ekantik vartalaap evam darshan #37 · 9 december 2022
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
hari Om Radhavallabh shri Harivansh Gurudev aapke charnon mein dandvat pranam Gurudev meri ek ladki ke prati bahut akarshan hai aapne kaha tha ki apni har kamna ladli lal ke samne rakh dena maine aisa hi kiya parantu ichchha na puri hoti hai aur na hi uska rag nasht hota hai ulta kai bar bhagwat chintan ke beech mein uska chintan hota hai hamari baat ho to harsh hota beta agar maa se kahe ki hamen sankhiya pila de to main pila degi kya to sankhya to maang rahe ho anant janmon se bhogte chale aae i bhog ki trishna hai are mangte ki ladli jo aapke charnon ko prem ho jae aapka nirantar bhajan ho kya maang rahe ho kitne din uska sharir jiega kitne din tumhara sharir jiega ye koi maang hai ye koi maang hai narad ji ne kaha main byah karna chahta tha kyon nahi byah karne diya thakur ji ne kaha jisko main adhik pyar karta hoon to use jo meri maya badha pahunchati hai usse main mukt karta hoon main tumhen bahut pyar karta hoon tum nirantar bhajan karte ho yadi main tumhara aisa sahyog bana deta
to tum fas jaate aur mujhe bhul jaate bhul jaate to pata nahi kitne kalp meri maya mein bhatkte aansu aa gaye narad ji ke main aapki baat ko na samjhne ke karan aapko shaap de diya kyonki samarth bhagwan ke premi bhakt hai jaisa main stri viyog se dukhit hoon aisa tum bhi ho bhagwan ramavtar lekar usi saap ka anumodan karte hain ha he khag he mrig he Madhukra shrani aisa vilap karte hain yah manushya jeevan stri mangne ke liye mila hai kya purush mangne ke liye mila hai kya are unko mango jiske mangne
ke baad maang mit jae usse kya tripti ho jaegi kya jinke byah ho gaye va kriti krit ho gaye kya wo bolte hain ab kachu nath na chahi more kya antim mein unko bhi yahi soch aati ki jo milna chahiye wo nahi mila jo khojana chahiye wo nahi khoja to jo kuch milna hoga tumhare bina mange mil jaega mangne ki zaroorat thodi hai mango to yah mango ki aapke charnon mein bhakti ho jae kaisi bhi paristhiti mein hoon prabhu main aapko bhulu nahi y mera mera jeevan vyarth na jae nath main apne jeevan ko aapke charnon mein samarpit karta hoon aap dekh lo jo accha lage so kar dena jo aisa lage ki mera aapse sambandh hat jae aapse bhajan kabhi pura mat karna mere mangne par bhi yah to rahi baat tumhari yah kya baat hai k meri maang puri nahi kar rahe wah sab samjhte hain va gyan vigyan ke samudra hain unke ashrit raho Radha Radha Radha jo hoga wahi mangal hoga amangal ho nahi sakta kyonki prabhu mangal bhavan hai Radha Radha Radha sache marg ke pathik bano to sansaar apne aap aapko gher lega Madhav ka bhajan karo to
maya gher legi maya ka bhajan karoge na Madhav milegi na maya milegi ye bahut chanchal chapal maya bhagwan ki hai isliye jeevan keval bhogon ke liye nahi mila bahut jeev bhog rahe hain bahut janm bhoge aae ho agar nahi milta hai to a bhagya mein mil jaata hai to aapki leela bhajan karo grahasti ban karke nahi milta to dhairya purvak raho kisi aur ki taraf aankh mat uthao prabhu ki taraf dekho kya vyvastha karte hain anand mein rahoge samjh rahe ho ki nahi shastr sanyam se chalte to kaise man ki dasha hoti hai jab tak hamare
mata-pita paas nahi kar denge tab tak ham kaise kisi ko sweekar kar sakte hain kam se kam unko yah saubhagya to de jinhone paida kiya palan poshan kiya hai tumhen dular karne ke liye apne jeevan ko mitti mein mila diya hai unko yah bhi saubhagya tum hi final kar loge sab dekho na aaj ka samay kya tum kaise baat kar sakte ho haan yah theek hai ki aapke mata-pita hamare mata-pita se mile ham bhi prarthna karenge yadi hamara aapka bhav ban raha hai mata-pita ke charnon mein prarthna karenge donon raji
