॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #6 · 8 november 2022

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

aman Sharma ji shri Harivansh param pujya shri Sadgurudev bhagwan ke charan kamlo mein anant koti dandvat pranam Gurudev vihaar jagat mein agar koi hamare saath adharm aacharan karen spasht chhal mithya bhashan va mansik klesh aisi paristhiti mein mujhe tatkaal krodh evam badla lene ki bhavna sphurad hoti hai nahi kari ismen kya hai ki agar aapke andar se aisi tamogun pratikriya hogi to aapka bhajan bhav nasht ho jaega uska kya nasht hoga wo to baad ki baat hai aapki hani ho jaegi krodh karne se na samne wale ka labh hota hai na aapka labh hota hai krodh ek mahan punya nashak shatru hai paramarth sansari aadmi to nahi samjhta par paramarth ka sadhak is baat ko samjhta hai jaise koi hamen katu bhashan ya hamare saath chhal kar raha hai kapt kar raha hai wah hamko barabar dabae ja raha hai to ham prabhu se prarthna karen prabhu aap dekh rahe ho yad aap hi iske hriday mein baithe ho aur meri samarth nahi ki main sah saku ya to isko badal do ya mere ko samarth de do ki main sah jau pratikriya karne se koi labh nahi

milta bahut si aisi ghatnayen hoti hain ek aadmi ka khet khet ki med hoti hai na med ko khurpi se kaata jaata tha ab har bar har jutai mein kaata hi jaata tha idhar wala sah raha tha ab ek sima hoti va jab sima bhi ullanghhan kar diya usne usko mara marne mein va mar gaya bahut zyada mar diya voh to mar gaya aur yah jail gaye pure aajeevan ki saja hui donon khet pare bevkuphi ho gayi na wah kitna kaata agar wah aapki med ko kaat ke andar ghusta to samaj hai aap samaj vyvastha ka prayog kijiye report kijiye marne ka marne se kya hua aap jail gaye aur wah mar gaya donon ka amangal ho gaya to krodh ne kar diya na amangal krodh se aaj tak kisi ka bhi hit nahi hua na krodh karne wale ka na jisse ham krodh karte hain uska isliye hamen chahiye ki krodh kahan se aata hai hamen dekhna hai krodh kam se aata hai kama Sanjay krodha krodha smati vibhram smriti bhat buddhi nas buddhi nasa pranati agar ham pratikriya karte hain to dves ban jaata hai agar ham sah jaate hain to ham par prabhu kripalu hote hain

jab prabhu kripa karenge to sab anukulta hi anukulta rahegi siddhanta mein sahna chahiye hamara jo marg hai va aur phir jab age baat aati hai tab aap apne control mein rahenge phir jo hona ho jaega usmen prashn ki zaroorat nahi hai bhagwan aapke dwara phir jo karana chahte ho jaega apne ko sahna hai aur bhagwan phir kya karate hain va aapki bas ki baat nahi hogi ho jaega jo hona hoga samjh rahe aur jab age sima mein badh jaega to aapke andar hi prabhu baith kar ke aise bal purvak karya kara lenge jo aapse

hone wala hi nahi tha wah swayam karva lenge usmen phir aur wo age sab barabar kar denge nipta denge aisa bhi ho jaega isliye chahiye to y ki ham sahan karte rahe aur phir age prabhu jaisa karvana chaenge vaisa ho jaega usmen aapka hi nahi hai pha ho jaega jaisa la harapreet ji Kanada se Radhe Radhe maharaj shri maharaj shri man hamesha udas bhayabhit aur ashant rahta hai ha kyonki sahi aashray nahi hai na ab jiska bhi aashray liya maran dharma hai jiski taraf bhi dekhte ho sab kal ke gal mein jane wala hai udas to hohi jaega man niras to hohi jaega abhi bap anand mein ho jaenge yadi shri Krishna ke charnon ka aashray le le priyaj ke to ek avinashi bal mila na ya kuch bhi ho mere prabhu to hai hi na kahan kahin bhi ham jae hamare bhagwan to hai na par yah baat tabhi aayegi jab aap bhajan karoge bhagwan ke sharanagat ho ga bhagwan ke ashrit ho ga to aapko anubhav hone lage phir nahi bah rahta pha udas nahi rahta phir chinta nahi rahti ki kaise chalega hamara jeevan anant brahmand hai na sabka bharan poshan ho raha sabka jin

pashu ko kuntal mas chahiye pet bharne ke liye unko wo mil raha hai chiti ko ek chhota dan uske liye wo sabki vyvastha bhagwan kaise kar rahe pashu pakshi anant jeevan ka bharan poshan kar rahe hain phir aise balshali prabhu ka jab aashray ho jaega to hamen bhay nahi rahega aur hamari har asha purn karne mein samarth hai to agar koi asha nahi purn ho rahi to usko nahi purn hone mein hi hamara mangal hai mangal bh bhagwan mangal bhavan wo amangal nahi hone denge ham jante hain ki ye asha hamari puri ho jae to mangal hoga lekin aapki soch thodi hai wo age ki dekh rahe hain ki agar ye asha purn ho gayi to ya mangal ho jaega ya fas jaega maya mein to kripalu bhagwan wahi karenge jisse hamara mangal ho thoda dekhne mein jarur lagta hai ki ismen kya mangal hai hai uska antim parinaam bada mangalmay hoga par bhagwan par bharosa rakh ke achhche aacharan ka sabko i janta hai accha hi phal hota hai ye sabko i janta hai agar aap achhche aacharan karenge bhajan karenge bhagwat ashrit rahenge to purv jo paap hai wo nasht honge aur jo paap ke vidhan

se sharir bana hai usmen dukh aayega kasht aayega aur usko sahne ki samarth bhi aap mein aa jaegi isliye ye jo nirasha hai nirbalta hai udasi hai ye honi hi chahiye kyonki hamne sahi jagah aashray nahi liya aur jab sahi aashray le loge to aandit ho jaoge sahi aashray hai prabhu ke charnarvind ka aashray unke naam ka aashray isi se anand ki prapti hog nahi to bilkul asahay ho jaata hai ji kai aisi paristhitiyan aati hain va phir soch kaise hoga to ham to apne jeevan ke liye keval kaise sochte ho wo anant jeevan ka bharan poshan kar rahe hain aise prabhu ka ham hai unke bhagwan ka ansh hai na ji itna to pata hoga hi to ham hai na unke na ansh ka matlab hota hai jaise pita ka ansh putr hota hai to aise hi ham bhagwan ke andar yar itne bade ghar ke hokar ham footpath mein do do rupya mangte ghume bejjati baat hai itne balshali prabhu kyonki hamen dar lag raha hai matlab apne prabhu ka bharosa nahi isiliye dar lag raha hai nahi to aisa nahi har samay bhagwan uski raksha mein apni shaktyon ko taynaat rakhte hain jo purn

rup se bhagwan ke ashrit ho gaya isliye nirasha balheenta udasinta inse bachne ke liye bhagwan ka aashray lo unke naam ka jap karo achhche aacharan karo gande aacharan mat sharab pite ho kya haan mans nahi khate bas gande aa charnon se bacho accha to ye jo udasinta hai ek tarah se sanket hai ki aap abhi sahi thikane pe nahi ho nahi to aa jaega bal aap khud dekhoge dusron ko samjhane lagoge jab wo bal aa jaega na andar to aap aise dhan nahi hai vyvastha nahi hai koi pyar nahi karta hai sharir rog se grasit par aap muskurao ga kyonki aapko connection bahut bade se hai isliye aap aandit raho yahan sab kuch hai phir bhi aap nirash rahoge kyonki jo hamari chah hai na wo keval bhagwan ke ham jaan nahi rahe jaise man kahta hai ki ye bhog mil jae to ham raji ho jaenge wo bhog dusre ke paas hai wo raji kyon nahi hai wah kisi aur baat ke liye wo kisi aur baat ya tumhen hi wo bhog mil jae to phir koi aur baat khadi ho jaegi matlab hamari maang abhi puri nahi hui aur dekho kevat bhagwan ke charan dho raha hai jab to kah raha ab

kachu nath chahe ho gayi maang puri ab nahi chahiye bhagwan ka le lo Siya ji ki anguthi de rahe kitni badi baat hai pran Priya shri Janaki ji ki anguthi de rahe hain bhagwan prasann hokar le lo le lo na ab kach bahut mil gaya aapke charan ye ab ati anand u mag anurag ab kach na ab nahi chae kyonki anand sindhu prabhu apne ho gaya prabhu se kah rahe ham nahi chahiye kuch nahi chahiye ab nahi chahiye hamari chah tabhi purn hogi jab ham prabhu ke charnon ka aashray lenge raghav thakkar ji Radha bal shri Harivansh Gurudev Gurudev mera man tabla bajane aur bhajan gayan mein lagta hai aapke dwara diye gaye Radha naam mein mera man chanchal ho jaata hai aur tikta nahi hai to kaun se bhajan mein tabla bajane mein tum man lagta hai batao kaun sa bhajan kaun sa bhajan nahi mata hamen ek line batao ki ye bhajan jaise savar do seva supar satsang jholi mein mere bhar bas yahi bhajan hai gate raho dhire-dhire jab ye maang puri ho jaegi na seva sumiran satsang yah jab jholi mein aa jaega to Radha naam pran priy lagne lagega bajao theek hai aise sikho

baja kabhi shri ji ke samne bhi akar bajao shri ji ke samne gao ham tumh avsar denge theek hai na tum achhche se ha to thoda aur seekh lo pha ham shri ji ke samne baitha lenge aap suna dena shri ji ko theek hai achhche bache jai jai shri karti hai kya bhul hue hamare kela nahi hai lagaya ke liye kaat rahe the ba kar cheki pooch lal hoti hai ha hota haina kat karke se karne laga tab dekho ismen ek baat ab achhche se samjh lijiye ki aapka jeevan bhagwan ka samarpit yantr hai aur bhagwan ke dwara teen leela hoti hai

srijan karna palan karna aur sanghar karna tino lilaon mein yadi kahin bhi aap apne ko karta manenge to fas jaenge na aap ke dwara srijan hota hai na aap ke dwara palan hota hai aur nap ke dwara sanghar hota hai accha janbujh kar ke agar ham kisi jeev ki hatya karte hain to usmen karta bhav hota hai hamara uddeshya hai kuch aur aur kriya kuch ho jati hai aur uske ham bilkul karta nahi hai na chahte the na chaenge to phir uska koi dand nahi hota uske liye sochna nahi hai aur yah vinash leela bhi bhagwan ki hi leela hai sampurn jagat ka sanghar wahi karte hain sab sampurn jagat ki srishti wahi karte hain to palan bhi wahi karte hain to aap apne upar koi bhaar mat rakhiye ab sab bhaar sharan prabhu ke charnon mein wah bhajan karvawe wo jo karvawe bas aise bhav se raho na haan shok mat karo ki aisa kuch hoga bhakt hriday mein aisa hota hai aisa shokh hota hai par aapne koi janbujh ke thodi kiya hai na haan isliye aap aandit rahie theek hai aap pra vishal ji shri Harivansh Gurudev aapke shri charnon mein koti koti naman Gurudev

aapke ek satsang mein suna tha ki thakur ji hamse milne din mein ek bar jarur ate hain to unhen kaise pehchan din mein ek bar kya wo har samay rahte hain kisi sujh wali aankh ne pehchan ki kan kan mein jhaki bhagwan ki jab tak sharir hai sharir ke bhogon mein sukh hai to aapko vastu vyakti padaarth dikhayee dega samjhna aur jahan sharir rag aur sharir ke bhogon ka sukh bhav nasht hua aur andar se bhagwat jagrit hua to aapko sirf bhagwan hi bhagwan hai aisa dikhayee dega wah hamare paas hi hai hamare samip hi hai aur itne samip hai ki koi aur unse zyada hamara sameepwarti koi hai nahi bas hamari drishti abhi maya trigun ke pade se yukt hai na isiliye hamko jad aur chaitanya dikhayee deta hai nahi to bhagwan ko khojne ki zaroorat nahi hai ja ko Manmohan drishti pare sot bhyo savan ko andhra sujh rang hare hi hare jaise savan mein koi andha ho jae u ba mahina hara hi nazar aayega aise hi jad chaitanya kachu nahi dit jit dekht tit Shyam khade bahal bikal sambhar tan ki ghumat Naina rup bhare karni a karni do vidhi bhule vidhi nishedh sab rahe

dhare nar haridas te bhae bavare e aap prem pravah kare satya vastu bhagwan hai hai basav jo hai ko ham nahi dekh pa rahe yahi maya hai aur jo nahi hai wah satya dikhayee de raha hai yahi maya ka chamatkar hai nahi hai par dikhayee de raha hai aur hai par dikhayee nahi de raha isi maya ko hatane ke liye bhakti hai bahut samarth shali hai agar ham prabhu ka naam jab prabhu ki seva prabhu ki aradhna aur ssukh vanchhan jo ham bhogon mein sukh lene ki vriti rakhte hain yahi vritti andhkar hai yahi vritti mal hai yah vritti johi hategi to nirmal man ho jaega man ka mal hai vasna nana prakaar ke bhogon mein sukh khojana yahi mal hai kamna hi mal hai bhogon ki sukh buddhi mal hai aur jab tak mal hai tab tak phir darshan nahi hoga sab mal hata mamta mar mamta mal mar jae jar jae jaha nasht hui mamta kamna nasht hui to aapko phir sochna nahi padega ki prabhu hai kya wahi nazar aaenge dekho gopi jan ko sochna thodi pa jit dekho tit Shyam mein apne pritam ko hi dekh rahe hain wahi hai satya wahi hai goswami ji ko dikhayee diya jad chetan jag jeev

jat sakal Ram mein jaan hamen to nahi dikhayee diya kyonki ham sansaar mein sukh bhog rahe hain to hamen jad chaitanya dikhayee dega accha bura dikhayee dega stri purush dikhayee dega uttam adham dikhayee dega yah maya jahan bhakti hoti hai bhakti ka charm avastha ka phal yahi hai sarvatra apne prabhu ko bhakt dekhta hai to khub naam jap karo shri ji ki seva karo aur satsang suno aur koi bhi galat aacharan sansaar mein jo nishedh kiye gaye wo na hone pave grihasth dharm mein wo grihasth dharm ke anusaar jo hai bhagwat prasad swaroop mankar bhagwat seva man kar ke unhi vishyon ka sevan karo jise shastr vidhan karta hai aur jise nishedh karta hai wah kabhi nahi kare to dhire dhire hriday nirmal hoga nirmal jan man so mohi pava prapt ho jaenge bhagwan dikhayee denge wahi sab rupon mein aisa anubhav mein aa jae kathin isliye lagta hai ki ham itne deh abhimani hai itna hamara bhogon mein rag hai kiy sab baten baten keval lagti hai aisa lagta kaise hat paunga shuruaat to kar de jawan kabhi thakne nahi chahiye Radha Radha Radha Radha har karya

karte hue Radha vallabh jaise bhaura gungunata hai na aise gungunate ho pha dekho aap kya ho jaata hai do lakdiyaan ke gharshan se agni paida ho jati hai aranya manthan isi se to hota aise hi ham apni jawan aur naam donon ko ragde isse wo gyana agni prakt ho gayi ki sab ka bhasm ho jaenge par ragadna padega naam jih jap jag jogi parmarathi prapanch viyogi naam jap karke hi jogi gyan mein jag jaate hain aur prapanch ka tyag kar dete hain maya ka tyag kar dete hain naam jab tak naam mein nirantrta nahi tab tak maya mal phenk rahegi kamnayen vasna hamare hriday ko ganda karti rahe aur phir log kahte varsh ho gaye 20 varsh ho gaye bhajan karte koi labh nahi hua kyonki khidkiyan khuli rakhe ho pocha jarur lagae aur dhul ai ek kshan mein sab ganda kar gaya thoda khidki band karo dekhna indriyon ke na ghode bage raat din inam sanyam ke kode lage niyam purvak aur bahut samay tak apne ko pavitra rakhkar matlab gande aacharan na karke aur naam jap kiya to anubhav mein aa jaega kyonki bhagwan satya hai unka marg satya hai aur

samasth mahapurushon ne isi marg se bhagwan ko prapt kiya hai raas ras dahni sah chari mere pyare Gurudev bhagwan ke charnon mein koti pranam maharaj ji bahut prayas karne par bhi jo aapne sharanagat mantr diya usmen man nahi baith raha ek sal se Vrindavan vas bhi kar rahe hain pratikultaa en bimari rup se aa rahi hain aisa kaun sa aparadh ban gaya hai ki bahar se to dainya hota dikhti hai par andar se nahi santo ke prati bhi kripya karke mujh din hind ka margdarshan karen haan koi baat nahi hai jab ham kisi ke naam mein makan karte hain uska jala uski chhipkali uska sab accha bura sab uske naam ho jaata hai yadi ham sharanagat hai to hamari achchhi buri vrittiya achhche bure bhav sab prabhu ke charnon mein samarpit hai ab nishcint hokar ke agar sharanagat mantr mein man nahi lagta to Radha Radha Radha vallabh shri Harivansh chaturashram hua mantr mein man lagna kathin hota hai kyonki mantr sidhe man ko marta hai man marna chahta nahi isliye mantr mein jaldi lagta nahi chalo naam mein aao hamare paas to bahut se

astr hain har vyvastha fit rakhta hai ki ham shatru ko parast hi kar denge aise hamare paas Radha naam hai Radha vallabh shri Harivansh naam hai sharanagat mantr hai nij mantr hai chatura ji shuda nidhi ba ye sab astr hai ham apne man ki vasnaon ko marne ke liye inka prayog man ka raha hamen kahin man nahi lagta hai kirtan laga diya mobile mein chal raha baithe sun rahe sun kan se sun ek kisi indri se to sun lag accha bilkul nahi lag raha darwaza band kiya so gaye koi paap karm nahi karenge gande logon se nahi milenge bas theek ho jaega ye aur ahankaar bina guru ki agyaa pe rahe ye ahankaar nasht nahi hota tapasya karo to tapasya ka ahankaar ho jaega vrat raho to vrat ka ahankaar ho jaega dan karo to dan ka ahankaar ho jaega jap mein baitho to kai ghante main jap karta hoon dekho sadhu ho ke utna jap nahi karte main karta hoon itne ghante va ahankaar aa jaega aur jab guru charnon ka aashray lekar unki agyaa ke anusaar chala jaata hai to lagta hai main to nich hoon agar guru kripa ham par na hoti to hamse kuch

ho hi nahi sakta tha ye jo kuch ho raha hai guru kripa se ho raha ahankaar khatm ho jaega ahankaar nasht tniki sangati rahat jati kul mad saban jo rasik mahapurush hai gurjan unke adesh ke anusaar chalne se ahankaar ka nash ho jaata hai to ham bhajan mein lage yah hamara man sharanagat mantr mein nahi lagta to kyon nahi lagta zabardasti lagaenge isko chhut thodi deni hai ki tumhara man nahi lagta to nahi lagta to koi baat nahi ham baithe hain andar se jaban hilakar upansu jap kar rahe hain kya karega man kahan jaega to bhag main kahin nahi ja raha bhag tu kahan bhagega hamare bina uski koi satta nahi hai to hamen darna nahi hai bachchon ki tarah nahi dar jana ki are man to vishay maang raha hai aap kya karen maang mangne do uska bachchha hai wo kah de ki ham aag se khelnge jahr khaenge to ham de denge kya aise man bachchha hai vishyon mein ghumta raha hai dant lagao usko nahi yah tumhare yogya baat nahi nahi denge yah tumhen khana hi padega tumhen karna hi padega jaise maa bachchhe ko doodh pilati pa

thappad bhi marti pi doodh usmen maa ka kya hai pyar hai usko svasth rakhna hai aise hi man hai jap naam jap naam jap nahi japega theek hai aaj bhojan band tera jab tu itna naam jap lega tabhi tere ko roti milenge ana padega line mein ana padega use ab jaega kahan hamare paas guru kripa hai aradhya dev ki kripa hai dham ki kripa hai ab hamen parast nahi kar sakta man yah baat samjhni hogi lita sakhi pyare Gurudev ke charnon mein koti naman Gurudev mera bhajan ruk raha hai kripya margdarshan karen jo buddhi bhajan ko samjhae ki ruk raha hai usi buddhi se kaho ki shuru kar age badha kaise ruk bhajan koi swabhavic thodi hota hai bhajan to karna hota hai sadhak ko swabhavic to siddho ka hota hai jinka swabhavic hota hai unko kuch kabhi prashn nahi uth sakta kyonki wah to usmen paripakva ho chuke hain sadhak ko karna hota hai siddh ka hota hai to aap mera bhajan ruk raha hai sadhak ho ho aur us par jor lagao man nahi lag raha bhajan mein bilkul ashanti hai manjeera uthaya Radha Radha Radha Radha ra param bhajan ho raha

majeera nahi Radha Radha Radha Radha Radha Radha bhajan ho raha hai ab usmen man ki chakkar mein par ke to phir bakwas hi rah jaegi baat to banegi nahi hamen ladna padega jab kisi yodha ko parast karna hota hai to sab dav chalae jaate hain akhiri danv tak hamen ladna hota hai man rupi yodha ko parast karne ke liye hamen har dav chalana hai wo ekdam ashant ho raha hai ham kirtan Radha wo kahega nahi bolna hai ham Radha Radha aur jor se bolenge Radha Radha usko harna padega hamare paas Radha naam hai ab dekho ismen lagoge nahi to aisa koi jadu koi nahi kar dega yah sab kahne sunne ki baten hain ki unhone aise kaha aise kuch nahi hone wala aise waise kuch nahi sab natak hai pakki baat man lo baat banegi tumhare man ko bhajan mein lagna padega goswami tulsidas ji kahte hain bar mathe grat hoy baru sikata te baru tel binu hari bhajan na bhav tari yah siddhant apel chahe balu ke tum perne se tel nikal lo pani ke mathne se chahe tum makhan nikal lo niklegaa kya nahi asamabhav ko tum sambhav kar lo man

sakte hain lekin lekin bina bhajan ke is sansaar samudra se tum par nahi ho sakte bhajan karna padega bhajan hota siddho ka hai jinhone pure jeevan ragad ki hai ab abhyaas ho gaya hai uthte baithe chalte phirte st ho raha hai ab unko thodi ki ruk gaya apne logon ko karna padega khub raat din ragad karo prabhu ka aashray lekar dhire-dhire bhakti maharani ki kripa se maya maharani apni leela samet lenge ham age badh jaenge prabhu ke marg mein nitin Kashyap ji Sadgurudev bhagwan ke charnon mein koti koti

pranam Gurudev main aapke charnarvind mein apna atma samarpan karta hoon he Gurudev yadi ham sabhi jeev prabhu ke ansh hai to prabhu ne pehle hamen is sansaar mein bheja aur abhi apni maya mein hamen fasaya phir updesh kar rahe hain ki nirantar mera smaran kar mujh mujhe hi prapt hoga he Gurudev is rahasya ko samjhane ki kripa karen asheel baat bachchha prabhu hi apne aap se apne aap mein khel rahe hain baat yah hai dusra koi nahi hai wahi maya hai wahi jeev hai wahi bandhan hai wahi moksh hai Upnishad kahta hai bhagwan ne aisa sankalp kiya ek ko ham bahu Shyam bahut rupam ho gaye 84 lakh yoniyon ka ye jad chaitanya sh wahi ek ko ham bahu shyama jaise aapne Shrimad bhagwat mein brahma ji jab bacchhron ka haran karte hain aur phir skhav ka bhi haran kar lete hain is leela ko padha hai bhagwan bachhde ban gaye aur bhagwan sakha ban gaye sakha ki kurta bhi ban gaye sakha ka paijama bhi ban gaye dhoti bhi ban gaye sakha jo jo chhadi chhaka rassi sab bane na bhagwan bhagwan bane na aise wo us samay ki baat nahi yah puri baat hai jad chaitanya sab kuch bhagwan bane hue

ab ham yah baat bhul gaye ki hamara swaroop kya hai ek chaupai agar suni ho sva jane ja dev janai to kya likha hai janat tumh jab aap janoge to kya janoge ki aap bhi wahi hai samjh rahe ho na rahasya ko samjhna chahiye kisi bhi khel ke antarik raas ko samjh jaoge to khel par vijay prapt kar loge jab koi yahan jaan pata hai to yahi jaan pata hai wahi main hoon jiski main khoj kar raha tha dusra koi nahi abhi ham main isko man rahe sharir ko indriyon ko man ko buddhi ko aur inko main mankar bhogon mein utar gaye isi galti ka dand mil raha hai aur wo bhi dand bhram hai satya nahi hai kyonki sa satya tumhare swaroop mein koi kharoch paida kar sake aisa aaj tak astr hi nahi paida hua naynam chhindanti shastrani naynam ti pavak nachan kle depan shosh maruta phir bhi tum mar rahe ho phir bhi tum jal rahe ho phir bhi tum klesh ho phir bhi tum nana prakaar ke dukh se dukhi ho yah tumhara bhram hai bhagwan aur tum ek hi jati ke ho ek hi dhatu ke bane ho jaise bhagwan mein kharoch nahi paida ho sakti aise tumhare swaroop mein

nahi ho sakti jaise bhagwan sukh sindhu hai na to tum kya ho chetan amal sahaj sukh rashi ho na wo chaitanya ghan hai tum bhi chaitanya ghan wo amal hai tum bhi to amal ho ho kya gaya a mal ko pakar liya yah sharir sharir ke bhog kamnayen vasna yah sab mal hai isi se ham apne swaroop ko bhul gaye nahi to sab bhagwat swaroop hi hai jahan aisi bhavna siddh hui bhagwan ne ki sa matma su durlabh tam khatm dure srishti aadi vata khatm uske samne srishti nahi hai uske samne keval jaise kanch ke mahal mein khade ho jao to tum hi tum dikhayee doge na tum hi tum dikhayee doge to ab is tum ko chahe idhar rakh lo chahe idhar rakh lo idhar rakh lo to bhakti hai samne andar rakh lo to gyan hai gyan mein ham brahmasmi aur bhakti mein tu hi tu hai gyan mein main aur bhakti mein tu maya mein main aur tu fase kahan ho na main mein ho na ta mein ho main tu mein ho main aur mor torat maya iska naam maya hai aur main hi main hoon aham brahma ye gyan ki charm avastha aur tu hi tu hai jidhar dekhta hoon tu hi rama ho yah bhakti ki charm

avastha hai khel hai samjho yah do ka khel nahi hai ek ka hai samit jao ek mein aa jao phir dikhayee dega ha ek hi hai dusra nahi brahma ji ne dekha bachhde aur sakha ko to hamne sula diya apni maya ke dwara yah kaun hai utne waise hi rang ke waise hi sakha utni avastha utni chhadi chhi ka sab bhagwan ne gyan drishti va shri Krishna hi bane hue wahi bachhde bane wahi sab bane hue bacchhron ke gale mein ghanti to ghanti bhi shri Krishna rassi bhi shri Krishna sab shri Krishna saaf shri Krishna aur ek varsh tak prbh karke

dikhayee ek varsh tak yahan ka ek varsh brahmlok ka kitna jaise aise kamal ki pankhudi li aur sui se chheda itne samay wahan ka brahm lok ka yahan ke ek varsh ho gaya bhagwan ne kisi ko fasaya nahi hai bhagwan apne aap mein fas gaye hain isiliye aap apne dwara apna udhar kar lijiye koi koi samasya aa samudra ke upar jo tarang dol rahi hai wo aur kuch nahi samudra hi hai tarang naam keval isliye para ki usmen vayu ghus gaya vayu shant hogi to shant samudra y tarang ka koi satta nahi rahegi rahegi koi tarang

ki vayu khatm tarang naam kuch hai nahi keval samudra samudra hai maya ka vikar khatm to keval brahm hi brahm hai bhagwan hi bhagwan koi dusra nahi bas thoda upasna ke usmen age badho tab samjh mein aa jaega wah apne aap se apne aap mein khel rahe hain aap unse alag apne ko man gaye isiliye dukhi ho rahe ho prabhu se aap alag man apni satta sthaapit ki isliye tumhen dand mil raha hai isliye tum dukhi ho rahe ho man rahe ho na alag prabhu se apne ko agar koi bhi baat kare to isi par hokar baat karega ki

main andar y baitha hua hai gyan vigyan bago chahe jitna yah andar baitha hua hai main matlab yah main yah main yah baat badi kathin hai jadapi masha par chhutti kathin isliye phir mani sankhya se sawal har kar lete hain na prabhu hamare Gurudev hai Gurudev hamare prabhu hai aur unki agyaa ka palan kiya to pahunch gaye kahan pahunch gaye jo wo hai wahi main jab pata chala to kuch aur nikle le wahi ab wo jeevan mukt ho gaya jeevan mukt kab hua unko jaan gaya unko kinko apne ko jaan gaya chahe idhar janoge to idhar ka anubhav ho jaega idhar janoge to idhar ka anubhav ho jaega bhagwan shri Ram ka mam darshan phal param anupa jeev pav nij sah swaroopa jab koi mara darshan pata hai to use swaroop bodh ho jaata hai gyan ho jaata hai kya ki ab main aur tu nahi raha udhar bhi wahi ek bar shri hanuman ji maharaj Ram ji ke charnon ko aise aise sahla rahe the to Vashisht ji aur bhi bade-bade gyani mahatma baithe the to hanuman ji ke shri mukh se sunne ke liye kaha hanuman tum kaun ho aur inse kya sambandh hai man jine sharir bhav se main

das hoon aur yah mere Swami hai jeev bhav se main ansh hoon aur yah mere ansi hain aur swaroop bhav se jo simhasaan mein virajman hai wahi yahan virajman samjh paye to aap kis bhav mein hai swaroop bhav se jo simhasaan mein Siyaram virajman hai faad ke bhi dikha diya lo yahan bhi virajman hai khel ek ka hi ho raha hai basantar jaise janne wala nath kundal har aur bhi shringar ke abhushan usmen ek hi baat bolegaa sona hai waise bahut naam rup de diye gaye nath hai kankan hai yah hai yah bolo kuch bhi hai kya sona hai bolo kuch bhi hai kya shri Krishna samjh mein aa raha hai aa jaega to mahatma ban jaoge andar se nahi samjh mein aayega to isi mein bhatkan shuru rahti hai sare shastr rishi ko samjha rahe Sanjay Dwivedi ji gyaneshwari Dwivedi ji shri Harivansh sashtang navat pranam bhagwan bhagwan brahmin parivaar mein janm hone se bachpan mein hi jajya pavit hua Gayatri sandhya aur aadi karte rahe vigat dedh varsh se bholenath ji ka abhishek kar rahe the eesta ko lekar bade bhram the phir teen char maah se aapko suna tab dhire-dhire

bhram jaate rahe aur sarkar ke shri charnon mein priti hone lagi 40 din se Gayatri anusthan kar rahe hain aur Radha naam jap kar rahe hain ki aapki kripa prapt ho maharaj ji aapne sharanagati ke liye prarthna kiya bhagwan sanskrit mein emae phd aur shastriya sangit sikha hai sangit mein se ajeevika nirvah ho rahi hai 90 par sant bhakton ke bhakti pad bhajan aadi gate hain parantu kabhi-kabhi bhajan ke atirikt bhi kuch geet gane padte hain parantu filmi gaan kabhi nahi gate ji ga sakte hain kah rahe kabhi dusre ga padhte hain dekho jaise isko ham is rup mein lete hain jaise aap shri ji ke sharanagat ho aur aapko shri ji ke parivaar ka palan poshan karne ke liye fawda chalana pare vyapar karna pare nokri karna pare to aap use karoge na aise hi agar aap kisi samaj mein jaate hain aur arth prapti ke liye aapko aise gane padte hain to koi usmen baat nahi hai us arth ke dwara shri ji ki seva aur jo shri ji ka parivaar uska bharan poshan ho raha hai to usko ham upasna mein nahi lete wo to hamare seva ke liye

arth chahne ki jeevika hai jab upasna ki baat aayegi to phir rasna kato jan rato niran phato nan shravan phato jo ansan shri Radha jas yah hamare personal hriday ki baat vihaar mein utrna padega to jo kam hoga wo hamen karna padega malo kisan aadmi hai pura boega fasal kateega aur usse jo paida hua shri ji ka parivaar atithi sant seva isse hogi aise hi arth ki prapti ke liye yadi aapne sangit sikha hai aur usko gate hain arth milta hai to yah aapke jeev ka uparjan ke liye hai y aapki upasna thodi hai usmen aap jo bhi gana pare jaise bhi gana pare par apni antarik sthiti ko shri kishori kishor ji ke charnon mein rakhna hai koi pareshani nahi

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…