॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1306 · 24 june 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha he Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai jai samasth sant hari bhaktan ki jai Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai akhilesh ji Radha vallabh shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji mujh adham ke sharir ki dharmpati ka bhi daya vasan hone ke baad aap Gurudev se bhagwat marg ki sharanagati prapt hui.

mere parivaar mein sirf matra chhota putr hai aur main hi hoon. Anya koi shesh nahi rah gaya. Kya main abhi grihasth ki shrani mein hoon? Kya main mere mere liye koi kartavya shesh rahega? Haan bilkul iska thoda padhai likhai karke iska byah kar dijiye. Kyon bachchha? Hain? Achhche koi nokri mein chale jao aur badhiya byah ho jae to theek rahega na? Abhi to padhna hai guru ji. Padhna hai. Padh ke phir kya karna hai? Seva karni hai. Kiski? Haan. Uttam baat hai. Wo nokri se hogi. Koi na koi achchhi nokri karke arth ke dwara apne pita ke jaise dham vas karna chahe ya virakta bhav se rahna chahe par abhi aapka kartavya hai iski line clear karna to us pe aapko dhyan dena hai ki aap kaise clear kar sakte ho virakta rahkar kaise clear kar sakte ho grihasth rahkar kaise clear kar sakte ho ye aapko andar se dekhna andar se virakta rahkar isi isi sthiti mein rah ke iska byah tak aapka kartavya vishesh hai jab iski nokri lag jae ya iska vyapar ho jae aur iska byah ho jae aur yah kah de ki hamara kartavya jo aapka hamare prati tha wo pura ho gaya.

ab hamara kartavya aapke prati chalu hota hai. Aap jahan rahna chaho aram se raho. Main aapki seva karunga. Bahut badhiya ho jaega. Theek hai? Haan. Tab tak ke liye abhi ye abodh balak hai. Isko sat asat ka nirnay nahi hai. To abhi isko zaroorat hai aapki. Isliye naam jap karte hue bhajan ka. Waise bhi aap sarkari aadmi ho ritayar to abhi hue nahi nahi abhi 18 17 sal baki abhi 18 17 sal nau karie haan to phir tab tak to aa jaega apne line mein aa jaega iske baad virakta ho jao bhajan karo to antarik viraktata ki zaroorat hai bahari to nokri karo tum vardi dharan karke theek hai bahari to apni duty mein raho andar se to tum bhagwat ho hi ham jante hain kisi praman ki to zaroorat hai nahi aapko andar se tum ho jis karya ke liye tum chahte ho na wo karya isi mein ho jaega.

ismen chinta mat karo. Bas tum shri ji se to sharanagat ho hi chuke ho. Ab tumhen vachno par vishwas ho jana chahiye. Jo ham abhi bol rahe hain ye note kar lo. Haan guru ke vachan pratiti na jiska guru ke vachno par vishwas nahi phir use kya narad vachan main parih isse vakalt ho sakti hai bhagwan ke darbar mein ki ham to kuch nahi lekin jab hamare guru ne kah diya tumhara isi se kam ho jaega to aapko kam karna padega kyonki apno paran vishal bhagat ko purv paran nibhao theek hai aap prasann rahie iske kartavya ka palan kijiye aur naam jap karte hue hamare jo bharat ki seva mein vardi dharan kiye ho sat satbhav se rahna kabhi kisi se ghas mat mat lena.

kabhi koi adharm aacharan mat karna. Aur jo nirdosh hai usko kabhi dand dene ki bhavna na ho. Jo doshi hai use kabhi bakhsho mat. Usko dand dena yahi puja hogi. Ab hamara baat samjhna bhagat hriday ho to aisa na ho ki doshi ko bhi bakhash diya jae. Nahi agar wo doshi hai dand payega to pavitra hoga. Age se savdhaan rahega aur nirdosh ko kabhi dand kabhi ghus mat lena. Nahi iski unnati mein badha par jaegi. Hamari baat samjhna. Adharm ki kamai se apne santan ko ya santti ko sukh pradan nahi kiya ja sakta. Isliye kabhi adharm ki kamai ki taraf hath mat uthana.

dharm se jo tumhen hamari sarkar deti hai vetan usi se iska palan poshan usi se iski padhai karna. Kyon? Haan bilkul isi se mangal ho jaegi. Yahi virakti hai. Adharm se virakta ho jao. Adharm ka nahi. Adharm nahi. Na adharm aacharan karne wale ko bakhshenge aur na adharm ka ham aacharan karenge. Bas is niyam se chaloge to tumhari bhakti bhi banegi aur tumhari santan ko bhi unnati prapt hogi. Iski shanti iska hriday udaar. Jaise aapne dharm se chal rahe ho tab aapke andar aisi bhavna hai. Agar aap adharm aacharan karte hote to aapke andar aisi bhavna na hoti.

to aise uske andar dharm kiya apni kamai ki aur sat ki to usko patni bhi aisi milegi jo support karne wali mile. Abhi khub sab vyvastha aur mil gayi aise dimaag ki jo tumhare ghar mein ashanti paida kar de to chahe Vrindavan raho chahe jahan raho jalte rahoge ki yar ladka bada dukhi hai uske anukul patni nahi mili kyonki patni hamari bahut dharmik thi ji usi mein hamen raste par ji ji to isiliye ham kah rahe hain dharm purvak yadi dhan kamaoge to isko bhi dharmik mil jaegi jeevan sukhi ho jaega nahi aaj aisi bhi patniyan hoti hain jo pure saje sajae ghar ko bilkul vidhvans kar den haan bahut isliye badi kripa bhagwan ki manaye aur dharm purvak chale to sab bhagwan vyvastha kar dete hain.

Mahavir sinh ji Delhi se Radhe-Radhe Swami ji pujniya Swami ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Swami ji ham char pidhi se Ram ji ke upasak hain. Ram naam ka jap karte hain. Yah shiksha hamen swargeey dharm samrat karpatri ji maharaj ji se 90 varsh pehle mili thi. Lekin maharaj ji kiska prashn? Accha main do varsho se aapka satsang evam ekantik vartalaap sun raha hoon. Maharaj ji main aapke satsang se prabhavit hokar is shanka ka samadhan chahta hoon ki main Ram ji ke aur aapke bina nahi rah sakta.

mera kalyan marg kya rahega? Ram Ram japiye aur hamen apna dost maniye. Hamen apna mitra man lijiye aur Ram Ram japiye. Theek hai? Haan. Khub naam jap kijiye. Isi se mangal ho jaega. Aur satsang sunte rahiyega. Jab ham Radha bole ki Radha Radha japo tab samjho hamare liye adesh hai Ram Ram japo theek hai haan aap sanshay mein mat padie rame Radha ma mein Madhav Ram naam mein Radha Madhav bhi virajman hai aap Ram Ram japiye maharaj ji yahi sanshay thi mere devta maine kaha kabhi ham udhar ke rahna udhar ke nahi nahi nahi aisa kabhi nahi ho sakta sadhu te hoe na karaj hani sadhu sang se kabhi kisi ka paramarth bigda hai kya paramarth pusht hua hai sadhu te hoe na karaj hani aisa nahi ho sakta ki sadhu se sanshay nivitti hoti hai na ki sanshay ki pravriti jag jae.

nahi sadhu samagam ke vachno se kabhi bhi aapne suna hoga agar puri baat sunoge to sanshay nahi hoga. Hamne phir baad mein kaha aapko jo Gurudev ne naam diya hai ya jo aapko priy hai. Jab hamse pucha jaega to ham kahenge Radha Radha japo. Aur jab aapki baat aayegi tab kahenge jo aapko priy ho ya aapko jo Gurudev ne diya ho wahi naam nirantar japiega. Sab naam ek anant bhagwan ke hain. Maharaj ki Gurudev ji ke to maine darshan hi nahi kiye. Unke to mere pitaji the unke samne. Ji aur mere pitaji ne ye kaha ki maharaj ji mere paas na to main padha likha hoon na main gyan janta na main bhajan karna janta.

ab mere kalyan ka kya marg hoga? To unhone kaha ki beta jo bhi aapko mile aap sabse Ram Ram kaho to aapka kalyan ho jaega. Aur mere devta wah paripati char peedhiyon se chali aa rahi hai. Bas usi ko jake kul ki jo riti hai gahe rahe so taun samjh rahe na jake kul ki jo riti hai gahe rahe so taun aap bas wahi pakar lo Ram Ram Ram kalyan ho jaega are kalyan ka kalyan ho jaega mangal bhavan bhagwan ka naam hai aur usse kalyan ka sanshay nahi naam let bhav sindhu sukhah par hone ki baten khatm ho gayi naam let bhav sindhu sukhah karahu vichar sujan man mahi sadar sumiran je nar karah gopad yu bhavsagar tarah kahun kahan lagi naam badhai Ram na sakah naam gun gai bhai ab to kya sanshay naam hi to sarvopri

khub gao Ram Ram Ram ji jo tu na japi hai to tu kahun jae tahu tap tap hai chahe jitna sadhan kar lo agar naam jap nahi to anya sadhan se bhagwat prapti hona bada kathin hai bada kathin hai chhutbe ke jatan vishesh bandhe jao ho hai vish bhojan jo sudhasa khaego Ram Ram Ram ji jo tu na jap hai to tu kahun jae tahu tap tap hai khub nirantar naam jap karo aur satsang sunte raho theek hai koi sans ek pareshani aur hai kyonki vriddhavastha hai 82 sal ki umr hai ab yahan main har mahine to aa nahi sakta nahi to hamne

tumse kab kaha har mahine aa jao to meri to utkantha hai aapse har wakt mil agar utkantha hai to main har samay tumhare dimaag mein hoon. Dekh lo na milne ki baat kah rahe ho. Tumhare dimaag mein agar utkantha shabd hai to har samay dimaag mein tumhare ham rahenge. Tumhare dur ki baat thodi rahegi. Tumhare dimaag mein rahenge. Aap dekho aap dekho na. Agar utkantha hai to jiske prati utkantha hoti hai wo hamare dimaag mein bas jaata hai. Pi murat nain base teh ras samae. Aur agar nayan mein bas gaya to paas ho ya dur ho kya fark parta hai aur nayan mein nahi basa to paas ho ya dur ho kya fark parta hai donon baten samjh lo maharaj ji Ram naam jap ke aap to Saket chale jaenge aap to Vrindavan rahenge hamara wahan kaise milan hoga wahan kaise hoga maharaj hamara kam hai postamain ka kahan kisko kahan book karna hai va book kar dena hai ab jaise paisa postamain ke paas aata hai to usko jake wahan wahan dena parta hai.

ab man lo koi jeev aa gaya aur uski lalsa hai ki main Saket Siyaram ji ke paas jaun. To mujhe pata hai mere radheshyam ji hi Siyaram ji koi aur thodi hai. Bas posta karna hai. Wo udhar pahunch gaya. Accha agar ye dekhna chahte hain ki ye rup to ye rup Siyaram ji ke paas nahi milega. Ye rup radheshyam ke paas milega. Kyonki ye bika hua gulam hai. Ye to radheshyam ke paas mein hai wahi hamare hi Siyaram ji radheshyam aur Siyaram mein itna antar nahi wahi hai. Par jab Siyaram se milan karne ki baat aayegi to wahan yah nahi milega.

par maharaj ji jaega to donon mein hai mave ki barfi mein bhi aur rasgulle mein bhi. Ye prakritik udaharan chidanand mein nahi baithenge. Prakritik mave ki barfi aur doodh ki barfi yah sab prakritik udaharan chidanand mein nahi baithenge. Chidanand ka udaharan sirf chidanand hai. Prakritik nahi aa payega nahi aa payega. Jaise goswami ji jab Vrindavan aae goswami tulsidas ji to jidhar dekhe udhar radheshyam jo mandir ka darwaza khule radheshyam to aise pranam karke panchang aur bole sashtang to nahi karenge.

sashtang to tab karenge jab aap Murli hatakr sarang dhanush lenge aur yah Chandrika hatakr siyaju rup Priyaju banegi to bhagwan ne aisa hi kiya bhagwan ke kar kamal se bansi hati aur dhanush ba aur jo Chandrika hai wo hati aur mukut aur Priya jo ho gaye siyaju aur Shyam ji ho gaye ramju sashtang dandvat kiye to ye ek priyata hoti hai tulsi mastak tab jhuke jab dhanush baan ho hath to kat Murli ka Chandrika kad gopiyan ke saath wo apne jan ke karan shri Shyam bhay Raghunath bhagwan usi samay dharan to ye chidanand baat hai prem ki ab jaise hriday se pucha jae itna bhi antar na Ram ji mein hai na Shyam ji mein hai na Priyaju mein na siyaju mein par priti ki baat jab aayegi to phir jahan priti hoti hai wahi man bhagta hai na haan nahi ye priyata ka hai to wahi hamare prabhu hamare hi prabhu Siyaram par priyata priyata jahan aati hai to phir wahi ye to priyata ka desh hai wahi Ram hai wahi Shyam hai lekin jab priti ho gayi tulsidas ji ke guru bhai the nanddas ji aur nanddas ji Shyam ji ke upasak Vallabhacharya

ji maharaj hai na to jo srinath ji hain unke aasakt ho gaye srinath ji ke to tulsidas ji ne likha hamare Ram ji mein kya kami thi jo tumne Shyam ji bole kami ki baat nahi usne Murli baja ke hamara chitt cura liya hai hamara chit aur bole guru ji ne bhi to naam rakha tha nanddas to nanddas to nand ke ladi le le hamare chitt ko cura liya nanddas ji goswami tulsidas ji ke guru bhai the aur shri nath ji ko pad sunate the asht acharyon mein wo ek acharya hain nanddas ji jaise kumbhan das ji surdas ji aise Govind Swami ji cheet Swami ji aise shri nand das ji to khub priti karo jab tak jeevan hai khub naam jap karo aur satsang sunte raho badhiya anand rahega aur Saket mein jab jaoge to wahan Siyaram ji hanuman ji lakshman ji ye sab parikar milega haan ab hamari khoj karoge to wahan nahi milega phir ab yahan to mil jaoge ji yahan to mil hi rahe hain aap to bas yahi se santosh kar lo Manish Yadav ji bihar se shri Harivansh shri Harivansh bhagwan mera man mujhe kabhi-kabhi nirash kar deta hai

kabhi-kabhi samne vichar rakhne lagta hai ki kya pata shri ji tujhe janti bhi hongi ya nahi unke na jane waise waise bhi jab tak nirvikaar man na ho jae tab tak ye vishwasneey nahi ye to shri ji ki baat karo kisi par aviswas kar sakta hai to ek kshan bhakti mein lagega dusre kshan bhog mein lagega ek kshan wo dusre ko sukh dene ki baat sochega dusre kshan dusre ka sukh chheenne ki baat karega yah vishwasneey abhi koi sthiti thodi hai aur agar aap Radha bolte hain to shri ji ne aapko bolne ke liye saubhagya diya isliye bol pa rahe ho aap apni taraf se Radha nahi bol pa rahe ho shri ji ne kripa ki tab Radha bol pa rahe ho aap Krishna bolte ho Krishna ne kripa ki tab Krishna Harivansh kripa Harivansh kahan hai Harivansh kahe Harivansh laye Harivansh sulabh sada tinke sukh sampatti dampati jo jinke hamari vani par yadi Radha naam aa raha to kishori ji ne hamen yad kiya hai kishori ji ne ham par kripa ki tab ham Radha Radha bol pate hain aisa aviswas na karen ladli ju ne hi kripa ki tab Radha Radha japte ho ladli

jo aapko apnaya tab aap kahte ho hamari ladli jo to aap baad ke bolte ho pehle udhar se hota hai samjh pa rahe ho maharaj ji mere man mein aur bhakton ke prati ek thoda sa aisa bhav aata hai na ham aapko bola na yah kuch bhi aa sakta hai abhi koi aapka man pramanit man thodi ho gaya hai siddh man thodi ho gaya hai ye to pagal aadmi kuch bhi bol dega abhi bahar niklo to yahan ke liye aapko uddandta purvak kuch chalta rahega uski baat abhi to bilkul nazar rakhni jaise hospital mein pagal wale mein kisi aadmi ko

band kiya jae to uski baton par thodi dhyan diya jaata hai abhi nazar rakhni hai dawa khavate rahna us par nazar rakhni hai aur dawa khatekhate jab svasth svasth ho jae tab baat uski suni jati hai ki ye svasth aadmi bol raha hai. Pagal aadmi ki nahi abhi man pagal hai. Abhi to bas dawa khavate raho. Radha Radha Radha Radha Radha koi sahi baat kahe to us par tik laga do. Haan haan tumhari baat mante hain. Uski baat ko talte raho. Uski baat ko talte raho. Wo vishwasneey nahi hai. Abhi ek bhav maharaj aisa aata hai na jaise ki jaise aap bolte hain ki bhagwan ke anant naam hai.

aap koi bhi jo bhi aapko priy lage wo aap japo. Mera bhav andar se kabhi-kabhi aisa lagta hai anya bhakton ke prati ki aap Ram Ram japo Krishna Krishna japo bhagwan ke bahut sare naam hai aap sab japo bas Radha Radha mat japne lag jae kyonki ye main japta hoon na to kahin phir ja bhi japne lage abhi nahi abhi-abhi bhav tumhara sahi nahi aaya jaise jaise hamko mano jalebi achchhi lagi to hamare jitne priy log honge hamara man kahega ki yar sabko ek bar ye jalebi khain bahut jor ki chij samjh mein aayega jab udaar man hota hai to apne ko jo priy lagta hai wah

sabko dene ki ichchha hoti hai lekin ye abhi tabhi to kah rahe bimar man hai jab ye man aae to aisa lage ki pura vishv Radha Radha jape sabko sukh mile kisi ko na rog ho na shok ho na sankat ho na vipatti ho bhagwan sab par kripa kare sab sukhi ho tab ye svasth man ki baat hai abhi to aswasth man hai haan abhi iske bhavon ko dabate rahiyega svasth man yahi hoga sabko sukh mile jo mujhe sukh mila bhagwan sab par kripa karen aise sabko nihal kar de aisa aata hai na mere prabhu jaise ham koi sundar chij dekhen to ab hamko ye lagega ki yah chij sabko dikha de yar sabko accha sabka mangal ho jae sabko accha lage par wo bina bhajan ke dekh nahi sakte isliye kahte hain bhai bhajan karo bhajan karo bhajan karo ye abhi ek mai ai thi Jagannath Puri ki bade achhche sant hain to unhone kaha ki aap kah do ki aapko bhagwat prapti ho jaegi to mujhe mujhe vishwas ho jaega bhagwat prapti ho jaegi.

ham kaha agar hamare kahne se ho to main kahta hoon sare vishv ko bhagwat prapti ho jae. Par aisa nahi ho sakta. Jab tak aap bhajan nahi karenge tab tak bhagwat prapti nahi ho sakti. Kahne se bhagwat prapti hoti to phir bolne ki kya zaroorat hai? Ek bar bol dete sabko bhagwat prapti ho jae aur ham chupchap bhajan karte kahe ko lage rahte. Lekin yah lage isiliye ki jab tak aap bhajan nahi karoge tab tak aapko bhagwat prapti nahi hogi. To apne man ko dabate raho aur sabko sukh dene ki bhavna rakho. Sabko sukh dene ki ki kaise sabko sukh den.

kaise sabko ham anand den to aap aandit rahoge kyonki sab mein bhagwan virajman hai. Theek hai sonu kumar ji haan Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji Gurudev bhagwan mujhe ishwar kripa se bachpan se hi vedanti Gurudev ka sanidhy prapt hua. Jiske phal swaroop mujhe vedant siddhant par sanshay viprey rahit dridh nischay to ho gaya. Parantu malin antahkaran ke karan mujhe shanti va kritkrit bhav ka lesh matra bhi anubhav nahi hua. Apitu samasth kam krodh aadi vikar purnta bane rahe. Aur gyan ke is mithya ahankaar ke karan meri adhyatmik yatra ki adhogati ho gayi.

maharaj ji inka age prashn hai maharaj ji aapke shri mukh se suna hai ki swaroop bodh ki jignyasa wale pathik ko sat va asat donon prakaar ke chintan ka tyag karna hota hai. Bhagwan tab se main sanshay mein par gaya hoon ki hari naam to satchintan hai. He nath apne dekho baat haan baat ye bachchha ki marg jo gyan ka hai uski baat hai sat asat donon ka chintan tyagna wahan hari aur main ye do nahi hai. Brahm bodh mein atma bodh mein hari aur main do nahi hai. Wahan main hi main aur yahan keval hari hi hari hai main nahi prem galiyti sa tame donon samay jab main tha tab hari nahi ab hari hai main nahi aur usmen hari nahi main hi main hai aham brahma gyan ke panth krpan ke dhara parat Khagesh lage nahi 12 ab itne bade tapasvi to ho nahi jitendra to ho nahi to durdasha to ho hi jaegi isliye bhagwan ki sharan mein hokar bhagwan ka naam jap karo.

adya guru bhagwan shankaracharya ji se shisyo ne prashn kiya apaar sansaar samudra mast de is apaar sansaar samudra ke beech mein majto main doob raha hoon sharanam ki mast kiski sharan mein jaun unka Vishveshwar padaj dirgh nauka guru kripalu kripya vadhat shri Vishveshwar padamaj dirgh nauka bhagwan Vishveshwar vishvanath ji ke charnarvind ka aashray le lo aur naam jap karo abhi sab theek ho jaega. Gyan bhi prakt hoga nirmal aur bhagwan ki kripa bhi aur bhagwan raksha bhi karte hain. Jab ham bhagwan ke ashrit hokar bhajan karte hain to bhagwan raksha karte hain.

yogakshimamham kar sada tinke rakhwari jim balak rakhe mhatri. Ab vedant nishtha mein jo hamen chahiye wah hai nahi aapke paas jisse vedant phlibhut ho wo hai nahi kyonki bina sat asat ka vivek bina lok parlok ke bhogon se vairagya hue bina sam dum upti titaksha samadhan mumukshta inke bina khokhla hai gyani keval gyan ka varnan kar dena thodi gyan hota hai anubhav ki baat hoti hai man lo aap bahut achhche sadhak ho pavitra ho to aap apni sthiti ka varnan kar rahe ho ki meri durdasha hai kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar to astr kya jo us dushman ko parast na kar pave nahi kaagaz ki talwar se kisi ki gardan to nahi kati ja sakti.

aise hi vachik gyan se maya ka bandhan nahi kata ja sakta. Anubhav janny gyan hona chahiye. Uske liye bachchha bhajan karo. Agar hamari baat man jao to bhagwan ki sharan mein ho jao. Mani sankhya se sawal hal ho jaega. Mana jo param brahm paramatma tatv bhagwan shri Ram bhagwan shri hari bhagwan shri Krishna bhagwan shiv jahan tumhari bhavna bane aur naam japna shuru karo aur gita ji hai bhagwat ji hai in granthon ko abhi padho to dhire-dhire jab aapki buddhi praveen hoti chali jaegi to phir baat samjh mein ane lagegi jaise ham ghar mein achhche se chhak jae na bahar man nahi chalega aise andar antarik ek atma sukh mil jae na to bahir jo indriy jan bhogon ki uski lalsa nahi rah jaegi.

abhi kya andar khali sukha hai. Ab upar ghee laga ke yahan se ham ave aur kah de bhai ham halwa pa ke aa rahe hain. To ham har chij dekh ke lacha jae kyonki bhukhe hain. Keval hothon mein ghee laga lene se halwa khane ki tripti thodi ho jaegi. Wo to halwa kha ke hi tripti hogi. To nij sukh bin man hoe kithera jab tak nij sukh atma sukh paramatma sukh man ko nahi milega tab tak wo baton se shant hone wala nahi baten karoge brahm gyan ki aur kriyaen karoge agyani wali aur agar bhagwan ke sharan mein ho gaye to phir wo shuddh gyan dete hain wo shuddh bhagwan marg de dete hain aur jahan ham ladkhdate hain wahan mein bacha lete hain kar sada tinke rakhwari jim balak rakhe mhatri ji dekho sanak sanandan sanatan Sanat kumar charu brahm gyani mahatma hai brahm bodh sampann lekin har samay kya japte rahte hain hari sharanam hari sharanam hari sharan ye vichitra maya hai bhagwan ki bacha sakte hain to bhagwan bacha sakte hain isliye bhagwan ki sharan mein ho jao naam jap karo sacha gyan yah hai ki ham abhi mayakrit sharir mein fanse hue hain aur isse hatna bahut kathin hai aap dekh rahe ho iske akarshan se hatna bahut kathin hai.

to phir ham guru swaroop bhagwan shri hari ki sharan mein aur unka naam jap unki leela katha bahut hriday shital ho jaega. Dekhna bhagwan maine guru mantr aapke hi YouTube se sunkar naam ka pratap sunkar naam jab se prarambh ho jae to se mera manora bhi kam ho gaya. Haan ho [gala saaf karne ki aawaz] jaega aur bahut sheetalata ane lagegi. Matlab ek ek vishram jaisa lagne lagega. Jab aapko bharosa dridh ho jaega na prabhu mein ki main kaun hoon main kya hoon bhagwan jane main jaisa bhi hoon bhagwan ka hoon aur khub dat ke naam jap karna hai apne aacharan pavitra rakhna hai ab isi se aapke andar vairagya aur gyan ki utpatti hone lagegi jaise jaise bhagwan ka bhajan karenge to bhagwan kripa karke gyan dete hain.

jo bhagwat pradatt gyan hota hai wahi maya mukt hota hai. Jo padha likha gyan hota hai usse maya mukt nahi hua ja sakta. Jad chetan ki granthi ka jo bhhedan hai wo bhagwan ki kripa se prapt gyan se hota hai. Soi jane je dev janai bhagwan jise jana dete hain wahi janta hai. Isliye khub bhajan karo achhche aacharan karo. Dusron ki seva karo. Manav jeevan hai na. Hamko ye sharir mila hai. Ham jo hai so to hai hi hai. Hamko karna kya hai? Bas ye baat dekhni hai. Gande aacharan nahi karne. Pavitra aacharan karna hai.

dusron ki seva karni hai. Khub naam jap karna hai aur bhagwan se mil jana hai. Bas ye baat to sab gyan, vairagya, bhakti, yog sab bhagwan ke paas ja rahe hain. Koi unhen brahm kahta hai, koi paramatma kahta hai, koi bhagwan kahta hai. Wahi hai. Dusra to hai nahi. Koi tatv to ek hi hai na. Wahi pahunch chalenge. Aise gyan marg mein chalne par badi kathinata hai. Usmen siddh hona bahut kathin hai. Ek kashi se mahatma aae the 65 70 varsh ke. Bade imandaar imandaar ka matlab apni baat kah dena jaise tumne kahi na to aake bole Swami ji ham kuch dino se aapka satsang sun rahe hain to mujhe bahut jalan ho rahi hai.

bole main vedant padhta hoon. Apne kashi mein rahta hoon. Vishvanath ji ke roz darshan karta hoon. Jal chadhata hoon. Ganga sab kuch karta hoon. Par kami kya hai jo mujhe shanti nahi. Unka bhajan bhajan ki to bole aap jo batao unka aise aise naam jap karo phir hamen aap batana dusri bar phir aae unhone kaha bahut kam dino mein hamko bahut anand kyonki tayyar bhumi hai bhumi tayyar hai ab vedant chintan karne ke baad jo hai phir iske baad kahin astha to rahti nahi bahar aur apne logon ki astha bahut hai apne sharir par hai sab dekho wo sahi marg koi galat marg nahi par uske liye jitni pavitra chahiye wo nahi hai.

kalyug hai na khanpan vihaar sharira abhiman aur nana prakaar ke isse gyan nahi hota wo sab khichdi ho jaata hai. Shuddh gyan ke liye pehle sharir rag mara jaata hai. Main sharir nahi hoon. To iska bhookh pyas bhi main nahi hoon. Iski sardi garmi bhi main nahi hoon. To iske kam krodh bhi mere nahi hai. Abhi nirmal hoon. Abhi nirmal par aisa nahi hai. Jahan vyatha man manthan karke prakt kiye to bhookh bhi meri, pyas bhi meri, krodh bhi mere ko aa raha to daya abhimani jeev gyan ki baten chahe jitna kar le lekin usse mukt hona bahut kathin hai.

ab wahi saral marg hai bhagwan ki sharan mein hokar naam jap karte hue wo bhi marg hai. Par wo bahut kathin marg hai. Aur us marg par jo chal gaya jo nirvigghn panth nirbhai so kaivalya param pad laye aur wahi kaivalya param pad bhakti mein sahaj swabhavic akar ke bhakt ke hriday mein prakashit ho jaata hai na sochti na kankshat ye kaivalya param pad hai brahm bhuta prasann atma na sochti na ka na koi chah hai na kisi bhi tarah ki koi soch rah gayi hai to bhakt ko bhi to yahi hota hai sakal kamna hin je Ram bhagat rasleen uske bhi andar koi kamna nahi rah jati koi chah nahi rah jati wo bhi swaroop bodh ko prapt ho jaata hai mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa baat ek hi hai par ismen sahara hai bhagwan ka aur bahut saral hai aur usmen swayam chalna phisle to dharm se gire koi pakdne wala nahi hai ismen bhagwan ka bharosa hai bhagwan ye maine jaise hari ka Pranav ke saath jap karta hoon hari Om to ye mantr koti mein to nahi aayega iska jap kirtan kar sakte hain avastha nahi Pranav aadi to mahan mantr hi hai.

udgeet hai. Bina guru ke iska jap nahi karna chahiye. To mere isht shri hari hai. To phir kya shri hari hai? Mere ishton mein kya nahi to naam jap karo bhagwan ke haan Pranav ko tabhi japna chahiye ya Pranav lage mantr ko tabhi japna chahiye jab guru pradatt ho. Tabhi wo safal ho payega. Aise nahi hai rishi parampara rahi hai to apne gurujanon se jo mantr milta hai usi se siddha avastha prapt hoti hai nahi aur vighna aa jaega manmani mantr japne se kamadi dosh prakt ho jaenge Chitrakoot mein ham ek mahatma ratri ke samay dekha to mandakini ki ek shila beech mein padi hui thi us shila mein kambal odhe theek jeth ke mahine ke baad garmi jeshtha ke mahine mein bahut garmi hoti hai tapti hui garmi ke samay ki baat wo odhe to hamen laga ki yah mrit hai kya?

