Ekantik Vartalaap Collection / 17-03-2026 / Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
shri hari bol aap sab ladli ji ki kripa se Vrindavan padhare. Ab prarthna yahi hai ki jeevan ke samay ki sarthakta bhagwan naam jap mein hai. Naam jap se badhkar ke koi sadhna nahi hai. Brahm Ram te naam ba vardayak vardan. Vardan dene walon ko bhi vardan dene ki samarth naam japak mein aa jati hai. Bhagwan se bhi badhkar bhagwan ka naam hai. Aur phir bhagwan bhi jo naam jap karte hain wo Radha naam hai. Japat hari vivas tav naam pratipad Vimal manushya tav dhyan te nim nahi karo. Ek nim ke liye bhi priyaju ka dhyan aur Radha naam ye prabhu shri Krishna nahi chhote.
isliye har samay jahan bhi raho savdhaan raho ki koi paap karm na ban pave. Koi nasha na karo. Koi ganda aacharan mat karo. Khub naam jap karo. Naam jap se jeevan sarthak hai. Sadhu sang ka phal naam jap hai. Bhatko mat. Ek ek naam ka hisaab hoga. Ek ek second ka hisaab hoga. Hamari ladli jo badi karuna mein hai. Hamare lal jo bade karunamay hai. Avgun kare samudra sam gat na apno jaan. Lai ke sam bhajan ko manat Meru saman. Agar samudra ke saman sharanagat bhakt se paap ban jae. Aparadh ban jae to shri ji mante hi nahi ki aparadh bana hai aur rai ke saman bhajan ban jae to use sumer parvat ke saman manti to bahut Bhajnandi hai isliye thodi si thakur seva chahe karo lekin ghar mein thakur seva Priya pritam virajman karo vani ji ka path karo aur naam jap karo aur savdhaan raho ki mrityu ke pehle ham apni ladli lal ko aise lajha le ki hamara sharir jab chhute to antim samay ladli lal hamare dhyan mein ho aur ham unka naam jap karte hue sharir chode to hamara manushya jeevan sarthak ho jaega.
yahi sadhu samagam ka phal hai. Sab svasth rahie aandit rahie. Shri hari kachera kishan ji Radhe Radhe mere saath Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bharat bhumi nisandeh divya bhumi hai jahan sant mahapurushon ki vani darshan evam divya leela hoti rahti hain santo evam mahapurushon ke hone par adhyatmik bal samaj ko prapt hota hai. Parantu jab wo mahapurush divya dham chale jaate hain. Unke abhav mein samaj evam rashtr unki guru vani evam di hui shikshaon ke prabhav ko nirantar dharan karne ke liye kya karen?
bina pragat santo ke sanidhy ke unki vani ke anusaar ham chal sake. Bada asamabhav dekho santo ki vani to divya hai hi hai lekin swayam bhagwan avtrit hokar gita ji ye sant vani nahi swayam bhagwan bol rahe hain. Gita ji to swayam bhagwan bol rahe hain. Bhagwat ji mein swayam bhagwan Uddhav ji ko updesh kar rahe hain. Lekin ham usko apne mein dharan nahi kar sakte. Tabhi dharan kar payenge jab koi gita ke anusaar chalne wala sant milega. Aur usse jab hamara sambandh hoga bhav sambandh aur wah jab apni divya anubhutiyan dega to gita ji ki baat hamen samjh mein ane lagegi to hamen guru vani ki baat samjh mein ane lagegi to hamen bade-bade sad granthon ki baat samjh mein ane lagegi.
isiliye goswami ji ne pratham bhagat santan kar Sanga. Sabse pahli bhakti rakhi hai goswami ji ne santo ka sang. Agar hamen santo ka sang mile to param saubhagya hai. Aur agar santo ka sang na mile to keval granth se dekhkar ham apna kalyan nahi kar sakte. Jaise medical store hai aur ham bimar hain aur hamen medical store mein khada kar diya jae. Kya ham nirog ho sakte hain? Doctor ki zaroorat hai ki nahi? Hai le. Dawa wahin rakhiye. Shastr hai medical store aur ham hai bimar bhavar rog ke. Ab hamko shastr rupi medical store se ham nirog nahi ho sakte kyonki hamen beech mein vaidya ki zaroorat padegi, doctor ki zaroorat padegi.
medical store mein hi dawa rakhi hai. Ab wo pehle hamare rog ko samjhe aur hamare adhikar anusaar wo ham dawa de. Wo medical store se hi dega. Lekin agar doctor se ham na mile to ham apni hani nahi kar sakte. Koi bhi dawa testa karenge to ham pareshaan ho jaenge. Medical store hai wo to bahut se rogon ki dawa sab aushadhi to shastr kya hai? Medical store hai. Guru kya hai? Doctor hai. Ham hai marij. To jab Gurudev shodh karke ki dekho jaise abhi isse kaha ki tum naam jap karo. Kaha haan theek hai yah dawa bataai sadguru vaidya vachan vishwasa sanyam yah na vishay ke asha sadguru rupi doctor ki baat man lo aur parhej karo jo gandi baten ham kaho gandi baten chodo vishay ki asha ko tyago yah parhej hai dawa khao sadguru ki agyaa ka palan parhej gandi baton ka tyag karo abhi sab theek ho jaega to ham keval shastr ya sadguru vani se jo likhat hai usse ham hamko pragat mein chahiye.
pragat mein sant rupi doctor chahiye. Wo hamari nadi pakde ki ham kis koti ke marij hain aur usi koti ki dawa hamko de to hamara kalyan ho jae. Bhagwan ki badi kripa rahti hai. Jab sant jan milte hain. Jab drav din dayalu raghav to sadhu sangati paie. Santo ka sang milta hai. Jis din hamare sant mahapurush ab jaise bade-bade antardhan ho gaye. Ab yatra tatr kahe sant jo swayam bhagwan mein sthit hain aur bhagwan mein sthit karna jante hain. Anya ko bhi bhagwat bhav mein sthit karna jante. Beech mein koi lenden nahi.
adhyatma kabhi bikta nahi aur jo bikta hai wah adhyatma hota nahi. Keval bhagwan ki mahima suno aake free aur usko apne jeevan mein dharan karo. Hamara aapka sambandh hai bhiksha aur shiksha ka. Bhookh lage to hamen char roti de do aur tum hamse shiksha lo. Ham Baba ji hain. Tumhara kalyan shiksha se hoga aur hamara bhajan bhiksha se hoga. Bas itna sambandh hai. Bhiksha tay nahi hoti. Man ave ek roti de do, manave do roti de do, man ave bharpet de do. To agar hamen sant mil jae to hamara kalyan ho jae. Agar sant to keval vesh matra se baat nahi banegi.
vesh matra se baat nahi banegi. Sone ka pani phera ho aur aap kalash pital ka le jao to swarnkar ki nazar mein pital ke paisa milenge. Sone ke nahi milenge. Samjh rahe ho na? Jis samay wo ja dekha kasauti mein kas ke to to pital hai orijinal bhagwan ke marg mein chalne wala shuddh sant mil jae to hamara kalyan ho jaega to shastron ki jo baten hain wo ham par havi ho jaenge aur hamse bure aacharan hone hi nahi payenge har samay dimaag mein yar Baba ne kaha hai aisa nahi hona wo Baba samne dikhayee denge aur wo baat samne dikhayee degi aur aapke aacharan badlna shuru ho jaenge to ham kahte ki jaisejaise kalyug aayega waise waise ek ghata ho jaega.
sant milna mushkil ho jaenge. Santo ka abhi bahut ghata hai. Sant milna bahut ghate ka sauda hai. Hamare bade-bade sant antardhya ho gaye. Braj mein jo raat din bhajan karne wale kisi se koi matlab nahi rahne wale. Antardhya ho gaye. Bade-bade jo jaise shri Swami Ram Sukhdas ji nishkam sant lakho logon ko gita ji ka nishkam bhav se keval nishkam dharm bhagwan ka to aise sant antardhya ho gaye. Ab bada ghata hai apne ko. Ham bharatvasion ko bahut ghata hai. Jab bade-bade sant antardhya ho gaye to phir ham kisse sacha gyan prapt kar paye?
dekho purane rishi parampara ko dekho rishiyon ke paas grihasth jaate the kuch phal phool durwankur arpit kiye aur wo updesh kiye aur unka kalyan hua kahin tay ya bechna ya khareedna to ye kharid bech wala adhyatma nahi hota adhyatma shuddh hota hai to bhagwan ki kripa se abhi kuch sant bhagwan bharat mein aise hain nishkam nishkam jinki ki phir age chalkar ke aur ghata ho jaega. Jaise pehle jo suvida thi odiya Baba hari Baba bade-bade siddh mahaprabhu wo ab ghata ho gaya. Abhi jo do char 10 15 jo bhi aise anguliyon mein gine ja sakte hain.
aisa nahi ki bhid mile anguliyon mein gine ja sakte hain. Wah age chalkar wah bhi ghata ho jaega. Ghata ho jaega. To bahut bhagwan ki vishesh kripa hai abhi ki abhi bhajan karne ka avsar diya hai bhagwan ne. Bhajan kar lo. Nahi to kalyug ka itna prachnd tandav ab dekho badhne laga hai. Matlab jahan suraksha thi wahan shoshan vritti ane lagi hai. Pati patni ke sambandho mein bahut hi vikar aa gaye hain. Putr matapita inke sambandho mein vikar aa gaye hain. Guru shishya inke sambandho mein vikar aa gaye. Kalyug ka prabhav badh raha hai na?
bardast nahi. Haan. To yah age chalkar aur hoga to bhajan kahan hoga? Dharm kahan hoga? Dharm to bardast karne se hota hai. Jo sahnseel hota hai tabhi dharm mein chal pata hai. Kotak ji mumbai se maharaj ji in kah rahe hain ki satsang se vivek to hota hai maharaj ji magar wo hamesha vihaar mein utar nahi pata. Moh kyonki bal nahi hamari baat samjho. Jaise hamko ye jaan vivek to abhi nahi hua. Jankari jaise hamen jankari hui ki yah galat aacharan nahi karna chahiye par man hamko vivash karke wah galat aacharan kara diya aur jaise mujhe jankari ki accha aacharan karna chahiye par man nirash hokar ke wo nahi kara raha ismen hamare paas bhajan bal nahi hai adhyatma bal nahi hai adhyatma bal hai to jahan lagana indri man ko wahin laga diya jahan hatana hai wahan se hata diya to jankari to hai lekin jankari ka prayog nahi hai.
wah prayog tabhi ho sakta hai jab hamare paas naam rupi bal hoga. Naam jap to maharaj bahut kar rahe ho. Ab aapka shabd hi bata raha hai ki aap naam jap nahi karti. Bahut naam jap karne wala kaise bol sakta hai? Bahut naam jap karte hain. Ye bol kaise sakta hai? Aap hamse kaho ki aap kitna naam jap karte ho? To hath utha ke yahi kahenge ki ham tumhen kya batayen? Pura jeevan ho gaya prayas karte. Lekin abhi ji nahi bhara ki jitna hona chahiye wah nahi kar pa rahe. Vastvik kah raha hoon ki kaash main dat ke bhajan kar pata.
jabki hamare paas aur koi kam nahi bhajan ke siva aur prayas rahta hai lekin phir bhi asfal hai. Ham yah nahi kah sakte ki ham bahut bhajan karte hain. Wo shabd nahi bol payenge. Bahut waise bhi [karahne ki aawaz] aapki jeb mein karod rupya rakhe hain. Aap bata doge kya karod rupya rakhe hain? Gupt rakha jaata hai ki nahi? Aise ye bhajan ka hai. Bade-bade bhajnanandi aise karte hain. Ham adham jeev ham nich jeev kahan hamse bhajan hota hai? Aap kahte bhajan to bahut hota hai. Phir pareshani kya hai? Jok jankari hamko hai ki nahi karna wo nahi karna.
jo jankari karna hai ki karna hai wo karna hai. Kyon? Kyonki bhajan hai. Bhajan nahi hai to phir yah baat aayegi. Imandari se bhajan karo. Jaise ham kah rahe hain. Likho dimaag mein Radha Radha suno kan se Radha Radha aur bolo hriday se Radha Radha sab theek ho jaega. Karke to dekho. Ab aise kah de ki hamne to bahut bhajan kar liya. To tum unse baat karo jo bhajan nahi karte. Pura jeevan bhajan mein diye hue hain. Shuru to tum karo bhajan. Imandari se sahi bhajan karo. Abhi piche batch mein kaha ki aap ghade mein panch chhed kar do aur ek-ek chhulu jal dalte raho.
kabhi bharega to pehle chhed band karo aur ek-ek bund dalte raho. Ghada bhar jaega. Pehle un chhedon ko band karo jo hamare bhajan ko ksheen karte hain aur imandari se bhajan karo. Phir aap bhi dekho bologi ki nahi bhajan paramanandmay hai jo ghor hinsak swabhav ke the aur Ram nahi bol pate the wo jab mara mara hue to ramayan ki rachna kar di itihas ki rachna kar di jo aaj hamare bharat mein sammaniay itihas hai to aap vichar karo ham kah de bahut bhajan karte hain kuch aisa nahi hota to wo baat tumhari ham kaise man le jab ham bhi bhajan karte hain aur aisa hota hai koi chinta nahi beparwah na mrityu ki chinta na dard ki chinta na koi bhay to hamara pratiphal anand mein beetta hai kisse naam se bhagwan ke bhajan se ye ham praman tumhen khud isliye dete hain ki ab jaise aapne kah diya char logon ne suna ki ham bahut bhajan karte hain lekin aisa nahi ham yah nahi kah sakte ki bahut bhajan karte hain lekin karte hain aur uska parinaam tumko ham dikhayee dete nahi bhajan vyarth nahi ja sakta.
bhajan vyarth nahi. Haan yah jarur hai ki bahut janmon ke hamare purane sanskar hain, paap hai. To ab ham thoda bhajan karna shuru kiya aur wo hamko ghaseete hain maya ki taraf. Ab ham aur bhajan badhave aur bhajan badhave. Dhire-dhire aisa hoga ki wo ghasit ke hamare paas aa jaenge. Haan, nirash nahi hona. Bahut janmon ka bigdel man hai to hamen nirash nahi hona. Par hamko bhagwan ke naam ki ashradha wali bhi baat nahi kahni yar ham bahut naam jap karte hain. Aisa aisa nahi aisa nahi aisa bolne se naam ki mahima par anguli uthti hai aur wo ham uthne nahi denge kyonki ham swayam aapke samne baithe hain.
uske praman hai ki har kasht har paristhiti har vyvastha bhagwan sab vyvastha karte hain. Kisi mahine mein aisa nahi hota ki yar bijli ka bil nahi bharne ko hua yar. Aisa nahi sab vyvastha bhagwan karte hain to naam ka aadar karo aur aadar purvak naam jap karo sab theek ho jaega Mahesh sinh Radhehe maharaj ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji ishwar ka swaroop kya hai? Wah sakar hai ya nirakaar alag hai ya srishti hi ishwar anirvachniy swarup pahla uttar hai anirvcni swarup Ram atarka buddhi man vani mat hamare suno Bhawani ishwar kya hai yah nirwachni hai phir bhi brahm rishiyon ne unka varnan kiya hai wah sacchidanand rupay wah sat chit anand rup hai.
phir age kaha vishv utpattyad hetwe wahi vishv ke utpann karne ka hetu hai. Hetu ka matlab wahi vishv bana hua hai. Uske alawa vishv naam ki koi chij nahi. Mat partram nyatat kinchitta Dhananjay. He arjun mere siva koi kuch hai hi nahi. Kinchin matra kuch nahi. Ved kahta sarvam khalmidam brahm neh nana nast kinchan brahm ke siva kinchin matra kuch nahi hai. Upnishad kahta hai eesha vas vid sarvam yat kinch jagtam jagat ishwar ke siva kinchin matra jagat mein aur kuch nahi hai. Harivansh mahaprabhu kahte hain yah krur papino nasta sambhas drishya sar vastut nireeksh param swadhya buddhi mam jo dusht dikhayee de rahe hain papi dikhayee de rahe hain ghor nindniy hai varta karne yogya bhi nahi hai wo bhi sakshat Radha vallabh lal hai aisi meri drishti hai.
goswami tulsidas ji kah rahe hain jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jani bandhu sabke pad kamal sada jor jug pan Siya Ram main sab jag jani karo pranam jor jug pahla uttar hai anirvchaniyam brahm swarup wo vani prakritik hai buddhi prakritik hai aur wo aprakritik chidanand hai vani simit hai wah asim hai. Buddhi ek desi hai wah anant hai. Jaise seep mein samudra nahi napa ja sakta. Aise buddhi se paramatma ka aklan nahi kiya ja sakta. Kyonki buddhi ek prakritik vastu hai. Vani ek indri vak indri hai.
ye prakritik hai. Aur wo aprakritik chidanandam mein hai. Phir jab ham uska gyan prapt karte hain to sab kuch wahi hai. Uske siva kuch nahi hai. Wahi prakritik hai. Wahi aprakritik hai. Jaise shastron mein varnan aaya hai. Ashtadha prakriti se hi sampurn srishti prakt hui hai. Prithvi jal vayu, agni, akash ye panch mahabhut man, buddhi aur ahankaar yah teen to panch teen aath ashtadha prakriti aur bhagwan ka ansh jeevtma isi se sampurn to bhagwan ka ansh bhi bhagwan swaroop hai aur ashtadha pragti bhi bhagwat swaroop hai.
jab laut ke dekho to sab bhagwan hi hai. Par jab hamen janna hota hai to do paddhtiyan sweekar karte hain. Ek hai aur ek nahi hai. Upnishdon mein shastron mein varnan aaya jaise brahm satyam jagan mithya yah siddhant se chalte hain aur jab pahunch jaate hain to wahan se dekhte hain to sarvam khalmidam brahm kuch mithya nahi sab wahi paramatma bana hua hai dusra koi nahi samjh mein aa rahi hai baat aapke ji neelesh ji Gujarat se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji abhiman aur swabhiman mein maharaj ji thoda sa antar samjhne ka prayas kar rahe the abhiman yani yani ahankaar to manushya ko ka patan karta hai.
magar swabhiman ko bhi kya chodna zaruri? Nahi aap swabhiman kise kahte hain? Wo ahankaar hi to hai. Aap sva ko kya jante hain? Nahi sva ko kahan jana aapne? Shankar sahaj sva rup samara lagi samadhi akhand apara sva wo atma se sambandhi hai. Shankar sahaj sva abhiman sva rup yah param pavitra hai. Lekin aap swabhiman nahi karte. Aap abhiman karte hain. Vidya ka, apni chaturi ka, apni vastu ka, apni nana prakaar ke sambandho ka. Ye sab abhiman swabhiman, jati ka abhiman, kul ka abhiman ye sab abhiman hai.
swabhiman nahi hai. Swabhiman to main prabhu ka hoon ya main brahm hoon. Shuddh paramatma tatv se sambandhi hai. To jo log ye kah dete hain ki abhiman to nahi karna chahiye. Swabhiman phir to unse pocho swabhiman kise kah rahe ho? To apni jati ko le lete hain, kul ko le lete hain, vidya ko le lete hain, dhan ko le lete hain, pad ko le lete hain. Isi ko to abhiman kahte hain. Vidya rup mahat kul, dhan joban abhiman ye sab isi abhiman ke antargat ate hain. Swabhiman main bhagwan ka hoon. Main prabhu ka ansh hoon.
ab atma tatv se jud gaya ya main brahm hoon. Ab yah param pavitra hai. Isko koi mita nahi sakta. Aur jab iska anubhav hota hai to jo mere andar hai wahi sabke andar hai. Rag dves ho hi nahi sakta. Ladai jhagda ho hi nahi sakta. Jahan ladai jhagda hota hai wahan ahankaar hota hai. Use ham swabhiman kah dete lekin swabhiman ka arth nahi samjhte ham. Swabhiman ki paribhasha nahi samjhte. Samjh pa rahe hain aap? Ji Naina ji madhya pradesh se. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aapke pati ki ek durghatna mein nidhan ho gaya maharaj ji hamne bahut prarthanaen ki sab kuch hua bat phir bhi unko kho diya maharaj ji kah rahe hain ki abhi bhagwan mein matlab dur ho gaye bhagwan ham sabko kah rahe hain ki hosh mein ho jao tum kasaeevade mein ho is lok ka naam kya hai phir ascharya ki kaun si baat hai kasaeevade mein kab kaun se pashu ka number kab aata hai ye to ascharya ki baat thodi wo hari hari ghas kha raha hai.
pankha ke niche hai. Wo samjh raha main badi mauj mein mauj mein nahi hoon. Agla number tumhara hai. Yah kasai wala hai kal ka. Kal ka kasai wala sab kate jaoge. Sab mare jaoge. Kyonki iska naam mrityu lok hai. Sab maroge. Koi ascharya ki baat? Koi sanshay ki baat, koi garb mein mar jaata hai. Koi garb se bahar akar mar jaata hai. Koi balyvastha mein mar jaata hai. Koi jawani mein marta hai. Koi budhape mein marta hai. Marna to hai hi. Aur apne karm ke anusaar marna hi padega. To bhagwan par shraddha shraddha karne ki zaroorat ismen kya hai?
tumne jo karm kiye tumhari ayu hai 30 varsh. To 30 varsh ke baad ek second nahi badh sakti. To tumhare karm ka phal tumhen mil raha hai. Bhagwan usmen kya karen? Jajon ko gali dene ki zaroorat nahi hai. Wo nyayadhish sarvagya hai. Wo ek bhi point kahin chuk nahi karta hai. To gali dene se kya hoga? Prarthna karne se kya hoga? Man lo aap khub upasna karo aur usko 30 varsh jeena to sirf 30 varsh jiega tumhari upasna usko 32 varsh nahi kar degi aur bhagwan ko gali dene se kya tum apne karmon ko aur bigad rahe ho usmen kya hai iska naam mrityu lok hai tumhen pata nahi kis lok mein tum aae ho mrityu lok jahan har samay mrityu ka bhay hai sab maroge koi nahi bachoge samay hai tumhare bap mar gaye tumhare Baba mar gaye tum bhi mar jaoge aise kram tumse ladke utpann hue wo saye hue wo mare unse utpann hue wo saye hue wo mare ye kram chal raha hai kar mein baithe ja rahe hain filmi gana sunte hue chale accident hua pura parivaar mar gaya iska naam mrityu lok hai yahan sab chat jaega mrityu kisi ko bakhshega nahi koi marna nahi chahta aur kisi apne parivarik janon ko kabutar ne dekha bili aa rahi to aankh mund liya ki hai hi nahi bili to bach jaega kya wo to faad ke kha jaegi to aise hai ki ham mrityu ki baat sunna nahi chahte ham marna nahi chahte tumhare are chahne se hai.
ab to gadase mein aa gaye ho. Kate jaoge pakka kate jaoge. Cancer, dil phayl, kidney phayl ye sab kya hai? Mrityu ke gadase hain. Mar rahe pure jagat ko mar rahe aur ham phunk bhi rahe hain dusre ke shariron ko. Lekin yah gyan nahi ki yah meri bhi dasha hogi. Mere sharir ki bhi yahi dasha hogi. Aaj se paap nahi karunga. Aaj se bhagwan ka bhajan karunga. Achhche karm karunga. Dusron ko sukh pahunchaunga. Yah baat kahan aa rahi dimaag mein? Phir planning ban rahi hai. Ab aisa karna, aisa karna, aisa aur planning karte-karte unki planning ho gayi.
wo chale gaye. Yah aati hai bhavna ki achhche karm karunga, sab karunga. Lekin phir bhi beech-beech mein na bhawnaen duniya mein idhar-udhar ho jati hai. Idhar-udhar isliye ho jati hai ki naam nahi chal raha hai. Naam jab karte ho karte nahi nirantar jahan antar milega utha ke patak dega. Yah shaitan hai. Man ek shaitan hai. Isko nirantar lagae rakho. Samay mat do. Agar samay diya to ye patak dega. Overthinking idhrudhur bhut bhavishya ka chintan bhogon ka chintan ye patak dega. Hamen time hi nahi dena. Anannya chintno mam ye jana parpasate.
bhagwan kah rahe hain jo jan mera anannya chintan karta hai. Bhagwan kahte hain uska yogkshm vahan main karta hoon. Kya chinta karni hai? Bhagwan ki sharan mein hokar naam jap kar rahe hain. Purv ke aae hue dukh sukh ko sah rahe hain. Aur naam jap karte hue sharir chhote hain. Hamara aavagaman se mukti ho gayi. Ham dukho se nipat gaye. To naam jap nirantar antar na padne pave. Man ko samay na milne pave. Itna naam jap ham karen. Tab hamara manushya jeevan sarthak hoga. Maharaj ji jo mrityu wala prasang chal raha tha. To maharaj ji is dasha mein ham kaise phir apne aap ko sambhal payenge?
naam jap keval naam jap. Keval naam jap aap dekho to ham bhagwan ke naam ke bal se hain. Usi ki garjan ki ham tumhen bata rahe hain. Bhagwan ke naam ke bal se hain. Aap log kya hai? Apna bal rakhte hain. Bhagwan ka bal nahi hai. Bhagwan ka chintan ka bal nahi hai. Apni maansikta ka bal hai. Apni kamai ka bal hai. Ham kitna kar sakte hain? Ham ek bahut simit shakti wale hain. Hamko asim shakti se judna hoga. Tab hamari kamnayen purn hongi. Tab hamari baat banegi. Asim shakti se judne ke liye paap aacharan chodna hoga.
wah chhod nahi pa rahe hain. Isiliye bar-bar sun ke bhi ham samjh ke bhi nahi samjh pa rahe hain aur ham phir gir jaate hain. To haan isko hamko sambhalna hoga. Papa aacharan band karke naam jap karo sab theek ho jaega. Pakka samjho. Apni dincharya apna jo karya hai us par ham lage hain. Ham yah bahana nahi marte. Agar ham yah kah den ki ham bimar hain sab log jante hain ab ham nahi aa payenge to inka bas nahi ki hamen bula sake kyon bhai bimar hain ham pareshaan hai lekin nahi ham inke age tayyar hone ki koshish karte hain ki agar yah aadha ghanta baad hamse uthe ham inse pehle uthe ham agar age agrim hai to ham agrim har seva agrim karen to apne log nirash ho jaate hain hatash ho jaate hain udas ho jaate hain nahi naam bal nahi hai isliye ham hatash nirash udas ho jaate hain naam bal ho to raundte chale jaoge aap har
paristhiti ko raund doge aap dekho to naam jap karke dekho to khub adhik se adhik naam jap karo phir aap dekho aapke andar kaisa utsah aata hai kaisa anand aata hai kaise vichar ate hain dekho aap sab theek ho lekin aapke vichar theek nahi to aap jaloge aapke paas khane pine pahne vadne ki koi kami nahi lekin agami itni badi kamna ho gayi hai ki aap us pe jaloge aapka sab theek hai lekin negative vichar hai to aap jaloge yahi chijon to apne andar khojo negative vichar adhik se adhik badi kamna ham jitne pe hain utne mein santosh nahi badi kamna wo hamen jala rahi hai phaltu ke vichar jala rahe hain.
phaltu ke rag dves ke vichar jala rahe hain. Inheen ko to nasht karne ke liye adhyatma hai. Inheen vicharon ko ham shuddh kar liya. Positive vichar kar liye aur santosh kar liya. Char roti hamara kam chal jaega. Dene wale ko jab ichchha hogi to aath kar dega. Ham kyon chahe? Char diya hai. Char mein ham santosh karte hain. Abhi anand aa jaega. Lekin hamare paas aath hain par hamen 16 chahiye. Ab aath mein ham santosh na karke aath ka swad na leke 16 ki chinta mein jal rahe to ab iska kya hoga? Overthinking ka kya hai?
aur sab overthinking mein hai. Aap dekh lo. Sab isi vichar mein hai. Jitni paristhiti usmen aandit nahi hai wo badi paristhiti chahiye. Ab wo badi paristhiti prapt hone ke liye bada tap chahiye, bhajan chahiye, sevan chahiye. Aaj wo paap kar raha hai. Lekin kal usne punya kiya tha. Isiliye paap karte hue aaj sukhi dikhayee de raha hai. Lekin jab iske paap ka phal aayega to mitiyamet ho jaega. Aaj aap dharm se chal rahe ho. Lekin aaj dukhi ho kyonki aapka paap karm ka parinaam chal raha hai. Jab aapka ye dharm ka phal aayega to aap sukhi ho jaoge.
ye baten samjhna chahiye. Mohit ahilwaliya ji Radhe Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Par ji jab insaan ka janm hota hai usi samay tay ho jaata hai ki kab yah vyakti achhche karm karega kab bure nahi nahi nahi nahi galat galat galat galat tumhara galat chintan hai manushya jab janm leta hai uske pehle do karmon se uske sharir ki rachna hoti hai. Paap karm aur punya karm se kai bar ekantik mein bataya hai keval paap karm se yatna deh milta hai jo narak mein milta hai narak lok mein keval punya karm se dev sharir milta hai jo swarg lok mein hai.
paap aur punya donon ko mishrit karke manushya lok mein janm milta hai. Uska parinaam hota hai samay par sukh milna ya dukh milna. Samay-samay par sukhdukh anchahe dhang se wah apne aap aayega. Ab paap karm karna aur punya karm karna iski chhut hai tumhare upar. Ab tum praarabdh se prerit hokar paap karm nahi karoge. Vasna se prerit hokar paap karm karoge. Ab chahe upasna kar lo, chahe vasna se prerit hokar paap karm kar lo. Yah tumhare ko chhut di gayi hai. Lekin is sharir ki rachna do karmon se hui hai.
uska bhog pure jeevan bhogna padega. Jaise ham upasna kar rahe hain lekin hamara koi karm bigda raha to donon kidney faile. To ab yah sharir ka karm hai. Purv janm ke sharir mein jo hamne paap karm kiye usse is sharir ka nirman hua aur is sharir ke mata ke garb se hi kidney mein dosh tha. Wo jo polsista kidney kahte hain wo waise to samjh pa rahe hain aap na hamen karm karne ke liye swatantrata hai. Ham paap karm kar sakte hain ya punya karm kar sakte hain. Wo praarabdh se nahi prerit hai. Wo pehle se nischay nahi hai.
pehle se nischay sukh aur dukh. Paap ka phal dukh aur punya ka phal sukh. Aap samjh rahe hain? Nahi to jaise paap ka phal dukh hai to vartman mein paap kar raha hai lekin wah sukhi hai kyonki uske purv punya ka phal usko mil raha hai. Vartman mein koi punyatma dharmatma hai lekin wo dukh bhog raha hai kyonki uske purv ke paap ka phal use bhogne ko mil raha hai. Samjh pa rahe hain aap? Kumar ji inka tha ki naam jab se bhagya mein likhe bure karm tal sakte hain. Haan bilkul tal sakte hain. Agar ham par uska hisaab hai agar 1 kilo hamara paap karm hai udaharan mein bata rahe hain aur 25 gram hamara naam jap hai to kya hoga kuch nahi ho payega jab ek kilo ke upar naam jap pahunche tab ek kilo ko radda karega to aise anant janmon ke hamare paap hai to hamen dat ke naam jap karna chahiye jitna ham naam jap karenge utne hamare paap ksheen hote jaenge aur hamare andar prasannata anand sukh aisi vridhi hoti jaegi samjh pa rahe hain aap akhilesh Mishra ji Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji man shyama Shyam ke gaur Shyam charnon mein aashray lekar har samay duba rahe lekin jo sankalp vikalp sphurrit hote rahte hain man ko bar-bar sansaar ki or le jaate hain aise mein bhajan ko aur kaise badhaye aur sharanagati kaise pusht karen apna kyon man rahe ho apnapan hata do inka man chanchal hai aapko koi pareshani koi pareshani nahi.
to jab aapne tan, man, pran, buddhi, ahankaar yahi to sharanagati mein samarpan kiye jaate hain. Hamne de diya bhagwan ko. Inka apna manne se hi malinta bani hui hai. Apna manne se hi apne ko kasht hai. Purn beparwah ho jao. Ai man tumhen jahan jana hai jao. Radha Radha Radha tumhen jo karna hai karo. Ab hamne bhagwan ke hawale tumhen kar diya. Jab ham pura makan de dete hain to sab kuch kuda, karkat, khidki, chhipkali, jala sab uske naam ho jaata hai jisko de dete hain. Ab usko kya safai karni hai, kya anukulta mein wo dekhen.
usko apne makan mein anukulta kya karni hai? Ab hamne apna sarvasv bhagwan ko arpit kar diya. Arvan karne ke baad hamara ek hi kartavya hai masmat yuddh chati mili wo duty karna aur naam jap karna man lag raha hai badhiya hai nahi lag raha bahut badhiya hai shant hai accha hai nahi shant hai to us samay mein dhyan dena hai ki maine man ko prabhu ko de diya hai agar ye ashant hai to prabhu jane prabhu sarv samarthyshali hai wah jab chaenge tab shant kar denge. Mera man ab nahi hai. Yah man prabhu ko de diya.
meri indriyan ab nahi hai. Yah prabhu ko de diya. Mera ahankaar prabhu ko samarpit hai. Nirbhay nishcint nishok aur viparit bhavna ka tyag aur pariksha na karna. Yah lakshan sharanagati ke hote hain. Mere mein to sadgun nahi hai jo santo mein hone chahiye. To main sharanagat kaisa? Ab main prabhu ka hoon. Agar wo mujhe durguni bankar rakhna chahte hain to main sadguni banna nahi chahta. Raji raho aap. Dekho karke ekdam masti aa jaegi. Jismen aap raji ho usmen main raji hoon. Mujhe na nark chahiye na swarg chahiye.
aapki prasannata chahiye. Je vidhi prabhu prasann man hoi karuna sagar kije soi. Jis tarah se aapko sukh mile. Mujhe bure acharno mein sanlagna dekhkar aapko sukh milta hai. Sadaiv banae rakho. Agar aapko nahi to aap sarv samarthyshali ho. Ye jitne bure aacharan aae hain sab aapki maya se prerit hokar aae hain. Aur jitne sadgun ate hain wo aapki kripa se ate hain. Main aapke sahare hoon. Aapke bhrose hoon. Mere banae na banegi. Main chahe jitna upay karun yah mere bas mein nahi hone wale. Apne mein asmarthta aur prabhu ki kripa ka dridh bharosa aur apne praytn mein kami nahi.
teen baten. Pahli baat main asmarth hoon. Dusri baat jitna mere mein samarth hai wah pura prayas kar raha hoon. Tisri baat kripa ka dridh bharosa mera kalyan mera mangal mujhe bhagwat prapti isi janm mein hogi kyonki main prabhu ki sharan mein hoon aur main manmani sharan mein nahi hoon. Guru kripa se sharan mein hoon. Uske sakshi hain Gurudev jinhone mujhe prabhu ki sharan mein kiya. To ab sharanagat ka purn bhaar prabhu ke upar hota hai. Wo swayam sab theek kar dete hain. Matit sarv durgan mat prasada tarishti jisne mere ko chitt de diya main sare uske durgunom ka nash kar deta hoon.
shant ho jao. Yah anant janmon se bhatka hua man agar ek minute bhi lag raha hai prabhu mein to badi kripa hai. Anant janmon ka vishyabhyasi man ek minute bhi prabhu mein lag raha hai to badi kripa hamare upar hai. Ab ek minute nahi ab to kafi samay lag jaata hai. To dhire-dhire yah lagta hai aur na lage to yah prabhu ka hai. Mera nahi hai. Sare karm prabhu ko kyonki sharir samarpit sare sankalp vikalp kyonki man samarpit sara nischay samarpit kyonki buddhi samarpit aur main swayam samarpit ab mujhe kya chinta nishcint ho jao bar-bar agar bij ko gad karke dekhoge ukhad ke ki jaga ki nahi jaga to bij bekar ho jaega.
ek bar hamne vishwas karke apne jeevan ko bhagwan ke hawale kar diya. Jab koi pareshani ho to pareshani ke samay hamen jaise ham dekh rahe hain man bahut pareshaan kar raha hai. To chhota bachchha jise koi apatti aati hai to nivaran to kar nahi sakta. Machchar kaat raha hai ya kuch bhi hai wah ro deta hai. Bas ham ro de. Prabhu dekh lo aapko samarpit karne ke baad bhi man ki yah halat hai. Prabhu ab aap dekh lo ek kripa ko aayegi sambhal ke chali jaegi janm janm ka bigda man bahut karuna sindhu bhagwan hai unhin se banega goswami tulsidas ji kah rahe hain ho haro kar jatan vivid vidhi atishay prabal ajay har upay karke hamne dekh liya hai man bahut prabal hai tulsidas bas hoe tab jab prabhu prerak bar gaye is man ko power dene wale pehle aap ho indrana manasni aap rok do mere bas ki baat nahi main aapki sharan mein hoon pradhan sadhan yah hai aur sahyogi sadhan hai chahe man lage ya na lage naam jap
nahi chhutna chahiye maha manushyon bhagwan se ek hi baat mangni chahiye dhan de ya na dev sukh de na de hamari ichchha purti karo na karo ek baat kah du aapko bhulun nahi bisriho na bisari ho yahi dan mohe dev shri Harivansh ke ladle mohe apni kar lo main aapki smriti mein duba rahun aapke bhajan mein duba rahun itni samarth de do ab man bhajan mein doob raha hai to sharir ke dukh sukh ki parvah kya aur yahan ki sampatti ka koi mahatva nahi hai chahe arabon jama kar lo maroge to 25 paise saath nahi jane wale to kya maha jo hai usi mein santosh karo aur naam jap karte hue jeevan vyatit karo aur har kshan sochte raho ki main prabhu ki sharan mein hoon.
sharanagat ka pura bhaar prabhu ke upar hota hai. Apni chinta karna mera kalank hai sharanagati mein. Bhagwat chintan karna hamara kartavya hai. Ab hamari chinta bhagwan karenge. Kyonki maine bhagwan ko apne aap ko samarpit kar diya. Iske sakshi Gurudev hain. Gurudev ne mujhe sharanagat kiya. Iske jaise byah hota hai na to pandit pani grahan karwata hai. Aise aapka kar kamal shri ji ke kar kamal mein shri ji ka aapke yah Gurudev ne karaya hai. Hath pakdaya hai. Mantr dene ka matlab kya hai? Unki sharan mein kar dena.
jab Gurudev ne kar diya to beparwah ho gaye. Uske sakshi Gurudev hain. Main aapki sharan mein hoon. Aapki sari jimmedari hai jo hamse hamko samarth diye utna ham bhajan kar rahe utna ham rok rahe hain jo nahi ruk raha tha aise abhi anand ane lagega nirbhay ho jao nishcint ho jao andar ki vrittiya hamari kharab hai hamare koi bhavna nahi hamare koi aacharan shuddh nahi to phir main prabhu ka hoon maine prabhu ko samarpit kar diya hai unki maya ke prabhav se mere bhav shuddh nahi mere aacharan shuddh nahi abhi wo dekhen maya ko prabal karte hain ki bhakti ko prabal karte hain.
yah baat sharanagati mein andar baitha leni sab theek ho jaega. Man, buddhi, chitt, ahankaar aadi ko apna manne se malinta hoti hai. Aur prabhu ka manne se nirmal ho jaate hain. Sidhi baat hai. Inko prabhu ka mano. Apna manna band karo. Jahan ye bhage, jahan pareshaan kare wahin socho. Hamne to Priyalal ko de diya inko. Ab wo jab chaenge tab utha lenge. Ab unhone sweekar kar liya. Ab ganda hai to unka accha hai to unka to bhagwat prapti pakki usmen koi sanshay nahi hoga kyonki aapne priyal ko samarpit kar diya.
samjh pa rahe hain aap? Ji divyanshu mahendra ratta ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji lagbhag 9 mahine se aapke saath YouTube ke madhyam se juda hua hoon. Aapke batae gaye marg par chalne ka nirantar abhyaas bhi kar raha hoon. Naam jap bhi kar raha hoon. Sab parivartan aur anubhav kar raha hoon ki naam japak jaisa hona chahiye. Abhi hal mein hi maharaj ji aapke mukh se 13 karod naam jap ki mahima suni. Is jeevan mein kam se kam 13 karod naam jap ka lakshya banaya. Parantu is sankhya tak pahunchne to kafi sal lag jaenge.
to maharaj ji aapka prashn hai ki jeevan jit kitna baki hai iska to pata nahi hai. Bat jaise aapne bataya tha ki naam bhagwan ko transfer kar do aur kisi ko bhi uska phal de sakte hain. Usi prakaar swayam nirantar naam jap karne ka abhyaas ke saath-saath kya kisi brahmin pandit ko bhi saath mein laga len? Taki wo kes ka karte raho kiska hai le le le akhri bilkul nirnayatmak baat hai ki abhi hamari sham tak mrityu honi hai aur ham prayas hai ekko karod nahi hui Radha Radha Radha Radha Radha to ham mar jaate hain jo 13 karod ka phal hai na wo itne mein mil jaega bas baat samjh rahe ho na?
hamen lakshya banana hai. Purti bhagwan ke hath hai. Man lo ham kah rahe hain ki ham 13 karod naam jap karenge aur 13 second ka hamen bharosa nahi hai ki ham jiyenge ki nahi. To baat samjhni hai. Hamare logon ka jeevan bada sanshay purn hai. Iska naam mrityu lok hai. Kabhi bhi ham mar sakte hain. Pata nahi kal milega ki nahi milega. Kal aayega ki nahi aayega. Ham aaj hi dhang jae to kya fayda kal ka vada kiye to ham abhi karen kal kare so aaj kar aaj kare so ab pal mein pralya hoegi bahur karoge kab hamara kartavya hai ki ham vartman ke samay ko bhagwan mein lagaen abhi agar abhi ham Radha Radha bol rahe hain to har samay hamara vartman hi to hoga ham vartman ke samay ko prabhu ke chintan mein lagate hain aur hamara sharir chhut jaata hai to hamen bhagwat prapti hogi.
jo 13 karod mein hogi wah 13 bar mein bhi ho sakti hai. To ham 13 bar wala vishwas rakhen 13 karod wala to ham bharosa kya aaj sankalp kiya kal na rahe to 13 karod kya matlab aur hamko apne man ko ramana hai na ki pandit ji ke man ko samjhe hamara man prabhu mein ram jae wo chahe 13 bar mein rame aur chahe 13 hazar mein rame chahe 13 lakh mein rame ya 11 karod mein rame. Yah meri personal baat hai. Wahan sankhya to varnan ki gayi ki itna itna karo to aisa aisa ho jaega. Lekin ek naam mein moksh ho jaega.
Ajamil ne antim samay apne putr ko pukara. Uska naam tha narayan. Narayan. Aur pran chhutne ka samay aa gaya. Bhagwan ke parsad aa gaye. Yamduton ki paas kaat di aur bada shastrarath hua aur bhagwan ke parsad paramdhaam le gaye unko ek naam ne kam kar diya ki nahi kar diya to ab wo antim samay kab hai mujhe pata nahi isliye main har samay naam jap karun wo 13 karod tak pahunche wo 13000 tak pahunche ya 13 tak pahunche aapko bhagwat prapti nischit hogi baat samjh rahe hain na haan pandit se karane ki zaroorat nahi hai devendra ji gangangar se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji log satya marg par chalne va bolne par samaj va rishtedar satya ka saath na dekar galat ka saath dete hain.
hamen satya par chalne walon ko tuchch samjhkar samaj se alag va virodh karte hain. Aisa kyon mehsus karate hain ki satya bolna galat hai. Galat ko hi prathmikta dete hain. Maharaj ji brahma ji ke char putr hain. Satayug, treta, Dvapar, kalyug. Satayug se kaha beta hamne narak ka nirman kiya hai. Dhyan dena. To Satayug ne kaha hamare rajya mein koi nark nahi jaega. Treta se kaha ham bade bhaiya ka anusaran karenge. Satayug ka Dvapar se kaha unhone kaha vichar karenge ki aapki agyaa ka palan karen.
kalyug se kaha to kalyug ne kaha jaise bade bhaiya ne kaha hamare rajya mein koi narak nahi jaega. Aise vada karte hain. Hamare rajya mein koi swarg nahi jaega. Sidhe narak hausphul karenge. Isiliye koi saath nahi deta kalyug mein. Baat samjh rahe ho na? Agar aap satya se chaloge to aapko virodh karne wale milenge. Shabas kahne wale nahi milenge. Aapko niche girane wale milenge. Lekin aapko ye nahi kahenge vah dhanya hai yar. Tum hamare kul mein paida hue satya par chalne dhanya hai. Tum hamare mitra ho.
satya par chal rahe ho. Hamare ganv ke ho. Satya par chal rahe ho. Bahut sundar. Agar tum kisi ki zaroorat par ₹500 de doge to tumhen bewkoof samjhega. Bhola hai. Aap janbujhkar ke uska hit kar rahe ho. Wah aapki bejajjati karega. Yah kalyug ka swabhav hai. Yah kalyug ka prabhav hai. Koi kisi ka yahan hit nahi karta. Aap apne ko satya marg mein chalaie. Sirf bhagwan aapka saath denge. Insaan aapka saath nahi de sakta. Kyonki insaan kalyug se prabhavit hai. Aur jo dharm se chalne wale hain wo aapko bahut pyar karenge.
dekho aap log kahin na kahin dharm ka aashray le to aap hamen pyar kar rahe hain ki nahi? Haan to aisa nahi hai ki koi pyar nahi karega. Nahi koi karega wo bhagwan karenge aur jab bhagwan ki kripa aapke upar hogi to phir sab pyar karenge. Ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa kare sab koi. Haan. To bhagwan se pyar chaho. Koi insaan tumhara support kare. Mujhe lagta hai aisa bada mushkil hai. Bada mushkil hai bachchha. Isliye dharm se chalo. Kisi insaan ke support ya usse ham dharm apna nahi chhodenge. Phir mata-pita ko taklif hoti hai Gurudev to bura karo na.
hamne satya ke marg pe chal ke sahi kiya. Ji to mata-pita ko wo galat log hote hain. Kuch ganv mein wo kahte hain ki aapke ladke ne dekho aise kisi ki nahi. Kisi ki bhi baat nahi manani. Satya ke liye sabka tyag karna hai. Agar mata-pita bhi satya se vichlit hain to jake priy na Ram vaidehi taj tah kot bairees sam jaj param satya ka marg akela hota hai. Satya ke marg pe Prahlad ji chale to hiranyakashyap pita hai. Virodhi ho gaya na. Satya ke marg par chale to kaikei ji virodhi ho gaye na. Ram ji ko 14 varsh ka vanvas aur bhagwan ke satya ke marg par chale to bali ji ke guru hi virodhi ho gaye.
bali ji jab teen pag prithvi dan karna chahe to Shukracharya ji mana kar satya ke marg par chalne mein gopiyon ke pati virodhi ho gaye. Tajo pita Prahlad vibhishan bandhu bharat mhatri guru bal tajo kant braj ban tan bhed mangalkari sab mangal karne wale ban gaye isliye aisa nahi phir Gurudev man mein shansa hoti hai ki ham mata-pita ko kaise khush rakhte nahi koi khush ho ya na ho satya agar sahi dhang se chal rahe ho to pure vishv ko khush karne ki samarth aa jaegi thodi der ke liye wah santusht honge unka bhi kalyan ho jaega asatya pe chalne se unka ka bhi patan ho jaega aur satya se chalne se unka bhi mangal.
aaj wah khush nahi hai lekin unka parinaam bahut accha milega kyonki aap unki santan ho. Yadi naam jap karte ho, dharm se chalte ho, koi paap karm nahi karte to tum apne mata-pita ka bhi kalyan kar doge. Vartman mein wo gali denge lekin ant mein unka kalyan hoga. Aur agar abhi galat chaloge to vartman mein bhale rupya leke unko de jake lekin wo bhi narak jaenge aur aap bhi narak jaoge. To hamen chahiye satya pe chalna kuch bhi ho jae. Satya par chalne wale kisi ki parvah nahi karte. Kisi ki bhi kisi ki bhi do sal se akele hi chal rahe hain.
nahi bhagwan sabke saath hain. Ham to bachpan se akele chal rahe hain. Vichar karo 11 varsh ki avastha se bhage the is satya ke marg mein. To bhagwan nirvah karke ab 556 ki jo bhi avastha hai nirvah kar diya. Bahut badi zindagi nirvah kar di. Bhagwan nirvah karte
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…