naam jap aram se karna chahiye ya jaldi-jaldi?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
adarsh vajpei ji Lucknow se maharaj ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapne bataya tha ki ek swas mein zyada se zyada naam jap karna hai phir ek ekantik mein yah bhi bataya tha ki jis jitne aram se jape utna accha hai to upasak naam jap aram se jape ya adhik se adhik naam jap prambhik upasak adhik se adhik jape alag-alag upasak ki hote hai na class hote hain na jaise aise bhumikaen hoti hai bhajan ki prambhik upasak ko keval naam jap prarambh mein adhik se adhik karne ka abhyaas banana banana hai.
phir man jab ham adhik naam jab karne lagte hain to avsar pakar bhagta hai. Radha Radha Radha Radha Radha Radha ab wo apna kam shuru kiye hue hai. Ab hamko uske kam ko band karna hai. Usko yahi lagana hai. To bar-bar man jahan bhag kar jae wahan se hata ke naam mein lagave. Isliye ab hamko dheemi gati pakdni hai. Radha [nak se ki jane wali aawaz] Radha Radha. Ab hamare samne likha Radha hamare kan ne suna andar se Radha hriday se bol rahe hain Radha ab man ko bhagne ka avsar nahi mila shuruaat mein hi sadhak man par savar thodi ho jaega agar man par savar hone ko sochega to naam chhut jaega to pehle naam ka itna abhyaas karen ki uske naam jibhya mein basne lage phir us naam ka dhyan aur naam ka shravan to man ko ghasit kar naam man hi bandhan aur moksh ka karan hai vishay chinta mein laga hua man bandhan ka karan hai aur bhagwat chintan mein laga hua man moksh ka karan hai.
to prambhik dasha mein ham yah kriya nahi karte. Ham iske age badhkar jab bhumika mein pahunchte hain ki ab hamara ghanton naam chal raha hai par man nahi lag raha. Man sansaar ka chintan ab usko late hain ghasit ke. Jahanjahan jaata hai wahan se ghasit ke naam mantr mein late hain aur mantr naam ko phansate hain. Radha Radha Radha are Radha Radha Radha Radha Radha Radha abhi apni ghadi chal chalu rakhega. Bhut bhavishya ki chinta aae hue andar ke gande sanskar wo sab wo dikhega samne. Hamse kahega chodo naam aur inme lago lekin hamko iski baat par nahi lagna.
dhire-dhire isko phansana hai man ko aur man jahan bhagwan mein lag gaya to itna anand prapt hota hai wo anand kisi vishay mein nahi hai. Dekho yahan jo kuch bhi hai sab nashvan hai. Ek second mein sab chhut jana hai. Hamari shwas ruki ki hamara sharir chhuta, bank balance chhuta, padhai chhuti, padadhikar chhuta, mitra, shatru sab ek second mein chhut jaega. Hamare saath kya jaega? Ham to rahenge na sharir chhut jaega ham to rahenge ab hamare paas yadi punya bal nahi hai bhajan bal nahi hai to ham suar bane ki kutta bane kya bane pata nahi 84 lakh yoniyan hai to hamko is jeevan mein jeevan ke baad ye keval bharat mein hi hai.
yah bharat bhumi ke brahm rishiyon ka shodh hai aur bahar kahin nahi hai. Bahar to khao piyo kamao khao bhogo jitna bhog lo bas bahut marne ke baad swarg nark iske baad kuch nahi. Moksh param padvi prem ye to brahm rishiyon ki bharat ke brahm rishiyon ki hai. To ham marne ke baad ka kya kar rahe hain? 60 70 varsh ki ayu hai. 20 varsh jawani ke aise tufan ke ate hain jinme ham kuch samjh hi nahi pate hain. Piche ke bacchapan ki avastha mein to beshudhi hoti hai. Budhape mein kuch kar nahi sakte. To avastha kab hai?
jab ham apne marne ke baad ke liye karen. Vichar karo aadha jeevan to hamara sone aur manoranjan mein chala jaata hai. Jo aadha jeevan hai wo kamane aur khane aur bhogne mein chala jaata hai. Hamare paas samay kab hai? Agar ham savdhaan na rahe to maya hamare pure jeevan ko vyarth kar degi aur agla janm phir hamen nich yoniyon mein prapt hoga. Aur abhi kalikaal ka ham zyada varsh to nahi dekhe 40 varsh dekhe hain kyonki 101 varsh mein to chetna jagrit hoti hai. Jankari hoti hai achhche bure ki kya chal raha hai kya nahi 13 varsh mein Baba ji ban gaye the to 40 varsh ka tumhen dhyan hai.
itna bada parivartan 40 varsh mein hua hai ki gandagi hi gandagi phailti chali ja rahi hai. Gandagi hi phailti chali ja rahi hai. Naye-naye bachchhe, chhote-chhote bachchhe itne gandi aadaton ke shikar hote chale ja rahe hain jo kabhi swapna mein bhi nahi socha gaya tha. Naye-naye bachchhe aisi gandi harakton se yukt hote ja rahe hain jo kahin kahin gunjaysh hi nahi thi. Byah bhale 14 15 mein ho jae. Gaman hota tha 20 varsh mein. Badi pavitra patirat dharm satyta. Ab kya gandagi 13 varsh se le 20 varsh ka bachchha sampurn gyan rakhta hai sansaar ka aur itna vybhchar par ki 10 20 boyfriend badal jaate hain nahi badal jaate wo vyabhchari purush dasiyon striyon se abhi 20 varsh ka hua hai aur dason ladkiyon se ye kya to kalyug abhi bhajan karne ka kuch avsar rah gaya hai age aur aisa avsar aayega bhajan pujan swaha swada ab yagya kahan ho rahe roz roz panch yagya karne ka adhikar roz trikal sandhya ka adhikar tab kahan gaya sab kho gaya roz shastr swadhyay roz dan
punya niyam [gala saaf karne ki aawaz] purvak dan punya niyam purvak dusron ki se ye sab kahan gaya kisi tarah hamari vasnaon ki purti ho yah vrittiya chal rahi hai to bhagwat prapti karne ka avsar is manushya jeevan mein hai bahut savdhani purvak ham chal paropkar karen mans madira inka sevan na karen parai mata bahno ke saath vybhchar vritt na rakhen naam jap karen to ho aur abhi kalyug ke 5000 varsh se kuch upar hue hain 432000 varsh ki ayu hahkar mach jaega abhi to 32 hazar mein nahi pahuncha abhi
to ghutnan ke bal chal raha hai thoda jawan hone do phir dekhna bha bhrashtachara sab sansara dharm sune nahi kana kan se dharm nahi sunai dega age samay aayega aisa ki agar jo bhagwan aur dharm ki charcha karega mar diya jaega paap aacharan ki vridhi ho jaegi 40 varsh mein ham bada parivartan dekh rahe hain. Chhote-chhote bachchhe mobile se sab kuch unko pata hai. Sab kuch pata hai. Sab search kar lete hain aur sab kuch unko pata hai. Jisse unki buddhi prakritik maya mein akarshit hokar ke sataarg ka tyag prarambh se hi kar deti hai.
prarambh se hi jhooth bolna, prarambh se hi asat kreedaon ko dekhna, prarambh se hi gande khelon ko karna ye chhote-chhote bachchon mein paya ja raha hai. Isliye bahut savdhani purvak agar jo bacha pave apne man ko aur prabhu mein laga pave to dhanyati dhanya jeevan hai. Nahi to sab vyarth jeevan hai. To agar ham dhire-dhire se man ko naam mein fansa pa jae to ham vijay ho jaenge. Nahi to jaban se naam chal raha hai. Anguli mala mein chal rahi aur man sansaar mein chal raha hai. Jab tino ka ek mishran ho jae jo anguli mein wahi jaban mein aur wahi hamare man mein tab bhagwat prapti hoti
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…