॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1341

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Sachin ji Pune maharashtra se jai Harivansh ji Radhe shri Harivansh maharaj ji Radhe-Radhe aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji ajpa sadhna kaise siddh karen uska prayas kaise karen kripya margdarshan karen dekho pehle hamare hamare andar karta bhav hai. Jab tak ham karta bhav ko nahi mitaenge to ajpa tak kaise pahunch payenge? Dehabhmani kartva bhav rakhne wala ajpa mein sthit nahi ho sakta. To pehle ham jap ki prakriya mein ave. Pehle vachik jap phir rupanshu jap phir mansik jap pehle vaikhri vani se jap phir madhyama phir pashyti phir paravani paravani brahm swaroop hai jaise dil dhadakta hai ham dhadkate nahi aise hi wo swayam sphurrit hota hai rom rom ragrag anand se prafulit hokar ishtkar vritti aur chal raha ye siddh purush ka lakshan hota pehle vaikhri jo ham bol rahe hain Radha Radha Radha Krishna Krishna narayan narayan narayan hari hari jo bhi phir upansh jibhya ka agr bhag talu ke paas laga ho naam chal raha ho ise upansh kahte hain phir mansik chal raha andar ab ye nirantar chale avyavrit bhajanat akhand bhajan tab wah vritti bhagwadakaar ho jati hai.

jab soham asmit vritt akhanda jab vritti bhagwat swaroop ho gayi ab ajpajap hota hai. Pehle prayas wo bina prayas ke hota hai. Pehle sadhna wo siddh avastha hoti hai. Ajpajap chalne ka matlab hai siddh purush dehabiman galit ho chuka hai. Koi vishay akanksha nahi rah gayi. Koi jagtiik kamna man pratishtha kuch nahi rah gaya. Ekmatra prabhu jo mamta rahit hai, ahankaar rahit hai, nirmamo nirhankar wo paramatma swaroop ajpa jaap mein pravesh pa jaata hai. To jo guru ne diya wahi nirantar chalne lage use ajpa jaap kahte hain.

main jap nahi raha hoon. Ajpa aur jaap ho raha hai. Ham keval dekh rahe hain, sun rahe hain, sakshi matra hain. Wah ho raha hai. Use ajpa jaap kahte hain. To pehle karta bhav mein aao kyonki karta bhav mein ho. Pehle karo phir hone lagega. Sadhak ko karna parta hai. Siddh ka swatah hota hai. Samjh rahe hain aap? To pehle prayasat raho. Ram Krishna hari jo naam priy hai. Pehle jibhyas se rato phir usko upansh mein lao. Phir use mansik mein lao. Mansik se phir wah rom rom ragrag mein fail jaata hai. Kai bar ham sunate hain ki naam swas do bilak chalat hai.

inko bhed namo ko bhave swas naam hi swasa naam swas ko bhed mitave rom rom aur rag rag bole tab swad naam ko pave to wo jo swad mil gaya na bhagwadakaar vritti jaise sote hue purush mein japne ki kshamta nahi hoti kyonki sushupti mein gyan nahi rahta lekin abhyasi jo mahapurush hain jinka naam mein abhyaas hai sovat hu rasna rate Radha Krishna Krishna sunam shri Raghunath das goswami ji Radha kund mein wo so rahe hain par unke shri mukh se nikal rahe Radha Krishna Radha Krishna Radha Krishna Radha Krishna aise hi bahut se mahan sanyasi janon ko jo siddh mahapurush hue Om Om Om Om swas swas to jab atishay ragad kare jo koi to anal pragat chandan te hoi chandan ko bhi gharshan kare to agni paida ho jae to jab ham naam jap karte hain to ham mein divya shakti aa jati hai.

wo swatah bhagwan naam chalne lagta hai. Rom rom anand se prafulit rahta hai. To wah vritti pehle ane ke liye ham har shwas mein adhik se adhik naam japne ka prayas karen. Man aise thodi japne lagta hai. Jab nirwasnik man hota hai tab wo naam japne lagta hai. Abhi to hamen bina man ke bhi japna padega. Ladai ladni padegi. To ham jape naam aur hamara man kar raha hai vishay chintan. Jab naam ham jape aur man bhi jape nahi kar mein mala phire aur jibhya aur manva jagat mein so to sumiran na aae sahi sumiran to tab hoga jab hath ka mala chhut jae aur man ke mala se chal raha hai hamen ganna se matlab nahi kar ka mala dal de aur man ka mala fer to ab ladai to bahut jor ki kahne mein to saral hai.

char shabdon mein kah diya lekin karke dekho yuddh bahut bada hai. Man ghaseetega vishyon ki taraf. Man ko accha nahi lagega naam jap karna. Dhire-dhire use zabardasti japate japate phir wo jaise jab bilkul bhajan nahi karte the. Tab dekho aur aaj jab bhajan karne lage ho to man lagne laga na 10 minute 20 minute aadha ghanta lagne laga na. 24 ghante mein agar 10 minute bhi man lagne laga hai to hamne apne dushman par kabja kar liya hai. 10 minute bhi agar lagne anant janmon se maya mein laga tha. Aaj ham use 10 minute bhagwan mein laga rahe hain.

naam mein laga rahe hain. To hamne adhikar kar liya. Dhire dhire dhire dhire jab pura man nirmal ho jaega aur pura man bhajan mein lag jaega to usi ko kahte hain bhagwat prapt mahapurush. Phir man jahan bhagwadakaar hua to bhagwat prapt ho jaata hai. Phir to uska rom rom jab dekho maharashtra ke aise sant hue shri Tukaram ji jahan charan rakh dete samjho wo bhumi se nikalta tha vitthal vitthal vitthal Janabai ji kanda jo chhapti thi unke kande ko kan mein laga ke suno to niklegaa vitthal vitthal vitthal aur chokha mela ji ki haddiyon se nikalta tha vitthal vitthal vitthal ye itna naam jap kiye ki rom rom nas nadiyan twalcha mans haddi sab naam mein ho gaye sab naam mein ho gaye.

abhi to hamari jibhe nahi pavitra hui hai. Gandi baten bolne mein, ashleel sambhshan karne mein to koi hichak nahi. Prapanch ki baten karne mein koi hichak nahi. Yahan se sambhalna shuru karen. Jibhya mein do indriyan hain. Ek hai vakendriy aur ek hai rasdri. Rasendrri ko bhagwan ka prasad pavave. Bhog lagakar jo bhog nahi lagta wo chijon pyaaj, lahsun, mad, machchhari sab nahi khana chahiye. Tab rasd pavitra hoti hai jab bhagwan ko arpit karke prasad paya jaata hai aur wakendra jab keval niyam le le bhagwat charcha karenge ya dusre ki hit charcha karenge prapanch aur gandi baten nahi bolenge to wakendra ek ek indri pavitra ho jae abhi japa chalne lagega nahi haan maharaj ji main matlab jab se naam jap kar raha hoon na man mein maharaj ji bahut dar ban raha hai maharaj ji ab mar ja bahut haan kyonki wo marega na man nirmal hoga na vishay nahi mil raha na to tumhen thodi dar lag raha hai.

man ko dar lag raha hai. Tumhara jo kuch bhi karta ho to lag raha hai ye galat ho raha hai. Aap aap jaise mere piche piche bol rahe ho ki ye galat hai. Ye nahi dekho dekho nahi abhi tum galat soch rahe ho. Galat karoge to galat hai. Nahi to sab kuch galat thodi hai bachchha. Kuch soch soch bhi leta hoon to galat matlab kuch nahi kya galat sochte ho? Jaise matlab kisi ko matlab pehle main jaise nonvej wagairah khata tha. Ab to nahi khata propar to matlab aap khata hi nahi ho ekdam. Aap ye samjho agar galat sochoge to aap ye samjho Premanand rupi bhut tumhare dimaag mein baitha badlega.

matlab koi koi kuch bolta hai koi kuch kharab bol raha hai jaise kahin gaya main to sun ke matlab mere se kuch nikal gaya galti se muhn se to aisa lagta hai ki kya bol diya room pe aake aisa lagta hai main hostal pe rahta hoon to aisa lagta hai room pe aake kya bol haan bas aur thoda savdhani nahi ye accha hai tension nahi ye accha hai bahut savdhani se rahe to aapse paap karm nahi baenge lekin sat karyo mein nahi darna hai hamko do baten dekhni hai ki yadi ganda man sochta hai to darna chahiye ganda bolta hai ganda aacharan ki prerna karta hai to hamen darna hai.

jo dar gaya wah bach gaya. Samjho sansaar mein jo dar gaya wah bach gaya. Kaise? Samaj ka dar, kanun ka dar, ishwar ka dar, guru ka dar to aapse paap karm nahi hoga. Aur jo dara nahi wo mar gaya. Waise kahte hain na jo dar gaya wo mar gaya. Hamare yahan siddhant dusra hai. Jo dar gaya wo bach gaya aur jo dara nahi wo mar gaya. Agar aap ishwar se nahi darenge to papa aacharan karenge na. Aap guru se nahi darenge to manmani aacharan karenge na. Aap samaj se nahi darenge to aap samaj drohi papa aacharan karenge. Kanun se nahi darenge to aap bahut bade-bade aparadh kar sakte hain.

dar accha hai. Ishwar ka dar, guru ka dar, mata-pita ka dar, samaj ka dar. Ye mangal karne wala dar hai. Ab is dar mein itna na dar jae ki ham mangal karyo mein bhi darne lage. Aisa nahi. Jo karya hamen karne ke liye adesh mile hain, wah karya karna. Bahut pavitra hriday ho raha hai. Usmen thodi si bhi galti bardast nahi hogi. Ab usko aap matlab tension mat lijiye. Aapko sirf tension mein le rahe ho kya? Maharaj ji matlab aisa lagta hai kuch bhi karne jaata hoon jaise aap aisa lagta hai ki jaise naam jap nahi ho raha hai to lag raha hai ki maharaj ji ne mere ko ek do bar kaha naam jap ke tab bhi nahi ho raha to ab kaise ho sakta hai?

tabhi main zabardasti karta rahta hoon. Nahi zabardasti hi karte raho. Abhi to tum bachchhe ho yar. Ham logon ki zindagi vyatit ho gayi. Jaise logon se kaho na bhajan karo. Bole 24 ghante karte hain. To lage 24 ghante yahan puri zindagi nikli ja rahi hai aur 24 ghante unhin mein hai lekin yah kahne mein hamko dar lagega ki nahi 24 ghante pata nahi nind mein chalta ho ki na chalta ho. Jagrit mein to ham chala koshish kar lekin nind mein to jhutha na ho jaega. To 24 ghante chalta hai. Is par mohar nahi laga sakte. Is par thakur ji ko mohar lagave Guruji mohar lagave.

hamara prayas hai. Prayas hamara hai. To abhi to bachchha ho tum to jaise ki naam chhut gaya kya? To tadwinan param vyakul teti narad ji kahte hain bhagwan ka smaran chhutne par vyakulta ana to ye to achchhi baat hai. Galat baat sochne par bhay lagna ye to achchhi baat hai. Kisi se koi bhi baat kahne ke baad uska chintan karna ki maine galat kaha ki sahi agar thoda bhi galat hua to jalan hona ye to achchhi baat hai. Ye to bahut pavitra hriday ki baat hai. Pehle aisa nahi hota tha. Pata nahi kaisa alag ab naam jap kar rahe ho to aisa hoga.

pehle thodi naam jap chal raha tha. Ab to dawai saath mein chal rahi hai. Hriday pavitra shuru shuru mein jab naam jap kiya tab sab accha ho raha tha. Accha lag raha tha. Sab chij matlab badhiya ho raha tha. Matlab ab to jalan lag raha hai. Haan abhi aur badhegi jalan. Ye thoda marg jalan ka hai. Aur jahan sare paap bhasm ho gaye to nach padoge. Payo ji payo maine Ram ratan dhan payo. Ye ek marg dar wala nidar avastha mein pahunchata hai. Yat vish parinaam amritopam tat sukham satwikam smritam jiski shuruaat vish jaisi lage uska parinaam amrit hoga yah hai satogun yah hai bhajan ka marg ismen vish jaisa lagta hai shuruaat aur parinaam amrit jaise aur bhogon mein amrit jaisa shuruaat lagti hai aur parinaam bada vishwat hota hai yagya amritom parinaam vish tat sukham rajsam smritam jo rajsik bhog aadi hai inme shuruaat amrit jaisi lagti hai are bhog le turant bada sukh parinaam bada bada dukhad hota hai.

to isliye bahut achhche chal rahe ho. Itna matlab jalan paida ho gaya tha na ki matlab idhar aa gaya. Accha jalan kisko hoti hai? Vivek dharan kar jalan kisko hoti hai? Man ko to galat janm janmantar se karta kaun chala raha hai? Man karwata usko jalne do. Shant rah tu yam hi bhagwan ne sab kuch likh diya hai yam hi vyathte pursham purush sam dukha sukhadh kalpte jo hriday ki jalan se vyathit nahi hota use sah jaata hai wahi amrit pad ka adhikari hota hai bahadur ban dukhayar ban gaya are hriday mein jalan hoti hai are aisa hota hai sab kasht sahte hue bhagwan ke marg mein chala jaata hai he prabhu aapke dwara diya hua har vidhan mere liye mangal hai kya rota gata ghum raha hai.

hriday jalta hai. Yah ho raha hai. Yah to sab process hai uska. Dekho jab hamen pata hota hai ki mere chati mein phoda hai to rupya deke chirwate aur mahino usmen patti bandhwate rahte hain. Lekin hamko pida hoti par dukh nahi hota. Kyon? Kyonki ham jante hain ek mahina baad ham theek ho jaenge. Aise ismen jalan hoti par sukh hota hai antarik. Kyonki ham satmarg mein chal rahe hain. Bhajan mein chal rahe hain. Ye papacharan ke dwara ki hui jo malinta hai wo jal rahi. Ek din ham anand mein pahunch jaenge aur gande kamon mein tatkaalik sukh dikhayee deta hai lekin hriday jalta hai wo jeevan bhar jalta rahega yah thode din jalenga aur nach padega man aandit ho jaega Ashok ji Radhe Radhe-dhe maharaj ji [gala saaf karne ki aawaz] maharaj ji main YouTube ke madhyam se aapko Australia mein sun raha hoon.

aapke dwara margdarshan jo karte hain uska purn rup se palan karne ki koshish karta hoon. Maharaj ji mera ek sanshay hai. Gita mein kaha hai ki atma ajar amar hai. Na use jalaya ja sakta hai na kata ja sakta hai. Na gila kiya ja sakta. Lekin Garud puran mein narak mein atma ko garm tel mein talne aur katne ki baat kahi gayi hai. Aise mein kaun sa nahi ab usko samjhna hai jo gita ji mein kaha nain chhinti shastraan nain dati pavak na chain kledpo na soshti marut wo sacchidanand atma swaroop ko kaha gaya hai aur jo Garun puran mein atma sambodhan kiya gaya antahkaran ke aham dharm ko antahkaran mein man buddhi chitt ahankaar wo jo ahankaar hai ek jo shuddh main hai wah brahm tatv hai.

jo main hai wah brahm tatv hai. Jo main ke saath lag ke kriyaen hui hai wah antahkaran ka ahankaar hai. To ant sthul sharir to yahi chhut jaata hai. Antahkaran chaturshty aur indriyan aur wo atma tatv uske saath wahi jaata hai nark mein. Aur bhog bhogta hai antahkaran. Jaise to thappad laga sthul sharir mein. Lekin sthul sharir ko kabhi dukh nahi ho sakta. Kabhi nahi ho sakta. Dukh hua sukshm sharir ko man ko. Man ne kawar kiya ki gal par thappad para. Buddhi ne nischay kiya ki gal pe thappad para. Man ne uske dukh ko anubhav kiya.

ab jo andar is deh mein abhiman kiye hue jeevtma hai. Ab wo vikal ho gaya. Ab wo vikal jaise diwal mein abhi hathaude se todne lago. Mere ko kya fark padega? Lekin mera apnapan hone ke karan ham vyakul ho gaye. To itna ghor apnapan gadh apnapan sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir mein bhram se atma ne kar liya hai. Ab jab inko jalaya jaata hai to usko bhari dukh hota hai. Jaise yahan switch ho abhi bhari kasht mehsus hoga. Aur yahan shunya kar do aur gadase til til kaat do koi kasht nahi hoga.

kyon? Kyonki man is twagendra ke saath yahan pahunch nahi pa raha hai. Sara ka sara dukh sukh ka anubhav, janm mrityu ka anubhav, narak swarg ka anubhav keval man ko hota hai atma ko nahi. Wahan jo atma shabd ka prayog kiya gaya wo antahkaran ko kaha jaata hai. Wo us atma tatv ko nahi jise nain chhinte shastraan nainam jahan agnestra nahi jala sakta vayustra nahi sukha sakta aur varunastra use gila nahi kar sakta aisi atma ko kaun tapa sakta hai? Antahkaran ko jaise swapna mein aapko kisi ne pakda aur gada se katna shuru kiya.

kya aapko lagta hai main swapna mein hoon? Aapko aise hi lagta hai ki bilkul kata ja raha hoon. Bilkul waise hi bhay lagega jab gadasa uthaega. Agar jaga diya jae to hans doge ki nahi? To kya us samay tum anubhav nahi kar rahe the ki tumhen mara ja raha hai. Jo sapne sir kate koi aur bin jage dukh dur na. Ye sab swapna hai. Uma kahun main anubhav apna. Bhagwan shiv ka anubhav sat hari bhajan ye jagat sab sapna aa brahm stambh paryantam sarvam mayamyamm jagat to nark bhi sapna swarg bhi sapna mrityu lok ki har kriya sapna jeh jane jag jae hirai jage jatha swapna bhram jai lekin swapni purush jo pit raha hai us samay use se kaho tum pit nahi rahe ho to kahega pagal ho yahan nas nas pida de rahi aur use keval jaga do to khud kahega nahi main pit nahi raha tha ye to bhram tha aise hi agyaan ki dhara mein moh nisha sab sov nihara dekh swapna anek prakara ye moh ke karan hi nark swarg aur ye sara khel hai moh gaye bin Ram pad ho na dridh anurag moh nasht ho jae to abhi aap dekhoge na koi yahan swarg hai na nark hai na sat hai na asat ekmatra bhagwan virajman hai.

samjh rahe hain? Ekmatra bhagwan ye sat asat ka bhed nahi. Dekho goswami ji ne jana Siya Ram main sab jag jani karo pranam jor jug pani. Sab Siyaram hai. Hamen kya dikhayee de raha hai? Stri purush jad chaitanya accha bura dikhayee de raha hai na? To abhi ham so rahe hain. Abhi ham swapni purush hain. Jab jag jaenge to keval Ram mein Shyam mein gopijan kahti jit dekho tit Shyam mai main jidhar dekhti hoon udhar Shyam sundar dikhayee dete hain. To nark mein jo varnan hai kasht ka wo antahkaran rupi atma bhav ka hai na ki atma tatv ka hai.

atma bhav mane hota hai apnapan. Apnapan karke sharir ko jo ko jo paap kiye sharir to yahi rah gaya lekin wo andar ki mashin to puri ja rahi na antahkaran indriyan aur swabhav karan sharir aur sukshm sharir wo jake wahan yatna deh milta hai aur kasht bhogta hai karan sharir sukshm sharir jahan ke swarg mein use dev deh milta hai wahan sukh bhogta hai karan sharir aur sukshm sharir aake amanav deh milta hai phir kriyon mein lag jaata hai wo yatra band karne ke liye jab tak gyan nahi hoga jab tak bhagwat bhakti nahi karoge.

yah do hi marg prashasth hai jinme tatv bodh hone par jeevan mukt ya bhagwan ke charnon ka sakshatkar hone par jeevan mukt mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa sahaj swaroop kaun sa jo shankar sahaj swaroop samara to la samadhi akhand apara wahi aapka swaroop hai samjh paye aap abhi samjh paye bhagwat gita ke anusaar mrityu ant nahi hai to kya mrityu ka bhay uchit hai mrityu ka bhay jante ho kaisa hota hai kaisa hota patni ka dular, putr ka dular, rupaiya ka ahankaar, ghar makan ki Prita yah hai mrityu ka dukh aur koi mrityu ka dukh nahi.

transfer mein kisi ko pareshani nahi hoti. Bangla gaadi sab sarkari hai. 5 minute mein ataichu uthaya chal diya ki agli naya bangla gaadi milegi. Lekin apna makan chodna pare to. To tumne sarkari to mana nahi. Santjan sarkari mante hain. Bole ashram kiska? Bole Ram ji ka. Bole aap sofa mein baithe hue sab kaise bole Ram ji ki kripa sarkari sarkari abhi transfer kare koi pareshani marne se sab jag dara mero man anand kab mar kab bhat ho puran parmanand mrityu isliye bhayav lagti hai ki mrityu ki tayyari nahi ki aur jahanjahan rag failaya wo sab chhut raha hai isliye mrityu bhayav lagti nahi mrityu bhagwan hai sab kuch haran karne walon mein main mrityu hoon bhagwan shri Krishna ji vibhutiyon mein varnan karte hain mrityu ka matlab transfer ab batao kaun kaun marta hai?

koi nahi marta. Panchbhut panchbhuton mein mil jaate hain. Antahkaran jeev ke saath apne karm anusaar chala jaata. Mara kaun? Kuch nahi. Transfer naya kapda pahne ko mila. Purana utar diya. Aapko ye naya mano jeevan mila. Ab aapne ise purana to kiya nahi. Purana tab mana jaega jab aapne bhagwan ke dastv ko prapt kar liya. To jab bhagwan ke das bhav ko prapt ho rahe to manushya sharir chhorne mein koi pareshani nahi hai. Jaise bade garjaj ke gale se foolon ki mala tut kar gir jae use pata hi nahi chalta.

aise bhagwan ke bhajan karne wale ko sharir chhutne ke samay koi kasht nahi hota. Nahi to janmat marat dusha dukh hoi. To yah dusha dukh hai ki hamari pyari patni chhut rahi hai. Putr chhut raha hai. Makan bank balance sab chhut raha hai. Jahan mar ke jana hai. Koi pata nahi kahan jana hai. Ab bhay nahi lagega to aur kya lagega? To mrityu ant nahi hai. To mrityu se bhay isliye lagta hai ki hamara rag jo faila hua hai aur bhagwan ke bhakton ka bhagwan mein rag hota hai. Hamen pata hai hamen kahan jana hai. Hamare paas paas hai.

ab hamen koi dar nahi. Hamen apne prabhu ke paas jana hai. Prabhu hamare aaenge mrityu rup mein lene ke liye. Aur koi thodi mrityu aayegi. Prabhu aaenge to kya dar lage? Apne prabhu se kya dar lage? Narsingh bhagwan se duniya dar rahi thi. Prahlad ji dare kya? Daud ke jakar god mein baith gaye prabhu ke. To mrityu hamare bhagwan hai. Koi aur nahi hai aur mrityu kisi ki nahi hoti. Transfer hota hai. Parivartan hota hai. Samjh mein aa raha hai? Dharmendra ji Radhe-Radhe. Maharaj ji main singapur mein 10 sal se raha hoon.

aapke sujhav se maine adhyatmik jeevan apnane ki koshish ki hai jisse mere jeevan mein parivartan aaya hai. Maharaj ji mere office mein mujhe abhi bhi un logon ke saath batchit karni padti hai jo dusron ki burai karte hain. Mansahari hain, sharab pine wale hain. Dopahar ke bhojan ke liye unke saath rahna parta hai. Office mein adhikansk log bhautikwadi hain. Kya yah mere adhyatmik vikas par nakaratmak prabhav daelga? Vishesh rup se jab log shaktishali ho matlab puri lanka alag thi aur vibhishan ji alag the. Are puri lanka alag thi.

vibhishan ji alag the koi prabhav nahi pare jo rahim uttam prakti ka kar sakat kusang chandan vish vyapat nahi lapte rahat koi fark nahi parta tum apna pavitra bhojan paie pavitra vichar rakhiye unse hansie baat kijiye wo samjh na pave par aap apne rang mein rahie wo apne rang mein rahe virodh karna nahi kyonki office mein ek hi mein rahna hai kisi se koi virodh nahi karna apne ko gupt rakh ke wo kahe ye khao piyo nahi khana pina lekin ham unka virodh bhi nahi karenge. Usi table par wah kha rahe hain aur usi table par ham pa rahe hain.

koi fark nahi. Bilkul yah ham suljhi hui aapko baat bata rahe hain. Haan nahi bilkul nahi apna kuch bolte hain to unko aisa lagta hai ki unko bura lag raha hai. Haan nahi aapko accha nahi bolna hai. Unse accha nahi bolna hai. Dekho apne ko bchane ke liye hamko unke jaisa banna hai. Unke samne andar se bilkul apna marg alag hai. Lekin unke samne apne ko natak karna hai. Sab mein bhagwan hai. Guru shishya ka natak mata-pita ka natak putr ka mata-pita prati kya karta putr ka natak mitra ka natak hamen natak karna ye jag natak vaibhava ye satya nahi hai ye natak hai to natak mein hamko jo role mila hai man lo 50 mitra hain ham hasenge majak karenge khaenge piyenge lekin ham pavitra khaenge piyenge aur pavitra hansi majak karenge aur unke katakshon ka hamare upar koi fark nahi padega koi yah jaan na pave ki aap kis koti ke ho tabhi to chaturta bhai bahar kyonki agar bhakti ka mahaul hai

10 bhagat hai to jaan jaenge to koi pareshani lekin 10 ke dason rajoguni sansaar marg mein chalne wale ho aap ek akele to phir aapko bahut savdhaan rahne ki zaroorat hai koi asar nahi padega hamare andar jo lakshya chal raha hai usko kaun badal sakta hai andar Radha Radha bahar bolegaa helo bilkul unke jaisa nahi haan mast ekdam chatur wahi hai jo apne aap ko sansaar ke bandhne se bacha le haan aisa nahi ki mitra log pe sir dabaw daalen ham galat bhojan pave galat nahi meri ruchi nahi aap paie aapka virodh nahi par meri ruchi nahi hai vijendra sinh ji shri Harivansh guru ji guru ji jeevan mans madira aur vybhchar se yukt tha tabhi aapka video dekha jismen aapne kaha 24 ghante mein se 24 minute mujhe de do 24 minute dene ke ek sal ke andar mans madira to dur pyaaj lahsun tak chhut gaya aur mera mere jaise ni tuchch papi bhi tulsi tulsi dharan karne ka saubhagya prapt hua.

guru ji kuch hafte pehle aapne kaha ki dhai ghante de do. Dekho jeevan kaise parivartit hua. Guru ji ab main ab se main lobhi aadmi hai ki ham 24 ghante mein le jaenge. Le dhai ghante mein karen kya? Nahi ismen dhai ghante mein ki aap jap ko ek ghante kar lijiye. Aur usko do bhagon mein kijiye. Jap ko man lo 45 minute idhar kar liya. 45 minute udhar kar liya. 24 ghante mein do bhag kar lijiye to dedh ghante chale gaye. Ek ghante mein ek do granth padho. Jaise bhagwat hai. Do char panch adhyay padha. Ramayan ke do char panch dohe arth sahit padhe.

ek do shlok gita ji ke padhe. Shastr swadhyay karne se hamare paap nasht hote hain. Punya badhta hai aur hamare andar gyan jagrit hota hai. Hamara adhyatma kya hai? Hamare shastr kya hai? Ye hamen pata chalta hai aur bhagwan ki kripa milti hai. To shastr swadhyay aur sumiran aur shesh samay apne karya mein lage raho kyonki hamne usmen yah vibhajit kiya ki aap chha ghanta so lijiye sat ghanta so lijiye shesh samay karya kijiye jo manoranjan mein aap samay lagate hain wo adhyatma mein laga dijiye aapke jeevan ki unnati ho jaegi laukik parloulik donon satsang sun sakte hain us haan satsang bhi sun sakte hain satsang bhi sun sakte jaise aap bhav ke liye bolte hain shri ji ko lekar ke nikunj ko lekar ke kisi chiz ko lekar ke abhi kisi tarah ka koi bhav nahi aata.

jo bhav aata hai wo aapko lekar aata hai. Aapse hi priti hai. Aap aap mitra samjh ke ya shishya samjh ke jaise bhi bas aap dekh lena. Aap jo kahenge ham karenge kyonki aapko jo accha lagta hai ham wo karenge. Ab aap dekh lena bas. Ji bas hamari prarthna yahi hai ki agar kadam age badha diye ho to piche wale jo karya hain unmein mat jana. Jo piche kadam aapke chale hain un par ab nashani ab na nash ho. Piche hua ab age nahi hoga kyonki yah bahut badi manjil hai satya ki kabhi-kabhi ekdam andhkar chhaa jaata hai kamnao ka aur phir ham galat marg mein chal padte hain to galat marg mein mat jana bas itni prarthna hai jitna bane naam jap karte raho jitna bane seva karo shastr swadhyay karo samaj mein mata-pita bujurg aur jeev jantu kisi ki bhi seva mil jae seva karo galat se bach jao bas galat se bach jaoge to thoda bhajan bhi bhagwat prapti kara dega.

jo purv mein galti hui wah galtiya nahi honi chahiye. Un galtyon ka dar to aata hai. Wo dar tumhen kuch nahi bigad payega. Nai galti na hone pave to sanukh hoe jeev moh jab janm koti yag nasho tab bhagwan kahte hain karodon janmon ke paap nasht kar deta hoon. Par naye na hone pave. Bhagwan kahte sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj aham tam sarv papbhy mokshasyam mascha tum sab dharmon ko tyag kar meri sharanagati dharm ko sweekar kar lo main tumhare sarv paap nasht kar dunga to piche ki to chinta mat karo age na banne pave savdhani rakho theek hai maharaj shri ismen ek wo tha bahut asankhya koti maharaj ji aapki varta sun ke aapke vachno ko sun sun ke unhone galat aacharan chhod diye.

mans, madira, vybhchar aur asankhya koti aparadh jo adharm aacharan karte the. Maharaj ji nirantar sang na rahne ke karan. Haan wahi ham nirantar haan jaise aap aap subah aae kisi ko kah rahe the ki maya patak degi aur abhi gire matlab ane ke baad phir gire phir uthna bada kathin ho jaega. To maharaj ji us samay matlab nirantar kya naam jap aur satsang ka sang rahega. Tabhi lambe samay tak isko khinch jaenge aur ek bar nikal gaye to phir to nikal hi jaenge. Nahi bahut kathin hai mano jaise 70 varsh ki ayu hai aur 20 varsh se shuru kiya ham 40 varsh chal rahe bhagwat prapti nahi hui to gunjaysh hai maya tumhen parast kar sakti hai to har samay naam jap satsang aur lakshya barabar lakshya bana rahna bahut samay tak yahi tabhi kahte hain koi lakho mein ek chalta hai chalne wale hazaron mein koi ek theek se chalta hai aur theek se chalne walon mein koi ek birla pahunchta hai.

birla pahunchta nahi. Itne manoranjan vatikaen hain kanchan kamini kirti ki ki usi mein jeev gir jaata hai. Jaise usne kabhi bhavna ki ki agar hamen ye sukh milta to ji bhar ke bhogte aur bhajan kar raha hai to pehle bhagwan nahi milenge. Pehle uske samne wah sukh aayega jo usne chaha hai. Yah pakka hai hamare pakka000% jo ichchha kar ho man mahi prabhu prasad kachu durlabh nahi jab Ravan ne lat mara tha to kaha nahi tha vibhishan ji ne lekin socha tha ki main ja raha hoon Ram ji ki sharan mein tera nash karva ke isi simhasaan par baithunga to bhagwan ne jaate hi pahla kam kiya tha samudra ka jal manga ke lankadhipti kaha tha aao lankesh to ghabra gaye ki prabhu main to aapki sharan mein aaya hoon lankesh banne nahi aaya.

to prabhu ne kaha nahi is baat ko sweekar karo. To unhone kaha haan u kachu pratham vasna rahi par prabhu pad priti sarit so bah prabhu thi man mein baat par ab aapke charnon ko dekhkar prem sarita mein bah gayi mujhe lankesh nahi aap apne charnon ka nahi bole lankesh bhi bano charnon ki dastv bhi prapt karo to hamen lagta hai ki agar hamari vasna koi hai andar phir age bhajan ke bal se pehle wo vasna puri hogi nasht to nahi hoga sadhak bhrasht to nahi hoga. Badlon ki tarah chinn bhinn to nahi hoga kyonki bhagwan ka jan hai.

par nirwasnik bina hue wo age unnati ko prapt nahi hota. Isliye vasna koi na koi bani hi rahti hai aur jahan bhajan hua to kanchan kamini kirti inka sanyog hone lagta hai to sadhak manoranjan mein lag jaata hai phir wo marg ruk jaata hai isiliye janmjanm muni yatan kara ant Ram kah aavat nahi to prayas karte raho kabhi chuk mat karna yahi maharaj ji jo aapne kaha yahi sthiti mere sathi se kaise bache naam jap khub aur naam jap badao power badao Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha aur galat sang na karna Radha Radha kahte hue bhi yadi galat sang karoge narad ji se prashn hua kasta trati kasta trati kasta trati mayam kaun tar jaata hai kaun tar jaata hai maya se kaun tar jaata hai to bole yo mahanubhav sevte yo sangas tajti yo mamta tajte jo mahapurushon ka sang karta hai aur kusang ka tyag karta hai aur kisi se mamta nahi rakhta wo nikal jaega.

yo mahanubhav sevte mahapurushon ka sang unke vachan Baba ne kaha hai ki aise nahi dekhna nahi dekhna Baba ne kaha ye chij nahi khana nahi khana aise nahi bolna aise nahi dekhna roz satsang suno har ek din naya naya aapko milega updesh usi se aapka jeevan par ho jaega par pure jeevan agar nishkalank nikal jae to param pad mil jaega param pad bhagwan ka bhagwan ka sanidhy aur jo chahoge bhajan kar rahe ho bhagwan milne ki to aise jo chahoge wah mil jaega aur kuch nahi chah rahegi to bhagwan mil jaenge to nishcint hokar bhajan karo ismen ghata to hai nahi gir bhi padoge to bhi ghata nahi 100 bar Radha Radha kaha to tumhara bank locker mein jama ho gaya ab tumne paap kiya to iska tumhen dand milega lekin tumhare paas 100 naam jama hai wo tumhari unnati karenge wo kabhi nasht hone wale nahi samjh rahe hain na haan khub isi lobh se naam jap karo naam badao maharaj ji yahan to ham sab sadhak jan aapke sanidhy mein hai to aapka shasan hai.

bahar jin jo sharab chhuti wahi dost ke beech mein rahna. Haan bilkul bahut kathin thoda par kam karega. Dekho kal ek nahi kah rahe the ki are bole ab jahan sharab pi le ya kuch kar le socho tum sab chhaa jaate ho hamare dimaag mein dar paida ho jaata hai hamare hriday ke to bole jahan ham galat sochte hain karne ki so tum chhaa jaate ho dimaag mein lagta hai yar Baba jaan jaenge to bole isliye phir ab galat hamse ho hi nahi raha hai kyonki har samay aap hamare dimaag mein chhaa jaate ho to ye baat bahut point ki hai ki yadi ham sant sadgurudev ya updeshta ko apne dimaag mein rakhen ye Baba ne kaha tha aisa nahi to dimaag mein wo chhae hue hain to hamse galat ho hi nahi sakta aur bhagwan ki aisi kripa hai ki lakho log is baat ko samjh rahe hain ki bhagwan ki kripa se wo satmarg mein chalne ki tayyari kar rahe hain.

koi chal rahe hain koi chal chuke hain to ismen ghata nahi hoga kyonki bhagwan hi chalate hain. Agar wo na chalave to apne logon ki takat hi nahi ki chal pave. Shailendra kumar ji Radhehe maharaj maharaj ji Radhe-dhe maharaj ji samaj ke maya evam prapanch ke karan man vichlit hota rahta hai bhakti mein nahi lagta koi sab aaj ka nahi hai sab apne andar hi bhara hai kuda kar aur kuch nahi hai hamen koi pareshani nahi mera man theek to pura sansaar theek mera man kharab to pura sansaar kharab mera man papi to pura sansaar papi mera man Ram mein to pura sansaar Ram mein mera man Krishna mein to pura sansaar Krishna mein ab bolo kya badlna hai apna man badlna hai ya sansaar

badlna hai goswami ji ki drishti theek hui to bole Siya Ram main sab jag jani karo pranam jor jug pani pura sansaar Siyaram mein kahan prapanch hai hamari drishti mein prapanch hai to prapanch hai hamari drishti mein kam hai to kam hai hamari drishti mein Ram hai to Ram hai hamari adhi baat hai sudhna apne ko hai dusre ko nahi tere bhave jo kare bho sansaar narayan tu baith ke apno bhavan bahar kyon prabhu batao hamko apna sudhar karna hai hamen apne pairo mein jute pahan lene pure sansaar mein karpet nahi bichhane samjh rahe ho hamen apna mind theek kar lena hai pura sansaar theek ho jaega ham theek to sansaar theek lal chashma to pura sansaar lal hara chashma to pura sansaar hara aur jaisa ham darshan kar rahe hain wo hamare andar ki samgri bahar nahi hai.

kya pareshani hai? Jaise ek film mein paisa laga ke aap jaate ho dekhne kuch accha hota hai, kuch bura hota hai. To aap uska manoranjan karte hain ki nahi karte? Aap wahan kisi se dushmani nahi karte, kisi se pyar nahi karte. Kyonki aapko pata hai jhuthe chalchitra hain, kahani hai. Uska anand le rahe hain aap manoranjan kar rahe hain. Aise hi pura sansaar manoranjan hai. Jagannatak vaibhava ek paramatma ek apne ko anek rupon mein karke teen vibhag kar diye. Ek palan srishti vinash kahin vinash leela ho rahi kahin paida hone wali srijan leela ho rahi to kahin palan leela ho rahi hai kahin kam krodh ki leela dikhayee de rahi kahin bhajan ki leela dikhayee de rahi lekin ye sab sab jhuthe inme ek paramatma satya hai ye sari kriyaen jhuthi aur sare rup jhuthe ye jitne rup hain sab jhuthe aur bhagwan satya hain wo the hain aur rahenge yah rup nahi rahenge.

kal yah rup kuch aur tha. Aaj kuch rup aur badal raha hai. Kal iska pata nahi chalega. Phir aap koshish bhi karo to dhundne se pure tribhuvan mein rup nahi milega. Yah jhutha hai. Lekin iske andar jo hai wo satya hai. Ham satya vastu ko pahchane. Ham maya ke is natak mein bhule na. Dekho agar maya ke natya mein aap abhineta ko pehchan loge to aapko pareshani nahi hogi. Jaise aap film mein gaye to aapko zyada accha tabhi lagega jab aap abhinay wale ko pehchante ho. Nahi lagega. Bole kaun hai? Bole amuk hai aur abhinay do prakaar ka hota hai usmen.

ek hota hai positive hota hai negative. Negative khalnayak aur nayak. Donon ko dekhne par jab khalnayak ka koi role karta hai aur bahut dushtata ka role karta hai. Koi kahe bahut hi dusht aadmi to aap kahoge nahi nahi. Ye to bahut badhiya aadmi hai. Keval role kar raha hai. Samjh rahe ho na? Aise hi ek paramatma wo keval role kar raha hai. Wo hai nirvikaar. Wo hai nirvikaar parmeshvar. Ek paramatma keval role kar raha. Hamko yahi janna hai. Ab ham yahi nahi jaan pa rahe. Isiliye pareshani ki bada prapanch hai. Hamen to kahin prapanch nazar nahi aata.

hamare bhagwan apne khel khel rahe vivid rup mein. Kahin vinash ka khel, kahin palan ka khel, kahin srishti ka khel, kahin accha khel, kahin bura khel. Wo khel raha hai apne aap mein. To us khel mein mat sammilit ho. Us khel se hato aur us khel ke drashta bano. To badhiya abhi to gyan nahi prapt hai na isliye pareshaan. Naam jap karo. Khub naam jap karte ho? Barabar barabar hai. Barabar ka abhyaas karo. Agar ham ek bar pocha laga de aur khidki darwaza khula chhod de hawa aayegi puri gandi ho jaegi. Nahi ho jaegi.

khidki darwaze control mein rakho. Ye sab khidki darwaze inko hosh mein rakho aur naam jap ka pocha lagate raho. Abhi man nirmal ho jae. Sab mein bhagwan baitha bhaiya. Wahi chhupa. Kisi sujh wali aankh ne pehchan ki kan-kan mein jhanki bhagwan ki. Sab mein wahi rama hua hai. Haan, ab apne pad aur adhikar ke anusaar jo kartavya hai usko karta rahna chahiye. Chaturta wahi hai ki apne kartavya mein dhokha na pare aur ham sabke prati saman bhav bhagwat bhav rakhkar naam jap karte hue yahan se mukt ho jae bada kathin hai is dariya mein phas gaye daldal mein phas gaye isse mukt ho jae Ram Krishna hari jo naam priy ho khub naam jap karo dusron ka upkar karo aur apne kartavya ka palan karo samjh gaye shilpi ji Radhehe shri Harivansh prabhu Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kah rahe hain ki inke pati aapko sunte hain bat inka adhyatma mein thoda kam jhukav hai aur wah zabardasti

inko lagana chahte hain ki tum bhi bhagwat marg par chale aur ismen kabhi-kabhi wo krodh kar dete hain aur chhoti-chhoti baton pe ladne lag jaate hain maharaj ji maharaj ji mujhe kya karna chahiye aise mein dekho patni ke pratham bhagwan pati hai aaj hamare dharm ko nahi samjha jaata isiliye pareshaniyan ho rahi hain aur pati ka pran patni hai ardhanag ga ka matlab hota hai bamang hota hai na to baang mein hi to dil hai pura pran mana jaata hai patni ko aur patni ka bhagwan pati ye hamare bharat desh ki shaili hai

ye hamare dharm ki baat hai aaj hamare dekho in baton ko na manne ka kaha jaata purani baten in baton ko na manne ka kya durdasha hai grahasti ki kya durdasha pati patni mein vishwas nahi pati patni mein prem nahi ek grihasth do minute ki bartaav mein bhang ho jati. Bole divorce wo ladki lekar ladka le chali gayi. Wo pati apne makan mein baithe ro rahe hain. Kya ho raha hai ye? Ye jo girlfriend boyfriend living relation chal raha hai na yah bahut nashkari hai. Grahasti ke liye hamare desh ki paripati hai.

ek dusre ko pran samarpit karte hue aajeevan nirvah karna. Aajeevan nirvah karna. To aap bhi apne pati ko bhagwan man karke unki agyaa ka palan karte hue naam jap karo pati ko samarpit karo pati prem prapt hoga aur sabse bade param pati bhagwan hai aur bhagwan ki prapti karni hai to donon milkar ke bhajan karo sad grahasti mein raho aur kabhi pati naraz ho to char baten sun liya dekho sunne wala bada hota hai sunane wala nahi hota sunne wala bada hota hai jaise koi gali de raha hai to aap sun liye to aap kshamvan hai aap balvan hai wo balvan nahi wo to gali de raha to aap naam jap karo bhagwan ko arpit karo ki hamare pati ham par prasann ho pati ki prasannata aur pati ko chahiye ki jeevan mein jo bhi ham kartavya karm karen salah le karen patni se aur uske man ki kamna ko purn karen kyonki uska hath aapne liya hai usne aapka hath nahi liya pani grahan mein aise hota hai ki aaj se sari jeevan ki teri jimmedari main leta hoon kitna badhiya grihasth dharmaya mehnat karke gaye muskura ke patni ne swagat kiya donon prem se khae khae piye anand se baith.

ab aaj ka samay kya hai? Dekho kya samay hai. Ham yahi kahte hain apne bachchon ko sudharo. Ye boyfriend girlfriend wala virus dimaag mein jo badh raha hai sabke ye bahut hanikarak hai. Bahut hanikarak hai. Yah grihasth nahi sahi rahne dega. Sal sal bhar byah hota aur divorce ho gaya. Yah to kabhi suna nahi tha. Divorce shabd to suna hi nahi tha. Jo byah hua pati patni base ek hue. Aajeevan nirvah, aajeevan nirvah. Hamare bharat ki mariyada hai yar. Pavitra jeevan stri ka pavitra jeevan purush ka donon jeevan nirvah kiye ek saath milkar.

aisa hai hamare yahan hamare yahan ye gandagi nahi hai. Ab ye baten kaun samjh raha hai? Ye boyfriend girlfriend wala samay ye samjh raha hai ki hamara pavitra jeevan nasht ho gaya. Ab main kisi ke kabil nahi rah gayi. Par ji bahut badh raha hai iska karan iska karan dekho shastr aur sant ye dwa samaj ke sudharak hai shastr koi padh nahi raha mobile ka jamana hai aur santo ki koi man nahi raha aur jo man rahe hain wo sudhar rahe hain jo man rahe hain wo sudhar nahi rahe to kaise samaj sudhre sab baha chala ja raha hai mobile mein mobile mein sab baha chala ja raha hai kyonki mobile mein pura galat sanskar bhi hain achhche sanskar bhi achhche kaun dekhna chahta hai galat hi galat series aur filmein mein gandi gandi baten to gandagi badhti chali ja rahi aur naye jamane ke bahar ki havaen aati hai.

ab desh videsh sab jana hota hai to wahin ke sanskar ban rahe hain. Khanpan galat hai. Buddhi bhrasht hai. Mata-pita ka aadar nahi. Gurujanon ka aadar nahi. Shastr swadhyay nahi isliye bhrasht ho raha hai samaj. Ab jo bade-bade sant hain wo sab apnipani sima mein ho gaye. Kyonki jaan rahe sansaar bada vichitra hai. Sadhu pehle bhramn karte the. Ab bhramn karen to kah denge bachchha chor hai mar dalenege are bachchha chor hai to bandi bana lo din mein janch kar lena bharat ke hi to hai nahi mar dala lathi dandon se to sadhu mahatma agar ganv gali jae to kah bachchha chor hai mar dale to sudhrenge kahan se samaj sudhregi santo ke vachan se shastr swadhyay se achhche aacharan se achhche aacharan kahan se aaenge jab tak accha sang nahi hoga aur sangh hai wahi kusang gandi baten hain to hamen lagta hai ki grahasti badi samasya mein hai.

byah hua pati patni mein prem nahi. Patni dusre ko pyar karti hai. Pati dusre ko pyar kaise grahasti chalegi? Kaise kul parampara chalegi? Kaise santan chalegi? Aap vichar karke dekho. To isliye hamen lagta hai ki agar mata-pita bhi aur bachchhe donon sudhna chahe to bahut achchhi baat hai. Hamara samaj unnati ko prapt ho. Nahi to avnti ko prapt ho raha hai. Bahut avnti ko. Aap bachchon ke samne jo baten kar rahe hain unka sanskar par raha hai. Aap bachchon ke samne jo nasha kar rahe hain sanskar par raha hai.

aap jaise sanskaro se yukt hokar garbhadharan karayenge waise bachchha paida hoga. Aapke sanskar theek nahi to bachchon ke sanskar kahan se theek ho jaenge? Jab garb mein bachchha aa jae us din se brahmcharya rahna chahiye grahasti ko. Jab tak bachchha na ho jae aur samay na ave tab tak use brahmcharya kaun rahta hai? To bachchon ke sanskar wahi kam ke wahi gande sanskar padenge kyonki jaise mata-pita ke sanskar wahi bachchon mein jaate hain. To isliye sudhar ho naam jap karen achhche se chale sab vishv pura mangalmay rahe bhavna to yahi sarve bhavant sukhina sarve sant niramya sarve bhadran pashyantu ma kaschit dukh bhag bhavet lekin hamare akele pehle se nahi hoga aap bhi sudhro tab hoga waise kafi sudhar bhi ho raha hai sunte maharaj ji aaj tak ye baten kisi ne nahi bataai jo aapse hamen pata lag rahi hai aur 45 45 sal 40-40 sal ho gaye hain ji kisi ko ye baten pata nahi hoti ji maharaj aapke madhyam se pura pura vish mangalmay ho raha hai.

ji isse zyada kuch nahi. Ham koshish yahi kar rahe hain ki jo jo baat gurujanon se mili, santo se mili, hamare samaj ko pahunche, samaj jagrit ho, gande acharno se bache. Ab ismen mangal nahi hai. Jaise mano ek bachchha hai. Ab wo gande aacharan kar rahi hai ya kar raha hai. Ab use blackmail kiya gaya. Ab wo kise kahe? Ghar mein kahega to kaat dale jaenge. Ghar wale aisa kah rahe hain aur wo blackmail mein girte chale jaate hain. Phir usko karne ka rasta nazar aa jaata hai. Kai bachchhe to is baat mein bachchhe bachchyan kar le.

hamen lagta hai mata-pita ko thoda mitrvat vihaar karna chahiye. Ek kaat dalne mar dalne wali baten nahi karni chahiye. Unko kahna chahiye ki dekho ham ham aap pita putr to hain lekin ek dost bhi hain. Agar tumse koi bhi galti ho jae to hamse batana. Ham tumhen bachayenge. Tumhen kuch bhi pasand aaya mujhe batana. Ham tumhen wo dilaenge. Aise pyar kiya jaata dikhao accha mobile kya karte ho kya baat karte ho kahan baat karte ho kaise milte ho to bachchhe ko lagega ki agar hamse koi galti hui hai aur hamen koi blackmail kar raha hai to apne papa se kah sakte hain lekin papa ko fursat kahan hai papa ko itni fursat kahan hai ki panch minute baithkar bachchhe ko thodi jivni ko sudharen to mata-pita hi pratham guru hote hain ye jo boyfriend girlfriend living relation ye jo gandi baten hastmaithun aadi bachchon mein chala hai ye bahut nashkarak hai.

bachchhe nahi samjh rahe hain. Aur agar isse sudhar ho jae to smriti praveen ho jae. Sharir balvan ho jae. Age chalkar ke paripakva ho jaenge. Kai bar ham kahte hain aap kisani ko jante hain kheti? Jab gehun galeth mein hota hai. Galet ka matlab Bali nikalne wali hoti hai. Agar us samay kaat liya jae to ek dana nahi milega. Aur wahi Bali aa jae aur mahina bhar aur ruk jao to 40 man niklegaa usi mein to 20 varsh tak bachchha galeth mein samjho brahmcharya wo aur jab 20 ke baad jahan byah hua to phir wo anaj wala samjho phir wo ladka bachchha parivaar uska kuch bal banka nahi hoga lekin 20 varsh ke pehle yadi brahmacharyaheen ho gaya to grahasti layak nahi rahega grihasth layak nahi rahega aise vyasan aisa vybhchar aisi kriyaen kar rahe hain ki wo sharir sharir ko to kuch samjh rahe hain.

unko jara sa sukh laga to laga yahi sukh hai aur usi mein bahte chale ja rahe hain. Isliye brahmcharya atyant avashyak hai. Bachchon ki pavitra avashyak hai. Bachchon ki jeevan ki unnati ke liye mata-pita ka kartavya hai ki unki raksha karen. Unka jeevan pavitra rakhen tabhi baat banegi. Ji alok seth ji badohi se. Radha shri Harivansh. Jai shri radhav shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev main sone chandi ke dukan mein ek kareegar ke rup mein karyrat hoon. Pehle to aisa nahi hota tha.

lekin ab ek sal se YouTube ke madhyam se bhajan ka swadhyay hua. Tab pata chala ki yah karya galat hai. Jab tak koi kisi bhagwan ki murti ko chahe sone ya chandi ka ho jab saaf karane ya bechne lata hai galane ke liye kahta hai to man bahut dukhi evam vichlit hone lagta hai. Kya kiya jae maharaj ji aise mein? Kyonki abhi ghar ki arthik sthiti ko bhi dekhna hai. Par ham to yah nahi kah payenge ki aap bhagwan ke shri vigrah murti ko galakar dusra rup dijiye. Kyonki ham to unko sakshat mankar aradhna karte hain.

wo kaise log hain jo apne bhagwan ko bech dete hain. Apne bhagwan ko galane ke liye le jaate hain. Chahe wo swarn ke kisi bhi dhatu ke jab hamne ek bar bhagwan ka rup de diya unko to aisa ham nahi kar sakte. Aur iske liye ham anumati bhi nahi de sakte. Ab jeevan uparjan ke liye aapke to aap wah dekho lekin ham anumati nahi de sakte na adesh kar sakte hain kyonki bhagwan ka vigrah to bhagwan ka hi hai na man lo itna bada hai lekin aise ke to ham dekh rahe hain na shri Krishna hai ab ham kaise unka amangal soch sakte hain ki ham aag mein tapa ke gala den ya ham aisa ham nahi kar sakte ham ek upasak hain.

ham apne upasya dev ki chahe jitni murtiyan ho ham aisa karne ka nahi kah sakte. Bilkul nahi kah sakte aur aisa nahi hona chahiye. Aisa nahi hona chahiye. Ab ham iske vishay mein kya kah sakte hain? Lekin ham us vishay ko kah rahe hain ki aisa nahi hona chahiye ki hamare bhagwan murtiyon ko galaya jae. Asht dhatu ki ho ya kis sone ki keval ho. Wo kaise log hain? Nirdayi hriday jinhone abhi tak puja mein rakha. Ab unko bech diya aur wah kaise hriday hain jo bhagwan ke us rup ko galate phir tabhi hani hoti hai aparadh lagta hai tabhi phir puri ki puri dukan barbad ho jati hai aag lag gayi chori chori kar le kar kar le gaye ya koi ghatna ghat gayi ye aparadh hai aisa nahi hona chahiye hamari ham kyonki ek upasak hai na ham koi vyapari to hai nahi to ham wahi baat tumhen bataenge jo adhyatma mein aapka mangal karegi aisa nahi hona chahiye aisa bilkul nahi hona chahiye ab age ki rasta aap dekho dekho ki aap kaise chaloge.

jaise log aajkal supari mein, tambaku mein ya jhole mein ya card mein bhagwan ke naam likh rahe hain. Wo log samjhte nahi. Phir jab parinaam aata hai tab naam ka yahi to apne dharm ke log samjh nahi rahe. Apne isht ki murtiyon ko unki chhaviyon ko lakshmi Ganesh ji ki puja ki. Iske baad nikaalkar ganv bahar peepal ke niche rakh diya. Apne bhagwan ki chhaviya card mein chap byah mein phenk karke raddi kagjon mein wahi prabhu bane hain. Shri Ram bane, Siya ji bane, shiv ji bane, Parvati ji bane. Jhola mein bhagwan ka naam bhagwan ke rup chap diye baig mein aur aur jhola ka kam jhole jaisa hai.

usmen chahe jute rakh lo, chahe kapde rakh lo, sab rakh lo. Ab usi mein bhagwan ka naam likha usi mein jute. Hamara kahan sanatan dharm rah gaya? Are samne likh diya jae Ram aur hamse kaha jae talwar ki nahi to pair rakho to gardan udwana pasand karenge. Mein pair rakhna pasand nahi karenge aur int mein likh diya int mein naam likh diye bhagwan ke aur wahi letring mein lag rahe hain. Wahi bathroom mein lag rahe hain. Kahan isliye buddhi bhrasht hoti chali ja rahi hai. Kahan log samjh pa rahe hain ki aparadh ban rahe hain. Tabhi to ko laukik unnati koi unnati hai.

are aise hailjan ki tarah prakashit hue. Fyuz ho gaye. Aag lagi sab nasht ho gaya. Accident hua. Pura parivaar mar gaya to tumhare sab rakhe ke rakhe rahenge. Apardhon se bachna chahiye. Unka unka mind rahta hai ki maharaj ji mangal hoga bat uske piche ke aparadh yah samjhte mangal hoga bhagwan ke naam ka apman karva rahe ho mangal hoga aise kaise mangal ho jaega tumhare sochne se mangal ho jaega ham jis Radha naam ko simhasaan mein virajman karke aarti karte hain wahi Radha naam khani mein to likha hua hai to aise khae aur phenk diye juta mein radte chale ja rahe hain to yah sara aparadh us factory wale ko lagega aur factory wale ki jab aparadh ka ghada bharta hai na jab tak ghada nahi bharta na tabhi tak jab ghada bharta hai phir pata chal jaata hai ek parchun ki dukan thi to bechara bade dharm se chalta tha to saikil se chalta namak roti khata aur samne halwai ki dukan thi bahut usmen milavat sab kar se chalta to ek din ek sant aae us garib ke ghar to unka maharaj dharm shreshth hai ki adharm shreshth hai to unka dharm to bole dharm se chalta hoon to aapko ham aadha liter doodh nahi pila sakte aur adharm se chalta hai.

kar se chalta hai wah bole aao beta ganga snaan karne chalte hain. Ganga ke kinare le gaye aur ek gadha khudwaya ek aadmi se aur kaha is par khade ho jao. Bole guru ji karoge kya? Bole chup raho aur bharbhar ke Gangajal dalte rahe. Jab Gangajal yahan tak aa gaya tab kaha maharaj agar ek ghada bhi dal diya to main mar jaaunga. To bole aise hi tumhara samne wala jab tak ghada bhar nahi raha hai tab tak kar se chal jahan paap ka ghada bhara to phir wo nasht ho jaega dharm se chalne wala deepak ki tarah jalenga lekin kul parampragat chalega adharm wala ekdam uthga aur fyuz ho jaega nasht ho jaega isliye bhai ye bhagwan ki murtiyon ki ab kaise tumhen batayen vidvan bante hain aur bhagwan ka naam guru ka rup aur bhagwan ke rup chap dete aur naliyon mein faad ke phenk dete hain log.

nahi wo poster poster haan ab wo naliyon mein phenk diye. Tumhare guru ki chavi thi. Tumhare bhagwan ki chavi thi. Ab ye aparadh nahi hai aur vidvan bante hain. Aise are apne isht ka sammaan karna sikho. Isht ke naam ka sammaan karna. Tulsi jake mukh se dhoke nikat Ram. Taake pag ki pagutli more tanu ki chaam. Apne sanatan dharm ke devi devta isht naam rup inka aadar karna sikhe. Ab aise ek simhasaan mein virajman hai aur ek jute ke niche ja rahe hain. Matlab poster mein wahi bane hain Radha Krishna. Ab wahi faad ke phenk diye.

ab kaun sambhal ke dekhta hai ki unko yamuna ji padhrae jake unko kahin pavitra jagah mein samadhi de de. Aisa to nahi ho raha. To ye aparadh hai. Ye samaj ko kasht denge. Sudhna chahiye. Aisi saman nahi leni chahiye jismen bhagwan ka naam likha ho aur agar le to us naam ko utna kaichi se kaat ke pavitra sthan mein samadhi deni chahiye. Jaise ganga kinare yamuna kinare kisi sarovar ke kinare gadha khod liya aur samadhi dekar upar raj dal li tab to hamari baat banegi. Shadi ke kardon ko haan haan bilkul shardi ke kardon mein bhagwan ki chavi nahi chhapni chahiye kyonki log apman karte hain na keval nimantran card samjhte hain aur iske baad to raddi kaagaz ki tarah ho jaata hai to apman hota hai hamare bhagwanon ka aisa nahi karna chahiye maharaj ji ham gita ka path karte hain to jo marne wala hai usko main deti hoon jo koi bhi mare chahe pashu pakshi mare chahe koi mere parivaar ka mare chahe jis din path karti hoon main uske nimit kar deti hoon maharaj ji to koi bolta satva adhyay karo.

koi bolta hai athwan adhyay karo. To kaun sa karna chahiye? Roz ek adhyay karo. Kram bye kram karo. Bhagwan ki vani mein koi achchhi buri ya kam zyada thodi hai. Nahi marne wali ham kya kah rahe hain? Puri gita bhagwan ne smriti pradan karne ke liye arjun ko sunai hai. Koi mare jine wali baat nahi hai. Wahan ki moksh pad bhi kaise prapt hoti hai? Wo smriti se. Puri gita sunne ke baad arjun ne kya kaha? Nashto moha smriti labdh tat prasadyat he achut aapki kripa se moh nasht ho gaya smriti prapt ho gayi puri gita bhagwat prapti karane mein samarth hai.

pratham adhyay se lekar 18va adhyay tak roz kram se ek ek adhyay path karo aur chahe jisko dan kar do bahut achchhi baat hai. Isse jeev ka mangal hoga aur naam jap saath mein naam jap to kisi bhi jeev ko to bahut accha hai. Aapka bahut sundar bhav hai. Kisi bhi jeev ko doge to uska udhar ho jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi