॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhajan badhane ke liye bhojan kaisa hona chahiye ? / Shri Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

bhojan satvic hona chahiye. Jo upasak sadaiv jap paraayan rahna chahta hai use chahiye ki adhik chaval na khae kyonki chaval badi aur gas banane wala hota hai aur alasya pramad badhta hai. Aur moong ki daal, patli roti ya bhiksha ki roti ya koi sabji ek wakt ya do wakt thoda thoda karke pale. Raat mein doodh utna hi gam piye jitna sahaj mein piya jae. Adhik chai jaisa gam piyenge to brahmcharya nash ka karan ban jaega. Mitha aur namak agar chhod do to bahut accha hai. Nahi to bahut kam se kam pao. Agar aapko ajbaja nirantar bhajan karna hai.

chaval, khatta dahi, khatai, bahut matra mein tel, lal mirch, masala, mungaphli, gobhi, pyaaj, lahsun bilkul nahi pana chahiye. Ye isliye varnan kar rahe hain ki agar aap mungaphli paoge to iska parinaam dekha gaya hai. Ye kabz banati hai. Bahut garm hoti hai. Upasak ko ye bardast nahi ho payega. Uske brahmcharya ko bardast nahi hoga. Gobhi bhi gaistrik hoti hai. Ye jitne padaarth likhe hain bhajan mein hani karne wale hain. Mansad to sarvatha tyajya hai aur pyaaj lahsun ke liye mahapurushon se aur shastron mein likha paya gaya hai ki jo pyaaj lahsun pata hai use ant mein pret ki yoni prapt hoti hai.

isiliye hamare yahan khanpan mein bahut savdhani ka bartaav kiya gaya hai. Pyaaj, lahsun aadi kisi bhi tarah se hamare udar mein nahi jana chahiye. Yadi aap bhajan karna chahte hain to bhojan ke sambandh par pehle vichar kar lijiye kyonki bhojan ke ras se hi sharir pran aur man ka nirman hota hai. Jo ashudh bhojan karte hain unka sharir ashudh ho jaata hai. Unke pran shobh yukt ho jaate hain. Chitt mein sadaiv glani bani rahti hai. Jismen glani hoti hai chitt mein jo sharir bojha sa lag raha hai. Pramad chhaya hua hai.

wo kaise mantrakaar vritti kar sakta hai? Shuddh ann ka bhojan karo. Chitt ke mal ka vikshep ka nivaran keval bhojan se hi ho jaega. Aap keval satvic kam aur shuddh bhojan karen. Agar satoguni bhojan hai bhookh se thoda zyada kar liya jae to rajogun aa jaega. Wahi satoguni bhojan yadi aur zyada kar liya jae to tamogun badh jaega. Hai satoguni lekin bhookh se aap adhik pa le to rajogun aur adhik pa le to tamogun badh jaega. Satogun bhojan bhi tamogun badha dega. Ann ka sabse bada dosh hai adharm ke dwara kamaya hua ann.

anyay se, beimani se, chori se, dakaiti se, chhal se jo dhan kamaya jaata hai yadi wah ann kahin sadhak ke sharir mein chala jae to mantr ko bilkul nahi chalne dega. Rok dega. Ye mahapurushon ke vachan hai jo ham guru mantr ajpa jaap karna chahte hain satat jaap karna chahte hain rok dega wo ann aapko bhajan mein ruchi nahi hogi ann dosh mahadosh hai chitt shuddh ka nirman karne ke liye hamen ann par bahut dhyan dena chahiye jo log anya sadhan to sambhate rahte hain lekin ann par dhyan nahi karte unka sadhan nahi banta hai ab hamen pata nahi samne wala bhandara gau hatya karke karva karva raha hai ki kisi ke marne wala karva raha hai ya kisi ka sankalpit karva raha hai wo to aaya 5 lakh de diye santo ko pavao santo ki buddhi kya hogi kis tarah ka ann dhan hai ye thoda dekhna chahiye agar hamen batana ho ki kis uddeshya se bhandara karaya ja raha hai aur kaun karva raha hai tab tak nahi pana chahiye kyonki agar wo vaishnav nahi hai wo kisi galat aacharan se karke pawa raha hai to hamari buddhi nischit galat aacharan mein ho jaegi nischit thakur ji ke mahal mein jo bhog lagta hai wo wahi bacha sakta hai jo raat din wahan seva karta hai.

nahi to thoda kinka prasad lekar ke virakta ho to madhukri vritti se jo bhi prapt ho thakur ko arpit karke pao kyonki madhukri mahaprasad hai. Param shuddh ann hai. Usmen kisi ka adhikar nahi. Jab darwaze pe jake radheshyam bolte hain jo tukda milta hai param pavitra aur grihasth apne dwara kamae hue satdharma ke dwara kamae hue dhan se apna udar poshan kare. Agar aisa karega to mantr sahaj mein sphurrit hoga. Ann dosh hone se bhajan mein man nahi lagta. Kiya hua bhajan ka jo anubhav wo bhi chhutne lagta hai.

tamogun ki vridhi ho jati hai. Adhikansk phir sadhak alasya aur pramad mein padkar ke gandi kriyaen karne lagta hai. Dekh lo ye mahapurushon ke vachan hai. Yadi aapka ahar shuddh nahi hoga to pramad, alasya aur gande acharno mein rati ho jaegi. Uskit ka mal dur hona to dur raha aur mal badhne lagta hai. Apni kamai ka ann dusre ka chitt jismen na dukha ho beimani na ki gayi ho aise ann se apna chitt shuddh karen. Grihasth aur satat bhajan kare aur virakta sadaiv madhuri vritti se apna udar poshan karen. Vaishnav janon se brajvasyon se ann lekar ke avshyakta ki samgri lekar apni sadhna mein magan rahe.

bhojan mein sabse pehle baat dekhni hai ki yah bhojan pavitra hai ki nahi kis uddeshya se diya gaya tabhi upasak le madhukri mein iska koi vidhan nahi purv jo hamare gurjan hue hain madhukri vritt mein agar koi char roti aur dher sari sabji daal aur ye sab de to nahi lete the ya to adhi roti hamare Sadgurudev bhagwan ne bataya ki waise uttam hai char roti ka ek tukda agar aisa nahi to adhi roti agar aisa bhi na ho to ek roti agar do roti le li to iske baad phir madhuri vritt hi nahi mani jaegi. Haan baith ke pa liya phir kya phir char ek hi jagah se sab bandhwa liya yah nahi ham panch ghar jaenge praarabdh anusaar bhagwat ichchha se jo milega wo le thoda thoda ghar daal sabji thodi thodi le li ek ek tukda roti adhi adhi ek ek le li panch sat ghar chale gaye sat roti ho gayi hamara kam ban gaya jo manaya shuddh ek aaj paya agar bach gayi to kal paya madhukri mein basi ann nahi mana jaata madhukri ko basi nahi kahte mahapurushon ne to 10 10 din 20 din ki roti maang ke lake se tang di use pate rahe hain.

jismen kisi ka hak mara gaya ho, beimani ki gayi ho ya kisi ke sankalp ke dwara ehsan pane se sadhak ka man jo hai wo bhajan se rahit hone lagta hai. Jab kabhi tumhara bhajan chhute aur kamna jagrit ho to do baat dekh lena. Ya to bhojan galat ho gaya vaishnav aparadh ban gaya. Nahi to sadhak jo bhajan karta hai uska bhajan chhutna aur kam aadi dosh ana ho hi nahi sakta. Jahan bhajan hai wahan kam kahan hai? Agar aa raha hai to do baat dekh lo. Bhojan ashudh ho gaya ya koi vaishnav aparadh ban gaya. Bhojan mein teen prakaar ke dosh mane gaye hain.

jati dosh, aashray dosh aur nimit dosh. Jati dosh wo hai jo swabhav se hi kai padartho mein rahta hai. Jaise pyaaj hai, lahsun hai, shalgam hai, gajar hai. Ye jati dosh yukt ahar hai. Ise nahi pana chahiye. Jo shastr kah raha hai nahi pana chahiye. Bina prashn kiye hamen chhod dena chahiye. Wo nahi pana chahiye. Pyaaj, lahsun, shalgam aur gajar yah jati dosh padaarth hai. Ise pane se buddhi bhrasht ho jati hai. Dekho abhi piche nikla tha ki jo pyaaj lahsun pate hain unko marne ke baad jo hai wo pret yoni ki prapti hoti hai.

prayah har sampraday nishedh. Hamen to nahi lagta kisi vaishnav upasna mein ya kisi upasna mein agar pyaaj lahsun ka to kahin hamne nahi dekha. Aadi guru bhagwan shankaracharya ki upasna mein pehle hi bol dete hain tumhare yahan agar bhiksha mein pyaaj lahsun ho to hamen mat dena. Hamne dekha hai pyaaj, lahsun, gajar ye jo nishedh hai shalgam aadi ye hamen nahi pana chahiye kyonki ye bhajan virodhi padaarth hai. Sthan ke karan bahut si vastue apitra apvitra ho jati hai. Jaise doodh hai sharabi ke ghar ka ho to nahi pina chahiye.

ab yahan to milega hi nahi kyonki sabke ghar mein sharab chalti hai. Jahan sharab ki rasoi se wo doodh agar le gay ka bhi to apvitra ho jaata hai. Ye sthan dosh se dushit ho gaya. Man lo sharab ki botal wahi rakhi wahi gay ka dhaa hua doodh rakha hai. Itni apvitra hai sharab ki. Wo doodh upasak ke pine layak nahi rah gaya. Phir socho jo sharab pite unka hriday kitna pavitra hoga. Aur kahte hain ki are kya hai wo to drink karte hain. Yahan drink karo ye aur wahan Yamraj mein drink karvayenge. Jalta hua kholta hua loha.

bhagwat mein likha hai kholta hua loha zabardasti usko pilaya jaata hai. Lo gaye the bhajan karne jibhya se naam jap nahi kiya. Dusron ka mans khaya. Sharab pi to bhogo. Apvitra ho jaata hai vastu sthan se. Jaise jis rasoi mein kabhi mans bana ho to wahan ka bhojan nahi lena chahiye kyonki us wo rasoi bhrasht ho gayi wo rasoi hamare bhojan ke yogya nahi hai. Bahut samay dhire-dhire galat aata ja raha hai. Kahan madhukri mange? Jo sharab na pita ho, jo mans na khata ho, jo aise aacharan na karta ho, uske yahan ann lene se hriday bada pavitra hota hai.

ab prayah dheeredheere ye sab dosh age badhte ja rahe hain. Aur ascharya dosh jaise jiske gharo mein kutta hai uske ghar se jo bhojan samgri wo to kutta ko aise pyar karte hain jaise gay ke bachhde ko pyar kiya jaata hai. Pyar karna koi dosh nahi. Bhagwan sabke andar vas karte hain. Lekin shastr mariyada hai. Yadi rasoi mein bhojan ban raha hai aur wahan kutta chala gaya to bhojan thakur ke bhog yogya nahi rah gaya. Wo thakur ka bhog nahi lagega. Wo bhiksha dene yogya nahi rah gaya upasako ko. Ab yahan to wahi khmbe mein laghu shanka kar raha hai.

wahi bagal mein rasoi hai. Wahi chat raha hai. Kaisi hai pavitra yahi hai kalyug bhagwan ka. Ghar ghar pe kutta ko dwarpaal bataya gaya hai. Darwaze ke bahar use bhojan de do. Darwaze ke bahar uski vyvastha kar do. Zaruri thodi thakur seva ki jagah rasoi mein aur ghar mein sab jagah lete use ghumo. Ek mariyada hai shastr mariyada hai par wo bhagwan kalyug ka prabhav hai ki jo darwaze ke bahar ho darwaze ke andar jo darwaze ke andar unko darwaze ke bahar kar diya gaya ye kalyug ka prabhav hai sadhak ko in teen teen dosho ka vichar karke hi bhojan karna chahiye agar bahut uske ghar mein kutte aadi aisa sharab pina mans khana aadi hai to bhale koi ho hamen uske ghar bhiksha nahi leni chahiye jankari kar leni chahiye phir madhukri leni chahiye chahiye.

gau ka doodh aur gay ka ghee, safed til, moong ki daal, kand, kela, aam, nariyal, anvla aur dhan jau, jeera, narangi ye havishyanya mane gaye hain. Agar in is ann ka bana hua bhojan ho itne ann ka unmein se aap lekar paye to kuch hi dino mein abhyaas karne par aapka ajpa chalne lagega. Bhojan ka bahut bada prabhav hai. Do din aap pavitra ann bankar thakur ko bhog laga ke pa char din samosa ki chatni pakar dekh kaisa lagta hai. Khud aapko anubhav mein aayega. Jab aapka antahkaran apvitra to aapko lagta hai are kuch nahi hota.

aap kya jano hota hai nahi. Jis paddhti se kahe waise raho phir pa ke batao tab aapko pata chalega kaisa prabhav hai dushit ann ka. Kabhi bhi bina aushadhi ke shahd ka prayog upasak na karen. Shahd ka prayog keval ayurvedic aushadhi ke liye hai. Aap aushadhi le rahe ho to shahd anupat se le sakte ho kyonki shahd makkhiyon ka sangrah kiya hua ahar unse chheena jaata hai. Agar aap keval swad drishti se lete hain to aapki buddhi bhrasht ho jaegi. Bhajan mein man nahi lagega. Shahd aushadhi ke liye keval sweekar karne ki baat kahi gayi hai.

aur ye jo namak hai bahut matra mein sadhak na le. Pan bina bhagwat arpit kiye hue agar pan hai to upasak ko nahi pana chahiye. Gajar nahi pani chahiye. Masur ki daal nahi pani chahiye. Kodo nahi pana chahiye. Madhukri roti ke siva basi ann nahi lena chahiye. Rukha ann jo kabz baname nahi pana chahiye. Aur jo ann mein durgandh ane lagi ho nahi pana. Aur jin bartanon mein ashudh bhojan paka ho un bartanon ka bhojan nahi lena chahiye. Yadi ham bhojan sambandhi avshyakta theek se samjhte hue ahar karen ki yah hamare liye avashyak hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…