॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1108 · 29 november 2025

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai Anil Agarwal ji Kolkata se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Krishna ji ka arjun arjun kaise bane waise bane banae hain ham to bas man le ham kaun hai man le ham Krishna ji ko apna sarvasv arjun ji ne sarvasv mana tha sakha guru matapita priy sab kuch bhagwan ko mana tha tabhi bhagwan ne unki bagdor sambhal li agar aap sarvasv bhagwan ko arpit karke sab kuch bhagwan ko apna man le to bhagwan aapke jeevan ki bagdor sambhal rahe hain.

sambhate the aur sambhate rahenge. Yah anubhav aapko ho jaega. Bhagwan to sabko sambhal rahe hain. Sab puri srishti unhin ki hai. Unhin ke power se hai. Unhin ki kripa se sab ham posit hai. Par ham dusron ko apna manne ke karan bahirmukh vritti hone ke karan yah dekh nahi pa rahe ki mera vigyat sakha shri Krishna har samay hamko sahyog de raha hai. Har samay hamari raksha kar raha hai. To yadi ham unko apna man len aur unka bhajan karne lage to ham ho jaenge bhagwan shri Krishna ke priy sakha arjun na haan khub naam jap karo naam jap karte hain haan aur khanpan theek rakho theek rakhte hain khanpan to kaise ban jaoge Krishna sakha sharab pite ho haan imandaar aadmi ho mans bhi khate ho aap to pahla kadam badao aaj se chhod do shraap kahan baithe ho pata hai hosh mein hain Vrindavan mein baithe ho sadhu sabha mein baithe ho haan karke na kar gaye to matlab bahut bada dand milega aaj se sharab tumhari band pakka

pakka haan theek hai chalo dosti shuru dosti shuru hui aaj se aaj se shri Krishna dosti ka kadam aapne uthaya asat acharno ka tyag kiya aur naam jap karo counter hai le ek le lo ek counter le lo aur usse naam jap karo jo naam priy ho kaun sa naam priy hai Radhehe haan bas Radhe-Radhe rato naam jap karo isi se theek ho jaega suneeta Agarwal ji Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapse milne ki bar-bar ichchha hoti hai mobile mein mil liya karo mobile ke ab ghar grahasti ke kam chhod ke hafta mein bhagogi to ghar grahasti wale pareshaan ho jaenge ki nahi ho jaenge shayad yahi hai inki ghar grahasti haan to isliye bar-bar to nahi par mahina do mahina mein kabhi aisa avsar mile to pati ke saath chali ai darshan kar gayi chali gayi mahina do mahina mein dekho arjun banna chahte to aaenge to hai hi hai.

pehle hamse dosti karo phir hamare Swami se dosti karo to dhire-dhire galat aacharan chhodenge aur bhi ham badhiya ban jaenge. Mahina do mahina mein pati ke saath chali aaya karo. Darshan kar gaye chali gayi. Prem ratriya ji Kolkata se Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji kaha jaata hai ki sthir man hai bhram aur asthir man hai sansaar. Maharaj ji apne man ko purn rup se kaise sthir karen ki bahar ke shor mein bhi ek shanti si hamesha man mein bani rahe. Bar-bar bhagwan ke naam ka ise smaran aur darshan karaie man ko.

bhagwan ke naam mein hi itni samarth hai ki man ko sthir kar dega. Par bahut kal satu dirgh kal nirantar satkar sevit dridh bhumi lambe samay tak yadi ham abhyaas karen ki hamara hamara man bar-bar naam ka darshan karen jaise Radha bar-bar Radha aur shravan kare Radha aur ucharan kare Radha to isko bhagne ka avsar nahi milega jab ham darshan karte hain aur ek saath shravan karte hain, ucharan karte hain, to isse bhagne ka avsar nahi milta. Yadi ham aise jap karen to bahut jaldi man dhire-dhire sthir ho jaega. Samay lagega par bahut jaldi sthir ho jaega.

aisa abhyaas karen. Bar-bar naam bhagwan ka darshan karte hue sumiran karna, sunna aur usi mein dubna to dhire-dhire man ko accha lagne lagega. Pehle to man ke malinta janit jo paap vasnae hain, durvasan hain, wah bhasm hogi. Naam jap ke prabhav se phir dhire-dhire ruchi paida hogi. Phir bhav prakt hoga. Phir sthir ho jaega. Jahan bhav prakt hua ta sthir ho jaata hai. Bhagwat bhav mein man sthir ho jaata hai. Brahm bhav mein man sthir. Par ye ladai hai. Ye ek yuddh hai. Ismen ladna padega. Yah aisa nahi hai ki do char 10 din mein kabje mein aa jaega.

aisa nahi hai. Sat dirghakal lambe samay tak abhyaas karo. Phir to kaha yapman siddho bhavti amrito bhavti tripto bhavti us sthiti ko prapt hokar ke yapman siddho bhavti siddh ho jaata hai bhagwat rup uske netron mein sama jaata hai prem ki vikalta mein anand ki vikalta mein rahta hai amrito bhavti amar ho jaata hai mrityu bhay se mukt ho jaata hai tripto bhavti koi chah nahi rah jati. Wah nirguno bhavti tino gunon se upar uth jaata hai. Isliye khub naam jap karo. Bar-bar jaate hue man ko ghasit kar naam mein lagao.

aisa abhyaas karte raho to abhyaas yog yuktan chetas na nigamina yadi aisa abhyaas kar liye ki chitt kahin aur gaya hi nahi. To pursham shashwatam divyam yati parthanu chintyat chintan ke prabhav se param purush paramatma ka sakshatkar ho jaega pandurang ji maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji har jeev mein ishwar ke darshan ki aisi koi prakriya hai jo jeevan bhar yad rahe pratikul vyakti ko jawab dete samay ye bhavna gayab si ho jati hai maharaj ji bhajan nahi hai mul chij bhajan hai jitna bhajan karoge naam jap karoge utne adhyatma bal aayega utne man pavitra hoga.

pavitra man se sab mein bhagwan ko dekha jaata hai. Swabhav aur karya ye agyani jeev dekhta hai. Aur karan tatv ko viveki purush dekhta hai. Uska swabhav malin hai. Kriya malin hai. Lekin power to paramatma hai na. Jaise thanda aur gam donon bijli ka hi swaroop hai. Thanda AC mein kar raha hai. Fridge mein kar raha hai. Lekin heater mein geejar mein wahi garm kar raha hai. To kriya ek thandi hai. Shital aur ek garm hai. Lekin bijli donon mein saman hai na. Bijli to ek hi hai na. To ek accha vihaar karta hai, shital vihaar karta hai aur ek krur vihaar karta hai, galat vihaar karta hai, tap deta hai.

hriday jalta hai uski baat se, uske aacharan se, uske vihaar se. Lekin donon mein power to ek hi hai na. Yadi ham power paramatma ko dekhte hain to phir kriyon ko dekhte nahi. Kriya aur swabhav ko dekhne wala paramatma ko nahi dekh sakta aur paramatma ko dekhne wala kriya aur swabhav ko nahi dekhta vidya vinay sampann brahmin gavastani suni cha supakecha pandita samdarshana jo vidya vinay sampann brahmin mein kutte mein chandal mein hathi mein ek hi paramatma ko dekhta hai. Kahan vidya vinay sampann brahmin aur kahan chandal aur kahan gay aur kahan kutta kahan hathi lekin sab mein ek hi jo paramatma ko dekhta hai wahi vidvan hai wahi gyani hai wahi mahatma hai wahi pandit hai vidya vinay sampann brahmin gahastani swach supakecha pandita samdarshana wahi pandit hai wahi gyani hai to kriya aur swabhav bhav ko na dekho.

kriya swabhav dekhoge to gali de raha hai. Pratikul vihaar kar raha hai. Ganda aacharan kar raha hai. Ismen paramatma kaise ho sakta hai? Lekin wo hai. Wahi hai. Paramatma hi uske andar hai. Kriya aur swabhav dekhoge to paramatma ko nahi dekh paoge aur paramatma ko dekhoge to kriya aur swabhav ko nahi dekhna hai. Sab mein prabhu virajman hai. Jo papi se papi punya atma mahatma duratma sab mein ek hi bhagwan virajman hai. Sama sudurlabha bahu naam janm namte gyanvan mam prapaddyate vasudeva sarv samatma sud durlabh aisa mahatma milna bada durlabh hai jo sab mein Vasudev bhagwan ko dekhta hai.

sarvatra bhagwan virajman hai. Aisa dekhna bada durlabh vishay hai. Prabhakar ji Radhe-Radhe karnatak se Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji agyanta vash kisi ka bharosa tod diya hai jis karan mujhe bahut glani hai main ab us galti ka prayashchit karna chahta hoon age se kisi ko vishvasaghat mat karna aur naam jap karo age se age se lekin yah bhi dhyan rakhna hai ki koi hamare dharm virudh vishwas to ham usko todenge hi todenge. Yah baat dhyan rakhna hai. Dharm virudh aacharan nahi kar sakta chahe kuch bhi ho jae aise vishwason ko tod hi dena chahiye.

aisa kuch vishwas hai kya? Nahi hai. Haan. To bas phir dharmatma purush dharm mein vishwas rakhta hai. Dharm mein astha rakhta hai. Dharm mein jaise koi bhag kar tumhare samip aaya hai. Ab uski pran raksha karni hai. Aise nahi ho sakta ki ham tum chhupe ho aur ham tumhen bata den. Nahi kyonki tum bhag ke hamari sharan mein aae ho. Tum vishwas kiye ho. Ab tumhara vishvasaghat nahi hone denge ham. Aisi baten dharm mein hoti hain. Dharm virudh acharno mein vishwas nahi. Dharm mein vishvasaghat agar ho gaya hai to bhagwan se prarthna karo.

age se vishvasaghat na karna aur naam jap karo. Sanjay ji neemach shri Harivansh radhav shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aaj das ko ek varsh hua hai sharanagati hue. Maharaj ji ham ye kaise samjhen ya hamen kaise pata lage ya kis samay hamari sharanagati pusht ho rahi hai. Jab anya aashray hamare hriday se hat jae kisi vastu, vyakti, sthan, padaarth inme hamara mamtv na rah jae. Ekmatra shri bhagwan mein mamtv rahe. Priya pritam mein rahe. Hamari asha keval Priya pritam. Hamara bal keval Priya pritam. Hamara bharosa keval Priya pritam.

hamare mata-pita bhai bandhu rishte nate sab prabhu se tum mata cha pita tumav bandhus sakha tumavmev vidya dravinam tum sarvam mam dev dev keval prabhu se apnapan jitna badhta jae to samjhe hamari sharanagati pusht ho rahi anya aashray anya bal anya sambandh anya chintan jitna hatta jaega utne hi sharanagati pusht hoti chali jaegi aur sharanagati jab pusht hogi to nirbhay hote chale jaoge nishcint hote jaoge nishok hote jaoge koi sanshay nahi rahega chahe jitni vipatti aa jae bhagwan ke prati viparit bhavna nahi hogi ek anand rahega ek andar se utsah bana rahega bhajan mein ruchi hone lagegi prabhu se apnapan ho jane par sharanagati pusht ho jati hai.

baat samjh rahe ho? Puja ji Haryana se shri Harivansh maharaj ji maharaj ji agar prabhu sirf sakshi bhav mein hain aur ham unse margdarshan chahte hain to hamen kaise prapt hoga kyonki ham prabhu ko ham sakshi bhav mein mane ki prabhu sarvvyapi hain. Aisa inka bhav shayad ho sakta hai. Ham unse margdarshan chahen ki he prabhu mera margdarshan karen to kya margdarshan guru rup mein kar rahe hain. Shastr rup mein kar rahe hain. Tumhen akar spasht thodi bataenge. Bhagwan thodi pravachan karenge. Bhagwan ne jo pravachan kiya hai wah gita ji hai.

bhagwan ne jo bola hai wah Shrimad bhagwat hai. Bhagwan ne jo bola hai wah ved hai. To shastr ka swadhyay aur santo ki vani yahi bhagwan ka adesh hai. Ham usko apne jeevan mein utare to ham age badh sakte hain. Nahi bhagwan se direct tum thodi prashn uttar kar sakte ho. Aise gita ji nahi samjh sakti bina sant ki kripa ke. Bhagwan ki vani gita ji bhi hai. Yadi santo ne tika na ki ho, santo ne vyakhya na ki ho to aap direct vani bhagwan ki gita ji nahi samjh sakti to aap sarveshwar sarvvyapi tatv se kaise sambandh sthaapit karenge?

isi ke liye wo sakshat param brahm paramatma Gurudev ke rup mein santo ke rup mein apni vani ke dwara hamare sanshyon ka nash karke bhagwat nishtha prakt karte hain. To hamko jo bhagwan sarv sakshi hai wahi guru rup mein hai. Gurudev ka varan karna chahiye aur unki agyaa ke anusaar chalna chahiye. Aise direct bhagwan se thodi aap baat kar sakte ho. Bhagwan spurna to karte hain. Hriday mein kaun pakar pata hai? Unki avhelna ho jati hai. Manmani aacharan hote hain. To pragat mein guru rup se chahe shiv winch sam hoi guru bin bhav nidhi tare na koi bina guru ke sansaar samudra se par nahi hua ja sakta.

kyon? Kyonki hamko pratiphal guide chahiye. Kadam kadam par guide chahiye. Badi phislan hai maya ki to wo Gurudev bhagwan hi hai. Bhagwan hi Gurudev hai. Gurudev hi bhagwan hai. Sunil choudhri ji shri shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke satsang se gyaat hua ki sansaar ka rag tyag karna chahiye. Maharaj ji isse zyada mushkil to sharir ka rag aur priti ka tyag karna. Yahi to sansaar hai. Yahi sansaar hai. Aise sansaar dekho to dusra hai. Aur yah dekho to sahi sansaar yahi hai. Isse rag khatm ho gaya to sabse khatm ho gaya.

mul to yahi hai na. Yahi iska bhai hai. Yahi iski maa hai. Ye iske pita hai. Isi se to sara sambandh hai. Isi ka rag deh bhav khatm ho jae. Dehabiman khatm ho jae to siddh purush ho jae. Bhagwan ki prapti ho jae. Ghar parivaar sab chhod diya jaata hai aur deh pyar bana rahta hai. Phir wahi sansaar ikttha ho jaata hai. Phir wahi sab bhog bhogne lagte hain. To bahut kathin hai bachchha. Jab tak bhajan nahi karoge tab tak deh ka rag tyag karna bada kathin hai. Bahut kathin hai. Isliye khub dat ke bhajan karo tabhi sab baat samjh mein aayegi.

bhajan ke bina baat samjh mein nahi aayegi. Khub bhajan karo. Deep kala ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aap ji kahte hain ki bhojan saras hoga to bhojan niras hoga to maharaj ji ladli ji ko niras bhojan to nahi pawa sakte maharaj ji to ham kah rahe ladli ji ko accha accha pavao aur iske baad jo prasad hai thoda tum le lo auron ko pawa do aur tum roti daal pao roz halwa puri gulab jamun barfi kha ke dekh lo ladli ju ke lever chidanand tumhare lever parthiv hai wo to chappan bhog pa ke wahan koi fark thodi parta hai apne fark par jaega apne par

jaega aap pao roz thakur ji ka bhog laga ke khub halwa puri achhche-achhche padaarth 10 din baad batao aapke bhav kya hai nahi maharaj ji pana to nahi chahte sir par Niraj payenge to wo ladli to nahi jaise hamne roti daal halwa puri barfi peda lagae bhog usmen se peda ka kinka le liya halwa ka kinka le liya aur roti daal se pet bhar liya ab niras ka matlab thodi ki sukhi roti chabana matlab satvic bhojan pana ek bar jhaddu mandal hai apne raas mandal ke paas jhaddu mandal sthan hai to siddh Balram das Baba ji the to yamuna kinare hi hai aaj bhi hai yamuna kinare to us samay ek ped ke niche aise baithe hue the to matayen bahne snaan kar rahi thi yamuna ji mein ab unke andar kam vedna jagrit ho gayi bhyo vridh sant to unhone apne ab wo to sant hriday ekdam niskapat hota hai sab shisyo ko bulaya aur kaha ham yamuna ji mein doob karke apne sharir ko chhod denge kaha maharaj ji kyon bole paap drishti ho gayi to unhone kaha kam vedna itne siddh maha mahapurush ke hriday mein kaise jagrit ho gaye?

