ekantik vartalaap evam darshan #1399
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti vihaar se dur rahne ko man kar raha hai aur andar se chidchidapan bhi bana rahta hai maharaj ji mera samadhan karen main abhi kya karun aisa par usko ko chupae rakhiye aur vihaar samyak rup se kijiye. Aisa aata hai. Itna jor ka age jaise ham bhajan karte hain to ye asat sansaar accha nahi lagta. Narayan hari bhajan mein yah panchon anusuhat vishay bhog nidra hansi jagat priti bahu baat yah accha nahi lagta hai par accha na lagte hue bhi grahasti mein hai to rishte nate sambandh sab nirvah karna hota hai to andar ki baat chhupakar bahar vihaar muskura ke hi karen sammaan purvak sabse varta karen uchit varta karen aisa na dikhayee de kisi ko ki aap bhajnanandi ya aapko yah baten achchhi nahi lagti.
isse aapka bhajan badhta rahega. Vihaar mein truti hone par paramarth mein badha par jati hai. Jaise ye hamare paas aae aur ham inse aisi varta ki ki asantusht ho gaye to inke hriday mein bhagwan baithe hain. Uska prabhav padega ki mere bhajan mein vikshep padne lagega. To apne bhajan ko bchane ke liye radheshyam aie baithiye. Koi baat kar rahe bahut sujh kar uttar diya. Accha bas ek minute mein aap to usse zyada anand rahega aur yah dikhana ki yah to sansaar ki asdat baten hain. Aap hamse kyon wo nahi sacha bhajan ka swaroop hai.
apne aap ko chhupakar natak prayog jaise natak manch mein thodi der ke liye hamen swang karna hota hai. Aise mein natak karna hai. Yah sansaar ek natak hai. Koi bhai rup mein aata hai, koi rishtedar rup mein aata hai, koi patni rup mein, koi vibhinn to hamko usko saath vaisa hi vihaar karna hai jo dharm hai. Aur andar se samjhna sab jhutha hai. Satya to ekmatra bhagwan hai. Char din baad ye sab chhut jaega. Ye sharir bhi chhut jaega. Rah jaega bhagwan ka bhajan. Yah andar ki baat rakhni hai. Bahar se aise vihaar karna hai.
kyonki grihasth dharm hai na. Virakta dharm ho to bhai saaf-saaf baat kar diya. Lekin usko bhi agar samaj seva ka bhagwan ne saubhagya diya hai to karna padega. Jaise apne karna apna man kahta hai ki kyon baat karen par karna parta hai kyonki bhagwan ne seva di hai to aise aapko grihasth seva di to aap apni seva ko bhagwan ka chintan karte hue apne bhajan aur apne swabhav ko gupt rakhte hue andar swabhav vairagi hai par bahar se rag prastut karte aao aao bahut dino baad aae kaise ho aap ab itne mein khush ho jaega wo aur agar haan batao to yah swabhav bhakt ka kabhi nahi hota ki nak mein gussa rakh ke baat karen.
hans bole bahumaan de. Hansi bole bahumaan de. Jab Harivansh naam jaan hai tab sabte laghu man hai. Hansi bole bahumaan de. Bahut man dete hue muskurakar bhashan karen. Yadyapi ichchha nahi hai. Bilkul ichchha nahi kisse baat karen. Par phir bhi shastr agyaa karta hai kyonki sab mein bhagwan hai aur vihaar mein rahkar ke vihaar nirvah karna parta hai. Madhuri kulkarni ji maharashtra se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji sat rajas rajas aur tamas kya isse bhi pare koi gun hai jo avyakt hai ya isi gun ko mike bhasha mein prem kahte hain satogun rajogun aur tamogun prem yah to maya ke bandhan ke karan hai satogun, rajogun, tamogun ye to tragun maya ka bandhan hai.
yah prem kahan ho sakta hai? Yah to maya ka bandhan hai. Trigunnatt prem hota hai. Gun rahitam kamna rahitam sukshm taram anubhav swarup prakshan vardhmaanam ye prem ke lakshan hai. Gun rahitam tino gunon se rahit jo hota hai usmen prem jagrit hota hai. Jo satogun rajogun tamogun ko badhit karke nirantar bhagwan ka chintan karte hue tanmay rahta hai. Usmen prem ki jagrti hoti hai. Tino gunon mein prem ye tino gun to bandhan ke karak hai. Isi mein to sara sansaar bhramit ho raha hai. Gun ke pravah mein sara sansaar bandha hua hai.
isi se mukt hona hai. Kahan padh liya yah baat? Kahan sun li yah baat? Nahi maharaj ji wo trigunnatt jaise datt maharaj ko bolte hain na kah rahe ki jaise santo mein samdarshita hoti hai. Trigunnatt avastha hoti hai. Wo avastha kya hoti hai? Pehle bhajan karo to pata chale brahm bhuta prasann atma na sochti na ka sama Sarvesh bhute sumad bhakti late param jo brahm bodh sampann mahapurush ho jaata hai usmen na koi shok rahta hai na koi chah rahti hai na man na apman na sukh na dukh na labh na han wo dwandatit avastha hoti hai avastha anirvcni avastha hai vani ke dwara thodi bataya ja sakta hai jaise aapko gulab jamun pave aapse poohe kaisa to aap kahoge mitha to kitna mitha ab kahoge bahut mitha iske baad pucha bahut mitha kitna ab
uttar nahi aapke paas ab aap kahoge kha ke dekh lo to anubhav gam mein bhaje ja santa ye sacchidanand ras hai anubhav ka hai ye vani ke vishay nahi wo kaisa ras hota hai to kaise bata de wo vani ka vishay nahi hai wo to bhajan karo trigunnatt ho bhajan ke pratap se tab aapki sthiti aayegi prashn aapka galat tha ki isi trigun ko prem kahte hain kya nahi trigun ko nahi maine bola triguna ke wo ye teen teen gun chhod ke jo triguna bolte hain wo kaun sa gun hai usko kuch naam hai ya phir wo gun rahitam
hai wahi wo gun rahitam hai wo kamna rahitam hai wo sukshm taram hai wo anubhav swarup hai wo prakshan vardhmaanam hai jise prem kahte hain khub naam jap karo pehle dat ke naam jap karte ho dat ke karo naam jap hat ke karo aur dat ke karo maya aaya prapanch se hatke aur khub tanmayata purvak karo. To tamogun aaya to naam jap chal raha hai. Rajogun aaya to naam jap chal raha hai. Satogun aaya to naam jap chal raha hai. Dhire dhire dhire in gunon ka prabhav shant hota jaega. Aap gunatit hoti jaenge. Bhajan ke prabhav se bhajan nahi to phir ye sab baten keval sabha mein panditya ke liye bhale boli ja sakti hai isse maharaj ji aapko ham shiv mante hain to ham soch ham guru shishya ki baat nahi kah rahe ham to anand ki baat kah rahe hain anand bhajan se aayega bari mathe grat hoe baru siktate baru tel aur binu hari bhajan bhatri ya siddhant pel unchi unchi gunatit baat karne se kisi ko bhagwat anand nahi mil jaata na atma pravchne labhya na bahudha medhaya na bahudha sute bahut buddhiman ho ya bahut sunne wala ho
to bhi nahi milta ye to jo varn kar leta hai nirantar Radha Radha Radha Radha buddhihin ban jae ismen zyada buddhi na chalave naam ko jaise chhota bachchha maa ki ungli pakde chalta hai aise naam rupi maa ki ungli pakar le Ram Ram hare hare Krishna Krishna Krishna jo hai Ram Ram Ram Ram Ram Ram bas zyada padhne likhne ki zaroorat nahi zyada janne ki zaroorat nahi dawai khao parhej se raho theek ho jaoge isliye naam jap karo naam hi trigunnatt hai abhi aap Radha Radha kah rahe abhi trigunnatt hai abhi aap Ram Ram kah rahe abhi trigunnatt hai Harivansh mahaprabhu kahte yahi dar hi darap Harivansh hit jino bhramah gun saleel par jiman mangal lok ton su hari pad bhajan vilumb kare darte raho kahin rajogun tamogun tumhen bhrasht na kar de to isliye jinka naam tino loko ka mangal karne wala hai un bhagwan ke charnon ka aashray lekar naam jap karo zyada baat karne ka samay nahi hai mrityu kabhi bhi aa sakti hai.
hamen har samay mrityu ki tayyari karni hai. Abhi ham Radha jap rahe hain. Abhi pran nikle abhi shri ji ko prapt ho gaye. Ram pran nikle gaye bhagwan ke dham narayan gaye bhagwan ke dham hamen zyada matha lada ke kya karna hai hamen akhiri point par ana hai to hamare kaun si swas hamari akhiri pata nahi isliye Ram Ram Ram Radha Radha Radha Radha Radha kitna badhiya marg hai gunatit avastha kya hai brahm bodh kya hai apne aap aa jaega jaise ab chat mein kya ho raha hai ham tumhen kaise batave chadho seedhiyon se aur ek bar jhanki karo tab to tumhen anuman lag sakta hai.
ek bar unchai par chadho to pata chalega. To wah chadna hai naam jap jitna naam jap karoge utne vinishchitam badamte anytha vach hari bhajante jitna aap naam jap karoge utne unchai par chadh jaoge. Samjh rahe ho? Doctor sandhya saksena ji haridvar se Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya masik dharm ashuddhata ya sutak mein apne isht ka naam jap kar sakte hain? Naam jap kar sakte hain. Antarik path kar sakte hain. Keval granth nahi le sakte hain. Mala nahi le sakte hain. Thakur ko sparsh nahi kar sakte. Khub bhavna mein thakur seva kar sakte hain.
bhavna mein naam mantr jap kar sakte hain. Naam kirtan kar sakte hain. Bhagwan ki jo hamen pad yad hai unko ga sakte hain. Lekin ham granth nahi chu sakte. Mala nahi chu sakte. Thakur nahi chu sakte. Teen din tak teen din ke baad snaan karke apni dincharya mein lag jae. Jaise ki kinhi-kinhi mata bahno ko to kai dino tak aisa avesh rahta hai 8-aa din sat-sat din to teen din tak nishedh kiya gaya hai. Teen din tak apne ekantik vritti se rahe teen din ke baad snaan karke aur phir bhagwan ki seva mein ja sakte hain.
maharaj ji inhone ek point aur rakha hai ki ye kah rahe hain ki ye jyotish chah rahe hain 12 varsh se usi usmen kam kar rahe hain. Maharaj ji ye kah rahe hain ki aajkal kya ho raha hai ki maharaj ji bahut sari ladkiyaan inke paas aa rahi hain jo ek prem vivah pe matlab unke jo premi the unhone unko chhod diya. Wo kah rahe hain ki ji mera jo question tha na wo ye hai ki main 15 sal se is pheelda mein kam kar rahi hoon. Mere paas bahut zyada ladkiyaan ai hai. Aapse kahti hai ki mere boyfriend ne shadi kar li hai.
uske baad bhi wo kahta hai ek din main apni beevi ko talak deke tujhse shadi karunga. Isliye tu kahin mat ja. Mere se baat karti rah. Aisi bachchyan jo apne jeevan ko barbad kar rahi hain. Jo vyakti hamara nahi hua dusre ka pani grahan kar liya aur uska bhi nahi hona chahta. Phir mujhe prayog karna chahta hai. Aise bahut phrod log hote hain. Aise logon ki baten na mane wo premi log nahi. Premi to wo hota hai. Ek bar hamne aapko sweekar kar liya. Ab chahe vishv sundari aa jae to ham kisi ki or nahi dekhenge.
use to prem kahte hain. Ab pani grahan bhi kar liya aur kah raha usko bhi chhod denge. Jab uska nahi hua jiska hath pakar raha hai tera nahi hua jab uska hath pakar liya ab uska hath pakar liya to phir uska nahi ho raha hai to aisa phraad aadmi kisi ka nahi ho sakta hai bachchiyon ko samjhna chahiye aise logon se duri bana ke rakhna chahiye haan aise logon ko bahut ab to ham aap soch ko sahi kah rahe hain ab jo rivaj chal rahe na boyfriend breakup boyfriend breakup to yah kya chal raha hai yah vybhchar ka to khula nimantran hai is ladke se boyfriend ki mitrata ki phir mahina do mahina ke baad isse breakup ho gaya ab isse shuru ho gaya phir isse breakup hua phir isse shuru hai kya to ye sab baten bahut gandagi fail rahi hai hamari samaj mein ab isko kaise roka ja sakta hai bachchhe samjhte nahi apne jeevan ko khilwad mein apne jeevan ko nasht kar rahe hain aur ek isko manoranjan samjh liya gaya vyabhichar ko manoranjan samjh liya jise izzat mani jati thi dharm mariyada mana jaata tha man lo ham kahte kahte dosti paap nahi hai.
kisi se bhi koi bhi dosti karo. Ladki ladke se hi kar lo. Lekin jab tak byah na ho tab tak pavitra raho. Aur byah ho gaya to aajeevan usi ke hokar raho. Tab to badhiya niyam hai. Lekin yah to nahi ki aaj ise dost banaya, kal use banaya ya kal use banaya. Ye theek nahi hai. Isse bahut hani hoti hai. Isliye adhyatma ki zaroorat hai har vyakti ko. Agar thoda vichar pavitra ho to aisa kaise kar sakte ho? Mitra sen dayal ji Radhehe Radhehe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji sitaram charan rati more anudin bahu anugrah tore maharaj ji sitaram ji ke charnon mein prem kaise prapt ho maharaj ji sitaram sitaram sitaram naam jap karo aur hanuman ji ki maharaj ki aradhna karo kyonki Ram rasayan tumhare paas aa bhagwan Siyaram ji ka prem ras hanuman hanuman ji ke paas hai.
wah jisko chahe de sakte hain. Isliye hanuman ji ki aradhna karo aur sitaram naam ka jap karo aur Ramcharitmanas ka gayan karo. Ramcharitmanas padhte ho hain. Nahi itna padho ki nasha ho jae. Bhagwan ka charit gayan aur sunne ka nasha ho jae. Jab khali baithe hain to bas shuru kar rahe hain bhagwan ke charit. Bhagwan ke charit mein hi prem chhupa hua hai. Bhagwan ke charit mein hi sharanagati hai. Bhagwan ke charit se hi purnata hai. Bade-bade dukho ka nash ho jaata hai. Bhagwan ke Ramchandra gun varan laga sunat Sita kar dukh bhaga.
bhagwan ka jab ham charit varnan karte hain to hamara sab dukh nasht ho jaata hai. Siya ji ke dukh ka kaun bhagwan ka yash varnan karne laga? Is lanka mein kaun akar amrit shabd ucharan karne laga Ramchandra gun var laga sunte Sita kar dukh bhaga to bhagwan ke pavan charitra ka gayan Ramcharitmanas to saral bhasha mein ved hai har siddhant har chahe bhakti sankhya yog karm yog vihaar dharm sab kuch Ramcharitmanas mein virajman hai aur apne hindustan mein to Hindi bhasha aati hi hai to itni saral saral bhasha mein avdhi bhasha mein hai ki sabko samjh mein aa jaata hai to hamen lagta hai ki aap jo Ram upasak bhagwan shri Ram se prem prapt karna chahte hain unko sitaram naam ka jap karna chahiye Ramcharitmanas ka path karna chahiye gayan karna chahiye shravan karna chahiye manan karna chahiye aur hanuman ji maharaj ke charnon mein aashray rakhen kyonki hanuman ji ki kripa se Siyaram ke charnon mein priti prapt hoti hai.
gaurav kushwaha ji merath se jai Siya Ram jai shri Ram maharaj ji maharaj ji main bahut sanshay mein hoon na to main aapko chhod sakta hoon aur na hi main Ram naam ko main aapke alawa kahin aur se diksha bhi nahi pareshani kya hai Siyaram Siyaram japo Siyaram Siyaram japo maharaj ji jaisa aap bolte ho ki kisi Ram naam wale wo leni padi nahi jab jab nahi jab mantr ki baat aati hai na tab ham kahte hain ab jaise bhagwan ke Ram naam mein apaar samarth hai Ram Ram bhi nahi kah pate the. Mara mara kaha to brahm rishi ho gaye to tum Siyaram Siyaram japoge tumhara kalyan nahi ho jaega.
to man lo isi ko guru mantr man lo aur hamare prati bhav rakh lo ki guru hai aur Siyaram Siyaram japo koi sanshay nahi. Theek hai abhi abhi batao sanshay rah gaya nahi maharaj bas phir japo aap hi ho sab kuch naam jap se sab theek ho jaega aap Siyaram Siyaram japo theek hai nishika Gupta ji Radhehe maharaj maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji kya snaan ke samay ya snaan ke turant baad bathroom mein yadi naam len jaise Ram naam andar andar karen to yah sahi ya galat hai nahi ye to bathroom mein bhi kijiye shauchalay mein baithe to bhi kijiye mantr nishedh hai, naam nishedh nahi hai.
jaise ham naam jap kar rahe hain na to ab shauchalay mein baith ke aise to nahi japenege. Ram Ram Ram Ram aise japenege. Ab andar jo hamare chal raha hai uske liye nishedh apvitra pavitrova sarwavastha yah smare pundri kaksham savayabhyantar suchi apvitra ho ya pavitra ho kisi bhi avastha mein ho jo kamal nayan bhagwan shri hari ka smaran karta hai wo andar aur bahar se param pavitra ho jaata hai. Shauchalay aur bathroom mein ham mantr nahi jap sakte. Kaise bhi lekin naam jap kar sakte hain. Naam har samay har man lo shauchalay mein dil phayl ho gaya hart attack ho gaya to kya karenge to ham wahan bhi Ram Ram hari hari Radha Radha naam jap karte hue shauch kriya aadi se nivraat snaan aadi karke jab bahar aae tab mantr japne lage bathroom mein andar apvitra dasha mein naam aur pavitra avastha mein mantr japne lage strot aadi kuch path kar sakte hain maharaj ji strot aadi kuch path kar sakte hain nahi awaz nahi maun snaan karte samay snaan karte samay Yamunastaka hai, gangashtak hai.
aise pavitrashtak ka path kiya ja sakta hai. Rajesh kumar ji chandigarh se Radhe-Radhe ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap nirakaar upasna ke pathak the bat aapka satsang sune to naam jap mein ruchi badi inki maharaj ji fanse kahan ho sakar aur nirakaar mein nahi ham kah rahe hain fanse kahan ho akar mein fanse ho na akar mein hi to fanse ho tum nirakaar ho bhaiya tum hi nirakaar ho tumhara swaroop na altra ultrasound mein aa sakta hai na exra mein na siti scan mein aa sakta hai man nahi aa sakta phir swaroop to bahut badi baat hai aaj tak koi mashin vaigyanikon ne nahi banai ki dekho yah man bani hai abhi tak hamen to pata nahi lekin aap log to sansaar mein aaj tak koi desh videsh mein aisi tayyar hui ho mashin ye man dekho yah buddhi yah chitt yah ahankaar kyonki adhyatma masheenri nahi pakar sakti.
adhyatma divya yog marg hai. Divya bhav ke dwara jab ham apne swaroop ka chintan karte hain to hamara swaroop nirakaar hai. Koi akar nahi hai. Power divya power use jo yantr mil jaata hai wahi wah rup dharan kar leta hai. Jaise AC to power sheetalata fenken lagi. Heater power garmi fenken laga. Pankha power hawa fenken lagi. Hydrogen power light fenken laga. Lekin power hai wo wo na pankha hai na AC hai na heater hai na hydrogen hai. Wo power hai. Uska jahan prayog hota hai uske anusaar yantr ke anusaar wo apna swaroop prakashit kar deta hai.
aise hi yah brahm power hai. Suar mein gaya to apne ko suar dekh raha hai. Manushya mein aaya to apne ko manushya dekh raha hai. Lekin yah akar uske to nahi hai na. Yah bijli ka akar thodi hai. Bijli jahan jati hai waise hi apna swaroop prakashit kar deti hai. Yantr ke anusaar lekin bijli ka koi rup nahi hai. Wo ek power hai. Aise hi brahm power hai. Bhagwat power hai jeev. Uska koi rup nahi hai. Kahin padha hai aaj tak ki jeev aisa hai, kala hai, gora hai, lamba hai, choda hai, chhota hai, bada hai. Koi rup nahi.
aap bhi nirakaar ho. Lekin phas gaye akar mein. To jaise kanta lag jae to kante se kanta nikala jaata hai. Talwar se kanta thodi nikala jaega ya hawa se kanta nahi niklegaa. Wo kante jaisi akriti wale yantr se hi kanta niklegaa. To ham akriti se fanse hain. Akar mein fanse hain. To ham akar se hi mukt ho gaye hain. Hamara swaroop to nirakaar hai hi hai. Aur bhagwan ka man chahe sakar chahe nirakaar pehle apne swaroop ko dekh le. Nirakaar hote hue bhi tum akar mein phas gaye. To ab akar se hi nirakaar ki taraf lauto.
bhagwan ke naam ka jab bhagwan ke rup ki aradhna to yah akar yah wala bhul jao jo sharir akar hai isko bhul jao aur wo akar sachchidanandam mein hai to us akar mein tanmay hote hi sansaar ka chintan chhuta to asliyat jo bhi hamare bhav sakar ya nirakaar wo hamare samne prakashit ho jaate hain. Samjh pa rahe hain aap? To khub naam jap karo. Hamari baat man lo. Is chakkar mein na faso aap naam jap kaun sa ab hamse puchoge to ham to Radha naam ke ashik hain ham to kahenge haan to shiv shiv japo sa sada shiv japo theek hai sa sada shiv sa sada shiv aisa japo aur bhagwat gita in shastron ka swadhyay karte raho to buddhi pavitra hokar gyanarjan hoga na to aap satmarg mein age badh jaoge paap aacharan se bacho apvitra bhojan se bacho.
apvitra varta, apvitra vichar inse bacho. Yadi bhagwan ko prapt karna hai to kam sona, kam bolna, kam khana ye teen chijon apne sanyam mein kar le. Vani ko sanyam mein kar le, kam bole. Maun aashray rakhen. Jab bole to uchit bole aur nind char ghante panch ghante paryapt samay so ke barbad na karen. Aur bhojan 400 gram ann mein 24 ghante manushya svasth hokar ji sakta hai. To ham kah rahe hain ek kilo kha lo. 24 ghante mein ek kilo bhojan le lo. Lekin ye nahi ki chidiya ki tarah chugte raho. Ab anton ko chahe jitna faila lo.
aap do roti se kam chalane lago. Aapka abhyaas do roti mein ho jaega. Aap chhah roti to ye thaila hai ise badhate chale jao chahe jitna aur samette chale. To bhojan kam, bolna kam, sona kam to sadhna prarambh ho jaegi. Uchit bhashan, pavitra bhojan, pavitra vichar to param pavitra bhagwan ki prapti ki yogyta ane lagti hai aur khub naam jap karo. Theek hai kaiptan sanjeev kumar sarsat ji maharaj ji ham Vrindavan se bahut dur rahte hain ham dubai mein rahte hain to maharaj ji ham log bhakti mein kaise agradsar ho ki hamen kya karna chahiye ki hamen Vrindavan mein rahkar bhi bhakti nahi ho sakti yadi bhakti na karna chaho to aur bhakti karna chaho to lanka mein bhi vibhishan ji ne bhakti kar li dubai to lanka jaisa to nahi hai ghor nishachri lanka nishchar nikar nivasa yahan kahan sajjan kar vasa to hamen lagta hai bahut se bharatiya dubai mein bhi vas karte hain aur bhakti ke liye koi dubai mein pratikultaa nahi hai lekin lanka mein to bhakti ke liye pratikultaa thi gardan uda di jae agar pata chal jae Ravan ko ki ye bhagwan ka bhakt hai.
to vibhishan ji ne jab wahan bhakti kar li to iska matlab kahin bhi bhakti ki ja sakti hai. Accha bhakti ek hriday ka vishay hai. Bhakti hriday ka bhav hai. Ab aap andar baithe-baithe Radha Radha jap rahe hain. Kaun jane aapse hai nahi? Aur hriday se aap vyakul hain. Bhagwan main to aise desh mein rahta hoon jahan aapki bhakti ka prakash nahi hai. Bade dhanya bhag hain jo braj mein rahte hain jo avdh mein rahte hain jo kashi mein rahte hain. Prabhu meri bhakti kaise banegi? To yah dainyta aur bhagwan ka smaran ye aapko bhaktivan bana dega.
maharaj ji ghar banaya to main ghar ka Vrindavan jaaunga. Haan theek hai bahut sundar hai en kin prakaran bhagwan ki smriti hamare andar ani chahiye ghar mein thakur ji virajman kyon ho haan bahut mata ji bhi seva karti hai aur bachchhe wagairah sab se jude hue hain maharaj haan theek hai khub naam jap karo aur Radha Krishna ki seva karo aur bhagwan ke bhav mein raho sakal bhumi gopal ki ya mein atak kaha koi jagah aisi nahi jahan hamare bhagwan na ho hari vyapak sarvatra samana samana jaise Vrindavan mein hai aise dubai mein bhi hai hari vyapak sarvatra samana prem te pragat hoe main jana bhagwan shankar kah rahe hain yadi prem hriday mein jagrit ho jae to dubai mein Murli manohar dikhayee dene lagenge nahi wahi hai bhagwan aur prem na ho to Vrindavan mein bhi nahi dikhayee denge aap jao bihari ji se aankh ladao Radha vallabh ji se aankh ladao agar prem nahi hai to aapko thoda bhi sukh nahi milega milega aur prem hai to sochkar aapko aansu ane lagenge.
sochkar aapka hriday aandit hone lagega. To prem te prakt hoe main jana. Aur prem prakt hota hai bhajan se aur bhajan hota hai sadhu sang se. Bhajan na hoe sang bin bhajan bina nahi prem chhinhu bhajan na chhadie dharie ya dhruv nem. Yah niyam le lo ki ek kshan bhi bhagwan ka naam nahi bhulenge. To dubai mein rahte hue bhi bhagwat prapti ho jaegi. Theek hai? Aur gande bhojan ka tyag haan kisi bhi tarah jaise ganda bhojan ka matlab hota hai aap mans wagairah to khate hi nahi honge lekin jo mans khate hain unke sang mein ham gaye aur unhone kaha ham tumhen khir puri bana ke pawate hain to unke wo patr jinme mans randha gaya hai agar usmen khir puri to wo ham nahi pa sakte hain.
nahi prabhu ji meri mata ji is bare mein main nevi mein kaiptan hoon to main agar yurop mein bhi ya puri duniya mein kahin jaata hoon to mata ji mujhe ghar ka prasad bana ke deti hai. Haan theek hai pavitra bhojan pala ji theek hai ji aap yahan se nikhil Tiwari ji Kanpur se maidam maharaj ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapne hamesha kaha hai ki ek sainik aur ek sant mein koi antar nahi hota. Donon hi apne kartavya path par ik rahkar rashtr aur manavta ki seva karte hain. Mera aur mere sabhi raksha kshetra ke abhi vidyarthi mitron ne aapse vinarm prashn kiya hai ki ham apne bhitar aise kaun se gun viksit karen?
kaun se adarsh apnaen jisse ek utkrisht aur karya kartavyanishtha sainya adhikari ban sake. Kripya hamen divya gyan dekho jab tak ham adhyatma mein nahi hote tab tak hamari swarth buddhi nasht nahi hoti aur swarth buddhi kabhi divya nahi hone deti. Swarth buddhi niche patan ki or le jati hai. Jab parhit bhavna jagrit ho jati hai tab hamare andar divyta ane lagti hai. Hamare andar jo vishesh shakti jagrit hoti hai wo dusron ke hit ki bhavna se jagrit hoti hai aur dusron ke hit ki bhavna adhyatma se aati hai aur adhyatma bhagwan ke naam jap aur satsang se jagrit hota hai.
yadi ham naam jap karen chahe jahan ho chahe jaise ho aur satsang sune to mano aapko roz satsang mein jane ka saubhagya prapt nahi hai. Aap apni duty pe hain, apne karyapranali pe hain to mobile se to sun sakte hain. Agar aap roz satsang sunte hain aur roz naam jap karte hain to aap adhyatma ko jagrit kar rahe hain. Aap parai stri se sambhog nahi karte. Aap madira nahi pite, aap mans nahi khate. To adhyatma ka jo ankur hai wo vriksh banne ke liye sahayata hai aapki. Jaise vriksh banana ho na to baadh lagai jati hai ki koi bakri aadi chun na jae aur uski sinchai ki jati hai.
to jo adhyatma ka ankuran hota hai wo satsang aur naam jap se hota hai. Aur baadh uski hoti hai. Yahi parhej mans na khain, madira na piye, dusre ka mangal na karen to hamare andar divyta aa jaegi. Aap inko dharan karke dekho. Naam jap aur satsang aur pavitra ahar aur pavitra aacharan to aap mein divyta jagrit ho jaegi. Jitne bhi mahan hue hain wah sab adhyatma se judkar hi hue hain. Rashtr ke prati samarpan bhav adhyatma se hi aata hai. Nahi to aapko jalan ho jaegi. Jaise aapka mamtv parivaar mein adhik hai.
hota hai. Sabka hota hai. Kai mahine se chhuti nahi mili. Adhikari se prarthna karte hain. Wah aapka aswikar kar deta hai. To hamen lagta hai adhyatmvan banne se dhairyvan chalo is bar hamari rikwesta nahi mani. Agli bar man lenge. Agli bar jaenge to kabhi to chhuti milegi hi parivaar jaenge. To ye buddhi jo hamari hai ye shuddh ho jae to ye divya ho jae aur buddhi apvitra hai to sab bekar ho gaya. Ab jaise rashtr ke prati priy bhav aa gaya, dharm bhav aa gaya to aap kabhi rupya lekar ke gaddari nahi karenge apne rashtr ke prati.
aap kabhi dhokha nahi hamare rashtr ko denge. Lekin agar aapki buddhi adhyatmik nahi hai to aapko koi karod do karod de raha hai to aapko lagega na. To parhit ki bhavna ye adhyatma se jagrit hoti hai. Aur adhyatma naam jap aur satsang se aur satsang aur naam jap hamara barabar chalta rahe. Isliye hamen parai stri ka sambhog, madirpan aur mans bhakshan inka tyag kar dena chahiye. Maharaj shri maharaj ji mere mitra hain brahm ye bhi ane wale samay mein pahunch jain karne wale hain. Maim maharaj ji kai kai jagah aisi posting hoti hai jahan pe na chahte hue bhi aapke mukh se hamne suna hai ki agar kabhi kisi insaan ne agar sharab ki bund bhi jaban mein laga di to uska bhramnatwa ka naam suna jaata hai.
maharaj ji kabhi aisi jagah kahin pe posting hai jahan pe tamsik ahar ya jaise siyaching gleshiyar mein wahan pe agar galti se bhi agar kabhi aisa kuch karne ko raha to phir uske liye zaruri hai ki wo karen nahi maharaj ji aisa hota hai to sanshay tak nahi usko na karen bhagwan mein bahut bal hai bachchha har garmi sardi barsat sab kuch sahne kya aise mahatma nahi jo Himalay mein hai kya wah sharab pite hain? Kya wah mans khate hain? Ab vichar karo. Kai kai din bhukhe rahkar bhi barf mein baithkar sadhna karte hain. To wahi to aap bhi ho na.
aap rashtr ke liye sadhna kar rahe hain. Bhagwan ke liye sadhna kar rahe hain. To aap rashtr aur bhagwan donon ko lekar chal rahe hain. To mujhe lagta hai yadi aap nishtavan hain to nahi pina chahiye. Aapko garmi bhagwan denge. Antarik garmi bhagwan denge. Har baat sahne ki samarth bhagwan de dete hain. Zaruri thodi hai ki ashudh padaarth pine se hi aapka sharir rakshan hoga. Nahi hai. Aise bhi bahut se army mein hamari jankari mein log hain jinhone pura jeevan army mein de diya lekin ek bund sharab nahi pi.
to kya wo log aisi jagah taynaat nahi hue kya? Taynaat jarur hue honge lekin wah nishtavan hai. Bahut se maharaj ji vejiteriyan rahte hain jo matlab sharab aadi ka sevan nahi karte aur wahan haan to hamen lagta hai ki aisi nishtha rakhni chahiye kyonki agar ham jara bhi chhut de diye to hazaron log bhrasht ho jaenge to hamen lagta hai ki na ko hi pakde rahe aur char din ki jeevan hai yar rashtr ke liye samarpit jeevan bhagwan ko samarpit jeevan ujjwal bhavishya ujjwal jeevan kahe ko ganda karen bhai rashtr to sab vyvastha aapki karega lekin lekin nahi aap dharmatma hai aur rashtr sevak hain to aapko nahi khana chahiye kyonki aur bhi suvida hai na bina uske bhi to jiya ja sakta hai aur shakti aati hai dharm mein shakti dharm mein aati hai kitni badi shakti hamare deshwasiyon mein ki jai hind bolkar phansi ke phande par jhoom gaye nahi jhoom gaye to ham unhin ke vanshaj hain.
ham unhin ke ansh hain. To ham rashtr ke liye utna prayas karenge ki hamara rashtr vijay ho. Rashtr hamara sukhi ho wahi aapki bhavna aapka mangal kar degi. Chirag ji Mathura se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji nakaratmak vichar mujhse paap karva dete hain maharaj ji aise vicharon ko main kaise dur karun maharaj ji sat vichar asat vichar ye do buddhiyan hamare andar hai kumti aur sumati jahan kumti badhti hai to phir asat vichar bas nakaratmak soch jo negative soch hai haan ye isko hatane ke liye pehle bhojan shuddh karo phir naam jap shastr swadhyay satsang suno isse bada labh milega bhojan shuddh karo koi nasha to kaise kaise buddhi shuddh kaise hogi jab ham
ashudh chijon ka sevan karenge to hamari buddhi ashudh hogi aur shuddh chijon ka sevan karenge to jaise jaisa khao ann vaisa bane man jaisa piyo pani waisi bane vani pehle matlab bada matlab pata rahta tha ki ye galat hai ham nahi karte the bat dhire-dhire pata nahi ya to sansarik logon ko dekh ke matlab buddhi malan ho jaate hain to aaj hamare paas aap aae hain to ek niyam lijiye ki jo bhi aap nasha karte hain use chhod dijiye agar sudhna chahte nahi sudhna chahte to mat lijiye kyonki hamare paas ane ka kuch to labh milna chahiye.
hamare sang ka labh yahi hai ki aapka nash karne wali baat, aapka patan karne wali baat, aapko dukh dene wali baten khatm ho jae. To aap pehle nasha chhodie. Ab chhod do. Aaj se chhod do. Koi nasha nahi karoge. Jiya ja sakta hai. Bina nashe ke jiya ja sakta hai. Lakho log jite hain bina nashe ke. Yah to buddhi ki malinta hai jo log aisa ki main bina nashe ke jaise matlab usmen yah lagta tha ki isse main tanav mukt ho jaaunga bat us vah tanav mukt hone ke liye shastr mein nahi ek saikil nahi chala sakta.
tanav mukt ho raha hai. Motorcycle le muhn bhara ke rath sharab pine walon ki durdasha hai. Sharab sharir ke liye hanikarak hai. Dharm nasht karti hai. Buddhi bhrasht karti hai. Kaun sharab pikar unnati ko prapt hua hai. Adhyatmik ya laukik vichar karke dekhiye. Zyada pi lo to pare pare laghu shanka karo. Kahin nali mein pare ho kahan pare ho? Koi hosh nahi. Tanav mukt hona hai to Radha naam ka dhyan kijiye. Tanav mukt ho jaenge. Janmajanma ka tanav nasht ho jaega. Pehle vyasan chhodie aur bhojan shuddh bhojan mein kya shuddh hai?
bazar ka bahut khata hoon. Ab ghar ka shuru kar haan bhojan shuddh kijiye. Tabhi negative buddhi ko ham control kar payenge. Nahi to usko jab rajoguni tamoguni bhojan milega to negative hi soch phenkegi. Aur yah negative badh jae to depression mein pahuncha de. Thoda sa thoda sa anubhav hai. Haan nahi bahut khtrnak hai. Yah zyada negative ho jae to aapko aapke hath se aapki hatya kara dega. Bahut khtrnak hai. Negative vichar. Jab apne ko aisa mehsus kar lete hain ki ab jeena kis kam ka? To kitne log hain jahr kha lete hain.
kitne log hain suit kar lete hain. Kar lete hain. Yah bahut khtrnak hai. Isko sudharo. Bhojan sudharo aur nasha to aaj se karna mat kyonki aap hamare samne niyam le rahe hain. Ab agar toda phir kaise jahan se uthna hai wahin ki baten agar chhod di wahan ka niyam chhod diya to phir kahan uthoge? Matlab girne ke to lakho chans hai lekin uthne ke chans kam milte hain. Ye bhagwan ne aapko chans diya hai. Aap uth jaiye. Aap galat mat kijiye aur naam jap kijiye. Theek hai?
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…
- pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye? — punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna…