kaliyug to sabse bura yug hai, phir uski jai kaise ? 25.06.26
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
shri Harivansh shri Harivansh koi bhi vrat ya niyam ya tirth yatan ya anya anusthan itni samarth nahi rakhta ki tumhen sampurn papon se mukt kar sake. Bade-bade brahm rishiyon ne naam ke mahatva ko dekha hai. Ki jo naam hai wah tumhare sarv papon ka nash kar dega. Na nishkrit rudte brahmavad tatha vishuddh jagwan vatadabh yatha har naam pda uttam shlok gunokam bhagwan uttam shlok shri hari shri Radha inke naam mein jo paap nash karne ki dukh nash karne ki samarth hai. Bade-bade brahm rishiyon ne bade-bade vrat aur anushthanon ka varnan kiya hai.
unmein itni samarth nahi hai. Isliye pehle vishwas karo. Naam sankirtan yas sarv paap pranashnam bhagwan ka naam jap naam kirtan itna prabhavshali hai ki tumhare bade se bade ghanit jo ghor nark bhogwane wale hain un sab papon ko nasht kar dega. Naam japte japte bhagwan ke gun aur rup donon prakashit hote hain. Bhagwan ke gunon ka chintan hone lagta hai aur bhagwan ke rup ka darshan hone lagta hai. Dhyan mein jab aapka adhik naam jap hoga aur aapke paap kam honge to bhagwan ke gunon ka chintan hota hai. Bhagwan ke naam ka jap karte karte bhagwan ke mahan akarshankari saundarya samudra sukh pradan karne wale rup ki jhalak ane lagti hai.
bhagwan ki naam mahima bhagwan ki divya leela mein pravesh dila deti hai. Isliye naam vyaharnam Vishnu yat vishyamti aise naam jap karo jaise vishay purush vishyon ka chintan karta hai. Jo bogi purush hota hai wo raat din mansik chintan bhogon ka hi karta hai. Ham aise bhagwan ke naam ka chintan karen jaise vishay purush vishay ka chintan karta hai. Bhagwan ke naam ka yadi ek ek shwas ek-ek kshan ek-ek second jap hone lage. Vismrit hone par aisa anubhav ki mere se aparadh ban gaya. Hani bardast na ho to ras murti bhagwan bahut jaldi hriday mein prakashit ho jae.
ek ek swas ek ek kshan ek ek second yadi ham naam jap karen aur naam jap mein badha bardast na ho naam jap chhutne par aisa lage jaise koi aparadh ban gaya to bahut jaldi bhagwan hriday mein prakashit ho jae ekasmin napti krantte muhurtate dhyan varjate jasbhar mute wo yukt ma kritam bhrasham bahut dhyan dene yogya baat kar rahe [gahri sans lene ki aawaz][achanak zor se sans lene ki aawaz] jaise hamare paas koi dhan ho aur koi lutera lut le to ham hai hai karne lagte hain. Aise yadi hamare naam dhan ko lutne ke liye kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar yah upay karen to hamen inse darna chahiye.
agar ham kam bhog karenge to meri naam rupi sampatti ruk jaegi, lut jaegi. [gala saaf karne ki aawaz] lut jaegi. Age ham jap nahi kar payenge. Ruk jaegi hamari ruchi nahi rah jaegi. To jaise kisi ki sampatti aphrn hone par wah vyakul ho jaata hai. Hai hai karne lagta hai. Aise hamara naam jap rukna ya koi in gande kamon mein man lagana aise hai hai hone lage. Ab kya hoga? Mera naam jap chhut jaega. Mera naam jap ruk jaega. Naam jap ka prabhav ruk jaega. Kyonki mere andar ek gandi baat aa gayi.
use tatkaal nikalo. Bhagwan naam kirtan bhagwan naam jap bhagwat premi mahatmaon ke satsang se us durvasan ko dur kar do nahi to wah durvasan aapke bhajan ko lut legi ramaiya ki dulhan lute bazar mayapati bhagwan ko kaha gaya hai to ye maya bhagwan ki patni hi hai ye kam krodh lobh moh mad matsar aadi ke dwara bhajan ko dhakti hai, bhajan ko lutti hai aur bhajan ko nishprabhavit kar deti hai. Bhajan ka jo prabhav padna chahiye agar galat aacharan saath mein chal rahe hain to uska prabhav nahi padega. Naam smaran se hi kalyug mein bhagwat prapti hai.
bhagwan vyas dev ji ganga snaan kar rahe the. To bade-bade munio ne kalyug ki galat chal ko dekhkar vichar kiya ki logon ka udhar kaise hoga? Kyonki log jhooth bolna koi paap nahi samjhte. Dekho kalyug ka prabhav nahi to likha hai Kabir sahab ne bhi kaha hai saanch barobar tap nahi aur jhooth barobar paap jake hriday saanch hai taake hriday aap goswami tulsidas ji ne likha hai nahi asatya sam patak punja bole jhooth bolne ke saman koi paap nahi hai bada paap hai. Koi manta hai dekho kalyug ka prabhav. Ab dusra adharm ke dwara kamae hue dhan ko lena ya dena donon paap hai.
kyonki paap karm karke dhan kamkar yadi santo ko doge ya kisi ko bhi doge to paap karm ka kamaya hua dhan dusron ki buddhi ko jakar bhrasht karega. To wah bhi paap banana kahan manta hai koi? Accha madira pina ye panch mahapapon mein kaha jaata hai. Agar aap badhiya Gangajal se shuddh sharbat bana ke pavitra bhojan sab parosie lekin agar gandi baten khane mein na hoe manas madira hai to party hi party nahi mane. Are bole kya hai yar unke pair dhove hath dhulwave aur unko asan mein baithalwave aur unko bade sundar sundar padaarth aur khub pavitra bhojan pavave lekin sharab aur mans ka prayog na ho to aaj ki party party nahi kahi jaegi.
to munio ne vichar kiya ki kalyug papon ki bahulyta hai. Ismen bahut ismen paap hai. Bahut paap hai. Parai mata bahno ki taraf gandi drishti se dekh lene ka paap hota tha. Ki hamne dekh liya. Yah to mana nahi jaata. Paap hai. Manoranjan mana jaata hai. Living relation kya hai? Kya hai ye? Gandi baat hi to hai na jab man ave tab aap alag ho jao dusre se aur tisre se chauthe se kalyug papon ka vistar karega to munio ne vichar kiya ki papon se kaise bacha jae to bhagwan vyas dev ji us samay ganga ji mein snaan kar rahe the samasth vedon ka vistar karne wale aur samasth sadhya aur sadhno ke gyata aur 18 puran ke rachyita bhagwan vyas dev ji hain.
to sab ne socha chalo vyas ji se chalkar ke prashn karte hain. To us samay jo bhi sab muni gaye to kah rahe the sadhu kali sadhu kali sadhu kali. Dhanya hai kalyug ko. Dhanya hai kalyug ko. Dhanya hai kalyug ko. Sadhuvad de rahe the ganga nahate hue kalyug ki jai bol rahe the bhagwan vyas dev ji to rishiyon ko laga shikayat to karne ham yahi aae the ki kalyug paap ka vistar karega lekin yahan ulta hai ye kalyug ki jai bol rahe hain to rishiyon ne pucha unko bada ascharya hua aur apne sandeh ka nirakran karne ke liye pucha ki aap sadhu kali sadhu kali dhanya hai kalyug ki sadhuvad hai kalyug ko to aap kalyug ko sadhuvad kyon de rahe hain?
kyonki wo to papon ka vistar kar raha hai. Bhagwan vyas dev ji ne bataya 10 varsh Satayug mein jo tapasya karne ka phal hota hai wo ek varsh treta mein tapasya karne se milta hai. Aur ek mas mahina Dvapar par sadhna ki jae. To phal prapt hota hai aur kalyug mein ek din raat ek din raat jo Satayug mein 10 varsh tapasya ki jae phal milta hai kalyug mein 24 ghante mein mil jaega isse badhkar aur kaun si baat hogi 10 varsh tapasya aur 24 ghante tapasya Satayug mein tapasya brahmcharya japa aadi siddhi ke liye badi pavitra chahiye.
bade niyam, bade sanyam kalyug mein apvitra pavitra sarwasthagatwa ya smare pundri kaksham samabhyant suchi aap pavitra ho ya apvitra ho koi matlab lena dena nahi aap Ram Ram Krishna Krishna hari hari Radha Radha rach rahe ho to kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utrah para dhyaay krite yajan yagya tretaya dwapre archan yadapnoti tadapnoti kalo sankeerta keshwam [achanak zor se sans lene ki aawaz] jo dason varsh dhyan karne se lagataar Satayug mein phal ki prapti hoti thi. Wahi varsho treta yug mein yagya ka anusthan karne se wahi kai dino puja archan ka anusthan karne se Dvapar mein lekin kalyug mein 24 ghante naam sankirtana rakhne se sab papon ka nash hokar jo wahan dason varsh sadhna karne par prapt hota hai wo prapt ho jaata hai.
kalyug mein sabse badi samasya hai man ka na lagna. Isko naam jap mein lagao. Yah naam jap mein nahi lagta. Bhogon mein lagega. Mobile mein lagega. Mobile ki reel dekhne mein bahut lagega. Film dekhne mein lagega. Sansaar dekhne dekho gun dosh mein sara sansaar hai. Mobile mein gun bhi hai. Mobile ki kripa se hi aap yamuna kinare baithe ho. Agar mobile mein aap satsang na sune hote to yahan daud ke yamuna kinare nahate. Agar ham mobile se gun le tab to labh mil jae. Par dosh bhi hai. Aap kuch second mein hi search karke gandi se gandi baat dekh sakte hain.
wo jeb mein hai ekant mein baithkar ke. To likha ki kalyug mein sabse badi samasya yah hai ki man bada chanchal hokar ke vishyon mein jaata hai. Agar ham is kalyug mein apne man ki chanchalta ko rok kar bhagwan ke naam jap mein lagave to jitni jaldi kalyug mein bhagwat prapti hoti hai utni jaldi aur kisi yug mein nahi hoti. Atyant dushtas kale yame ko mahan guna yadyap atyant dusht hai kalyug atyant dusht sabki buddhi ko galat acharno mein lagana lekin mahan guna usmen ek mahan gun hai keertana dev krishnasya mukt bandha param brajet agar Krishna Krishna Krishna Radha Radha Radha aisa aap jape to aapko samasth papon se mukt kar dega.
isliye hamari prarthna hai sabse anya sadhan bane to koi rok nahi par nirantar naam japne ka abhyaas karo. Mala se na jap sako to counter se japo. Counter se bhi nahi to aise hi japo. Bhagwan gin rahe hain. Wah aapki ek ek swas gin rahe hain. Aapki ek baat dekh rahe hain. Aapka ek ek naam bhagwan note kar rahe hain. Jaise message apne Radha Radha Radha Radha Radha to ham note karen ya na karen bhagwan note kar rahe hain. Uska phal aapko milega. Kalyug mein sarvshresht aur samasth papon ka nash karne wala mahan sadhan ekmatra bhagwan ka naam hai.
isliye khub Radha Radha rato.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…