bole maharaj ji Vrindavan ki parikrama ki jae to unko pakar ke phir dhire-dhire pure Vrindavan ki parikrama bada mahimam mein hai Vrindavan. Jo hi parikrama ki so bhav khatm ho gaya. Wo jo kubhav aaya tha wo bhav khatm ho gaya. Ab unhone kaha ki yah batao prasad kahan se aaj jo prasad kahan se aaya tha? Jo pavaya gaya to unka Govind dev ji ka us samay Govind dev ji yahi Vrindavan mein virajman the Govind dev to bhandari se pocho jakar ke kal ka bhog kahan ka laga to wahan puchhwaya gaya to bhog laga tha Kolkata ki vaishya se vaishya ne apne dhan se jo vybhchar se dhan paida hua to uska bhi bhav tha Govind dev ji ka bhog laga diya wahi prasad unko gaya to sidhe thakur ji ke paas aae siddh purush purush the.

thakur ji se kaha prasad na le to aparadh lagta hai aur prasad le to buddhi bhrasht hoti hai. Batao ham kya karen? To thakur ji ne unse spasht varta hui. Thakur ji ne kaha ki hamara pura vishv brahmand hai. Jo bhi bhog lagega ham payenge. Lekin tum hamare prasad ka kinka le lo. Kaun kahta hai bharpet pao prasad Madhukra maang ke pao. Hamare prasad ka kinka le lo. To thakur ji ke prasad ka aise kinka le le aur apna roti daal ka jo bhog lagave wo pa le pawan Gupta ji ghaziabad se Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji mera prashn hai ki jab shri Krishna ji aur Balram ji apne guru ji ko dakshina dene gaye to guru ji ne kaha vats apni guru mata se pocho guru mata ne kaha mera putr samudra mein gaya tha laut kar nahi aaya use sashreer wapas lao tab shri Krishna ji ne samudra se puchhkar shankasur ka vadh kiya aur Yamraj maharaj se vinati ki aur guru ka putr sashreesh louta diya.

maharaj ji jaise shri Krishna ji ne apne guru mata ke liye asamabhav ko sambhav kar dikhaya waise kya ham sab jo din raat bhagwan ka naam jap karte hain apne prem bal se aapko sab sharir punah apne beech la sakta nahi jo bhagwan kar sakte hain wo koi aur nahi kar sakta. Abhi kar rahe hain bhagwan. Dekho donon kidney phayl hai aur hamari dincharya chal rahi hai. Kitni badi bhagwan ki hetu ki kripa hai ki aisi sthiti mein bhi dincharya chala rahe hain. Ham aapse batchit kar pa rahe hain. Hamari jo Bhagvati dincharya hai wo sab chal rahi hai.

samay se uthna, samay se sab karna to unki kripa se hi to chal rahe hain. Nahi to kripa na ho to pare pare sadte rahe. Dialysis ho raha hai. Pare pare sadte rahe. Ab kal dialysis hua aadha ghanta mein tayyar hokar yamuna ji ke kinare pahunch gaye. Dialysis wala yamuna kinare pahunch jaega. Ye sab bhagwan ki ab bhi kripa hai. To wo hamen naya jeevan diye hue hain. 20 varsh ho gaye kidney kharab hue to naya jeevan agar wo na diye hote to ham kaise aap logon ke samne batchit kar rahe hote? Dialysis ho raha hai, davaiyaan chal rahi hain.

par hamko wo power diye hain jisse ham satsang bhi kar pa rahe hain. Apni dincharya chala pa rahe hain. Isliye hamen hamen lagta hai jitne din bhagwan hamen rakh rahe hain utne din labh le lo jitna lena hai aur phir hamari jo vani hai uske dwara labh lete raho. Aisa nahi ho sakta ki yah sharir punah dobara isi rup mein ave. Agar bhejenge bhi man lo bhagwan ne bheja ki jao hamari srishti ka karya pura karo to dusre rup mein aayega rup dusra hoga naam dusra hoga prichay dusra hoga janm sthan dusra hoga to aise thodi hota hai ki wahi rup laut wo to Devki ji ne kaha to bhagwan ne Devki ji ke putro ko bhi to dikhaya jo chhah putr kans ne mar dale the wo chhah putr lakar Devki ji ko diye to bhagwan to kartum akartatum anytha kartum sarv samarth hai.

wo puri srishti ke rup bankar swayam aa sakte hain. Unko dusron ko lane ki zaroorat kya hai? Wo to swayam wahi rup bana sakte hain. Jab brahma ji ne gay aur bacchhron ka aphrn kar liya to swayam bachhde aur gwal bal ban gaye. Bhagwan ke nahi ban gaye. Waise chhadi ban gaye, wahi cheeka ban gaye, wahi rassi ban gaye, wahi kapda ban gaye, wahi sakha ban gaye, wahi bachhde ban gaye. To bhagwan to bhagwan bhagwan jaisa dusra koi nahi hai. Ham log bhajan karen aur bhagwan ko prapt ho. Yahi hamari prarthna hai. Ye sharir nashvan hai.

aaj rahe ya na rahe isse koi fark nahi parta hai. Ye sharir dekho ham 100 varsh jie lekin bhajan na ho to jeena kya? Agar ham 100 minute jie aur khub dat ke bhajan karte hue mar gaye to hamara kam ban gaya. To hamen khas baat bhajan karna hai. Lamba jeevan jeena nahi hai. Khas baat bhajan karna hai. Aap log isliye sochte hain ki lamba jeevan inka hoga to hamse satsang hota rahega. Prashn uttar hote rahenge. Labh milta rahega. Dekho bhagwan ki srishti kisi dusre ko tayyar kar denge. Unki srishti mein koi kami thodi hai.

wo dusra tayyar kar. Pees alag hogi. Pees alag hogi. Lekin dusra tayyar kar dusra sant aise prakashit kar denge jo hamare samaj ka kalyan karega. Jo hamare samaj ka mangal karega. Bhagwan ki srishti mein kami thodi hai. Ek se ek mahatma, ek se ek veetrag, ek se ek tapasvi, ek se ek gyani purush, mahapurush pare hue hain. Bhagwan kisi ko bhi prakashit kar sakte hain. Wo to murkh ko bhi vidvan bankar bulva sakte hain. Sarv samarthyshali bhagwan hai. Muskan ji Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji main bahut papi prani hoon.

se aapki vani sunna shuru kiya to samjh aaya ki jeevan mein karna kya hai. Gurudev aapko sun ke apni bahut sari kamiyon par kam karna shuru kiya bat ek paap khatm nahi ho raha wo hai dosh darshan. Mujhe sabse zyada dosh darshan apne ghar ke logon mein hone lagta hai. Aapki kripa se roz subah uthkar sabko pranam to karti hoon bat ye dosh darshan bahut pareshaan kar raha hai maharaj ji. Bahut jalan hoti hai baad mein ki patan na ho jae. Buddhi ki malinta ke karan hai. Nahi bura jo dekhn main chala bura na miliya koi jo dil khoju apno to hamse bura na hoe.

agar ham andar dhundne lage. Waise bahut shabashi hai aapko ki aapne andar kafi khoj ki ki hamare dwara galtiya hoti hain. Un galtyon ka sudhar kar rahe hain. To is galti ka sudhar bilkul sidhe sateek jis par dosh darshan ho us par bhagwat bhav karke pranam karte raho. Bas man bar-bar dosh darshan kare. Tum bar-bar pranam karte raho. Tum jit jaoge man pavitra ho jaega. Sab mein bhagwan virajman hai. Ye krura ap papino nach satam sambhas drishya sar nireeksh param swadhya buddhi mam jo krur hain papi hain baat karne layak bhi nahi nich purush hain unmein bhi bhagwan virajman hai.

swadhya buddhimam meri buddhi kahti hai usmen bhi bhagwan virajman hai. Dridh mati bhagwan ko pranam. Jab ham kisi ki kriya dekhte hain to usmen dosh darshan hota hai. Aur jab ham karan dekhte hain to wah paramatma hai. Sabka karan paramatma hai. To ham us karan tatv ko pranam karen. Kriyon ki taraf na dekhen. Kriya to kahin achchhi ho rahi hai, kahin buri ho rahi hai. Lekin sab achchhi buri kriyon mein jo karan hai, power hai, wah paramatma hai. Isliye ham agar dosh darshan karte rahe to hamara patan ho jaega.

hamko apne patan hone se bachana hai. Dusron mein jahan dosh darshan ho to karan tatv ko kriya gandi hai. Yadyapi kriya malin hai par karan tatv nirmal hai. Isliye us karan tatv paramatma ko pranam hai. Aisa bhav karo. Satya rani ji Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev bhagwan ab sharir budhape mein aa gaya hai. Ab jeevan mein kuch sachetna jagi hai aapke divya pravachan sunkar ki hamen bhi bhagwat prapti honi hai. Maharaj ji is avastha mein saral upay kya hai maharaj ji kya dan punya ya puja path isse dan punya se kuch nahi hona puja path ke liye samay nahi rah gaya to abhi saral upay Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha aur kuch bhi nahi are aur kuch karna kya baki rah gaya jab Radha Radha rat rahe hain sab kuch karke to ham bol rahe hain Radha Radha par maharaj ji hamen lagta hai ki aur ye bahut kuch karna chahiye matlab ye sab ahankaar pusht hone ki baten hain.

kuch nahi karna. Radha Radha Radha Radha Radha sab kuch ho jaega isi se. Kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utre par. Jiske paas itni chhoti thodi ayu rah gayi hai. Uska bhi kal aa jaega. Radha Radha sabki thodi ayu hai yar. Pata nahi chala hamen. Hamen aaj lagta hai ki ham jaise kal ghar se bhage ho. 50 55 varsh 55 56 sal ki ayu hai to 50 varsh aise vyatit ho gaye aise 50 varsh aise vyatit ho gaye aaj hamko wahi aise jab dekho to kal wala din lagta hai ki jaise kal bhage ho ghar se aisa lagta hai to ayu to aise vyatit hoti chali jati ki pata hi nahi chalta hai to jitni ayu ab bachi hai ab ham Radha Radha Radha Radha Radha to isi se hamara mangal ho jaega shashank Dwivedi ji Lucknow Shyam ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke sanidhy mein ane ke pashat sahi va galat ki jankari hui aaj ye jante hue bhi ki yah galat hai kintu man bar-bar wahi kriya dohrane ka prayas karta hai isse kaise bachne ka prayas karen maharaj ji ye sabka prashn hai aapka hi nahi sabka hai.

pahli baat to jis baat ko ham jante hain galat hai uske sang se bachna hai hamen. Agar hamara sang hua aur hamare andar kamzori bhi hai to ham gir jaenge. Pehle hamen duri banani hogi aur adhik se adhik naam jap karne se man paripakva hone lagta hai. Aisa vairagya hone lagta hai ki sab jahanjahan man jaata hai wahan wahan use accha nahi lagta. Naam jap ka prabhav jab hota hai to jahan jin vishyon mein jin bhogon mein ham patit hote hain un bhogon mein jaise man jaata bhi hai to vichar kab tak bhogenge kitna bhogenge bahut janm bhoga wo ek nirash ho jaata hai.

itna sundar vichar andar aa jaate hain ki vicharon ke dwara uske vichar ko badhit kar deta hai. Jo kuvichar man ne diya na to sad vichar uske upar havi ho jaate hain. Akhir kab tak karen? Kab tak yah sab pure jeevan log inheen bhogon ko bhog rahe. Sansaar mein anekon bar janm hua. Inheen bhogon ko bhoga. Aaj tak tripti nahi hui. Ab to bhagwan ka bhajan kar lene do. Kyon bar-bar man hamko vishyon mein le ja raha hai. Kyon bar-bar? Wo andar se itne achhche vichar ate hain ki ku vicharon par havi ho jaate hain.

man nirash ho jaata hai. Phir usko parast nahi kar pata. Aur agar hamare paas bhajan ki kami hai to kuvichar utpann hua amuk bhog to hamari buddhi uske sukh ko dikhane lagti hai ki aise se aise aise aise aur jahan uske sukh bhog ka chintan hua tab bavla ho gaya aur wo bhrasht ho gaya wo us bhog mein patit ho gaya wo bhog use apne mein akarshit kar liya sangam tajet mithunam vati naam mumukshu jo mukt hona chahta hai ya bhagwat prapti karna chahta hai to galat sang ka tyag karen. Jaise mobile se bhi galat sang hota hai aur vihaar mein bhi galat sang hota hai.

to mobile se bhi koi galat baat na dekhen. Bahar bhi jo galat hamen utsah dene wale vyakti hai, vastu hai, sthan hai usse hamen bachna chahiye. Khan-pan sudharna chahiye. Man jahan jae wahan se bar-bar hatakr prabhu mein lagana chahiye. Yahi prakriyaen hain jinke dwara ham apne man ko rok sakte hain. Pahla vichar binachare je karen te pache pachhitae kam bigdo apno jag mein ho tasae. Hamen vicharvaan banna hai. Kuvichar ke upar sadwichar yadi havi ho jae. Hai bahut kathin. Dekho hamara man kah raha hai hamko yah chij bhogna hai aur agar wah paas hai to aap jit nahi sakte aur agar duri hai to man bar-bar kahega aap rok sakte ho to sabse pehle hamen sangam tajet sang ka tyag karna hai.

sang jo kusang hai uska tyag karna hai. Yadi ham kusang ka tyag kar le gaye aur khub bhagwan naam jap karen aur pavitra bhojan karen aur pavitra aacharan karen to hamara man theek ho jaega man lekin samay lagega dhire dhire dhire dhire ismen ghabrahna nahi hai dhairya purvak ladna hai ye bahut lamba yuddh hai koi do char sal ya do char mahine ka yuddh nahi hai ye bahut lamba yuddh hai aur isse jit gaye to man ko jo jit gaya wahi mahatma ho gaya. Chahe grihasth ho chahe virakta ho man ko jo chela bana le wahi guru nahi bade-bade guruon ko chela banae hue man nahi bade-bade guruon ko chela banae hue man aur jo man ko chela bana le wahi guru wahi guru hai aur wahi sacha guru jo apne man ko chela bana le nahi to man ke chela sab hai koi birla aisa siddh purush hoga jisne man ko apne adhin kar liya sab man ke adhin hai.

ye khana ye pina ye dekhna ye sunna ye ye sab isi mein sab laga hua hai vihaar to ham dhairya purvak uktae nahi. Agar hamko man gira deta hai to nirash na ho. Phir utsahit hokar khade ho. Phir isse ladne ki koshish karen. Bar-bar ham ladenge to hamare paksh mein paramatma hai. Hamare paksh mein bhagwan hai. Kyonki naam jap kar rahe hain aur bhagwan ki sharan mein to ham ek din jit jaenge. Hamen bar-bar barabar abhyaas karna hai. Hamen ghabrana nahi hai. Pareshaan nahi hona hai. Jaise office ka karya hai to usmen likh ke naam jap kar sakte hain ya kampyutar pe taip karke kar sakte hain.

haan aisa kar sakte ho ki aapne counter ke sang lagataar karya ho nahi pata. Haan nahi theek ye baat theek hai. Lephta mein man lo aapne 10,000 naam likhe, 5,000 naam likhe aur aapne dekha darshan kiya, pranam kiya aur sab delete kar diya aur wo bhagwan ko arpit kar diya to wo bhi bhajan ho jaega. Bahut badhiya bahut badhiya karo isse man lagega. Isse man lagega lagega. Bilkul lagega. Theek baat hai. Harshit Agarwal ji Noida se. Maharaj ji kitne samay mein ham bhajan simran ke jarie us paramatma ka deedar kar sakte hain?

itna ise nimeesh kahte hain. Ise nimeesh kahte hain. Ek nimeesh mein darshan ho sakta hai. Par vyakulta chahiye. Aisa rudram rajan Krishna darshan lalsa ab aapke bina raha nahi ja raha. Jiya nahi ja raha. Hriday vyakul hai. Bhagwan se wo roro ke pukar raha hai. To ek nimeesh mein darshan ho sakte hain. Bas wah vyakulta paida karne mein samay lagta hai. Bhagwat prapti mein samay nahi hai. Sharir se sansaar se moh hatakr bhagwan mein apne moh ko laga dena. Mamta ko laga dena aur nirantar naam jap karte hue jab ham samay vyatit to vyakulta paida hoti hai bhagwan ke milan ki.

jisko itni vyakulta paida hui ki yadi ab bhagwan na mile to hamare pran chhut jaenge. Use bhagwan ki prapti ho jati hai. Samay aaj tak kahin kisi shastr mein nahi likha ki ek varsh do varsh ek second mein bhi ho sakte hain aur hazaron janm mein bhi nahi ho sakte. Hazaron janm mein bhi nahi ho sakte aur ek second mein ho sakte hain. Bhagwan kripa karen abhi mil le. To ham bhagwan ka naam jap karen. Bhagwan se prarthna karen. Bhagwan ke liye vyakul ho. Yah hamari taraf se hai aur wah jab chahe tab mil le.

unki kripa unke upar koi ankush nahi hai. Unke upar koi aisa nahi hai ki aap aisa karen to wo vivash ho jaenge. Nahi ham roro kar prarthna karen. Kabira hansna chhod de rone se kar priti bin roye kin paiya prem piyara mit. Aisa mitra bina roye kisne paya? To jab andar se vyakulta paida ho jae. Abhi dekho bhogon ki vyakulta hai. Bhagwan ki vyakulta nahi. Jab bhagwan ki vyakulta ho thoda kisi se prem kiya ho to vyakulta tumhen samjh mein aayegi. Prem to aap hi se nahi waise bhi matlab to aap hi se jaise jaise arjun ke darshan Krishna ji karae the.

aap bhi kara sakte ho hamare dekho na to arjun ho na yar ham shri Krishna hai. Mere aap sabke shri Krishna nahi ham yah kah rahe hain ki vyakulta to thodi samjh mein ave jab apna kisi se pyar hua ho aur wah bahut dur ho aur ham usse mil na pa rahe ho aur milne ke liye jo chhataptahat hoti hai us vyakulta ko thoda sa anubhav karo tum agar kisi ne pyar kiya ho aur uska premi dur ho aur matlab uske bina jiya na ja raha ho phir usse pocho to usko kuch accha nahi lagta. Usko ek bar lagta hai ek bar mila do.

bas mujhe ek bar mila do. Use bhojan accha nahi lagta. Use pani accha nahi lagta. Usko apna shringar karna accha nahi lagta. Usko kisi mitra se baat karna nahi accha. Usko usse baat karna accha lagega jo uske pdos mein rah raha hai. Yar tumne dekha tha kya? Hamne dekha tha to aaj kaise kapde pahne the? Aaj wah uski baat karna chahta hai. Yahi isi ko idhar palat do. Ise usko bhakton se baat karne mein accha lagta hai. Bhagwan ki rup madhuri bhagwan ki gun madhuri bhagwan ki leela madhuri bhagwan ka premi bhakt wo hamare prabhu ki baat karega.

jahanjahan pi ki baat sune khojat tin gan nahi khanpan te bhave hai nahi komal vasant suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mag nyara aur bhagwan se ashiki karna koi chhoti moti baat hai bahut badi baat hai to bina prem ke bhagwan milte nahi aur bina bhajan ke prem nahi hota isliye dat ke bhajan karo aur jab prem prakt ho jaega to bhagwan prakt ho gaye prem te prakt hove main jana prem se yahi bhagwan ka pradurbhav hota hai. Rohit ji ayarlaind Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji hamen shri Radha naam bhagwan ghar mein virajman karne ki ichchha hai.

iske liye hamen kya-kya savdhania hai dhyan rakhna hai. Ham videsh mein rahte hain maharaj ji. Kai bar ghar se bahar dusre deshon mein jana parta hai. Koi vishesh savdhani nahi hai. Jo tum bhog pate ho wahi bhog laga do. Jal se yamuna jal ya Gangajal jo paryapt aapko jahan se mil jae usse snaan kara do. Rumal se pochh do, itr laga do, chandan laga do, bhog laga do. Bilkul saral baat aur jahan jao ek chhoti si daliya rakh lo ya usmen rakh ke naam seva le ja sakte ho. Kahin bhi kar sakte ho. Koi kathin karya thodi hai.

kabhi bhi bahar jana parta hai. Bangladesh mein aur wahan khana bhi parta hai bahar kyonki ghar nahi rahte hain. To ghar mein jo rahte hain unko seva de do ki aap seva karo tab tak ke liye. To koi aparadh to nahi hai. Aise ham log bahar khate hain wahan nahi. Ghar mein seva hoti rahegi. Haan to koi aparadh nahi. Koi aparadh. Dekho ab vyapar mein ya hostal mein jo bachchhe padhte hain ya nokri mein ab khanpan ki to badi ashuddhata hai. Ab agar usko dekhe ki khanpan ashudh hai to phir bhajan kar hi nahi payega. Isliye bhajan karo.

jo dhire-dhire shuddh ho jae. Madira mans ka sevan bhar na karen aur phir jo jaise ho apna bahar khana parta hai to kahin puchhie ki kya pyaaj lahsun ka bina milega to kahte nahi aap dusri jagah dekh lijiye haan bilkul bilkul bilkul bilkul nahi agar wo bhi haan kah de to patr to wahi hai aur wo sab dekho pyaaj lahsun koi paap nahi hai ham aapko batayen jaise mans hai madira hai inme to nishedh hai ekdam ab pyaaj lahsun kya hai tamoguni hai jahan aloo paida paida hota hai wahi paida hota hai. Thoda iske liye mana hai ki bhajan mein satvic bhav mein thakur ko bhog nahi lagaya jaata.

isliye thoda sa kyonki adhiktar log vyapari nokri pesha wale padhne likhne wale jo hotlon mein hi bhojan pate hain aur hotlon mein badi samasya hai. Badi samasya isliye pao jahan jaisa mile aur aadha gao jio kisi tarah bhagwan se judo. Nahi bahut si samasyaen hain. Bahut si samasyaen hain. Ham to pradhanata denge ki aap naam jap karo. Aap bhagwan se judo. Jaise bhi jaisi bhi man lo jaise aap burai nahi chhod sakte. Ek baat hamari samjho. Jaise aap burai nahi chhod sakte. To aap achchai to pakar sakte ho na.

to achchai ko pakdo. Achchai mein itni samarth hai ki wo aapki burai chhuda degi. Aap burai aap yahan ana shuru karo. Man lo bole ham sharab chhod denge tab Baba ke paas jaenge to mushkil hai. To isliye ham kahte hain ki koshish karo agar bhojan shuddh mil jae koshish karen. Ghar wala to pavitra se kar sakta hai lekin bahar jo vyapar nokri inme unki pavitra to aap naam jap kijiye. Jaise bane waise naam jap kijiye. Hamara uddeshya jeev bhagwan se jude. Vishyon ko tabhi chhod sakta hai jab wah bhagwan se judega.

bhagwan se judne par jeev ka mangal hai aur agar khanpan ke chakkar mein padega to ab wo sochega ki jab ham sab chhod denge tab japenege to ho sakta hai sharir chhut jae aap na chhod pao to isliye na ab aaj se naam jap karo aur jaisi paristhiti mein ho waise jio dhire-dhire sudhar kar lo. Ji kaphiyon ko to pyaaj se bahut pyar hai. Pyaaj ke bina matlab baat nahi banegi. Accha matlab wo naam chhod sakte Radha Radha to pakdo Radha Radha pakdo jisse tumhara mangal ho jaega man lo wah nahi chhod sakte to yah pakar to sakte ho Radha naam pakar lo bhagwan naam pakar lo dhire-dhire sab theek ho jaega sab theek ho jaega ham kah rahe sab theek ho jaega aap Radha Radha japo aap bhagwan naam japo badi samarth hai lekin bahut si samasyaen samaj mein hai.

badi samasyaen hain. Ek to man lo jinko pasand hai aur ek jo chodna bhi chahte hain wah nahi chhod pate. Aap ek paiket chipsa lijiye usmen bhi lahsun para milega. Aap kuch bhi lijiye khanpan ki samgri prayah ek do paiket ek do chijon ki baat nahi kahte bakaya har chij mein aapko milega aisa to jahan jaisi paristhiti ho vaisa nirvah karo aur naam jap karo bhagwan ka naam jap karo usi se mangal ham jor denge ki aap sharab chodo aap manas chodo jo chhoda ja sakta hai aap par stri gaman chodo gande aacharan hinsa chodo ab jaise pyaaj lahsun man lo isi sthiti mein to koshish karo chhorne ki.

agar nahi chhod pa rahe ho to chalo. Hamare saath chalo. Bhagwat marg mein chalo. Dhire-dhire chalo. Tumhara man khud itna pavitra hoga ki accha nahi lagega. Chhut jaega. Par kuch log to accha nahi lagta. Chodna chahte hain par nahi chhod pate. Kyonki unko kai jagah jana hota hai. Bhojan pana hota hai. Wo sab pavitra nahi milti hai. Bahar pavitra nahi yar. Kitna bhi kaho kitna bhi kaho bahar pavitra nahi. Aap bane aap wo mano ki aapki thali mein bilkul swachchh saaf ho ke aae wo sab to wo kisi tarah nirvah karna wahan pavitra ka kya vihaar to isliye naam jap karo bhagwat chintan karo aap sabhi parag ji Jaipur se shri harav Gurudev Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev abhi tak to man ko bar-bar khinch khinch ke wapas mantr mein lane ka prayas chal raha hai aur kabhi-kabhi vyakti vastu sthan mein guru isht ko dekhne ka asfal prayas hota hai.

Gurudev ye kheenchtan bahut vichlit kar rahi hai. Man ki is dasha ye chalta ye mahabharat chalega. Ye mahabharat chalega. Wo 18 din mein khatm hua tha. 18 varsh mein bhi khatm hona bada kathin hai. Kyonki bahut janmon se hamari durvasan pusht hai. Bahut janmon se. Ab hamko usko nasht karne ka avsar mila hai to ham pryasrat hain. Lekin safalta bhagwan ki kripa ke ashrit hai. Prayas ham karte rahe hare na. Bahut bada yuddh hai yar. Ham log to pura jeevan ho gaya na. Matlab aapke to aur bhi karya hain. Hamare to keval ek hi karya tha.

bhajan to hamne dekha hai yah bahut bada yuddh hai. Kabhi-kabhi ro parta hai hriday. Rona bhi nahi. Haan nahi ab rona aa jaega. Age chalte raho. Ab naam jap karte raho. Age aa jaega. Rona aa jaega. Jab aap harenge to hara purush rota hai. Hare ko hari naam jo yahan har gaya wahi jit jaata hai. Bhagwan phir use jita dete hain. Jaise phutbol ka khiladi hai na bol ka aise marta hai na to niche jaata hai na wo niche nahi jaata hai. Wo lakshya tak pahunchne ke liye thapak mari jo niche gaya so mara aise wo gol pe pahunch gaya.

pahunch gaya na to aise hi jo bhagwan ka sharanagat hai to laga ki niche gira lekin niche nahi gira bhagwan ne mara usse upar jo niche girtegirte ki wo lakshya pe pahunch gaya wo gol par pahunch gaya isliye hamen harna to hai padega ek bar kyonki ahankaar nasht hoga jab main thak jaaunga ye sab kartekarte tab rona aa jaega ki prabhu main har gaya hoon jaise tulsidas ji kah rahe hain ho haryo kar jatan vivid vidhi atishay prabal ajay tulsidas bas hoe tab jab prabhu prerak barje he prabhu aap hi is man ki dori hath mein liye hue ho aap rok do hamne to har upay karke dekh liya ye nahi ruk raha na ye bar-bar gande vishyon mein jaata hai prabhu aap rok lo aap bacha lo mujhe in vishyon se to phir bhagwan ki kripa hui wahi tulsidas ji likh rahe hain jaki kripa lavle te mati mand tulsi das ho payo param vishram Ram saman prabhu na kahun jiski loles is kripa matra se mandamti tulsidas param vishram ko prapt ho gaya.

aise prabhu ke saman koi nahi hai. Advitiy hai prabhu. To ham ye jo lad rahe hain apne man se yah prabhu dekh rahe hain. Aur isi baat ka hamen inam milega ki prabhu ham par rijh karke jita denge hamko. Nahi man par vijay prapt karna bahut kathin hai. Bahut kathin hai. To yah matlab jab tak swas rahegi tab tak yah yuddh chalta rahega ki kahin aisa na ho jae. Kahin aisa na ho jae. Aur is raah mein koi sathi nahi milta. Koi sathi nahi hai. Is raah mein koi sathi nahi hai. Chal chala chal raah mein anubhutiyon ka le sahara.

kaun tera saath dega? Vyarth mein kisko pukara? Yahan tumhara koi sathi nahi milega. Satya mein chalne par sathi keval ek paramatma hi hoga aur tumhari anubhutiyan hongi. Tab chal achhche aadmi ka koi saath nahi deta. Bure aadmi ke dason mitra hote hain lekin achhche aadmi ke mitra nahi hote. Isliye achhche aadmi bano aur bhagwan ko apna dost banao aur yah yuddh jari rakho. Bar-bar man ko hatakr vishyon se bhagwan mein lagao. Iska inam milega tumhen. Ek ek second ka hisaab dete hain bhagwan. Yah jo aap jal rahe ho, aap lad rahe ho man se, iska inam milega.

aap nihal ho jaoge. Aap anand magan ho jaoge. Jitna bhajan kar liya, itne mein hi magan ho jaoge. Chinta mat karo. Ye vyarth nahi ja raha. Ye aapki ladai, aapka bhajan, aapki bhagwan ke prati jo cheshta hai, ek ek second ki likhi ja rahi, ye vyarth nahi jaegi. Pakka samjh lo. Hamari baat par vishwas rakho aur ladte raho jit jaoge. Maharaj shri ye sab sadhako ka hi prashn hai jo aap is pe is vishay pe charcha kar rahe hain. To maharaj ji is yatra mein jaise inishiyal jab prarambh hui to jwalan bahut zyada hoti hai to iske kram mein dhire-dhire kam hona shuru ho jati hai.

to dhire-dhire pata lagta hai kya maharaj ji iska sopan kya hai maharaj ji? Jaise man kah raha hai ki ham ye vishay bhoge bahut jor se kah raha hai. Ab wo itna kah raha hai ki ab bhajan ki taraf lag hi nahi raha. Keval wo vishay bhog ki taraf rahe. Ab hamko use vishay bhog nahi dena. Radha Radha Radha wo pagal sa bana dega. Ab wo chahiye hi matlab jisne roka uski baat kah raha hoon. Ab shant ho gaya. Ab jab dobara aayega to 90% aayega. Jab tivara aayega to 80% aayega. Aur 10% mein akar ruk jaata hai. Aur agar 50% par phir se usko wah sanyog baitha diya to phir badh jaata hai.

phir 100% ho jaega. Accha ye kram chalta rahega maharaj ji upar niche wala to isliye sanyog hi na hone paye. Haan devrshi narad ji ne kaha hai sadhna karne par ye tarang ki tarah ho jaata hai. Samudra tarang ki tarah ho jaata hai. Aur agar sanyog mila to sam tarang samudra ban jati hai. Jaise chingari hai na to jwala chingari rup mein aa gayi. Lekin agar agar use ghas phus mil gaya to jwala banne mein der nahi lagegi. Jab tak swas hai tab tak yuddh jari hai ki kabhi bhi kisi bhi sthiti mein apne ko siddh mankar ab koi chhut na de de nahi to gir jaega.

bade-bade siddho ko maya ne bhrasht kar diya. Shiv viranchika moh ko hai bura as jaan bhuji mayapati bhagwan. Isliye sadaiv savdhaan hokar bhajan marg mein age badhte jana chahiye. Phir se ek clear ke liye pooch raha hoon. Kya 10% se phir 100 ho jaata? Isiliye kahta hoon ki ghatte ghatte aata hai aur 10% mein ruk jaata hai aur wo 10% tab samapt hota hai jab bhagwat sakshatkar ho jaata hai aur jab bhagwat sakshatkar ho jaata hai phir kam khatm ho jaata hai. Phir to jaise bhune hue chane mein aap chahe jitna dana pani khad lagao ankuran nahi ho sakta.

aise sant ke jo bhagwat prapt hai unke hriday mein kam aadi dosho ka pradurbhav nahi hota. To kamadik madad damb na jake tat nirantar bas main taake bhagwan kahte hain jiske kam nahi hai ahankaar nahi hai damb nahi hai aise santo ke main adhin hota hoon tat nirantar bas main taake kamadik mad damb na jake tat nirantar bas mein taake yah bahut bada anant janmon se bhatkav mitane ka hamen avsar mila hai. Yah ladai lad rahe ho na aapki lift chal rahi hai. Aap floor par floor langte chale ja rahe hain. Aapko pata nahi hai.

aapki adhyatmik bhumika badh rahi hai. Aapko lagega main wahi hoon. Jaise lift mein khada hua lag raha hai ki main wahin hoon lekin kai floor cross kar gaye. Adhyatma ke kai floor cross kar gaye. Isliye chupchap ladte raho. Ahankaar mat karna. Harna hai. Harna hai. Andar se jab har jaoge na. Jab andar se har jaata hai sadhak to ek hi baat aati hai rona. Ab wah rona virah ban jaata hai. Wahi bhagwan ke milan ka hetu ho jaata hai. Jab karte karte bhajan karte karte aur dekh rahe wahi vishay wahi gandagi wahi wo to har jaata hai.

rota he prabhu ab kya karun? Kaun sa sadhan karun? Kaise nipte wahi kripa usko sambhal leti hai. Aaspas se kripa gher leti hai. Kavach kar leti hai aur usko nikal deti hai. Jab tak sadhna ka ahankaar rahta hai tab tak bhagwat sakshatkar nahi hota. Jab sadhna ka bhi ahankaar mit jaata hai, apna astitva mit jaata hai, tab bhagwat sakshatkar hota hai. Kripa bilkul bilkul kripa hi hai. Ye bhagwan ki ahtu ki kripa hai. Ye chhoti moti baat nahi. Aap ladte rahie aur sab sadhako se vinay hai. Hariega mat. Is vishay mein yah mat hariega ki main ab har gaya.

bhajan karna chhodkar vishyon mein chale gaye. Nahi nahi aisa mat kijeyega. Yah jeevan ki baji hai aur jitna hi jitna hai kyonki bhagwan hamare saath hai. Harna ahankaar ko hai jitna hamen hai. Ham bhagwan ki sharanagati ke bal se bhagwan ko jarur prapt karenge. Aisa dridh vishwas hona chahiye. Ek sadhak aae the. Bahut vikal ho ke kah rahe the ki main har gaya. Aur mere ko abhi lag raha hai sansaar hi chale jaun. To ye gadbad ho jaegi na maharaj ji? Ab ham aapko ek ghatna batte hain ki yah 2025 varsh pehle ki baat hai ki ek sadhak Vrindavan ki dandvati parikrama lagate the.

bahut achhche sadhak the. Gore pile tagde hasht pusht dandvati parikrama lagate the. Nai avastha thi. To wo jis kapde par let kar dandotri parikrama lagate the. Ek jarmani ki stri jo ladki thi wo dekhkar prabhavit hui aur usne jarmani ka note samarpit kiya wo lagate hi rahte the to kaha Baba ek bhagat ai thi usne note diya aur kaha bacho bacho bacho ab agli bar se usko dant dena paisa mat lena usko khade mat hone dena dusre din gaye wo to roz ham parikrama lagate the ratri mein 2:00 baje se 2 baje suryoday hote hote sab ho jaata tha bole Baba aaj wo hamara chaddar le gaye aur itne note the ham kaha phir maharaj jai shri maharaj turant apne ko badla ki matlab aap shishya ho to lekin jab dekha to ham kaha ho so jo Ram rachi rakha ko kar to kaha maharaj aap sant ho aap dekh lo jaisa phir maharaj kahani age badhti chali gayi aur unki dasha hi alag ho gayi.

matlab itni mitrata ho gayi ki ab usne baik kharid di baik mein aur ghumna khatm dandti parikrama to ye kya maya kya karti hai ki jaise ham log bhagwat marg mein lage to dane dalti hai kyonki hamari kamzori pata hai na usko ki isko yah pasand hai isko yah pasand hai andar ai hai wo baithi manai mein to baithi hai to wahi chij hamen degi wahi sanyog karayegi ab hamko lagta hai ki bhagwan to kal bhi mil sakte hain. Bas yah baat ho jati hai. Ham bhul kar jaate. Hamen lagta hai aaj ham yah kha lete hain. Kal bhagwan to mil hi jaenge.

aur bhog itne manohar lagte hain. Itne sundar lagte hain. Itne priy lagte hain ki ham bhagwan ko chhod dete hain aur bhogon mein bhrasht ho jaate hain. Ye matlab ek do ki kahani nahi hai. Ye lakho chalne walon ko mar ke gira diya maya ne. Koi birla guru kripa patr aisa hai jo isse bahar nikal pave nahi to bahut vichitra hai bahut vichitra bhagwan atishay prabal dev to maya chhute Ram karo jab daya wahi kripa kare ta nikla ja sakta hai kripa karen haan bilkul shri Harivansh maharaj ji maharaj ji hamne aapko dhai varsh pehle YouTube ke madhyam se sunna shuru kiya tha aur aapse judne ke baad hamen jeevan ka sahi uddeshya samjh aaya aur aapki sharanagati prapt hui.

maharaj ji, main kendra sarkar mein ek vibhag mein varishtha pad par karyrat hoon aur jaise ki pehle bhi kai logon ne ekantik mein sajha kiya hai ki main bhi apne karyasthal par anek ne chunautiyon ka samna kar rahi hoon. Maharaj ji wahi hai ki matlab bahut kuch sahna parta hai. Phir apman hota hai, avhelna hoti hai, tiraskaar hote hain, ninda hoti hai, uphash hote hain. To aise mein maharaj ji ka karya karna bahut kathin ho jaata hai. Aise mein khub utsah purvak kam karo. Aap galat nahi hona chahiye. Aapko jo pad mila hai aur jahan tak aapka karya kshetra hai usmen na truti honi chahiye na koi kisi bhi tarah ka pralobhan ya bhay ke dwara ham koi galat karya na karen jo bhi aapka department ho ham apne karya kshetra mein pavitra rahe iske baad log gali dete hain ya uphash karte hain ya ninda karte hain hamen bilkul parvah nahi honi chahiye hamen mast rahna chahiye kyonki ham galat nahi hai.

yadi ham galat hain to sudhar kar lena chahiye aur yadi galat nahi hai to hamen beparwah ho jana chahiye. Hamen mast rahna chahiye. Hamen kisi ki baton mein nahi ana chahiye. Ji kabhi-kabhi sahan nahi hota. Naam jap karo to isse sahenshilta badhegi. Jitna sahan ka bhakt wahi hai jo sab kuch sahan kar sake. To naam jap karo. Naam jap se aap mein samarth aayegi. Sahenshilta are ji sahenshilta ka paribhasha kya hai ki matlab keval andar sahte rahna ya usko kating karna andar se. Nahi agar vivek hai to vivek kaat dega 1 minute mein kaat dega kyonki wapas ana yah mahatwapurn hai na maharaj ji pata laga sahan karte karte ab depression mein chale gaye maharaj ji nahi nahi nahi bhajan karne wala kabhi depression mein nahi jaata bhajan kyonki naam jab chal raha hai na wo haan jaise aag jal rahi hai aur aapne pani dala to aag kabhi badh thodi wo shant ho jaegi to bhagwan ka naam shital hai wo aapki buddhi ko bhi shant kar dega vivek prakt karke use kaat dega waise agar satsangi hi hai to vivek rakhta hai.

ek hi aata hai ki kab tak sahan karen? Kab tak sahan karen? Hamen barabar jeevan bhar sahan karna padega. Jo sahan kar gaya wahi mahatma jo tut gaya wahi wahi sansari kya paristhiti parivartit karne ke liye shri ji se thakur paristhiti parivartit karne ke liye nahi paristhiti mein hriday ko paripakva karne ke liye bhagwan ne banaya hai. Paristhiti bhagwan ne diya hai. Hamare hriday ko paripakva karne ke liye ham paristhiti parivartan ki maang na karen. Ham us paristhiti mein datkar ladne ki kshamta prapt karen. Ham kahan bhag ke jaenge?

jahan jaenge wahan maya hai. Jis paristhiti mein bhagwan ne mujhe rakha hai bahut soch samjh ke rakha hai. Aur bhagwan ke dwara kiye hue vidhan rupi paristhiti mein hamko balvan banna hai. Kamzor nahi banna. Hamko sahnseel banna hai. Aur jab aap sahan karne lagoge na to aapko bura hi nahi lagega. Bura lagna hi band ho jaega. Aap kahte ho kab tak sahan karen? Sahan karna hi nahi hoga. Wo bura hi nahi lagega. Bura tab tak lagta hai jab tak ahankaar rahta hai. Aur naam jap karte hue ahankaar jab bhagwan ke charnon mein samarpit hota hai phir bura nahi lagta.

phir hansi aati hai. Jaise pagal aadmi aapko kuch bole to aapko bura nahi lagega kyonki aapko pata hai pagal hai. Aise ye maya mein pagal log hain. Yadi ninda karte hain, apman karte hain to hamen muskura ke chal dena chahiye. Hamen bura nahi manna chahiye. Aur ye kshamta aayegi bhajan se. Jitna bhajan karoge utna hi sahenshilta badhegi. Isse kya hota hai na din ka adhiktar samay wahi bita hai karyalay mein to bhajan utna bhajan abhi sadhan utna to hai nahi maharaj abhyaas kijiye dekho abhyaas kijiye ham kah karyalay mein hamen to kya Radha Radha andar se nahi bol sakte jab khali samay hai to ham abhyaas karen jab hamare andar ye lakshya ban jaega na ki mujhe bhajan karna hai to karyalay mein bhi ham accha bhajan kar sakte hain hamara lakshya nahi banega na to ekant mein baithe prapanch sochenge mala keval anguli mein ghumega mala anguli mein ghumega aur dimaag prapanch mein ghumega aur agar ham bhajan lakshya bana le to prapanch mein rahte hue bhi dimaag shri ji mein lagega.

mera lakshya bhajan hai to bhajan karte hue Radha Radha Radha jab man lo aap laiptop mein lage ho ya kisi karya mein lage ho to us karya ko bhagwan ko samarpit kar do. Shesh samay mein Radha Radha japo to sumiran aur seva donon ke pratap se hamara bhagwat marg prakashit ho jaega. Pusht ho jaega. Prashn yah hai ki thakur ji ne Uddhav ji ko jo hai badra ashram bheja. Uddhav ji pehle Vrindavan chha mahine rah chuke the. Lekin phir bhi bhagwan ne Uddhav ji se yah kaha ki Uddhav ji aapke jitne bhi paap hain wo sab vivaksha ho jaenge.

iti suddham bhadras ashram ke jo wahan ganga hai usmen snaan karke kya thakur ji ke samne rahne se bhi paap jo hai nahi gaye aur Uddhav ji ko bhadraka samjha na bhej ke Vrindavan chori nahi Uddhav ji ne do swaroop dharan kiye ek giriraj ji mein virajman hai jo vajranabh ko darshan hua vajranab aur parikshit ji ne Uddhav ji ne ka jab kirtan kiya Uddhav kund mein to wahan Uddhav ji ka sakshat darshan hua aur Uddhav ji ne bataya main ek swaroop se sakshat yahi braj mein virajman hoon. Aur dusra jo swaroop Uddhav ji ka gaya to bhagwan ne jo nishpap hone ki baat kahi wo ham logon ke liye kahi ki hamara badrika ashram hai aur wahan yadi snaan kiya jae to paap nishpap Uddhav ji mein koi paap kinchin matra to sawal hi nahi uthta.

jaise arjun ji ko nimit bankar bhagwan ne gita updesh ki. Aise Uddhav ji ko nimit bankar bhagwan ne sampurn ekadash skand bhagwat ka updesh kiya. Wo Uddhav ji ko nimit bankar kaha. Jaise bhagwan shri Krishna arjun ji se kah rahe hain man mana bhav mad bhakto madhya jeevam namaskaru mera man mere mein man lagao mera bhakt ban mujhe namaskaar kar kya arjun ji nahi hai kya aise lekin wo arjun ji ko nimit bankar ham sabko updesh kar rahe hain. Aise wahan bhagwan Uddhav ji ko nimit bankar updesh kar rahe na ki Uddhav ji mein koi paap hai.

Uddhav ji bahut premi hai ji aur lekin unhen tapasya ke liye bhadraka ashram kyon bheja un Vrindavan mein rah gaye the gopiyon se jab ke liye aaya tha dobara kyon nahi unko yahan bheja gaya bhagwan ki ruchi ab ismen bhagwan ki ruchi na bhagwan ka jaisa adesh hoga vaisa bhagwan ka ek rup mein to Uddhav ji virajman hai ek rup mein lekin unko agyaa jo hai badri badrika ashram ki di bhagwan ki ichchha thi na jaise arjun ko bhagwan saath le ja sakte the lekin arjun se kaha hamari patniyon ko le jakar ke aur tum unki suraksha vyvastha bhi karo aur sabko alag kar diya aur kaha satwen din Dwarika doob jaegi bani rahne dete Dwarika kyon dubwaya itna param pavitra to jo bhagwan ki ichchha hai na wahi bhagwan ki ichchha wali hoti ismen koi antarik rahasya nahi hai ismen hamen lagta hai koi antarik rahasya nahi hai Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai jai shri Radhe Shyam jai jai shri Radhe Shyam jai jai shri Radhe Shyam jai jai shri thari vansh

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi