॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

"guru meharban to chela pahlvan", iska sahi arth aur rahasya kya hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

swan ji patna se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji guru meharban to chela pahlvan maharaj shri is man ko marne ke liye keval guru kripa ka aashray ho ya hamen prayas bhi karna chahiye to aashray hi to prayas hai. Guru ke aashray se hi shishya ko param pad ki prapti hoti hai. Isliye aashray pakde rahna chahiye. Bhagwan hai udh aur sansaar hai aadha. Sansaar aadha hai. Prakriti niche ki taraf hai. Mana kasht indran prakriti sthan karti aur bhagwan ki taraf chalna hai to guru dori pakda diya. Naam ki dori mantr ki dori.

accha kisi building ke akhiri chor par jana ho aur dori se jana ho. Ab aap thoda chadh chuke ho. Ab aap sochiye agar dori chhod di to aapki durdasha ho jaegi. Mar jaoge. Hath pair tut jaenge kisi kam. Ab to chadna hi chadna hai aur us dori mein chipke hi rahna hai. Aise hi paramarth ka pathik yadi guru ko tyag kar de, yadi guru ki avhelna kar de, guru ka anadar kar de to nasht ho jaega. Chahe sir ke bal khade hokar sadhna kare, guru drohi ko kabhi bhagwat prapti nahi hoti. To guru aashray aisa hai jaise wo ek dori par chadne wala.

ab bas bas keval dori hi sahara hai. Wo agar chhoda to mara. Aise Gurudev ka aashray hi keval sahara hai to sukh purvak bhavsagar tar jaega. Jisne Gurudev ko aise pakda jaise building ke akhiri chor par jane ke liye keval dori hi sahara hai aur dori pe chadh raha hai. Ab niche utar nahi sakte kyonki utrna shram hoga. Upar lakshya pe pahunchna hai. Chhod sakte nahi to bas chadna hi chadna hai. Aise guru ko pakar lo. Guru dete hain dori naam ki dori surat ki dori mantr ki dori raat din naam mantr japna guru ka aashray hai guru ka aashray ka matlab kya hai ab aap kah hamara prayas nahi ham to guru ke bhrose baithe baithe wala aalsi aur kayar hota hai bahut parishram karna hai purusharth apna aur kripa Gurudev ki jo purusharthaheen hote hain wo kabhi kripa patr ban hi nahi man kram vachan chhan chaturi bhajat kripa kar hai raghurain khub purusharth yukt raho raat din purusharth yukt raho dekho abhyaas jaisa bana loge vaisa ban jaega agar shram nahi karoge parishram nahi karoge purusharth nahi karoge to tum kripa ka anubhav nahi kar sakte kayar purush kabhi kripa ka anubhav nahi kar sakta purush purusharth aapko karna padega.

purusharth guru pradatt sadhna aur phal ki prapti guru aashray donon baten hain. Apna purusharth pura aur guru ki kripa puri to purn paramatma ka anubhav aur jo guru ki kripa to hai par apna purusharth vishyon mein kharch kar rahe hain unko kabhi bhagwat prapti nahi hoti. Guru kripa hai lekin manmani vishyon ka bhog bhog rahe hain to purusharth vishyon mein lag gaya paramarth se hin ho gaye to kahte ham par guru kripa nahi guru kripa sab par hai jaise bhagwan ki kripa sab par hai aise guru ki kripa sab par hai par jo guru ki agyaa mankar khub parishram karta hai sadhna mein wahi kripa patr banta hai wahi kripa ka rasaswadan kar pata hai to guru ki kripa ka aashray aur swayam ka purusharth bhagwat prapti karata hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi