bhagwad darshan aur bhagwad tatv ke sakshatkar mein kya antar hai?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
abhishek Mishra ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bhagwat tatv kya hai aur bhagwat tatv ka sakshatkar aur bhagwat darshan mein kya antar hai? Pahli baat to bhagwat tatv ke liye ved bhi jitna varnan karte hain iske baad neti neti kah dete hain wo asim anant raso vai rasam haya labdh andi bhat wo tatv kaisa hai bole ras swaroop hai jo use prapt ho jaata hai maha anand mein doob jaata hai. Jo avyakt hai, vyakt hai, charachar jagat ke rup mein hai, charachar jagat se pare hai. Kitna bhi varnan karo wo asim anant hai. Isliye bas itna jaan lena hai ki jab srishti nahi thi tab bhi wahi tha.
jab srishti nahi rahegi tab bhi wahi rahega aur beech mein jo kuch bhas raha hai wah sab wahi hai uske siva kuch hai hi nahi sarvam khalmidam brahm ne nana nast kinchan uske siva kinchin matra kuch nahi jo kuch bhi dekh rahe ho sun rahe ho soch rahe ho wo sab wahi hai uske siva kuch nahi hai bhagwat sakshatkar sakar upasna mein jab ham bhagwan ke kisi ek naam rup ka aashray lete hain aur samasth sharir sharir sambandhi bhog sharir sambandhi rishte nato se mamta aur asakti hatakr keval shri bhagwan mein samarpit karte hain to hamari priyata ho jati hai.
bhagwan ke naam se, bhagwan ke rup se, bhagwan ki leela se, bhagwan ke dham se naam rup leela dham mein Prita hone par ek vyakulta paida hoti hai jise virah kahte hain. Ki jiska main gungan kar raha hoon, jiska main naam jap kar raha hoon, jiski leela sthaliyon ka darshan kar raha hoon. Par wo to mujhe dikhayee nahi de raha. Hai kab wo mujhe dikhayee dega? Kab miloge? Daras bin dukh na lage nain bhari vyakulta. Pran chhataptane lagte hain milne ke liye. Anurag se bhara hua hriday. Jab manas netron mein Gurudev ki kripa se rup prakashit hota hai.
to hriday mein bhi aur bahar bhi sarvatra bhagwan ko dekhta hai. Jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jaan hriday mein bhi bahar bhi ise bhagwat sakshatkar kahte hain. Ye rup ka sakshatkar hai. Tatv bodh hone par use moksh ki prapti hoti hai. Rup sakshatkar hone par leela mein pravesh hota hai. Bhagwan ki leela ka patr bankar sadaiv sadaiv ke liye bhagwan ki samipita prapt karke wo maha sukh ka anubhav karta hai aur tatv gyani tatv swaroop hokar moksh ko prapt ho jaata hai. Baat samjh mein ai? Amit ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji jab man mein koi bhi prashn jo uthe wah khatm ho jae aur antim maun aa jae to us avastha mein kya bachta hai keval astitva ya purn shunya yar pehle sthiti to lao pehle sthiti lao tab baat samjh mein ave keval pravachan karne se ya sunne se tatv bodh to ho nahi jaata prashn khatm to karo pehle pehle sadhna to karo ki prashn khatm ho jae.
jahan prashn khatm hua koi na soch hai na koi chah hai to brahm bodh ho jaega. Brahm bhuta prasann atma na sochti na ka sama makti late param kah dena bahut sadharan baat bachchha lekin kamnao ka purn rup se nash hona koi soch na rah jana koi chah na rah jana ye janmjanm ragad karne par bhi bina bhagwan ki kripa ke baat nahi aati ye baten banane se nahi aati. Yah sthiti hoti hai. Kah dena alag baat hai. Prashn ka uttar de dena, prashn ka uttar sun lena alag baat hai. Lekin yah sthiti dharan karna na sochti na kankshati ek minute bhi nahi rah sakte ho.
is sthiti mein ek minute bhi nahi tik sakte ho. Jab tak brahm bhut nahi hoge. Na sochti na ka samate param koi soch nahi koi chah nahi ekmatra apne swaroop mein sthit brahmanand mein chhaka hua wo mahapurush para bhakti ka labh prapt karta hai to bachchha pehle chalo us vastu ko prapt karo us vastu ko prapt karne ke liye hi manav jeevan mila hai guru ki sharan mein ho pehle kamna karo ki mera mera bhajan mane asat chintan chhute phir bhajan ke prabhav se tab ham in tino shariron ke rag ka nash karke sthul sukshm karan phir wo paramatma tatv ki taraf hamari gati hoti hai.
badi manjil hai. Khub naam jap karo pavitra bhojan karo. Shastron ka swadhyay karo. Santo ka sang karo. Aacharan pavitra karo. Tab yatra prarambh ho. Abhi na sochta ka to bahut dur ki baat hai bachchha
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…