Shri vitthlnath ji ka jeevan charit | mahapurush ko kasht dene ka mila bhaykar parinaam
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
jo shri vitthal nath ji the yah Shrimadd Vallabhacharya ji ke dviti suputra hai. Aapka janm pradurbhav Vikram 1572 mein kashi ke nikat chunargadh mein hua. Shri acharya mahaprabhu Vallabhacharya ji ne prayag mein adel mein akar aapka janmotsav manaya. Bade shubh sanskar bachpan se hi acharya mahaprabhu ji ke nireekshan mein aapne samasth shastron ka samyak adhyan kiya aur grihasth ashram mein pravesht hue aapki do patniyan thi Rukmani ji aur padmavti ji Shrimadd Vallabhacharya mahaprabhu ji ke Golok gaman ke anantar unke jashtha putr shri gopeenath ji ye dviti putr se shri vitthlnath ji gopeenath ji acharya gaddi par baithe parantu thode hi samay mein wah golokwasi ho gaye aur gopeenath ji ke jo putr the shri Purushottam ji wah abhi balyvastha ko the to vitthlnath ji ko hi sara karyabhar sambhalne ko mila acharya gaddi ka thakur ji ki seva thakur ji ka sabashwarya shri vitthlnath ji sambhale shri vitthlnath ji sambhale to par Krishndas ji Vallabhacharya ji ke shishya aur ye sampurn seva samgri ke adhikari the.
yahan ek bahut sukshm vishay nikal ke aata hai ki kabhi guru aur guru vanshaj ke prati thoda bhi he bhav na kar le nahi to durgati pakki hai. Chahe jitna bada upasak ho. Krishna das ji bahut bade mahapurush hain. Pure srinath ji ki seva ke adhikari hain. Adhikari padvi nahi ki hai. Ab kisi seva paddhti ko lekar Krishna das ji se shri vitthlnath goswami ji ne to Krishna das ji asantusht ho gaye. Kabhi aisa nahi hona chahiye. Guru ke saman hi guruvanshjon ko samjhna chahiye. Jaise hamare guruvansh ke agar bachchha bhi aa jae to ham uske jhuk kar charan chhuenge.
usko guru ke saman asan par baitha lenge aur niche utar kar ham baithenge. Chaitanya mahaprabhu ne ishwar Puri ji ke jab ganv mein gaye to raj mein lat lot ke kah rahe the yahan ke sab jeev jantuon ki bhi charan raj hamare liye band nahi kyonki yahan hamare Gurudev bhagwan prakt hue eeshwarpuri ji ke ganv mein. Yahan truti ho rahi hai Krishna das ji se. Krishna das ji ne kya kiya ki jo gopeenath ji Golok gaman ho gaya tha to unki patni aur unke putr Purushottam ji abhi chhote the. Unse baat ki aur gaddi par pura adhikar kar liya.
Purushottam hai hi kyonki unke pita gopeenath ji adhikari the aur hata diya shri vitthlnath ji ko aur hata hi nahi diya. Puri seva se hata diya. Krishndas adhikari ji ne. Purushottam ji ko gaddi par baithaal diya. Unki maa ko samjha bujha ke dastakhat karva liye aur shri vitthlnath goswami ji ko hata diya. Srinath ji ki seva matlab ana bhi band karva diya. Aisa nahi karna chahiye tha. Ye bahut bada aparadh ban gaya. Aur bahut bade mahapurush hain. Krishna das ji koi sadharan nahi. Age unke kabhi charit ka shravan karna.
itne bade mahapurush gosai ji ko sab adhikar chhin jane ka kasht to nahi hua par seva chhut jane ka bahut kasht hua aur mahapurushon ke hriday mein kisi bhi tarah ka yadi kasht ho gaya to use phir bhagwan bardast nahi karte aapko bahut klesh hua srinath ji ka dular chhut gaya seva chhutwa di Krishndas adhikari ne aap parashauli mein jakar rahne lage par bahut dukhi andar se aur dur tak wahan tak ate jahan srinath ji ki dhvaja dikhayee deti hai. Wahan se sashtang dandvat karke bahut ekagrata purvak aise dekhte mandir ki taraf rone lagte hain.
shri vitthlnath ji yah bahut badi hani ka vishay bahut badi hani ka vishay gurujanon se virodh karne ka matlab hai sarvasv ka nash. Chahe jitna bada bhi koi tapasvi Bhajnandi ho. Ek shri Ramdas ji bheetriya jo thakur ji ki seva mein rahte the. Wah shri vitthlnath ji ki sthiti se parichit the. Wah roz gupt rup se samay nikaalte. Yadyap shri Krishna das ji ne unko bhi mana kar diya tha. Par wo jaate aur gosai ji ko shri lal ji ka beeda prasad dete. Beeda prasad ankhon se aise rakhkar ke khub rudan karte shri vitthlnath ji.
yah bahut bada aparadh hai. Bahut bada aparadh. Gosai ji thakur ji ke liye apne kar kamal se ek foolon ka har banate aur kahte pahna dena jake aur roz ek shlok danyata ka likhte aur kahte thakur ji ko suna dena jake shri Ramdas ji nitya prati akar wo foolon ka har aur thakur ji ko ek shlok sunate thakur ji ko foolon ka har pahnate aur thakur ji roz ek pan ki bidi dete jo unko jakar dete aur unko pranam karte ek din thakur ji ne sandesh sandesh mein kaha ki gosai ji se kah do megh to samay par barsega.
tum dukhi kyon ho rahe ho? Megh to samay ane par barsega. Tum dukhi kyon ho rahe ho? Vitthlnath ji ke samne jab jakar Ramdas ji ne kaha megh to samay par barsega. Aap dukhi kyon ho rahe ho? Lalan ne aisa kaha hai to vitthlnath ji ne kaha ki megh to samay par barsega par chatak apni tek pukar kyon chhodega? Chatak to ratta hi rahega. Bahut sundar baat agar chatak apni ratan chhod de to chatak kaisa megh to samay par barsega wo barse lekin chatak apni ratan nahi chhod sakta meri ratan ghatne wali nahi main to roro kar aapko pukarta hi rehunnga chatak ratan ghate ghat jai badhe prem sab bhati bhalai vitthlnath ji ke is dukh ko Akbar badshah ne suna usne tatkaal adesh kiya aur Krishndas ji ko bandi bankar jail mein dal diya aur gosai ji ko virudh aacharan kiya isliye unko kathor dand Krishndas ji ko badshah Akbar ne jab gosai ji ko ye pata chala to gosai ji ne ann jal tyag diya aur kaha jab tak samrat Akbar sadar Krishna das ji ko ye dekho mahapurushon ka hriday sadar Krishndas ji ko nahi chhote tab tak main ann jal bhi nahi paunga jab badshah Akbar ko yah pata chala ki gosai ji ne ann ann jal tyag diya to sadar Krishna das ji ko punah chhod diya.
Krishna das ji ko jab yah pata chala ki gosai ji mere liye ann jal chhod diye tab gosai ji ke paas aae aur charnon mein gire aur kaha mujhe aapke prabhav ka pata nahi tha. Kshma kijiye. Krishndas ji ne palasholi mein akar gosai ji ke charan pakar liye. Gosai ji gambhir ho gaye. Mahapurush agar dant den to bach gaye aap aur gambhir ho gaye to pit gaye aap. Bas itna samjh lo. Gambhir isliye ho gaye ki tumne lalan ki seva chhudrva di. Sab theek hai. Lekin lalan ki se dur rakha. Darshan nahi seva nahi isliye gambhir ho gaye. Vitthlnath goswai ji ko purv sevadhikar prapt ho gaya.
shri Krishna das ji ka antim leela jante ho kaise hui? Kuan mein pair phesal gaye aur gir ke mare aur pret bane. Isi aparadh ke karan bahut savdhaan itne bade mahapurush hai unka charit hai Krishna das ji ka bahut bade mahapurush hai lekin apne guru se aparadh ban gaya guruvansh guru swaroop hi hai aparadh ban gaya to pret yoni ko pair phesal gaya kue mein gire aur unke pret yoni ko prapt hue bahut savdhani ki zaroorat hai ki kahin aise aparadh nahi to chahe jitna bhajan ho bhajan baad mein to kalyan karega lekin beech mein chhut jaega aur beech mein hamari durgati ho jae.
antim to mangal hi hoga kyonki bhagwan ka jan kabhi na mein bhakta prannasati jab ye pret ban gaye the tab bhi udhar goswami vitthal nath ji ke dwara hi inka hua Akbar kyon kripalu tha? Kyon shraddha karta tha vitthlnath ji goswami ke upar ek bar shri yamuna ji mein stotr ka gayan ka kanchan varn tej chamkta hua vitthlnath goswami ji ka to snaan karke yamuna ji ki aradhna kar rahe the to udhar nauka mein jal vihar karte hue iske badshah ki koi hindu begam hogi to wo dur se dekha ki tejasvi to bhagwan ke saman hai nauka ka samip le gayi.
utar kar charnon mein vandan kiya. Vitthlnath goswami ji ko dekhkar use pakka laga ki yah jo ashirwad de denge to pakka. To unhone kaha ki aapse main ek hi ashirwad chahti hoon ki mere badshah mere anukul rahe. Har patni yahi chahti hai. Aap kripa karke koi aisa jantu bandh dijiye, koi mantr bata dijiye, koi upay bata dijiye ki badshah salamat hamare bas mein rahe. Hamare adhin rahe. Aapne muskura diya ki main ek jantu deta hoon. Isse badshah tumhare adhin rahenge. Aur doha likhkar ke bhuja mein bandh diya.
yantr mantr aur tantr ko bhul karo jan ko. Pati kahe so kijiye wo aap bas hoe. Yah doha likh ke bandh diya. Dur se guptachar lage rahte the. Guptachar ne kaha ki vitthlnath goswami ji ne koi jadu tona karke aapki hindu begam ki bah mein jantur bandh diya hai. Tatkaal aaya jab wah mahal tod diya jantu aur use kaha khola jae khola gaya aur jab yah doha padha ki yantr mantr tantr ko bhul karo jan koe koi upay mat karo ye yantr tantr mantr jantar wala pati ki agyaa mein raho isi se pati adhin ho jaega jab ye doha padha ki pati ki agyaa ka palan rup param bal hai jo pati ko adhin kar leta hai bahut prasann aur kaha isi samay mujhe vitthlnath goswami ke charnon mein jakar pranam karna hai aur unke darshan karne hain.
tab se bahut shraddha vitthlnath goswami ji ke upar aur wah akar ke Gokul mein aur Govardhan mein bahut si sampatti jamin yah sab vitthlnath goswami ji ko ne
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- yamuna bai ji ka charit aur ek badi seekh — sadhna jaldi siddh ho jae. Apni taraf se kya upay karna chahiye? Bhagwan ka dridh bharosa. Dridh aashray sadhna siddh hone ka upay sab dosho se mukt hone ka upay bhagwan ka dridh bharosa. Ham wahi…
- mitti mein daba bhakt 30 din baad jivit nikla – chamatkari katha | Shri Hit Premanand Ji Maharaj — keval Ram ji maharaj bahut hi garib parivaar se the par sant se bhi the. Unke yahan sant mandli ai pawane ke liye kuch swabhavic tha hi nahi. Kai logon ke paas gaye ki hamen udhar de dijiye. Hamare yahan…
- jab agni bhi na jala saki bhakt ko – holika dahan ki katha | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj — hiranyakashyap itna pareshaan ho gaya ki usko laga ki hamen lagta hai ki meri mrityu isi se hogi. Bahut chintit baithe the. Itne mein unki bahan ji ai. Bahan ji ne agni ko tapasya ke dwara prasann…
- bure ka bhi bhala karna sikhna hai? To yah kahani sunen. — jo tumhare saath bura kare yadi uske saath paropkar karo bhalai karo to aur dabal labh milta hai. Ek aapse virodh kar raha hai. Aap uska bhala soch rahe ho. Bhala bina bhagwan ki kripa ke aisa kaise socha ja…
- do mahan bhakton ki katha. — maharaj ji bhagwan par pura vishwas iska kya tatparya hai? Pura vishwas ho jana. Haan iska tatparya yah hai ki hamen bhari dukh ki samay vipatti ne gher liya. Bhari dukh ka samay aa gaya. Hamen dridh…
- gopal ki maiya ki katha | bhagwan rooth gaye? — bhakt to jo prabhu se apnapan karta hai to prabhu sirf apnapan dekhte hain. Sirf apnapan yahi hamari vijay hai. Yahi hamari vijay hai ki prabhu apnapan ko dekhte hain. Apne jan ke dosh nahi dekhte. Agar…