॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

yamuna bai ji ka charit aur ek badi seekh

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

sadhna jaldi siddh ho jae. Apni taraf se kya upay karna chahiye? Bhagwan ka dridh bharosa. Dridh aashray sadhna siddh hone ka upay sab dosho se mukt hone ka upay bhagwan ka dridh bharosa. Ham wahi muhn ki khate hain jahan bhagwan ki agyaa ka ullanghhan karte hain. Shastr agyaa ka ullanghhan karte hain. Pakka samjh lo. Gurudev bhagwan kahte the chahe 24 ghanta bhajan kar lo agar ek minute bhi agyaa ka ullanghhan karoge to 24 ghante ke bhajan ka anand anubhav nahi kar paoge bilkul theek rakhal pe chale jo rakeel khinch di gayi waise lakeer ka fakir fakir kaun jo lakeer ka fakir jo guru ne lakeer khinch di ki is pe chalna hai bas idhar nahi idhar nahi rai ke sam chalat hot aur ki or rai bhar pair utar diye lakeer se to fakir mein antar aa jaega.

lakeer ka fakir jo guru ne shastr ne lakeer khinch di bas usi par chalna hai. Idhar udhar gaadi utaroge palat jaegi. Jo jeeti rod bana hai usi par chalo. Ye jo sampraday hai jo marg hai ye jeeti rod hai. Rajmarga hai. Ismen giroge nahi. Apni jaan mein prayas mein kami na rakhen. Sadhna ka abhiman na rakhen aur bhagwan ka bharosa rakhen to jaldi sadhan siddh ho jaata hai. Sadhan mein sadhak ko meljol badhana theek hai ki nahi? Yah hamare dost hain. Hamare parmarth agar hain Bhajnandi hai to koi dosh nahi hai. Agar thodi bhi sansarikta usmen hai to tumhen gira degi.

isliye dost nahi banana chahiye. Jeevan mein dost nahi banaya. Aaj tak abhi koi dost nahi. Age bhagwan jane. Aaj tak koi dost nahi to dushman ka sawal hi nahi hota. Jab dost ho to dushman ho na dost hai na dushman hai. Bhagwan ne badi kripa ki. Aaj tak ek dost nahi. Ek bhi nahi hai. Vrindavan mein rahte hue 27 28 varsh hue ja rahe hain. Ek bhi dost nahi. Piche to vairagya mein jeevan raha to wahan dost ka sawal hi nahi uthta. Yahan bhi ek bhi dost nahi. Koi sab sant mahanton ki charan raj mathe pe hai lekin apna kisi se nahi ki amuk ashram ke amuk mahant se hamara prem hai.

sabse prem hai. Sabki charan raj vandna hai lekin apni dosti kisi se nahi hai. Paramarth mein sadhan marg mein meljol bilkul theek nahi hai. Meljol mein dhokha ho jaega. Yamuna bai yahi jugal ghat par rahti thi. Ajeej veg Akbar ka bhanja wah yahan gasta par aaya hua tha. Apne sainikon ke saath dekha brahmacharini phate purane kapde sharir par lapete yamuna snaan karke tej jhalak raha tha. To sainikon se kaha aisi sundari to hamari seva mein ani chahiye. Bole sarkar ye virakta hai sadhu hai aise ab uska man lacha gaya dekh ke geele vastr mein aise do vaishyaen bhezi wo sadhu ke vesh mein ai aur bhagwan ki charcha kar di aath 10 din lagataar ai to us sadhu bhav se sammaan karke baitha leti ab jab 10 din lagataar ai to meljol ho gaya hansna batchit karna baithna wo do din phir nahi ai phir tisre din agle din ai to puchna banta hai na ki aap do din nahi ai to unka hamare yahan ek bahut bade sadhu aae hain unki seva mein aap darshan karenge unka Harivansh mahaprabhu ki kripa se aisi to koi ichchha hai nahi sadhu darshan ke liye aap mana karte hain chalie na bahut achhche sadhu hai aapko anand milega unka chalo mahaprabhu ka adesh hai Shyam shyama pad kamal sang sirnayo kisi bhi sampraday ka sadhu wo agar siddh hai to uske darshan matra se mangal to hota hi hai.

chalo meljol pahuncha diya haveli mein dekha haveli to unka haveli kahan sant aae hain to unko laga sant ko kya haveli aur kya footpath man lo koi dhani mani bula ke le aaya hoga to jab haveli mein andar gaye to bahar se vaishyaon ne darwaza band kar dekha us Akbar ke bhanje ko wo kam ki drishti se vyakul ai ab samjh gayi ki mujhe fansa liya gaya ae nazdik mat ana. Lekin wo kya dare? Shasan satta uske hath mein thi jiske mama badshah ho. Bole tumhare kya bap Baba badshah hai kya? To uske mama hi badshah the.

badshah ka bhanja jo hi age badha to aankh mund liya aur kaha shri hariv shri hariv shri hariv babar sher beech mein prakt ho gaya. Dahad mari unka paijama gila ho gaya. Behosh ho gaye aur antar dhyan ye dekho bhagvatik shakti unko ana nahi para darwaza nahi khulwana para antardhya hokar apni kutia mein Harivansh mahaprabhu ne turant unko kutia mein aur wo jo aankh khule to use wahi sher dikhayee de wahi tab uske hriday mein aaya ki main unke chalkar charan vandna karun to akar charan meljol ne jugal ghat se haveli pahuncha diya tha ho sakta hai jise tum sant sant samjh rahe ho jise tum apne sadhvi mitra samjh rahe ho wah tumhen galat jagah fansa de isliye bilkul kisi se meljol nahi apni niyamavli apni dincharya apne matlab na apne ghar kisi ko ane dena na kisi ke ghar jana kabhi nahi ye zindagi mein mat rakhna jab aisi tejasvi yamuna bai ko fansakar meljol mein haveli mein pahuncha diya to apne se kitni badi bhi chuk ho sakti hai to meljol sadhna mein bilkul theek theek nahi hai.

asangom purush main asang hoon. Kisi se koi matlab nahi. Prashnakarta bahut sundar prashn kar rahe. Ye ham logon ki jo chal hai isse to lagta hai ki puri zindagi nikal jaegi. Bhagwan milenge nahi. Uttar de rahe hain. Nahi aisa nahi manna chahiye. Aisa nahi manna chahiye. Hamari chal to dheemi hai lekin hamare Swami ki chal badi tej hai. Bhagwan ki chal badi tej hai. Bhagwan Garud se bhi tej chalte hain. Jo sabse tej chalne walon mein hai vayu. Vayu se tej chalne walon mein hai man. Aur man se bhi tej chalne wale hain Garun ji.

aur Garud ji se bhi tej chalne wale shri bhagwan hain. Hamen apni chal par bharosa nahi bhagwan par bharosa rakhna hai. Aisa nahi manna ki hamari chal se puri zindagi vyatit ho jaegi. Bhagwan to milenge. Nahi hamari chal to dheemi hai lekin mere malik ki chal bahut jor ki hai. Jis din kripa karega ek kshan mein hamse mil jaega. Tumhen chinta nahi karni milne ki. Tumhen chintan karna hai, naam jap karna hai. Jis din naam ki pukar unke kan mein padegi, wo ek kshan mein akar tumhen apna sakshatkar karva denge.

is baat par vishwas rakho ki isi janm mein bhagwat sakshatkar hoga. Hamari chal dheemi hai. Ham ajeetendriy hai. Lekin bhagwan ki kripa mahan hai. Wo mahan ham par kripa karke hamse jarur milega. Shesh charcha ki shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi