ekantik vartalaap evam darshan #1259 · 8 mai 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha dha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki shri Sadgurudev bhagwan ki jai devi devi ji bihar se [gala saaf karne ki aawaz] maharaj ji shri Ramcharitmanas ke lanka kand mein jab hanuman ji lanka mein pravesh karte hain to lankni par mushti prhar karte hain. Phir wo unhone bola tat swarg apvarg sukh rakhiye tula ek ang tool na tahi sakal mili jo sukh lav satsang maharaj ji ismen satsang ka tatparya kya hai gosa mahan param bhagwat jin kar kamal se bhagwan shri Ram ke charan chapte hain hanuman ji maharaj param pavitra bal brahmachari bhagwat swaroop rup prem mein dube hue jinke hriday mein Siyaram ji virajman hai.
jinke kar kamal sadaiv Ram ji ke charnon ka sevan karte hain. Inki mahima brahma ji ne pehle bata rakhi thi lankini ko jab Ravan brahm var dina chalit winch kaha moh cheena vikal hos ta kap ke mare tab janis nishcha sanhare jab tu ek kap ke prhar se murchhit hone lage to jaan lena maha bhagwat hanuman ji ka sakshatkar ho gaya aur nishon ka vinash nischit usi din se shuru ho jaega to lankini ne kaha tumhare jaise choron ka ahar karna mera vishay hai. He kahan ghusa ja raha hai? Chupke se badi sukshm drishti thi.
yadyapi ati laghu rup dhare hanumana paitha nagar sum bhagwana bhagwan ka sumiran karte hue bahut chhota rup dharan kiya tha. Matlab machchar se bhi chhota ati sukshm par lankini bhi koi sadharan thodi thi. Jo brahma ji se baat ki brahma ji ki baat to param pavitra thi. Usne drishti dali dekha ye to hanuman ji maharaj ja rahe he ruko to hanuman ji ko kaun rok sakta hai jise bhagwan Ram ke amog baan ko koi rok nahi sakta aise hanuman ji ko koi nahi rok sakta mutika mar mahakni khun ugalti hui gir padi bole tat morti punya bahut ek ghasa para bole tat morti punya bahuta mera bahut punya hua jo aapne mujhe chu liya aapne chu liya.
jin kar kamal se Ram ji ke charan chapte aaj unhee kar kamal ka mujh raaksasi ko sparsh prapt hua. Jinke hriday mein Siyaram virajman hai wo mere samne hai. Tat moti punya bahuta dekh nayan Ram kar duta. Aaj maine bhagwan ke das ko dekha. Ye baat hai wahan sang jo hai wo hanuman ji ka darshan aur hanuman ji ka sparsh usko prapt ho raha hai. Is baat ka is baat ka usko sukh mil raha hai. Ji pankaj kumar ji kurukshetr se Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam. Gurudev bhagwan aapke shri mukh se ekantik mein kai bar suna hai ki bhagwat prapti ke marg par chalne hai to apne aap ko mara hua man lo.
Gurudev apne aap ko mara hua kaise mane maharaj ji iska tatparya maharaj ji aam shunya jeevan hi adhyatma ki unchai ko prapt karta hai. Aam shunya hona hi wo videh jeevan hai. Maro re jogi maro aise mar ke do jaise gorakh mar apo tyag jagat mein baithe nahi kisi se kam unmein to kachu antar nahi sant kaho jai Ram man marya tan vash mein ki na hua bhram sab dur bahar se kachu dikhta nahi andar chamke nur apo tyag jagat mein baithe nahi kisi se kam unmein to kachu antar sant kaho ja Ram jo sampurn sansaar ke bhogon se virakta ho chuka hai nis viraktas purushsakta vedna manasti datam chintitas chintya jo samasth bhogon se virakta ho chuka hai shabd sparsh rup plus rasgandh jisne sansaar ke nanaat ka chintan tyag diya hai.
guru Sadgurudev sant jan shastr inke updeshon ko bhaleebhanti hridyangam karke nischit kar liya hai ki atma swaroop hi satya hai. Aur ye tino deh aur inka vilas asatya hai. Isliye wah asatya se man ko hatakr satya swaroop atma swaroop shri bhagwan mein ya apne atma mein sthit kar diya hai. Wo mara hua purush hai. Wo videh hai. Wo jeevan mukt hai. Wo aham shunya jeevan hai. Jab tak vishyon ka chintan hota hai. Bhogon ke bhogne mein sukh hai tab tak ye jeevan nahi. Is marg mein markar chala jaata hai. Narayan ati kathin hai.
hari milan ki baat ya mein pag piche dhare pratham shish de kaat. Shish katne ka tatparya aham ka nash ho jana. Shastr aur guru ki agyaa mein anukulta, pratikultaa, man, apman, sukh, dukh, ninda, stuti isko saman sahte hue chalna. Yahi hai amritmay jeevan mrit jeevan idhar to amritmay jeevan idhar mrityuma amritam game asto ma sadgam tamso ma jyotigme ye hai jab tak hamara man jinda hai to vasnaon ke khel khalne ki ichchha mein hamen bandhta rahega durvasan mam sada parikarshati durvasan sadaiv hamen kheenchti rahegi.
jab tak durvasan ke khel khelte rahenge to upasna paripakva nahi hogi. Vasnae nasht hue bina koi upasna ki sthiti nahi prapt karta. Chahe wo bhagwat premay upasna ho, chahe wo gyanmay upasna ho, donon ke dwara ek hi tatv ka anubhav hota hai. Isliye marne ka tatparya hai sankalp rahit man. Bhagwat chintan prayit bhagwat charnarvind mein hi sukh hai. Atma sukh hi satya hai. Yah nischay aur ahankaar ka shuddh mein ya bhagwan ke charnon mein samarpit ho jana yahi tatparya hai. Shivam ji Noida se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bahut santo ki vani se aur ashtavakra gita ji mein sakshi bhav ya drashta bhav hone ki sthiti ke bare mein suna hai.
maharaj ji kya yah sthiti bhakti marg mein bhi aati hai ya phir sirf dhyan ya gyan marg ya ashtang yog mein hi bhakti marg mein karm samarpan karte hue bhagwan mere hriday mein baithkar bulva rahe hain. Bhagwan meri bhujao mein baithkar karm karva rahe hain. Mere bhagwan hi sab kuch kar rahe hain. Bhakti har samay dekhta hai ki yah to sharir yantr matra hai. Bhagwan kara rahe hain umadar jo ki nai samay nachavat Ram gosai wo anubhav kar raha hai gyani sharir ki jitni cheshta hain wo trigunmay maya ke dwara ho rahi gunanugun warte manushya Parth sarvsa wo apne ko drashta dekhta hai bhakt apne aap ko bhul karke bhagwan ke chintan mein itna tanmay hai ki sari cheshta bhagwan kara rahe hain.
brahm nahi maya nahi jeev nahi kal apni sudhi na rahi ek raho Nandlal bhagwat chintan mein itna duba hua hai ki sankalp vikalp rahit hokar ke karm ho rahe hain. Karm hote hue bhi wo bhagwat samarpan yukt hai. Isliye aham shunya jeevan hai. Tabhi uske hriday mein Premanand ka anubhav hota hai. Aur wo samasth vasnaon se mukt hokar aavagaman se mukt hokar bhagwan ki rup madhuri leela madhuri gun madhuri mein duba hota hai aur sharir ki cheshta yathavat hoti hai wo bhagwan ki prerna se Om Krishna ji amritsar se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna aur jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jani bandhu sabke pad kamal sada jor jug pani maharaj ji ek naye sadhu ko in donon bhavon mein se kaun sa bhav lekar chalna chahiye apne jeevan mein?
donon panchhi jab akash mein udta hai to ek pankhe se nahi udta. Donon se do pankhe hote hain. Aise hamari satya vastu ka anubhav karne ke liye do baten hain. Anvay aur vyatirek hai nahi hai. Jahan asat marg mein hamari buddhi jae to mithya aur sat marg mein jae to satya. Isiliye brahm sutra bhi kahta hai brahm satyam jagan mithya. Aur jab anubhav hua to sarvam khaldam brahm ne nanast kinchan sab brahm hi hai. Brahm ke siva kuch bhi nahi hai. Par prarambh mein brahm satyam jagan mithya to prambhik sadhak ko chahiye ki snanat ko mithya man ke satya swaroop bhagwan ment ko lagane ki cheshta karen ya sab sambandho mein sab rupon mein mere bhagwan hi virajman hai.
aisa bhav karke chale do bhav hai ya to ise mithya man ke chalo to aake anubhav mein ho jaega ki bhagwan hi svaroopon mein hai ya abhi se bhagwan man karke chalo to yah siddh ho jaega ki jad chetan jag jeev jat sakal Ram mein jaan par ye nanatma mithya hai bachchha prati kshan nash ko prapt ho raha hai parivartnshil hai satya parivartnshil nahi hota ek ras hota hai aur ye ek ras nahi hai. Visham hai. Yah dwaand hai. Sukh dukh man apman labh hani jai parajay janm mrityu ye dwandmay hai. Jo ek hai wo dwandatit hai.
wo kaalatit hai. Wo trigunnatt hai. Wo chidanandmay hai. Wahi aapka swaroop hai. Agar gyan marg mein dekho aur bhakti marg mein dekho to wahi atma swaroop bhagwan hai. Isliye donon baten samjhni hongi. Tabhi ye baat samjh mein aayegi. Jitendra kumar jeend Haryana se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kahte ho ki ahankaar ko mita do tabhi ishwar ki prapti hogi. Jis main ko mitane ki baat ho rahi hai wo tu apne aap ko bchane ke liye adhyatmik sadhna karta hai. To ant mein jo mita use mitane wala kaun tha?
kya kahna chahte ho? Kiska prashn hai? Guru ji mera prashn hai ki main sadhna karta hoon ahankaar ko mitane ke liye. Agar yahi sadhna meri yahi sadhna meri ahankaar ka karan ban jae. Jaise ki main bahut bada sadhak ban gaya. Haan yah dosh hai. Yah dosh hai. Yah dusron par he buddhi karke apne mein shreshth buddhi laaega jiske karan hamara patan ho jaega. Hamen dusron mein bhagwat buddhi aur apna sudhi hi na rahe. Tabhi to kaha ki bhakt dekhta hai ki bhagwan ke dwara jaise aapka bhajan ban raha hai to aap kahoge Gurudev ki badi kripa santo ki badi kripa bhagwan ki badi kripa ki mera bhajan ban raha hai.
agar yah baat aata hai ki ye log to itna bhajan nahi karte jitna main bhajan karta hoon to dusre mein he buddhi apne mein shreshth buddhi ye patan ka marg hai. Ye unnati ka marg nahi. Adhyatma mein wo bhrasht ho jaega jo apne ko shreshth manta hai. Adhyatma to tab hota hai jab tanadap suni che tar sahna amanna man de kirtan sada hari apne ko tan se nich samjhta hai sabko shreshth samjhta hai sabko sammaan deta hai swayam amani rahta hai vriksh ke saman sahaysheel hokar nirantar naam jap karta hai wo mahatma ban jaata hai pa shirt mein bhi wo mahatma hota hai to bachchha ye baat to nindniy hai ise tyagna chahiye ye tyagne se hi adhyatmik ki unchai par chadha ja sakta hai.
samjh paye aap? Ji Ashok Agarwal ji Lucknow se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap vidhayak hain. Aap puchna chahte hain ki rajneetik aur satta ke marg par prayah ahankaar aur mat ki badhae maharaj ji aati rahti hain jeevan mein. Ek janapratinidhi apni satta ki shakti ko bina ahankaari hue keval thakur ji ki seva kaise dekho aap to man lo ek vidhayak hain chakravarti samrat se bahut chhota pad hai ye wo jo badshah hota hai wo the amrish ji pure sampurn bharat ke nahi vishv ke wo raja the chakravarti kahte hain jahan se surya uday hota hai jahan se ast hota hai samrat the aur bhagwan ke anannya dainya bhakt the.
kitne aise samrat hamare itihas mein hue jo bhagwan ke bhakt hue, dainya hue. Aap praja ke Swami nahi hain. Aap jab dhairya purvak dekhiye to aap praja ke sevak hain. Vidhayak pad, sansad pad ya mukhyamantri pad ye jitne pad hain ye samaj seva ke liye rakhe gaye hain. Agar ham apne ko samaj sevak samjhte hain to hamara marg theek chalega. Agar samaj ka Swami samjhte hain to hamara marg galat ho jaega. Aap Swami nahi ho. Swami to bhagwan hai. Aap sevak ho. Agar sevak bankar ke aap samaj ki seva karen to vidhayak pad aapko abhiman rahit karke bhagwan ke marg mein age badha dega.
sabki seva karna. Jitna kshetra aapke antargat aata hai vidhayak mein utne kshetra ko aap vichar purvak sochte rahie. Kaise main garibon ko sukh pahunchaun. Kaise logon ko anukulta pradan karun. Main ek sevak hoon. Bharat ko ek aise nagrik ki avshyakta hai jo dusron ko sukh pahunchave. Wo chahe vidhayak ho, chahe sansad ho. Jab swasukh wanchha ka tyag karke samaj sukh ke liye socha jaata hai to wahi bhajan ban jaata hai aur jab swakh wanchha shoshan kiya jaata hai to wahi hamare durgati ka karan ban jaata hai to yadi ham naam jap karen aur apne ko samaj sevak samjhe to hamen lagta hai phir garv nahi chhuega aapko phir aap bhagwan ki bhakti se yukt hokar ke yahi aapki bhagwan ki puja ban jaegi aur isi puja se bhagwan prasann ho jaenge samaj ki seva ka bahut badhiya avsar mila hai.
aap hazaron garibon ko support kar sakte hain. Hazaron samasyaon ka samadhan kar sakte hain. Kyonki aap sarkari pad par hain. Aap us pad ka sadupyog kijiye aur yah sochte rahie ki main to sevak hoon. Swami nahi Swami to bhagwan hai. Main sevak hoon. Samaj ka sevak hoon. Ham bhi samaj ke sevak hain. Ham bhi samaj adhyatmik seva ham bhi kar rahe hain. Sabko namaskaar karke hamare jo adhyatmik ki sampatti mili hai wo sabko bant rahe hain. Aur usmen jo jo grahan kar rahe hain wo sukh ka anubhav kar rahe hain. Jo tyag rahe hain wo dukh ka anubhav kar rahe hain.
tanish aroda ji hoshiyarpur se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev aapka satsang sunkar pata chala ki sansarik ichhao ka koi ant nahi hai. Isliye main apni ichhao ko badhana nahi chahta. Par jab bhi main kisi ke paas koi chij dekhta hoon jo mere paas nahi hai to man mein aata hai ki yah bhi mere paas hota to accha hota. Maharaj ji aisi bhavna ko khatm karne ke liye main kya karun maharaj? Naam jap karo. Bhagwan ke naam mein bahut badi samarth hai. Wo chaenge to purn kar denge.
wo chaenge to samapt kar denge. Naam jap karo. Bhagwan chaenge to kamna ki purti kar denge aur bhagwan chaenge to kamna ko shant kar denge. Donon kam bhagwan mangalmay hi karenge. Isliye agar chahiye dekho logon ko chahiye to par bhajan nahi karte. Kardam ji ko bhagwan brahma ji ne agyaa kari ki srishti rachna karo. To akele to srishti rachna ho nahi sakti. Ab patni chahiye. To unhone patni chahiye isliye 10,000 varsh tak bhajan kiya. Swayam sacchidanand bhagwan shri hari prakt hue aur kaha vardan mango.
to unhone kaha pita shri ki agyaa hai ki srishti vridhi ko prapt ho. To srishti vridhi ko prapt ho isliye mujhe patni chahiye. Bhagwan ke aansu gir pare ki 10,000 varsh tak tapasya patni ke liye to bindus tirth jo bana wo ashv se bana. Bhagwan ne kaha aadi samrat maharaj Manu ki putri devoti ji parso ayengi aur unhen aap sweekar kar lena. Kardam ji ka byah hua. Swayam bhagwan putr rup mein prakt hui. Kapil bhagwan ke rup mein aur sankhya shastr ka updesh karke unka aur jagat ka mangal kiya.
ham jo chahe bhagwan se chahe aur naam jap karen to ya to hamari chah purti ho jaegi aur yadi wo vastu amangal karne wali hai to us kamna ki hi shanti ho jaegi. Isliye ham khub naam jap karen. Pratap narayan Dwivedi ji Lucknow se maharaj ji satya kya hai? Prabhu atma brahm hari ye paryayvachi usi ke hain. Ek satya ke bahut rup se vivechan karne wale shastr milenge. Bahut se vivechan karne wale sant milenge. Par wo ek ek satya hai prabhu jo sabka Swami hai jo sab rupon mein hai wahi paramatma ek satya sacchidanand rupay vishwat hetwe tapatra vinashay shri krishnay vayam namah sat kaun bhagwan chidanand kaun bhagwan anand kaun bhagwan sachchit anand sacchidanand rupay vishwattyad hetwe vishv ki utpatti aadi ka hetu hai.
tapatray vinashay tino tapon ka nash karne wale kaun? Shri krishnay vayam namah shri Krishna prabhu satya hai shri Ram prabhu satya hai bhagwan shankar satya hai ye naam unke alag-alag hai satya ek hai wahi ek satya vivid rupon mein dikhayee de raha hai satya ek hai Krishna prasad Gupta ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji maya par vijay prapt karna bahut kathin sa lag raha hai ek kshan lagta hai ki main jit paunga par jaise hi pratikul paristhiti ane lagti hai to main tut sa jaata hoon ghbarahat si hone lagti vyakti hai Gurudev ye tino gunon se gunatit kaise hua jae mayatit kaise hua man aat sva buddhim niveesh mere mein man laga do mere mein buddhi laga do bhagwan kahte devi gunmai mam maya daratya mame ye prapadte maya mein tantte ye jo devi trigunmai maya hai isse par hona daratya hai swayam bhagwan kah rahe hain agar isse par hona karna chahte ho to mere charnon ki sharan mein aa jao.
bhagwan ki sharan mein hokar gita ji ka swadhyay karo. Shrimad bhagwat ka swadhyay karo. Santo ka satsang karo. Khub mantr naam jap karo. Jo dukh sukhave bhagwan ka kripa prasad anubhav karte use sah lo. Dekho nikal jaoge. Agar bhagwan mein chitt laga hai to aapse sachchi kahte hain. Koi bhi dukh parast nahi kar sakta. Agar bhagwan mein chitt nahi laga hai to koi bhi sukh aapko shanti nahi pradan kar sakta. Bhagwat vimurkh ko tribhuvan ka raja bana diya jae. Sab bhog use ek saath de diye jae to bhi wo kabhi tript va shant nahi ho sakta.
aur bhagwat sharanagat bhagwat chintan karne wale ko ek saath duniya ke sare dukh de diye jae to bhi wah ashant nahi ho sakta. Kyonki bhagwan anand samudra uske hriday mein sthit ho ke wo samarth dete hain jisse wo sab dukho ko bhul jaata hai. Isliye vishwas karo aap bhagwan ke naam jap mein badi samarth hai. Tuto mat. Dekho aisa nahi ki ham keval pravachan kar rahe ho. Kaisa dukh mein jeevan hai. Lekin aapse sachchi kahta hoon. Mujhe ek ek minute bhi kabhi dukh ka anubhav nahi hone dete. Prabhu har samay hamara hriday aandit rahta hai.
ham prasann rahte hain. Ham aap itne sukhi nahi honge jitne ham sukhi hain. Kyon? Aapka kahin na kahin sansaar se rag hai. Hamara prabhu se sambandh hai to na marne ka dar hai aur na is rog ka dukh hai. Har samay anand bana rahta hai. Isliye sabse prarthna karte hain. Yadi sukhi hona chahte ho to prabhu ke charnon ka aashray le lo. Naam jap karo. 24 ghante mein 24 minute hi prabhu ko de do. Tumhara mangal ho jaega. 24 minute naam jap karne lago tumhara mangal ho jaega. Aap shuru to karo. Ab aap sharab piyenge, mans khaenge, gande aacharan karenge to aap durgati ko prapt honge, ashanti ko prapt honge.
chinta, bhay, shok ye aapko grasit kar lenge. Aap depression mein chale jaenge. Overthinking itni badh jaegi ki aap shant nahi rah payenge. Isliye naam jap karo. Pavitra bhojan karo. Gande bhojan ka tyag karo. Aap dekho shanti milne lagegi. Hriday shant ho jaega. Bhojan ka bahut bada prabhav hota hai. Aaj log na bhojan par dhyan de rahe hain, na pavitra par dhyan de rahe hain. Jo manaya, jaisa manaya, khaya, piya waise hi kiya. Bas pashut acharno par jyadatar vritti lag rahi hai. Adhyatmik acharno ko ham bhulte chale ja rahe hain.
isliye hamen zaroorat hai adhyatma ki. Wahi hamen shanti, wahi hamen anand, wah jo hamen chahiye wah adhyatma se milega. Prakriti se to mil hi nahi sakta. Paramatma ka ansh prakriti bhog se kabhi sukhi nahi ho sakta. Jab tak wah paramatma mein nahi lagega tab tak sukhi nahi ho sakta. Aur ye indriyan prakriti ki taraf hi akarshit karti hai. Bas yahi samasya hai. Isi samasya ko sudhar liya jae to maya par vijay prapt ho jaegi aur wo hai bhagwan ka naam bhagwan ke gun bhagwan ki leela charitra ka gayan shravan bhagwan ke santo ka sang isse bahut jaldi labh milega.
bahut jaldi labh milega.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…