kya main apna pinddan Advance mein kar sakta hoon?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
karnal Rakesh kumar ji Radha Shyam shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein dandvat pranam maharaj ji kya manushya jivit rahte hue apna pind dan swayam kar sakta hai zaroorat nahi bhagwan ko samarpit ho gaya to pinddan karne ki zaroorat kya hai pinddan to mrit sharir ke jo mrit sharir ho gaye unki kiye jaate hain apna pinddan to bhagwan ko samarpit kar diya ye pind hi to hai ye pind hai na pind hi to hai ye to ye pind dan kar diya bhagwan ko samarpit kar diya man vachan karm se bhagwan ko samarpit ho jana yahi apna param kalyan aur ye khoya ke ya til ke ladduon se apna kalyan hona hai kya pushkar gaye the wahan pe pandit ji se waise bhi pinddan karne gaye the to maine unse pucha ki kya main apna pinddan god kar sakta hoon haan wo kahte kar to sakte hain lekin aapko phir ye soch lena ki aap jeevan mein ab mar chuke ho aap are aise aise vidhan dan kaise hota hai?
aise kaise ho sakta hai? Aaj tak kahin shastron mein padha hai ki apna jivit pinddan kisi ne kiya. Pinddan shabd se hi pitr shabd jud jaata hai. Pitr mane jo sharir chhod chuke hain. Maharaj ji unhone mera kar diya. To badhiya ho gaya. Haan. Waise waise ismen dosh hai. Aap shri ji ke sharanagat hain. Priyalal ke sharanagat hai na? Mantranishtha us time nahi the. Jab gaye the tab us time nahi the. Us time nahi the. Chalo bach gaye. Nahi to jaise ek hamare yahan sant the ranwari mein to dwarikadish ke darshan ki unko ichchha hui to shri ji ne roka ki dekho hamare Vrindavan upasna mein braj upasna mein tum hamari dasi bhavna karte ho.
wahan mat jana. To unko samjh mein nahi aaya. Swapna ko swapna samjha aise aur chale gaye aur wahan gaye to chakra shankh aadi ki chap lagva li aur jab yahan aae ranwari mein to bhajan band unka bahut vilap kiya to swapna mein phir shri ji aae bole meri agyaa to mani nahi ab shankh chakra aadi ki chap lagva li hai to ab Satyabhama ki prapti ho sakti hai meri prapti nahi ho sakti wo ro karke pran tyag diye unke charit mein aata hai par itni kripalu shri ji agyaa ka palan to jab ham shri ji ko samarpit ho gaye to ab hamara pind nahi raha to pinddan
kya tanwang manobh amle soham ta vashita sharir se man se vani se ham bhagwat sharanagat hai ab hamara adhikar nahi hamare prabhu ka adhikar hai hamare guru ka adhikar hamare isht ka adhikar hamare jeevan par hai wo agyaa karen so ho sakta hai ab nahi anya nahi ho sakta haan grihasth dharm ke anusaar apne pitro ka yadi pinddan karna chahte ho to aap jakar kar sakte ho anytha haan to apna kyon karen hamne kaha ki edwans mein kar do sab kuch Priya ji Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji main pichle ek sal se YouTube ke madhyam se aapse judi hoon.
shri ji kripa se har mahine dham ana hota hai. Nirantar naam jap karne ka bhi prayas karti hoon. Maharaj ji main dubai ki ek eyarlain mein karyrat hoon jiske karan alag-alag deshon mein ana jana hota hai. Bahar ka mahaul bhog bahulyta se bhara hua hai. Jiske karan logon ke saath vyavharikta banae rakhna mushkil hota hai aur bhagwat bhav bhi nahi ho pata. Baad mein man bahut jalta hai ye sochkar ki ye sab meri shri ji ke hi hai. Aisa main kya karun? Naam jap ki kami ke karan hai. To kiska prashn hai? Haan naam jap ki agar naam jap aap pusht kar len.
naam jap aap mein bal dega. Naam bal hai. Usmen aisa bal hai ki aap bahut aise jaise nautanki mein role kiya jaata hai. Jaise film mein role kiya jaata hai. Theek aapko aise role karna hai. Asliyat nahi hai. Ye mayakrit sansaar hai. Ismen aapko role karna hai. Aapko jo swang mila hai. Bilkul waise baat kijiye. Waise rahie. Par aap wo na wo hai aur na wo wo hai samne jo hai sab mein ek hi power paramatma virajman hai. Ye stri purush jad chaitanya accha bura papi punya atma ye keval role ho raha hai. Teen gunon ki maya janit to aap naam japak hain.
aap jitna naam bana badhaenge andar to aap mein kshamta aa jaegi. Kisi se bhi aap vihaar kar sakte hain. Kisi se aisa vihaar karenge ki uska hriday santusht hoga aur aapka hriday shital hoga. Abhi chintan mein kami hone ke karan sahi chintan na hone ke karan aapka hriday jalan yukt ho jaata hai ki ham to aise aise desh videsh ke logon se baat karti hain. Vihaar mein truti ho sakti hai. Nahi dekho sabse vihaar karna hai. Camera off karke photo khinch rahe hain. Jaise camera chal raha hai. Sabko lag raha hai ki camera chal raha hai.
lekin wo off hai. Ek bhi chitra nahi aayega. Lakho log subah jaise kh sabse milna hai sabse koi ek bhi par ek bhi chitra nahi kheenchega aisa nahi ki ekant mein baithe to kisi ka chitra khinche ye sab naam ke bal se hoga naam bal agar tumhare andar hai to kisi ka koi prabhav nahi padega chahe jitna kushangi ho wo aapko kuch idhrudhur bhi bol dega to bhi aap asantusht nahi honge lahar hai gayi hawa ki ek lahar ai gayi hawa wo durgandh yukt ya sugandh nikelte chale jao. Kisi mein aasakt mat ho. Apne dharm se vichlit mat ho aur kisi ko dukh mat pahunchao.
yah samarth naam japne se aayegi. Khub naam jap karo. Naam mein apaar samarth hai. Aap dekh lena aap pusht ho jaenge. Abhi aur chalo. Sato dirghakal nirantar satkar sevit dridh bhumi jo dirghakal tak nirantar naam jap karta hai. Dridh bhumi use koi vichlit nahi kar sakta. Bilkul aap pakka samjh lijiye. Naam mein apaar samarth hai. Aap naam jap aur badhiye. Phir aap dekh lena Gurudev aapki kripa se jaise ek sal se ab jin galtyon ka pata bhi nahi hota tha man jo karta tha ab kam se kam unke bare mein pata chal raha hai ekdam se kuch agar aisa kisi ke prati bhav aata hai to ekdam se aap ho ya aap jaise kahte hain aap man mein baith jaate ho waise man se ekdam awaz aati hai ki nahi ye mujhe uske prati nahi is tarah se bhav rakhna aur naam jab se aisa vivek jagrit ho jaega wo bacha lega naam paru divas nish naam pahru divas agar raat din naam chal raha hai to divya naam ka phra na tumhen koi chu sakta hai na bal banka kar sakta hai naam mein apaar samarth hai naam pahu divas nish dhyan tumhare kapaat lochan nij pad jantit jah pran ke baat hanuman ji maharaj Sita ji ki baat Ram ji se bata rahe hain naam ka phra chal raha hai to koi bal banka nahi kar sakta na andar aur na bahar isliye har samay naam jap karte raho bahut bada bal hai naam hamare paas bal hai naam hamare chal raha hai to naam hi hamare saath hai.
naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas naam vani nikat Shyam shyama prakt naam chal raha hai. Prabhu ka chintan chal raha hai. Prabhu hamare saath hai. Chinta ki baat nahi aur jo hriday jalta hai thodi abhi vichar ki kami hai. Vichar hi positive ho jae to abhi hriday shital ho jae. Jara sa negative hua to jalne lagta hai. To naam jap karo vichar aur mahan hone lagenge. Naam jab se
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…