to jo wahan hamen liva gaye the unka naam yugal kishor tha. To kaha yugal kishor ye mrit hai ya jinda hai? Kaha jinda kaha jinda aur kambal odhe aur aise patthar ke tukde par aise ratra bhole bade nirapeksh mahapurush hain. Kisi se baat nahi karte. Jid hamari thi ki santo ke piche lagna unse baat pakdna. To [nak se ki jane wali aawaz] ab apne Baba ji baithe hain kabhi to nikelnge disturb nahi karenge aur wo nikle do dha:30 baje nikle jo hi nikle bas piche pare dandvat maharaj ji dandvat maharaj ji ek minute bas maharaj ji ek minute samay aap jaise gurjan samay nahi denge to wo her bhi nahi rahe ham kaha aap jaise gurjan samay nahi denge to ham jaise sadhukon ka kya hoga maharaj ji ek minute bas ek minute de dijiye je poohe piche mude kamar hata aaya to jaise surya uday ho gaya ho tejom mein chehra

kyonki akhand brahmachari aur nirantar bhajan paraayan aadha bheeja hua kambal niche ka aur nashe mein ankhen bhagwat anurag mein bhagwat anurag ke nashe ke age mda ghor netram wo prem ke netr alag hote hain rom rom ekdam kamp ke age are ye to bade divya mahapurush maharaj ji maharaj jaise kisi garib ko dhan mil jae to kaha chal na de ham maharaj ji ek minute baith jao tum mujhe santosh ho jae baith gaye gale mein kanthi thi vaishnav kanthi ye vrindas ki tulsi ki to isse pehchan lage ki koi ji aap vaishnav ho to maharaj

ji pahla prashn hai ki aap shila par kyon lette hain ratri mein aisi trikon shila hai to unka janm samaj se bachne ke liye aap kambal barabar ude rahte hain bole abhyaas hai yah abhyaas hai maharaj ji kahte hain mantr ko pavitra avastha mein hi japna chahiye. Apvitra avastha mein japne se dosh hota hai. Ismen aapka kya vichar hai? To unka apvitra dasha mein jab mantr japa jaata hai to kam aadi veg prachnd hokar ke usko parast kar dete hain. Aur guru mantr vimurkh hokar jab mantro ko japa jaata hai to use parast kar dete hain.

isliye guru pradatt ho aur pavitra avastha mein hi mantr japa jae aur uthte baithe chalte phirte naam jap kar lena chahiye. Maharaj ji ek prashn aur rah gaya ki aap prasad kahan pate hain? To bole bas ek bar Chitrakoot ki galiyon mein ghumta hoon na mangta hoon na kuch agar kisi ne de diya to pa liya nahi phir aa ke shila pe aise raat din bhajan paraayan ab un mahapurushon ko brahm gyan prapt karne mein koi kathinata thodi to brahm swaroop hi ho jaate hain. Isiliye bhagwan ki sharan hokar bhajan karo aur naam jap karo aur jab pragat mein kisi guru se mantr mil jae unke shri mukh se tab phir usmen mila hua hai bhagwan mila hua mantr guru ji ne de diya hai mantr Pranav de diya haan to khub japo usko phir jap to jap mein to nahi kar sakte na chalte phirte apvitra avastha mein to hari ko shri hari haan haan Pranav apvitra avastha mein nahi japna chahiye use chalte phirte bhi jap sakte hain par jab pavitra ho vastr pavitra ho apvitra ho aur paduka na ho jaise chauth laghu shanka aadi ki paduka paduka mein aise phir mantr nahi ya to naveen paduka ho jismen aap bathroom bhi na gaye ho to hamen lagta hai ki Pranav japne ke liye paduka ki koi avshyakta nahi hai.

aisi samay jape aur jab paduka ismen chal raha hai to naam jap karen naam bhagwan ka maha mahimam mein hai. Nitin Tiwari ji mumbai se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parbrahmma parmeshvar kaun hai? Shiv ji, Vishnu ji ya brahma ji? Ek hai wah anek rupon mein prakt hai. Jis rup mein man lo aap jis rup mein man wo ek hai. Anek rupon mein prakt hai. Wo to bhagwan ke swaroop hai. Par yah bhi sab bhagwan ke swaroop hai. Ek jagah kahin man lo. Jahan man loge wahin se anubhav ho jaega. Pashan mein man liya to kitne siddh ho gaye.

kaasht mein man liya to kitne siddh ho gaye. Jal mein man liya to kitne siddh ho gaye. Jahan man lo wah ek hai. Ek hote hue anek rup mein hai. Ab jo man lo aap sab mein wahi ek hai. Dusra koi hai hi nahi. Wahi shiv hai. Wahi sab hai. Pahunch ho to hamari shabdon ko pakdna. Shrimad bhagwat mein jab ven ke shav ka manthan hua to bhagwan ka avatar ho gaya. Dahni bhuja mein prathu bhagwan aur bai bhuja se archa maharani jo lakshmi ji ke ansh se hai. Mrit sharir se bhagwan ka avatar ho gaya. Prathu avatar yad kar lo prathu avatar wahi shiv hai wahi shav hai.

wahi shakti hai. Wahi shakti rahit hai. Jahan jidhar drishti dalo wo hi wo hai. Ab tumhari astha kahan judti hai? Khas baat yah hai wah ek hai. Ek hote hue anek hai. Samjh pa rahe ho aap? Koi sanshay ismen? Mujhe aise hi lagta hai ki jo atma hai wo paramatma se nikli hui hai. Paramatma kaun hai? Isi ke bare mein jyadatar mera sawal bas tum abhi phir nahi agyani jeev kaise samjh paoge. Abhi gyan ki sthiti to hai nahi. Ek hai wahi anek hai. Abhi sara kiya inheen mein hai. To tum mein nahi hai kya? Atma kaun hai?

atma kaun hai? Paramatma ka rup hai. Phir aur kis paramatma ki khoj kar rahe ho? Ab ab kya hai ki apne log bahari sharir ko main mante hain. Jaise aapki ayu kitni hai? 42 sal. 42 sal mein 42 second bhi aap apne se nahi mile. 42 second bhi aap apne se nahi mile. 42 sal se isi sharir se khel rahe ho aur isi sharir mein rah rahe ho. Lekin aap apne se nahi mile aur jis din apne ko pa jaoge to kisi ko pana baki nahi rahega. Aap aapka jo swaroop hai jise atma kahte hain use paramatma kahte hain. Wah keval atma aur paramatma ka bhed keval jo ham karte hain na wo shisha aur rup ko lekar jaise shisha hai to do dikhayee denge ki nahi dikhayee denge?

aur shisha hata do to ek hi bachega na. To sharir ko lekar ke ham anekta mein ate hain. Tatv mein ek hi paramatma hai. Aapke andar aapke andar bhi wahi hai. Jaise Gangajal, ek chamach nikalo to Gangajal, ek tanker nikalo to Gangajal aur puri dhara to Gangajal. Kahoge na? To chinti mein bhi wahi atma aur virat bhagwan bhi wahi atma. Sab kuch wahi hai. Bilkul satya maniye. Agyaan ke karan ham us tatv ko nahi samjh pa rahe hain. Shuddh gyan jab hoga to ek ke siva koi nahi hai. Jaise tarang samudra se hi utpann hoti hai.

samudra mein hi at kheliyan karti hai aur wo samudra hi hai aur samudra mein hi shant ho jati hai. To tarang kya hai? Samudra hi hai. Bolo sanshay hai ismen? Samudra se hi prakt hoti hai. Samudra mein hi atkheliya karti hai aur samudra mein hi lay ho jati hai. To tarang hai kya? Samudra hi to hai. Keval vayu vikar hone ke karan use tarang kaha gaya. Aise hi sharir abhiman aur bhog vasna se yukt ho jane ke karan use jeev kaha gaya. Jeevtma nahi to sakshat paramatma hai. Aur koi dusra hai hi nahi. Dekho ham bahut saral dhang se jaise batte hain usko samjh jae jeev.

ek bijli hai. Agar aap bijli ke mahatva ko nahi jante hain to ham kahenge yah bijli chal rahi dekho yah bijli to aap keval samjh payenge ki bijli chalane ka keval kam karti hai. Lekin ye bijli chamak rahi hai. Dekh rahe ho na? Yah bijli thanda kar rahi hai. Ek bijli garmi paida kar rahi. To yah hamko mila ke jeevan de rahe ho. Yahi hamara nash kar degi. Chu jae to yahi hamare ko mar degi. Bijli hi jeevan dene wali aur bijli hi jeevan lene wali. Bijli hi andhkar, bijli hi prakash. To aise hi paramatma hi srishti rachne wala, paramatma is srishti palan karne wala aur paramatma is srishti ka lay karne wala aur paramatma hi srishti banne wala aur paramatma is srishti banane wala aur paramatma srishti ka lay karne wala.

aur par jiska lay ho raha hai wah bhi paramatma hi hai. Shuddh gyan yah hai. Par yahan tak pahunchne ke liye sadhna hai. Itne matra se aap jaan nahi gaye lela. Itne jaise itna sun liya to aapki samjh mein to aa gaya lekin jaan nahi liya. Jis din jaan jaoge us din mahan atma ho jaoge. Kitna bhed hota hai. Dekho paap karne wale ko kya kahte hain? Papatma. Punya wale ko kya kahte hain? Punya atma. Bhajan karne wale ko kya kahte hain? Mahatma nahi kahte lekin sab mein atma to ek hi hai na paap atma punya atma jeev atma mahan atma param atma to jo piche wali baat hai wo sab mein ek hi hai na to bas piche wali baat dekho age wali line age wali to kriyaen hain ek paap kriya karta hai ek punya kriya karta hai ek bhajan kriya karta hai ek buri kriya karta hai antar mein jo baitha hua hai wo paramatma hi atma hai.

dusra koi nahi. Atma aur paramatma mein jo abhed dekhta hai wahi sacha gyani hai. Jo bhed dekhta hai abhi wah agyani hai. Accha ye jab ham aapse poohe ki aapke andar atma hai? Haan to inke andar bhi atma hai to yahan kitni atmaen hongi? 30-40 atmaen to ho gayi aur wo ek hai. To yah kaise pata chalega? Ismen to 40 50 atmaen baith jaengi. Nahi baith jaengi. Ab 100 ghade rakh diye gaye aur surya ka pratibimb 100 ghade mein para to surya 100 thodi ho gaye aur ghade phod dene se surya ko koi hani ho jaegi kya?

aise sharir nasht hone par atma ka kuch nahi bigdta. Nain chhinte shastraan nain dati pavka na chainam kla ye ghade hain. Wo mitti ke ghade hain. Ye mans ke ghade hain. Iske andar jo tej hai wo paramatma ka hai. Aur us tej ko aap nahi dekh pa rahe hain. Kyonki aapki drishti sharir pe aa gayi. Aapka prichay poohe to aap sharir ka prichay bataenge aur sharir aap nahi hain par is samay pure sharir aap bane baithe hain. Nahi baithe dekho baten ham kuch bhi karen lekin lagta hai na main to jab ye main to aap apne swaroop ko nahi jaan paye aur jab usko jaan jaoge tab ye main khatm ho jaega aur jab main khatm hua to janm maran khatm ho jaega.

bahut bada khel hai. Jante hue bhi nahi janne ki sthiti mein maya rakhti hai. Nahi janne ki sthiti mein. Ab jaise aap sun liye to aap yahi baat dohra do to koi kahega ye to bahut brahm gyani hai. Lekin vastvik aapko anubhav kuch nahi hai. To anubhav jab tak brahm ka na ho tab tak ye baat keval pravachan se nahi samjh mein aayegi. Na mahatma pravchne nabhya na medya na bahute bahut sunne se ya bahut pravachan karne se koi atmajnani nahi ho jaata. Sadhna karke jab anubhav hota hai tab wo sadhna mein lagna padega.

ab sadhna kya sadhna ho rahi kalyugi prani ki samay se bal bhog samay se raj dopahar ka bhog shayan bhog aur manmani bhogon ka aacharan ye sadhna ho rahi imandari se dekho to jo man mein aaya so kar baithe to isse paramatma bodh to nahi hota hai man ko mar le phir ho gaya bhajan man ko mar le ek ek tarang uski mar de ek ek vritt uski mar de man kahe ki amuk ho nahi phir jo jalae phir us samay main sharir nahi hoon tab baat samjh mein ai ye to badi kahani hai isliye hamen lagta hai naam jap karo bhagwan ka khub adhik se adhik aur pavitra aacharan karo dusron ko sukh pahunchao isi se kam ban jaega bhagwan ka naam jap karo aur pavitra aacharan dusron ko sukh pahunchao sab mein bhagwan virajman hai to isi se bhagwan kripa karenge to gyan bhi ho sakta hai prem bhi ho sakta hai kalyan bhi ho sakta hai jagdeep sinh ji Radhehe Radhehe maharaj ji maharaj ji maine ne aur meri patni ne naam dam ki diksha li hui hai.

subah sham baithkar kam hi samay mil pata hai ki naam jap kar paye. Ham kahte hain ham is siddhant ko nahi mante ki subah sham baithkar ke karna chahiye. Uthte baithe chalte phirte har samay ka abhyaas karo. Aisa thodi ki subah sham hi hamari mrityu hogi. Kabhi bhi ho sakti hai aur hamen final par ana hai, jitna hai to agar hamare soch mein baithe hain aur usi samay dil phayl ho jae to hamari durgati ho jaegi na to ham us samay bhi Radha Radha ratenge. Ham ek second ke liye avsar nahi denge ki hamari mrityu ho aur mujhe durgati bhogna pare.

uthte baithe chalte phirte har samay naam jap. Mantr jap to kuch samay asan mein baithkar karen, lekin naam jap har samay karne ka abhyaas karen. Kyonki kabhi bhi dhokha ho sakta hai apne saath. Apne ko final pata nahi kab hai. Aur pata nahi kis sthiti mein final ho. Badi vichitra dasha hai. Aise aise hua aise le le paye. Usi mein gir pare gaye. Wo dekho na ghatna hai. Nach rahe nachte nachte gir gaye. Mar gaye. Kuch bharosa nahi kis samay chale jae. To isliye har sthiti mein hamen Radha Radha rachna hai. Kyonki naam japte hue yadi sharir chhuta to nischit bhagwat prapti hoti hai.

ismen koi sanshay nahi. Aap samjh pa rahe hain? To abhyaas banaiye aur sabse badhiya baat hai ki naam mein mahatva buddhi nahi hai. Naam dan to liya lekin usmen mahatva buddhi nahi hai. Mahatva buddhi ho jae to naam chhutega hi kabhi nahi. Jaise rupya ki mahatva buddhi hai aur check aapko de de to aapse kahna nahi padega ki sambhal ke rakhna aapka ek hath chhak par rahega nahi rahega aur bhagwan ke ek naam ki keemat mein pura tribhuvan nahi hai ham ghanton bhule hue hain kiske liye rupya ke liye bhog ke liye sansaar ke liye to matra sansaar ka aaya ya bhagwan ka sansaar ka abhi hamare andar sacha gyan ye prakt nahi hua ki ek bhagwan ke naam ki keemat pura tribhuvan nahi ham bola Ram ab ek Ram naam se pura bola tribhuvan thodi ye to mayakrit

hai bhagwan adhin ho jaate hain kahun kahan lagi naam badhai Ram na sake naam gun gai to abhi mahatva buddhi naam mein nahi isliye bole hamse hota nahi hai nahi to dhan ka chintan har samay hota hai bina prayas ke hota hai mahatva buddhi hai to bina prayas ke chintan hota hai aur agar aise hi dhan buddhi ho gayi hamari naam mein to bina prayas ke naam jap hone lagega aur yahan se jana hai aur is desh ka sikka wahan jahan jana hai chal chalta nahi hai to bekar hi to hai yar apne ghar jana hai aae to ham pardesh mein hain aur hamko lagta hai yah hamara ghar hai nahi lagta hai aur yahan se jana sab koi janta hai jana aur ek rupya saath nahi jana ek vyakti saath nahi jana uske liye to ham itna mar rahe hain aur jahan jana uske liye ek paise ki kamai nahi isliye Kabira sab jag nirdhna dhanvant nahi koi dhanvant soi janie jake Ram naam dhan ho khub jo naam jap kar naam rupi dhan aur accha naam ka yah prabhav hai ki is lok aur parlok mein donon jagah sukh milega is lok mein bhi sukh milega parlok mein bhi sukh milega aur ye aap

karke dekh lo manushya jeevan mila accha ismen paisa to lagta nahi ki aap itne rupya bharo to ye baat free hai andar se bas shuru kar do Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha aur jo tum kar rahe ho usmen paap karm hata do paap karm karm mat karo. Phir dekho aapka mangal kaise hota hai. Ab paap karm karoge to ganga snaan karke aae aur phir sab dhul lapte liye to fayda kya hua? Ab man lo naam jap kar rahe ho paap bhi kar rahe ho to phir chalni mein gaya duhe chalni mein gaya duhe aur dosh da ko de hari guru kaho na man to apno hi phal le ab chalni mein gay duhe kah de hamare bhagya mein nahi likha doodh nahi usmen chhed hai aap aise patr mein dho jismen chhed na ho to paap karm chhed hai tum naam jap karoge wo sab paap karm ke dwara isliye paap karm na karo aur naam jap karo phir dekho naam ka kya mahatva prakt hota is lok mein aur parlok mein bhi parmanand ka anubhav hoga.

ham ye kahte subah sham jo karo to karo hi lekin chalte phirte uthte baithe ka abhyaas karo. Jo naam [gala saaf karne ki aawaz] Guruji ne diya hai, uska naam jap karo.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi