achanak sab theek ho jaega! Bas ek baat man lo…
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
jab bhakt apni mani hui vastuon sahit apne aap ko bhagwan ko samarpit kar deta hai to uske laukik aur parloulik sara bhaar bhagwan sweekar kar lete hain. Laukik aur parloulik sara bhaar swayam bhagwan sweekar kar lete hain. Usko yah chinta nahi karni ki mera jeevan nirvah kaise hoga? Kahan rahna hoga? Meri kya dasha hogi? Kya gati hogi? Bilkul chintaen nahi karni. Ye sab baat theek ho jaegi. Iske udaharan ham hai swayam mera jeevan nirvah kaise hoga? Kahan rahna hoga? Kya dasha hogi? Kya gati hogi?
iski bilkul chinta nahi karni. Vrindavan mein jab aae the ek vyakti ka prichay nahi. Ek rupaye ka bharosa nahi. Kisi se kuch nahi. Aur aap dekh rahe hain kaise Vrindavan vas kara rahe hain ladli jo kaise kara rahe badshah ko bhi chinta hoti hai praja ki chinta dusra raja attack na kar de kai tarah ki chintaen hoti hai apne ko koi chinta nahi attack ho to Radha Radha jaisi paristhiti ho to Radha Radha har paristhiti mein Radha Radha isliye koi chinta nahi hai laukik aur parloulik ki sari chintaen main sambhalunga bhagwan kah rahe hain tujhe kahan rahna hoga tera jeevan nirvah kaise hoga teri dasha kaisi hogi teri gati kya hogi yah meri jimmedari hai yar kahe ko pareshaan ho rahe ho unki jimmedari hai purn bharosa karke dekho priyaju pe phir dekho kaise kahte hain na maja aa gaya yar le log kuch kaise kuch kha pi ke aise hote maja aa gaya yar maja aa gaya yar sharanagati mein ekdam phresh ho gaye koi chinta hi nahi hai bhai bhai koi chinta nahi.
dekho kisi ki baat par bharosa karke nishcint hona chahiye. Tum bhagwan ki baat to nahi sune ho lekin bhagwan ki baat par chal ke ham tumhen vishwas dila rahe hain. Vrindavan mein baithkar vishwas dila rahe hain. Bilkul nishcint ho jao. Dekho baat manne se hai. Baat man lo to sab kuch ho jaega. Agar aisi bhavna kar lo ki maine Vrindavan mein ek sant ke mukh se sharanagati suni aur usi samay apne jeevan ka bhaar prabhu aapko de diya. Ab adhura bhaar ya pura bhaar sharanagati ka aapke upar gaya wo aap jano. Pura adhura kanta aap lagao.
ham to aapke ho gaye. Ab aap dekh lo. Jo kami ho wo aap puri karva lo. Bahut masti ka marg hai aur aapko batayen sab kuch karne ke baad yah hamen mila hai. Aapko prarambh mein sunne ko mil raha hai. Ham sankhya yog, karm yog, bhakti yog, ashtang yog sab jagah daud bhag karke tab ye aaya hai hamare mai shyama ko raj tab ye bharosa to aap kah do ki itna karne par bharosa aapko hua hai. Wo aapko samjhane ke liye agar ham itna na kiye hote to aapke prashn ka uttar nahi mil sakta tha. Usko pura round laga ke hamko ab aapko keval baith jana hai aur chal dena hai.
aapko ekantik varta mein prashn uttar thodi dena hai. Aapko keval sunkar ke baith jana hai. Sharanagati ye antim maha mahimamay bhagwat kripa se kisi ke andar baat aayegi ki main prabhu ki sharan mein hoon. Matlab bade-bade sadhan sampann mahapurush antim mein kripa ka hi aashray lete hain. Bhagwan ki sharan hone par sharanagat bhakt mein ek baat aati hai ki agar mera jeevan prabhu ke layak sundar aur shuddh nahi ban saka to bhakton ki baat mere aacharan mein kahan ai? Arthat nahi ai kyonki meri vrittiya theek nahi. Meri vrittiya kharab hai.
baat samjho teri vrittiya tu to sharanagat hai. Abhi di nahi kya to phir kaise kahta meri vrittiya kharab hai. Bhaiya makan ye jagah jiski thi usne jab idhar kar diya to kya bolegaa? Bole uski khidki kharab hai. To bole wo to Radha ke kunj ke trasti jan jane. Ab hamara to usse koi matlab rah nahi gaya. Aise hamko hamari vrityio se matlab nahi rah gaya. Man lo yar man lene ki baat hai. Shuddh karne ki baat to unki hai wahi shuddh karenge. Matlab ganga snaan tirth yatan jitne bhi hain sab bhagwan ke charnon se prakt hue hain aur wo kah rahe hain aham tam sarv papbhy mokshyam ma sucha sucha mane pavitra main karunga na tumhari vrittiya main sudharunga ye aapki vritti aapko di aapki vritti sharir jab aapko de diya to iske aacharan bhi aapko de diye man de diya to iske sankalp vikalp bhi de diye ab aapke ke hain yar tumne diya hai iske bicholiya bhi hona chahiye na jaise byah pakka hota hai to rajistar ke yahan likh jaata hai na hamare rajistrar Gurudev hai isiliye kaha hai ki chahe shiv biranch sam hoi guru bin bhindhi tare na koi chahe bhagwan shankar brahma ke saman ho par guru ke bina to ye Gurudev ne mujhe aapki sharanagati pradan ki hai.
ab hamari vrittiya, hamara aacharan, hamara man yah sab aapke charnon mein samarpit hai. Ise jab chahe na shuddh kar lena. Man, buddhi, indriyan, sharir inme jo maine apnapan kiya tha. Jab pasand ki chij aati hai to paroste raho yar. Poochne ki kya baat hai? Bole gulab jamun loge kya? Pooch le kya baat? Paroso. Aise ye sharanagati apne ghar ki baat hai. Jab ham bahut prasann hai is samay kyonki hamare ghar ki baat ho rahi hai sharanagati ki. Vastav mein meri vrittiya dushit hai to mujhe chinta karne ki zaroorat nahi kyonki maine ye Priya ji ko de diya hai.
mere aacharan ashudh hai to mujhe chinta karne ki zaroorat nahi. Maine ye Priya ji ko de diya hai. Par sukhi hone ki bhi zaroorat nahi. Andar se pida honi chahiye ki prabhu aapka kahlakar mere andar vrittiya aisi gadbad aapka kahla ke phir ye vrittiya dushit phir ye man dushit phir man buddhi indriyan sharir aadi mein jo merapan hai yahi sharanagati mein kamzori hai. Jab main bhagwan ki sharan mein ho gaya to mera man meri buddhi meri indriyan mera sharir sab kuch bhagwan ka ho gaya. Is vaste sharanagat ko man bigad jae to chinta nahi karna.
bilkul beparwah. Buddhi bigad jae to chinta nahi karna. Vrittiya ashudh hai to chinta nahi karna. Meri vrittiya theek nahi, mera bhav theek nahi, meri buddhi theek nahi, mera man nahi lagta. Bilkul chinta mat karo. Achanak ek din aisa aayega tumhare jeevan mein tumhara sab kuch theek ho jaega. Yah bahut bade mahapurush ke vachan hai. Achanak ek din aisa aayega ham log bat jo hote hain usi din ki sab kuch theek ho jaega. Tum aat bhav se keval ye kaho nath main aapka hoon. He priyaju main aapka hoon.
bahut bada antar par jaega isse. Bahut bada antar par jaega. Aap khud dekh lena. Prabhu ko pukaro. Ve mere Swami hain. Sarv samarth hai. Chinta nahi karni. Nahi sa ja raha to pukaro. Chinta nahi karni. Maa such unke is baat ko dhyan rakho main pavitra karunga bhagwan ke charnon ka aashray le lo unke charnon ka chintan karo aur kah do he nath aaj se sara bhaar aapke charnon mein samarpit ab main chinta nahi karunga dusra hai nirbhay ho jana hamko ek bhitar se bhay bana hua hai ye saanp bichchhi goli gatta wala bhay nahi aa kah rahe hamko ek bhitar se bhay bana hua hai.
yah to bahar ka bhay hai ki bhagwan ki sharan mein to ho gaye lekin meri vrittiya theek nahi hai. Theek bhajan nahi hota, aacharan theek nahi ho. In sabka parinaam durgati hoti hai. Yah bana rahta hai. Isiliye ismen nirbhay shabd ka bahar ka bhay hai. Jaise saanp hai, bichhu hai, dusht vyakti hai, dusht kriyaen ye bahar ka andar jo ek bhay bana rahta hai ki sun to liya hai par aacharan to galat hai hi hai na. Vrittiya to galat hai hi hai na. Ab us koti ka bhajan thodi hai. Wo bacchapan se Baba ji hain to dahad dahad ke kah rahe main bhagwan ke sharan mein hoon.
ham to grahasti hai na. Ham to sansaar mein hai na bahut achhche se samjhna surdas ji ke pad mein ek loha puja mein rakhat ek ghar badh paro paras gun avgun nahi chitavat kanchan karat kharo prabhu ji mere avgun chit na dharo ek loha pandit ke ghar mein havan bana hua usmen puja aur ek bik ke ghar mein kasai ke hath mein lekin paras kya yah chintan karti hai kya ki ye pandit ke ghar ka pavitra loha hai aur yah kasai ka pavitra loha hai. Chhute hi sona bana deti hai. Aise he nath main apvitra hoon, nich hoon, jaisa bhi hoon bas aapki sharan mein hoon.
meri vrittiya kharab ho gayi. Mera man nahi lagta. Mere aacharan ashudh hai. Kya mujhko bhi bhagwat prapti ho jaegi? Mere ko kya hogi? Ye log to sadhu mahatma hain. Ye sharanagat hai. Ham to grihasth hai. Ham to aisa bilkul nahi sochna. Bilkul nahi sochna. Agar sochoge to ghata kar loge. Jo gati ek pahla satsang ka shabd jo prarambh hua tha. Jo gati ek mahatma ko hoti hai kya ek nich papi kasai ko bhi ho sakti hai yadi wo sharanagat ho jae wahi gati hogi haan shabd pehle tha baad mein uski vyakhya thi haan sharanagat ho jae to sharanagat kaise hoga ye sab jo gande aacharan hai inko unke sahit bhagwan ke charnon mein samarpit hokar ke abalo nasani abna nason par chalna padega aisa nahi ki aap jawani se lekar budhapa tak vaishya gaman kiya tha aur jab santo se mile the to mrig mar ke laye the.
hinsa karte the. Mans khate the. Ajamil lekin bana di santo ne. Santo ne bana di ki ab jo beta ho uska naam narayan rakhna. Param pad mila. Koi usmen hissedari banti gayi kya ki pure jeevan bhar paap karta raha isko. To iska narak to jane do. Dant laga di thi bhagwan ke parsado ne yamduton ki ki yah nishpap ho chuka hai. Isko tum papi kaise kah sakte ho? Isne mere Swami narayan ka naam liya. Yah nishpap ho chuka hai. Aise kripalu bhagwan ke naam, aise kripalu bhagwan ki sharan mein ab hamen chinta nahi karni.
mere ko ab is baat ka bhay nahi hona chahiye ki mera kalyan nahi hoga kyonki mere aacharan shuddh nahi, mere bhav shuddh nahi, meri vrittiya shuddh nahi. Bas inko meri manna chhod do. Sab kuch bhagwan ka. Ho raha hai na srishti mein sab kuch? Aapko koi pareshani hai kya? Aapke pdos mein ho raha hai. Galat ho raha hai. Aapko kya pareshani? Aapko yah rahta hai na ki main to theek hoon. Bas tum theek ho. Tum shuddh Buddha paramatma ki sharan mein ho. Shuddh Buddha paramatma ke ansh ho. Ye indriyan ye man ye bhav ye vrittiya thakur ji ke hain.
wo jane unka kam. Radha Radha apne to chinta chhod di. Kar pao to kar lo. Na kar pao to iske liye bhi unhin ke ashrit ho jao. Wo kar denge. Bahut jor ki baat hai. Yah bhay andar bana rahta hai. Agar nirbhay dekho abhi sun rahe ho phir bhi yah lag raha hai ki yah to aap logon ki baat hai. Ham to bas yahi kamzori hata dena hai. Main shri ji ka hoon. Main Priyaju ka hoon. In vrityio ko apni manne se hi ye shuddh nahi ho rahi hai. Inko bhagwan ki man lo to mamta mal jai. Main tumhen pavitra kar dunga.
ma sucha matit durgan mat prasada tum mere ko chit arpit karo main samasth durgun dosho ka nash kar du anand to tabhi aata hai jab bhagwan ki thesak mein ho jaata hai jeev aur yahi thesak baithalna isiliye bhagwan ne kaha vrita yagya chhnd tirth yama yama yatha varu satsanga sarv sangopma jaisa main satsang se vash mein hota hoon aisa kisi se nahi hota kyon vrat yagya dharm tirth sab laga diye ki ek aadmi vrat kare yagya kare tirth kare dharm kare main vaisa bas mein nahi hota jo ek aadmi satsang sune ye sarv sangopo himam sab ashrayon ka tyag karva ke ekmatra bhagwan ka nishcint ho ja nirbhay ho ja ye jo tumhen mil raha hai na ye bade bhagya se mil raha hai bas ise baitha lo aur ye bhagya unhone hi banaya hai tumhen bulana chahte hain paas isiliye sunwa rahe hain ise andar baitha lo main Priya ka ab jo kuch bhi hai wah sab priyaju ka.
ab wah sab jane kya kaisa hai. Ham to sirf priyaju ke hain. Ab yah sharir ye man ye vrittiya sab kuch Priyaju ka de. Prasang to itna hai ki aise rabri se khate chalo. Kahe ko vishram karun? Par chalo to shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…