॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

vishwashanti ke liye ham kya kar sakte hain ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

nikhil chauhan ji hari Om ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji vishv shanti ke liye ham kya kar sakte hain? Hriday ko shant kar lo. Yahi vishv hai. Agar hamara lal chashma ho to sab lal dikhayee dega. Hara chashma ho to hara dikhayee dega. Agar hamara hriday ashant hai to hamen vishv ashant dikhayee dega. Hamara hriday shant hai to vishv shanttakar dikhayee dega. Shyam hamare hriday mein Ram to rammay jagat hamare hriday mein kam to kammay jagat hamare hriday mein Shyam to Shyam mein jagat hamari bhavna kya hai vishv bhagwan ka swaroop hai vishv rup mein bhagwan virajman hai unki shanti kya shanti to meri honi hai main apne man ko shant kar lun buddhi ko shant kar lun buddhi ko pavitra kar lun to mera darshan pavitra ho jaega.

vasudeva sarwamitra samatma sudurbhava sab jagah mere bhagwan hai. Ye mujhe dekhna hai. Vishv ko nahi ye mujhe dekhna hai ki vishv rup mein bhagwan hi hai. Aapka hriday shant to aisa lag raha hai sabka shant. To agar mera hriday shant to pura sansaar shant nazar aayega. Mera hriday shant. Agar hriday ashant hai to ganga kinare bhi ashant rahega. Mandir mein bhi ashant rahega. Hriday shant hai to sab jagah shanti chahe jahan to hamko vishv shanti kahan ki karni hai? Yahan ki hriday ki kar hamara hriday bhagwadakaar mein ho jae.

hamara hriday bhagwan mein sthit ho jae to mujhe sarvatra bhagwan dikhayee denge. Shanti hi shanti hai. Aur jab tak bhagwan nahi dikhayee denge to phir ashanti hai. Phir kahin markat ho rahi, kahin vybhchar ho raha hai, kahin byah ho raha hai, kahin janm ho raha, kahin maran ho raha hai. Kya-kya ghatnayen ghat rahi vishv mein nahi ho rahi. Badi dardanak, badi bhayav, badi sukhad, badi dukhad. Ye shant nahi ho sakta. Bade-bade avatar hue. Kya vishv shant hua? Shant hamara hriday hona hai. Vishv ko nahi shant hona.

hamara hriday shant hai to vishv shanti ho gayi. Main aandit hoon to sara sansaar aandit hai. Main dukhi hoon to sab sansaar dukhi nazar aayega. Main Ram mein to jagat Ram mein Shyam mein to Shyam mein yahan sudhna hai. Chashma theek hona hai. Ye sab bhagwan ke swaroop hai. To chashma maharaj ji theek kaise hoga? Sadhna guru charnon ka aashray lekar jab ham sadhna karte hain tab hamari drishti badal jati hai. Dekho hamari drishti stri purush wali hai aur ek mahatma jab bhajan karta to brahm drishti ho jati hai. Sarvam khamidam brahm brahm drishti ho gayi.

rammay drishti ho gayi. To wo sadhna se hoti hai. Guru charnon ka aashray lekar shastr swadhyay karna, guru mantr japna, paropkar karna, thakur seva karna, bhagwan ki leela kathayen sunna, satsang sunna isi se hamare andar gyanarjan hota hai. Isi se ham adhyatma ki unchai par chadh pate hain. To hamara hriday shant to vishv shant. Hamara hriday shant to vishv shant hai. Maharaj ji is chashme ko theek karane ki dukan kahan hai? Sant mahapurush jo bhagwan ke parsad hain. Satsang karo. Satsang se sudhar ho jaega.

yadi sache santo ka sang ho to bahut jaldi bhagwan ki kripa prapt hoti hai. Bahut jaldi paramarth dikhayee dene lagta hai. Par samasya ye piche wale bhi batch mein kaha ki aaj sabke dimagon mein rupya nach raha hai. Rupya nach raha hai. Adhyatma ya bhagwan lakshya nahi hai. Laksh rupya ho raha hai. Sabke dimaag mein rupya chal raha hai. Jab dimaag mein rupya chal raha hai to bhagwan ki prapti ki baat kahan aayegi? Aap soch ke dekho. Itne log baithe apne itne log baithe hain. Itne logon ke dimaag mein kya chal raha hai?

wahi bhog, wahi rupya, wahi parivaar, wahi rishte nate kahin bhagwan to nahi chal rahe na ki ab jeevan ka lakshya bhagwan hai. Ab mujhe bhagwat prapti karni hai. Yah tabhi chalega jab satsang sunoge. Agar roz sadhu sang karo to dekho aapki unnati ho jaegi. Aapka paramarth pusht ho jaega. Satsang agar hamen mil jae to hamare jeevan ka parivartan ho jae. Par sahi satsang mil jae. Agar sahi satsang nahi to badlav nahi ho sakta aapka. Aap mein badlav nahi hoga. Badla hoga jab pravachan karne wala badla hua hai to agar pravachan karne wala adhyatmvan hai ye vash adhyatma thodi hai adhyatma to hriday ka vishay hota hai vash adhyatma nahi hai andar vishay vasna man pratishtha rupya paisa to pakhand hi to hai wahi usi ko pakhandi kahte hain to andar adhyatma ho wo jab ham bolenge to aapke upar prabhav prabhav padega gambhirta aayegi aaj se kabhi nahi karunga aisi baten ayengi man jalne lagega achhche marg mein chalne lagega isiliye santo ki mahima bhagwan ne swayam shri mukh se gaan ki hai bhagwat mein ramayan mein par sant sang milna bada kathin hai agar sant sang mil gaya to amoghas nischit bhagwat prapti ho jaegi nischit kalyan ho jaega aaj nahi to kal nischit jaise ek aadmi soya hua hai aur surya uday ho gaya hai to uske liye to andhera hi hai.

ab wah jab jagega tab dekhega prakash hai. Aise sant kripa ho chuki par kuch paap jab uske nasht honge bhajan se tab wah manega ki hamare upar pahli kripa kya hui thi. Jeevan ka hamara badlav kahan se shuru hua tha. Tab usko anubhav aur kripa manakar age badhega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi