna nasht ho jati hai. To jab tak bhagwat sakshatkar na ho tab tak upasak ko darte rahna chahiye ki jan samaj man sammaan rupya paisa aur wahwahi yah hamko nasht kar sakti hai.
aur phir aisi aisi ghatnayen ghatne lagti hai jeevan mein ki man raji ho jaata hai ki yar bahut chain se jeevan kat raha hai. Khanpan pranam namaskaar vah vah to roz badhiya anand se kat raha hai. Ab usko wah virah jo milna chahiye prabhu ka ki sab jag suna lag raha hai. Virah kamdal kar liye bairagi do nain mangat daras madhuri chhake rahat din rahan mujhe aur kuch nahi chahiye. Bas anudin badhe anugrah tore Sita Ram charan rati more anudin badhe anugrah tore wo baat bhul jaata hai sadhak aur raji ho jaata hai maya ki chakachaundh mein maya ke akarshan mein to hamen lagta hai gurujanon ke dwara di hui mantr naam ki sadhna sadhak ko tab tak pakde rahna chahiye jab tak swayam siddh na ho jae jab swayam chalne lagi aur koi vasna nahi ab jagat mein ghumo.
ab koi tumhara bal banka nahi kar sakta. Lekin jab tak vasna hai tab tak upasna mein hi rat rahna chahiye. Isiliye bade-bade mahapurushon ko dekha gaya gambhir shant dainya apne ko tuchch bhav he bhav mein rakhna to wo Ram ji ke ladle ho gaye. Wo bhagwan ke dham mein pahunch gaye aur apne logon ko char akshar ka gyan hua to apne bhajan ko chhodkar char akshar gyan ka wahwahi lene mein jut gaye. To wo marg hi chhut gaya. Marg hi chhut gaya. Man sammaan seting phiting bas isi mein ham aa jaate hain. Bhagwan swayam tayyar karte hain jagat mangal ke liye.
ye padh likh ke nahi hota. Bhagwan swayam tayyar karte hain satsang ke liye jagat mangal ke liye. Aur wo jab tayyar kar dete hain to apni dehati bhasha mein bolegaa to bhi vishv mein uski chap ho jaegi. Bistare sab jag Vimal kirti sadhu sangati na tare bas vrinda vipin pave shri Radhika jo kripa kare jab naam jap mein nirantar rat rahoge to aapka yash vistar hoga aur aap jo bologe usse jagat mangal hoga aur aapke is tap par har samay kripa drishti rakenge aur dham ka sanidhy rahega. Yah bhagwat kripa se yukt hokar nahi to phir bhatakne lagta hai sadhak rupya paisa bank balance yahi sukh milne lagta hai isi mein uska jeevan chala jaata hai aur kai bar to aisa hota hai achhche-achhche sadhako ke dwara aisi cheshta ban jati hain unko yahi akhiri upay lagta hai ab kya karun aap kar lun kai aise sadhako ke matlab mile hain aur kai aisi ghatnayen ghati hai ki bahut achhche chal chal rahe the lekin vasna ne aisa khel racha haan ab unko koi nirnay na mila to phir unko lagne lagta hai kya karun ab to kuch
rah nahi gaya aisa nahi sochna chahiye agar kabhi kisi sadhak se aisi truti ho jae to kamar kaso aur jahan se galti hui hai us galti se duri banao aur phir bhajan karo to sab bitiyamet galti ka ho jaega aur bhagwan ke ladle ban jaoge bhagwan ke bhajan ke liye manushya sharir mila hai raat din bhajan karna bas bhori sakhi hamare yahan bahut bade sant hue bholanath ji unka naam hai wo kah rahe naam swas do bilak chalat hai inko bhed na moh ko bhave swas naam hi swasa naam swas ko bhed mitave aur rom rom jab ragrag bole tab ka swad naam ko pave bole sadhak ko chahiye ki swas aur naam ka bhed mit jae jaise ham swas lete hain swabhavic aise swabhavic naam chalna chahiye.
swas praswas mein bhagwan naam chal raha hai. Hamari yahi sabse badi siddhi hai. Naam agar chal raha hai sab sadhna ban rahi hai. Naam nahi chal raha to sab sadhan shunya hai. Ye bhi baat samjh shunya ka matlab maya prabhav daalegi ki sab pocha laga degi. Agar naam chal raha hai to maya ki takat nahi hai ki wo hamen parast kar sake. Isliye goswami ji ne bahut khule shabdon mein vinay patrika ji mein kaha hai Ram Ram Ram jih jo tu na japi hai to tu kahun jae tahu tap age kaha chhutwe ke jatan vishesh bandhe jaego wah hai vish bhojan jo sudas naego bhagwan ka naam chhut gaya to chhutwe ke jatan jitni sadhna hain wo vishesh bandhe vishesh bandh man sammaan jo vishesh bandhna hai ye man sammaan vishesh bandhe jaoge man sammaan ki dori se aise bandh liye jaoge vishesh bana diye jaoge ki aapko bhi bhajan accha hi nahi lagega bas yahi sab accha
lagega sansaar ka ye sangoshti wo sangoshti wahan dupatta wahan man wahan prapti bhagwan ke bhajan ke liye vish hai sammaan kalyat ghor garam neechapmanam sudha shri Radha Murli dharohar bhar sake Vrindavan madhya shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain sammaan ko vish ke saman samjhe to yahan ulta hai sammaan ko amrit ke saman wahan kah rahe hain nicha apmanam sudha nich purushan dwara kiye hue apman ko amrit ke saman samjho aur sammaan ko vish ke saman samjho aur dham ka aashray lo kabhi chodo mat dham ko aur
Radha Madhav ka nirantar bhajan karo shripad Prabuddhanand ji ne kaha to jahan Radha ma wahan Siyaram rakh lo. Jahan Vrindavan hai wahan avdh Chitrakoot rakh lo. Bhagwan ke dhamo ka aashray le aur nirantar naam jap karen. Naam jap se badhkar ki koi siddhi nahi hai. Naam jap chal raha hai. Swas prashwas sab badhiya baat hai aur naam jap nahi chal raha to hamen vishwas nahi hai. Koi sadhan hamko Ram ji se mila de. Mein vishwas nahi lekin naam chal raha hai to sumir pawan sut pavan naam apne bas kar rakhe Ram bhagwan ke naam mein itni badi samarth hai ki jaise dori hath mein hai aur patang hai to patang ko pakdna chaho to bina dori ke nahi pakar sakte aap dori hath aa gayi to ab chinta ki baat nahi patang kahin jaegi nahi khinchte raho tumhare nazdik aa jaegi aise aise koi bhagwan ko param swatantr sarwatantra bhagwan ko koi apne nahi lekin naam mil gaya guru ne de diya ab dori aa gayi ab bhagwan jaenge kahan ab kahan jaenge dori hamare hath mein aa gayi jaise patang hai ab kahan jaegi wo to aayegi nazdik aise naam rupi dori sumiran ki dori se ham bhagwan ko apne hriday mein prakashit kar le aur yahi manushya jeevan ka lakshya hai aur sab to mahima jitni hai wo sab bahari khilwad hai maharaj sab khilwad hai.
jitni bhi pad pratishtha wahwahi hai sab khilwad hai. Ek se ek siddh sant hue kahan hai pratishtha? To yah jo mahima hai yah sthai nahi hai. Yah jo kirti hai yah sthai nahi lekin bhagwan ka bhajan sthai hai. Wo jo mahapurush karke gaye bhajan wo bhagwan ke liye hai. Wo bhagwan to ham sab sadhako ko santo ko apne jeevan mein ek hi baat utarni hai ki ek bhi swas bhagwan ke naam se bilag na jae. Har swas mein hamara bhagwan naam jap chale. Yahi hamare jeevan ki shastr kabhi ham bhagwan ki gun mahima ka gaan kar rahe kabhi bhagwan ki naam mahima ka aur naam ka itna prabhav hai ki naam japak jahan charan rakh de wahan tirth ho jaata hai.
teerthi kurwanti teerthani are pujya maharaj ji jo kare wale maharaj jis patiya pe baith ke bhajan karte the wo patiya aise pujti hai jaise bhagwan pujte hain aur sabki kamnayen purn karti patiya patiya kyon kyonki us patiya mein baith ke Ram Ram japa gaya us patiya mein baith ke bhagwan naam japa gaya to wo patiya sarv kamna pradan kar purn karne wali ho gayi sarwakamna purn karne wali ban gayi tirth kuravti teerthan naam japak jahan charan rakh de wo tirth ho jaata hai. Isliye bhagwan ka naam nirantar japa jae aur bahari wahwahi se bacha jae.
yah bahut jahr hai. Ye mitiya met kar deti hai sadhak ko. Jab wahwahi hone lagti hai to lagta hai ham kuch ho gaye aur jahan ye aaya ham kuch ho gaye to maya prashn khada kar deti hai. Aur maya ka prashn maya pati hi nipta sakte hain. Dusra koi nahi. Shiv winch ka moh ko hai bura. Isliye apne log darte rahe aur bhagwan ke nirantar bhajan mein jai jai jis mein purn hone wala ho ya mahapurush aae to safal mani jati hai aapki seva se bade-bade mahapurush chumbak ki tarah khinche aa rahe hain. Maharaj ji sab aise aa rahe hain jaise bete par dular karne ke liye maa aati hai.
aise aa rahe hain. Ye sab mahapurush jo hai daya karke kripa karke karuna karke aa rahe hain. Jaise koi sune na ki hamara beta bimar hai to aati hai na maa aise vatsalya sindhu sant bhagwan sab hai. Ye sab das bimar hai to isi bhav se ham to kidney ki jai jaykar karte hain. Iske rog ke mane hamen santo ka kripa prasad mil raha hai. Santo ka mil raha hai. Bolo satgurudev bhagwan ki jai. Bhai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…