ho jaenge wo baat bina byah ke bina in gurujanon ke adesh ke to mujhe lagta hai sab phir buddhi bhrasht hone wali baten hain ji Ravi ji madhya pradesh maharaj ji aapke charnon mein koti koti pranam maharaj ji hamare pitaji aur sas sasur aur patni kahte hain ki bhajan aur Vrindavan vas karna tha to shadi kyon ki thi ab ham unhen kaise samjhaen ki kahin tak matlab wo lok drishti se sahi kahte hain Vrindavan vas karna aur aur bhajan karna in donon mein antar hai Vrindavan ka aashray lekar bhajan karte hue grahasti mein aacharan karo grahasti mein vairagya pradhan jeevan nahi hona chahiye pravriti hai marg khub kamao parivaar ka poshan karo naam jap karo aram se kanthi bandho tilak bandho thodi der path kar liya din bhar mehnat ki Radha Radha Radha ki yadi pati patni donon ne pani grahan kiya ek dusre ka agar aapka man hai ki dharm se chale brahmcharya se chale rag rahit hokar chale to apne sathi ko tayyar karo pyar ke dwara dekho ham donon itne dino mein grihasth dharm ka sanyog karenge ham donon itne dino Vrindavan
chalenge ham donon itni der bhajan karen phir mehnat karen pyar se chalo ek ko ek chhod kar ye baat nahi hai nahi to pani grah wo thodi samjh rahi thi ki tum bhakti karoge byah karke donon ne to ek to apne ko dekhna hai bhakt wahi hai jahan kalah na ho ashanti na ho sab jagah shanti aur prem ka vihaar bana rahe to aisa hai mata-pita ke samne tum aise lakshan prakt karo tum ek sansari aadmi ho tum aise lakshan prakt karo ki maha bhagwat hai ham unko to bhay lag hi jaega ki ladka bachchha byah kiya ab ye
sab Babaji ban jaega Vrindavan jag to hoga kya to tumhare ba mata-pita kya sabke mata-pita ko lagega ki agar y aise chalega to kaise chalega chaturi isi mein hai waise hi raho jaise ek sansari aadmi rahta hai andar se Radha Radha Radha kabhi aae anumati le li ghar walon se ek do din darshan kar gaya jo bhi aur jab rang aa aa jae ki ab koi hamen bhrasht nahi kar sakta koi hamen diga nahi phir tumhare bas ki baat nahi pach varsh ka balak Prahlad hiran Kashyap tribhuvan pati virodh mein khada ho gaya kuch nahi bigad paya ab us koti ka rang ane do chup raho paudha hai dhire-dhire usko vriksh banne do shant raho gam sab raji hai ghar parivaar ke yahan hai to rah sakte hain abhi haan haan aram se parivaar ko raji karke ladai jhagda nahi ji avat kishor ji Gurudev aapke charnon mein koti koti pranam Gurudev is nich adam papi dwara gau mata guru va anya jeev sambandhi bahut sare paap hue hain aur dusre ka dhan ki chori bhi kiya hai kya iske baad bhi mujhe ladli jo apnaenge jarur jar ache su durachaar bhajte mam
anannya bhag sadhur samam ta bya samakta andhere mein kuch bhi galti ho sakti hai agyaan andhkar mein jeev kuch bhi galti kar sakta hai lekin jab jaga tab savdhaan lon sani ab nan aaj tak jo galti ki ki he hari main aapki sharan mein hoon aapke siva mera koi sahara nahi hai bhagwan kahte aam tom sarv paap moksh sham ma sucha ye bhagwan ke vachan hai main tumhen samasth papon se mukt karu bilkul bhay na karo nirbhay ho jao piche ke papon se bhagwan ke ashrit hokar age se koi galti mat karo to piche ke sab nasht ho jaenge aapko bhagwat prapti nischit ho jaegi yadi aap aise chaloge to hamara manush janm keval papon ke bhogne ke liye nahi mila papon ka nash karke paramatma prapti ke liye mila hai agar keval bhog baat hoti to paramatma prapti ho hi nahi sakti thi samjh rahe ho khula swatantrata hai bhagwat prapti ke liye kitna bhi bada koi papi ho kaise bhi bhayanak paap ho gaye ho ek bar hriday se nischay kar le ki mujhe bhagwat prapti karni to kar sakta hai kar sakta hai samjh rahe par dupleeket nahi aaj sweekar
kiya kal phir wahi paap to purana jud jaega phir connection wo aur ye milke tumhen blasta kar dega nasht kar dega ab lo nasani abna na sahi ho ab ho gaya kam ab koi tumhen parast nahi kar sakta age badho bhagwat prapti nischit aur agar natak baji to bhagwan natak se nahi milte ki aaj kaha ki abalo nasani ho kal phir wahi kiya to piche ka connection jud jaega beech wali baat mani nahi jaegi beech wali tabhi mani jaegi abalo nishani aaj tak jo hua hua he prabhu age sambhalna galti na ho aur ham bharsak prayas karte hain jo aapne samarth di ki galti nahi karenge bas wo mahatma ban gaya bhagwan kaisi kar mein hai kabhi-kabhi ai kar ho jaate ho jo piche ka kabhi-kabhi itna vichchhed deta nahi dekho aise kaise ho jaate hain ham gay ko kaise kasht de sakte hain ham kisi ke saath mein vichar kaise kar sakte hain aise thodi ho jaate grihasth mein to aise ho jaate hain aisa kaise ho jaata hai kaise aise ho jaata hai bhai buddhi aap apni bhrasht karenge to chahe koi ho grahasthee ho chahe virakti ho aise kaise ho
jaega ham kisi jeev ko kaise mar sakte hain kaun sa adhikar hai hamara marne ka bhai grihasth mein to sab ho jaate hain jaise grahasti mein hal jot raha hai koi fawda chala raha hai usmen koi jeev kat jaata hai wo jeev ko thodi mar raha hai wo to apni kisani kar raha hai use annu pajta hai hazaron pakshi uske ann ko pate hain atithi pate hain sant jan pate hain usko koi paap nahi rahta kyonki uske dwara bahut si sevae ho rahi hain wo jaan ke thodi ab jaise jankar hatya karna jankar ye gande aacharan to phir uska to dand bhogna padega ab aap usko kah do ki ham grahasti mein rahte grahasti mein alav hai kya laisens hai kya ki aap vyabhichar karo paap karo hinsa karo aisa kahin nahi hai aisa nahi ye sab baten matlab bekar ki hain riya Soni ji Radha vallabh shri Harivansh maharaj shri maharaj ji bhai ji ke satsang mein suna tha ki agar karm ki adhikta ho jati hai to usmen karm samarpan ki bhavna hat jati hai mera karm padhai karna hai usmen kabhi-kabhi bahut padhai hone ke karan raat ko bhi jagna jagna
parta hai uski wajah se jab main sang karne baithti hoon to meri aankh lag jati hai to Guruji mera margdarshan kijiye ki mere karm mein adhikta hai ya nahi karm to Radha rani ke liye hi kar rahe hain dekho ek kiska prashn hai ha bhakti ki ek bachchha avastha hoti hai jismen varnan hota hai ki chhath dum shal rat bahu karma nirat nirantar sajjan dharma bhagwan swayam shri Ram ji Sabri mata ke samne kah rahe ki chha bhakti ka swaroop y hai ki sheelwan upasak bahut karmon ka vistar na karen sant mahapurush jis aradhna se prabhu ko prasann karte hain unse updesh lekar ke unke anusaar chale ab baat samjhna hai hamari us koti ki bhakti nahi hai chhath dum shal virat bahu karma samasth bahut karmon se bairag lekar uchit karmon ko karte hue bhagwat anurag mein wo bhakti nahi hai hamko har baat ko yah nahi sochna ki mere liye kahi ja rahi class hai sthiti hai uske anusaar uska ham anubhav karen jaise abhi bachchha ho tumhara mata-pita ke anushasan mein rahte hui vidya adhyan karna subah uthi thodi der Radha Radha Radha
Radha ya jab phir jab aapko samay man lo aap 2 baje tak padh rahe to aap 600 baje tak so jaiye 8:00 baje tak so jaiye aap uthi aapke liye wahi savera Radha Radha Radha Radha jap kiya nahaya daya bhagwan ko pranam kar liya aur jaise shastr swadhyay karte hain aise jakar apni padhai karo satsang hai 10 minute 20 minute sun liya santo ki baat aur jo ham padhai kar rahe hain tumne abhi kaha Priya ju ki prasannata ke liye bhai yah baat rakh lo sab baat ho gayi samjhna hai ham ek class ke hain phd wali baat dharan karne ki to ham na dharan kar payenge na usko samjh payenge chhath dum shal virat bahu karma nirat nirantar sajjan chhathwin bhakti aur hamari abhi to prambhik bhakti bhi nahi hai to aap abhi bachchhe ho bhakti ka bhav rakho Priyalal ke ham ashrit hai thoda naam jap kar lijiye aur malo padhai mein bar-bar naam jap karne ki vritti rakhoge to pha use samjh kaise paoge samjh rahe ho haan wo padh rahe hain to usmen sab akshar brahm mein hai bhagwat swaroop hai aur ghanta do ghanta char ghanta jo padhe wo sab priyaj ko arpit kar diye padh likh
kar ke jo bhi pad mila seva mili usko ham priyaj ke parivaar man kar ke aur unki sabki seva karne wale pati hai parivaar ke sadasya hain arth kama rahe hain unko sukh pahuncha rahe nahi arth kama ra padhe likhe hain hamen pata hai kiske saath kaisa vihaar karna chahiye aise ye sab mangalmay hai use sansarik ki taraf na le jae aur na bahut vairagya ki taraf le jae pravriti marg ke pati ko samjhna chahiye ki hamara marg kya hai bahut sahaj mein koi pareshani nahi samjh pa rahe ho aap ji lekin hamari taraf se prarthna hai ki padhne likhne wale bachchon ko girlfriend boyfriend wala jo aaj ka natak chala hai ye nahi karna chahiye agar hamari baat koi sun raha hai aur samjh raha hai chahe youtube0 sab bachchon se prarthna hai aisi galti mat karna kyonki yah galti tumhare jeevan ko aisi jagah pahuncha degi paramarth kya tum swarth layak nahi rah jaoge ye jo aaj ka nautanki natak chala hai na kai-kai boyfriend kai-kai girlfriend aur abhi bataya tha kya living relation do kyaak ye sab nautanki natak jeevan mein nahi
ho isse bada bura aacharan aur kuch nahi hota jab bachchhe inme utar jaate hain to apni pavitra kho dete hain apni maansikta bigad lete hain yahan tak ki apne jeevan ko nasht kar dete te hain abhi kuch hi dino pehle ek ladki ne prashn kiya tha ki hamare class mein hi hamare room mein rahne wali ek ladki ne atmhtyaa ki kya karan ho sakta hai man lo kisi ne uske saath aisa phir wo video ajkar bankar usko blackmail karke kai-kai bachchhe aise khilwad ab wo kya kare agar uski baat open hoti to mata-pita jante nahi open hoti to roz shoshan hota hai usko ek hi rasta dikhayee deta main atmhtyaa karlu aisi koi galti nahi hona chahiye yadi satsang sunti ho santo se bhav rakhti ho to y agyaa ka palan karo chahe prarthna man ke jab tak mata-pita ka saharsha swikrati na ho tab tak purush ka varn karne ka bhav nahi hona chahiye mata-pita ke mana hamen pasand hai to usmen dast hamare itna saubhagya mata-pita ka adhikar itna nahi ko tumhari baat ko samjh sake jinhone tumhen palan poshan
kar itna itna bhi adhikar nahi aaj ke bachchhe itne kumargh gami ho rahe hain ki mata-pita ko aise avhelna kar de phir kya hota hai jab tumhare upar koi bhay nahi hai to tum waise hi man sabka uddand hota hai uddandta mein bahta chala jaata hai accha jaise tum uddandta kar se samne wala uddandta kar raha hai samne wala tumhen pyar ka natak kar raha pyar to hai hi nahi bina pavitra ke pyar nahi hota aur yahan ka pyar apvitra se hi prarambh hota hai ye pyar hota hai to isliye hamen to ye lagta hai ki naye-naye bachchon ko hamari prarthna jarur sunni chahiye jab tak mata-pita ki anumati na ho jab tak wo ek hamare andar bhav na dekh le mata-pita sanskar na dekh le tab tak hamko kabhi kadam nahi badhana chahiye cha brahmcharya se rahna chahiye byah ho jae phir grahasti mein jaisa sanskar waise jae yah hamen bahut savdhani ra jo bachchhe apni balyvastha se Yavan avastha tak adte gandi kar lete hain wo na grahasti layak rahte hain na bhagwat marg layak rahte hain wo kuda karkat ho jaate hain
kude ki tarah unki zindagi ho jati hai jo sanyam se chalte hain wo achhche grihasth bante hain wo achhche bhakt bhi ban sakte hain dekho ham logon ka janm akash se thodi hua hai kisi grihasth se hua hai agar hamare mata-pita sanyami na hote hamare mata-pita bhagwan ko na mante hote to ham unke ghar mein se kaise janm lete hamare sanskar kaise achhche bante hamare mata-pita ne bhajan kiya hai hamare mata-pita hamen shasan mein rakh to aise mata-pita agar shami na hote shasan karne wale na hote to hamare sanskar
hi nahi bante to agar aap sanskar yukt ho aap dharm yukt ho agar ek bhi parivaar ka koi aapse sanskar achhche prapt kar liya to ho gaya manushya jeevan ki sarthakta jo ham hi sanskar hin hai hamare hi aacharan kharab tum dusre ko kya updesh de sakte hain isliye achhche bachchhe bano maharaj ji ye bhi prashn tha na jaise ham padhai wahan pa karte hain na to hamko pata hai ki sab mein bhagwat darshan karna hai aur kuch kuch log aisa aisa matlab baat bol dete hain ki va aisa sun ke aisa lagta hai ki aisa baat sunna nahi chahiye par bahut dar lagta hai ki aisa aisa chij agar sun lenge to kahin bhagwat marg mein kuch truti na ho jae bachchha abhi theek se tumne suna nahi hoga jab bhagwat darshan ki baat kahi jati hai to bartaav bhi de usmen dekhna hai jaise ham aap mein bhagwat darshan kar sakte hain par ham bartaav aapke saath wahi karenge jo shastr vidhan hai uske virudh aacharan nahi kar sakte bhagwat darshan hai sam mein jaise patni mein bhi bhagwat darshan hai beti mein bhi bhagwat darshan hai maa mein bhi bhagwat darshan bahan mein bhi bhagwat darshan
ek hai lekin vihaar bada antray ka ho gaya ho gaya na aise bhagwat darshan lekin jo hamare bhav ko bigad de jo hamari buddhi ko kumargh gami bana de ham usmen bhavna to kar sakte hain vihaar nahi kar sakte sambhshan nahi kar sakte uske saath baith nahi sakte uske saath ham kha nahi sakte kyonki yah vihaar ke liye nahi kaha gaya vihaar to tasma shastram prmanam te karya karya vyvasthit darshan ke liye sab bhagwan hai theek hai lekin ham chor bhagwan se nahi milenge jo bhagwan chori ka natak kar rahe ham nahi mil penge jo samne bhagwan hi hai lekin va gandi baat kahte hain va gande aacharan karte hain bhagwat darshan matlab dekho heater mein halogen mein bulb mein fridge mein kular mein ek hi bijli hai yantr ke prabhav uska prabhav alag-alag kahin heet hai kahin sheetalata hai sukhad vayu de raha hai aur chu jae to mrityu bhi hai hai nahi to bijli sab mein ek hai yah hamen dekhna hai lekin vihaar sab mein ek jaisa nahi dikhayee de raha ek jagah bijli hai to prakash de rahi ek jagah to aag paida kar rahi ek jagah to thanda
paida kar rahi ek jagah chu jae to mar de hai nahi gadasa bhi bijli se motor bhi bijli se to aise hi bhagwat shakti se sampurn trigunatmak maya ka kam chal raha ab mujhe kya chahiye yah dekhna hai prakash tej sab mein bhagwan ka hai lekin hamen vihaar sambhal ke karna hai ab dekho na heater hai to kitni aag paida karta hai aur fridge hai ekdam thanda pani sab to hamko anukulta dekhni vihaar mein jahan shastr aur dharm ko lekar ke anukulta mile usi ko anukulta kahte hain man ko lekar anukulta mein to bah
jaega hamen aise logon se nahi milna aisa drishya nahi dekhna aisi baat nahi karni aisa hamen vihaar nahi karna jo hamare dharm ko nasht kar de bhav mein bhagwat bhav hai samjh rahe na jaise saanp hai kutta hai hathi hai gay hai sab mein ek hi bhagwan hai lekin ham sabke saath vyavahrik jaisa nahi kar sakte gay ko gobar lekar ghar mein usko lip hain gay ko mata ki tarah aadar dete hain gay ki jo mutr hai usko bhi aushadhi ki tarah liya jaata hai bada pavitra mana jaata hai lekin aur sab jeev ko to nahi le sakte na to darshan to sab mein kar rahe hain na par ham vihaar sabke ek jaisa thodi kar rahe hain jo ham gay ke saath pujya bhav rakhte hain antarik bhav mein ham dekh sakte hain ki kutte mein bhi wahi prabhu hai lekin ham bartaav nahi kar payenge ki bhai gay ke gobar se leepa to kutte ka gobar la ke li wo to nahi ho payega na samjh rahe ho na aise hi ek hai ki bahut sacha hai satsangi hai hamen theek bhav se chalata hai hamara mitra hai aur ek dusra ki mitra banne ka natak kar raha hamen kumargh gami baten sikha raha
hamen gande aacharan kabhi nahi dekhna kabhi nahi bolna usmen nahi dekhna ki isam bhagwan hai hamara aparadh ban jae nahi nahi dur aise bhagwan namaskaar bhav se rahna hai apne dharm se chalna hai supriya Soni ji maharaj ji dandvat pranam maharaj ji maine bhai ji ke satsang mein suna tha ki kripa par vishwas se kuch bhi ho sakta hai aur maine iska anubhav bhi kiya ki shri ji hamesha mere saath hai lekin phir bhi mera bhajan utna accha nahi hai vishyon ki lalsa bani hi rahti hai kyonki kripa par abhi vishwas nahi hua jo aap vishwas man rahe ho va bhi vishwas nahi jis din ladli ka pyar mil jaega us din kisi aur vishesh sukh ki cha nahi hoti jaise agadh samudra ka sanidhy prapt hone par chhote mote gaddhon ki avshyakta nahi hoti aise anand samudra prabhu ka sanidhy anubhav karne par pha tuchch vishyon ki akarshan agar vishyon ke prati akarshan hai to abhi hamari sharanagati mein kami abhi bhagwata ka spharan nahi hua par prambhik to hai na prarambh mein to ham sharanagati mante hain na sharanagati purnata bhi
sharanagati prambhik hai vishyon ka akarshan hona koi ascharya ki baat nahi sabke andar hota hai kyonki ham sab isi maya mein janme hue hain ab us akarshan ko hamen dabana hai sahna hai dharm purvak jo hamara vishay sevan hai wo to theek hai adharm purvak bilkul nahi agar adharm ka sevan kar liya to hamara jeevan nasht ho jaega yah pakki baat hamari ganth bandh lena jo adharm purvak papa aacharan karte hain kabhi shanti nahi mil sakti kabhi unko sukh ka anubhav nahi ho sakta unka hriday hi kamna se aisa jalenga
aisa pareshaan kar dega ki wo khud apne aap ko nasht karne ke liye sochne lagenge yah man hi hai man agar sudhar jae to bhagwan ka sakshatkar ag bigad jae to tumhare hath se tumhari mrityu kara dega dekho na log jo atmhtyaa karte hain kahan se karte hain man itna depression mein pahuncha deta hai itna klesh deta hai usko lagta hai ek hi rasta hai mar jao marne ke baad koi wahan mahal thodi hai ki jakar aap anand lene lage aapke karmon ke anusaar phir yoni milegi dukh milega kasht milega par jeev nahi samjh pata to dharm purvak vishyon ka sevan karna theek hai adharm purvak unhin vishyon ke akarshan mein lagna apna patan karna hai vishyon ka akarshan koi ascharya ki baat nahi pure charachar jeev par hai isi ka naam maya hai apne ko savdhaan rahna hai us akarshan ko dabana hai naam jap karte rahna hai jab dharm purvak chalne ka avsar ho vishyon mein to phir chale anytha shant rahe
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…